- Pachtayi bahot us k darwaze par dastak de kar
- dard ki inteha ho gai jab uss ne poocha kon ho tum
- ------------------------------------------------
- Koi Humdard Na Tha To Koi Bhi Dard Na Tha
- Achanak EK Humdard MiLa Phir Usi Se Har Dard Mila
- ------------------------------------------------
- Jaane lage jab vo chod kar daman mera
- Tute dil ne himakat kardi
- Socha tha ki chhupa lenge gam apna
- Par kambakht aankhon ne bagawat kardi
- ------------------------------------------------
- Alfaaz To Bahot Hai Meri Mohabbat Bayaan Karne Ke
- Liye
- Aye Sanam Per Tum Meri Khaamoshi Nahi Samajhte To Mere Alfaaz Kya Samjhoge
- ------------------------------------------------
- Muhabbat ki talash me chod diya sukoon apna
- warna humari ye choti si umar dard ke kabil to na hoti
- ------------------------------------------------
- Bikhar rahe hain meri zindagi key tmam wark
- Na jane kab koi aandhi udha ke le jaye
- Main kab tak dusro ke dukh sambhne ka rakhu farz
- Jis jis ke hain nishani bta ke le jaye
- ------------------------------------------------
- Dilasa Dete Hain Log, Ke Yun Har Waqt Na Roya Karo
- Main Kaise Bataun Ke Kuch Dard Sehne Ke Qabil Nahi Hote
- ------------------------------------------------
- Suna hai zamane mein chalte hain rishwaton ke silsiley bhi
- Unse kaho ki kuch le de ke mohabat kar lein humse
- ------------------------------------------------
- sari duniya rooth jaye to parwah nahi
- ek teri khamoshi mujhe takleef deti hai
- ------------------------------------------------
- Ehsas k daman me ansu gira k dekhiye
- Dosti kitni sachi hai ajma k dekhiye
- Apko bhul kar kya hogi dil ki halat
- Kisi aaine par patthar gira k dekhiye
- ------------------------------------------------
- ISHQ mein Mera tootna to Lazim Hi Tha
- Kaanch ka DIL Tha aur Mohabbat patthar se Ki
- ------------------------------------------------
- Zakham de kar na puch dard ki shiddat
- Dard to phir dard hai kam kya zeyaada kya
- ------------------------------------------------
- Aaj Woh Bhi Ro Padi Mujhe Kafan Me Dekh Ke
- Dosto
- Jo Kahti Thi Ki Intzar Hai Mujhe Teri Mayyat Pe Muskurane Ka
- ------------------------------------------------
- Maang Liya Hai Teri Zindgi ke Saare Gum ye keh kar
- Yaa Rab Wo Bahoot Maasoom Hai Uski Hifaazat Karna
- ------------------------------------------------
- Koi Mila hi nHi jis Ko Wafa dete
- Har Ak Ne Dokha Diya kis kis ko saza Dete
- ------------------------------------------------
- Ek bewafa jisne tanhai ka manjar nahi dekha
- Afsos mere dil ke andar nahi dekha
- Mujhe dekhkr usne patthar bata diya
- Me mom tha chukar nahi dekha
- ------------------------------------------------
- Ae zindagi yu mujse Daga na kar
- me zinda rahu Bin uske ye dua na kar
- koi dekta he use to hoti he jalan
- Ae Hawa tu B use chuva na kar
- ------------------------------------------------
- Khushion se naraz hai meri zindagi
- Pyar ki mohtaz hai meri zindagi
- Has leta hoon logon ko dikhane ke liye
- Varna dard ki kitaab hai meri zindagi
- ------------------------------------------------
- Dil ke chhalon ko koi shayari kahe
- To dil ko dard nahi hota
- Takleef to tab hoti hai
- Jab log wah-wah karte hain…
- ------------------------------------------------
- Being happy doesnt mean everything is perfect
- It means you ve decided to look beyond the imperfections
- ------------------------------------------------
- Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya
- Khali Hi Sahi Hathon Me Jaam To Aaya
- Main Hoon Bewafa Sabko Bataya Usne
- Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya
- ------------------------------------------------
- Nikalta chand sabko pasand aata hai
- Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
- Tootta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
- Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai
- ------------------------------------------------
- Vo naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi
- Kaha se laye lafz jab mile nahi
- Dard ki juban hoti to bata deta shayad
- Wo zakhm kaise kahe dikhte hi nahi
- ------------------------------------------------
- Dard Hua Hai Humein Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage
- Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage
- Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke
- Her dil mein thoda sa to dard jage
- ------------------------------------------------
- Dard ko Bhi Dard Hone Laga
- Dard Khud Hi Mere Ghaao Dhone Laga
- Dard Ke Liye Main Na Roya
- Lekin Dard Mujhe Chhu kar Khud Rone Laga
- ------------------------------------------------
- Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki
- Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki
- Apna dard kise dikhau aye dost
- Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki
- ------------------------------------------------
- Dil ke dard ko dil torne wale kya jana
- Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane
- Hoti hai kitni taklif kabar ke niche
- Yeh upar se phool charane wale kya jane
- ------------------------------------------------
- Toota ho dil to dukh hota hai
- Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai
- Dard ka ehsaas to tab hota hai jab
- Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai
- ------------------------------------------------
- Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai
- Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai
- Kash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko
- Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai
- ------------------------------------------------
- Aaj Fir uski yaad ne rula diya
- kaisa hai ye chera jisne ye sila diya
- Do lafj likhne ka salika na tha
- Uske pyar ne mujhe shayar bana diya
- ------------------------------------------------
- Saara din lag jata hai khud ko sametne mein
- Phir raat ko unki yaadon ki hawa chalti hai
- aur hum phir bikhr kar reh jate hai
- ------------------------------------------------
- Sacche pyar mein nikle aansu aur
- Rote hue bacche ke aansu ek smaan hote hai
- Kyoki dono ko pata to hai ke dard kya hai
- Par kisi ko bata nahi sakte.
- ------------------------------------------------
- Ek din usne Mujhse kha tha ki main tumhe apna bna k choduga.
- Aaj usne apna wadaa pura kar diya.
- Usne Mujhe apna bna ke chod diya.
- ------------------------------------------------
- Jab dil tut ta hai toh aawaz nahi aati
- Muhabbat har kis ko raas nahi aati
- Ye to apni apni baat hai yaaro koi
- kisiko bhula nahi pata Aur kisi kisi ko yaad nahi
- ------------------------------------------------
- Pyar ka to dushman zamana hai
- har ashiq k pyar ka apna hi fasana hai
- Sabko pata hai Aansu hi milte hai pyar me
- fir Bina jane kyu har koi pyar me Deewana hai
- ------------------------------------------------
- Wo humara imtihan kya lagi
- Milege nazro se nazar to Apni nazre jhuka legee
- Use meri kabra par deeya jalane ko mat kahna
- Wo nadan hai dosto apna hath jala legi…
- ------------------------------------------------
- ungliya meri wafa pe na uthana koi,
- jisko shaq h, wo mujse nibha k dekh le..!
- ------------------------------------------------
- Dekha Palat Kar Usne Chahat Use Bhi Thi
- Duniya Se Meri Tarah Shikayat Use Bhi Thi
- Woh Roye The Mujko Pareshan Dekh Kar
- Us Din Pata chala Meri Zarurat Use Bhi Thi
- ------------------------------------------------
- Aaj bhi wo msg tumhara pata dhundrha h..
- Jisme likha tha.."ek baar toh puchlo kaisa hun mai"
- ------------------------------------------------
- Kuch na kaho dil mein hai jo Aankhon se baat ho jayegi
- Tum bhi suno mein bhi sunu Bas yuhi raat guzar jayegi
- Kaisi beeti din ki yaadein Beete pal ki baatein Hai
- aansoon kaise Tumko ab na jaane dunga Tera hi rahoonga
- jaan lo yeh Tum meri ho
- ------------------------------------------------
- Na Mai Vo Rha Hun Na Rhe Ho Tum Vahi…!!
- Batte Aur Hi Hai… Hai Jo Bakai Ab Bachi…!!
- Tujhkko Bhulla Diyya Dill See Mitta Diyya…!!
- Tera Na Lunga Ab Naam…!!Mai Naa Wo Rahha…!!
- Jo Kabhi Main Tha…!!Bhul Geyya Tera Patta…!!
- Tujh Se Judaa Hoke Hun Judaa…!!Bhul Gyya Mai Na Wo Rhha…!!
- ------------------------------------------------
- Kaash Aansoun ke Saath Yaadein Bhi Beh Sakti
- Toh ik Din Tasallii Say Baith kar Roo Lety.........
- ------------------------------------------------
- Kis Qadar Teri Fikar karta hon Kabhi itna To Soch.
- Warna main to Wo KhudGarz hu Jisko Apni Zindagi Se bhi Pyar Nahi.
- ------------------------------------------------
- Aao Miltay Hain Ab Tasalli Say,
- Zindagi Darmiyan Thi Pehlay.
- ------------------------------------------------
- ISHQ mein Mera tootna to Lazim Hi Tha.....
- Kaanch ka DIL Tha aur Mohabbat patthar se Ki.......
- ------------------------------------------------
- Naseeb K Khel Ko Bhi Ajeeb Tarah Say Khela Hai Hum Nay.
- JO Na Thay Naseeb Main Usi Ko Toot Ker Chah Bethay.
- ------------------------------------------------
- ------------------------------------------------
- Tha mai neend me or
- mujhe itna
- sajaya jaa rha tha....
- .
- Bde pyar se
- mujhe Nehlaya jaa rha
- tha....
- .
- Na jane
- tha wo konsa ajab khel
- mere ghar
- me...
- .
- Bachcho ki tarah mujhe
- kandhe pr uthaya jaa
- rha
- tha...
- .
- Thapaas mera hr apna
- us
- waqt...
- .
- Phir bi mai hr kisi k mann
- se
- bhulaya jaa rha tha...
- .
- Jo kbi dekhte
- bi na the mohabbat ki
- nigahon
- se...
- .
- unke dil se bi pyar mujh
- pr
- lutaya jaa rha tha...
- .
- maloom nhi kyu
- hairaan tha hr koi mujhe
- sote
- huye
- dekh kr...
- .
- Zor-Zor se Rokar muje
- jagaya jaa rha tha...
- .
- kaanp uthi
- meri rooh wo manzar
- dekh
- kr...
- .
- jaha mujhe hmesha k
- liye
- sulaya jaa rha tha...
- .
- mohabbat ki
- inteha thi jin dilo me
- mere
- liye...
- .
- unhi dilo se aaj mai,ek
- pal
- me door jaa rha
- tha......!!!!!! !!!
- ------------------------------------------------
- Aaj bhi kitna nadan hai dil samajhta hi nahi,
- Barso baad bhi unhe dekha to duwayen mang baitha..
- ------------------------------------------------
- Na Kar Itna Zulam Us Pe Jo Tujh Se Pyar karta Hai
- Tere Qabil Na Sahi Magar Insan To Hai..
- ------------------------------------------------
- Lahron Ko Shaant Dekh...
- Lahron Ko Shaant Dekh Kar Yeh Mat Samjhna....
- Ki Samundar Mein Ravaani Nahi Hai !
- ------------------------------------------------
- Jab Bhi Uthengi Tufaan Bankar Uthengi...
- Abhi Uthne Ki Thaani Nahi Hal !!
- ------------------------------------------------
- Zakham de kar na puch dard ki shiddat....
- Dard to phir dard hai, kam kya, zeyaada kya
- ------------------------------------------------
- Gujra hai mohabbat mein kuch aisa bhi zamana,
- Rootha hoon agar main to manaya tha kisi ne..
- ------------------------------------------------
- Aye Mohobbat Tu Meri Mohobbat Ka Khyal Rakhna,,,,,
- Main Rahu Na Rahu Tu Use Sambhal Rakhna,,,,
- Bahut Nadan Hai Wo Meri Jaan -Ae - Wafa,,,,
- Tu Uski Hasi Ko Hamesa Bar-karar Rakhna,,,,
- Naa Gire Aansu Ki Ek Bund Bhi Uski Aankho Se,,,,
- Tu Motiyo Ki Tarah Uske Aansu Ko Sambhal Rakhna,,,,
- Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Me To Use Itna Kehna,,,,
- Ki Main Laut Aaunga Bas Mujpe Thora Aitbaar Rakhna,,,,
- Aur Jab Tak Main Laut Naa Aau Tab Tak Aye Mahobbat,,,,
- Tu Meri Mahobbat Kaa Khyal Rakhna....!!!
- ------------------------------------------------
- Zindagi Ka Pehla Pyar Kaun Bhulata Hai,
- Yeh Pehli Baar Hota Hai,
- Jab Koi Kisi Ko Khud Se Badhkar Chahta Hai,
- Uski Pasand, Uski Khwahish,
- Mien Khud Ko Bhul Jaata Hai,
- Akele Mein Uska Naam Likh-Likh Mitata Hai,
- Baat Karne Se Pehle Sochta Hai Kya Kehna Hai,
- Baat Hone Ke Baad Phir Bhi Kuch Reh Jaata Hai,
- Hota Hai Khubsurat Kitna Pehla Pyar,
- Naa Jaane Kyun Aksar Adhura Reh Jaata Hai
- Pehla pYAR....!!!
- ------------------------------------------------
- Puchcha jo humne kisi or k hone lage ho kya,
- woh muskura ke bole pahele tumhare the kya.!
- ------------------------------------------------
- Haath Padne Wale Ne To
- Pareshani Me
- Daal Diya Mujhe...
- .
- .
- .
- .
- .
- .
- .
- Aye_Doston
- .
- .
- .
- .
- Mere Haath ki Lakire Dekh Kar
- Bola:
- "Tujhe Mout Nahi
- Kisi Ki CHAAHAT Maaregi..."
- ------------------------------------------------
- Aey ishq kaisa insaaf hai tera,
- khata lamhon ki aur saza sadiyon ki..!
- ------------------------------------------------
- Zaruri toh nahi jo shayari kre usse ishq hi ho..
- Zindgi bhi kuch zakhmm be_misaal diya krti hai..!
- ------------------------------------------------
- Insaan na kabhi haskar sikhta hai ,
- Na kabhi rokar sikhta hai ,
- Par...............
- Jab bhi sikhta hai ,
- Ya toh kisi ka hokar sikhta hai ,
- Ya kisi ko khokar sikhta hai
- Isse bada sabra ka saboot ,
- Main tujhe kya deta !
- Tu mujhse lipat kar roti rahi ,
- Woh bhi kisi or ke liye !!
- ------------------------------------------------
- Ek ladki roz ek gali se gujra karti thi,
- apne chere ko nakab se dhaka rakhti
- thi.
- Ek ladka uspe marta tha,
- sayad wo use dil se payar karta tha.
- Ek din ladki ne us ladke ke padosi se pucha,
- kaha gaya wo aashik?
- To usne bataya aapko aane me der ho
- gai,
- us diwane ki kal raat mot ho gai?
- Padosi ne apna frz nibhaya, ladki ko kabr tak le gaya.
- Ladki kabr par rone lagi
- apne ansu se kabr ko dhone lagi.
- Kabr se aawaz aayi"A khuda ye kesa
- inklab aya he, aaj me parde me hu or
- mera mehbub benakab aya he.".!
- ------------------------------------------------
- Kitna dard hai dil mai dikhaya nahi jata,
- Gambhir hai kissa sunaya nahi jata,
- Ek bar ji bhar ke dekh lo is chehare ko,
- Kyonki bar bar "KAFAN" uthaya nahi jata
- ------------------------------------------------
- Muddat se door the ,
- Barson baad milna accha laga !
- Sagar se gahri lagi
- Aapki mohhabat !
- Tairna toh aata tha ,
- Doobna accha laga !!
- Posted by: Admin at 8 Months ago
- Kisi bhi insan ko...
- Kisi bhi insan ko dukh dena ,
- Itna aasan hai ,
- Jitna samundar mein patthar fekna .....
- Magar yeh koi nahi janta ki ,
- Woh patthar kitni gahrayi mein gaya hoga !!
- ------------------------------------------------
- Ankhon Ki Hoti Hai Khata !
- Or Sazaa Dil Ko Mil Jati Hai !!
- Is Baat ko To Aaj Tak Na Samajhe !
- Zindagi Youn Kese Badal Jati Hai !!!
- ------------------------------------------------
- Khud par itna toh yakeen hai mujhe , ki
- Koi chod sakta hai magar bhula nahi sakta !
- ------------------------------------------------
- Dil ko dil se juda na kijiye ,
- zara soch samajh kar faisla lijiye !
- Agar aap ji sakte hain humare bina ,
- toh bas humare marne ki dua kijiye !!
- ------------------------------------------------
- Jab nikalta hai koi ,
- Dil me bas jaane ke baad !
- Dard kitna hota hai ,
- Bichad jaane ke baad !
- Jab paas hota hai ,
- Uski kadra nahi hoti !
- Kami mahsus hoti hai ,
- Uske door jaane ke baad !!
- ------------------------------------------------
- Kisi ko kya hasil hoga mujhe yaad karne se...
- Doston...
- mein toh ek aam insan hoon,
- or yahan toh har kisi ko khaas ki talash hai....
- ------------------------------------------------
- Ek din rutba mein bhi dikhungi ,
- jee bhar ke sabko mein bhi rulanungi !
- Paidal chal rahe honge mere dost saare ,
- or mein aaram se kaandon par let kar jaungi !!
- ------------------------------------------------
- Hazaro Khushiya Kum Hai Tere Ek Gum Ko Bhulane Ke Liye,
- Tera Ek Gum Kafi Hai Muje Zindagi Bhar Rulane Ke Liye......!!
- ------------------------------------------------
- Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,
- Har pal har mod Tanha hai sirf mere liye,
- Koi nai apna kehne ke liye,
- Zindagi ek saza hai jeene ke liye,
- Pyar ek dhokha hai paane ke liye,
- Yun to yaha bheed hai logo ki,Par har koi yah marta Paiso k liye,
- Jeena Padega Janam dene walo ke liye,
- Marna padega ek din Zamane ke liye,
- Apne liye Kya kiya maine,
- Har pal marti rahi Pyar “Paane ke liye”
- ------------------------------------------------
- Jaane Ye Kaun Sa Mausam Hai!
- Jaane ye kaun sa mausam hai
- Na sardiyon ki dhoop hai
- Na din yahan par kam hai
- Na thand ka koi bhi roop hai
- Na mitti ki khushbu hai
- Na bheege yauvan mein hulchul
- Na baadalon mein guftagu hai
- Na chai pakodi ka hi koi pal
- Dhoop bhi chilchilaati nahi
- Na chaandni ka koi aalam
- Na jharnon ki aarzoo kahin
- Na ye chhuttiyon ka mausam
- Sarson bhi nahi dikhte hain
- Patang asma me ab tak na naacha hai
- Naye patte bhi kahin na ugte hain
- Na muskaraata koi bhi raasta hai
- Jaane ye kaun sa mausam hai
- Tum paas hokar bhi itne door ho
- Har baat shuru hone se pehle khatm hai
- Kaam ho na ho, masroof ho.
- ------------------------------------------------
- Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
- Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
- Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
- Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
- Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
- Wo zamänay ko mera haal suna kar roya
- Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
- Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
- Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
- Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya..
- ------------------------------------------------
- Kaun Hain Wo Log
- Jo Kar Rahe Hain Vyapaar Maut Ka
- Pila Ke Nasheeli Davaayen
- Laga Ke Zehreele Injection
- Kar Rahe Hain Kaam Ek Saut Ka
- Lad-Khadate Kadam
- Ukhadati Saanse
- Jharjharata Badan
- Chhod Nahin Paata Is Latt Ko
- Ye Latt Jaanleva Hai
- Samajh Nahin Paata Is Sat Ko
- Wo Log Jo Is Vyapaar Me Lage Hain
- Wo Na Kisi Ke Bhayi Hain Na Kisi Ke Sge Hain
- Unhone Har Haal Me Apni Rotiyan Seki Hain
- Aag Stove Ki Ho Ya Chita Ki
- Unhe Sunai Nahi Deti Siskian
- Wo Kisi Maa Ki Ho Ya Pita Ki.
- ------------------------------------------------
- Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
- Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
- Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
- Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
- Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
- Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
- Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
- Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
- Mar gaye auroon kay liye ham yaara
- Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do
- ------------------------------------------------
- Marne k baad bhi na, sone diya hame…apne kiye khata pe na rone diya hame …..
- Haste rahe tum,jab ro raha the hum teri bewafai me…agaaz ka yahi anjaam hota hai es khudai me…..
- Jab se dil lagaya ansu bahate chale gaye…teri judai me gam ko chipate chale gaye…..
- Ab dard he bacha tha,lut cheke the hum…es jalim duniya ne kiya es kadar situm…..
- kar li humne khud kushi,teri khushi k vaste…bhula diya tujhe,chod diya tere raste…..
- Mar k bhi mila na chain, jo tum kabr par aa gaye…khata bus etna kiya ‘Aansu’ baha gaye…..!!
- ------------------------------------------------
- Qeqahay Qehqahay
- Roshni Roshi
- Nazer Ki Zuban Mien Thee Chashni
- Saray Aaina Bhi
- Pasay Aaina Bhi
- Aagehi Thee Ya Khud Aagehi
- Qehqishan Qehqishan
- Jugnoon Say Bani
- Jhilmilati Rida….
- Khushi Si Khushi Thee
- Nasha Sa Nasha
- Wohi Bankpun Tha
- Wohi Thee Aada
- Wohi Hath Thay
- Makhmali Makhmali
- Sandliy Sandliy
- Mager Un Pay Ub Thee
- Bari Kham Si
- Kisi Aur Nam Ki
- Bilbilati Hina…
- Jeet K Jub Chali Zindagi Samnay
- Raakh Ka Dheir Thee Zindagi Samnay
- ------------------------------------------------
- Raahein aashiqui ke maare, raahein aam tak na pahuche,
- kabhi subah tak na pahuche, toh kabhi shaam tak na pahuche
- Mujhe mast agar bana de yeh mast Nigaah teri,
- Mera haath kya meri nazar bhi kabhi Jaam tak na pahuche,
- Mujhe Gham nahi apni Bekasi ka koi, khayal yeh hai
- Baat badte badte tere naam tak na pahuche,
- Ab koi ruthein na is tarah kisi se,
- Ki payaam tak naa aaye aur salaam tak naa pahuche.
- ------------------------------------------------
- Yehi wada lia tha na
- Hmaisha khush he rehna hai
- To daikho, daikh lo a kar
- Meri ankhun ko daikho tum
- Yeh kitni shokh lagti hain
- Mere honton ko daikho tum
- Hmaisha muskuratay hain
- Koi bhi gham agar aya
- Isy hans kar saha main ne
- Mere chehry ko daikho tum
- Hmaisha purskun hoga
- TU SOCHO GAY…
- Kiya tha mein ne jo tum se
- Wo wada kar dia pora,
- Magar
- ------------------------------------------------
- Kya umeed kare hum un se jin ko wafa malum nahi
- gham dena malum hai lekin gham ke dawa malum nahi
- jin ke gali mein umr ganva di jivan bhar hairan rahe
- pas bhi aake pas na aaye jan ke bhi anjan rahe
- kon si aakhir ke thi hum ne aisi khata malum nahi
- ae mere pagal armanon jhuthe bandhan tod bhi do
- ae meri zakhmi ummidon dil ka daman chod bhi do
- tum ko abhi is nagari mein jine ke saza malum nahi
- ------------------------------------------------
- Wo Tu Apni Rah Pay He Sada Chaltay Rahay
- Darechay Pay Rakh K Apni Umar Rafta Ki Kitab
- Naay Tofanoon Ko Amad Ka Rasta Naya Datay Rahay
- Na Keh K Un Say Dil Ki Baat
- Hum Ek Bay Naam Kalish Main Mubtila Rahay
- Wo Tu Jan K Bi Anjan Bun Gaay
- Hum Anjan Khush Fehmi Main Mubtila Rahay
- Dil K Baab Band Ker Rakhay Hain
- Kub Tak Tanha Koi Chalta Rahay?
- Sur E Sham Ab Chaman Main Jata Nahi
- Kub Tak Koi Tere Rah Main Bheta Rahay?
- Wo Apni Khushi Ka Qisa Batatay Rahay
- Hum Apni Zindagi Ujarnay Pay Khamosh Rahay!
- ------------------------------------------------
- Dil Ke Dariyaa Ko Kisii Roz Utar Jaanaa Hai
- Itanaa Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jaanaa Hai
- Us Tak Aatii Hai To Har Chiiz Thahar Jaatii Hai
- Jaise Paanaa Hii Use Asl Men Mar Jaanaa Hai
- Bol Ai Shaam-E-Safar Rang-E-Rihaa_Ii Kyaa Hai
- Dil Ko Rukanaa Hai Ki Taaron Men Thahar Jaanaa Hai
- Kaun Ubharate Hue Mahataab Kaa Rastaa Roke
- Us Ko Har Taur Suu-E-Dasht-E-Sahar Jaanaa Hai
- Main Khilaa Huun To Isii Khaak Men Milanaa Hai Mujhe
- Vo To Khushbuu Hai Use Agale Nagar Jaanaa Hai
- Vo Tere Husn Kaa Jaaduu Ho Ke Meraa Gam-E-Dil
- Har Musaafir Ko Isii Ghaat Utar Jaanaa Hai
- ------------------------------------------------
- Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
- teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale
- teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
- main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale
- har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
- ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale
- din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
- lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale
- ------------------------------------------------
- Jab Bhi Kaali Ghatha Chadh Aati Hai,
- Mann Mein Ek Udasi Si Chha Jaati Hai,
- Kabhi Mile The Aise Hi Mahaul Mein,
- Yeh Soch Ker Aankh Meri Bhar Aati Hai,
- Ab Saath Nahi Is Baat Ka Bada Gam Hai,
- Yaadon Mein Teri Jitna Rolu Kam Hai,
- Judai Ne Teri Hum Ko Bahut Sataya Hai,
- Kya Batayen Kaise Mann Ko Samjhaya Hai,
- Bewafai Teri Hum Kabhi Maaf Na Ker Payenge,
- Mar Jayenge Per Laut Ker Na Teri Mehfil Mein Ayenge,
- Kayamat Ka Ab Hai Humko Intezaar,
- Dard-E-Bewafai Tu Bhi Chakh Leh Ek Baar,
- Phir Tujhe Hum Milne Zaroor Ek Baar Ayenge,
- Sukoon Mile Ga Dil Ko To Laut Jayenge,
- Per Dua Teri Khush-Haali Ki Hum Kiya Kerte Hai,
- Kya Kare Tujhe Aaj Bhi Pyar Kerte Hai,
- Kya Kare Tujhe Aaj Bhi Pyar Kerte Hai.
- ------------------------------------------------
- Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..
- Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!
- Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
- Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!
- Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..
- Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!
- Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..
- Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!
- Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..
- Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !!
- ------------------------------------------------
- Thukra ke usne mujhko,
- kaha ki muskuraao!
- Maine has diya,
- aakhir sawal uski khushi ka tha.
- Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
- Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
- ------------------------------------------------
- aaj us ko bekhabar socha bohat
- kese kaatein ge safar socha bohat
- aaj kal hum us ko soochein ge nahi
- aaj tanha beth ker socha bohat..
- ------------------------------------------------
- Aaj bahut din baad suni hai baarish ki awaaz
- Aaj bohut din baad kisi manzar ne rasta roka hai
- Rhim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aaee hai
- Aaj bahut din baad achanak aankh yun he bhar aaee hai...
- ------------------------------------------------
- Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye hein,
- zakham muft aur dard tohfe mein bhijvaaye hein,
- is se badkar wafadaari ki misaal kya hogi,
- maut se pehle hi mere dost KAFAN le aayen hein..
- ------------------------------------------------
- Jis din se juda vo humse hue,
- is dil ne dharkna chor diya,
- hai chaand ka mooh bhi utra utra,
- taaro ne chamkna chor diya..
- ------------------------------------------------
- vo yaad aaye bhulate bhulate,
- dil ke zakhm ubhar aaye chupate chupate,
- sikha tha jise dekh ke muskurana,
- usi ne aaj rulaya hasate hasate..
- ------------------------------------------------
- Aankhon me tere ashk utaar lenge.
- Khushi tujhe dekar gham udhar lenge.
- Tere Jane ke bad aaigi teri yaad.
- Tere khayalo me hi waqt guzar lenge..
- ------------------------------------------------
- Khuli aankhon se sari umar dekha
- Ek aisa khowab jo apna nahin tha
- aaj tak woh shahks dil mein haiiiii
- Ke jo us waqt bhi mera nahin tha..
- ------------------------------------------------
- Dard Dil Se Nikal Raha Hei KyunMere Jeevan Ki Hai,
- Ek Abhilasha Poori Karna Chahu, Mai Sab Ki Aasha
- Sabke Sapno Ko Ker Sakaar
- Laau Unke Jeevan Main Khushiyao.N Ki Bahaar
- Her Insaan Ko Sahii Raah Dikhau
- Burayee Se Sab Ko Bachau
- Banna Hai Mujhe Safal Insaan
- Jismein Ho Jeevan Ka Sara Gyaan
- Bade, Bujurk Ka Karu Sammaan
- Kabhi Na Ho, Mere Jeevan Ka Apmaan
- Gurujano Ko Samman, Choto.N Ko Pyaar
- Yahii Ho Mere Jeevan Ka Saar
- Atyachaar, Ghotala Ka Kare Anth
- Kerke Her Insaan Ki Seva
- Mite Sab Ke Mann Se, Swarth Nafrath Ki Bhavna
- Yahii Ho Hum Sab Ke Jeevan Ki Abhilasha
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
lenge gam apna shayari
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment