New Urdu Poetry SmS Collection


  1. Kam Nigaahon Ko Main Andaaje–Najar Deta Hu,
  2. Besehar Raat Ko Bhi Range-Sehar Deta Hu,
  3. Badghumaan Mujse Khijaa Hai To Khafa Veeraana,
  4. Aamade–Fasale–Bahara Ki Khabar Deta Hoon.

  5. --------------------------------------------------------


  6. Marji Ho, To Sooli Pe Chadna Ya Rab,
  7. Sau Baar Jahannum Mein Jalana Ya Rab,
  8. Maashuk Kahein, Aap Hamare Hain Bujurg,
  9. Naachij Ko Ye Din Na Dikhana Ya Rab.

  10. --------------------------------------------------------


  11. Jo Bhi Hota Hai Aap Hota Hai,
  12. Aadmi Ki Bisaat Kuch Bhi Nahi,
  13. Me Jo Aksar Udaas Rehta Hai,
  14. Baat Ye Hai Ki Baat Kuch Bhi Nahi.



  15. --------------------------------------------------------

  16. Mein Aalme-Hasti Mein Fana Hi Ki Nahi,
  17. Mein Ronake-Saman-Wafa Hu Ki Nahi,
  18. Hone Pe Bhi Hai Mujhko N Hone Ka Ghuma,
  19. Aye Bekhudi-Shok Bata Hu Ki Nahi.

  20. --------------------------------------------------------


  21. Har Naya Fool Nayi Gandh Liye Aata Hai,
  22. Har Bhramar Nawya Pranay–Bandh Liye Aata Hai,
  23. Naye Vichar Ko Rachta Na Purana Baana,
  24. Har Naya Kawya Naye Chand Liye Ata Hai.

  25. --------------------------------------------------------

  26. Ye Taaj Nahi, Roop Ki Angdaayi Hai,
  27. Ghalib Ki Ghajal Patharo Ne Gaayi Hai,
  28. Ya Chand Ki Albeli Dulhan Chupke Se,
  29. Yamuna Mein Nahane Ko Chali Aayi Hai.

  30. --------------------------------------------------------

  31. Is Naam Ki Jindagi Mein Kuch Jaan To Hai,
  32. Gar Ban Na Sake Farishta, Insaan To Hai,
  33. Neki Na Huyi Na Ho, Badi Bhi To Na Kar,
  34. Sufi Na Hua Na Ho, Musalman To Ho.

  35. --------------------------------------------------------

  36. Jawani Mein Kahaniya Ban Jati H,
  37. Jawani Mein Fasane Bhi Ban Jate H,
  38. Jawani Agar Chahe To Yaaro,
  39. Sehra Bhi Gulshan Mein Badal Jate H.



  40. --------------------------------------------------------
  41. Kosho Se Tapak Rahi Hai Shabnami Saaki,
  42. Phanus Sitaro Ke Hai Madhm Saaki,
  43. Hai, Jald Utha Jam Ki Ab Bajme-Nashat,
  44. Ek Aan Mein Hai Darham Barham Saaki.

  45. --------------------------------------------------------


  46. Ek Nakkash Liye Betha Hai Rang Aur Kalam,
  47. Aur Kuch Door Bhikhaari Ki Sada Aati Hai,
  48. Bheekh Dete Huye Maasum Haseena Ki Najar,
  49. Ek Muflis Ki Jawani Se Bhi Sharmaati Hai.

  50. --------------------------------------------------------

  51. Tanhaiyo Mein Chupkar Hum Jee Bhar Ke Roo Liye,
  52. Daag Jo Dil Par Lage The We Aansuo Se Dho Liye,
  53. Jaane Kab Se Ye Gam Meri Jindagi Ke Sath Hai,
  54. Wafa Mein Humne Sab Dard Apni Ghazalo Mein Sanjo Liye.

  55. --------------------------------------------------------


  56. Yun Aur Mile Mukhtalif Haalat Mein Haath,
  57. Aankhon Mein Tha Aankhon Ka Nasha Hath Mein Hath,
  58. Ye Shane Rubaayi Bhi Ki Har Pehloo Se,
  59. Wo Mujh Se Milaate Rahe Har Baat Me Hath.

  60. --------------------------------------------------------



  61. Roshni Ki Talaash Karta Hu,
  62. Chandni Ki Talash Karta Hu,
  63. Aaj Logon Ke Ghane Jungle Mein,
  64. Aadmi Ki Talash Karta Hu.


  65. --------------------------------------------------------

  66. Aaj Jaam Uthya Hai Pehla-Pehla,
  67. Sar Pe Ilzaam Uthaya Hai Pehla-Pehla,
  68. Pehli Baar Tuta Hai Aaj Dil Apna,
  69. Aaj Kadam Ladkhadaya Hai Pehla-Pehla.



  70. --------------------------------------------------------



  71. Najar Mila Ke Jaane Ja Dil Toda Nahi Jata,
  72. Manjil Pe Jaane Wale Ko Kabhi Moda Nahi Jata,
  73. Kai Armaan Se Jagne Lage Apni Nighao Mein,
  74. Sharab Chij Aisi Hai Jise Choda Nahi Jata.

  75. --------------------------------------------------------

  76. Hasti Ka Nishan Mita Chuka Hai Kab Ka,
  77. Dunia Se Kadam Utha Chuka Hai Kab Ka,
  78. Kandho Pe Jo Dharke Le Chale Ho Taaboot,
  79. Oh Pyadon! Sawar Ja Chuka Hai Kab Ka.

  80. --------------------------------------------------------


  81. Har Chand Buri Maine Ravish Rakhi Hai,
  82. Fitrat Pe Nigaahe-Be-Khalish Rakhi Hai,
  83. Gar Be-Adbi Na Ho, To Itna Poochun,
  84. Kyun Tune Gunaah Mein Kashish Rakhi Hai.


  85. --------------------------------------------------------


  86. Rukh Se Parda Hata Diya Hota,
  87. Koi Fitnaa Jagaa Diya Hota,
  88. Maaho-Anjum Se Jhaakne Wale,
  89. Kuch To Apna Pata Diya Hota.



  90. --------------------------------------------------------
  91. Wakfe-Hirmaan–O Yaas Rehta Hai,
  92. Dil Hai Aksar Udaas Rehta Hai,
  93. Tum To Gham Deke Bhul Jaate Ho,
  94. Mujko Ehsaan Ka Paas Rehta Hai.

  95. --------------------------------------------------------


  96. Dhalti Hai Mauje-May Ki Tarah Raat In Dino,
  97. Khilti Hai Subah Ghul Ki Tarah Rango Boo Se Pur,
  98. Veeran Hai Jaam Paas Karo Kuch Bahar Ka,
  99. Dil Aarzu Se Pur Karo, Aankhein Lahoo Se Purr.
  100. --------------------------------------------------------
  101. Na Pooch Jab Se Tera Inkaar Kitna Hai,
  102. Ki Jin Dino Se Mujhe Tera Intezaar Nahi,
  103. Tera Hi Aks Hai In Ajnabi Baharon Me,
  104. Jo Tere Lab, Tere Baaju Tera Kinaar Nahi.

  105. --------------------------------------------------------

  106. Aaj Tanhaayi Kisi Humdume-Dairi Ki Tarah,
  107. Karne Aayi Hai Meri Saakigiri Sham Dhale,
  108. Muntajir Bethe Hain Hum Dono Ki Mehtaab Ubhare,
  109. Aur Tera Aks Jhalakne Lage Har Saaye Dhale.

  110. --------------------------------------------------------


  111. Dil Raheene Janam Jahan Hai Aaj,
  112. Har Nafas Tishna-E-Fugaa Hai Aaj,
  113. Sakhat Weeran Hai Mehfile-Hasti,
  114. Ai Ghamedost Tu Kahan Hai Aaj.



  115. --------------------------------------------------------
  116. Maine Har Gham Khushi Me Dhaala Hai,
  117. Mera Har Ik Chalan Niraala Hai,
  118. Log Jin Haadison Me Marte Hain,
  119. Mujko Un Haadison Ne Paala Hai.

  120. --------------------------------------------------------


  121. Shukare-Parwaddigar Karta Shaitaan,
  122. Daulat Apni Nisar Karta Shaitan,
  123. Insan Ki Khabasat – 1 Se Jo Hota Aagah,
  124. Ik Sajda Nahi, Hazar Karta Shaitaan.

  125. --------------------------------------------------------
  126. Dil Aaj Bhi Paamaal Hai Kya Puchte Ho,
  127. Gardoon Ki Wahi Chaal Hai Kya Puchte Ho,
  128. Arbaabe Siyasat Meri Takseer Muaaf,
  129. Pehle Se Bura Haal Hai Kya Puchte Ho.

  130. --------------------------------------------------------


  131. Sanjh Ki Aandhi Mein Mele Kho Gaye,
  132. Hum Andheron Me Akele Kho Gaye,
  133. Jindagi Yun Maat Humko De Gayi,
  134. Khaamakha Lakhon Jhamele Kho Gaye.

  135. --------------------------------------------------------


  136. Buttkhaane Se Dil Apne Uthaaye Na Gaye,
  137. Kaabe Ki Taraf Mijaaye Laaye Na Gaye,
  138. Taure-Masjid -1 Ko Birahman Kya Jaane,
  139. Yaan Muddate–Umar Mein Hum Aaye Na Gaye,



  140. --------------------------------------------------------
  141. Zindagi Tere Sath Chala Hu Mein Duniya Bhulakar,
  142. Magar Tu Ja Rahi Hai Apne Daman Mein Mere Khusiya Chupakar,
  143. Dil Ki Gehrayi Se Aaj Tumhe Awaaj De Raha Hu,
  144. Aaj Ik Baar, Chale Jana Tum Jara-Sa Muskurakar.



  145. --------------------------------------------------------


  146. Kyu Iss Tarah Larajte Hai Ye Aansu,
  147. Kyu Iss Tarah Kaanpte Hai Tere Honth,
  148. Kyu Nahi Tumne Samjha Raze-Zindagi,
  149. Kyu Gawa Di Iss Tarah Ye Zindagi Aye Dost.


  150. --------------------------------------------------------

  151. Haan Akal Ye Kehti Hai Karein Ab Taubaa,
  152. Har Roj Iraada Hai Ki Ishmaab Tauba,
  153. Ab Mausame–Ghul Aa Hi Chuka Aur Sahi,
  154. Is Fasal Mein Taubaa Karein Yaarab Taubaa.


  155. --------------------------------------------------------
  156. Tanha Si Zindagi Hai, Tanha Hai Aarzoo,
  157. Tanha H Dil Mera, Tanha H Justju,
  158. Kisko Sunaye Kon Sunega Meri Awaaj,
  159. Jab Dil Ki Dhadkano Ko Bhi Sun N Saka Tu.



  160. --------------------------------------------------------

  161. Dil Mujhe Sambhaale Tha Dil Ko Me Sambhaale Tha,
  162. Nagahaa Hawa Aayi Jaanibe Ghulistaan Se,
  163. Koi To Shafak Samjha Koi Garde�Rang Aalood,
  164. Door, "Asar" Bahar Itni Gujri Ehale�Jinda Se.


  165. --------------------------------------------------------
  166. Maine Maasum Baharon Mein Tujhe Dekha Hai,
  167. Maine Maahum-1 Sitaaron Me Tujhe Dekha Hai,
  168. Mere Mehboob, Teri Parda Nashini Ki Kasam,
  169. Maine Ashkon Ki Kataron Me Tujhe Dekha Hai.

  170. --------------------------------------------------------



  171. Jajbaat Ko Khayalaat Me Tabdeel Kar,
  172. Khayaalaat Ka Ijhaar Ban Jaaye Ghajal,
  173. Lafjon Ko Alfaaj Mein Jajb Kar,
  174. Najam Ban Sake To Allah Ka Fajal.


  175. --------------------------------------------------------

  176. Hans Ke Chaak E Jigar Ko Seeta Hoon,
  177. Jaame-Gham Muskuraa Ke Peeta Hu,
  178. Yaad Me Teri Hoke Me Sarshaar,
  179. Kehkahon Mein Samaa Ke Jeeta Hu.

  180. --------------------------------------------------------


  181. Firat Ka Bhio Kya Lutf Kareemana Hai,
  182. Ghanghor Ghataa Jhoomta Paimaana Hai,
  183. Har Katar-E-Shabnam Hai Kaif Sabaa,
  184. Har Fool Chalakta Huaa Paimaana Hai.

  185. --------------------------------------------------------


  186. Saare Prashno Ke Hal Nahi Hote,
  187. Har Samay Sukh Ke Pal Nahi Hote,
  188. Mujko Pathar Dikhaa Ke Kya Loge,
  189. Sookhe Pedon Me Fal Nahi Hote.


  190. --------------------------------------------------------
  191. Kuch Kaan Bhi Kamjor Hain Beenaayi Bhi Kam Hai,
  192. Sojish Hai Jigar Par, Meri Aanton Par Waram Hai,
  193. Poocha Ki Mujhe Aur Sataaoge Kahan Tak,
  194. Bole Ki Jahan Tak Teri Aawaj Me Dum Hai.

  195. --------------------------------------------------------

  196. Dil Mein Nafrat Hai Magar Haste Hain,
  197. Kyunki Muskan Mein Sab Faste Hain,
  198. Is Hansi Ko, Khareed Le Jo Chahe,
  199. Tehjeeb Ke Bhaaw Aaj Saste Hain.

  200. --------------------------------------------------------



  201. Tum Se Lipta Prakash Dekha Hai,
  202. Aansuo Me Suhas Dekha Hai,
  203. Jab Bhi Dekha Hai Jindagi Ko To,
  204. Maut Ke Aasapaas Dekha Hai.

  205. --------------------------------------------------------


  206. Bhara Gham Se Hai, Jindagi Ka Fasana,
  207. Ki Rukhsat Hui Daag Dekar Jawani,
  208. Kisi Roj Peeri-1 Bhi Jaayegi Kaayam,
  209. Thamegi Na Ugare Rawaa Ki Rawani.



  210. --------------------------------------------------------
  211. Deh Se Choot-Te Praan Ke Pran Huye,
  212. Fool The Hum Kabhi, Ghul Ke Kan Huye,
  213. Yaad Ki Ek Shringaar Shala Me Hum,
  214. Khud Hi Chehra Huye, Khud Hi Darpan Huye.



  215. --------------------------------------------------------

  216. Panja Jallad Ka Btaya Jisne,
  217. Rana Qateel Ka Thapthpaya Jisne,
  218. Kya Hifje Kabutar Ka Nahi Wo Jaamin 1,
  219. Shahi Ko Diya Shikare Taja Jisne.

  220. --------------------------------------------------------

  221. Jeewan Ki Ye Chaayi Hui Andhiyaari Raat,
  222. Kya Jaaniye Kis Mod Pe Choota Tera Sath,
  223. Firta Hu Dagar-Dagar Akela Lekin,
  224. Shaane Pe Mere Aaj Talak Hai Tera Hath.

  225. --------------------------------------------------------

  226. Aisa Hai Koi Jis Se Huaa Ho Na Gunaah,
  227. Aimaal Se Jiske Aashna Ho Na Gunaah,
  228. Beh Tarke-Gunaah Ka Sabak De Mujko,
  229. Jisne Koi Dunia Mein Kiya Ho Na Gunaah.

  230. --------------------------------------------------------


  231. Hai Bahut Dilfareb Kahani Apni,
  232. Gardisho Mein Bhi Beeti H Jindgani Apni,
  233. Tum Agar Aa Sako To Laut Ke Aa Jao,
  234. Tere Bina Bahut Tanha Hai Jawani Apni.


  235. --------------------------------------------------------

  236. Abra Me Chip Gaya Hai Aadha Chand,
  237. Chandni Chan Rahi Hai Shakhon Se,
  238. Jaise Khidki Ka Ek Pat Kholein,
  239. Jhaakta Ho Koi Salkhakhon Se.

  240. --------------------------------------------------------


  241. Maujon Me Machalta Hu Kinaara Kaisa,
  242. Gir-Gir Ke Sambhalta Hi Sahara Kaisa,
  243. Mere Aansuon Me Rona Hai Jawani Ka,
  244. Aansu Meethe Hain Magar Jaayka Khaara Kesa.

  245. --------------------------------------------------------

  246. Pyaar Kis Cheej Ko Kehte Hain Log,
  247. Kya Isi Dunia Me Rehte Hain Wo Log,
  248. Kabhi Iccha Hai, Kabhi Aasha Hai,
  249. Tej Dhara Hai Aur Behte Hain Log.

  250. --------------------------------------------------------


  251. Mein Teri Najar Ki Dua Chahta Hu,
  252. Talabgar Hu, Kinare Ka, Nakhuda Chahta Hu,
  253. Dard Hota Hai Jab Tum Judai Ki Baat Karte Ho,
  254. Wafa Ke Badle Mein Me Teri Wafa Chahta Hu.




  255. --------------------------------------------------------


  256. Jawani Hi Zamane Par Raaz Karti H,
  257. Jawani Hi Benoor Aankho Ke Khwab Bharti H,
  258. Jawani Ke Karam Se Hi Chuman Muskurata H,
  259. Jawani Hi Har Sawal Ka Jawab Deti H.


  260. --------------------------------------------------------

No comments :

Post a Comment