Miscellaneous Shayari New Hindi2017

Nazar Mein Shokhiyan Lab Par Mohabbat Ka Fasaana Hai;
Meri Ummeed Ki Zad Mein Abhi Saara Zamaana Hai;
Kayi Jeete Hain Dil Ke Desh Par Maloom Hai Mujhko;
Sikandar Hoon Mujhe Ik Roz Khaali Haath Jaana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Sahara Jo Na Ho Toh Preshaan Ho Jaaye;
Mushkile Jaan Hi Lele Agar Aasan Ho Jaaye;
Yeh Kuch Log Farihston Se Bane Firte Hain;
Mere Hatthe Kabhi Chad Jaaye To Insaan Ho Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Hi Kahani Hai Tum Ko Jo Sunani Hai;
Baat Woh Zara Si Hai Magar Baat Umar Bhar Ki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mera Dil Sambhaal Kar Rakhna Kahin Kho Mat Dena;
Bahut Bholi Ho Aap, Zamaana Loot Lega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dene Wale Ne Diya Sab Kuchh Ajab Andaaz Se;
Saamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Bhi Karna, Zamane Se Bhi Ghabrana Bahut;
Aayinon Ka Ghar Banana Aur Patharon Jaise Sochna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Asmaan Itni Bulandi Pe Jo Itrata Hai;
Bhuul Jaata Hai Zameen Se Hi Nazar Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rehte Hain Aas Paas Hi Lekin Saath Nahi Hote;
Kuch Log Jalte Hain Mujhse Bus Khaak Nahi Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muskura Do Zara Khudaa Ke Waaste;
Shaam-e-Mehfil Mein Roshni Kam Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniya Mein,
Main Aadmi Hun Farishton Ke Saath Kaise Rahoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Idhar Falak Ko Hai Zidd Bijliyan Girane Kee,
Udhar Humein Bhi Hai Dhun Aashiyan Banane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do,
Main Khud Laut Jaunga Mujhe Nakaam Hone Do,
Mujhe Badnaam Karne Ka Bahana Dhoondhte Ho Kyon,
Main Khud Ho Jaunga Badnaam Pehle Naam To Hone Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Mangne Ka Saleeqa Nahi Hai,
Woh Dene Ki Har Ada Janta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Talak Sheesha Raha Main Bada Toda Geya,
Ban Geya Patthar To Sab Ne Devta Maana Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Udi Udi Si Rangat Ye Khule Khule Se Gesu,
Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang,
Varna Royega Ki Jannat Mein Bhii Rusvayi Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Baat Ko Chup-Chaap Kyon Suna Jaye,
Kabhi To Haunsla Kar Ke Nahi Kaha Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai,
Par Nahi Taqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kamil;
Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dawaa Zahido Tum Ko;
Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Daali Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang;
Varna Royega Ki Jannat Mein Bhi Ruswayi Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Talash Hai Ek Aise Shakhs Kee,
Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake;
Jab Sab Log Mujse Khete Hain,
Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaghosh Mein Mehkoge Dikhai Nahi Doge;
Tum Nikhat-e-Gulzar Ho Hum Parda-e-Shab Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe;
Kehte Hain Ki 'Ghalib' Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto;
Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
I sacrifice my life for you,
I never knew what prayer is.
I concede that Ghalib is nothing,
If it comes free, what's the harm in it?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Ek Zarra Bulandi Ko Chhune Nikla Tha;
Hawa Ne Tham Ke Zamin Par Gira Diya Mujhko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udaan Walo, Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai;
Paron Kee Abki Nahi, Haunslon Kee Bari Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Haan Aye Falak-e-Pir Jawan Tha Abhi Arif;
Kya Tera Bigadta Jo Na Marta Koi Din Aur;
Tum Maah-e-Shab-e-Char-Duham The Mere Ghar Ke;
Phir Kyon Na Raha Ghar Ka Woh Naqsha Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yes, you Ancient sky! Arif was still young,
What would you lose, if he had not died untill some other day.
You were the full moon of my home,
Why could not that design remain until some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mit Jayega Sar Gar Tera Pathar Na Ghisega;
Hoon Dar Pe Tere Naasiyah-Farsa Koi Din Aur;
Aaye Ho Kal Aur Aaj Hi Kehte Ho Ke Jaaun;
Maana Ki Khamosh Nahi Acha Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
My forehead will bear the scar before your tombstone will,
I remain prostrate before your grave until some other day,
Arriving yesterday, and speaking today of leaving,
Granted not forever, but perhaps, some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haan Woh Nahi Khuda Parast, Jao Woh Bewafa Sahi;
Jisko Ho Din-o-Dil Aziz Uski Gali Mein Jaye Kyon;
Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain;
Roiye Zaar Zaar Kya Kijiye Haaye Haaye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Granted they are not a lover of God, yes, they are unfaithful,
Whoever holds creed and heart beloved, do not dare to wander up their way.
Without this brittle Ghalib, what industry willbe stopped?
Why cry so incessantly, why lament so endlesly?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Taraqqi Ka Zamana Hai Tere Aashiq Par;
Ungliyan Uthti Thi Ab Hath Utha Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qaid-e-Hayat-o-Band-e-Gham Asal Mein Dono Ek Hain;
Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nijaat Paye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The prison-house of life and the chains of grief, in reality, are the same,
Before perishing, why should there be any release from suffering?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Woh Jamaal-e-Dilfaroz, Surat-e-Mehr-e-Nim Roz;
Aap Hi Ho Nazara Soz, Parde Mein Munh Chhupaye Kyon;
Dashna-e-Ghamza Jaan Sataan, Naawak-e-Naaz Be Panah;
Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samne Tere Aaye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The glorious beauty of that face, so much like the midday sun,
The manifests such blinding light, needs nothing like a veil.
Weaponry of seduction, arrows of untold invitation,
Could injure the reflected as much as the admirer.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil;
Garmi-e-Bazm Hai Ek Raqs-e-Sharar Hone Tak;
Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaz;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Leisure for life is no more than the flash of a glance, o ignorant,
The warmth of festivity is one dance of the flame,
Asad, what can cure the grief of existence, except dying,
The candle is obliged to burn before extinguishing at dawn.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Tukda Teri Yaadon Ki Chandni Ka Tod;
Nihara Use Der Tak, Hatheli Par Rakh Ke;
Phir Ek Phoonk Se Udaa Diya Kal Raat Maine;
Aaj Subah Dekhi Hai Tere Ehsaas Ki Dhund Har Taraf Faili Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ghalib Nadeem-e-Dost Se Aati Hai Bu-e-Dost;
Mashghul-e-Haq Hoon Bandagi-e-Bu Turaab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghalib, the fragrance of the Lord emantes from the Lord's Companion,
Recognizing Ali has become a business of my truth.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Ghalib Ghalib Jisko Samjhtey Hain Hum Shuhood;
Hain Khwab Mein Hanooz Jo Jaage Hain Khwab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The deep decorum of the hidden is misread as revelation,
The clairvoyant lost in dreams, dreams he is awake.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aarish-e-Jamaal Se Faarigh Nahi Hanooz;
Pesh-e-Nazar Hai Aaina Daaim Naqab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The embellishment of the ravishing is never to be done,
Inside the seculusion of the veil, the mirror lives constantly.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sharam Ek Ada-e-Naaz Hai Apne Hi Se Sahi;
Hai Kitne Behijab Ki Yun Hai Hijab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Reticence is a form of pride, even with oneself,
No matter how unveiled you are within your many veils.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai;
Arzoo Kisiki Aur Bandgi Kisiki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai;
Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr;
Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
What appears as confirmation of the Ocean's actuality,
Is it merely a sum total of wave, drop, phosphorescence.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai;
Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
I am equidistanced from my own reality,
In proportion to the illusion of otherness.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aansu Na Hote To Aankh Itni Khoobsurat Na Hoti;
Dard Na Hota To Khushiyon Kee Keemat Na Hoti;
Poori Karta Rabb Yun Hi Sab Muradein;
To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rau Mein Hai Rakhsh-e-Umr Kahan Dekhiye Thamey;
Na Haath Baag Par Hai Na Pa Hai Rakab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The horseman of life speeds by, where can it be stopped,
There are no hands on the reins, no feet in the stirrups.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama;
Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Listening, why does a soul struggle to leave its body,
If the divine voice resides in the instruments before us.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand;
Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊Why today so disgraced, when yesterday was impermissible.
An angel's arrogant⬱⬱ refusal to bow for me.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai;
Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The Vahshat Ke Bagair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage;
Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage;
Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar;
Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Mein Ai 'Khumar';
Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Aa Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaam Suraj Ko Dhalna Sikhaati Hai;
Shama Parwaane Ko Jalna Sikhaati Hai;
Girne Waale Ko Takleef To Hoti Hai Magar;
Thokar Hi Insaan Ko Chalna Sikhaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Shan-e-Beniazi;
Tum Maangte Phiro Ge Apna Ghuroor Hum Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera;
Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah, Ai Dost Ghabrata Hun Main;
Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par;
Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye;
Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahi Anjam Se!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein;
Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam;
Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Firm certainty, eternal action, the love that conquers the world,
These are the swords of men in the holy war of life!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naya Ek Rabt Paida Kyon Karen Hum;
Bichadna Hai To Jhagda Kyon Karen Hum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
Tum Bhi Chale-Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke;
Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai;
Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein;
Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge;
Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Kee Tarah Hu-Bahuu;
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz';
Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil To Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumraah To Woh Hain Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyun Judta Hai Tu Iss Jahan Se, Ek Din Yeh Guzar Hi Jayega;
Chahe Kitna Bhi Samet Le Jahan, Mutthi Se Fisal Hi Jayega!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai;
Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Suna Hai Gusse Mein Woh Sab Tod Deta Hai;
Mera Dil Hai Uske Pass Khudaa Khair Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Manzilon Ke Gham Mein Rone Se Manzilein Nahin Milti;
Haunsle Bhi Toot Jaate Hain Aksar Udaas Rehne Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ujaad Di Hai Ajab Zalzalon Ne Yeh Basti;
Makeen Talash Karoon Ya Makaan Talash Karoon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Ghairon Mein Hain Jo Shaad Unhein Eid Mubarak;
Jinko Nahin Hum Yaad Unhein Eid Mubarak;
Masoom Se Armaanon Kee Masoom Si Duniya;
Jo Kar Gaye Barbaad ⬊⬊Unhein Eid Mubarak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pucho To Ek Ek Hai Tanhaa Sulag Raha;
Dekho To Shehar Shehar Hai Mela Laga Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya Sirf Musaan Ke Pyare Hain Hussain;
Chiraag-e-Noh Bashar Ke Tarey Hain Hussain;
Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do Zara Tum;
Har Kaum Pukare Gi Hamare Hain Hussain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawab, Khayal, Haqeeqat, Yaqeen, Gham Aur Khushiyaan;
Zara Si To Umar Hai Meri, Bhala Kis Kis Ke Saath Guzarunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khwabon Ke Andar Zinda Mat Raho;
Balki Apne Andar Khwabon Ko Zinda Rakho;
Mohabbat Usse Nahin Hoti Hai Jo Khoobsurat Ho;
Khoobsurat To Wo Hota Hai Jisse Mohabbat Hoti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ustaad Kyon Roya Thaa Kin Halaat Ka Maara Tha;
Bachon Ko Sikhaaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Main Nahin Maanta Kagaz Pe Likha Shajra-e-Nassb;
Baat Karne Se Qabeele Ka Pata Chalta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Thake Hue Hain Sabhi Paimal Raho Par;
Kahi Se Dhoond Kar ⬊⬊Phir Taza Rah Guzar Lana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho;
Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta;
Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Zara Tafseel Se Aye Qaasid-e-Khush'ruu Bata;
Pehle Us Ne Kya Kaha, Phir Kya Kaha, Phir Kya Kaha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitaab-e-Zeest Ka Ek Aur Baab Hatam Hua;
Shabaab Hatam Hua, Azaab Hatam Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Yaqeen Hai Ki Tum Munfarid Ho Auron Se;
Tumhein Ghumaan Hai Ki Shayad Main Auron Jaisa Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho;
Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho;
Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar'daaar;
Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa'n Koi Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho 'Faraz';
Aaj Shab, ⧭Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se;
Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai;
Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Daur Ka Ek Bada Fasaadi Hoon Main;
Jo Sach Lage Bas Wohi Keh Deta Hoon Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata Hoon;
Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain, Ankhein Hain;
Main Unn Mein Doob Geya, Aitbar Karte Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar To Basa Liya Hai Hum Ne Mil Kar Apna;
Sheeshay K Ghar Mein Kaise Rah Painge Batao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil De To Is Mizaaj Ka Parwardigaar De;
Jo Ranjj Ki Gharri Bhi Khushi Se Guzaar De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar Se Har Waqt Nikal Aatey Ho Kholey Hue Baal;
Kuch To Shaam Dekhi Meri Jaan, Savera Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Unn Ka Her Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chottiyan Chhuu Kar Guzarte Hain, Baraste Kyon Nahin;
Baadlon Ki Ek Surat Aadmi Jaisi Bhi Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein;
Main Aadmi Hoon ⬊⬊Farishton Ke Sath Kaise Rahoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gulistanon Pe Hi Naheen Moqoof;
Junglon Mein Bhi Phool Khilte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin;
Aisi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aadatan Aa Gaya Hun Maqtal Mein;
Mere Kaandhe Pe Ab Toh Sir Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bay Hoodi Rahbar Hoosh Hoti Jaati Hai;
Jaane Kya Cheez Faramosh Hui Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai;
Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko;
Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin;
Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera;
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai;
Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano;
Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khwahishon Ko Jeb Me Rakh Kar Nikla Kijiye Janaab;
Kharcha Bahot Hota Hai Manzilon Ko Paane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gar Na Ho Surat ⧭⧭To Seerat Hi Sahi;
Kuch To Hona Chahiye Insaan Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Un Ka Har Aaib Bhi Zamany Ko Hunar Lagta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Yeh Darr Hai, Teri Aarzu Na Mitt Jaye;
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Naheen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahi Taleem Mashriq Mein, Na Maghrib Mein Rahi Ghairat;
Yeh Jitney Parhty Jatey Hain, Jahalat Barhti Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doobty Doobty Kashti Ko Saahil Pe Uchaal Doon Ga;
Mein Nahi Koi To Saahil Pe Utar Jaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Naseeb Kare Un Ko Khushiyan Saari;
Adam Woh Log Jo Hum Ko Udaas Rakhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein;
Mein Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kese Rahoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai;
Kaam Mushkil Hai Bohat Hum Ne Magar Seekha Hai;
Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log;
Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Yeh Ajab Soorat-e-Haal Huyi Jati Hai;
Raat Ke Baad Yahan Raat Huyi Jati Hai;
Woh To Ab Bhi Mukammal Hai Kisi Pathar Ki Tarah;
Raizaa Raizaa To Meri ⬉⬉Zaat Huyi Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nikalna Khuld Say Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lakin;
Bohat Bayabroo Ho Kar Teray Kochay Say Hum Niklay!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Unke Dekhne Se Jo Aa Jati He Muhn Per Roneq;
Woh Samajte Hain K Beemar Ka Haal Acha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~S  
Hum Na Hotey To Kisi Aur Ke Charchey Hotey;
Halqat-e-Sheher To Kehne Ko Fasaaney Mangey!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haaye Zaalim Ne Zara Sa Bhi Takaluf Na Kiya;
Hum Ne Chaahi Jo Ijaazat To Ijaazat De Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor;
Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kya Zauq Hai,Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun;
Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha;
Kya Poochte Ho, Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat;
Kya Tumne Kabhi ⬉⬉Daag' Ka Deewan Nahin Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon;
Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr;
Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Hairaan Hoon Ke Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni;
Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein;
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood;
Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat;
Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai;
Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki;
Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Jab Sath Uska Chaha Tu Sham -o-Sehar Mila;
Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila;
Thi Zindagi Mai Dhop ⧭⧭Ki Chadar Tani Hui;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein Yakeenan;
Aab Woh Mujhe Andaaz Se Nahi, Andaaze Se Pehchante Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai;
Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baske Hun Ghalib Asiri Men Bhi Atish Zer Pa;
Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qatra Mein Dajla Dikhaai Na De, Aur Juzw Mein Kul;
Khel Larkon Ka Hua, Deeda-e-Beena Na Hua!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh;
Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maktab E Ishq Ka Dastor Nirala Dekha;
Osko Chutti Na Mile Jisne Sabaq Yad Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz;
Yeh Dil Hai Kitni Fursat Se Sochta Hai Useh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai;
Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai;
Zindagi Me Kabhi ⬉⬉Muskurane Ki Dua Na Dena;
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Khuda Kare Ke Naya Sal Aap Ko Raas Aa Jaye;
Jisse Aap Chahte Ho Woh Aap Ke Pass Aa Jaye;
Aap Sara Sal Kanware Na Rahein;
Aap Ka Rishta Le Kar Aap Ki Saas Aa Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Lamha Waqat Guzar Jayega;
Ik Din Bad Naya Sal Aayega;
Aaj Hi Ap Ko `HAPPY New Year` Wish Kar Doon;
Warna Bazzi Koi Or ⧭⧭Marr Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bada Maza Ho Jo Mehsher Mein Hum Karen Shikwa;
Woh Minnaton Sey Kahen Chup Raho Khuda Key Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein;
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein;
Banayein Nayzon Ko ⬉⬉Lafz Aur Hum;
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha Tha Achaa Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi
Manga Khuda Se Har Waqt Tere Siwa Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai De;
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai De;
Sajda Jahan Kare Waha Qaba Dikhai De;
Uthe Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein;
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein;
Banaein Nayzon Ko Lafz Aur Hum;
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Woh Meri Gazal Padh Kar Pehloo Badal Ke Bole;
Koi Chhene Qalam Iss Se Yeh To Jaan Le Chalaa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar Ka Darwaza Is Andaaz Se Khola Usne;
Ke Jaise Main Nahi Koi Aur Tha Aane Wala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hoon Mein;
Tham Lo Mujko Ghamon Se Choor Hoon Mein;
Tere Pyar Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe;
Aur Logon Ka Kehna ⧬Hai Kitna Maghror Hoon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Jaadu Hai Ya Tilism Tumhaari Jubaan Mein;
Tum Jhooth Keh Rahe ⬉The, Mujhe Aitbaar Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kitne Majboor Hain Taqdeer Ke Hathon;
Na Use Pane Ki Aas Rakhte Hain Aur Na Use Khone Ka Hosla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Ajj Jo Bhaite Hain Hukmaran Ho Kar;
Na Jane Kyon So Ja Jate Hain Bezaban Ho Kar;
Koi Mar Jae Unko Koi Fikar Nahi;
Jabain Apni Bhar Lee Hain, Abro Kho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand Nikale Kisi Janib Teri Zebai Ka;
Rang Badle Kisi Surat Shab-E-Tanhai Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phool Mazaar Tak Nahi Pahuncha Daaman-E-Yaar Tak Nahi Pahuncha;
Ho Gaya Vo Kafan Se To Aazaad Phir Bhi Gulzaar Tak Nahi Pahuncha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hathoon Key Lakiroon Pay Matt Jaa Ae Ghalib;
Naseeb Unkay Bhi Hotay Hain Jinkaay Haath Nahi Hotay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rota Hoon To Ahbaab Bura Maante Hain;
Hansta Hun To Mujrim Mujhe Maante Hain;
Har Haal Mai Aetraaz Karne Waale;
Nadaan Mere Halaat Kahan Jaante Hain!



Pal Pal Sunhare Phool Khile;
Kabhi Na Ho Kaanton Ka Saamna;
Zindagi Aapki Khushiyon Se Bhari Rahe;
Dipawali Par Hamaari Yahi Shubhkaamna!
MISCELLANEOUS  
Diyon Ki Roshni Se Jhilmilata Aangan Ho;
Patakhon Ki Goonjon Se Aasman Roshan Ho;
Aisi Aae Jhum Ke Yeh Diwali;
Har Taraf Kushiyon Ka Mausam Ho!
MISCELLANEOUS  
Kisi Faqeer Ki Jholi Mein Jab Maine Ek Sikka Dala;
Tab Yeh Jaana Ke Iss Mehangayi Ke Zamaane Mein;
Dua'en Aaj Bhi Kitni Sasti Hein!
MISCELLANEOUS  
Kaun Kehta Hai K Kaafir K Dil Mein Khuda Nahi;
Bus Wahan Khuda Ko Kehte Khuda Nahi!
MISCELLANEOUS  
Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae! Insaan;
Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya!
~ Mirza Ghalib
MISCELLANEOUS  
Baskeh Dushwar Hai Har Kam Ka Aasa'n Hona;
Aadmi Ko Bhi Muyassar Nahi'n Insaa'n Hona!
MISCELLANEOUS  
Yoon Kehne Ko Toh Hum Bade Khush Mijaz Hain Lekin;
Rula Deti Hai Apno Ki Pyaar Ki Hasrat Kabhi Kabhi!
MISCELLANEOUS  
Dil Ke Liea Dard Bhi Roz Naya Chahiye;
Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jeena Chahiea;
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi;
Phir Bhi Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye!
MISCELLANEOUS  
Diyon Ki Roshni Se Jhilmilata Aangan Ho;
Patakhon Ki Goonjon Se Aasman Roshan Ho;
Aisi Aaye Jhum Ke Yeh Diwali;
Har Taraf Kushiyon Ka Mausam Ho!
MISCELLANEOUS  
Kisi Ke Dil Mein Basna Bura Toh Nahi;
Kisi Ko Dil Mein Basana Khata Toh Nahi;
Hain Ye Zamane Ki Nazar Me Bura Toh Kya Hua;
Zamane Wale Bhi Insaan Hai Khuda Toh Nahi!




Umeed-E-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakhha Hai Waaiz Ko;
Yeh Hazrat Dekhne Mein Seedhe Saadhe, Bhole Bhaale Hain!
MISCELLANEOUS  
Socha Kisi Apne Se Baat Karen;
Apne Kisi Khas Ko Yaad Karen;
Jo Faisala Kisi Ko Sms Karne Ka Kiya;
Dil Ne Kaha Kyun Na Aapse Shuruwat Karen!
MISCELLANEOUS  
Teri Khaamosh Mijaji Mujhe Jeene Nahi Degi;
Iss Daur Mein Jeena Hai To Kohraam Macha De!
MISCELLANEOUS  
Abhi Mujhko Nahi Karna Hai Aitraaf-E-Shikast;
Main Sab Tasleem Kar Lunga, Ye Charcha Aam Hone Do;
Meri Hasti Nahi Anmol, Phir Bhi Bik Nai Sakta;
Wafaaen Bech Lena, Per Zara Neelam Hone Do!
MISCELLANEOUS  
Nisaar Main Teri Galliyon Ke Aye Wattan;
Ke Jahan Chali Hai Rasm Ke Koi Na Sar Utha Ke Chaley!
MISCELLANEOUS  
Har Shaam Guzarti Hoon Main Teri Gali Se;
Daaman Magar Taar Hota Hai Aankhon Ki Nami Se;
Jis-Jis Lamhe Mein Tu Na Raha Mere Rubaroo;
Nafrat Hai Mujhe Us Har Ek Ghari Se!
MISCELLANEOUS  
Apne Qadmon Ke Nishan Mere Raste Se Hata De, Qaasid;
Kahin Ye Na Ho Ki Mein Chalte-Chalte Phir Tere Pass Aa Jaun!
MISCELLANEOUS  
Janazaa Rok Kar Mera Wo Is Andaaz Se Boley;
Gali Humne Kahi Thi Tum To Duniya Hi Chorey Jaatey Ho!
MISCELLANEOUS  
Kab Tak Aakhir Jalenge Khud Hi Is Aag Mein;
Dost Ab Andaz-E-Jauhar Badalna Chahiye;
Katl Hone Se Koi Darta Nahi Hai Is Shehar Main;
Par Shart Ye Ki Har Dafa Khanjar Badalna Chahiye!
MISCELLANEOUS  
Wo Barse Na Barse Sawan Hi To Hai;
Jane Kab Sukh Jaye Gulshan Hi To Hai;
Mere Dil me Rehne Ki Aadat Na Dalo yaro;
Jane Kab Ruk Jaye Dhadkan Hi To Hai!


Naadani Ki Had To Dekho Uski;
Mujhe Kho Kar Mere Jaisa Talaash Karti Hai!
MISCELLANEOUS  
Main Hairat-O-Hasrat Ka Maaraa;
Khaamosh Khara Hoon Saahil Par;
Dariyaa-E-Mohabbat Kehta Hai;
Aa Kuchh Bhee Naheen Paayaab Hain Hum!
~ Shaad Azimabadi
MISCELLANEOUS  
Kuchh Log Hain Khaamosh;
Magar Soch Rahey Hain;
Such Bolengey Tab;
Such Key Jab Daam Barhengey!
~ Hakim Momin Khan Momin
MISCELLANEOUS  
Tanhaiyon Ka Ek Alag Hi Maza Hai;
Iss Mein Dar Nahi Hota Kisi Ke Chhor Jaane Ka!
MISCELLANEOUS  
Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer;
Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee

Shagufta = Flourished
~ Mirza Ghalib
MISCELLANEOUS  
Tujh Se Pehlay Jo Ik Shakhs Yahaan Takht Nasheen Tha;
Usko Bhi Apney Khudaa Honey Ka Itna Hee Yaqeen Tha!

Takht Nasheen = Sitting on the throne
~ Habib Jalib
MISCELLANEOUS  
Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum;
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum;
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar;
Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum!
MISCELLANEOUS  
Waaste De De Ke Khuda Se Teri Khushiyon Ki Dua Maangi Hai;
Aaj Phir Tere Liye Maine Kismat Se Waafa Maangi Hai.

Chaand Taaron Sa Tabassum Maine Manga Hai Rab Se;
Tere Aangan Ke Liye Phir Baharon Ki Fiza Maangi Hai.

Uss Ke Jeevan Me Andhera Naa Ho Ek Pal, Mere Maula;
Jis Ki Khatir Maine Har Pal Sajdon Me Dua Maangi Hai!
MISCELLANEOUS  
Usse Mere Janaze Ki Khabar Mat Dena;
Yeh Meri Mohabbat Ki Tohin Hogi;
Ke Meri Mehbooba Paidal Chale;
Aur Main Logon Ke Kandhon Pe Sawar Rahon!
MISCELLANEOUS  
Jub Koi Pochhta Hai Mujhse Meri Zindagi Ki Qeemat;
To Mujhe Yaad Aa Jaata Hai Tera Muskurana!


Tijoriyan Bharte Hein Log Ummar Bhar Ke Liye;
Par Afsos
Maut Ka Farishta Kabhi Bhi RISHWAT Nahi Leta!

No comments :

Post a Comment