- Iss Daur Ke Insan Ne Kabhi Socha Hai,
- Akhlaak Ki Akdaar Ka Mansha Kya Hai,
- Dekho To Har Ek Samt Huzoom,
- Socho To Har Ek Apni Jagah Tanha Hai.
- -----------------------------------------
- Har Roshni Bulbul Si Chehak Uthti Hai,
- Has Saas Sharaabi–Si Behak Uthti Hai,
- Jis Raat Me Khil Jaate Hain Do Pyaar Ke Fool,
- Sadio Ki Tawarikh Mehak Uthti Hai.
- -----------------------------------------
- Dunia Ke Har Jarre Se Ghabrata Hu,
- Gham Samne Aata Hai, Jidhar Jaata Hu,
- Rehte Hue Is Jahan Mein Muddat Guzri,
- Fir Bhi Apne Ko Ajnabi Paata Hoon.
- -----------------------------------------
- Duniya Dariya Hai Aur Hawas Tufa Hai,
- Maninde-Habab Hasit–E–Insa Hai,
- Langar Hai Jo Dil To Har Nafas Baade-Murad,
- Seena Kasti Hai Nakhuda Insa Hai.
- -----------------------------------------
- Har Ek Ghazal-Sara Hai Makdi Goya,
- Har Sher Hai Kheera Aur Kakdi Goya,
- Majmoo Ke Tatolne Mein Kaam Aata Hai,
- Kar Kaafiya, Andhe Ki Hai Ladki Goya.
- -----------------------------------------
- Swapan Se Keh Do Ki Wo Sakaar Ho Jaaye,
- Taar Se Keh Do Ki Wo Jhankaar Ho Jaaye,
- Me Tumhaari Seedhion Par Paaw Rakhta Hoon,
- Rosh Se Keh Do Ki Ghulkar Pyaar Ho Jaaye.
- -----------------------------------------
- Yun To Har Dil Kisi Dil Pe Fidaa Hota Hai,
- Pyaar Karne Ka Magar Taur Judaa Hota Hai,
- Aadmi Lakh Sambhalne Pai Girta Hai Magar,
- Jhuk Ke Usko Uthaa Lo To Khudaa Hota Hai.
- -----------------------------------------
- Me Raha Sabki Tarah, Sabse Niraala Na Hua,
- Hua Angoor, Magar Dhalke Me Haala Na Hua,
- Jab Talak Toone Jalayi Na Pyaar Ki Baati,
- Andhere Ghar Me Kabhi Dost Ujaala Na Hua.
- -----------------------------------------
- Aaj Phir Unke Husn Ka Khyal Aaya, Khuda Khair Kare,
- Aaj Phir Usne Iss Masoom Dil Ko Tadpaya, Khuda Khair Kare,
- Yu To Mera Dawa Tha, Ki Hum Bhul Gaye Unka Pyar,
- Magar Kyu Aaj Unka Pyar Yaad Aaya, Khuda Khair Kare.
- -----------------------------------------
- Aa Teri Bikhri Hui Julfoko Sanwar Du,
- Aa Tujhe Mein Aaj Jee Bhar Ke Pyar Du,
- Ab Sath Jindagi Bhar Ka H Humara,
- Aa Tujhe Mein Ane Hisse Ka Pyar Du.
- -----------------------------------------
- Dhang Apna Judaa Ho Gaya Hai,
- Kyunki Banda Khudaa Ho Gaya Hai,
- Baat Karta Hai Insaniyat Ki,
- "Rang" Ko Jaane Kya Ho Gaya Hai.
- -----------------------------------------
- Paiham Dame-Sarad Kyun Mare Jaate Ho,
- Bewakat Kajaa Se Kyun Dare Jate Ho,
- Muskil Nahi Maut, Aajmao To Sahi,
- Mar Jaane Se Pehle Kyun Mare Jaate Ho.
- -----------------------------------------
- Hasraton Ki Jehar Bujhi Lau Mein,
- Mom Sa Dil Gala Diya Maine,
- Kaun Bijli Ki Dhamkiyaan Sehta,
- Aashiyaan Khud Jala Diya Maine.
- -----------------------------------------
- Panghat Pe Sare-Sham Jo Aayi Devi,
- Har Aankh Mein, Har Dil Me Samaayi Devi,
- Kundan Sa Badan Aur Bhi Jhal Jhal Chamka,
- Sooraj Ki Jo Kirano Me Nahaayi Devi.
- -----------------------------------------
- Mehfil Mein N Ho Sham Se Parwane Ki Behas,
- Masto Mein N Ho Sagar-Oh-Paimane Ki Behas,
- Ha Jalv-Aye-Yaar Aa Dilevira Mein,
- Ho Ktham Abhi Kaab-Oh-Butkhane Ki Behas.
- -----------------------------------------
- Kitne Dard-E-Gam Jawani Mein Bhar Gaye,
- Aansuo Ki Sogat Jindgani Mein Bhar Gaye,
- Wo Chodkar Hume Yu Sareraah Juda Hue,
- Tanhai Bhari Raat Jawani Mein Bhar Gaye.
- -----------------------------------------
- Zehar Pee Kar Mein Muskurane Chala Hu,
- Aaj Game-Dard Gungunane Chala Hu,
- Meri Himmat Ki Daad Dena Mere Dushmano,
- Wafa Ki Kabar Pe Mein Jashan Manane Chala Hu.
- -----------------------------------------
- Nafrat Ka Mere Dard Ko Andaaj Na De,
- Ye Shor-Bhara Jehar Bhara Saaj Na De,
- Hum Thak Ke Bahut Thak Ke Jara Soye Hain,
- Oh Dunia Hume Is Tarah Aawaaj Na De.
- -----------------------------------------
- Nafraton Ko Pyaar Hum Dene Chale,
- Preeti Ka Tyohaar Hum Dene Chale,
- Aap Ab Khushio Ke Khat Le Jaaiye,
- Dard Ko Ye Taar Hum Dene Chale.
- -----------------------------------------
- Wafa Karne Walo Ko Jaha Mein Dard Milta Hai,
- Wafa Karke Wala Mohabbat Ki Aag Mein Jalta Hai,
- Wafa Karne Wala Ki Aah Mein Asar Hota Hai,
- Wafadaaro Ki Aah Se Pathar Pighalata Hai.
- -----------------------------------------
- Jo Pichle Janam Mein Shuru Hui Wo Kahani Ho Tum,
- Tera Badan Iss Duniya Ka Nahi Sarbasar Ruhani Ho Tum,
- Kon Chu Sakta H Jane-Ja Tumhara Badan,
- Tum To Rooh Koi Dusri Duniya Ki Badhi Lasani Ho Tum.
- -----------------------------------------
- Rahe-Hayaat Ki Sakhti Na Jhel Sakta Main,
- Jo Tere Haath Ki Narami Na Mil Gayi Hoti,
- Na Jaane Kab Ye Dile-Jaar Sard Pad Jaata,
- Jo Tere Kabra Ki Garami Na Mil Gayi Hoti.
- -----------------------------------------
- Tinka Hai Bashar – Mauje Fanaa Ke Aage,
- Chalti Nahi Kuch Uski Kajaa Ke Aage,
- Kya Cheej Hai Maut, Aa Bataaun Tujko,
- Insan Ki Shikast Hai Khudaa Ke Aage.
- -----------------------------------------
- Aansuon, Ye Batla Do, Kyun Kabhi Jharno Sa Jharte Ho,
- Kabhi Ho Jhadi Laga Dete, Kabhi Betarah Bikharte Ho,
- Gir Gaye Jab Aankhon Se Tab Kis Liye Unko Bharte Ho,
- Nikal Aaye Dil Se Tab Kyun Fir Jagah Dil Mein Karte Ho.
- -----------------------------------------
- Teri Mehfil Na Sahi, Dard Ki Mehfil Hogi,
- Jindagi Ke Liye Koi To Sahara Hoga,
- Fikar Toote Huye Khaabon Se Hararat Legi,
- Dil Pe Beete Hue Aiyyam Ka Saya Hoga.
- -----------------------------------------
- Kya Sitaaron Ke Ishaare, Dhyaan Do,
- Keh Rahi Madhu Baat Kya, Tuk Kan Do,
- Jindagi, Pyari Khadi Hai Dwar Par,
- Aaj Madhu K Parwa, Madhu Ka Daan Do.
- -----------------------------------------
- Har Kashish Pyar Ko Pehchan Nahi Hoti Hai,
- Berukhi Har Hawa, Toofan Nahi Hoti Hai,
- Tumse Seekhi Hai Yahin Ek Sabak Maine Bhi,
- Har Nayi Shakal Meharbaan Nahi Hoti Hai.
- -----------------------------------------
- Pyaar Hai Kartavya, Mat Adhikaar Samjho,
- Pyaar Hai Patwaar, Mat Majhdhaar Samjho,
- Pyaar Ko Tolo Na Samta Ki Tulaa Par,
- Kyunki Ye Hai Pyaar, Mat Vyaapar Samjho.
- -----------------------------------------
- Pyaar Dil Ka Bayan Hota Hai,
- Jindagi Ke Saman Hota Hai,
- Hum Tadapti Jameen Hote Hain,
- Dard Jab Aasman Hota Hai.
- -----------------------------------------
- Ras Ki Aawaj Hai Ki Amrit Ki Fuhaar,
- Ye Roop Ki Pyaar Ki Ho Jaise Chumkaar,
- Ye Loch, Ye Dhaj, Ye Muskuraahat, Ye Nigaah,
- Ye Mauje-Nafas Ki Saans To Hai Bahar.
- -----------------------------------------
- Aa Jaaiyega Bare Digar Aankhon Me,
- Ho Jaayegi Jalwon Ki Sirah Aankhon Me,
- Sach Ye Hai Ki Aankhon Ki Kadoorat Dhul Jaaye,
- Dhal Jaaye Jo Wo Husne Najad Aankhon Mein.
- -----------------------------------------
- Toofan Ke Talattum Me Kinara Kya Hai,
- Girdaab Mein Tinke Ka Sahara Kya Hai,
- Socha Bhi Ai Jist Pe Marne Wale,
- Mit-Ti Huyi Maujon Ka Ishara Kya Hai?
- -----------------------------------------
- Dunia Jo Sawar Jaaye, Sawar Jaane De,
- Dunia Jo Nikhar Jaaye, Nikhar Jaane De,
- Ye Fursate–Najaara Ganimat Hai "Firaak",
- Dil Par Gujar Jaaye To Guijar Jaane De.
- -----------------------------------------
- Har Ek Najar Yeh Kaam Karti Bhi Nahi,
- Har Ek Nigah Yu Utrati Bhi Nahi,
- Sadke Tere Dekhne Ke Jaalim Dil Par,
- Padti Hai Wo Chot Bhi Ubharti Bhi Nahi.
- -----------------------------------------
- Door Manjil Hai, Na Sham Aur Dhal Jaaye,
- Behake Paanwon Ko Na Rehgujar Nigal Jaaye,
- Pyar To Kar Loon, Magar Aisa Na Ho Jaaye Kahi,
- Teri "Maasumiyat" Andaaz Mein Badal Jaaye.
- -----------------------------------------
- Haste Huye Cherhre Pe Ghajali Aankhein,
- Bemisl Jawani Hai Misaali Aankhein,
- Ghanghor Ghataayein Bhi Hain Paani-Paani,
- Allah Re Gori Ki Ye Kaali Aankhein.
- -----------------------------------------
- Yaaron Ko Kudratein Hain Ab To Humse,
- Jis Roj Ki Hum Jaayenge Is Aalam Se,
- Us Roj Khulegi Saaf Hum Par Ye Baat,
- Is Bajam Ki Raunak Thi Hamare Dum Se.
- -----------------------------------------
- Khuda Ka Noor H, Aaftaab Ki Roshni H Husn,
- Jindagi Ka Falsafa, Bandage Ki Paakijagi H Husn,
- Husn Ki Rooh Ko Khuda Ki Parsitas Samjo,
- Geet Ka Soj, Saajo Ki Jindagi H Husn.
- -----------------------------------------
- Ye Sange Nishaan Hai Manjil-Wehdat Ka,
- Paida Na Hua Fir Koi Is Surat Ka,
- Insaan Jise Kehte Hain Dunia Wale,
- Kadde-Aadam Aayina Hai Kudrat Ka.
- -----------------------------------------
- Ek Baras Me Ek Bar Hi Jagti Holi Ki Jwaala,
- Ek Bar Hi Lagti Baaji, Jalti Deepon Ki Mala,
- Dunia Walo, Kintu Kisi Din Aa Madiralaya Me Dekho,
- Din Ki Holi, Raat Diwali, Roj Manaati Madhushala.
- -----------------------------------------
- Ye Chehra Khilaa Hua Ye Mehke Huye Hont,
- Ye Gesuon Ki Lapat Ye Lehke Huye Hont,
- Ye Tajadami, Ye Muskurahat, Ye Nashaat,
- Sanson Ki Thandi Lau Se Dehke Huye Hont.
- -----------------------------------------
- Aankhe Sharabi, Honth Gulabi, Jana Tera Kya Kehna,
- Chalti Tu Naagin-Si Balkhati, Jana Tera Kya Kehna,
- Ye Madbhari Aankhe, Ye Tirchi Najar,
- Ye Honth Jana Tera Kya Kehna.
- -----------------------------------------
- Ye Teri Aankho Mein Qayamat Ke Kajal,
- Hontho Pe Suraj Ki Laali,
- Aye Sanam Itna To Bata De Mujhko,
- Hai Aaj Kiski Taqdeer Sawarne Wali.
- -----------------------------------------
- Humne Hi Bithaaya Tujhe Paimaane Par,
- Fir Tujko Hi Tera Hai Nasha Aane Par,
- Nafrat Se Na Yun Dekh Hume Ai Saaki,
- Kuch Hak Hai Hamara Bhi To Maikhaane Par.
- -----------------------------------------
- Apne Honto Se Jara Mera Geet Gunguna Do,
- Mere Geeto Ko Tum Kismat Bana Do,
- Jane Jaha Inayat Hogi Teri Mujh Par,
- Agar Mujhse Se Shikayat H To Has Ke Saja Do.
- -----------------------------------------
- Feeki Feeki Sham Hawaon Me Ghut-Ti Ghut-Ti Aawajein,
- Yun To Koi Baat Nahi Par Fir Bhi Bhari-Bhari Ji Hain,
- Maathe Par Dukh Ka Dhundlapan, Man Par Gehri–Gehri,
- Mujko Shayad Meri Aatma Aawaj Kahin Se Di Hai.
- -----------------------------------------
- Ik Hashra Simat-Raha Hai, Apni Hi Taraf,
- Toofan Jhapat Raha Hai, Apni Hi Taraf,
- Kaunen Ka Il Dhadak Raha Hai Ai Dard,
- Insaan Palat Raha Hai, Apni Taraf.
- -----------------------------------------
- Meri Wafao Ke Bhi Kabil Nahi Ho Tum,
- Pyar Mile Saccha Aise Insaan Nahi Ho Tum,
- Dil Kyu Karega Tum Par Aitabaar,
- Pyar Mein Jo Dhoka De Aise Bewafa Ho Tum.
- -----------------------------------------
- Dukh Dard Se Kis Waqt Shafa Milti Hai,
- Kab Jakhme Mohobbat Ki Dawa Milti Hai,
- Aise Bhi Hain Kuch Log Jinhe Dunia Me,
- Nakarda Gunaahon Ki Sajaa Milti Hai.
- -----------------------------------------
- Ishwar Na Kare Tum Kabhi Ye Dard Saho,
- Dard, Haan Chao To Ise Dard Kaho,
- Magar Ye Aur Bhi Bedard Maja Hai Ai Dost,
- Ki Haad–Haad Chitak Jaaye Magar Dard Na Ho.
- -----------------------------------------
- Kalwat Mein N Tha Koi Faqat Mein Aur Yaar,
- Sab Subha Dam Aaye Hai Rafik-Oh-Gamkhwar,
- Jo Lutf Uthaye Hai Shabe-Wasal Unse,
- Wo Kissa Kahe Kon Ki Badle Dil-Jar.
- -----------------------------------------
- Teesre Shababo-Umar Faani Kya Thi,
- Ye Bhi Yaad Wo Kahani Kya Thi,
- Gaflat Se Khuli Aankh To Maalum Hua,
- Ek Neend Ka Jhonka Tha Jawani Kya Thi.
- -----------------------------------------
- Jagmagati Hai Yun Tasabbur Me,
- Tere Aarij Ki Husno Raanaayi,
- Shab Ke Pichle Pehar Ghataaon Mein,
- Barak Leti Ho Jaise Angdaayi.
- -----------------------------------------
- Dunia Ke Aalam Jauk, Utha Jaayenge,
- Hum Kya Kahein Kya Aaye The Kya Jaayenge,
- Jab Aaye The Rote Huye Aap Aaye The,
- Aap Jaayenge Auron Ko Rula Jaayenge.
- -----------------------------------------
- Har Shaksh Ko Daawa Hai Ki Hu Lasaani,
- Ab Tak Na Meri Kadar Kisi Ne Na Jaani,
- Dekha Jo Ghadaa To Jal Ke Chalni Ne Kaha,
- Andhon Ne Bhara Kabhi Na Hum Me Pani.
- -----------------------------------------
- Dil Diya Tha Agar Khudaa Ne Tujhe,
- Dil Mein Jauke-Gunaah Bhi Hota,
- Tu Farishta Sifat Sahi Waayij,
- Kaash Tu Ek Aadmi Hota.
- -----------------------------------------
- Thunth Par Jaise Sharad Ki Chandni O Kshan,
- Ret Mein Jaise Nadi Ki Raagini Wo Kshan,
- Door Tak Faile Huye Janheen Prantar Mein,
- Baasuri Ki Dhun Badi Unmaadini Wo Kshan.
- -----------------------------------------
- Iss Taali-Aye-Shor Ka To Chara Hi Nahi,
- Duniya Mein Ilaaj Ik Humara Hi Nahi,
- Aagiyar Ko Nosh Jaan Se Wasal Ki Ya,
- Khabar Sharbate-Marg Kuch Gawara Hi Nahi.
- -----------------------------------------
- Bujhe Hue Armano Ka Bas Itna Sa Kehna Hai,
- Humko To Har Pal Ishq Mein Zinda Rehna Hai,
- Chahe Sitamgar Kitne Bhi Teer Chalaye Humpar,
- Har Teer Ka Jakham Pyar Se Hame Sehna Hai.
- -----------------------------------------
- Kisi Ko Geet Deta Hoon, Kisi Ko Saaj Deta Hoon,
- Bahut Khush Ho Gaya Jis Par Use Kuch Raaj Deta Hu,
- Kabhi Jab Paas Mein Kuch Bhi Na Reh Jaata Lutaane Ko,
- Teri Soyi Padi Aawaj Ko Aawaj Deta Hu.
- -----------------------------------------
- Tabaahi Ke Samaa Najar Aa Rahe Hain,
- Saron Pe Wo Mandlaa Rahi Hai Tabaahi,
- Ghiri Kishti-E-Umar Kaayam Bhawar Mein,
- Bacha Le Ise Doobne Se Ilaahi.
- -----------------------------------------
- My Favourte Urdu Poetry Tu Kisi Ka Kabhi Apna Na Paraya Hota,
- Naam Par Tere Ye Bhram Jaal Na Chaya Hota,
- Hindu–Isaayi-Musalmaan Banane Wale,
- Toone Insan Banaya Hota.
- -----------------------------------------
- Ye Dard Ki Duniya Bhi Kitni Ajib Hai,
- Yaha Ashqo Ka Bhi Jaam Banaya Jata Hai,
- Keh Bhi Dete Hai Dil-E-Dard-E-Dastaan,
- Phir Bhi Sab Waah Waah Pukare Jate Hai.
- -----------------------------------------
- Marna Hai Agar, To Kya Karein, Marna Hai,
- Paimnae-Jist Ek Din Bharna Hai,
- Lekin Pehle Hai Fikar Iski Laajim,
- Jab Tak Jinda Hain, Humko Kya Karna.
- -----------------------------------------
- Hai Shabname-Gul Lafta Par Naja,
- Halki Patti Najakato Par Naja,
- Ek Mein Ki Giraftar Hu Rang-Oh-Bhu Ka,
- Phir Bhi Teri Inayato Par Naja.
- -----------------------------------------
- Karte Nahi Kuch To Kaam Karna Kya Aaye,
- Jeete Ji Jaan Se Gujarna Kya Aaye,
- Ro Ro Ke Maut Maangne Walo Ko,
- Jeena Nahi Aa Saka To Marna Kya Aaye.
- -----------------------------------------
- Phir Usi Ek Chand Se Rishta Bana Baithe,
- Phir Usi Saadgi Se Fareb Kha Baithe,
- Pathron Se Rahe Taalukaat Hamare,
- Phir Bhee Sheeshe Ka Aashiyana Bana Baithe.
- -----------------------------------------
- Barsat Chaman Ko Wajud Mein Lati Hai,
- Kudrat Ki Fiza Nashw-Oh-Numa Pati Hai,
- Thandi-Thandi Gulo Se Bhu Aati Hai,
- Bhini-Bhini Gulo Se Bhu Aati Hai.
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
New Urdu Poetry SmS Messages
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment