- Vo naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,
- Kaha se laye lafz jab mile nahi,
- Dard ki juban hoti to bata deta shayad,
- Wo zakhm kaise kahe dikhte hi nahi..
- -----------------------------------
- Dard Ke Badle Har Khushi Le Lo
- Aansuo Ke Badle Hamari Hasi Le Lo
- Hamse Dekha Na Jayega Kabhi Aapka Udas Chehra
- Agar Kaam Aa Sake To Humari Zindagi Le Lo
- -----------------------------------
- Sunaa dete jo haal-e-dil apna,
- Daava hai un aankhon mein nami nahi aati,
- Hota jo itna hi khyal unko mere dard ka,
- To aaj hamein unki bewafai na sataati..
- -----------------------------------
- Mai Kal Bhi Tanha Tha Mai Aaj Bhi Tanha Hu,
- Jo Kbhi Vapas Nhi Aata Mai Wo Lamha Hu,
- ‘Kumar’ Tuzhe Yaad Krne Ki Nadan Koshish Kaun Kre?
- Sabhi To Jante H Ki Mai Ek Dard Bhara Nagma Hu.
- -----------------------------------
- Yaaron Marr Bhi Gaya Toa,
- Aarthi Meri Dafnaa Dena
- Utha Kar Janaza Mera,
- Unki Gali Ghuma Dena
- Agar Wo Mera Pata Puche To
- Shamshaan Ghaat Bata Dena
- -----------------------------------
- Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hain
- Mera Har Dard Aur Har Aah Samajhati Hain
- Pata Hai Majbur Hai Tu Aur Main Bhi
- Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
- -----------------------------------
- Waqt to hume bhul chuka hai,
- Muqaddar bhi na bhula de,
- Pyaar hum isiliye nahi karte,
- Kyonki darte hain koi hume phir se na rula de..
- -----------------------------------
- Jin sapno ka mai tara tha
- aaj un sapno ka hathiyara hoon,
- ghot diya aaj unki vicharone ko,
- apna en acharoen sa,
- nakam hokar apne prayatno ma,
- toda ha unka armano ko,
- kya sounch ker unhona muja pala,
- jo aaj bangaya unka liya zahar ka pyala,
- hai kismat na muja bada sathaya,
- muj sa hi unko ha rulaya,
- muj sa aye kaisa guna ho gaya…
- -----------------------------------
- Milne Ki Khushi Bicharne Ka Gam
- Tanha Akele Udas Hai Hum
- Kaise Kahen Kaise Hai Hum
- Dosto Ke Bina Adhure Se Hai Hum
- -----------------------------------
- Ab Kushi Hai Na Koi Dard Roolane Wala
- Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala
- -----------------------------------
- Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha
- Sara Ghar Le Gaya Ghar Chhor Ke Jaane Wala
- -----------------------------------
- Door Ke Chand Koi Dhundho Na Kisi Aanchal Mein
- Ye Ujala Nahi Aangan Ke Saamne Wala
- -----------------------------------
- Ik Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya
- Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala
- -----------------------------------
- Buj Gaya Bhi To Kya Apne Dil Ke Diye
- Abh Na Roenge Hum Roshini Ke Liye
- Dil Ka Shisha Jo Tuta To Gam Kyu Kare
- Dard Kafi Hai Bus Zindagi Ke Liye!
- -----------------------------------
- Ham janate hen aap hame bhool jayenge ,
- dil me apne , bhuli hui yaadon ki tarah rakh.
- nafrat jo , aapko he hamse buri taraha ,
- seene me apne jakhm jagane ke liye rakh
- yaad aayegi hamari , kabhi bhi na aapko,
- yadon ke samandar me dubane ke liye rakh
- tu rakh to sahi kisi tarha , apne paas
- paas nahi to door bhagane ke liye rakh…
- -----------------------------------
- bhoole hain wo kuch is tarahan se hame.
- Ab intezar karna hmara naseeb ho gaya hey
- Na jane koi khata ho gai humse
- Ya koi aur un k qareeb hogaya hey..
- -----------------------------------
- Gham Ke Bina Zindagi Adhoori Hai
- Ae Musafir Phir Bhee Tera Jeena Zarori Hai
- Mat Ho Apni Zindigai Se Khafa
- Kyon Ki Teri Zindagi Ke Bina
- Ek Aour Zindagi Adhoori Hai!!!!.
- -----------------------------------
- Es Dil Ka Haal Bhi Kuch Samundar Jaisa Hai,
- Shaant Hai Din Mein, Sham Ko Baichain Ho Jata Hai,
- Raat Aateh Aateh Kuch Alag Hee Rang Mein Dhal Jata Hai,
- Suraj Kee Roushani Mein Phir Chahak Jata Hai.
- -----------------------------------
- Nam na ho kabhi ye masoom nigahain
- Hamari arzoo hai aap sada muskraain
- Udasi ka sath rahe hum talak,aur
- Tere aashiyaan mai sada,baharain he jayain…
- -----------------------------------
- Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega
- Yaad To Rahega Ye Chehra Tumhe
- Shayad Fir Hontho Pe Mera Naam Na Aayega
- Karenge Jane Kitane Phool Raho Pe Intezar Tumhara
- Fir Kabhi Shayad Un Raho Pe Mera Makam Na Aayega
- Aahaten Meri Sunayi Dengi Tanhayi Ke Galiyaro Me Tumhe
- Dard Hoga Mujhe Aur Tumhe Aaram Na Aayega
- Kitabo Me Dabe Phul Chup Rahenge
- ------------------------------------------------------
- Ghire Hain Hum To Teri Yaadon Ke Saayon Se
- Ab Dil Ko Karaar Kahan Mil Payega
- Jaunga Jahaan Bhi Teri Yaadon Se Door Hokar
- Tera Pyaar Mujhko Har Pal Tadpayega
- Tu Door Besak Hai Mujhse
- Tujhe Mei Ab Choo Nahin Sakta
- Bas Tujhe Har Pal Mehsoos Karke Hi
- Yeh Jeevan Kat Payega.
- ------------------------------------------------------
- Kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
- har waqt yu to the hons me hum par kambakth unko ye samja na shake,
- saath chale rahe unke magar unko ye ahsaas dila na shake,
- pyar to unko bhi tha hamse magar who keh na sake, aur hum samaj na shake
- ------------------------------------------------------
- Teri Duniaa Se Jaane Ke Baad Mai Tumhe,
- Har Ek Taare Main Nazar Aaya Karunga.
- Tum Har Pal Koi Duaa Maang Lena,
- Or Main Har Baar Toot Jaya Karunga.
- ------------------------------------------------------
- Ho Jao Agar Zamane Say Dukhi,
- Bikta Hai Gham Dushman K Bazaar Main,
- Lakhon Dard Chupay Hotay Hain,
- Ek Chotay Say Inkaar Main,
- Ho Jao Agar Zamanay Say Dukhi,
- To Sawagat Hai “Wakeel” K Darbaar Main
- ------------------------------------------------------
- Ghum Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh Ko Dhoya Nahin
- Tu Ne Mujh Ko Khoo Diya, Meine Tujhe Khoya Nahin
- Jaanta Hoon Ek Aisay Shakhs Ko Mein Bhi
- Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin..
- ------------------------------------------------------
- Paas Aa K Sab Hi Dur Chale Jate Hai
- Hum Akailay Hain Akele Hi Reh Jate Hai
- Dil Ka Dard Dikhayain Kis Ko?
- Jab Marham Lagane Wale Hi Dard De Jate Hai
- ------------------------------------------------------
- Dukh Dard Ki Saugat Hai Duniya Teri Kya Hai
- Ashkon Se Bhari Rat Hai Duniya Teri Kya Hai
- Kuch Log Yahan Nur-E-Sahar Dhundh Rahe Hain
- Tarik Si Ik Rat Hai Duniya Teri Kya Hai
- Paband-E-Mashiyat Hai Tanaffus Bhi Nazar Bhi
- Ik Jaziya-E-Lamhat Hai Duniya Teri Kya Hai
- Taqadir Ke Chehare Ki Shikan Dekh Raha Hun
- Aina-E-Halat Hai Duniya Teri Kya Hai
- ------------------------------------------------------
- Apni Zindagi Se Kuch Pal De Do Mujhe
- Aaj Na Sahi Apna Kal De Do Mujhe
- Khushi Do Ya Na Do Marzi Tumhari
- Apna Dukh Aur Dard He De Do Mujhe
- ------------------------------------------------------
- Ae khuda, kyun tune mujeh meri jaan se kiya juda
- Kiya tha ek haseena se pyar, woh bhi tune cheen lia
- Loot gaya, main barbaad ho gaya, kahin ka na raha
- Sach bata, kya jholi ujaadne ko tujhe aur koi nai mila?
- ------------------------------------------------------
- Zindagi Hai Nadaan Issi Liye Chup Hoon
- Dard Hi Dard Subah Shaam Issi Liye Chup Hoon
- Keh Tou Doon Zamane Se Dastan Apni
- Uss Mein Ayega Tera Naam Issi Liye Chup Hoon
- ------------------------------------------------------
- Usne Fer Li Nigahein Jaise Anjaan Ho Koi
- Dil Hua Veeran Jaise Shamshan Ho Koi
- Ashq Behte Hain ‘Harjeet’ Par Armaan Nahi Nikalte
- In Armaano Ke Saaye Chalta Jata Hai Koi.
- ------------------------------------------------------
- Tumne Chaha Hi Nhai Haalat Badal Sakte the,
- Tere Aansoo Meri Aankho Se Nikal Sakte The,
- Tum To Thahre Rahe Jheel Ke Paani Ki Tarah,
- Dariya Bante To Bahut Door Tak Nikal Sakte The
- ------------------------------------------------------
- Darguzar Uski Har Khata Kar Di Humne
- Uske Haq Mein Aaj Phir Dua Kar Di Humne
- Ek Lamha Bhi Nahi Laga Khone Mein
- Jisko Pane Mein Sari Zindagi Gujar Di Humne
- ------------------------------------------------------
- Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
- Tooti hui kashti or tehhra hua pani hai,
- Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
- Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai.
- ------------------------------------------------------
- Yeh Wafa Ka Silsila Hai To, Koi Baat Nahi
- Yeh Dard Tune Diya Hai To, Koi Baat Nahi
- Yeh Bahut Hai Ke Tu Dekh Rhi Hai Kinaare Se
- Main Doob Rha Hoon To, Koi Baat Nahi.
- ------------------------------------------------------
- Yeh dard mit gaya tu phir?
- Yeh zakhm sil gaya to phir?
- Bichar kar sochta hon mein
- Woh phir say mil gaya tu phir?
- Mein titlion k shehar mein
- Rahon tu mujh ko fikar hai
- Woh phool jo khila nahin
- Woh phool khil gaya tu phir?
- Tujhay bhi kuch nahi mila
- Mujhay bhi kuch nahi mila
- Tamam umar k liye
- Yeh dard mil gaya tu phir
- ------------------------------------------------------
- Tumne Mera Dard Agar Samjha Hota,
- Toh Yoon Jamaane Ne Mujhe Na Mitaya Hota,
- Rusvayi Toh Ishq Ki Saugat Hoti Hai,
- Kaash Tumne Ise Palkon Par Uthaya Hota,
- Toh Na Ajab Asool Kabhi Ulfat Ka Hota.
- ------------------------------------------------------
- Unse Keh Do Mat Jayein Wo Door Itna
- Ki Waqt Ke Faislo Par Afsos Ho Jaye
- Kal Na Jane Kaise Mulakat Ho Unki Aur Hamari
- Fir Wo Roye Lipatkar Humse, Aur Hum Khamosh Ho Jayein.
- ------------------------------------------------------
- Dikhla Ke Yahi Manzar Baadal Chala Jata Hai
- Pani Se Makaano Pe Kaise Likha Jata Hai
- ------------------------------------------------------
- Us Mor Pe Hum Dono Kuch Der Bahut Roye
- Jis Mor Se Duniya Ko Ek Rasta Ho Jata Hai
- ------------------------------------------------------
- Wo Padh padh ke mere purane khaton ko,
- Akele me gussa dikhati toh hogi naa.
- Kabhi samne rakh ker tashvir meri,
- Shararat se muh bhi toh Chidati hogi naa.
- ------------------------------------------------------
- mohabbt ke chand lamhe saath bitaane,
- ko tayaar the hum,
- pyaar ki kasti paar pahunchane,
- ko tayaar the hum,
- saare riste naate tod tumse milne,
- ko tayaar the hum,
- samjh na paaye tum humari ankho ki baaten,
- issiliye khamosh yaar the hum.
- ------------------------------------------------------
- Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki
- Badi Arzoo Thi Mulaqat Ki
- ------------------------------------------------------
- Ujalon Ki Pariyan Nahane Lagi
- Nadi Gungunayi Khayalat Ki
- ------------------------------------------------------
- Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gayi
- Zaban Sab Samjhate Hai Jazbaat Ki
- ------------------------------------------------------
- Muqaddar Meri Chashm-E-Puraab* Ka
- Barsati Huyi Raat Barsaat Ki
- ------------------------------------------------------
- Kayi Saal Se Kuch Khabar Hi Nahi
- Kahan Din Guzara, Kahan Raat Ki
- ------------------------------------------------------
- Mere janaze ke peeche sara jahan chal raha tha..
- Saath tu hi na thi yahi gum kha raha tha
- Akhir hoti bhi sath kaise tu
- Mera janaza tere janaze ke peeche chal raha tha..
- ------------------------------------------------------
- Socha tha nahi karenge mohabbat par,
- Anjaane mein ek ghaav laga baithe…
- Kisi shakhs ko paane ke liye hue paagal aur,
- Anjaane mein apna sab kuchh gwa baithe…
- Chaha tha zindagi mein jeena pehli baar…
- Kuchh hi din jee paaye aur,
- Baaki ki zindagi mein gham-e-bahaar laga baithe…
- ------------------------------------------------------
- Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
- sab ke dil se utar gayaa huuN main
- kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
- sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN
- kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
- jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
- ab hai bus apna saamnaa darpesh
- har kisii se guzar gayaa huuN maiN
- voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
- sar-ba-sar
- ------------------------------------------------------
- Mehfil Ko Yaaro Jab Bhi Sajaya Gaya
- Usme Mujhe Isharo Se Bulaya Gaya
- Jab Bhi Zarurat Padi Unhe Roshni Ki
- To Mujh Gareeb Ka Hi Dil Jalaya Gaya.
- ------------------------------------------------------
- milne aaj ek baar chahe mujhe badnaam karde.
- ye charcha beshak is shehar mein aam karde..
- kuch is tarah tu mujhe rula ke ja fir se..
- mere aankh ke har aansu ko nilaam karde...
- ------------------------------------------------------
- Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai..
- jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai
- shayad isi tarah “honey” likhi meri taqdeer khuda ne ..
- jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai.
- ------------------------------------------------------
- Ki Baate Kehne Ko Dil Karta Hai
- Darde Judai Sehne Ko Dil Karta Hai
- Kya Kare Kismat Me Hai Duria Warn
- Hamara To Apke Dil Me Rehne Ko Dil Karta Hai
- ------------------------------------------------------
- Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
- Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi
- Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari
- Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi
- Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass
- Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi
- Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans
- Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Ko.
- ------------------------------------------------------
- Zindagi chand sawaalon par ruk si gaye hai.
- Vo meri nahi to kyo roti hui gaye hai?
- Kyon dard mera uski aankhon me najar aata hai.?
- Kyo mera gum mujhse pehle usko rula jata hai.?
- ------------------------------------------------------
- Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
- Hum apko yaad karen aur apko khabar ho jay,
- Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chaho vo haqiqat ho jay.
- ------------------------------------------------------
- Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho
- Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho
- Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge
- Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho.
- ------------------------------------------------------
- Jiski aarzu thi usika hi pyar na mila.
- Barso jiska intazar kiya usika hi sath na mila.
- Ajib khel hai ye mohabbt ka
- kisiko hum na mile aur koi hume na mila..
- ------------------------------------------------------
- Aansu ko samjhaya ki yu na aya karo,
- Mehfil me mazak na udaya karo.
- Iss par aansu boli,
- Mehfil me akele pate hain isliye chale aate hain..
- ------------------------------------------------------
- Milna ittafak tha bicharna nasib tha,
- Wo itna dur huwa jitna karib tha,
- Use dekhne ko tarasti rahi aankhein,
- Jis shakhs ke haatho mein mera nasib tha..
- ------------------------------------------------------
- Teri aahat par dard saa hai,
- koi gam mera ham dard saa hai,
- baat jo bhi ho teri-meri
- is jahan me koi apnaa saa hai,
- door aur paas kya kisi se aas kya
- sab to ek pal ka sapnaa saa hai,
- koi nahi hota dard me kisi ka
- apnaa kaha kar bharam aur
- dhokhaa sa hai...
- ------------------------------------------------------
- Tum Apni Zulf Ki Parchaiyan Mujhay Day Do
- Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhay Day Do
- Mein Doob Jaon Tumhari Udas Aankhon Mein
- Tum Apnay Dard Ki Gehraiyan Mujhay Day Do
- ------------------------------------------------------
- Dil Gumsum,
- Zubaan Khamosh,
- Ankhen Aaj Num kyun hai ,
- Jo Kabhi Apna Hua hi nahi usse aaj khoney ka gham kyun hai.
- ------------------------------------------------------
- Kal Guzrey Hue Lamho Se Mulaqat Ho Gayi
- Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Ho Gayi
- Yaad Aa Gaye Fir Se Kuch Kisse Purane
- Aur Aankho Se Be Mausam Barsaat Ho Gayi.
- ------------------------------------------------------
- Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain,
- Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi,
- Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To,
- Saath Dekhe Hue Khwab Kabhi Mittey Nahi
- ------------------------------------------------------
- Ye Dard Ka Toofan Guzarta Kyun Nahi….
- Dil Toot Gaya Hai To Bikharta Kyun Nahi.
- Ek Hi Shakhs Ko Chahte Hai Kyun Itna…..
- Koi Doosra Iss Dil Me Utarta Kyun Nahi.
- ------------------------------------------------------
- Meri Chahat Mein Kami Kuch Na Thi
- Jane Kyon Wo Mujhse Begaane Ho Gaye
- Unko Lagta Hai Hum Unke Bina Khush Hain
- Par Hume Hase To Ab Ek Zamaana Ho Gaya.
- ------------------------------------------------------
- Ek Aur Zakham Khaa Kar Dekhenge
- Usko Dard Apna Suna Kar Dekhenge
- Uski Hasrat Hai Agar Dil Todne Ki
- Dil Apna Hum Sheeshe Ka Banakar Dekhenge.
- ------------------------------------------------------
- Dard ko Bhi Dard Hone Laga
- Dard Khud Hi Mere Ghaao Dhone Laga
- Dard Ke Liye Main Na Roya
- Lekin Dard Mujhe Chhu kar Khud Rone Laga..
- ------------------------------------------------------
- Ashq Unki Aankho Ke Kareeb Hote Hain
- Rishte Dard Ke Jin Ko Naseeb Hote Hain
- Dosto,
- Daulat Dil Ki Jisne Lutai Ho
- Kaun Kehta Hai Wo Gareeb Hote Hain.
- ------------------------------------------------------
- Har Taraf Khamoshi Ka Saya Hai
- Jise Dekho Wo He Paraya Hai
- Gir Pada Hu Mahobbat Ki Bhukh Se,
- Aur Log Kahete Hai Pee Kar Aaya Hai
- ------------------------------------------------------
- Beemaar Ho Bemaar Gham Ke Dawa Koi Lata Bhi Nahi
- Kab Tak Raho Aas Per Khuda Hum Ko Jald Bulata Bhe Nahi
- ------------------------------------------------------
- Koi Rishtaa Toot Jaaye Dukh Toh Hota Hay
- Apney Ho Jaayein Paraye Dukh Toh Hota Hai
- Hum Marjaayein Ehd-E-Wafa Nibhaate Nibhate
- Aur Unko Yakeen Na Aaye Dukh Toh Hai
- Maana Hum Nhn Pyaar Ke Qaabil Magar
- Iss Tarah Koi Thukraaye Dukh Toh Hota Hai
- Jis Ki Khaatir Sajaayi Hum Ne Yeh Mehfil
- Wohi Iss Mein Na Aaye Dukh Toh Hota Hai
- ------------------------------------------------------
- Kuch ajeeb faslo ka janm ho raha hai
- Naseeb mera jaagkar bhi soo raha hai
- Kaise keh du tuta dil dhadakta nahi
- Jabki aaj dil ka har tukda ro raha hai..
- ------------------------------------------------------
- Aaj muddat k baad kuch likhne ki chahat hui he,
- Kalam uthaya to lafjon k aane ki aahat hui he…..
- Aaj lag raha he shayad nikal pade dil k sare raj,
- Ab to aakhon me bhi aansuo ki muskurahat hui he……
- ------------------------------------------------------
- Tumse Pyar Karke Main Deewano Mein Shamil Hua
- Pal Pal Teri Yad Mein Jalkar Parwano Mein Shamil Hua
- Jis Anjam Ke Hone Se Darta Tha Usi Ka Shikar Hua
- Aakhir Teri Barat Mein Barati Bankar Shamil Hua
- ------------------------------------------------------
- tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log
- jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log
- jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega
- mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log...
- ------------------------------------------------------
- Zindagi qed-e-musalsal ke siwa kuch bhi nahi
- Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
- Jeene ki aarzoo me roz mar rahey hain
- Daawa teri muhabbat ke siwa kuch bhi nahi.
- ------------------------------------------------------
- Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
- Zindagiii bahut samajhdar hai,
- Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
- Aastin uski abhi bhi be daag hai..
- ------------------------------------------------------
- Jaanu Main Uski Har Ek Baat
- Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat
- Gujre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat
- Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat
- ------------------------------------------------------
- wo chhup kar bethe the,
- jab hume unki chah thi,
- hume bhi usi waqt aani thi maut,
- jis waqt unhe humari talash thi,.
- ------------------------------------------------------
- Dard ko zakam ne seencha hai,
- Humko unki mohabbat ne roka hai,
- chal diye thae char kandho par,
- Par kambaqt unki bebasi ne roka hai,
- Alvida keh gaye wo hame apne humsafar k sath,
- Rok kar raka tha hame jane yumraj k sath,
- Toot gaya hai dil mera jb sath unhone mera chora,
- aaale na jaye koyi aur dil mera
- isi liye maine ab yeh duniya chora.
- ------------------------------------------------------
- Dil kehta hai andhere mein bhi roshni to hai?
- Maana ke raakh ho gaye ummeed ke laao?
- Is raakh mein bhi aag kahin par dabi to hai..!!
- ------------------------------------------------------
- Maine To Bahut Chaha Magar Wo Mila Hi Nahi
- Lakh Koshish Ki Magar Faasle Mite Hi Nahi
- Uss Ko Majboor Zamane Ne Iss Kadar Kar Diya
- Ke Mere Kisi Aansu Se Woh Pighla Hi Nahi
- Khuda Se Jholi Faila Ke Manga Tha Usey
- Khuda Ne Meri Kisi Dua Ko Suna Hi Nahi
- Har Ek Se Puchi Vajah Uss Ke Na Milne Ki
- Har Ek Ne Kaha Wo Tere Liye Bana Hi Nahi
- ------------------------------------------------------
- Sham e gham, yeh tanhayi jane kya pooch rahi hai
- Honth hil rahe hain par awaaz kyo nahi nikal rahi hai.
- ------------------------------------------------------
- Pyar ka haq zamane mein sabhi ko hai
- Lekin pyar karne ka sila sab ko kahan milta hai
- Ye bhi kya kam hai ke kuch dair toh hum hass toh liye
- Bhala ye muqaddar bhi bhala sab ko kahan milta hai
- ------------------------------------------------------
- Mitti meri kabr se churra raha hai koi,
- Mar Kar bhi bahut yaad aa raha hai koi,
- Ik Pal ki jindagi de Khuda,
- Mayoos meri kabr se ja raha hai koi
- ------------------------------------------------------
- Ansuo Ko Bahut Samjhaya Tanhai Me Aaya Karo,
- Mehfil Me Hamara Mazak Na Udaya Karo,
- Iss Par Ansu Tadap Kar Bole,
- Itne Logo Me Aapko Tanha Pate Hai,
- Isliye Chale Aate Hai!
- ------------------------------------------------------
- Woh Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi
- Gham Ki Andhi Ne Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko..
- Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hy Jagaya Mujh Ko,
- Kya Saza Di Hy Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko...
- ------------------------------------------------------
- Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
- Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
- Din Raat Daudti Duniya Mein,
- Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
- Tu Hi Bata E Zindagi,
- Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
- Ki Har Pal Marne Walon Ko,
- Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.
- ------------------------------------------------------
- Phele sikha humne dil ko lagana , Phir sikh liya humne apko muskarana,
- Phir malum hua apke dil ka dard, toa humne sikh liya uspar malhum lagana,
- Phir ishq mein apke hum ashiq bane, toa app ne keh diya hume bhul jana,
- Agar itna ahsaan hota toa hum sans na lehte
- Phir bhi dheere dheere marr raha hai app ka yeh deewana??
- ------------------------------------------------------
- Tujh pe bhi aetbaar hai,
- Maut pe bhi aetbaar hai,
- Kaun pehle aata hai yeh dekhna hai,
- Mujhe dono ka intezaar hai!.
- ------------------------------------------------------
- Ashkoan Ki Barsaat De Gayee
- Wo Jaate Jaate,
- Aahon Ki Saughat De Gayee,
- Wo Jaate Jaate,
- Dil Ne Chaha Tha Bhar Lenge Use, Baahon Me,
- Aarzuon Ki Bouchhar De Gayee,
- Wo Jaate Jaate,
- Badhaya Jo Khadam Maine Use, Chhune Ke Liye,
- Raahon Me Kaantein Bikher Gayee
- Wo Jaate Jaate,
- Lada Tha Main Duniya Se Jiski Khatir,
- Hami Par War Kar Gayee, Vo Jaate Jaate.
- ------------------------------------------------------
- Duniya main har kisiko mukkamal zahan nahin milta
- Wafa karke bhi is dil ko kahin panah nahin milta
- Saanse ab bhi baki hai is jism mein , is ummeed se
- Ke koi apna nahin to begana hi milta !
- ------------------------------------------------------
- Kabhi Kisi Ko Muqammal Jahan Nahi Milta
- Kahi Zameen To Kahi Aasman Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Bujha Saka Hai Bhala Kaun Waqt Ke Shole
- Ye Aisi Aag Hai Jisme Dhuan Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Tamaam Shehar Mein Aisa Nahi Khuloos Na Ho
- Jahan Umeed Ho Iski Wahan Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Kahan Chirag Jalayein Kahan Gulab Rakhein
- Chhatein To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Ye Kya Azaab Hai Sab Apne Aap Mein Gum Hain
- Zuban Milti Hai Magar Humzuban Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Chirag Jalte Hi Beenaai Bujhne Lagti Hai
- Khud Apne Ghar Mein Hi Ghar Ka Nishan Nahi Milta
- ------------------------------------------------------
- Dilwaalon Ka Dard Yun Hi Bayaan Hota Hai
- Likh Do Kaagaz Pe Toh , Kam Mehsoos Hota Hai
- Ye Asar Un Bewafa Ki Bewafaaiiyo Ka Hai
- Ke Har Lafz Aaj Dard Mein Dooba Hota Hai
- ------------------------------------------------------
- Log milte hai aur phir ek dusre ke kareeb aate hai.
- Aur kareeb aakar aksar juda ho jate?
- Agar juda hona hi hai toh log milte kyu hai?
- ------------------------------------------------------
- Kyun mili hamein aisi sazaa?
- Kabhi ki nahin koi khatha!
- Mouth bhi nahin naseeb hothi,
- Usne jaathe jaathe jeene ki jo dedi dua!
- Bohoth hi dard hotha hai, hotha hai aye mere khuda
- ------------------------------------------------------
- Tabeer jo Mil jati to ik khwab Bahut tha.
- Jo shaks ganwa Baithay hain Nayab Bahut tha.
- Me kaise Bacha leta Bhala kashti-e-dil ko
- Darya-e-Mohabbat me sailab Bahut tha..
- ------------------------------------------------------
- Jo Kaha Unhone Toh Humne Apni Zindagi Nilam Kardi,
- Apni Zindagi Unke Liye Do Pal ki Mehman Kardi,
- Achcha Hua Naam Na Aaya Unka,
- Nahi Toh Voh Kehti,
- Humne Apni Khudgarji Ke Liye Unki Zindagi Badnaam Kardi.
- ------------------------------------------------------
- Hum Bhi Bane Hain Shayar Hoke Ishk Me Nakam,
- Humne Bhi Kiya Hai Naam Hoke Ishk Me Badnaam,
- Pyar Me Unke Hame Do Niyamate Mili,
- Ek Hath Me Kalam Hai Duje Hath Me Hai Jaam
- ------------------------------------------------------
- Khushion se naraz hai meri zindagi,
- Pyar ki mohtaz hai meri zindagi,
- Has leta hoon logon ko dikhane ke liye,
- Varna dard ki kitaab hai meri zindagi
- ------------------------------------------------------
- Zindagi mein gham kuch kum na thy Ghalib,
- Ke aur kitno ko mere saath jood diya.
- Apne gham ko kahan tak barshadt karen saqi,
- Jab uperwale ne hi humse rukh mod liya.
- ------------------------------------------------------
- Kahan Koi Aisa Mila Jis Par Duniya Luta Daity,
- Har Ek Ne Dhoka Diya Kis-Kis Ko Bhula Daite,
- Apne Dil Ka Dard Dil Main Hi Dabaker Rakha,
- Karte Bayan To Sari Mehfil Ko Rula Daity.
- ------------------------------------------------------
- Mohabbat Ki Kitab Kash Na Padhi Hoti
- To Is Dard-E-Dil Se Mulaqat Na Hui Hoti
- Sunau Kisko Apne Gile Sikve
- Na Lagti Chot To Ye Aankhe Royi Na Hoti.
- ------------------------------------------------------
- Dil Se Jo Tum Nikal Gaye To Zehen Se Bhi Nikal Jaoge,
- Na Banpaye Jo Kisike To Jee Kar Kya Ban Paoge,
- Jo Na Matlab Ho Tumhein Pyar Se, Na Zaroorat Jazbaaton Ki,
- To Kya Vishwaas Dilaoge Kisiko Aur Kaisa Rishta Nibhaoge.
- ------------------------------------------------------
- Pagal hai maann sanam
- dewana toh hai mann sanam
- aawaz hai baki sanam
- aghaz hai tumhara sanam
- aur kya kahu zinda hu sirf tumhare liye sanam
- ------------------------------------------------------
- Mohabbat Mein Laakhon Zakham Khaye Humne,
- Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
- Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par,
- Jab Vo Kehte Hai Hame Tumse Pyar Nahi..
- ------------------------------------------------------
- Gardish Mein Duba Ek Tara Hai
- Hume To Kisi Ki Aarzoo Ne Mara Hai
- Hum Unhe Ab Bhi Apna Kehte Hain Yaaro
- Jinhone Hume Maut Se Bhi Pehle Mara Hai.
- ------------------------------------------------------
- Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
- Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
- Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
- Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !
- ------------------------------------------------------
- Logo Ki Nigaho Se Dard Chupana Padta Hai
- Hume To Gham Mein Bhi Muskurana Padta Hai
- Hum Bhi Kuch Lagte Hain Unke
- Ye Bhi Ab Unhe Yaad Dilana Padta Hai.
- ------------------------------------------------------
- Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia
- Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do
- ------------------------------------------------------
- Hakikat na puch mere fasane ki,
- Tere jate hee badal gaye nazar zamane ki,
- Log puchte hai main khush kyo nahi,
- Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.
- ------------------------------------------------------
- Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha hamein
- Aaj wo hum sa dewaana dhoondhte hain
- Musafir be-khabar hain teri aankhon se
- Jo Tere shaher me maikhaane dhoondte hain
- Tujhe kya pata aye sitam dhaane wale
- Hum to khud rone k bahaane dhoondte hain
- Unki aankhon ko youn na dekho tum
- Naye teer hain nishaane dhoondte hain.
- ------------------------------------------------------
- Subha hote hi taare badal jate hain
- Rutton ke saath saath najare bhi badal jate hain
- Chodd ke aae dill kadam kadam pe naraz hona,
- Kyuki dhere dheere sabh badal jate hain….
- ------------------------------------------------------
- Kaha Koi Aisa Mila Jispe Dil Luta Dete
- Har Ek Ne Dhoka Diya Kis-Kisko Bhula Dete
- Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain
- Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete
- ------------------------------------------------------
- Aise Kisi Rafeeq Ki Dunia Misaal De
- Main Usse Dard Mangu To Wo Dil Nikal De
- Rab Jane KiskiDuaMere Sath Hai
- Main Doobna Chahu Bhi To Dariya Uchhaal De.
- ------------------------------------------------------
- Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me,
- To Khuda Ki Kasam Hum Muskurana Hi Chod Denge.
- Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko
- Magar Uski Taraf Palke Uthana Hi Chod Denge.
- Wo Manjil Hi Kya Meri Jo Dukh De Us Ko,
- Khuda Ki Kasam Us Manjil Pe Hum Jana Hi Chod Denge!.
- ------------------------------------------------------
- Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
- Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
- Is par bharosa mat karna
- Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi..
- ------------------------------------------------------
- Tumhari Yaad Ki Dali
- Utha Ker
- Zubaan Pe Rakh Li Hy Maine
- Ye Qatra Qatra Pighal Rahi Hai
- Main Qatra Qatra Hii Jee Raha Hoon . . .
- ------------------------------------------------------
- Jis se pyar kiya tha,
- Jis se apna sub kuch man liya tha,
- Jis se dekhne ke lye aankhe tarasti thi,
- Jis ki awaaz sunne ke liye dil machalta tha,
- wohi mujhko beach rah me chod gaya!
- Darde dil degaya!
- Ab kise sunaye faryad hum,
- Jise sunana tha wohi sab kuch legaya….!
- ------------------------------------------------------
- Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai
- Ashko Ki Shyahi Se Tujhe Salam Likha Hai
- Adhure Se In Khwabo Me
- Rutha Hua Tera Naam Likha Hai
- Aaj Bhi Tere Intezar Me Raahen Udas Ho Thi
- Tere Na Aane Dard Raha Dil Me Kuch Soch Ye Aakhiri Kalaam Likha Hai
- Tu Kar Khushiyo Ki Mehfile Aabad
- Meri Duaao Ne Ibadat Me
- ------------------------------------------------------
- Ek Panchi Ka Bada Dard Bhara Fasana Tha
- Zakhmi The Pankh Aur Toofan Me Use Jana Tha
- Toofan To Jhel Gaya Wo Nadan
- Par Ghar Pahuch Ke Hua Use Bada Afsos
- Kyunki Wohi Daal Tooti Jispe Uska Aashiyana Tha
- ------------------------------------------------------
- Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya
- Ghum ke Ansuon ko Aankho se nikala na gaya
- Usne Mujhe Dard is liye diya
- Kyun ke
- Usse Mera Pyar Sambhala na gaya..
- ------------------------------------------------------
- Kitne Dardnak The Wo Manjar Jab Hum Bichade The
- Usne Kahaa Tha Jeena Bhi Nahi,Or Rona Bhi Nahi.
- ------------------------------------------------------
- Iss Behte Dard Ko Mat Roko,
- Yeh To Saza Hai Kisi Ke Intezar Ki
- Log Inhe Aansu Kahe Ya Deewaangi,
- Par Yeh To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki
- ------------------------------------------------------
- Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai
- Karke Kisi Se Yeh Mohabbat Dil Rota Hai
- Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai Jab
- Jis Se Mohabbat Ho Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai.
- ------------------------------------------------------
- Dhoondta tha ke kon mera saath nibhayega saaye ki tarah,
- Sochta hu ke kon mere jajbaton ko samjhega yaha,
- Par Jab Khayal aaya unka jinhone hame kabhi akela nhi choda,
- Toa laga in tanhayion se aacha saathi mujhe milega kaha !!!
- ------------------------------------------------------
- Usne Kabhi Humara Dard Na Samjha
- Fir Bhi Hum Unke Humdard Bante Rahe
- Aisi Deewangi Ki Kaanto Se Gujre
- Magar Unke Liye Phool Chunte Rahe.
- ------------------------------------------------------
- khud ke Ishq ko fanna kuan karega,
- sabhi nek banenge toh gunhaa kuan karega,
- ae khuda bachaye rakhna uss bewafa sanam ko,
- warna hamari maut ki dua kuan karega..
- ------------------------------------------------------
- Agar Sabko Mil Jaata Apna Humdum
- Toh Yeh Ulfat Na Itne Uche Makam Hoti
- Na Hota Zikr Aashiqon Ka Sadiyon
- Mohabbat Fir Cheez Badi Hi Aam Hoti..
- ------------------------------------------------------
- Aapse Dur Bhala Hum Kaise Reh Paate,
- Dilse Aapko Kaise Bhula Paate,
- Kaash Ki Aap Saanso Ke Alava Aaine Me Bhi Base Hote,
- Khud Ko Dekhte To Aap Hi Nazar Aate. .
- ------------------------------------------------------
- Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,
- Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,
- Tumhen bhuulane ki mai koshish karunga ,
- Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,
- Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,
- Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,
- Khud meri qabr pe tum na aana ,
- Tumhen dekh kar shaq karega zamana..
- ------------------------------------------------------
- Jab Unke pass Mera dil gaya,
- Udas chehra khil gaya.
- Unhone bhi kar diya IZHARR – E – Mohabbat,
- phir aisa laga jaise sara jahan mil gaya.
- ------------------------------------------------------
- Mere Marne Par Mere Mukhalif Gam Na Karna,
- Zinda Rahu To Silsila-e-Raqeebiyat Kam Na Karna.
- Ye Mana Ki Meri Wafaa Ka Wazan Ab Bhi Zyada Hai,
- Kuch Bhi Ho Tu Apni Bewafaai ka Mauzu Kam Na Karna..
- ------------------------------------------------------
- Ab To Dard Se Bhi Mohabbat Hai
- Dard Mein Tu Yaad Aati Hai
- Khyalon Mein Hi Sahi,
- Tu Mera Marham Ban Jati Hai.
- Koi Ho Na Ho Saath Mere,
- Tu To Saath Nibhati Hai.
- “Dhanwant” Jeeta Hai Tere Liye,
- Tu Jeene Ki Chah Jagati Hai.
- ------------------------------------------------------
- Dil Ki Gehrai Mein Hai Bahut Kuch
- Per Keh Nahi Sakti Sab Kuch
- Dab Kar Hain Ghum Ki Batein
- Sisakti Hue Kati Kahi Ratien
- Kuch Cheez Ki Talash Thi
- Talash Hai…..
- Doondti Hoon Doondti Hoon
- Woh Khoye Hoye Dinown Ko
- Doondti Hi Reh Gayi
- Saari Zindagi……
- ------------------------------------------------------
- Zindagi Khubsurat Thi, Sajaya Tha Aisa Aapke Pyar Ne
- Basta Tha Gulistan, Mehkaya Tha Aapke Pyar Ne
- ------------------------------------------------------
- Aur Zindagi Se Koi Aash Na Rakhi Humne
- Paane Ke Baad Tumhe Koi Pyaas Na Rakhi Humne
- ------------------------------------------------------
- Lekin Jaane Kya Khuda Ko Tha Manzur
- Ke Paane Ke Baad Apko Kho Diya Humne
- ------------------------------------------------------
- Ab Saari Saari Raat Yehi Sochte Guzar Jati Hai
- Kyu Khusiyon Ko Nazar Lag Jati Hai
- ------------------------------------------------------
- Hum Phir Aisa Khuda Ka Hukum Maan Ker Ro Liya Kerte Hai
- Unki Yaadon Ko Seene Mein Dabaye So Liya Kerte Hai
- ------------------------------------------------------
- Ab Dard Seene Mein Chupaye Chupte Nahi
- Band Aankhon Mein Aansu Rukte Nahi.
- ------------------------------------------------------
- Mulaqat bhi kabhi aasu de jati hai,
- Nazre bhi kabhi dhoka de jati hai,
- Guzre huye lamho ko yaad karke dekhiye,
- Tanhayi bhi kabhi sukun de jati hai..
- ------------------------------------------------------
- Jiski khushiyan chupi thi meri khushiyoon me
- Mujse pehle jo mere gum se milta tha
- Zindagi bhar ke liye usko rula aaya hun
- Meri aakhon ki nami se jo toot jata tha.
- ------------------------------------------------------
- Mere Dil Ke Tukdo Se Aawaaz Nikalti Hai
- Har Pal Dil Ke Zanaaze Ki Baraat Nikalti Hai
- Us Beraham Ko Jra Bhi Raham Nhi Aata
- Aur Kumar Teri Haalat Pe To Pattharo Se Bhi Dhaar Nikalti Hai.
- ------------------------------------------------------
- Hasne Ki Chah Ne Itna Mujhe Rulaya Hai
- Koi Hamdard Nahi, Dard Mera Saaya Hai
- ------------------------------------------------------
- Itne Gehere Naate Kbhi Tode Nhi Jate,
- Beech Raah Me Humsafar Bhi Chhode Nhi Jate,
- Tumse Juda Hokar ’Kumar’ Chal Padega Maut Ke Safar Par,
- Fir Wapas Un Raho Se Bhi Kadam Mode Nhi Jate.
- ------------------------------------------------------
- Nasseboan ke khel bhi ajeeb hote hain
- Sache dill waalo ko aansu hi naseeb hote hain
- Kon hona chahta hai aapno se durr
- Parr aksar chutt jate hai jo kareeb hote hain
- ------------------------------------------------------
- Ho Sake To Tum Muje Maf Kar Dena
- Mere Moqadar Mai Apni Dua Kar Dena
- Socho To Bahut Taqlif Di Hai Tmhe
- Par Maire Dil Ki Tum Dawa Kar Dena
- Mairi Bewafai Ki Yahi Saza Hai Kafi
- K Apne Ansooho Ko Mairi Saza Kar Dena
- ------------------------------------------------------
- Ghazal Ko Maa Ki Tarah Baavkaar Karta Hoon
- Main Mamta Ke Katoron Mein Dhoodh Bharta Hoon
- ------------------------------------------------------
- Ye Dekh, Hizr Tera Kitna Khoobsoorat Hai
- Ajeeb Mard Hoon, Solah-Singar Karta Hoon
- ------------------------------------------------------
- Badan Samet Ke Le Jaaye Jaise Shaam Ki Dhoop
- Tumhare Shehar Se Main Is Tarah Guzrata Hoon
- ------------------------------------------------------
- Tamaam Din Ka Safar Karke Roz Shaam Ke Baad
- Pahadiyon Se Ghiri Kabr Mein Utrata Hoon
- ------------------------------------------------------
- Mujhe Sukoon Ghane Junglon Mein Milta Hai
- Main Raaston Se Nahi Manzilon Se Darta Hoon
- ------------------------------------------------------
- Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
- Mann Me Base Sawalo K Jawab Dhundungi
- ------------------------------------------------------
- Phir Se Us Pehli Mulakat Ki Mithas Dhundungi
- Tumhe Dekh K Aane Wali Muskan Dhundungi
- ------------------------------------------------------
- Dhundungi Fir Tumme Nischal Pehla Pyar
- Karte The Jab Tum Har Pal Mera Intezar
- ------------------------------------------------------
- Dhundungi Fir Tumme Muje Pyar Se Dekhne Wali Wo Nazar
- Goom Rehte The Jisme Duniya Se Bekhabar
- ------------------------------------------------------
- Dhundungi Tumme Fir Wahi Jazbato Ka Kona
- Muje Dekh Udas Jab, Aa Jata Tha Tumhe Rona
- ------------------------------------------------------
- Milungi Jb Tumse Khwabo Me
- Puchungi K Kyu Badal Gae Tum
- Kyu Mujhe Itna Akela Kar Chhor Gaye Tum
- ------------------------------------------------------
- Kyu Na Socha Tumne K Kya Hoga Is Dil Ka
- Kyu Kho Gae Tum Jese Koi Jhonka Hawa Ka
- ------------------------------------------------------
- Zindagi Meri Badal Kyu Chale Gae Tum
- Puchungi Jab Milungi Tumse Khwabo Mein
- ------------------------------------------------------
- Kisi ki yaadon ne pagal bna rkha hai,
- mar na jau khi kafan sila rkha hai,
- dosto jalne se phle mera dil nikal lena khi vo na jal jaye
- jisse is dil me bsa rkha hai.
- ------------------------------------------------------
- Aise bhi hai duniya mai jinhe gam nahi hota
- Aek hum hai hamara gam kabhi kam nahi hota
- ------------------------------------------------------
- Bas ye khel dilon ka hai
- chalta hi rehta hai,
- hazaro khushiyon ke pal aye zindgi mai,
- par kyun tanhai ka vo pal khalta hi rehta hai
- hum lakh hase duniya ke age
- par andar to kuch jalta hi rehta hai.
- ------------------------------------------------------
- Phira Hun Sare Zamane Main Dar Badar Kesa
- Main Tere Bad Bhi Zindah Raha Mager Kesa
- Woh Janta Tha K Kuch Roz Wo Nahi Tha To Main
- Pukarta Raha Usko Edhar Udhar Kesa .
- ------------------------------------------------------
- Teri sari kasme sab wade adhure ho gaye
- raste mai kho gayi manzile sapne bhi khak ho gaye
- puch kar to dekh hale dil mera apne dilse
- tu khd jan jayegi tere ishq mai hum kitne barbad ho gaye.
- ------------------------------------------------------
- Kaash ye mukhtasar si mulakat hi naa hoti
- gar na ashna hi rehtay,tu phir ye bat bhi na hoti
- jo na dekhtay tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
- meri zindagi ab aisy, andhery raat bhi na hoti..
- ------------------------------------------------------
- Benaam Sa Ye Dard Thahr Kyon Nahi Jata
- Jo Beet Gaya Hai Voh Guzar Kyon Nahi Jata
- ------------------------------------------------------
- Sab Kuch To Hai Kya Dhoondhti Rehti Hain Nigahein
- Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata
- ------------------------------------------------------
- Vo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahan Mein
- Jo Door Hai Voh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata
- ------------------------------------------------------
- Main Apni Hi Uljhi Huyi Raahon Ka Tamasha
- Jaate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
- ------------------------------------------------------
- Voh Khwab Jo Barson Se Na Chehra, Na Badan Hai
- Voh Khwab Hawaon Mein Bikhar Kyon Nahi Jata
- ------------------------------------------------------
- Kabhi kabhi sapne chur ho jate hain
- Halaat se log dur ho jate hain
- Par kuch yaadein itni haseen hoti hai ki
- Unhe yaad karne ko hum majboor ho jate hain
- ------------------------------------------------------
- Wo likhte hain hamara naam mitti mein,
- Aur mita dete hain,
- Unke liye to ye khel hoga magar,
- Hamein to wo mitti mein mila dete hain.
- ------------------------------------------------------
- Badh gya tha pyass ka ehsaas dariya dekh kar
- hamm palat aaye magar pani ko pyasa dekh kar
- jaise shayad kissi bhattki hui kasti ke logg chikhne lagte hain
- khwaboan main jajira dekh kar
- ------------------------------------------------------
- Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
- Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
- Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
- Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah.
- ------------------------------------------------------
- Dil Ki Deewar-o-Dar Pe Kya Dekha
- Bas Tumhara Naam Hi Likha Dekha
- Tumhari Aankhon Mein Humne Kya Dekha
- Kabhi Qatil Kabhi Khuda Dekha.
- ------------------------------------------------------
- Pal-Pal tuje hee yaad keya karta hu,
- Har dhadkan ke sath tera hee naam leya karta hu,
- Dunga sath tuje kadam-kadam pe,
- Tu har kadam pe muje hum safar samajna..
- ------------------------------------------------------
- Hajar jakham liye baitha hai
- Ashake khuni piye baitha hai
- Rahe ulfat main luta ke wafa
- Kaja se sadme liye baitha hai
- Dal ke kafan ruswa jindgi pe
- Hasrato se tauba kiye baitha hai
- Ho na saki darde ki dawa
- Khud jakhmo ko siye baitha hai
- Tadap ke bhi “AVINASH” tadpaya mujhe
- Isiliye game duniya piye baitha hai.
- ------------------------------------------------------
- Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye
- Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye
- Humne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad
- Tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye...
- ------------------------------------------------------
- Mohabbat mujhe thi usi se,
- Yaadon mein uski tadapta raha,
- Maut bhi meri chahat ko rok na saki,
- Kabar mein bhi ye dil dhadkta raha..
- ------------------------------------------------------
- mere pyaar ko uska pyaar mile,
- main barbaad sahi wo aabad mile,
- likh de mere hisse me usske saare gam,
- par wo khushaal mile,
- agr gujre wo meri gali se kabhi to,
- roshni ke liye jalta mera ghar mile.
- ------------------------------------------------------.
- Hain Aur Bhi Tere Husn Ke Rehnuma Kayi,
- Kyun Fir Tere Sath Guzra Zamana Yaad Aata Hai,
- Mere Dil-e-Dard Ki Wajah Tumse Hai Lekin,
- Kyun Khuda Se Pehle Tera Naam Zuban Pe Aata Hai,
- Yeh Dil-e-Naadan Janta Hai Fir Wo Hoga Na-Ummed,
- Kyun Ek Aur Naya Zakhm Khane Tere Paas Chala Aata Hai.
- ------------------------------------------------------
- Wo bhul gye unhe hasaya kisne tha,
- Jab wo ruthe the to manaya kisne tha,
- Wo kehte h Wo bahut ache hai,
- Wo bhul gaye hai ki unhe ye bataya kisne tha.
- ------------------------------------------------------
- Ho saka jis tarah bhi
- Uss tarah toda hai mujhe
- Zindagi ne maut ke kabil bhi na choda hai mujhe
- Kuch is tarah hai
- Apno ke ehsaan mujh par
- Todakar har baar sheeshe ki tarah,
- Joda hai mujhe..
- ------------------------------------------------------
- Wo Badal Gya Par Dil Ko Yakeen Na Hua,
- Wo Itni Dur Ho Gya Jitna Kbhi Mere Kareeb Na Hua,
- Kya Khub Wafao Ka Sila Mila H ‘Kumar’ Tuzhe,
- Is Tarah To Rutha Kbhi Tera Naseeb Na Hua.
- ------------------------------------------------------
- Ye Fasana Nhi Dil-E-Dard Mand H,
- Mera Har Gam Dil K Pinzare Me Band H,
- Kya Krega ‘Kumar’ Zamane Bhar Ki Khushiyan,
- Ek Bewafa Ki Yaad Me Use Rona Pasand H.
- ------------------------------------------------------
- Tassavur Tera Jab Bhi Aata H,
- Aankho Me Ashko Ka Sailaab Lata H,
- Fir U Gujarta H Waqt Mera,
- Na Dil Ko Krar Aata H, Na ‘Kumar’ Ko Aaram Aata H.
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
Mai Kal Bhi Tanha shayari
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment