Ahmad Faraz ShayariHindi Now2017

⬁⬁Dil Munaafiq Tha, Shab-e-Hijr Mein Soya Kaise;
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kaise⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬁⬁Zikr Uska Hi Sahi Bazm Mein Baitho To Faraz;
Dard Kaisa Hi Uthe Haath Na Dil Pe Rakhna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Bhi Karna, Zamane Se Bhi Ghabrana Bahut;
Aayinon Ka Ghar Banana Aur Patharon Jaise Sochna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Woh Faraz;
Ab Tumhein Ijazat Hai Haal e Dil Sunane Ki!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bewafa Ne Hamare Zakham Ka Kuch Yoon Elaaj Kia;
Marhan Bhi Lagaya To Khanjar Ki Nouk Se!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬁⬁Wo Baat Baat Pe Deta Hai Parindon Ki Misaal 'Faraz';
Saaf Saaf Nahi Kehta Mera Sheher Hi Chodd Do!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Taash Ke Patoon Ki Manind Hai Zindagi Meri;
Jis Kisi Ne Bhi Khela, Taqseem Mar Diya Mujhe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai,
Aur Tujh Se Bichhad Jaane Ka Darr Bhi Nahi Jaata!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hua Hai Tujhse Bichadne Ke Baad Ye Maloom,
Ki Tu Nahi Tha Tere Sath Ek Duniya Thi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Bagair Bhi To Ghaneemat Hai Zindagi;
Khud Ko Ganwa Kar Kaun Teri Just-Ju Kare!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬁⬁Ajeeb Bebasi Ka Mausam Hai Dil Ke Aangan Mein 'Faraz';
Taras Gaye Hain Tere Sath Guftgu Ke Liye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise;
Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Pass Se Wo Guzra To Bekhudi Mein Tha 'Faraz';
Thodi Door Ja Kar Sambhla, Tujhe Yaad Kar Ke Roya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Baatein Hi Sunane Aaye; Dost Bhi Dil Dukhane Hi Aaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hue Barbad Magar Phir Bhi Sudhar Na Paye Hum;
Phir Wohi Shayari, Phir Wohi Ishq Aur Phir Wohi Tum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Zakhm Sadiyon Baad Bhi Taaza Rehte Hain 'Faraz';
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalm 'Faraz';
Main Pyaar Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬀⬀⬀Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;
Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh Fasana Nahi Ki Tujh Se Kahen;
Dil Bhi Maana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab;
Khud Bhi Jana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Betarah Haal-e-Dil Hai Aur Tujh Se;
Dostana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar;
Ab Zamana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Qaasid! Hum Faqeer Logo Ka;
Ek Thikana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ai Khudaa Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost;
Aab-O-Dana Nahn Ki Tujh Se Kahen;

Ab To Apna Bhi Us Gali Mein 'Faraz';
Aana Jana Nahi Ke Tujh Se Kahen!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬀⬀Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe;
Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe;

Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein;
Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe;

Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe;

Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale;
Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;

Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;

Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer;
'Faraz' Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬀⬀Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhei Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majboorion Ka Uzaar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Vaar Karte Hain 'Faraz';
Warna Gairon Ko Kya Khabar Ki Dil Kee Jagah Kaun Si Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apna Hissa Shumar Karta Tha;
Mujhse Itna Woh Pyaar Karta Tha;

Woh Banata Tha Meri Tasveerein;
Unse Batein Hazaar Karta Tha;

Mera Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se;
Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha;

Such Samjhta Tha Jhooth Bhi Mera;
Yun Mera Aitbaar Karta Tha;

Pehle Rakhta Tha Phool Raaste Mein;
Phir Mera Intezar Karta Tha;

Aaj Pehlu Mein Wo Nahi 'Faraz';
Jo Mujh Pe Jaan Nisaar Karta Tha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬂⬂Yeh Kya Ki, Bayaan Sab Se Dil Kee Haaltein Karni;
'Faraz' Tujh Ko Na Aayi Mohabbtein Karni!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz';
Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Na Woh Main Na Woh Tu Hai Na Woh Maazi Hai 'Faraz';
Nasha Badhta Hai Sharaabein Jo Sharaabon Mein Milein;

Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein;
Kya Ajab Kal Woh Zamaane Nisaabon Mein Milein;

Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwabon Mein Milein;
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein;

Tu Khudaa Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa;
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Milein;

Dhoondte Ho Logon Mein Wafaa Ke Moti;
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Kar Lo;

Aaj Hum Dar Pe Khinchege Jin Baaton Par;
Dono Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Ranjish Hi Sahi Dil Mein Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor Jaane Ke Liye Aa;

Kuch To Mere Pand-e-Ray Mohabbat Ka Bharam Rakh;
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;

Pehle Se Maraasam Na Sahi Phir Bhi Kabhi To Aa;
Rasmo Waar-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;

Kis Kis Ko Batayein Ge Judaai Ka Sabab Hum;
Tu Mujh Se Khafa Hai Tu Zamane Ke Liye Aa;

Ab Tak Dil-e-Khush Faham Tujh Se Hain Umeedein;
Ye Aakhiri Shamma Bhi Bujhanay Ke Liye Aa!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho 'Faraz';
Aaj Shab, Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
Hazaron Chahne Wale The Kis-Kis Se Wafa Karte!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doobtey Doobtey Kashti Ko Uchala De Doon;
Main Nahi Koi To Sahil Par Utar Jaye Ga
Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka 'Faraz'
Zalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaye Ga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬀⬀Phir Itne Mayoos Kyun Ho Uski Bewafayi Par Faraz;
Tum Khud Hi Toh Kehte Thay Ki Woh Sab Se Juda Hai⬀⬀

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jab Bhi Dil Khul Ke Roye Honge;
Log Aaraam Se Soye Honge;

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil;
Hum Toh Kya Aap Bhi Roye Honge;

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kya Kya;
Phool Kaanton Mein Piroye Honge;

Woh Safeenay Jinhein Toofan Na Mile;
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge;

Kya Ajab Hai Woh Mile Bhi Hon Faraz;
Hum Kisi Dhyaan Mein Khoye Honge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬀⬀Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein;
Kyun Na Ay Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzar Karein;
Phir Kahein Aur Mubtila Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz;
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log Toh Majboor Hain Marenge Patthar;
Kyun Na Hum Sheeshon Se Keh Dein Toota Na Karein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha;
Main Tha Apne Khumaar Mein Baitha;

Uska Aanaa Tha Khwaab Mein Aanaa;
Main Abs-e-Intezaar Mein Baitha;

⬀⬀Koi Soorat Nahi Hai Us Jaisi;
Usko Dekhon Hazaar Mein Baitha;

Usko Khushyon Se Khauf Aata Hai;
Weham Kiya Zehen-e-Yaar Mein Baitha;

Hum Bhi Raston Mein Phir Rahe Thay Faraz;
Woh Bhi Tha Rahguzar Mein Baitha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬀⬀Sirf Ek Baar Apne Honthon Se Mujhe Apna Keh Do;
Phir Mehfil Mein Raqeeboon Ka Tamasha Dekho!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
Hazaron Chahne Wale The Kis-­Kis Se Wafa Karte!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humi Ne Tark-e-Taluq Main Pehel Ki Ke Faraz;
Woh Chahtaa Tha Magar Hauslaa Na Tha Us Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-Iltafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doobty Doobty Kashti Ko Saahil Pe Uchaal Doon Ga;
Mein Nahi Koi To Saahil Pe Utar Jaye Ga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shair Kisi Ke Hijr Main Kehnaa Sirf Visaal Kisi Se;
Hum Bhi Kya Hain, Dheyaan Kisi Ka Aur Sawal Kisi Se!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili;
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili;

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay;
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili;

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay;
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili;

Bohat Dair Se Aaya ⬀⧭Tu Mere Paas;
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili;

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe;
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili;

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi "Faraz";
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Na Hotey To Kisi Aur Ke Charchey Hotey;
Halqat-e-Sheher To Kehne Ko Fasaaney Mangey!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Payaam Aaye Hain Os Yaar-E-Bewafa Ke Mujhe;
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe;

Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain;
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe;

Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe;

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay;
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;

⬈⬈Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;

Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer;
`Faraz` Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar Bhi Karna, Zamaney Se Bhi Ghabrana Bohat;
Aayino'n Ka Ghar Banana Aur Pathar Sochna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aa Ke Ab Tasleem Karlen Tu Nahin To Main Sahi;
Kon Maaney Ga Ke Hum Mein Se Bewafa Koi Nahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Tere Zikr Pe Hum Baat Badal Dete Hain;
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle!


Wafaa Ke Baab Mein ILzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-ILtafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Munaafiq Tha, Shab-e-Hijr Mein Soya Kese;
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kese!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaafir Ke Dil Se Aya Hon Mein Yeh Dekh Kar;
Khuda Maujood Hai Wahan, Par Usey Pata Nahin!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Ranjish Hii Sahii, Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa;
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;

Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh;
Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa;

Pahle Se Maraasim Na Sahii, Phir Bhii Kabhii To;
Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa;

Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham;
Tuu Mujh Se Khafaa ⧭Hai, To Zamaane Ke Liye Aa;

Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum;
Ae Raahat-e-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa;

Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide;
Yah Aakhrii Shamaen Bhii Bujhaane Ke Liye Aa!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Pal Mai Jo Barbad Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz;
Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Is Se Pahle Ki Bewafa Ho Jaayen;
Kyuun Na Aye Dost Ham Judaa Ho Jaayen;

Tuu Bhii Hiire Se Ban Gayaa Patthar;
Ham Bhii Kal Jaane Kyaa Se Kyaa Ho Jaayen;

⧭Ham Bhii Majbuuriyon Ka Uzr Karen;
Phir Kahiin Aur Mubtilaa Ho Jaayen;

Ab Ke Gar Tuu Mile To Ham Tujhse;
Aise Lipten Terii Qabaa Ho Jaayen;

Bandagii Hamne Chhod Dii Faraaz;
Kyaa Karen Log Jab Khudaa Ho Jaayen!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Qurbaton Men Bhii Judaaii Ke Zamaane Maange;
Dil Vo Be-Mehar Ki Rone Ke Bahaane Maange;

Ham Na Hote To Kisii Aur Ke Charche Hote;
Khilqat-e-Shahar To Kahne Ko Fasaane Maaange;

Yahii Dil Thaa Ki Tarastaa Thaa Maraasim Ke Liye;
Ab Yahii Tark-e-Taalluq Ke Bahaane Maange;

Apnaa Ye Haal Ki Jii Haar Chuke, Lut Bhii Chuke;
Aur Mohabbat Vahii Andaaz Puraane Maange;

Zindagi Ham Tere Daaghon Se Rahe Sharminda;
Aur Too Hai Ki Sadaa Aaina-Khaane Maange;

Dil Kisii Haal Pe Qaanay Hi Nahiin Jaan-e-Faraaz;
Mil Gaye Tum Bhii To Kyaa Aur Na Jaane Maange!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Daag Daman Ke Ho, Dil Ke Ho Ke Chehre Ke Faraz;
Kuch Nishan ⧭Waqt Ki Raftar Se Lag Jate Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz;
Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz;
Yeh Dil Hai K⬰itni Fursat Se Sochta Hai Useh!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafa Ke Khwab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;

Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;

Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Ata Kar Ghata Ghata Le Ja;

Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;

Nadamaten Hoon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
Faraz Jaan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Wafa Ke Khawab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;

Maqam-E-Sud-O-⧬Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;

Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Aata Kar Ghata Ghata Le Ja;

Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;

Nadamaten Hon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
'Faraz' Jan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh, Faraz;
Ussey Mujhse Nahi Khud Say Mohabbat Ho Jaati!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaafir Ke Dil Se Aya Hon, Mein Yeh Dekh Kar;
Khuda Maujood Hai Wahan, Par Usey Pata Nahin!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Qalm, Faraz;
Main Pyaar Likhon To Tera Naam Likha Jata Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuchh Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hein, Faraz;
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bin Mangay Hi Mil Jati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz;
Koi Khali Hath Reh Jata Hai, Hazaaron Duaoon Ke Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apnay Siwa Batao Tumhein Kuch Mila Hai Faraz;
Hazar Bar Lee Hain Tumne Mere Dil Ki Talashiyaan!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shayed Khushi Ka Daur Bhi Aa Jaye Ek Din 'Faraz';
Gham Bhi Toh Mil Geya Tha Tamanna Kiye Baghair!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Tanhai Toh Hai Saathi Apni, Zindagi Ke Har Ek Pal Ki 'Faraz';
Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa, Ke Kisi Ne Saath Na Diya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Murawat, Na ⧭Mohabbat, Na Khuloos Hain Faraz;
Main Toh Sharminda Hun Iss Daur Ka Insaan Hokar!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬Meri Chahat Ko Mere Halaat Ke Tarazu Mein Kabhi Mat Tolna, 'Faraz';
Maine Woh Zakham Bhi Khaye Hain, Jo Meri Qismat Main Nahi The!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh, Faraz;
⧭Usy Mujhse Nahi Khud Sey Mohabbat Ho Jati!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain;
⬋⬋Yeh Aakhri Shama Bhi Bhujane Ke Liye Aa!

No comments :

Post a Comment