Aankh Ke Samandar Ghazal Shayari new2017

Raah Aasaan Ho Gayi Hogi;
Jaan Pehchaan Ho Gayi Hogi;

Phir Palat Kar Nigah Naahi Aayi;
Tujh Pe Kurbaan Ho Gayi Hogi;

Teri Zulfon Ko Chedati Thi Saba;
Khud Pareshaan Ho Gayi Hogi;

Maut Se Tere Dardmandon Kee;
Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi;

Un Se Bhi Chheen Loge Yaad Apni;
Jinka Imaan Ho Gayi Hogi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ab Jo Laute Ho Itne Saalon Mein;
Dhoop Utri Hui Hai Baalon Mein;

Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein;
Tum Meri Rooh Ke Ujalon Mein;

Phool Hi Phool Khil Uthe Mujh Mein;
Kaun Aaya Mere Khayalon Mein;

Maine Jee Bhar Ke Tujh Ko Dekh Liya;
Tujh Ko Uljhaa Ke Kuch Sawalon Mein;

Meri Khushiyon Kee Kayenat Bhi Tu;
Tu Hi Dukh Dard Ke Hawalon Mein;

Jab Tera Doston Mein Zikar Aaye;
Theess Uthti Hai Dil Ke Chaalon Mein;

Tum Se Abaad Hai Yeh Tanhai;
Tum Hi Roshan Ho Ghar Ke Jaalon Mein;

Kya Use Yaad Aa Raha Hun 'Wasi';
Rang Ubhre Hain Uss Ke Gaalon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare;
Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare;

Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar;
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Kare;

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein;
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare;

Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain;
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare;

Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand;
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare;

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai;
'Qateel' Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tu Jo Aa Jaye To Iss Ghar Ko Sanwarta Dekhun;
Ek Muddat Se Jo Veeran Hai Wo Basta Dekhun;

Khawab Bankar Tu Behta Rahe Jannat Ke Jharne;
Aur Bas Main Isi Mausam Ko Nikharta Dekhun;

Jis Se Milna Nahi Usse Mohabbat Kaisi;
Sochata Jaaun Magar Dil Mein Utarta Dekhun;

Dil Geya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaata;
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhun;

Chand Lamhe Jo Tere Ishq Ke Mil Jaate Hain;
Inn Hi Lamhon Ko Main Sadiyon Mein Badalta Dekhun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai;
Dil Dhadakta Hai Sahulat Se, Yahi Kaafi Hai;

Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yahi Kaafi Hai;

Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yahi Kaafi Hai;

Muddatton Se Nahi Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Aa Jate Ho Shiddat Se, Yahi Kaafi Hai;

Saari Duniya Se Uljhate Hain Lekin Tera Kaha;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;

Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Baai Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;

Aaj Ke Ehad Tagaful Mein Kisi Dar Pe 'Munir';
Koi Aa Jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujhe Khud Se Hain Shikayatein, Mujhe Zindagi Se Gila Nahi;
Ki Jo Chaha Maine Woh Paa Liya, Nahi Aisa Kuch Jo Mila Nahi;

Mere Aas Paas Hai Roshni, Mere Raaston Mein Chirag Hain;
Yeh Tere Karam Ka Hai Mojza, Meri Justuju Ka Sila Nahi;

Teri Aankh Se Jo Haseen Ho, Woh Nigah Jag Mein Bani Nahi;
Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Doon, Koi Aisa Phool Khila Nahin;

Yeh Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya, Yeh Jo Tera Chehra Khushnuma;
Koi Raat Aisi Siyaah Nahi, Kisi Subah Mein Yeh Jilaa Nahin;

Yeh Jo Mehr-o-Maa Kee Hain Halatein, Yeh Jo Aainon Kee Hain Hairtein;
Hain Azal Se Yeh Isi Tarah, Koi Apni Jaa Se Hila Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Aawazein Si;
Door Sehra Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Kee Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Doob Geya Bhi To Marunga Na 'Kamal'
Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujh Se Kafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka To Khuda Yaad Aaya;

Mere Dil Pe To Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saya;
Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya;

Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqabil Paya;

Charagar Aaj Sitaron Kee Kasam Kha Ke Bata;
Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya;

Log Hanste Hain To Iss Soch Mein Kho Jata Hun;
Mauj-e-Sailab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;

Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai;
Jaante Bhujhte Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe;
Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe;

Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein;
Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe;

Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe;

Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale;
Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;

Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;

Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer;
'Faraz' Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi Mujh Ko Sath Lekar, Kabhi Mere Sath Chal Kar;
Who Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar;

Hue Jis Pe Meharban Tum Koi Khushnaseeb Hoga;
Meri Hasratein To Nikali Mere Aansuon Mein DhalkKe;

Teri Zulf-o-Rukh Ke Kurban Dil-e-Zar Dhundta Hai;
Wahi Champai Ujale Wahi Surmai Dhundlake;

Koi Phul Ban Geya Hai Koi Chand Koi Tara;
Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke;

Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo;
Wo Yahin Kahin Chupe Hain Mere Gum Ka Rukh Badal Ke;

Teri Be-Jhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila;
Ye Nagar Hai Aainon Ka Yahan Saans Le Sambhal Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Teri Nigah Ke Jadu Bikharte Jate Hain;
Jo Zakhm Dil Ko Mile Woh Bharte Jate Hain;

Tere Baigair Woh Din Bhi Guzar Gaye Aakhir;
Tere Baigair Ye Din Bhi Guzarte Jate Hain;

Liye Chalo Mujhe Dariya-e-Shauq Kee Maujon;
Ki Humsafar To Mere Paar Utarte Jate Hain;

Tamaam Umar Jahan Hanste Khelte Guzari;
Ab Us Gali Mein Bhi Hum Darte Darte Jate Hain;

Mein Khawhishon Ke Gharaunde Banaye Jata Hun;
Woh Mehnatein Meri Barbad Kiye Jate Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain;
Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain;

Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate;
Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain;

Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To;
Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain;

Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin;
Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain;

Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain;
Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain;

Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se;
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain;

Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein;
Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shaayad Abhi Hai Raakh Mein Koi Sharaar Bhi;
Kyon Varna Intezar Bhi Hai Iztiraar Bhi;

Dhyaan Aa Geya Hai Marg-e-Dil-e-Namurad Ka;
Milne Ko Mil Geya Hai Sukun Bhi Qaraar Bhi;

Ab Dhundne Chale Ho Musafir Ko Dosto;
Hadd-e-Nigah Tak Na Raha Jab Gubaar Bhi;

Har Aastaan Pe Nasiya Farsaa Hain Aaj Woh;
Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intezar Bhi;

Ik Raah Ruk Gayi To Thee Thak Kyon Gayi 'Ada';
Aabaad Bastiyan Hain Pahadon Ke Paar Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aashna Ho To Aashna Samjhe;
Ho Jo Na-Aashna To Kya Samjhe;

Hum Isi Ko Bhala Samhhte Hain;
Aapko Jo Koi Bura Samjhe;

Vasal Hai Tu Jo Samjhe Use Vasal;
Tu Judaa Hai Aagr Judaa Samjhe;

Jo Zeher Deve Apne Haath Se Tu;
Tera Bimar-e-Gum Dawa Samjhe;

Ho Wo Baigana Ek Alam Se;
Jisko Apna Wo Dilruba Samjhe;

Ai 'Zafar" Woh Kabhi Na Ho Gumraah;
Jo Mohabbat Ko Rehnuma Samjhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Mashook Ishq Aashiq Hai;
Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhei Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majboorion Ka Uzaar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din;
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;

Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga;
Jaane Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;

Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
Ki Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din;

Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
Mere Din, Be-Asar Gaye Mere Din;

Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
Yaar Yaaran, Sudhar Gaye Ab Din;

Ab Main Bas Reh Geya Hun Raaton Mein;
Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski;

Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski;

Ghiri Hui Hun Main Chehron Ki Bheed Mein Lekin;
Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski;

Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai;
Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski;

Ye Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye;
Kahan Pe Reh Gayi Logon Sadaqatein Uski;

Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar;
Ye Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain;
Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain;

Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai;
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain;

Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do;
Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain;

Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti;
Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain;

Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai;
Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain;

Chalo 'Faiz' Phir Se Kahin Dil Lagyein;
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqeeb To Aakhir Woh Naam Kiska Tha;

Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Muqeem Kaun Hua Hai Maqaam Kiska Tha;

Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;

Woh Katl Karke Har Kisi Se Puchte Hain;
Yeh Kaam Kisne Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;

Guzar Geya Woh Zamana Kahein To Kis Se Kahein;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-o-Shaam Kiska Tha;

Har Ek Se Kehte Hain Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puche Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raat Ke Khwab Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwab Suhane The;
Dhoodhle Dhoodhle Chehre The Par Sab Jaane Pahchane The;

Ziddi Wahshi Alhar Chanchal Meethe Log Raseele Log;
Honth Un Ke Ghazalon Ke Misre Aankhon Mein Afsane The;

Yeh Ladki To Inn Galiyon Mein Roz Hi Ghuuma Karti Thi;
Iss Se Un Ko Milna Tha To Iss Ke Lakh Bahane The;

Hum Ko Sari Raat Jagaya Jalte Bujhte Taron Ne;
Hum Kyon Un Ke Dar Pe Utre Kitne Aur Thikane The;

Vahshat Kee Unvaan Humari In Mein Se Jo Naar Bani;
Dekhenge To Log Kahenge 'Insha' Ji Deewane The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye;
Gum Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye;

Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Kee Simt Jata Hun;
Isko Dasht-e-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye;

Lakh Khushguman Duniya Vehmi Talluq Ko;
Dosti Kahe Lekin Dosti Na Samjha Jaye;

Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jeene Marne Ko;
Aap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye;

Khak Karne Walon Kee Kya Ajeeb Khwahish Thi;
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Log Har Mod Par Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain;
Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hain;

Main Na Juganu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun;
Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain;

Neend Se Mera Taluq Hi Nahi Barson Se;
Khwab Aa-Aa Ke Meri Chhat Pe Tehalte Kyon Hain;

Mod To Hota Hai Jawani Ka Sambhalne Ke Liye;
Aur Sab Log Yahin Aakar Phisalte Kyon Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho;
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho;

Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal;
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho;

Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai;
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho;

Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod;
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;

Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai;
Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai;

Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai;

Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke;
Uss Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai;

Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe;
Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai;

Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil;
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ret Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo;
Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo;

Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain;
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo;

Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho;
Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo;

Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai 'Mohsin';
Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafa Yaad;
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;

Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Yeh Na Bhi Raha Yaad;
Shayad Ke Mere Bhoolne Waalay Ne Kiya Yaad;

Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko;
Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Ki Adaa Yaad;

Kya Lutf Ki Main Apna Pata Aap Bataaun;
Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad;

Muddat Hui Ek Hadsa-e-Ishq Ko Lekin;
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakne Kee Sadaa Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apna Hissa Shumar Karta Tha;
Mujhse Itna Woh Pyaar Karta Tha;

Woh Banata Tha Meri Tasveerein;
Unse Batein Hazaar Karta Tha;

Mera Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se;
Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha;

Such Samjhta Tha Jhooth Bhi Mera;
Yun Mera Aitbaar Karta Tha;

Pehle Rakhta Tha Phool Raaste Mein;
Phir Mera Intezar Karta Tha;

Aaj Pehlu Mein Wo Nahi 'Faraz';
Jo Mujh Pe Jaan Nisaar Karta Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;

Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat;
Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;

Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap;
Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh;

Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan;
Kamre Kee Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;

Tu Bhi 'Munir' Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Ja Kar Dekh!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din;
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;

Ab Na Koi Din Mere Ghar Jayega;
Jaanae Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;

Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
Ki Mujh Hee Ko Bisaar Gaye Mere Din;

Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
Mere Din Be-Asar Gaye Mere Din;

Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
Yaar Yaaran Sudhar Gaye Ab Din;

Ab Main Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ai Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun;
Jab Tees Koi Chamke Main Tujhko Dikhayi Dun;

Jis Roz Kabhi Tera Deedaar Na Ho Paaye;
Main Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhayi Dun;

Magroor Hai Tu Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar;
Tu Chahe To Main Tujhko Tan Man Kee Khudai Dun;

Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Kare Mujhko;
Main Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunayi Dun;

Ik Umar Ke Baad Apne Chit Chor Ko Pakda Hai;
Main Kaise Qateel Usko Baahon Se Rihayi Dun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kahan Dil Qaid Se Chhoota Hua Hai;
Abhi Tak Shehar Se Rootha Hua Hai;

Hum Kaise Kahe Iss Dil Ko Sacha;
Hamare Samne Jhoota Hua Hai;

Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Par;
Yeh Sab Samaan Loota Hua Hai;

Tumhare Dil Mein Meri Chahaton Ka;
Koi To Beej Sa Phoota Hua Hai;

Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se;
Yeh Dil Phele Se Hee Toota Hua Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya Kya Hamare Khwab The, Jane Kahan Pe Kho Gaye;
Tum Bhi Kisi Ke Sath Ho, Hum Bhi Kisi Ke Ho Gaye;

Jaane Woh Kyon The, Kaun The Aaye The Kis Liye Yahan;
Woh Jo Fashaar-e-Waqt Mein, Bojh Sa Ek Dho Gaye;

Uss Ki Nazar Ne Yun Kiya Gard-e-Malal-e-Jaan Ko Saaf;
Abar Baras Ke Jis Tarah, Sare Chaman Ko Dho Gaye;

Katne Se Aur Badhti Hai Uthe Hue Sarun Ki Fasal;
Apne Lahu Se Ahl-e-Dil, Beej Yeh kaise Bo Gaye;

Jin Ke Bagair Ik Pal, Jeena Bhi Muhaal Tha;
Shaklein Bhi Unn Kee Bujh Gayin, Naam Bhi Unn Ke Kho Gaye;

Ankhon Mein Bhar Ke Rut Jaage, Raston Ko De Ke Dooriyan;
'Amjad' Woh Apne Humsafar, Kaise Maze Se So Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai;
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;

Main Uss Ke Khayaal Se Gurezaan;
Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai;

Tehreer Ussi Ki Hai, Magar Dil;
Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;

Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein;
Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai;

Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
Sahil Pe Thakan Tapak Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek Katra Malal Bhi Boya Nahi Geya;
Woh Khauf Ki Logon Se Roya Nahi Geya;

Yeh Sach Hai Ki Teri Bhi Neendein Ujad Gayi;
Tujh Se Bichhad Ke Hum Se Bhi Soya Nahi Gaya;

Uss Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahi Laga;
Uss Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahi Geya;

Daman Hai Khushk Aankh Bhi Chupchap Hai Bahut;
Ladiyon Mein Aansuon Ko Piroya Nahi Geya;

Alfaz Talkh, Baat Ka Andaaz Sard Hai;
Pichla Malal Aaj Bhi Goya Nahi Geya;

Ab Bhi Kahin Kahin Pe Kalikh Lagi Hui;
Ranjish Ka Daag Theek Se Dhoya Nahi Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski;

Yeh Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski;

Ghiri Hui Hun Mein Chehron Kee Bheed Mein Lekin;
Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski;

Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai;
Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski;

Yeh Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye;
Kahan Pe Reh Gayi Logo Sadaqatein Uski;

Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar;
Yeh Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai;
Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai;

Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat;
Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai;

Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien;
Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai;

Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon;
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai;

Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav;
Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai;

Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi 'Tabish';
Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Teri Doli Uthi, Meri Mayyat Uthi;
Phool Tujh Par Bhi Barse, Phool Mujh Par Bhi Barse;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Saj Gayi, Mujhe Sajaya Geya;

Tu Bhi Ghar Ko Chali, Main Bhi Ghar Ko Chala;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Uth Ke Gayi, Mujhe Uthaya Geya;

Mehfil Wahan Bhi Thi, Log Yahan Bhi The;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Unka Hasna Wahan, Inka Rona Yahan;

Qazi Udhar Bhi Tha, Maulvi Idhar Bhi Tha;
Do Bol Tere Padhe, Do Bol Mere Padhe;
Tera 'Nikah' Padha, Mera 'Janaaza' Padha;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tujhe Apnaya Geya, Mujhe Dafnaya Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ahista Chal Zindagi, Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai;
Kuch Dard Mitana Baki Hai, Kuch Farz Nibhana Baki Hai;

Raftar Mein Tere Chalne Se Kuch Rooth Gaye, Kuch Chut Gaye
Roothon Ko Manana Baki Hai, Roton Ko Hasana Baki Hai;

Kuch Hasratein Abhi Adhuri Hain, Kuch Kaam Bhi Aur Zaruri Hai;
Khwahishein Jo Ghut Gayi Iss Dil Mein Unko Dafnana Baki Hai;

Kuch Rishte Ban Kar Toot Gaye, Kuch Judte-Judte Chut Gaye;
Un Toote-Chute Rishton Ke Zakhmon Ko Mitana Baki Hai;

Tu Aage Chal Main Aata Hun, Kya Chhod Tujhe Jee Paunga;
In Saanso Par Haq Hai Jinka, Unko Samjhana Baki Hai;

Ahista Chal Zindagi Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai;
Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai;

Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se;
Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai;

Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se;
Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai;

Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi;
Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai;

Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta;
Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah;

Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah;

Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga;
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah;

Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi'
Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;

Wo Bhare Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi;

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain;
Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi;

Hum Chale Uss Kee Bazm Se Uth Kar;
Aur Woh Hai Ki Rokta Hee Nahi;

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Woh Bhi;
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi;

Main To Uss Kee Talaash Mein Gum Hun;
Woh Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say;
Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Lakh Moujoun Mein Ghira Hun, Abhi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Qabar Say Aaj Bhi 'Mohsin' Kee Aati Hai Sada;
Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya;
Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya;

Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya;
Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya;

Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar;
Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya;

Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun;
Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya;

Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan;
Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya;

Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan;
Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan;
Uff Le Gayi Hum Ko Mohabbat Kahan Kahan;

Betabi-o-Sakoon Kee Hui Manzilein Tamaam;
Behlaayein Tujh Se Choot Ke Tabiyat Kahan Kahan;

Raah-e-Talaab Mein Chor Diya Dil Ka Sath Bhi;
Phirte Liye Hue Yeh Museebat Kahan Kahan;

Begaangi Pe Uss Kee Zamaane Se Aitraaz;
Dar Parda Uss Kee Shikayat Kahan Kahan;

Hosh-o-Junoon Bhi Bas Ab To Ek Baat Hain 'Firaq';
Hoti Hai Uss Shararat Kee Nazar Kahan Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Kee Tarah;
Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Kee Tarah;

Iss Ku-e-Tishnagi Mein Bahut Hai Ki Ek Jaam;
Haath Aa Gaya Hai Daulat-e-Bedaar Kee Tarah;

Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas;
Firti Hai Koi Shay Nigaah-e-Yaar Kee Tarah;

Seedhi Hai Raah-e-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi;
Kham Ho Gayi Hai Gesu-e-Diladar Kee Tarah;

Ab Ja Ke Kuch Khula Hunar-e-Naakhoon-e-Junoon;
Zakhm-e-Jigar Huye Lab-o-Rukhsar Kee Tarah;

Majrooh Likh Rahe Hain Wo Ahal-e-Wafa Ka Naam;
Hum Bhi Khade Hue Hain Gunahagaar Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⇏⇏Aafat Kee Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Mein;
Mehshar Ke Fitane Khelte Hain Jalwa-Gaah Mein;

Woh Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Kee Nigah Mein;

Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar;
Kehta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein;

Iss Tauba Par Hai Naaz ⇍⇍Mujhe Zaahid Iss Qadar;
Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein;

Mushtaaq Iss Ada Ke⇗⇗ Bahut Dard-Mand The;
⇭⇭Ai Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Haath Chhute Bhi Toh Rishte Nahi Chhoda Karte;
Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Toda Karte;

Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan;
Aisi Tasveer Ke Tukade Nahi Joda Karte;

Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda;
Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahi Thoda Karte;

Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai, Use Behane Do;
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte;

Jaagne Par Bhi Nahin Aankh Se Girti Kirchein;
Iss Tarah Khawabon Se Aankhein Nahin Phodaa Karte;

Ja Ke Kohsar Se Sar Maaro Ki Aavwaz To Ho;
Khasta Deewaron Se Maatha Nahin Phodaa Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

🔛🔛Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai;
Dil Dhadakta Hai Sahulat Se, Yahi Kaafi Hai;

Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yahi Kaafi Hai;

Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yahi Kaafi Hai;

Muddatton Se Nahin 🔁🔁Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Aa Jate Ho Shidat Se, Yahi Kaafi Hai;

Saari Duniya Se Ulajhte Hain Lekin;
Tera Kahaa Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;

🔝🔝Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;

Aaj Ke Ehad 🔃Taghaful Mein Kisi Dar Pe 'Munir';
Koi Aa jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!

No comments :

Post a Comment