missing you shayari yaad shayari girlfriend



  • Hone ko is shehr mein kya kya nhi hota
  • Hairat hai k ik shakhs humara nahi hota
  • Jab uski achcchi guzarti hai bin hamare,
  • To kyon hamara uske bin guzara nahi hota 

  • Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon?
  • Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoon?
  • Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tujhko…
  • Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoon? 

  • Aap se milne ka maan kar raha hai,
  • Maan ko samjaya to dil keh raha hai,
  • Dil ko bataya to ankhe ro padi,
  • Unhe chup kar diya to saanse bol padi. 

  • Kyon tujhi ko dekhna chahati hain meri aankhein,
  • Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein,
  • Kyon itna chahane laga hoon tujhko main,
  • Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein 


  • Bohat udaas hai koi shakhs tere jaane se,
  • Ho sake to laut aa kisi bahaane se,
  • Tu laakh khafa sahi magar ik baar to dekh,
  • Koi toot gaya hai tere door jaane se 

  • Apni Zat Se Nikal Kr Tujhe Tanha Chahon,
  • Malum Tujhe Bi Na Ho Tujhe Itna Chahon,
  • Meri Har Saans Amanat Hai Teri,
  • Ab Tu Hi Bata Or Tujhe Kitna Chahon 

  • Yaad aati hai to zara kho jaate hai,
  • AAnshu aankhon main utar aaye to zara ro lete hai,
  • Neend to nahi aati aankhon main lekin,
  • Wo khawabon main aayenge yahi soch kar so lete hai 

  • Tumse doori ka ahsaas sataane laga,
  • Tere saath gujara har lamha yaad aane laga,
  • Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki ae dost,
  • Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga 

  • Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar,
  • Dam armaano ne toda dam machal-machal kar,
  • Meri kismat me judaai likhi thi,
  • Warna har kadam rakha tha
  • Sambhaal-sambhaal kar 

  • Waqt guzar raha tha,
  • Par saanse thami si thi,
  • Muskura rahe they hum,
  • Aankho mein nami si thi,
  • Saath mere yeh jahaan tha saara,
  • Par na jaane kyon kisiki kami si thi. 

  • Ankhon Ki Zuba Ko Samajh Nahi Pate
  • Hont Hain Magar Kuch Keh Nahi Pate..
  • Apnay Dil Ki Bebasi Kis Tarah Kahen Hum
  • Koi Hey Jiske Bagher Hum Reh Nahi Pate..!! 

  • Shikayat na karta zamane se koi,
  • Agar maan jata manane se koi,
  • Kisi koh phir yaad na karta koi,
  • Agar bhool jaate bhoolane se koi. 

  • Yaadon ko teri hamne khone na diya,
  • Ghamo ne bhi chup hone na diya,
  • Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
  • Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya. 

  • Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
  • Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai,
  •  Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
  • Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai,
  •  Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
  • Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai. 

  • Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
  • Apki yadon ko seene se lagaya hai,
  • Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
  • Dost to hamne auron ko bhi banaya hai. 

  • Logon Ki Bheed Mein Toh Maloom Nahi Hota,
  • Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
  • Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
  • Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai. 

  • Aksar gumsum rehnewala nagma hu main,
  • Aapki yaado me rehnewala lamha hu main,
  • Aap meri jaan ho to ek baat batao,
  • Aapke hote huye bhi kyu tanha hu main. 

  • Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai,
  • Aise hi Mohabbat ki shuruwat hoti hai,
  • Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum,
  • Pata nahi kab din kab raat hoti hai.

  • Aapko bhul jaye wo nazar kaha se laye,
  • Kisi aur ko chah le woh jigar kaha se laye,
  • Nahi reh sakte aap ke bina,
  • Uff bhi na nikle wo Zeher kaha se laye..


Yaad Shayari, New Yaad Shayari 2015, Best Yaad Shayari,Teri Yaad Yaadein Shayari, Miss You Shayari,Miss U Shayari For Girlfriend In Hindi,Miss You Shayari In Hindi For Whatsapp 2015,romantic shayari for girlfriend in hindi,missing you shayari for love,missing you shayari for boyfriend.

No comments :

Post a Comment