- Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein;
- Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine!
- ********************************************
- Chahat Mein Dubne Ka Haq Sabhi Ko Hai;
- Par Duniya Ke Samne Inkar Sabhi Ko Hai;
- Beshak Koi Chup!a !Le Dil Kee Gehraiyon Mein;
- Par Kisi Na Kisi Se To Pyar Sabhi Ko Hai!
- ************!********************************
- Mera Muqadda!r Padhane Wale Ne Mujhe Pareshani Mein Daal Diya;
- Haatho Kee Lakeerein Dekh Kar Bola, Tujhe Maut Nahi Kisi Ki Chaahat Maaregi!
- ********************************************
- Uski Khamoshi Se Darr Lagta Hai;
- Door Na Ho Jaye! Mujhse Aisa Kyon Lagta Hai;
- Duniya Se Use Cheen Lene Ka Hausla Hai Mujh Mein;
- Lekin Woh Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai!
- ********************************************
- Raat Ke Khwab! Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwab Suhane The;
- Dhoodhle Dhoodhle Chehre The Par Sab Jaane Pahchane The;
- Ziddi Wahshi Alhar Chanchal Meethe Log Raseele Log;
- Honth Un Ke Ghazalon Ke Misre Aankhon Mein Afsane The;
- Yeh Ladki To Inn Galiyon Mein Roz Hi Ghuuma Karti Thi;
- Iss Se Un Ko Milna Tha To Iss Ke Lakh Bahane The;
- Hum Ko Sari Raat Jagaya Jalte Bujhte Taron Ne;
- Hum Kyon Un Ke Dar Pe Utre Kitne Aur Thikane The;
- Vahshat Kee Unvaan Humari In Mein Se Jo Naar Bani;
- Dekhenge To Log Kahenge 'Insha' Ji Deewane The!
- ********************************************
- Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Vaar Karte Hain 'Faraz';
- Warna Gairon Ko Kya Khabar Ki Dil Kee Jagah Kaun Si Hai!
- ********************************************
- Unki Yaadon Ko Ab!hi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun;
- Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun;
- Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hee, Baad Mere Marne Ke;
- Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
- ********************************************
- Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa;
- Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum;
- Aaj Wakif Hai Yaaro H!umse Shehar Ka Har Ek Aadmi;
- Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum!
- BEWAFA********************************************
- Zamane Wale Mil Gaye Hain Sabhi Ek Doosre Se;
- Milkar Sabhi Ne Mujh Akele Ko Mara Hai;
- Tu Bhi Mat Ho Jana Bewafa Sabhi Kee Tarah;
- Ai Mere Dost Iss Dil Ko Bas Tera Sahara Hai!
- ********************************************
- Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye;
- Gum Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye;
- Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Kee Simt Jata Hun;
- Isko Dasht-e-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye;
- Lakh Khushguman Duniya Vehmi Talluq Ko;
- Dosti Kahe Lekin Dosti Na Samjha Jaye;
- Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jeene Marne Ko;
- Aap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye;
- Khak Karne Walon Kee Kya Ajeeb Khwahish Thi;
- Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye!
- ********************************************
- Tum Ise Shikwa Samajh Kar Kis Liye Sharma Gaye;
- Muddaton Ke Baad Dekha T!ha To Aansu Aa Gaye!
- ********************************************
- Hai Agar Hamari Koi Khata Tu Sabit To Kar;
- Agar Bure Hain Hum To Bura Saabit To Kar;
- Tujhe Chaha Hai Humne Kitna, Tu Kya Jane;
- Chal Hum Be!wafa Hi Sahi, Tu Apni Wafa Sabit To Kar!
- BEWAFA********************************************8
- Bhule Hain Rafta Rafta Unhein Muddaton Mein Hum;
- Kishton Mein Khudkh!ushi Ka Mazaa Hum Se Puchiye!
- JUDAAI********************************************
- Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai;
- Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai;
- Hanste Hain To Aankhon S!e Nikal Aate Hain Aansu;
- Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai!
- ********************************************
- Log Har Mod Par Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain;
- Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hain;
- Main Na Juganu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun;
- Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain;
- Neend Se Mera Taluq Hi Nahi Barson Se;
- Khwab Aa-Aa Ke Meri Chhat Pe Tehalte Kyon Hain;
- Mod To Hota Hai Jawani Ka Sambhalne Ke Liye;
- Aur Sab Log Ya!hin Aakar Phisalte Kyon Hain!
- ********************************************
- Milate Ho Usi Ko Khaak Mein, Jo Dil Se Milta Hai;
- Meri Jaan Chahane Wala, Badi Mushkil Se Milta Hai!
- ********************************************
- Had Kee Had Se G!uzrna Koi Aapse Seekhe;
- Yun Mohabbat Mein Jaan Lutana Koi Aapse Seekhe;
- Hum To Dil Dekar Bhi Aapke Ho Na Sake;
- Dil Ko Dil Se Churana Koi Aapse Seekhe!
- ISHQ********************************************
- Mat Intez!ar Karvao Humse Itna Ki Waqt Ke Faislon Pe Tumhe Bhi Afsos Ho Jaye;
- Kya Pta Tum Baat Karne Aao Aur Tab Tak Humari Rooh Hi Khamosh Ho Jaye!
- INTZAAR********************************************
- Aankho Ke Ishare Samajh Nahi Pate;
- Hontho Se Dil Kee Baat Keh Nahi Pate;
- Apni Bebasi Hum Kis Tarah Kahe;
- Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahi Pate!
- ********************************************
- Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho;
- Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho;
- Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal;
- Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho;
- Rishton Ke Regista!n Mein Har Sar Par Dhoop Hai;
- Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho;
- Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod;
- Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho!
- ********************************************
- Tamam Umar! Jo Kee Humse Be-Rukhi Sab Ne;
- Kafan Mein Hum Bhi Azizon Se Munh Chhupa Ke Chale!
- ********************************************
- Kabhi Unki Yaad Aati Hai Kabhi Unke Khawab Aate Hain;
- Mujhe Satane Ke Saleeke To Unhe Behisab Aate Hain;
- Qayamat !Dekhni Ho Agar Chale Jana Kisi Mehfil Mein;
- Suna Hai Ki Mehfil Mein Woh Be-Naqab Aate hain!
- ********************************************
- Kayi Sadiyon Mein Aati Hai Koi Soorat Haseen Itni;
- Husn Par Har Roz !Kahan Aise Shabab Aate Hain;
- Roshni Ke Waaste To Unka Noor Hi Kaafi Hai;
- Unke Deedaar Ko Aaftab Aur Mehtaab Aate Hain!
- HUSN********************************************
- Churi Kee Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain;
- Zakham Bhi Khud Hee Dete Hain Khud Hee Aansu Bahate Hain;
- Yeh Kaisa Pyaar Hai Unka Koi To Humko Samjhao;
- Sitamgar Hain Ya Hain Dilbar Woh Jo Yaad Aate Hain!
- ********************************************
- Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
- Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;
- Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai;
- Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai;
- Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
- Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai;
- Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke;
- Uss Ko Har T!aur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai;
- Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe;
- Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai;
- Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil;
- Har Musaf!ir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
- ********************************************
- Dushmani Lakh Sahi Khatam Na Kijiye Rishta;
- Dil Milen Ya Na Milen Hath Milate Rahiye!
- ********************************************
- Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein;
- Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein;
- Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa;
- Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein!
- ********************************************
- Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tu Tham Le;
- Magar Mere Pyaar Ko Bhi Tu Kabhi Pehchan Le;
- Kitna Intezar Kiya Hai Tere Ishq Mein Humne;
- Zara Yeh Dill Kee Betaabi Ko Bhi Tu Kabhi Jaan Le!
- ********************************************
- Din Beet Jate Hain Suhani Yaadein Banker;
- Baatein Reh Jati Hain Kahani Bankar;
- Par Pyaar To Hamesha! Dil Ke Kareeb Rahega;
- Kabhi Muskaan To Kabhi Aankhon Mein Pani Bankar!
- ********************************************
- Ret Par Likh Kar Mera Naam
- Ret Par Likh Kar Mera! Naam Mitaya Na Karo;
- Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo;
- Log Har Baat Ka A!fsaana Banaa Lete Hain;
- Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo;
- Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho;
- Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo;
- Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai 'Mohsin';
- Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo!
- ********************************************
- Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam;
- Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain!
- ********************************************
- Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Kee Tarha;
- Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Kee Tarha;
- Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
- Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
- ********************************************
- Koi Mil Jaaye Mujhe Tum! Jaisa Yeh Na-Mumkin Sahi;
- Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Yeh Bhi Nahi!
- ********************************************
- Woh Paas Aate To H!um Baat Kar Lete;
- Wo Sath Rehte To Hum Pyaar Kar Lete;
- Kya Majburi Rahi Jo Woh Chale Gaye;
- Wajah To Batate Hum Intezar Kar Lete!
- ********************************************
- Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafa Yaad;
- Ab Mujh Ko N!ahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;
- Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Yeh Na Bhi Raha Yaad;
- Shayad Ke Mere Bhoolne Waalay Ne Kiya Yaad;
- Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko;
- Jeene Kee Adaa Ya!d Na Marne Ki Adaa Yaad;
- Kya Lutf Ki Main Apna Pata Aap Bataaun;
- Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad;
- Muddat Hui Ek Hadsa-e-Ishq Ko Lekin;
- Ab Tak Hai Tere D!il Ke Dhadakne Kee Sadaa Yaad!
- ********************************************
- Naya Ek Rabt Pai!da Kyon Karen Hum;
- Bichadna Hai To Jhagda Kyon Karen Hum!
- ********************************************
- Fursat Mili Jab Humko To Tanhai Aa Gayi;
- Ghum Bhi Aaya !Saath Mein Ruswai Aa Gayi;
- Inn Sab Se Milne Aankhon Se Aansu Bhi Aa Gaye;
- Jab Yaad Mere Dil Ko Teri Judai Aa Gayi!
- ********************************************
- Ghum Ye Na!hi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne;
- Ghum To Ye Hai Ki Raqeebon Se Nibhai Tum Ne;
- Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh Deta;
- Baat Aapas Kee Kyon Sab Ko Batai Tum Ne!
- ********************************************
- Tum Haqee!qat Nahi Ho Hasrat Ho;
- Jo Mile Khawab Mein Wahi Daulat Ho;
- Kis Liye Dekhti Ho Tum Yeh Aaina;
- Tum To Khud Se Bhi Jyada Khoobsurat Ho!
- *******************************************
- Apna Hissa Shumar Karta Tha;
- Mujhse Itna Woh Pyaar Karta Tha;
- Woh Banata Tha Meri Tasveerein;
- Unse Batein Hazaar Karta Tha;
- Mera Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se;
- Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha;
- Such Samjhta Tha Jhooth Bhi Mera;
- Yun Mera Aitbaar Karta Tha;
- Pehle Rakhta Tha Phool Raaste Mein;
- Phir Mera Intezar Karta Tha;
- Aaj Pehlu Mein Wo Nahi 'Faraz';
- Jo Mujh Pe Jaan Nisaar Karta Tha!
- *******************************************
- Hum Hain Sukhe Hue Talab Pe Baithe Hue Hans;
- Jo Talluq Ko Nibhate Hue Mar Jate Hain;
- Ye Mohabbat Kee Kahani Nahi Marti Lekin;
- Log Kirdar Nibhate Hue Mar Jate Hain!
- *******************************************
- Tamanna Se Nahi Tanhayi Se Darte Hain;
- Pyaar Se Nahi Ruswayi Se Darte Hain;
- Milne Kee Chahat To Bahut Hai Magar;
- Milan Ke Baad Kee Judai Se Darte Hain!
- JUDAA
- *******************************************
- Chahat Kee Raah Mein Bikhre Aarmaan Bahut Hain;
- Hum Uski Yaad Mein Pareshan Bahut Hain;
- Woh Har Baar Dil Todta Hai Ye Keh Kar Ki;
- Meri Ummedon Kee Duniya Mein Abhi Mukaam Bahut Hain!
- *******************************************
- Kahan Se Laun Hunar Use Manane Ka;
- Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka;
- Mohabbat Mein Saza Mujhe Hi Milni Thi;
- Kyonki Jurm Maine Kiya Tha Usse Dil Lagane Ka!
- *******************************************
- Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
- Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;
- Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat;
- Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;
- Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap;
- Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh;
- Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan;
- Kamre Kee Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;
- Tu Bhi 'Munir' Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
- Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Ja Kar Dekh!
- *******************************************
- Na Jaane Wo Humse Kya Chhupati Thi;
- Kuch Tha Zaroor Uske Payyare Se Hontho Pe;
- Magar Na Jaane Kyon Humse Sharmati Thi;
- Jab Munh Khulwaya Tab Jakar Maloom Huya;
- Saali Chup-Chup Paan Masala Chabati Thi!
- *******************************************
- Dard Ke Milne Se Ai Yaar Bura Kyun Mana;
- Usko Kuch Aur Siwa Deed Ke Manzur Na Tha!
- *******************************************
- Kuch Likh Nahi Paate Kuch Suna Nahi Paate;
- Haal-e-Dil Zuban Pe La Nahi Paate;
- Woh Utar Gaye Hain Dil Kee Gehraiyon Mein;
- Woh Samjh Nahi Paate, Hum Samjha Nahi Paate!
- *******************************************
- Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua;
- Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua;
- Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum;
- Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua!
- *******************************************
- Bahut Ho Chuka Intezar Unka;
- Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi;
- Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko;
- Dard Unke Ab Kahe Jaate Nahi!
- *******************************************
- Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din;
- Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;
- Ab Na Koi Din Mere Ghar Jayega;
- Jaanae Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;
- Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
- Ki Mujh Hee Ko Bisaar Gaye Mere Din;
- Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
- Mere Din Be-Asar Gaye Mere Din;
- Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
- Yaar Yaaran Sudhar Gaye Ab Din;
- Ab Main Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
- Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
- *******************************************
- Ab In Hudud Mein Laya Hai Intezar Mujhe;
- Wo Aa Bhi Jayein To Aaye Na Aitabar Mujhe!
- *******************************************
- Koi Kehta Hai Pyaar Nasha Ban Jata Hai;
- Koi Kehta Hai Pyaar Saza Ban Jata Hai;
- Lekin Agar Pyaar Karo Sache Dil Se To;
- Pyaar Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai!
- *******************************************
- Mila Wo Bhi Nahi Karte Mila Hum Bhi Nahi Karte;
- Gila Wo Bhi Nahi Karte Shikwa Hum Bhi Nahi Karte;
- Yeh Bhi Such Hai Mohabbat Unko Bhi Hai Mohabbat Humko Bhi Hai;
- Izhar Wo Bhi Nahi Karte Iqrar Hum Bhi Nahi Karte!
- *******************************************
- Tujhe Fursat Na Mili Padhne Kee Warna;
- Hum To Tere Shehar Mein Biktey Rahe Kitaabon Kee Tarah!
- *******************************************
- Ai Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun;
- Jab Tees Koi Chamke Main Tujhko Dikhayi Dun;
- Jis Roz Kabhi Tera Deedaar Na Ho Paaye;
- Main Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhayi Dun;
- Magroor Hai Tu Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar;
- Tu Chahe To Main Tujhko Tan Man Kee Khudai Dun;
- Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Kare Mujhko;
- Main Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunayi Dun;
- Ik Umar Ke Baad Apne Chit Chor Ko Pakda Hai;
- Main Kaise Qateel Usko Baahon Se Rihayi Dun!
- *******************************************
- Ab To Ghabra Ke Ye Kehte Hain Ki Mar Jayenge;
- Mar Ke Bhi Chain Na Paya To Kidhar Jayenge!
- *******************************************
- Maine Har Gum Ko Hans Kar Utha Liya;
- Raaz Teri Bewafai Ka Sabse Chhipa Liya;
- Mujhko To Teri Wafaon Par Yakin Tha;
- Na Jane Kyon Tumne Apna Daman Chhuda Liya!
- *******************************************
- *******************************************
- Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Yeh Doori Kar Di;
- Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di;
- Mere Muqaddar Mein Gum Aaye To Kya Hua;
- Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di!
- *******************************************
- Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain;
- Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain;
- Jane Kya Baat Hai Unme Ai Khuda;
- Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain!
- *******************************************
- Kahan Dil Qaid Se Chhoota Hua Hai;
- Abhi Tak Shehar Se Rootha Hua Hai;
- Hum Kaise Kahe Iss Dil Ko Sacha;
- Hamare Samne Jhoota Hua Hai;
- Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Par;
- Yeh Sab Samaan Loota Hua Hai;
- Tumhare Dil Mein Meri Chahaton Ka;
- Koi To Beej Sa Phoota Hua Hai;
- Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se;
- Yeh Dil Phele Se Hee Toota Hua Hai!
- *******************************************
- Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar;
- Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se!
- *******************************************
- Safar Mohabbt Ka Dushwar Kitna Hai;
- Magar Dekhna Hai Ki Koi Wafadar Kitna Hai;
- Yahi Soch Kar Use Kabhi Manga Nahi Maine;
- Use Parakhna Hai Ki Wo Mera Talbgar Kitna Hai!
- *******************************************
- Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
- Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
- *******************************************
- Iss Janam Vich Karan Pyaar Inha;
- Ki Har Janam Vich Mil Jave Tera Sath Mainu;
- Inhe Sajde Karan Main Rabb Agge;
- Har Janam Vich Naseeb Hove Tera Pyaar Mainu!
- *******************************************
- Kaise Guzarti Hai Meri Har Ek Sham Tere Bagair;
- Agar Tu Dekhle To Kabhi Tanhaa Na Chhodti Mujhe!
- *******************************************
- Kya Kya Hamare Khwab The, Jane Kahan Pe Kho Gaye;
- Tum Bhi Kisi Ke Sath Ho, Hum Bhi Kisi Ke Ho Gaye;
- Jaane Woh Kyon The, Kaun The Aaye The Kis Liye Yahan;
- Woh Jo Fashaar-e-Waqt Mein, Bojh Sa Ek Dho Gaye;
- Uss Ki Nazar Ne Yun Kiya Gard-e-Malal-e-Jaan Ko Saaf;
- Abar Baras Ke Jis Tarah, Sare Chaman Ko Dho Gaye;
- Katne Se Aur Badhti Hai Uthe Hue Sarun Ki Fasal;
- Apne Lahu Se Ahl-e-Dil, cBeej Yeh kaise Bo Gaye;
- Jin Ke Bagair Ik Pal, Jeena Bhi Muhaal Tha;
- Shaklein Bhi Unn Kee Bujh Gayin, Naam Bhi Unn Ke Kho Gaye;
- Ankhon Mein Bhar Ke Rut Jaage, Raston Ko De Ke Dooriyan;
- 'Amjad' Woh Apne Hcumsafar, Kaise Maze Se So Gaye!
- *******************************************
- Shehar Mein Lagta Nahin Sahra Mein Ghabrata Hai Dil;
- Ab Kahan Le Ja Ke Baithein Aise Deewane Ko Hum!
- *******************************************
- Pyaar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi;
- Wafa Kar Lo Chahe Jitni, Bewafai Hi Milegi;
- Jitna Bhi Kisi Ko Apna Bana Lo;
- Jab Aankh Khulegi Tanhayi Hi Milegi!
- *******************************************
- Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain;
- Dil Kee Baatein Tumse Chupi Kab Hain;
- Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Kee Jagah;
- Phir Zindagi Ko Saanson Kee Zarurat Kab Hai!
- *******************************************
- Tadap Ke Dekh Kisi Kee Chahat Mein;
- To Pata Chale Intezar Kya Hota Hai;
- Yun Hi Mil Jaye Agar Koi Bina Tadpe;
- To Kaise Pata Chale Pyaar Kya Hota Hai!
- *******************************************
- Ashk Aankh Mein Phir cAtak Raha Hai;
- Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;
- Main Uss Ke Khayaal Se Gurezaan;
- Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai;
- Tehreer Ussi Ki Hai, Magar Dil;
- Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;
- Hain Phone Pe Kis Kcce Saath Baatein;
- Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai;
- Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
- Sahil Pe Thakan Tapak Raha Hai!
- *******************************************
- Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
- Tum Bhi Chale-Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!
- *******************************************
- Pehli Bar Zindagi Mein Humne Chaha Hai Jisko;
- Unse Humne Apne Pyaar Kac Izhaar Kar Diya;
- Ab Woh Apne Dil Ko Beqarar Karein Ya Na Karein;
- Magar Humne Toh Apne Dil Ko Beqarar Kar Diya!
- *******************************************
- Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai;
- Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai;
- Iss Umeed Ke Saath Ki cAayega Kabhi Paigam Aapka;
- Humne To Har Pal Darwaze Par Nazrein Tika Rakhi Hain!
- *******************************************
- Wafa Ka Naam Mat Lo Yaaroc Wafa Dil Ko Dukhati Hai;
- Wafa Ka Naam Lene Se Humein Ek Bewafa Kee Yaad Aati Hai!
- *******************************************
- Ek Katra Malal Bhi Boya Nahi Geya;
- Woh Khauf Ki Logon Se Roya Nahi Geya;
- Yeh Sach Hai Ki Teri cBhi Neendein Ujad Gayi;
- Tujh Se Bichhad Ke Hum Se Bhi Soya Nahi Gaya;
- Uss Raat Tu Bhi Pehle Sca Apna Nahi Laga;
- Uss Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahi Geya;
- Daman Hai Khushk Aankch Bhi Chupchap Hai Bahut;
- Ladiyon Mein Aansuon Ko Piroya Nahi Geya;
- Alfaz Talkh, Baat Kca Andaaz Sard Hai;
- Pichla Malal Aaj Bhi Goya Nahi Geya;
- Ab Bhi Kahin Kcahin Pe Kalikh Lagi Hui;
- Ranjish Ka Daag Theek Se Dhoya Nahi Geya!
- *******************************************
- Baat Karte Hain Khushi Kee To Ek Ranj Ke Sath;
- Woh Hansate Bhi Hain Ke Rula Dete Hain!
- *******************************************
- Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Hue;
- Khud Nazron cMein Apni Begane Hue;
- Kisi Bhi Rishte Ka Khayal Nahi Mujhe;
- Ishq Mein Tere Iss Kadar Deewane Hue!
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
HUSN GILA SHIKWA GAM SHAYARI NO 1
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment