Zindagi Khaak Na Thi Shayari 2017

⧭Gulistanon Pe Hi Naheen Moqoof;
Junglon Mein Bhi Phool Khilte Hain⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kon Jaane Hayati Ne Kadon Muk Jana Ae;
⧭⧭Te Phull Umeedan De Fer Sukk Jana Ae;
⧭⧭Kise Ne Te Umraa De Painde Jhalne Ne;
⧭⧭Te Kise Ne Adhe Raste Ruk Jana Ae⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aaseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shehar Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

⬋⬋Dar-o-Divar Pe Chhai Hai Udasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise⬋⬋

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Dub Gaya Bhi Toh Marunga Na Kamal;
Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise⬋⬋⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin;
Doston Ki Wafaa Se Darte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaate Hain;
Gaye Huyon Ki Sadaaon Mein Baith Jaate Hain;
Hum Ird Gird Ke Mausam Se Jab Bhi Ghabraayein;
Tere Khayaal Ki Chhaon Mein Baith Jaate Hain⬋⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Elhaada Kar Liye;
Aj Bhi Roya Toh Mere Sath Woh Roya Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahuti Der Tikkda Ni Jhoothh Kise Di Taad Te;
Vassda Ni Dil Kade Dil Nu Ujaad Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⬊⬊Dil Ajab Gumbad Ke Jis Mein Ik Kabutar Bhi Nahin;
Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin;

Dabati Jati Hain Mitti Mein Badan Ki Kashtiyan;
Dikhne Mein Yeh Zamin Koi Samandar Bhi Nahin;

Jitne Hangamein Thay Sukhi Tahaniyon Se Jhadd Gaye;
Par Phal Bhi Nahin Angan Mein Patthar Bhi Nahin;

Khushk Taahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai Adeem;
Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin;

Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirein Adeem;
Itna Pyara Toh Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin⬱⬱
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Waale;
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale;

⬊Kya Mile Ga Tujhe Bikhre Hue Khwaabon Ke Siwa;
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaane Waale;

⬉Sab Ne Pehna Tha Bade Shaunq Se Kaghaz Ka Libaas;
Jis Qadar Log Thay Baarish Mein Nahaane Waale;

Mar Gaye Hum Toh Ye Qutbe Pe Likha Jaye Ga;
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Waale;

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai Qateel;
Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kudrat Di Fitrat Hai... Har Cheez Nu Aapne Vich Zazab Kar Lainna;
Nahi Taa Iss Duniya Te Mere Hanjhuyan Da Ikk Alag Hi Samundarr Hona Si!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬋⬋Yeh Kya Ke Tujhe Bhi Hai Zamaney Se Shikayat;
Yeh Kya Ke Teri Aankh Bhi Pur'num Hai Meri Jaan⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Isi Se Jaan Geya Mein Ke Waqt Dhalney Lage;
Main Thakk Ke Chaaon Mein Betha To Pairr Chalne Lage;
Main De Raha Tha Saharey To Ik Hajoom Mein Tha;
Jo Gir Pada To Sabhi Raasta Badalney Lage⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
Isi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬋⬋⬋Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi;
Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhod Gayi;

Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal;
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi;

Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir;
Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhod Gayi⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Galti Naal Vi Kise Naal Pyaar Naa Kreyo;
Mar Mar Ke Jeona Pau Kise Te Naa Mreyo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋Iss Qadar Pyar Se Na Dekh Mujhe;
Phir Tamanna Jawaan Na Ho Jaye⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Us Ke Baghair Aaj Bohat Jee Udaas Hai;
⧭Jalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Layen Hum⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haath Mein Haath Un Ka Yun Aaya;
Zindagi Mere Haath Lag Gai Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Bahut Sahi Gam-e-Geti Sharab Kam Kya Hai;
Gulam-e-Saqi-e-Kausar Hun Mujhko Gam Kya Hai;

Tumhari Tarz-o-Rawish Jante Hain Ham Kya Hai;
Raqib Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai;

Sukhan Mein Khama-e-Galib Ki Atashfashani;
Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Mein Dam Kya Hai⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Bada Aukhha Hai Har Waqt Haqeeqat De Vich Rehna;
⧭Zindagi Jeon Lyi Kujh Weham Vi Jaruri Ne⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ab Kar Ke Faramosh To Na'shaad Karo Ge;
Per Hum Jo Na Hon Ge To Bahut Yaad Karo Ge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Qalam, Paon Mein Zanjeerein Hain⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata;
Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jitni Shiddat Se Mujhe Zakham Diye Hain Us Ne;
Itni Shidat Se Toh Maine Usey Chahaa Bhi Nhi Tha⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Jigar Ho Jaega Chhalni Yeh Aankhein Khoon Royeingi Wasi;
Be Fainz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta⬑⬑⬑⬑
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin;
Aisi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Saahan Da Rukk Jaana Taa Aam Gall Aa;
Jithe Apne Badal Jaan Maut Taa Usnu Kehnde Ne⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Kisi Ko Chahne Ka Koi Bahana Nahi Hota;
Dil Lagaane Se Koi Deewanaa Nahi Hota;
Aashiqui Seekhni Ho To Seekho Humse;
Humein Pata Hai Mohabbat Ka Matlab Pana Nahi Hota⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin;
⧭Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai⬋⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭⧭Kitna Dilkash Manzar Ho Jab Hum;
Qyamat Ke Din Karein Shikwa Teri Bewafai Ka;
Aur Tum Lag Ke Gale Se Mere;
Dheere Se Kaho, Chup Raho Khudaa Ke Liye⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ya Rab Kadi Pyar Vich Judai Na Hundi;
Meri Apni Mohabbat Parai Na Hundi;
Loki Kende Mainu Pagal Meri Aini Ruswai Na Hundi;
Mainu Pata Hunda Tu Aona Nahi Si Kaash Main ⬋⬋Dil Di Mehfil Sajai Na Hundi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬋⬋Jab Bhi Dil Khul Ke Roye Honge;
Log Aaraam Se Soye Honge;

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil;
Hum Toh Kya Aap Bhi Roye Honge;

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kya Kya;
Phool Kaanton Mein Piroye Honge;

Woh Safeenay Jinhein Toofan Na Mile;
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge;

Kya Ajab Hai Woh Mile Bhi Hon Faraz;
Hum Kisi Dhyaan Mein Khoye Honge⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hazaar Rang Bhare Zindagi Ke Khaake Mein;
Tere Baghair Yeh Tasveer Na'mukammal Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Yeh Jo Doobi Hain Meri Ankhein Ashkon Ke Dariya Mein;
Yeh Matti Ke Puttalon Par Bharose Ki Saza Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin;
Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Waar Badal-Badal Ke Vekh Lyiya Apnia Rahaan Main;
Par Pta Nahio Kyo Manzil Te Ta Sirf Te Sirf Tu Hi Disda Hain⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬋⬋Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein;
Kyun Na Ay Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzar Karein;
Phir Kahein Aur Mubtila Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz;
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain;
Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain;
Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain;
Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dard-e-Dil Jab Had Se Guzar Jata Hai;
Bankar Syahi Kaagaz Pe Bikhr Jata Hai;
Jab Jab Utha Hai Teri Yaadon Ka Dhwan;
Bankar Nasha Is Dil Mein Utar Jata Hai⬋⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Aadatan Aa Gaya Hun Maqtal Mein;
Mere Kaandhe Pe Ab Toh Sir Bhi Nahi⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jihnu Lai Gyi Kismat Di Hwaa Udaa Ke;
⧭⧭Oh Varka Si Meri Dil Di Kitaab Da;
⧭⧭Kiton Hanjhuyaan Naal Mitteya Hoya;
⧭⧭Te Kiton Hanjhuyaan Naal Likheya Hoya⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah;

Baad Muddat Usko Dekha Toh Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
Pyasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah;

Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga;
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah;

Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi';
⧭⧭Aur Main Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha Use Kisi Pagal Ki Tarah⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi Toh Hai;
Jis Jagah Ishq Ne Buniyad Makaan Ki Rakhi Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ki Humse Wafaa Toh Gair Usko Jafa Kehte Hain;
Hoti Aayi Hai, Ki Acchi Ko Buri Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Os Ton Baad Main Nahi Rakhhi Kise Ton Mohabbat Di Aaas;
Bas Ik Tajurba Hi Kaafi Si Jo Sabhh Kujh Sikha Gya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Rahaa Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

⧭Kaha Thaa Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Eik Din;
So Main Jahaan Thaa Wahin Par Kharha Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

⬈Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aaas Mein Mohsin;
⬈⬈Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Gyaa Barson⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ab Kahan Zarurat Hai, Haathon Mein Patthar Uthaane Ki 'Wasi⬉⬉
⧭⧭Todne Wale Toh Dil Zubaan Se Hi Tod Diya Karte Hain⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Log Toh Majboor Hain Marenge Patthar;
⧭⧭Kyun Na Hum Sheeshon Se Keh Dein Toota Na Karein⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Main Nadaan Tha Jo Wafa Ko Talash Karta Raha 'Ghalib⬉⬉
⬉⬉Yeh Bhi Na Socha Ke Apni Saans Bhi Ek Din Bewafaa Ban Jayegi⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Dukhaan Ne Dukaan Vehre Payi Hove Dil De;
Asli Saboot Ehna Aakhiyan Ton Mil De⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha;
Main Tha Apne Khumaar Mein Baitha;

Uska Aanaa Tha Khwaab Mein Aanaa;
Main Abs-e-Intezaar Mein Baitha;

⧭⧭Koi Soorat Nahi Hai Us Jaisi;
Usko Dekhon Hazaar Mein Baitha;

Usko Khushyon Se Khauf Aata Hai⬋⬋
Weham Kiya Zehen-e-Yaar Mein Baitha;

Hum Bhi Raston Mein Phir Rahe Thay Faraz;
Woh Bhi Tha Rahguzar Mein Baitha⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sirf Ek Baar Apne Honthon Se Mujhe Apna Keh Do;
Phir Mehfil Mein Raqeeboon Ka Tamasha Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib';
Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaha Talash Karoge Tum Mujh Jaisa Koi;
Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe;
Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Uss Ton Baad Main Nahi Rakhhi Kise Ton Mohabbatt Di Aaas⧭⧭
⧭Bass Ikk Tajurbba Hi Kaafi Si Jo Sabhh Kujhh Sikha Gya⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Daman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain;
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain;

⧭Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin⧭
⧭Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain⧭⧭

Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se;
Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain;

⭅⭅Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi⬈
⭅⭅Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain⬈

Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha;
Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain;

Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi 'Mohsin';
Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain⭅⭅
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam;
Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Qaatil Se Bhi, Maqtool Se Hamdardi Bhi;
Yeh Btaa Kis Se Mohabbat Ki Jaza Mange Ga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin';
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sukke Patteyaa Wargi Hai Hasti Meri;
Je Kise Ne Smeteyaa Vi Taa Sirf Jalaun Lyi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⬊⬊Labon Ki Sarsarahat Ke, Baad Choor Hone Tak;
Main Tujhko Is Tarah Chahun, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Khataon Par Khataein Hon, Na Ho Kuch Baat Kehne Ko;
Main Tujh Mein Yun Sama Jaon, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Na Himmat Tujh Mein Ho Baqi, Na Himmat Mujh Mein Ho Baqi;
Magar Itna Qareeb Aaon, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Tere Honthon Ko Jab Rakhon, Main Apne Honth Kuch Aise;
Yaa Teri Pyaas Bujh Jaye, Yaa Meri Saans Ruk Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hain Ghalib;
Varna Ansuon Ko Toh Aankhon Mein Bhi Pnaah Nahi Milti⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Toh Nahi Hai;
Phir Kyo Teri Aankhon Mein Ye Toofan Hain Mohsin;
Munhasir Ehl-e-Sitam Par Hi Nahi'n Hai Mohsin;
Log Apno'n Ki Enayat Se Bhi Mar Jate Hain⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Masjid Khuda Ka Ghar Hai;
Peene Ki Jagha Nahin;
Kaafir Ke Dil Mein Ja;
Wahan Khudaa Nahin⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah;
Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zuban Ki Tarah;
Jala Ke Dag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar;
Ai Mere Bag Mein Khizan Ki Tarah⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Hasdeyan Nainan Noon Rona De Gaya;
Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya;

Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Hawan;
Eh Tohfa Pyar Da Sanoon Sohna De Gaya;

Maut Vi Nahin Aavndi Jeona Vi Hoya Aokha;
Eh Kaisa Rog Assanon Joon Joga De Gaya;

Laare Lappe Laake Assanon Raah Vich;
Chhad Ke Hath Assade Udeekaan De Gya⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda To Milta Hai, Insaan Hi Nahin Milta;
Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Ye Jo Hai Hukm Mere Pas Na Aye Koi;
Iss Liye Ruth Rahe Hain K Manaye Koi;
Taak Mein Hai Nigah-e-Shauq Khuda Khair Kare;
Samane Se Mere Bachta Hua Jaye Koi⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baat To Kirdar Ki Hoti Hai Ghalib;
Warna Qad Mein Toh Saya Bhi Insan Se Bada Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Mere Dil Di Pehli Kahani Padh;
Kise Hor Noon Yaar Banaveen Naa;

Mainu Soch Samajh Ke Dil Daiween;
Mere Naal Mazaq Banaveen Naa;

Iss Pyar Wich Rolay Hunde Ne;
Dil Qaim Rakheen Ghabraveen Naa;

Je Tu Mangein Te Main Jind Daisaan;
Par Kise Hor Noo Yaar Banaveen Naa;

Vairi Jag Sara Iss Pyar Da A;
Be Qadre Noon Dard Sunaveen Naa;

Ae Dunya Badi e Zalim A;
Ainoo Kadi V Dukh Sunaveen Naa;

Har Ik Nahi Hunda Pyar De Qabal;
Ae Gal Meri Tu Bhulaveen Naa 'Waris';

Je Mil Jawe Tenu Dost Sacha;
Uss Dost Nu Kadi Gawaveen Naa⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin;
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Is Qadar Toda Hai Mujhe Us Ki Be-Wafaai Ne;
Ghalib Ab Koi Agar Pyar Se Bhi Daikhe Toh Bikhar Jata Hoon Main⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Aur Zyada Bhadkaatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki;
Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujhana Seekhey Ho⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Udde Parinde Vi Hanju Sut Jande Ne;
Dekh Mera Dukh Patte Sukk Jande Ne;
Kiven Roleya Tu Mainu Ishq De Shair Ni;
Tahvin Teri Rab Kolon Manga Nit Khair Ni⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahi Hoti;
Nashe Mein Choor Fiza Is Kadar Nahi Hoti;

Tumhin Ko Dekhane Ke Dil Mein Aarazuein Hain;
Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahi Hoti;

Khafa Na Hona Agar Bad Ke Tham Lu Daman;
Ye Dil Fareb Khata Jan Kar Nahi Hoti;

Tumhare Aane Talak Hum Ko Hosh Rehta Hai;
Phir Uske Bad Hamein Kuch Khabar Nahi Hoti⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Sharminda Hon Ge, Jaaney Bhi Do Imtihaan Ko;
Rakhe Ga Tum Ko Kon Aziz, Apni Jaan Se⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Dil Ko Kya Ho Gaya Khuda Jane;
Kyon Hai Aisa Udas Kya Jane;
Keh Diya Main Ne Hal­e ­Dil;
Apna Is Ko Tum Jano Ya Khuda Jane⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭Maza Deti Hain Unko Zindagi Ki Thokrein Mohsin;
Jinko Naam­-e-Khuda Le Kar Sambhal Jane Ki Aadat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye;
Kyunki Naqaab Ho Ya Naseeb, Sarakta Zaroor Hai⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Yun Saja Chaand Ki Chalka Tere Andaaz Ka Rang;
Yun Fazaa Mehaki Ki Badla Mere Humaraaz Kaa Rang;
Saya-­e­-Chashm Mein Hairaan Rukh­-e­-Raushan Ka Jamaal;
Surkhi-­e­-Lab Pe Pareshaan Teri Aawaaz Ka Rang;
Bepiye Hon Ki Agar Lutf Karo Aakhir­-e­-Shab;
Sheesha­-e­-May Mein Dhale Subah Ke Aagaaz Ka Rang;
Chango-­Nay Rang Pe The Apane Lahoo Ke Dam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha Tha Usse Bichhdenge Toh Mar Jaayenge;
Jaan Leva Khauf Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Un Ka Har Aaib Bhi Zamaane Ko Hunar Lagta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin';
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Os Chand Nu Asi Salaam Karde Haan;
Pata Hai Kina Asi Ohde Te Marde Haan;
Pata Hai Saanu Oh Jhooth Bol Jande Ne;
Par Usde Jhooth Da Vi Asi Maan Karde Haan⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun;
Yahi Ek Kaam Karna Chahti Hun;

Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai;
Ise Neelaam Karna Chahti Hun;

Main Apni Umar Ke Saaray;
Asaasay Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun;

Tumharay Khaim-e-Khushbuu Mein Reh Kar;
Main Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun;

Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai;
Ise Naakaam Karna Chahti Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do;
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raahon Mein;
Kam Se Kam Dosti Ko Toh Dosti Rehne Do⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Duriya Hote Huye Bhi Safar Vahi Rahega;
Door Hote Huye Bhi Dostana Vahi Rahega;
Bahut Mushkil Hai Ye Safar Zindgi Ka;
Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
Hazaron Chahne Wale The Kis-­Kis Se Wafa Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Tere Naal Bitauni;
Man Wich Khwaab Saja Bethe;
Ik Pal Vi Tu Door Na Howi Hun;
Asi Ena Tenu Chah Bethe⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfein Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

⬉Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlein;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

Kapkapati Hai Raat Seeney Mein;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Raiza Raiza Hai Akss Mera, Magar Hairat Yeh Hai;
Hai Mera Aayina Salamat, To Phir Toota Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Me Akela Hi Chala Tha Janib Manzil Magar;
Log Sath Ate Gae Aur Karwan Banta Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhooli Huyi Subah Hoon Mujhe Yaad Ki Jiye;
Tum Se Kahin Milaa Hoon Mujhe Yaad Ki Jiye⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai;
Kaam Mushkil Hai Bahut Hum Ne Magar Seekha Hai;
Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log;
Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta;
Kahin Zamin To Kahin Aasmaan Nahi Milta;

Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain;
Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta;

Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole;
Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta;

Tere Zahan Mein Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho;
Zahan Umeed Ho Iski Wahan Nahin Milta⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona;
Yahi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Kitni Jaldi Zindagi Guzar Jaati Hai;
Pyaas Buztee Nahin Barsaat Chali Jaati Hai;
Aap Ki Yaadein Kuchh Iss Tarah Aati Hai;
Neend Aati Nahin Aur Raat Guzar Jaati Hai⬊⬊

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bay Hoodi Rahbar Hoosh Hoti Jaati Hai;
Jaane Kya Cheez Faramosh Hui Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬰⬰Woh Dil Mein Hai;
Dhadkan Mein Hai;
Rooh Mein Hai Ghalib;
Sirf Kismat Mein Nahi Hai To Khuda Se Gila Kaisa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬋⬋Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Kis Kis Se Rakhiye Dosti, Kis Kis Ko Dushman Janiye;
Chehron Mein Ghir Kr Reh Gayin, Nadaniyan, Danaiyan;
Rishton K Bandhan Tod Kr Hum Tum Yun Hi Milty Rahen;
Roka Krein Ghar Waliyan, Pocha Krein Humsaiyan⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Guzar Na Jaye Kahin Umar Ehteyaaton Mein;
Jo Kaam Karne Hain Woh Deewana-War Kar Daloon⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nerangi Siasat e Doran To Dekhiye;
Manzil Unhein Mili Jo Shareek e Safar Na The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Oh Kehndi Mainu Ena Pyaar Kyo karda;
Main Keha Reejh Ae Tainu Paun Di;
O Kehndi Har Vele Udas Kyo Rehna;
Main Keha Udeek Ae Teri Khushi Paun Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Hasdeyan Nainan Nu Rona De Gaya;
Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya;

Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Haawan;
Eh Tohfa Pyar Da Saanu Sohna De Gaya;

⧬⧬Maut Vi Nahi Aavndi Joona Vi Hoya Aukha;
⧬⧬Eh Kaisa Rog Asaa Nu Jeon Joga De Gaya⬌⬌⬌

Laare Lappe Laake Asaa Nu Raah Vich Chhad Ke;
Hath Assade Udeekaan Da Khedona De Gaya;

Hath Kar Gaya Assade Naal Oh Hass Hassa Ke;
Haase Khoh Ke Asaa Nu Umran Da Rona De Gaya⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zameer Marta Hai Ehsaas Ki Khamoshi Se;
Ye Woh Wafaat Hai Jis Ki Khabar Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Hai Sokhay Hue Talab Pay Baithay Hue Huans;
Jo Taluq Ko Nabatay Huway Mar Jatay Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai;
Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko;
Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin;
Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Rasta Koi Nahi Si, Par Manzil Saamne Si;
Akhan Vich Nami Na Si Te Dil Vich Dard Si;
Zindagi Vich Koi Gam Na Si;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;

⬰Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein;
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;

⧭⧭Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
Raasta Kat Bhi Gaya Toh Faasla Reh Jaaye Ga;

Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Odh Kar;
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;

⧭⧭Jo Kabhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar;
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhari Duniya Mein Jee Nahin Lagta;
Jaane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Kuch Aansu, Kuch Khushiyan De Kar Taal Gaya;
Jeevan Ka Ek Aur Sunehraa Saal Gaya;
Kon Jaane Ke Kal Ka Samaa Kaisa Ho Ga;
Ab Tak To Kal Sa Hi Hai Sab Haal Gaya⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera;
Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Najane Kab Ka Pahunch Bhi Chuka Sar-e-Manzil;
Wo Shakhs Jis Ka Humein Intazar Raah Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Zamane Walon Se Chup Ke Rone Ke Din Nahin Hain;
Usey Kehna Yeh Udaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Main Jaan Sakti Hoon Vasl Mein Asal Bhaid Kya Hai;
Magar Haqeeqat Shanaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Hamara Khud Se Makaalma Bhi Naya Naya Hai;
Kisi Badamn Ka Libaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Abhi To Aankhon Mein Aansuyon Ki Nami Hai Baqi;
Zameen-e-Dil Par Pyaas Bone Ke Din Nahin Hain⧬⧬⧬⧬

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Shor Hai, Hungaama Araayi Hai;
Zindagi, Tu Kahaan Le Aayi Hai;
Nafsa Nafsi Ka Ajeeb Aalam Hai;
Bheed Hai, Magar Tanhaai Hai⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain;
Humdard Nahi Koi, Insan Bahut Hain;
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kisko;
Jo Dil Ke Kareeb Hain Wo Anjaan Bahut Hain⬋⬋⬋

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera;
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai;
Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano;
Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Sanu Te Hanjuan Da Vapar Karn Di Aadat Aa;
Pathran Nal Pyar Karn Di Aadat Aa;
Jhoota Hi Vada Karle Koi;
Sanu Taan Aitbaar Karn Di Aadat Aa⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush;
Jaise Bacha Charaagh Se Khush;

Jab Taaron Ki Shamein Jhilmilein;
Saaqi Ne Kiya Ayaagh Se Khush;

Gham Chhod Gaya Jise Jagaa Kar;
Wo Dil Na Hua Faraagh Se Khush;

Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul;
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush;

Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee 'Nasir';
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Se Dekhi Hai Hamne Duniya Kareeb Se;
Lagne Lage Hain Saare Rishte Ajeeb Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Juda Huye Hain Bahut Log Ik Tum Bhi Sahi;
Ab Itni Si Baat Pe Kya Zindagi Haraam Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Khwahishon Ko Jeb Me Rakh Kar Nikla Kijiye Janaab;
Kharcha Bahot Hota Hai Manzilon Ko Paane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬱⬱Sadi Kalam To Dard Bayaan Naa Hunda;
Je tu Ajj Gairan Diya Mehfilan Di Shaan Naa Hunda;
Asi Vi Jeyonde Ikk Pyar Wali Zindagi;
Je Teriyan Khushiyan Da Swaal Naa Hunda🔁🔁🔁
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahin Gaya;
Woh Khauf Tha Ke Logon Se Roya Nahin Gaya;

Yeh Sach Hai Ke Teri Bhi Neendein Ujadd Gayin;
Tujh Se Bichad Ke Hum Se Bhi Soya Nahin Gaya;

Us Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahin Laga;
Us Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahin Gaya;

⧭⧭Daman Hai Khushk, Ankh Bhi Chup Chaap Hai Bohat;
Laddiiyon Mein Aansuyon Ko Piroya Nahin Gaya⧭⧭

⬉⬉Alfaaz Talkh, Baat Ka Andaaz Sard Hai;
Pichlaa Malaal Aaj Bhi Goya Nahin Gaya;

Ab Bhi Kahin Kahin Pe Hai Kalakh Lagi Huyi;
Ranjish Ka Daagh Theek Se Dhoya Nahin Gaya⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Gum'sum Si Raahguzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha;
Paani Mein Chaand, Chaand Mein Chehra Kisi Ka Tha⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Uddatey Guzri;
Tujhse Kya Kehtey Tere Pass Jo Atey Guzri;
Din Jo Guzraa To Kisi Yaad Mein Guzra;
Shaam Ayi To Koi Khawb Dikhatey Guzri🔝🔝🔝🔝

No comments :

Post a Comment