Pyar ma vo hi aashik sacche hai shayari


  1. Pyar me juthe vadee karna,
  2. Juthe aashiko ka hi kaam hai,
  3. Pyar ma vo hi aashik sacche hai,
  4. Jo chahe pyar mei khud ka dil bhi tute,
  5. Lekin dushro ka dil kabhi tutne nahi dete.
  6. —————————————————-
  7. Dil ki baat aate aate,
  8. kyo lab pe ruk jati hai,
  9. Phir bhi teri nazar janeman,
  10. Har baat keh jati hai.
  11. —————————————————-

  12. Aakshar jab hum unko yaad karte hai,
  13. Aapne rab se yahi fariyad karte hai,
  14. Umar hamari bhi lag jaye unko,
  15. Kyoki hum unko khud se jyada pyar karte hai.
  16. —————————————————-
  17. Ishq Ki Wo Meri Inteha Puchte He,
  18. Dil Me Jo Ye Pyar He,Wo Jagah Puchte He,
  19. Apne Aap Se Bhi Jyada Chahte He Hum Unko,
  20. Par Ye Ishq Ki Bhi Wo Wajah Puchte He.
  21. —————————————————-
  22. Ek Choti Si Khavahis He Tumhe Paane Ki,
  23. Nahi He Koi Hasrat Koi Is Deewane Ki,
  24. Muje Aapse Nahi Rab Se He Ek Shikayat,
  25. Kya Zarurat Thi Aapko Itna Khubsurat Banane Ki.
  26. —————————————————-
  27. Unhe Ye Pareshaani He Ke Wo Har Kisi Ko Dekhkar Muskurate He,
  28. Wo Naadan Ye Nahi Samajte Ke Hame Har Chahere Me Wo Nazar Aate He.
  29. —————————————————-


    1. Jiyo Unke Liye Jo Jine Ka Sahara Ho,
    2. Mohabbat Unse Karo Jo Jaan Se Pyara Ho,
    3. Raah Me To Milenge Hazaro Lakin,
    4. Saath Unka Do Jisne Aapko Bhid Me Bhi Pukara Ho.
    5. —————————————————-
    6. Zindagi Me Aap Ek Pencil Banke Kisi Ko Khushi Nahi Likh Paate,
    7. To Ek Aacha Rubber Banke Kisi Ka Dard Zarur Mita Dena.
    8. —————————————————-
    9. Aap Kitna Bhi Chaho Bhula Nahi Paoge,
    10. Jitna Dur Jaoge Hame Utna Nazdeek Paoge,
    11. Mita Sake To Mita Do Hame Aapki Yaado Se,
    12. Magar Kya Sapno Se Hame Judaa kar Paoge?
    13. I Miss u….


    14. **************************************
    15. Is duniya me tum bahut khubsurat ho,
    16. Tumse bhi khubsurat hai tumhare andaz,
    17. Log kehte hai chand ka tukda ho tum,
    18. Ham kehte hai chand tukda hai tumhara.
    19. ————————————————
    20. Ek hamara waqt hai ki jiska,
    21. Ek bhi pal aapki yaad ke bina nahi jata,
    22. Aur ek aapka waqt hai ki jisme,
    23. Hame yaad karne wala pal hi nahi aata.
    24. ————————————————
    25. Jab se aaye ho aap zindgi mei hamari,
    26. Tab se badal gayi hai zindgi hamari.
    27. Aap se mil ke ye lagta hai ki,vo tum hi ho,
    28. Jisko dhund ta rehta tha mei khayalo mei.
    29. ————————————————
    30. Tere chehre pe khushi hamensha bani rahe,
    31. Hanshi en labo pe hamensha saji rahe.
    32. Dur rakhe khuda sare gamo se tuje,
    33. Har pal khushi tumhari zindgi mei saji rahe.
    34. ————————————————
    35. Zindgi mei sirf ek hi tamanna hai,
    36. Tumhare sath jina tumhare sath hi marna hai,
    37. Aake ek baar tumhari zindgi mei aey mere dost,
    38. Fhir na kabhi dur jane ki tamanna hai.
    39. ————————————————
    40. Mohabbat me aanshu pyar ki nishani hai,
    41. Chahe vo gam ke ho ya khushi ke ho.
    42. Ise sirf saccha pyar karne wala hi samaz sakta hai,
    43. Jo na samze uske liye to vo aanshu sirf pani hi hai.
    44. ————————————————
    45. Aapko chupa kar palko me dil me sama denge,
    46. Hamari har saansh aapke naam kar denge.
    47. Phul ki terah aap ki zindgi ko mehka denge,
    48. Ek baar dosti kar ke to dekho humse, hum hamari,
    49. Zindgi ka har lamha har pal aapke naam kar denge.
    50. ————————————————
    51. Aapko waqt aane par malum hoga,
    52. Har pal hamari kami ko sehna hoga.
    53. Pyar karne wale to bahut milenge,
    54. Lekin ham jaisa dilwala koi na hoga.

    55. **************************************
    56. Chandni chand sitaro se muje kya lena,
    57. Tumhare siva baharo se muje kya lena,
    58. Bas tumhari surat basi hai aankho me,
    59. Jannat ke nazaro se muje kya lena.
    60. ————————————————
    61. Kisi ki yaad mere aas-pas rahti hai,
    62. Bahut dino se tabiyat udas rahti hai.
    63. Bichad gaya hai magar dil ye manta hi nahi hai,
    64. Na jane kyo tere milne ki aas rahti hai.
    65. The karib tere, chahat se bekhabar,
    66. Hokar dur hame, aehsas mohabbat ka hua.
    67. ————————————————
    68. Muskura kar bijli girao ,yeh khel mahenga padenga,
    69. Saukh se dil le lo, Tumhe bhi dil dena padega.
    70. ————————————————
    71. Naaz hai muje us khuda ki khudai par,
    72. Jisne tuje itni khubsurti di hai,
    73. Us najuk dil ko tune tod diya,
    74. Jisne tuje pyar ki pehli mohabbat di thi.
    75. ————————————————
    76. Tumhari nazar hamesa mare dil ki baat kehti hai,
    77. Tumhari yaad hamesa mere dil ke sath rehti hai,
    78. Tumhari nazro se agar jaam ke do ghut pile ,
    79. Phir zindagi sari pyar ke nase me gujar jayengi.
    80. ————————————————
    81. Tere hi aang se teri khushbu hai jigar mai,
    82. Ji raha hu mai tere nase ki aashar me,
    83. Sanam, tum dakhne valo se yeh na pucho,
    84. Kya chiz ho tum dakhne valo ki nazar me.
    85. ————————————————
    86. Zindgi anmol hai sambhal kar rekhna,
    87. Pyar ke safar mei kadam sambhalkar rekhna,
    88. Aagar ummid hai pyar pane ki to,
    89. Dil se duniya ka dar nikalkar rekhna.
    90. ————————————————
    91. Ye ishq ne insan ko kya se kya bana diya,
    92. Kisi ko kavi to kisiko katil bana diya,
    93. Do phul ka boj na utha saki mumtaz,
    94. Aur us par sarjaha ne tajmehal bana diya.
    95. ————————————————
    96. Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
    97. Zindgai ki aakhri saam ho jaye,
    98. Hum to dhundhte hai wakt aisa jab,
    99. Hamari zindgai aapke kam aa jaye.


    100. **************************************
    101. Zindagi Har Din Jarurato Ke Sahare Jiyo,
    102. Sapno Ke Ishaaro Pe Kabhi Nahi,
    103. Kyu Ki Jarurat To Fakeero Ki Bhi Puri Hoti He,
    104. Aur Khwahish Baadshah Ki Bhi Adhuri Raheti He.
    105. ———————————————–
    106. Gam aaya zindgi mei jab bhi,
    107. Ya koi muskil mukam aaya,
    108. Na gairo ne saath diya,
    109. Na aapna koi kam aaya.
    110. ———————————————–
    111. Baheki huye bahar ne pina sikha diya,
    112. Kisi haseen ki yaado ne pina sikha diya.
    113. Pita hu yahi sochkar ke jeena he char din,
    114. Marne ke intezaar ne pina sikha diya.
    115. ———————————————–
    116. Yaro ke liye hum mohabbat chodd chale gaye,
    117. Khud aapna dil hum tod ke chale gaye,
    118. Aab nahi khushi ka hum intazar karenge,
    119. Gamo se rista hum jodte chale gaye.
    120. ———————————————–
    121. Ab tu nahi to teri yaade hi sahi,
    122. In yaado me chupi ye andheri raat hi sahi,
    123. Tha zindgi mei dost ek tere sath ka hi sahara,
    124. Jo aaab wo hi nahi,to tere ye juthe vaade hi sahi.
    125. ———————————————–
    126. Zindagi hai nadan is liye chup hu,
    127. Dard hi dard hai subah-sham is liye chup hu,
    128. Keh du dastan jamane se aapni lekin,
    129. Usme aayenga tera naam is liye chup hu.
    130. ———————————————–
    131. Ret pe naam kabhi likhte nahi,
    132. Ret pe naam kabhi tikhte nahi,
    133. Tumne hame patthar dil to keh diya,
    134. Par patthar pe naam kabhi mithte nahi.
    135. ———————————————–
    136. Afsos Mat Karna, Ye Ek Gunaah Hota He,
    137. Milta Wohi He Jo Kismat Me Likha Hota He,
    138. Har Cheez Hame Mile Ye Zaruri To Nahi,
    139. Kuch Cheez Ka Zikra Dusre Jaha Me Hota He.
    140. ———————————————–
    141. Zindagi Ko Ek Pyari Si Kalpana Samjo,
    142. Raat Ko Sach Aur Subah Ko Ek Sapna Samjo,
    143. Agar Bhulna Chaho Sabhi Dard Ko To,
    144. Zindagi Me Kisi Ek Ko Apna Samjo.


    145. **************************************
    146. Samajte he wo ki patthar he ham,
    147. Unko thokar maar jayenge,
    148. Wo ek baar kahe de nafrat he hum se,
    149. Khuda kasam patthar to kya,
    150. Phul bankar bhi unki raaho me nahi aayenge.
    151. ———————————————
    152. Nazar se nazar mila ke yeh kaisa huva hai ashar,
    153. Shayad hame lagta hai ki hame bhi hua hai pyar ka ashar,
    154. Chahat ka hum pe yeh kaisa hua hai ashar,
    155. Ab kaise katega unke bina hamari zindgi ka yeh safar.
    156. ———————————————
    157. Tumhari doori ka ahesas muje ab satane laga,
    158. Saath tere guzra har lamha ab to yaad aane laga,
    159. Bhulane ki bahot kosis ki jab bhi tuje e dost,
    160. Lakin dost tu dil ke aur bhi karib aane lage
    161. ———————————————
    162. Mulakat apni kuch adhuri se lag rahi he,
    163. Pas hokar bhi kuch duri si lag rahi he,
    164. Hasi he hoto pe aur aakho me majburi se lag rahi he,
    165. Meri zindgi me pehli baar aapki dosti itni zaroori lag rahi he.
    166. ———————————————
    167. Wo hamsafar kaise the jo safar chood gaye,
    168. Pyar ka rista bina koi kasoor ke chood gaye,
    169. Wo humko kabhi yaad nahi karte ab,
    170. Aur khud ki yaado me hum ko tadpata chood gaye.
    171. ———————————————
    172. Jab se mohabbat me dokha mila he hamko,
    173. Kasam khuda ki kisi par aitbaar na raha,
    174. Halat kuch is kadar kar dali is deewane ki,
    175. Ke hame hamari zindgi se bhi pyar na raha.
    176. ———————————————
    177. Dilbar tu mere dil ki talas hai,
    178. Tere bageir meri zindgi udas hai,
    179. Aata nahi muje tuje dekhe bina karar,
    180. Sanam tu meri aankhon ki pyas hai.
    181. ———————————————
    182. Ye Mat Kaho Ki Aapse Ham Kitne Yaad Karte He,
    183. Aapke Message Ke Intezaar Me Jiya Karte He,
    184. Agar Kabhi Aap Hame Message Nahi Karte Tab,
    185. Puraana Hi Padh Ke Muskuraliya Karte He.

    186. **************************************
    187. Aap hame dil ki baat kaho ya na kaho,
    188. Par aankho me jo hai vo chupaonge kaise.
    189. Aaj yeh vaada hai hamara aap se ki,
    190. Jab bhi dil se yaad karonge aap hame,
    191. Hamara hi chehra nazar aayenga aap ko.
    192. —————————————————
    193. Lamha lamha waqt gujar jayega,
    194. Chand lamho me vo pal aa jayenga,
    195. Aabhi bhi waqt hai ki dosti karlo humse,
    196. Varna hum yeh baar-baar nahi kahenge tumse..
    197. —————————————————
    198. Raat-din hum unhe yaad karte rehte hai,
    199. Unse milne ki fariyad karte rehte hai.
    200. Unka to kaam hi hai dil todna,
    201. Phir bhi dil unko hi chehta rehta hai.
    202. —————————————————
    203. Meri koi bhi bhul pe tum kabhi naraz na hona,
    204. Tumhari yeh pyari si muskan kabhi khone na dena.
    205. Khush rehte hai hum, dekh ke tumhari yeh muskan,
    206. Muje chahe kuch bhi ho jaye, lekin tum kabhi mat rona.
    207. —————————————————
    208. Chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
    209. Dur rahkar bhi kareeb ho har pal ke liye,
    210. Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye,
    211. Jab dil me ho aap harpal ke liye.
    212. —————————————————
    213. Har koi dil ka bura nahi hota,
    214. Har koi dil se dua nahi deta,
    215. Tut jate hai riste aapni hi galtio se,
    216. Usme kisi ka koi kasur nahi hota.
    217. —————————————————
    218. Kabhi-kabhi zindgi mei aeisa waqt bhi aata hai,
    219. Jise hum chahe wahi hamse dur ho jata hai,
    220. par unki kuch yadee dil mei aeise sama jati hai ki,
    221. Na chehte hue bhi hum unhe yaad karne ko mazbur ho jate hai.
    222. —————————————————
    223. Kya hai pyar ki kasme pyar ke waade,
    224. Hum ko visvas nahi en batoo pe,
    225. Bus visvas hai to sirf aap pe,
    226. Kyoki hame sirf pyar hai to sirf aap se.
    227. —————————————————

    228. **************************************
    229. Naraaz Bhi Hote Ho Aur Pyar Bhi Karte Ho,
    230. Us Tarah Apni Mohabbat Ko Baya Bhi Karte Ho,
    231. Pata Nahi Ki Kaisi Naraazgi He Hamse Ki,
    232. Hame Bhulna Bhi Chahte Ho,
    233. Aur Paane Ki Dua Bhi Kar Lete Ho.
    234. ———————————————
    235. Subah Ki Kiran Se Andhera Dur Hota He,
    236. Is Zindagi Me Har Koi Majbur Hota He,
    237. Jo Aankho Se Kabhi Jitna Bhi Door Hota He,
    238. Wo Yaado Se Utna Hi Kareeb Hota He.
    239. ———————————————
    240. Nafrat Usse Karo Jisko Bhulana Aata He,
    241. Rishta Unse Banao Jisko Nibhana Aata He,
    242. Gussa Unse Karo Jinko Manana Aata Ho,
    243. Aur Ishq Unse Karo Jo Dil Se Jaan Lutana Janta Ho.
    244. ———————————————
    245. Tere pyar ki kasam Mita sakta hu khudko,
    246. Tum kaho to sahi halat badal dunga,
    247. Kami hai to sirf tumhari taraf se,
    248. Kar lo ikrar din-raat badal dunga.
    249. Sapna to tuta hai mera,
    250. Dard bhi mujko sahna honga,
    251. Yaar ne wada wafa kiya na,
    252. Fhir bhi zinda rehna honga.
    253. ———————————————
    254. Zindgi me sabke dil mei koi baat hoti hai,
    255. Har baat me kisi ki yaad hoti hai,
    256. Har yaad me kisi ka intezar hota hai,
    257. Isi lie to zindgi sabke liye khas hoti hai.
    258. ———————————————
    259. Na tum humko milte,
    260. Na hum dono me yu pyar hota,
    261. Na yu hamko aapka intezar hota,
    262. Aur na hamare dil ka yeh haal hota.
    263. ———————————————
    264. Aaj bhi aankhe dhund rehi hai vahi khawb,
    265. Jo kabhi milke dekhe the hum dono ne.
    266. Aaj bhi intezar hai is dil ko tumhara,
    267. Aur aaj bhi yaad hai milne ki vo aakhri kasam.
    268. ———————————————
    269. Na jane kyo bahut dino ke baad,
    270. Aaj mere dil ko aisa lagta hai ki,
    271. Jo chehra mai dekhta tha khawboo mei,
    272. Wo aaj tujko dekha to tujme dikhta hai.


    273. **************************************
    274. Life Chali Na Jayegi Tere Intezaar Me,
    275. Bahot Dard Sahe He Tere Ishq Me,
    276. Ab Maan Bhi Jao Meri Pyari Jaaneman,
    277. Bina Matlab Ke Lad Rahe He Hum Bekaar Me.
    278. ———————————————
    279. Wo Kahete He Majboor He Hum,
    280. Na Chahte Huve Bhi Door He Hum,
    281. Chura Li Unho Ne Hamari Dil Ki Dhadkan,
    282. Phir Bhi Kahete He Ke Be Kasoor He Hum.
    283. ———————————————
    284. Is Dil Ki Khwahish Ko Naam Kya Du,
    285. Mohabbat Ka Unko Paigaam Kya Du,
    286. Is Dil Me Dard Nahi Yaade He Unki,
    287. Agar Yaade Muje Dard De To Ilzaam Kya Du.
    288. ———————————————
    289. Maikhane Me Jaam Tut Jaate He,
    290. Mohabbat Me Dil Tut Jaate He,
    291. Fark Sirf Dono Me Yahi He Ki,
    292. Jaam Tute To Mohabbat Yaad Aati He,
    293. Aur Dil Tute To Jaam Yaad Aata He.
    294. ———————————————
    295. Mohabbat Dil O Jaan Se Nibhayege Ham,
    296. Aap Bhul Bhi Jao Ge To Yaad Dilayenge Ham,
    297. Aisi Shararat Karenge Ki Na Chahte Huve Bhi,
    298. Aapko Yaad Aayenge Ham.
    299. ———————————————
    300. Aapki Ishq Bhari Nigaahe Aadat He Meri,
    301. Meri Band Nazro Me Ek Tasveer He Meri.
    302. Zindagi Tak Ye Rishta Nibhata Rahunga Me,
    303. Chahe Kitni Bhi Taqdeer Ho Bewafaa Meri.
    304. ———————————————
    305. Mohabbat Ki Khawhish Kuch Aasaan Nahi,
    306. Mohabbt Sirf Paane Ka Naam Nahi,
    307. Barso Bit Jaate He Kisi Ke Intezaar Karne Me,
    308. Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi.
    309. ———————————————
    310. Aap To Badi Hasrato Ke Baad Hamko Yaad Karte Ho,
    311. Aap Ke Bina Mar Jaayege Tumhe Itna Pyar Karte He.
    312. ———————————————
    313. Koi Sapna Ye Aankho Ne Sajaaya Nahi,
    314. Hamare Dil Ko Kabhi Koi Sujza Paaya Nahi,
    315. Kisi Ko Hamari Kami Ka Ahesaas Ho,
    316. Rab Ne Hamare Liye Aisa Koi Banaya Nahi.


    317. **************************************
    318. बादलो के बीच ये केसी साजिस हुइ,
    319. मेरा घर था मिटी का और मैर ही घर बारिस हुई.
    320. जिद हे अगर उन्हें बिजलीया गिराने कि,
    321. तो कसम हे हमे फिर वोही आशियाना बनाने की.
    322. —————————————-
    323. चाहते हो किसी को तो उसे कहेना तो होगा,
    324. इकरार मिलें या इनकार अंजाम सहेना तो होगा.
    325. ये समुंदर हे आग का फिर भी,
    326. नाव भले ही हो मोम कि बहेना तो होगा.
    327. —————————————-
    328. इश्क ने मेरे दिल को इतना नाज़ुक कर दिया कि,
    329. चोट तुजे लगती हे तो दर्द मुजे होता हे.
    330. दीवाना क्या बताये इस दर्द का कैसा रिश्ता हे,
    331. आँख तेरी रोती हे तो आंशु मेरे निकलते हे.
    332. —————————————-
    333. में प्यार उससे इस कदर करती चली जावु,
    334. वो ज़ख्म दिए जाए और में भर्ती चली जावु.
    335. उसकी ये जिद के वो मुजे मार डाले दर्द देकर,
    336. और मेरी ये जिद के में उस पे मरती चली जावु.
    337. —————————————-
    338. रब ना करे आपको कभी ख़ुशी कि कमी हो,
    339. रब ना करे आपको कभी ख़ुशी कि कमी हो,
    340. आपके कदमो के निचे सदा फूलो कि ज़मी हो,
    341. आंशु ना हो आपकी आँखों में कभी,
    342. अगर हो तो वो भी ख़ुशी कि नमी हो.
    343. —————————————-
    344. तरसती नज़रो ने हर पल आपका दीदार माँगा,
    345. जैसे अमावस ने हर रात एक चाँद को माँगा,
    346. रूठ गया वो खुदा भी हमसे,
    347. जब हमने अपनी हर दुआ में आपका साथ माँगा.
    348. —————————————-
    349. तुमको याद करते हे हर पल हर एक सांस के बाद,
    350. कभी सुबह से पहेले तो कभी शाम के बाद.
    351. कभी अकेले में मिलो तो करे कुछ बाते,
    352. एक जाम से पहेले तो एक जाम के बाद.
    353. दिल कि दीवारो पे आपका नाम लिखते हे,
    354. कभी फुर्सद में लिखते हे तो कभी काम के बाद.
    355. मेरे ना होने के बाद भी दुनियावाले तुमको याद करेगे,
    356. कभी मेरे नाम से पहेले तो कभी मेरे नाम के बाद.

    357. **************************************
    358. Nigaaho Ki Zeed He Aankho Se Aanshu Girane Ki,
    359. Dil Ki Zeed He Aapse Rishta Nibhane Ki,
    360. Aapko Zeed He Agar Hame Bhulane Ki To,
    361. Hame Bhi Zeed He Aapko Apni Yaad Dilane Ki.
    362. ———————————————
    363. Mohabbat He Maut Se Jo Paas Nahi Aati,
    364. Aarzu He Jis Pal Ki Wo Raas Nahi Aati,
    365. Udaas Ho Gayi Ye Zindagi Ek Dard Jaisi,
    366. Unki Yaade He Jo Tadpaane Se Baaz Nahi Aati.
    367. ———————————————
    368. Khud Ke Akelepan Ka Taana Na Maara Karo,
    369. Yaado Ke Koi Shikva Bhi Na Dia Karo,
    370. Kaise Kahe Ki Aapse Kitni Mohabbat He,
    371. Agar Maalum Karna To Aapn Saanse Gin Liya Karo.
    372. ———————————————
    373. Kabhi Sochu To Aapki Yaad Aa Jaati He,
    374. Kabhi Bolu To Aapka Naam Labo Pe Aa Jaata He,
    375. Kab Tak Logo Se Chupake Rakhu Dil Ki Baat,
    376. Unki Har Ek Aada Pe Hame Pyar Aa Jaata He.
    377. ———————————————
    378. Hamaari Sach Baat Ko Kabhi Wo Maan Na Sake,
    379. Hamari Laachari Wo Kabhi Jaan Na Sake,
    380. Kahete He Ki Marne Ke Baad Bhi Yaad Karenge,
    381. Par Jeete Ji Hame Wo Pahechaan Na Sake.
    382. ———————————————
    383. Dil Se Aapki Yaade Bani Rahe To Mera Kya Kasoor,
    384. Har Pal Aap Hi Ka Ahesaas Rahe To Mera Kya Kasoor,
    385. Agar Sapno Me Aap Ki Yaad Karna Chahe Par,
    386. Raat Ko Jab Neend Hi Na Aaye To Mera Kya Kasoor.
    387. ———————————————
    388. Har Din Aapko Hum Yaad Karenge,
    389. Aapki Baato Par Aitbaar Karenge.
    390. Message Karne Ko Nahi Kahenge Aapko,
    391. Phir Bhi Aapke Message Ka Intezaar Karenge.
    392. ———————————————
    393. Is Tarah Se Aap Satate Ho Hame,
    394. Bhula Ne Par Bhi Yaad Aa Jaate Ho Aap,
    395. Raat Ke Andhere Me Khuda Se Manga Kuch,
    396. Tab Jake Mare Dil Ki Dua Ban Jaate Ho Tum.
    397. **************************************

    398. Ye Zindagi Bhi Itna Tanha Hoti He,
    399. Sabko Kismat Se He Shikayat Hoti He.
    400. Ye Kismat Bhi Ajeeb Khel Khelti He,
    401. Jinko Pana Mushkil Ho, Mohabbat Usi Se Hoti He.
    402. ———————————————–
    403. Zindagi Me Jo Bitaye He Pal Hamne Saath Unke,
    404. Wo Har Lamhe Ko Dil Me Kaid Kar Lenge,
    405. Aap Bas Khush Raho Yahi He Ek Tamanna,
    406. Ham To Hamari Zindagi Yu He Guzaar Lenge.
    407. ———————————————–
    408. Kyu Zindagi Se Dare Hum Darke Kya Hoga,
    409. Har Waqt Kyu Soche Ke Bas Bura He Hoga,
    410. Manzil O Ki Taraf Chalte Rahe Hum
    411. Par Kuch Bhi Na Mila To Kya, Tarjuba To Naya Hoga.
    412. ———————————————–
    413. Jeevan Ki Talaash Kuch Is Kadar Badh Gaye,
    414. Ke Hum Har Raaste par Zindagi Ko Samajne Lage,
    415. Kho Gaye Waqt Ke Manzar Me Kuch Is Tarah,
    416. Ke Apni Maut Ko He Meri Zindagi Samajne Lage.
    417. ———————————————–
    418. Khushiyon ka Paigaam Leke Ayenge,
    419. Patjhad Me Bhi Khusiya Leke Ayenge.
    420. Jab Bhi Pukaroge Dil Se Hume,
    421. Maut Se Zindagi Udhar Leke Ayenge
    422. ———————————————–
    423. Choti Si Zindagi Me Khawab Bahot He,
    424. Hamsafar Koi Nahi He Par Insaan Bahot He,
    425. Dil Ka Dard Ab Kis Kis Ko Bataye,
    426. Jo Dil Ke Kareeb Hote Bhi Anjaan Bahot He.
    427. ———————————————–
    428. Gussa Bhi Mohabbat Ki Buniyaad Hoti He,
    429. Mulaqaat Se Bhi Aachi Kisi Ki Yaad Hoti He,
    430. Rishto Me Duriyo Ka Vajood Nahi Hota,
    431. Kyu Ki Dil Ki Duniya Sapno Se Aabad Hoti He.
    432. ———————————————–
    433. Bebasi ka aalam to dekho ye zindagi humko kaha le aaye,
    434. Jis raah se anjaan the usi raah pe humko le aaye,
    435. Jo jante nahi he apno ke bare me,
    436. Ye zindagi humko unhi begano ki duniya me le aaye he.


    437. **************************************
    438. Na Jaane Phir Kab Wo Din Hoga,
    439. Na Jaane Phir Kab Wo Raat Aayegi,
    440. Na Jaane Phir Kab Apni Mulaqaat Bhi Hogi,
    441. Lakin Karte Rahena Message Tabhi To Dil Se Dil Ki Baat Hogi.
    442. ————————————————
    443. Zindagi Me Koi Kisi Ke Liye Kuch Nahi Karta,
    444. Marnevalo Ke Saath Kabhi Koi Nahi Marta,
    445. Zindagi Me Marne Ki Baat To Bahot Dur Ki He,
    446. Yaha To Zindagi Me Bhi Koi Yaad Nahi Karta.
    447. ————————————————

    448. Kyu Koi Chah Kar Ishq Nahi Nibha Pata,
    449. Kyu Koi Chah Kar Rista Nahi Nibha Pata.
    450. Kyu Karti He Zindagi Aise Savaal,
    451. Ke Koi chah Karke Bhi ishq Nahi Jata Pata.
    452. ————————————————
    453. Jeevan Bahot Khubsurat Hota,
    454. Agar Teri Mohabbat Adhuri Na Hoti,
    455. Thodi Uljane Thodi Majburiya Hoti Shayad,
    456. Par Hamare Ishq Me Itni Duriya Na Hoti.
    457. ————————————————
    458. Kis Kis Ko Mitli He Rangeen Bahare,
    459. Kis Kis Ko Chaman Bhi Nahi Milta,
    460. Kis Kis Ki Kabar Par Taj Mahal Ban Jata He,
    461. Kisi Ko Kafan Bhi Naseeb Nahi Hota.
    462. ————————————————
    463. Dil Ki Aarzu Ko Daba Kar Ham Jite He,
    464. Hamre Dard Ko Duniya Se Chupa Kar Jite He,
    465. Zamana Kya Lut Lega Hamari Khushi Ko,
    466. Ham To Khud Ko Kisi Aur Pe Luta Kar Jite He.
    467. ————————————————
    468. Ham Aapke Dil Me Ek Yaad Bankar Rahenge,
    469. Tere Chahere Pe Ek Muskaan Bankar Rahenge,
    470. Hame Aapke Kareeb He Samajna Zindagi Me,
    471. Ham Aapke Saath Aasmaan Bankar Rahenge
    472. ————————————————
    473. Sapno Ki Duniya Bahot Ajib Lagti He,
    474. Juthi He Sahi Par Khushi Naseeb Hoti He,
    475. Har Pal Aate He Sapne Kuch Pal Ke Liye,
    476. Un Palo Me Jannat Bahot Kareeb Lagti He.
    477. ————————————————
    478. Tumhare man ki ulzano ko,
    479. aaj mei sulzana chehta hu,
    480. Aaj tujko aapne man ke,
    481. Sunhare dil mei bithana chehta hu.

    482. **************************************
    483. Aapko miss karna roj ki baat he,
    484. Yaad karna aadat ki baat he,
    485. Aapse dur rehna kismat ki baat he,
    486. Magar aapko bhulana,
    487. Apne bas ke bahar ki baat he.
    488. ————————————————–
    489. Din beet jate hai suhani yaade banke,
    490. Baate reh jati hai kahani bankar,
    491. Par dost hamensha saat rahenge,
    492. Kabhi muskan to kabhi aankho ka pani bankar.
    493. ————————————————–
    494. Aapka ashiyana dil me basa kar rakha hai,
    495. Aapki yando ko dil me laga raha hai,
    496. Pata nahi yaad aapki kyo aati hai,
    497. Jabki dost to hamne auro ko bhi bana rakha hai.
    498. ————————————————–
    499. Chandni raato me sara jaha sota hai,
    500. Lekin kisi ki yaado me koi badnasib rota hai,
    501. Khuda kisi ko dosti pe fida na kare,
    502. Aagar kare to dosto se juda na kare.
    503. ————————————————–
    504. Bindas muskurao yaar kya gam hai,
    505. Zindgi me tensan kisko kam hai,
    506. SMS me yaad karne valo to bahut hai,
    507. Par aapko dil se Yaad karne vale sirf hum hai.
    508. ————————————————–
    509. Aapka aashiyana dil me basa rakha hai,
    510. aapki yaado ko dil se laga rakha hai,
    511. Pata nahi yaad aapki kyun aati hai,
    512. Jabki dost to humne auro ko bhi bana rakha hai.
    513. ————————————————–
    514. Dil me tumhare hum aapni kami chodd jayenge,
    515. Aankho me tumhari intezar ki tasvir chodd jayenge.
    516. Tum bhi yaad rakhonge hame zindgi mei,
    517. Aisi dosti ki ek kahani chodd jayenge.
    518. ————————————————–
    519. Mere Jazbato Ko Kabhi Juth Mat Samajna,
    520. Agar Yaad Karte Ho To Milne Ki Dua Karna,
    521. Ham To Jee Rahe The Tumhare Naam Se He,
    522. Mar Bhi Gaye To Bewafa Mat Samajna.
    523. ————————————————–
    524. Nazar Ki Nazaro Ki Kami Nahi Hoti,
    525. Baharo Ko Kabhi Phool Ki Kami Nahi Hoti,
    526. Aap Hame Kyu Yaad Karenge Aap To Aasmaan Ho,
    527. Aur Aasmaan Ko Kabhi Sitaro Ko Kami Nahi Hoti.


    528. **************************************
    529. Aapke waste gunaah he sahi,
    530. Hum piye to sabab banti he.
    531. Bahot gamo ko nichodne ke baad,
    532. Ek katra sharab banti he.
    533. ——————————————-
    534. Jab Sharab Bani Tab Maikhane Bane,
    535. Husn Bane To Deewane Bane.
    536. Kuch To Baat Zarur He Aap Me,
    537. Yu He Nahi Paagalkhane Bane.
    538. ——————————————-
    539. Khud pite hai sanam mere,
    540. Hame pilane se inkar karte hai,
    541. Nigaho me chipaya hai maikhana,
    542. Do ghut pilane se inkar karte hai.
    543. ——————————————-
    544. Do bund jam ke lie,
    545. Teri mehfil me chale aaye saki,
    546. zakm dil pe khaya to,
    547. Teri mehfil me chale aaye saki.
    548. ——————————————-
    549. Ishq Yaha Bikta He Aur Mohabbat Nilaam Hoti He,
    550. Bharose Ka Khun Yaha Sare Aam Hota He,
    551. Duniyawale Se Thokar Mile To Chale Aaye Maikhane Me,
    552. Phir Wohi Zamaana Hame Sharabi Ka Naam Deta He.
    553. ——————————————-
    554. Jab Dil Pe Sharab Ka Nasha Cha Gaya,
    555. Dard Ka Dil Me Aane Ka Raashta Band Ho Gaya.
    556. Jabse Ye Labo Ne Sharab Ko Chu Liya,
    557. Uska Naam Hamesha Ke Liye Bhul Gaya.
    558. ——————————————-
    559. Huye mahenghi bahut sarab ki thodi thodi piya karo,
    560. Pio itni rakho hisab ki thodi thodi piya karo,
    561. Gam ka daur ho ya ho khushi sama mangti hai sarab,
    562. Ek mushwara hai janab ki thodi thodi piya karo.
    563. ——————————————-
    564. Hame aise na ruswa kijie aapke aashik hai purane,
    565. Thodi aankho se pila de sharab bandh ho gaye hai mehkane.
    566. ——————————————-
    567. Dil mai rahti hai surat teri sanam,
    568. Duniya kehti hai khuda ka naam lane ko,
    569. Mai pita hu teri nazro ki sarab,
    570. Duniya mana karti hai sarab pine ko.
    571. ——————————————-
    572. Dagmagana bhi zaruru hai,
    573. Honsh mai aane ke lie,
    574. Choet khana bhi zaruri hai,
    575. Zaha mai naam kamane ke lie.
    576. Tum haseen ho, gulab jaisi ho,
    577. Bahut nazuk ho khawab jaisi ho,
    578. Hothon se lagakar pee jaun tumhe
    579. Sir se paanv tak sharab jaisi ho…!!

    580. **************************************
    581. Aap kitna pyara muskurate ho,
    582. Aap kitni aasani se har gam chupa lete ho,
    583. Aapki yahi aada to hamare dil ko aachi lagti hai,
    584. Esi lie to hum aapko baar-baar milna chahte hai.
    585. ————————————————-
    586. Aashman me taare chamakte hai sanam,
    587. Ye chand nikalta hai uske baad.
    588. Mohabbat kya chiz hai yeh pata tab lagta hai,
    589. Jab mohabbat me kisi se thokar lagne ke baad.
    590. ————————————————-
    591. Pyar me ye kaisi saza di hai humko,
    592. Tut ta hi nahi hai gam ka rista zindgi se,
    593. Kab khatam hoga hamare pyar ka yeh emtihan,
    594. Aye khuda tumne kaisi likhi hai hamare pyar ki dastan.
    595. ————————————————-
    596. Fark yahi hai hum dono ki chahat mei,
    597. Tum sirf mohabbat ki batee karte ho,
    598. Aur hum vo batee ko nibhana jante hai,
    599. Tum dil pe dard hi dard dena jante ho,
    600. Aur hum vo dard ko haste hue sehna jante hai.
    601. ————————————————-
    602. Hamara dil aapke bina dhadak na payenga,
    603. Jam ke bageir diwana sambhal na payenga,
    604. Mere mehbub de do hame zindgi mei aapka sahara kyoki,
    605. Aap ka yeh diwana aapke bina do kadam bhi chal na payenga.
    606. ————————————————-
    607. Mere nazuk dil pe zakhm lagaya na karo,
    608. E dost tum muje itna bhi sataya na karo.
    609. Hum to kabse aap ke aag me jalte aaye he,
    610. Hame aur gam ki aag me jalaya na karo.
    611. ————————————————-
    612. Meri barbadi ka andaaz tum na laga sakoge,
    613. Mere nikalte aanso ko tum kabhi na samaj sakoge,
    614. Ret he ret he ab to meri palko par jama,
    615. Muje suljane me tum khud he ulaj jao ge.
    616. ————————————————-
    617. Do Pyar Karnewalo Ki Dhadkano Me Ek Saaz Hota He,
    618. Sabhi Ko Apne Pyar Me Naaz Hota He,
    619. Us Me Se Sabhi Bewafaa Nahi Hote,
    620. Unki Bewafai Ke Piche Bhi Koi Raaz Hota He.

    621. **************************************
    622. Na Dil Me Samakar Bhulaya Karte He,
    623. Na Muskurakar Rulaaya Karte He,
    624. Kabhi Ahesaas Kar Ke To Dekh Lena,
    625. Ham Jaise To Dil Se Rishta Nibhaya Karte He.
    626. —————————————————
    627. Khafa Hona Aapse Ye Galti Kahelayegi,
    628. Agar Aap Huve Khafa To Saase Bhi Ruk Jaayegi,
    629. Aap Yuhi Muskurate Raho Jeevanbhar,
    630. Aapki Muskurahat Se Ye Jeevan Savar Jaayega.
    631. —————————————————
    632. Aap chale gaye ho dur kuch pal ke liye,
    633. Magar aap kareeb ho har ek pal ke liye,
    634. Kaise bhul payege aapko ek pal ke liye,
    635. Jab ho chuki he dosti aapse jivanbhar ke liye.
    636. —————————————————
    637. Hamsafar vo nahi hota jo jeewan bhar saath nibhaye,
    638. Hamsafar to vo hota he jo jeevan ke kuch palon me hi,
    639. jeevan bhar ka saath de jaye.
    640. Love for lifetime for someone special.
    641. —————————————————
    642. Milne ki tamanna mei har pal judai hi hoti hai,
    643. Wafa ki tamanna mei har pal bewafai hi hoti hai,
    644. Har dil mei zindgi Jine ki tamanna samayi to hoti hi hai,
    645. Lekin kya kare taqdir to rab ki banayi hui hoti hai.
    646. —————————————————
    647. Taqdir mei hamari rona hi likha tha,
    648. Ye judai yeh gam, ye to ek bahana tha,
    649. Diwane dil ko to ek din tutna hi tha,
    650. Yeh kaam zindgi mei aapke hantho ho gaya.
    651. —————————————————
    652. Tut jaye sabhi se riste zindgi me magar,
    653. Dil se dil ka rista kabhi nahi tutenga,
    654. Chahe bhul jaye log hame zindgi me magar,
    655. Hamara aur tumhara sath kabhi nahi tutenga.
    656. —————————————————
    657. Zindgi pe kabhi bharosa mat karna dost,
    658. Kabhi milaengi to kabhi juda karengi,
    659. Har waqt pe naya mod aayenga zindgi mei,
    660. Aur na jane kaun se mod pe aakela chodd dengi.


    661. **************************************
    662. Chand bhi suraj se hi chamakta hai,
    663. Phul khilne ke bad hi mehkata hai,
    664. Sanam pyar karne vale kahte nahi,
    665. Unki aankho se pyar khud chalakta hai.
    666. Kabhi har pal,har ghadi sath raha karte the hum,
    667. Aaj intazar rehta hai khawab me aane ka.
    668. ————————————————-
    669. Meri aankho me chahat ka jam bhara hai,
    670. Aur sanam dil me milan ki pyas hai,
    671. Sanam tum muje aapna bana lo,
    672. Bas yahi dil se mera ek aarman hai.
    673. ————————————————-
    674. Is zindgi me har roz naye log milenge,
    675. Kahi jyada to kahi kam log milenge.
    676. Kisi pe aitbaar bahot soch ke karna,
    677. Zaruri to nahi ke har jagah tumhe hum milenge.
    678. ————————————————-
    679. Kabhi kabhi sapne chori ho jate hai,
    680. Zindge se dost bhi dur ho jate hai,
    681. Par ye yaad kambakt itna satati hai ki,
    682. Aapko yaad karne ko hum mazbur ho jate hai.
    683. ————————————————-
    684. Zindagi har pal khas nahi hoti,
    685. Phulo ki khushbu humesa paas nahi hoti,
    686. Milna hamari taqdir me likha tha,
    687. Varna itni pyari dosti kabhi ittafaq se nahi hoti.
    688. ————————————————-
    689. Duniya me nahi hum dilo me rahate hai,
    690. Hum ko log nasib kahate hai,
    691. Jinse bhi humne dosti ki,
    692. Duniya wale unhe khushnasib kahate hai.
    693. ————————————————-
    694. Jeevan Laher Tha Aur Ham Saahil Huve,
    695. Pata Nahi Kaise Aap Mere Pyar Ke Kaabil Huve,
    696. Yaad Rakhege Jeevanbhar Us Haseen Pal Ko,
    697. Jab Kabhi Aap Meri Choti Si Zindagi Me Saamil Huve.
    698. ————————————————-
    699. Mohabbat Kya He Ye Hame Nahi Pata,
    700. Jeevan Ko Ham Kabhi Apna Nahi Maante,
    701. Dard Bahot Mile He Ye Ahesaas Nahi Hota,
    702. Koi Mohabbat Kare Ye Ab Yakeen Nahi Hota.


    703. **************************************
    704. कोई जीता रहा और कोई मरता रहा,
    705. इश्क़ अपना अपना काम करता रहा,
    706. धड़कन दिल कि सब कुछ केह गयी,
    707. और दिल को खामोश करता चला गया.
    708. ————————————————
    709. उनसे जब दिल कि बात होती हे,
    710. महफ़िल में जब कायनात होती हे,
    711. लब को महसूस भी नहीं होता और,
    712. आँखों आँखों में बात होती हे.
    713. ————————————————
    714. में खुद को पाके पीता हु, एक फ़िज़ा से बनके पीता हु,
    715. लोग पानी पिला के पीते हे, में तो नज़रे मिला के पीता हु.
    716. ————————————————
    717. खाली जेब थी मेरी तब, दर दर ठोकर खायी थी,
    718. पैसा पाकर भी मैंने अनमोल चाहत गवाई थी.
    719. ————————————————
    720. कभी मेरे पास आओ तो मोहब्बत के किस्से सुनाऊंगा,
    721. किस्से कहते हे मोहब्बत तुम्हे भी कभी समझाउँगा.
    722. ————————————————
    723. इस दुनिया में मोहब्बत कि तक़दीर बदलती हे,
    724. शीशा तो वोही रहता हे पर तस्वीर बदलती हे.
    725. ————————————————
    726. इस दुनिया में मोहब्बत कि तक़दीर बदलती हे,
    727. शीशा तो वोही रहता हे पर तस्वीर बदलती हे.
    728. ————————————————
    729. गिले कागज कि तरह हे मेरी ज़िंदगी,
    730. कोइ जलाता भी नही और कोई बहाता भी नही.
    731. ऐसे अकेले हो गए हे हम आज-क्ल,
    732. कोई सताता भी नही और कोई मनाता भी नही.
    733. ————————————————
    734. पास आकर दूर चले जाते हो,
    735. हम अकेले हे और अकेले ही रह जाते हे.
    736. दिल का दर्द कहे भी तो कैसे कहे,
    737. हमारे अपने ही हमे ज़ख्म देके चले जातें हे.
    738. ————————————————
    739. चाहत हे किसी चाहत को पाने की,
    740. चाहत हे चाह्त को आज्माने की.
    741. वो चाहे हमे या ना चाहे पर चाहत हे,
    742. उनकी चाह्त में मिट जाने की.
    743. ————————————————
    744. चाहो जिसे तुम चाहत से जयादा,
    745. सपने देखो जिसके तुम नींद से ज्यादा,
    746. मांगो जिसे तुम मन्नत से ज्यादा,
    747. खुदा करे वो तुम्हे प्यार करे,
    748. अपनी साँसों से ज्यादा.


    749. **************************************
    750. Aaj Phir Kahi Door Se Ek Baar Aawaz Do Muje,
    751. Meri Tanhaiya Ka Ahesaas Dila Do Muje,
    752. Tum Chaand Ko Ab Meri Kya Zarurat He,
    753. Me Diya Hu Kisi Chaukhat Pe Jala Do Muje.
    754. ———————————————–
    755. Aaj Kyu Hame Bahot Hichkiya Aane Lagi He,
    756. Havaa O Ke Rukh Se Bhi Siskiya Aane Lagi He,
    757. Ye Sochkar Dil Aaj Bahot Khush He,
    758. Ke Yaad Meri Bhi Aaj Kisi Ko Aane Lagi He.
    759. ———————————————–
    760. Ham Tute Dilo Ko Manane Me Reh Gaye,
    761. Logo Ko Hamara Dard Sunane Me Reh Gaye,
    762. Manzil Hamare Kareeb Se Guzar Gayi,
    763. Aur Ham Logo Ko Raasta Dikhane Me Reh Gaye.
    764. ———————————————–
    765. Pyaare Se Dil Ne Hame Deewana Sa Bana Diya,
    766. Rote Na The Kabhi Par Aap Ne Rula DIya,
    767. Hamne To Har Pal Aapko Yaad Kiya Lakin,
    768. Aap Ne Yaad Karte Karte Barso Laga Diya.
    769. ———————————————–
    770. Meri Dil Ke Gehrai Ko Koi Jaan Paaya Hi Nahi,
    771. Kitne Tanha Ho Gaye He Ham Koi Samaj Paaya Hi Nahi,
    772. Zindagi Me Kisi Ko Hamari Kami Dil Se Mehsoos Ho,
    773. Shayad Khuda Ne Hame Aisa Banaya Hi Nahi.
    774. ———————————————–
    775. Sirf Dekhne Se Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti,
    776. Mulaqaat To Hoti He Par Kabhi Barsaat Nahi Hoti,
    777. Hame Pata He Ke Ham Kabhi Aapki Nahi Ho Sakti,
    778. Phir Bhi Is Dil Me Kabhi Raat Nahi Hoti.
    779. ———————————————–
    780. Mere Khawabo Me Har Pal Basaya He Aapko,
    781. Meri Zindagi Me Har Din Sajaaya He Aapko,
    782. Kyu Aapko Is Tarah Yaad Na Kare,
    783. Jab Ki Rab Ne Mere Liye Hi Banaya He Aapko.
    784. ———————————————–
    785. Zindgi ke safar me aap ka sahara chahiye,
    786. Aanshuo me dubte ko kinara chahiye,
    787. Har muskil ko haste hue samna karenge,
    788. Bas pyar bhara aapka ek ishara chahiye.
    789. ———————————————–

    790. **************************************
    791. Hawa Ke Bina Sunhari Fiza Me Surur Na Hota,
    792. Chandni Ke Bina Bhi Chand Ko Gurur Na Hota,
    793. Aap Jaisa Dost Agar Zindagi Me Na Hota,
    794. To Ye Dil Bhi SMS Karne Ko Mazboor Na Hota.
    795. ————————————————
    796. Dost Ladkiya Har Valentine Day Par Gift Mangti He,
    797. Chocolate Day Par Bahot Chocolates Mangti He,
    798. Rose Day Par Khubsurat Ross Mangti He,
    799. Par Kiss Day Par Kiss Kyu Nahi Mangti.
    800. Ye Sahi Nahi He Dosto.
    801. ————————————————
    802. Har Pal Har Din Imtehaan Leti He Zindagi,
    803. Har Kadam Pe Nayi Pahechan Deti He Zindagi,
    804. Fariyaad Kare Bhi To Kya Ye Zindagi Se,
    805. Aap Jaise Dost Bhi To Deti He Ye Zindagi.
    806. ————————————————
    807. Dosto Ki Mehfil Aise Jamaai Jaati He,
    808. Kholne Se Pahele Bottle Hilaye Jaati He.
    809. Phir Ek Aawaz Lagai Jaati He,
    810. Aa Jaao Tute Dilwalo,Yaha Dard Ki Dava Pilaayi Jaati He.
    811. ————————————————
    812. SMS Tu Chala Ja Banke Pyara Sa Gulaab,
    813. Dosti Hogi Sacchi To Zarur Aayega Javaab,
    814. Agar Na Aaye Javaab To Na Hona Udaas,
    815. Yahi Samajna Ke Nahi He Waqt Unke pass.
    816. ————————————————
    817. Zindagi Me Jitni Dosti Mili He Aapse,
    818. Uss Se Jyada Paane Ko Dil Karta He.
    819. Jaane Wo Kaun Si Baate He Aapme,
    820. Ke Aapse Dosti Nibhaane Ko Dil Karta He.
    821. ————————————————
    822. Kaise Jee Rahi Hu Nahi Jaanti,
    823. Kyu Aabhi Jee Rahi Hu Nahi Jaanti,
    824. Maut To EK Baar Aani He Dosto,
    825. Par Tu Kab Aayega Nahi Jaanti,
    826. Chahti Hu Tuje Ye To Saara Zamana Jaanta He,
    827. Tu Kab Chahega Nahi Jaanti,
    828. Teri Thi Teri Hu Aur Teri Rahengi,
    829. Tu Kab Mera Hoga Nahi Jaanti.
    830. ————————————————
    831. Zindagi Ki Raftaar Ne Thoda Badal DIya He Muje,
    832. Dosto, Warna Wafa Par To Ab Bhi Yakeen Karta Hu,
    833. Bas Mohababt Se Nafrat Ho Gayi He Hame.

    834. Teri dosti mei ek nasha hai,
    835. Tabhi to yeh sari duniya humse khafa hai,
    836. Na karo humse itni dosti mere dost,
    837. Ki dil humse puche, teri dhadkan kaha hai.
    838. ———————————————–
    839. Labo Pe Hamesha Ulfat Ke Fasaane Nahi Aate,
    840. Jo Kabhi Beet Jaate He Wo Jamaane Nahi Aate,
    841. Dost He Hote He Dosto Ke Hamdard Yaha,
    842. Kabhi Fariste Yaha Saath Dene Nahi Aate.
    843. ———————————————–
    844. Fasle mitakar aapas mei pyar rakhna,
    845. Dosti ka ye rista hamesa barkarar rakhna,
    846. Bichad jaye zindagi me kabhi aapse hum to,
    847. Aankho me hamesha hamara intazar rakhna.
    848. ———————————————–
    849. Zindagi Me Hazaaro Log Mile He Yaha Mere Dosto,
    850. Par Wo Sab Se Juda Tha Jo Hamare Naseeb Me Nahi Likha Tha.
    851. ———————————————–
    852. Har Din Dosto Se Mohabbat Kiya Karte He,
    853. Ek Ajeeb Sa Apne Aap Se Savaal Kiya Karte He,
    854. Message To Kahi Aur Se Bhi Aate Rahete He,
    855. Phir Bhi Ham Apke Message Ka Intezaar Kiya Karte He.
    856. ———————————————–
    857. Dost Ho Aap Mere Ye Baat Batana Chahti Hu,
    858. Dosti Ko Ehsaas Aapko Dikhana Chahti Hu,
    859. Aap To Hamare Liye Ek Chaand Jaise Ho,
    860. Jise Har Raat Sone Se Pahele Dekhna Chahti Hu.
    861. ———————————————–
    862. Hamara har lamha chura liya aapne,
    863. Aankho ko ek chand dikha diya aapne,
    864. Hame zindagi di kisi aur ne,
    865. Par itni dosti karke jina sikhaya aapne.
    866. ———————————————–
    867. Aaj Ka Har Ek Pal Khubsurat He,
    868. Mere Dil Me Sirf Tumhari Surat He,
    869. Kuch Bhi Kahe Duniyawale Koi Gam Nahi,
    870. Duniya Se Jyada Aaj Teri Dosti Ki Zarurat He.
    871. ———————————————–
    872. Dost Hazaaro Ladkiya Aati He Aur Jaati He,
    873. Hazaro Hasati He Aur Rulaati He,
    874. Lakin Dost Saath Wohi Nibhati He,
    875. Jo Doli Me Aati He Aur Gale Pad Jaati He.


    876. **************************************
    877. Bhul jaunga sari duniya ki bahar ko,
    878. Aagar jawa dil ko mile sath tumhara,
    879. Na chodenge hum mohabbat me raah wafa ki,
    880. Aagar de do tum hame hato me hath tumhara.
    881. ————————————————
    882. Wo Kitne Badal Gaye He Halaat Ki Tarah,
    883. Jab Bhi Mile Wo Hame Mulakaat Ki Tarah.
    884. Ham Bhi Kya Kisi Ke Husn Ka Sauda Karte,
    885. Ye Zindagi Bhi Mili He To Khairat Ki Tarah.
    886. ————————————————
    887. Kaash Guzarte Waqt Ko Kabhi Rok Paate,
    888. Dosti Me Guzaara Har Pal Jod Paate,
    889. Hame Nahi Pata Kitni Yaade Dosto Ne Hame Di He,
    890. Kaash Un Dosto Ke Liye Zindagi Piche Mod Paate.
    891. ————————————————
    892. Waada Todne Ke Liye Kiya Nahi Jaata,
    893. Soch Samajkar Ishq Nahi Jaata,
    894. Zindagi Me Mohabbat Ho Ya Dosti,
    895. Agar Dil Se Ki Ho To Uske Bina Ek Din Bhi Jiya Nahi Jaata.
    896. ————————————————
    897. Life Me Kabhi Mehsus Karke To Dekho,
    898. Life Ishq Aur Love Me Pyari Si Lagti He,
    899. Par Ye Mat Bhool Na Mere Dosto,Tanhai Me,
    900. Real Life Bahot Sidhi Aur Sacchi Lagti He.
    901. ————————————————
    902. Zindagi Ke Har Pal Ham Aapke Saath He,
    903. Dur Hote Huve Bhi Ham Aapke Pass He,
    904. Aapko Hamari Yaad Ho Na Ho Par Aapki Kasam,
    905. Hame Har Pal Aapki Kami Ka Ahesaas He.
    906. ————————————————
    907. Itna bebas ho jata he insane kismat ke aage,
    908. Har sapna tut jata he zindgi me hakikat ke samne.
    909. Jis ne bhi kabhi is duniya me zukna nahi sikha,
    910. Wo bhi zuk jata he zindgi me pyar ke aage.
    911. ————————————————
    912. Dil ke gaherai se chaha he tumhe,
    913. Badi duaon se paya he tumhe,
    914. Tumhe bhulane ki sochu to kaise,
    915. Kyu ki kismat ki lakeero se churaya he tumhe.


    916. **************************************
    917. Jaise khushbu ke bageir fhul nahi mahakte,
    918. Jaise Chand ke bageir sitare nahi chamakte,
    919. Jaise dhadkano ke bageir dil nahi dhadkte,
    920. Vaise aap jaise dost ke bageir hum nahi reh sakte.
    921. ———————————————–
    922. Aashman me ek sitara na ho phir bhi,
    923. Aashman sitaro se chamakta hi rahenga.
    924. Hum na rahe aapki zindgi mei phir bhi,
    925. Hamare pyar ka sitara yu hi chamakta rahenga.
    926. ———————————————–
    927. Ret ke shahar me hamne mahel banaya tha,
    928. Kagaz ki kasti ka hamne saher banaya tha,
    929. Ek hava ka zoka sab kuch uda le gaya,
    930. Shayad hamne he hamara rista kamzor banaya tha.
    931. ———————————————–
    932. Unho nehe katla kiya phir bhi woh bedaag bachte rahe,
    933. Barbadi ke meri woh kaisi sajeesh rach gaye.
    934. Bereham unki aadao se hum dil kya laga bethe,
    935. Hum apne banaye jaal me khud ko he fasa bethe.
    936. ———————————————–
    937. Hamne suna he ke tere dar par der he par andher nahi he,
    938. Par ab to javaani bhi unka naam lekar dhalane lagi he,
    939. Hamari zindgi me itne gam aa gaye,
    940. Ke parchai bhi hamare saath rahane se darne lagi.
    941. ———————————————–
    942. Din Guzarte Rahe Par Saanse Ruki Si Thi,
    943. Chahere Pe Muskurahat Si Thi Par Aankhe Namisi Thi,
    944. Saath Hamare Ye Jahan Tha Saara,
    945. Par Kya Maalum Kyu Kisi Ki Kami Si Thi.
    946. ———————————————–
    947. Is se pehle ke sare khawab tut jaye,
    948. Aur ye zindagi humse ruth jaye,
    949. Ek dusre ke pyar me kho jaye is kadar,
    950. Ke hum sare gamo ko bhul jaye.
    951. ———————————————–

    952. **************************************
    953. Mohabbat Usko Milti He Jinka Naseeb Hota He,
    954. Bahot Kam Haato Me Ye Mohabbat Ki Lakeer Hoti He.
    955. Kabhi Koi Apni Mohabbat Se Na Bichde,
    956. Kasam Se Aise Haalat Me Bahot Taqleef Hoti He.
    957. ————————————————–
    958. Shayari Ki Zarurat Mehfil Me Hoti He,
    959. Mohabbat Ki Zarurat Dil Me Hoti He,
    960. Dosti Ke Bina Kuch Nahi He Ye Zindagi,
    961. Kyu Ki Dosti Ki Zarurat Har Pal Me Hoti He.
    962. ————————————————–
    963. Ye Kaisa Waqt Aa Gaya He Mere Dosto,
    964. Pahele Subah Hote He Sabhi Bhagwan Ki Tasveer Dekhte The,
    965. Ab Dekhte He Ki Kitne Miss Call Aur Text Aaye He,
    966. Ye Kaisa Zamana Aa Gaya He Mere Dosto.
    967. ————————————————–
    968. Mohabbat Ke Khawab Wo Batate Bahot He,
    969. Raato Me Har Pal Wo Jagate Bahot He,
    970. Ham Ye Aankho Me Kaajal Lagaye Bhi To Kaise,
    971. Kyu Ki In Aankho Ko Wo Rulaate Bahot He.
    972. ————————————————–
    973. Tumhari Mohabbat Se Hame Koi Inkaar Nahi,
    974. Kaun Kaheta He Ke Hame Tumje Mohabbat Nahi,
    975. Tumse Waada He Saath Nibhane Ka,
    976. Par Hame Apni Saanso Pe Aitbaar Nahi.
    977. ————————————————–
    978. zindgi ek hasin khawab ke jaisi hai,
    979. Yaha har khawab pure nahi hote.
    980. Tut kar bikhar jate hai khawab zindgi me,
    981. Jiski zindgi me aap jaise dost nahi hote.
    982. ————————————————–
    983. Khushbu dosti ki ishq se kam nahi hoti,
    984. Ishq se zindgi khatam nahi hoti,
    985. Sath aagar zindgi me dosto ka ho to,
    986. Zindgi jannat se kam nahi hoti.
    987. ————————————————–
    988. Khamosh Hotho Pe Hazaaro Pahere Hote He,
    989. Pyaari Aankho Me Bhi Zakhm Lage Hote He,
    990. Jinse Har Baar Khafa Ho Jaate He Hum,
    991. Haqiqat Me Unse He Rishte Gahere Hote He.
    992. ————————————————–
    993. Dil ki hasrat zuban per aane lagi,
    994. Tumko dekha aur zindegi muskurane lagi,
    995. Yeh dosti ki inteha hai, ya meri deewanagi,
    996. Har surat mei teri surat nazar aane lagi.


    997. **************************************
    998. Khubsurat sa ek pal kissa ban jaata he,
    999. Jaane kaun kab zindagi ka hissa ban jaata he,
    1000. Kuch log zindagi me milte he aise,
    1001. Jinse kabhi naa tutne wala rishta ban jaata he.


    No comments :

    Post a Comment