- jiwan to jiwan hai,
- jiwan ki na koi preet,
- kahu mein ek baat,
- jiwan ki na haar hai,
- jiwan ki na jeet.
- ===========================================
- pyar me ab yeh shamil karna hai,
- vo sach kahe na kahe,
- hume atbaar karna hain
- ===========================================
- Maine Kabhi Ek Chand Ko Pana Chaha Tha
- Us Dur Akash Ke Ek Sitare Ko Gale Lagana Chaha Tha
- In Namumkin Si Chizo Ko Main Mumkin Banane Chala Tha
- Jane Kyu Us Din Main Kisi Se Dil Lagane Ko Chala Tha
- ===========================================
- Madine ko jayen jee chahata hai
- muqaddar banayen jee chahata hai
- madine ke aaka do aalam ke maula
- tere pas aayen jee chahata hai
- jahan donon aalam hain mahar-e-tamanna
- vahan sar jhukayen jee chahata hai
- muhammad ke baten muhammed ke sirat
- sune aur sunayen jee chahata hai
- ===========================================
- Humare Vaaste Ye Char Din Ki Shohrat Kya
- Voh Mil Gaya To Kisi Aur Ki Jaroorat Kya
- ===========================================
- Kabhi-Kabhi To Mohabbat Ka Ehtram* Karo
- Vo Bewafa Hai To Fir Wafa Ki Chahat Kya
- ===========================================
- Khudaya Meri Sadi Mein Bhi Koi Chamatkar Kar De
- Voh Puchte Hain Ki Is Daur Mein Mohabbat Kya
- ===========================================
- Main Apni Khak Uthakar Kahan-Kahan Ghumoon
- Tere Bagair Meri Zindagi Ki Keemat Kya
- ===========================================
- Paani Se Tasvir Kahan Banti Hai,
- Khwabo Se Takdir Kahan Banti Hai,
- Kisi Ko Chaho To Sacche Dil Se,
- Knunki Yeh Zindagi Phir Kahan Milti Ha
- ===========================================
- Ek Alag Sa Shayar Mujhme Jagaya Hai,
- Mujhe Iskadar Deewana Banaya Hai
- Pal Pal Tujhko Paas Main Pati Hun,
- Ek Nazam Udher En Kalam Ka Ubaal Aaya Hai
- ===========================================
- Teri Chahat Ke Ik Ik Pal
- Mere Lahoo Mein Utartey Rahe
- Sansoon Ne Ro Ro Ke Mangi Hai Rab Se Doua
- Mar Ke Be Tum Pe Martey Rahe
- Sanoon Ne Sansoon Par Likh Di Jo Dastan
- Hum Wo Dastaan Apni Rooh Se Kehtey Rahe!!
- ===========================================
- Main Ne Chaha Tere Janam Din Par
- Aisa Tohfa Teri Nazar Karoon
- Jise Tu Mudaton Yaad Rakhe
- Phir Ik Lamhe Ki Soch Ne
- Mere Haath Buland Kiye Or Kuch Duaaon Ki Punchhi
- Dil Se Azad Kiye Ki Aane Wale Mausmon Mein
- Ghum Ki Ghataen Kabhi Tere Qareeb Na Aayen
- Teri Aankhon Ke Jugnu Sada Chamkaen
- ===========================================
- Yeh Dil Tha Bekarar Tujh pe
- Thi Chahat Mujhe Beshumar Tujh se
- ===========================================
- Phir Yeh Kya Kiya Tune Dil Badal Sa Gaya
- Kyon Ho Gaya Yeh Dil Ab Bezaar Tujh se
- ===========================================
- Unki Nafrat Ko Hum Chahat Samaj Baithe
- Usne Toda Jo Mera Khwab To Uski Ghabrahat Samaj Baithe
- Dilo Se Khelna To Fitrat Thi Uski
- Uske Is Sauk Ko Hum Mohabbat Ki Aahat Samaj Baithe
- ===========================================
- Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho
- Hum Log Jab Milen, To Koi Doosra Bhi Ho
- ===========================================
- Tu Jaanta Nahi Meri Chahat Ajeeb Hai
- Mujhko Mana Raha Hai, Kabhi Khud Khafa Bhi Ho
- ===========================================
- Tu Bewafa Nahi Hai Magar Bewafai Kar
- Uski Nazar Mein Rehne Ka Kuch Silsila Bhi Ho
- ===========================================
- Patjhad Ke Toot-te Huye Patton Ke Sath-Sath
- Mausam Kabhi To Badlega Ye Aasra Bhi Ho
- ===========================================
- Chupchap Usko Baith Ke Dekhu Tamaam Raat
- Jaga Hua Bhi Ho, Koi Soya Hua Bhi Ho
- ===========================================
- Uske Liye To Maine Yahan Tak Duaein Ki
- Meri Tarah Se Koi Use Chahta Bhi Ho
- ===========================================
- Pyaar Ka Badla Kabhi Chuka Na Sakenge
- Chaah K Bhi Aapko Bhula Na Sakenge
- Aap Hi Ho Mere Labo Ki Hasi
- Aap Se Bicchade To Kabhi Muskuraa Na Sakenge
- ===========================================
- Hum To Mojod Thy Raaton Me Ujalon Ki Tarah
- Log Nikly Hi Nahi Dhondne Walon Ki Tarah
- Dil To Kia Hum Rooh Me Uter Jate
- Us Ne Chaha Hi Nahi Chahne Walon Ki Tarah
- ===========================================
- Pagal Huye Jo Hum To Ulfat Usy B Thi
- Chaha Jo Hm Ne Us Ko To Chahat Usay B Thi
- Usko Na Bhol Payengay Wo Janta Tha
- Or Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay B Thi.
- ===========================================
- Ek Din Jab Meri Sans Band Ho Jayegi
- Mat Sochna Ki Chahat Kam Ho Jayegi
- Fark Sirf Itna Hoga
- Aaj Hum Aapko Yaad Karte Hain
- Kal Meri Yaad Aapko Rulayegi.
- ===========================================
- Talaash Karo Koi Tumhe Mil Jayega,
- Magar Hamari Tarha Tumhe Kaun Chahega,
- Zarur Koi Chahat Ki Nazar Se Tumhe Dekhega,
- Magar Ankhein Hamari Kahan Se Layega..
- ===========================================
- Wo Mulakaat Kuch Adhuri Si Lagi
- Paas Hokar Bhi Kuch Doori Si Lagi
- Hotho Pe Hassi Aankhon Me Nami,
- Pehli Baar Kisi Ki Chahat Itni Jaruri Si Lagi
- ===========================================
- Apne Aagaaz Se Aaj Tak Zindagi
- Teri He Yaad Main Goom Rahi Thi
- Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ehsaas Hai
- Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
- ===========================================
- Palko Se Aankho Ki Hifazat Hoti Hai
- Dhadkan Dil Ki Amanat Hoti Hai
- Hamara Rishta Bhi Bada Pyara Hai
- Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.
- ===========================================
- Aaj Phir Aaina Puchhta Hai
- Ke Teri Aankho Mein Nami Kyun Hai
- Jiski Chahat Mein Khud Ko Bhula Diya
- Phir Uski Chahat Mein Kami Kyun Hai.
- ===========================================
- Chahat Ki Raah Me Bhikre Armaan Bhut Hai
- Hum Uski Yaad Me Pareshan Bhut Hai
- Woh Har Baar Dil Todta Hai Ye Kah Kr
- Meri Ummedon K Duniya Me Abi Mukaam Bahut Hai…
- ===========================================
- Khuda Mujhpe Apni Ek Nazar Kar De
- Use Mera Humsafar Kar De
- Jab Bhi Wo Sans Le Use Mera Naam Sunai De
- Meri Chahat Ka Asar Uspe Is Kadar Kar De.
- ===========================================
- Main Chahun Sapnon Mein Bhi Sath Uska Ho,
- In Hathon Mei Mere Bs Hath Uska Ho,
- Chahat Mjhy Itni Hai Us Sy K,
- Dil Manta Nhi Koi Mere Baad Uska Ho.
- ===========================================
- Nazar Ke Sagar Mein Utar Gya Hai Koi
- Mere Dil Mein Ghar Kar Gya Hai Koi
- ===========================================
- Uss Ki Yaad Yaadgaar Ban Gayi Hai
- Jo Dil Mein Do Pal Thehar Gya Hai Koi
- ===========================================
- Kitni Pyari Hawayein Chal Rahi Hain
- Lagta Hai Naik Insan Mar Gya Hai Koi
- ===========================================
- Tamaam Umar Kisi Yaar Ka Intezar Karte
- Aakhir Duniya Se Guzar Gya Hai Koi
- ===========================================
- Ab Mera Bachna Na Mumkin Lagta Hai
- Apni Aankh Ke Nashtar Maar Gya Hai Koi.
- ===========================================
- Tamam Gham Bhool Janey Ko G Karta Hai Aaj
- Aksar Muskuranay Ko G Karta Hai
- Bohut G Liiye Sahare Aap Ki Yadoon K
- Aaj Aap K Paas Aaney Ko G Karta Hai
- ===========================================
- Chahat Se Teri Ankho Mein Dube, Nafrat Se Aansu Bankar Uchle
- Gire Jo Farsh Pe Toote Aise, Rehza Rehza Dil Bikhra Jaise
- Umeed-E-Wafa Kare Kaise, Zubaan-E-Haal Kahe Kis Se
- Salaam-E-Dil-E-Muztar, Khamosh Mohabbat Mein Hai Intezar.
- ===========================================
- Jivan kya hai chalata phirta ek khilona hai
- do aankhon mein ek se hansana ek se rona hai
- jo jee chahe wo mil jaye kab aisa hota hai
- har jivan jivan jine ka samajhauta hai
- ab tak jo hota aaya hai wo hi hona hai
- raat andheri bhor suhani yahi zamana hai
- har chadar mein dukh ka tana sukha ka bana hai
- aati sans ko pana jati sans ko khona hai
- ===========================================
- Ye Na Socho Ke Faqat Naam Liya Karta Hai
- Ek Deewana Teri Chahat Mein Jiya Karta Hai
- Wo Jaanta Hai Ke Tu Us Ke Muqaddar Mein Nahi
- Phir Bhi Har Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai
- ===========================================
- Kash Usey Chahne Ka Arman Na Hota
- Main Hosh Mein Rehtey Howay Anjan Na Hota
- Na PYAR Hota Kisi Pther DIL Se Hum Ko
- Yaa Koi Pathr DIL Insaan Na Hota
- ===========================================
- Chahte Hai Unke Daman Me Khushiya Bhar De
- Unki Khushiyo Me Apni Jan Fana Kar De
- Kabhi Wo Jo Ghabraye Tanhaiyo Me Apni
- Ham Apni Chahto Se Use Shamil-A-Mahfil Kar De
- ===========================================
- Kisi Ke Paigam Ko Zara Pyar Se Padha Kijiye
- Kisi Ki Chahat Ka Ehsas Kiya Kijiye
- Koi Dil Se Yaad Karta Hai Aapko
- Kam Se Kam Hichkiyan To Liya Kijiye.
- ===========================================
- Hum To Moujood Thy Andheron Main Ujalon Ki Tarha
- Tum Ne Chaha Hi Nahi Chahny Walon Ki Tarha
- ===========================================
- Kabhi Aate Huye To Kabhi Jate Huye
- Sochta Hoon Muskarate Huye
- Zindagi K Ahem Lamho Ko Dil K Kone Me Samete Huye
- Taki Aankh Bhar Aaye Kisi Ko Rota Dekh
- Sacchi Chahat K Liye Pyaar Krta Hoon Ehsaso K Liye
- Unki Bhavnao Se Intezar K Liye Sayad Koi Ho Sanjeev K Liye…
- ===========================================
- Yeh Chandni Bhi Ab Sooni Sooni Hai
- Maut Ki Chahat Ab Tak Adhoori Hai
- Yeh Kaisi Tujhse Meri Doori Hai
- Jeena To Bas Ab Ek Majboori Hai
- ===========================================
- Meri Chahat Ka Hisab Jo Lagao Gay
- To Meri Chahat Ko Bayhisab Pao Gay
- Meri Chahat Hay Pani K Bulbulay Jesi
- Zara Sa Thukrao Gy To Dhondtay Reh Jao Ge
- ===========================================
- Saza Labon Se Apne Sunayi To Hoti
- Rooth Jaane Ki Wajah Batayi To Hoti
- Bech Deta Main Khud Ko Tumhare Liye
- Kabhi Kharidne Ki Chahat Jatayi To Hoti.
- ===========================================
- Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
- Ae Sanam
- Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna
- ===========================================
- Kisi Ko Chaho To Is Aandaz Se Chaho
- K Uss Ko Jab Bhi Pyaar Mile To Tum Yaad Aa Jao…!!
- ===========================================
- Khuda Ka Noor Aap Per Is Kadar Barse
- Har Koi Aapki Chahat Ko Tarse
- Aapki Zindgi Mein Aayen Itni Khushiyan
- Ke Wo Khuda Bhi Aapki Zindgi Mein Aane Ko Tarse.
- ===========================================
- Chahat Ka Daaman Kabhi Na Chhute
- Aap Humse Hum Aapse Kabhi Na Ruthein
- Is Qadar Nibhayein Apne Pyar Ko Hum
- Dhadkane Kamosh Ho Jayein Par
- Ye Rishta Kabhi Na Tute.
- ===========================================
- Aaj To Teri Yaad K Jhonka Tak Nai Aaya,
- Aaj Jane Q Chahtoun Pe Zawal Aaya Hai.
- ===========================================
- Maine Jo Socha Wo Kabhi Paya Nahi,
- Chah Kar Bhi Main Usko Bhul Paya Nahi,
- Chahta To Tha Main Usko Apnana,
- Per Maine Usko Kabhi Ye Bataya Nahi…
- ===========================================
- Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
- Koi Mil Gaya To Koi Bichad Gaya,
- Jinhe Manga Tha Duao Mein,
- Voh Kisi Ko Bina Maange Mil Gaya.
- Ankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahi Pate,
- Hooton Se Hum Bhi Kuch Keh Nahi Pate,
- Apni Bebasi Hum Kis Tarah Kahe,
- Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahi Pate.
- ===========================================
- Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
- aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
- ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
- sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
- dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
- aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
- kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
- aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
- wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
- usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
- ===========================================
- Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno
- Chaand Hai Mere Pas Tu Taare Kiu Chonu
- Chera Ye Gulaab Hai Ankhe Eak Kitaab Hai
- Ye Husan Mere Pass Hai Tu Kisi Aur Ko Kiu Dekho
- Meri Ankho Se Ger Khood Ko Dekh Lete Ager
- Ye Jalan Na Hoti Tumhe Etna Main Socho
- ===========================================
- Chaand Hai Mere Pas Tu Taare Kiu Chonu
- Tu Na Shamil Ker Gayero Main Khood Ko
- Tu Mere Dil Se Poch Ke Kiya Main Tujhko Samjho
- Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno
- Main Jhaa Bhi Jao Bas Tujh Ko Hi Pao
- Mera Dil Khe Ke Main Tujhe Dekhta Hi Jao
- Mail Dil Se Tere Naam Eak Gazal Likh Do
- Mera Chaand Tu Ayesa Chaand Hai
- Jab Bhi Dekho Tujhe Tu Kamile Aousaf Hai
- Teri Eak Khoshi Ke Waste Main Apni Jaan Bhi De Do
- Sitare De Sadaye Tu Main Kiu Suno
- Chaand Hai Mere Pas Tu Tare Kiu Chuno
- ===========================================
- Chahiye achchon ko jitana chahiye
- chahiye achchon ko jitana chahiye
- ye agar chahen to phir kya chahiye
- sohabat-e-rinda se vajib hai hazar
- ja-e-mai apne ko khencha chahiye
- chahane ko tere kya samajha tha dil
- bare ab is se bhi samajha chahiye
- chak mat kar jeb be ayyam-e-gul
- kuch udhar ka bhi ishara chahiye
- dosti ka parda hai beganagi
- munh chupana hum se choda chahiye
- dushmani mein meri khoya gair ko
- kis qadar dushman hai dekha chahiye
- apani rusvai mein kya chalati hai sai
- yar hi hangama aara chahiye
- munhasir marane pe ho jis ke umid
- naumidi us ke dekha chahiye
- gafil in mah talaaton ke vaste
- chahane vala bhi achcha chahiye
- chahate hain khubaruon ko asad
- aap ke surat to dekha chahiye
- ===========================================
- Ajib tajurba tha bhid se guzarane ka
- use bahana mila mujh se bat karane ka
- phir ek mauj use khinch le gai tah-e-ab
- tamasha khatm hua dubane ubharane ka
- mujhe khabar hai ki rasta mazar chahata hai
- main khastapa sahi lekin nahi thaharane ka
- thama ke ek bikharata gulab mere hath
- tamasha dekh raha hai wo mere darane ka
- ye aasman mein siyahi bikher di kis ne
- hamen tha shauq bahut is mein rang bharane ka
- bas ek chikh giri thi pahad se yakalakht
- ajab nazar tha phir dhundh ke bikharane ka
- ===========================================
- bat ko bausul kehta hun
- jagamagate hue sitaron ko
- tere pairon ke dhul kehta hun
- jo chaman ke hayat ko das le
- us kali ko babul kehta hun
- ittefaqan tumhare milane ko
- zindagi ka husul kehta hun
- aap ke sanvali si surat ko
- zauq-e-yazdan ke bhool kehta hun
- jab mayassar ho sagar-o-mina
- barqparon ko phul kehta hun
- Poet of the poem or ghazal or Nazam ois Sagar Siddiqui
- ===========================================
- Kisane wada kiya hai aane ka
- husn dekho garib khane ka
- ruh ko aaina dikhate hain
- dar-o-divar muskurate hain
- aj ghar, ghar bana hai pahali bar
- dil mein hai khush saliqagi bedar
- jama saman hai aish-o-ishrat ka
- khauf dil mein fareb-e-qismet ka
- soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
- ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein
- chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
- chand ke intazar mein tare
- Poet of the poem or ghazal or nazam is Josh Malihabadi
- ===========================================
- Chand se phul se...
- Chand se phul se ya meri zuban se suniye
- har taraf aap ka qisa jahan se suniye
- sab ko aata hai duniya ko sata kar jina
- zindagi kya muhabbat ke dua se suniye
- meri aavaz parda mere chehare ka
- main hun khamosh jahan mujhako vahan se suniye
- kya zaruri hai ki har parda uthaya jaye
- mere halat apne apne makan se suniye
- Poet of the poem/ghazal or nazam : Nida Fazli
- ===========================================
- Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile
- dastar kahan milenge jahan sar nahi mile
- aavaragi ko dubate suraj se rabt hai
- magrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile
- kal aainon ka jashn hua tha tamam raat
- andhe tamashbinon ko pathar nahi mile
- main chahata tha khud se mulaqat ho magar
- aaine mere qad ke barabar nahi mile
- pardes ja rahe ho to sab dekhte chalo
- mumkin hai vapas aao to ye ghar nahi mile
- ===========================================
- Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
- teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale
- teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
- main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale
- har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
- ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale
- din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
- lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
Kabhi Kabhi To Mohabbat shayari
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment