Dosti friendship all shayari


  1. ना तुम दूर जाना हमारी ज़िन्दगी से,
  2. ना हम दूर जायेगे आपको ज़िन्दगी से,
  3. बहोत अच्छी लगती हे ज़िन्दगी में दोस्ती आप से,
  4. ऐसे ही निभाते रहेंगे हम ये रिश्ता दिल से.
  5. ..............................................................................
  6. Dosti Gazal hai Gungunane k liye,
  7. Dosti nagma he sunane k liye,
  8. Ye wo Jujba hai jo kisi ko milta nahi,
  9. Kyun ki Housla chahiye ise nibhane k liye…
  10. ..............................................................................
  11. Dost dost ka pyar hota he,
  12. Dost dost ka khuda hota he,
  13. Ahsas to tab hota he jab,
  14. Dost dost se juda hota he. Har kadam-kadam pe taqlife hoti hai zindgi me,
  15. Ek pal bhi aaram na hota hai kabhi zindgi me.
  16. Lekin Hame koi bhi fariyad nahi hai zindgi se,
  17. Kyo ki aap jaisa yaar bhi to diya hai zindgi ne.
  18. ..............................................................................
  19. Hamari zindgi hai Dosto ki amanat,
  20. rakhna mere khuda sada unko salamat,
  21. dena unhe khushiya saare jahan ki,
  22. ban jaye vo tareef har ek zuban ki.
  23. ..............................................................................
  24. Samandar Ki Khamoshi Uski Gahrai batati hai
  25. Dosto Ki Kami Apni Tanhai Batati hai
  26. Waise to Dost Hamesha Pyare hote hai
  27. Par Unki Kimat Unki Judai batati hai.
  28. ..............................................................................
  29. Shaam ki tanhai me doob na jana,
  30. Kisi ki dosti me humse ruth na jana,
  31. Dua karte hai aapko aapki manzil mile,
  32. Par us manzil ko pakar hame bhul na jana.
  33.  ..............................................................................
  34. Bekar Ki Zindgi Hum Jia Ni Krte
  35. EXPIRE Hone Wali Dosti Hm Kia Ni Krte
  36. Hmari Dosti LIFETIME Prepaid He
  37. VALIDITY Ki Chinta Hum Kia Ni Krte
  38. ..............................................................................
  39. Yado me ane vale tera sukriya
  40. Dil ko bahelane vale tera sukriya
  41. Q krta h aj k zamane me kisise dosti itani
  42. Hme dost kahene vale tera sukriya.
  43. ..............................................................................
  44. Saadgi Kabhi Khubsurati Se kam Nahi Hoti,
  45. Chingari Kabhi Aag Se Kam Nahi Hoti,
  46. Fark Sirf Logo Ki Soch Me Hota He,
  47. Warna Dosti Bhi Mohabbat Se Kam Nahi Hoti.
  48. ..............................................................................
  49. Kadmo ki duri se dilo ke fasle nahi badte,
  50. Dur hone se dosti ka ahsas nahi marte,
  51. Kuch kadmo ka fasla hi sahi hamre bech,
  52. par koi pal nahi jab aapko hum yaad nahi karte.
  53. ..............................................................................
  54. Zindagi me mohabbat ki judai hoti hai,
  55. Kabhi-kabhi pyar mein bewafai hoti hai,
  56. Hamari taraf hath badakar to dekho,
  57. Dosti mein kitni sacchai hoti hai.
  58. ..............................................................................
  59. Samajh Saka Na Koi Mere Dil Ko
  60. Ye Dil Yun Hi Nadaan Reh Gaya
  61. Mujhe Koi Gham Nahi Is Baat Ka Afsos Hai
  62. Ke Mera Yaar Bhi Mujhse Anjaan Reh Gaya…
  63. ..............................................................................
  64. Jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
  65. hum ko bhi koi shaks yaad ayega,
  66. tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko,
  67. jab AAp ke saath guzra waqt yaad ayega.
  68. ..............................................................................

  69. Dil Ki Likhi Baat Dil Ko Chhu Jati Hai,
  70. Ye Aksar Ankahi Baat Keh Jati Hai,
  71. Kuchh Log Dosti Ke Mayne Badal Dete Hain,
  72. Aur Kuchh Logon Ki Dosti Se Duniya Badal Jati Hai
  73. ..............................................................................
  74. Vo dosto ki mehfil vo muskurate pal,
  75. Dil se juda hai aapna bita hua kal,
  76. Kabhi gujarti thi zindagi waqt bitane me,
  77. Aaj waqt gujar jata hai vo yando ko jutane me.
  78. ..............................................................................
  79. Hamari Mohabbat Ke Saare Ehsaas Le Lo,
  80. Dilse Pyaar Ke Saare Jazbaat Le Lo,
  81. Nahi Chhodenge Tufaan Mein Bhi Akele Tumhe,
  82. Is Dost Ki Dosti Ka Chahe Imtehaan Le Lo.
  83.  ..............................................................................
  84. Apki Yaad Meri Jaan Hai Shayad,
  85. Is Haqeeqat Se Ap Anjaan Hai,
  86. Mujhe Khud Nahi Pata Ki Mera Wajud Kya Hai,
  87. Shayad Apki Dosti Hi Meri Pehchan Hai.
  88. ..............................................................................
  89. Jo Palpal Chalti Rahe, Use Zindagi Kehte Hai,
  90. Jo Harpal Jalti Rahe, Use Roshni Kehte Hai,
  91. Jo Palpal Khilte Rahe, Use Mohabbat Kehte Hai,
  92. Jo Saath Na Chode Use Dosti Kehte Hai.
  93.  ..............................................................................
  94. Pyar Karnewalon ki kismat kharaab hoti hai
  95. Har waqt inteha ki ghadi saath hoti hai
  96. Waqt mile to rishto ki kitaab khol ke dekh lena
  97. Dosti har rishtey se lajawab hoti hai
  98.  ..............................................................................
  99. Jaise Taron Ke Sath Aakash Hai,
  100. Waise Sache Dosti Ke Sath Vishvas Hai,
  101. Dil Ki Nazron Se Dekhoge Agar,
  102. Hum Har Waqkt Aapke Pass Hai.
  103. ..............................................................................


  104. Rishto me Pyar ki Mithas rahe
  105. Na Mitne wala hamesha Ehsas rahe
  106. Kehne ko to choti si hai ye
  107. Zindagi Lambi ho jaye agar ap ka sath raheDil 
  108. Tut Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti,
  109. Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti,
  110. Mohabbat Naam Hai Khuda Ki Bandagi Ka,
  111. Jo Sharto Par Mile Wo Mohabbat Nahi. 
  112. ..............................................................................
  113. Aye Jaan Tujhe Jaan Se Bhi Jyada Chahunga,
  114. Tere Har Gam Ko Khushi Mein Badal Ke Dikhaoga,
  115. Kiya Hua Jo Tu Paas Nahi Mere,
  116. Main Door Reh Kar Bhi Paas Hone Ka Ehsas Dilaoga.
  117.  ..............................................................................
  118. “DOSTI” zindagi ka wo Khubsurat Lamha Hai..
  119. Jiska Andaz sab Riston Se Albela Hai,
  120. Jise Mil Jaye WO tanhai Me Bhi khush Hai..
  121. Aur jise Na Mile Wo Bheed me bhi akela hai.. 
  122. ..............................................................................
  123. Tamanna karte ho jin khushiyon ki,
  124. Dua hai woh khushiya aapke kadmo mai ho,
  125. Khuda aapko woh sab haqiqat mai de,
  126. Jo kuch aapke sapno mei ho.
  127. ..............................................................................

No comments :

Post a Comment