Dosti Shayari 2016




  1. Ai Dost Humne Tark-E-Mohabbat Ke Bawajud,
  2. Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi!
  3. =========================================
  4. #Duriya Hote Hue Bhi Safar Vahi Rahega;
  5. Door Hote Hue Bhi Dostana Vahi Rahega;
  6. Bahot Mushkil Hai Yeh Safar Zindgi Ka;
  7. Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega!
  8. =========================================
  9. #Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka;
  10. Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya;
  11. Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki;
  12. Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya!
  13. =========================================
  14. #Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
  15. Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
  16. Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
  17. Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!
  18. =========================================
  19. #Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
  20. Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
  21. Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
  22. Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!
  23. =========================================
  24. #Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
  25. Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
  26. Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
  27. Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!
  28. =========================================
  29. Manzilon Se Apni Darr Na Jana;
  30. Raaste Kee Preshaniyon Se Toot Na Jana;
  31. Jab Bhi Zarurat Ho Zindagi Mein Kisi Apne Kee;
  32. Hum Aapke Apne Hain Ye Bhool Na Jana!
  33. =========================================
  34. Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hain;
  35. Phir Bhi Dosti Dilon Ko Mila Deti Hai;
  36. Woh Dost Hi Kya Jo Naraz Na Ho;
  37. Par Sachhi Dosti Doston Ko Mana Leti Hai!
  38. =========================================
  39. Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Reheta Hai;
  40. Har Dost Ko Apna Dostana Yad Reheta Hai;
  41. Kuch Pal Sachhe Dost Ke Saath To Gujaro;
  42. Woh Afsana Maut Tak Yaad Rehta Hai!
  43. =========================================
  44. Teri Ulfat Kabhi Nakaam Na Hone Denge;
  45. Teri Dosti Kabhi Badnaam Na Hone Denge;
  46. Meri Zindagi Mein Suraj Nikle Na Nikle;
  47. Teri Zindagi Mein Kabhi Shaam Na Hone Denge!

  48. =========================================

  49. Taaza Mangein Hain Fasaane Hum Se;
  50. Jab Milein Hain Dost Puraane Hum Se!
  51. =========================================
  52. Doston Se Iss Qadar Sadme Uthaaye Jaan Par;
  53. Dil Se Dushman Ki Dushmani Ka Gilaa Jata Raha!
  54. =========================================
  55. Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko;
  56. Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi!
  57. DOSTI / GILA SHIKWA  116
  58. Hum Fakeeron Se Dosti Kar Lo;
  59. Gur Sikhaa Dain Ge Badshaahi Ke!
  60. =========================================
  61. #Bichhad Ke Toh Khat Bhi Na Likhe Yaaron Ne;
  62. Kabhi Kabhi Ki Adhoori Si Baat Se Bhi Gaye!
  63. =========================================
  64. #Dushmano Ki Jafaa Ka Khauf Nahin;
  65. Doston Ki Wafaa Se Darte Hain!
  66. =========================================
  67. #Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata;
  68. Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata!
  69. =========================================
  70. #Teri Dosti Mein Khud Ko Mehfooz Mante Hain;
  71. Hum Doston Mein Tumhein Sabse Azeez Mante Hain;
  72. Teri Dosti Ke Saeye Mein Zinda Hain;
  73. Hum Toh Tujhe Khuda Ka Diya Hua Taveez Mante Hain!
  74. =========================================
  75. #Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
  76. Behte Hain Ashq To Inhe Behne Do;
  77. Bewafai Shamil Na Karo Dosti Ki Raahon Mein;
  78. Kam Se Kam Dosti Ko Toh Dosti Rehne Do!
  79. =========================================
  80. #Hum Whiskey Nahi Pite, Hum Rum Bhi Nahi Pite;
  81. Hum Gam Bhulane Ke Naam Pe, Jaam Hi Nahi Pite;
  82. Aggar Mil Jaye Yaaron Ki Mehfil;
  83. To Khuda Ki Kasam, Hum Kisi Se Kam Nahi Pite!

  84. =========================================

  85. Hai Khabar Garam Unke Aane Ki;
  86. Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua!
  87. =========================================
  88. Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
  89. Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
  90. Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
  91. Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!
  92. =========================================
  93. ##Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere;
  94. Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein!
  95. =========================================
  96. Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo;
  97. Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo!
  98. =========================================
  99. #Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
  100. Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti;
  101. Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
  102. Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!
  103. =========================================
  104. #Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz;
  105. Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala!
  106. =========================================
  107. #Guzre Dinon Ki Bhuli Hui Baat Ki Tarha;
  108. Ankhon Me Jagta He Koi Rat Ki Tarha;
  109. Tumse Umed Thi K Nibhao Gey Dosti;
  110. Tum Bhi Badal Gaye Mausam Aur Halaat Ki Tarha!
  111. =========================================
  112. Yaaron Khud Ka Dil Na Dukhana;
  113. Kabhi Bhi Aazmayish Ko Had Se Na Guzarna;
  114. Dosti Ki Bhi Majbooriyan Hoti Hain,Insaan Ki Bhi;
  115. Ise Samajhna Bhoole Se Bhi Ghalat Na Hume Thehrana!

  116. =========================================

  117. Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai;
  118. Pyar Ki Zaroorat Dil Mein Hoti Hai;
  119. Bin Dosti Ke Adhuri Hai Yeh Zindagi;
  120. Kyunki Dost Ki Zaroorat Har Pal Mehsus Hoti Hai!
  121. =========================================
  122. Unhe Yeh Khauf Ki Har Baat Mujhse Kar Daali;
  123. Mujhe Ye Weham Koi Khaas Baat Baaki Hai!
  124. =========================================
  125. Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai;
  126. Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai;
  127. Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar;
  128. Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai!
  129. =========================================
  130. Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge;
  131. Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge;
  132. Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana;
  133. Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge!
  134. =========================================
  135. Gunah Karke Saza Se Darte Hai;
  136. Zehar Pee Ke Dawa Se Darte Hai;
  137. Dushmano Ke Sitam Ka Khauff Nahi;
  138. Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain!
  139. ========================================= 
  140. Har Tarah K Shikve Ko Seh Lete Hai;
  141. Zindagi Ko Yuhi Jee Lete Hai;
  142. Mila Lete Hai Hath Jinse Dosti Ka;
  143. Un Hathon Se Fir Zeher Bhi Pe Lete Hai!
  144. =========================================
  145. Bas Ek Baat Se Dar Lagta Hai Doston;
  146. Hum Ajnabi Na Ban Jaein Doston;
  147. Zindagi Ke Rangon Mein Dosti Ka Rang Feeka Na Pad Jaye;
  148. Kahin Aisa Na Ho Doosre Rishton Ki Bheed Mein Dosti Dum Tod Jaye!
  149. =========================================
  150. Mushkil Hai Is Yaari Ko Bhula Pana;
  151. Mushkil Hai Tumhe Yaadon Se Mita Pana;
  152. Tum Ek Keemti Tohfa Ho Dosti Ka;
  153. Namumkin Hai Is Tohfe Ki Keemat Chuka Pana!
  154. =========================================
  155. Mehfil Main Kuch To Sunana Padta Hai;
  156. Gham Chupakar Muskurana Padta Hai;
  157. Kabhi Unke Hum Bhi The Dost;
  158. Aaj Kal Unhe Yaad Dilana Padta Hai!
  159. =========================================
  160. Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate Hain;
  161. Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain;
  162. Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain;
  163. Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain!
  164. =========================================
  165. Jo Dil Ke Karib Hi Nahi Saanso Me Base Ho;
  166. Dost Sache Agar Sath Ho To Roya Nahi Karte;
  167. Jo Ho Jeene Ki Wajah Vo Har Pal Yaad Aate Hai;
  168. Gum Me Bhi Sukun De Ese Doston Ko Khoya Nahi Karte!
  169. =========================================
  170. Kash Kuch Aisa Karishma Hota;
  171. Kisi Ko Banwane Ke Liye Khuda Ko Order Dena Hota;
  172. Tujh Jaisa Hi Ek Dost Banwata Mai Khuda Se Khud Ke Liye;
  173. Bhale Hi Uski Keemat Mein Khud Ko Khona Hota!
  174. =========================================
  175. Phoolon Ki Wadi Me Ho Basera Tera;
  176. Sitaron Ke Aangan Mein Ho Ghar Tera;
  177. Dua Hai Esh Dost Ki Ae Dost Tere Lia;
  178. K Tujh Se Bhi Khubsurat Ho Naseb Tera!
  179. =========================================
  180. Baatein Karke Rula Na Dijiyega;
  181. Yoon Chup Rehke Saza Na Dijiyega;
  182. Na De Sake Khushi,To Gam Hi Sahi;
  183. Par Dost Bana Ke Uhi Bhula Na Dijiyega!
  184. =========================================
  185. Kamyabi Kabhi Badi Nahi Hoti;
  186. Pane Wale Hamesha Bade Hote Hai;
  187. Darar Kabhi Badi Nahi Hoti;
  188. Bharne Wale Hamesha Bade Hote Hai;
  189. Itihaas Ke Har Panne Par Likha Hai;
  190. Dosti Kabhi Badi Nahi Hoti;
  191. Nibhane Wale Hamesha Bade Hote Hai!
  192. =========================================
  193. Apni Takleef Mei Mujhe Umeed Samajhna;
  194. Koi Gam Aaye To Apne Najdeek Samajhna;
  195. De Saku Hasi Us Ansu Ke Badle To;
  196. Hajaro Ke Bech Mujhe Sabse Kareeb Samjhna!
  197. =========================================
  198. Hum Doston Ko Bhulte Nahi Hain;
  199. Magar Yeh Baat Jatate Nahi Hain;
  200. Doston Ko Hamesha Rakhte Hain Yaad;
  201. Hum Bhulne Ke Liye Dost Banate Nahi Hain!
  202. =========================================
  203. Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar;
  204. Hasti Hai Dosti Rulata Hai Pyar;
  205. Milti Hai Dosti Bichhadta Hai Pyar;
  206. Phir Na Jane Log Kyon Karte Hain Pyar!
  207. =========================================
  208. Chahoon To Ab Bhi Janibe-Manzil Palat Chalu;
  209. Gumraah Is Liye Hun Ki Rahbar Khafha Na Ho!
  210. =========================================
  211. Mere Bigre Hue Kaamon Ko Banaya Tu Ne;
  212. Bojh Jo Mujh Se Na Utha Woh Uthaya Tu Ne!

  213. =========================================

  214. Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse;
  215. Uss Se Kehna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye!
  216. =========================================
  217. Mere Kuch Dost Mujhe Yoon Bhi Sataane Aaye;
  218. Khud Mujhe Mera Hi Afsaana Sunaane Aaye;
  219. Din Ke Dhalte Hue Lamhon Ki Kiran Wo Lekar;
  220. Mere Tareek-E-Muqaddar Ko Jagaane Aaye!
  221. =========================================
  222. Mehfil Mein Kuch To Sunaana Padta Hai;
  223. Apna Gham Bhul Ke Muskuraana Padtaa Hai;
  224. Kabhi Hum Bhi Unke Dost Hua Karte The;
  225. Ab Ye Humein Unhe Yaad Dilaana Padtaa Hai!
  226. =========================================
  227. Yaad Karte Hai Tumhe Tanhai Mein;
  228. Dil Dooba Hai Gam Ki Gehraai Mein;
  229. Hume Mat Dhundna Duniya Ki Bhid Mein Aye Dost;
  230. Hum Milenge Tumhe Tumhari Hi Parchai Mein!
  231. =========================================
  232. Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;
  233. Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!
  234. =========================================
  235. Taaron Mein Akela Chaad Jagmagata Hai;
  236. Mushquilo Mein Akela Insaan Dagmagata Hai;
  237. Kaate Se Ghabrana Mat Mere Dost;
  238. Kyunki Kaaton Mein Hi Akela Gulab Muskurata Hai!
  239. =========================================
  240. Kaun Kehta Hai Dost, Tumse Hamari Judaai Hogi;
  241. Yeh Khabar Kisi Aur Ne Uddaie Hogi;
  242. Shaan Se Rahenge Hum Aapke Dil Mein;
  243. Dosti Ke Iss Khel Mein Humne;
  244. Kuch Toh Jagah Banai Hogi!
  245. =========================================
  246. Main to uljha raha uljhanon ki tarah;
  247. Doston mein raha dushmanon ki tarah.
  248. =========================================
  249. Aap pe kurbaan hmari Yaari hai, hanske mar jaane ki Tayyari hai,
  250. Yeh silsila na khatam ho humaari Dosti ka, humne to yaad kar liya ab aapki Baari hai. 
  251. =========================================
  252. Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, anjane mod par kuchh log dost ban jate hain, milne ki khushi de ya na de bichhadne ka gam zarur de jate hain.
  253. =========================================

  254. Sabne kaha Dosti ek Dard hai,
  255. Humne kaha Dard kabool hai,
  256. Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay,
  257. Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai
  258. =========================================
  259. Daulat Aur Sohrat sabke Pas Hai,
  260. Khushiya Aur Ghum Sabke Naseeb Mein Hai,
  261. Pyar Aur Nafrat Sabke Dil Mein Hai,
  262. Par Khush-naseeb Hai Hum kyonki Tum Jaisa Dost Hamare Pas hai
  263. =========================================
  264. Phool aisa ho jo baag ko khushbu se bhar de, Hamsafar aisa ho jo andheron ko roshan kar de, Dost aisa ho zindagi ko khushi aur mobile ko SMS se bhar de...
  265. =========================================
  266. Pyar Karnewalon ki kismat kharab hoti hai,
  267. Har waqt inteha ki ghadi sath hoti hai,
  268. Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena,
  269. Dosti har rishtey se lajawab hoti hai
  270. =========================================
  271. Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,
  272. Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,
  273. Dost to duniya mein bahut hain magar,
  274. Sawaal dosti ka nahi Vishwas ka hai
  275. =========================================
  276. Suna hai asar hota hai baaton mein, Aap bhi bhul jaoge Do-Chaar mulakaton mein,
  277. Lekin humse bachkar kahan jaoge, Aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein
  278. =========================================
  279. Aapki dosti ki ek nazar chahiye; Dil hai beghar use ek Ghar chahiye
  280. Bas yun hi saath chalte raho ae dost; Yeh Dosti hume umar bhar chahiye
  281. =========================================
  282. Dosti ke mayne hamse kya puchte ho,
  283. Hum abhi in baton se anjaan hain,
  284. Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame,
  285. Kyonki aapki dosti hi hamari jaan hai.
  286. =========================================
  287. Zindagi hai to khwab hain,
  288. Khwab hain to manzilein hain,
  289. Manzilein hain to raste hain,
  290. Raste hain to Mushkilein hain,
  291. Mushkilein hain to MAIN HOON NAA.
  292. =========================================
  293. Zikar hua jab Khuda ki rehmaton ka,
  294. Hamne khud ko khushnaseeb paya,
  295. Tamanna thi ek pyare se dost ki,
  296. Khuda khud dost bankar chala aaya.

  297. =========================================


  298. Ajnabi galiyon se hum gujra nahi karte,
  299. dard-e-dil liya aur diya nahi karte,
  300. Ye dosti ka rishta sirf tum se hai,
  301. varna itne SMS hum kisiko kiya nahi karte.
  302. =========================================
  303. Raatein gumnam hoti hai,
  304. Din kisike naam hota hai,
  305. Hum zindagi kuch is tarah jite hai,
  306. Ki har lamha sirf doston ke hi naam hota hai.
  307. =========================================
  308. Yun to kisika peecha nahin karte,
  309. Dard-e-dil diya aur liya nahin karte,
  310. Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna,
  311. Itna kimti SMS kisi ko kiya nahin karte.
  312. =========================================
  313. Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
  314. Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
  315. Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
  316. Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai.
  317. =========================================
  318. Yaar ne dil ka haal batana chod diya, humne bhi gehrai main jana chod diya,
  319. Aap ne SMS karna kya band kiya, humne mobile charge karna chod diya!
  320. =========================================
  321. Dil mein ek shor ho raha hai, bina SMS dil bore ho raha hai,
  322. Kahin aisa tho nahin ke ek pyara sa dost, mujhse door ho raha hai.
  323. =========================================
  324. Har karz dosti ka ada kaun karega, jab hum hi na rahenge to dosti kaun karega,
  325. Aey khuda mere doston ko salamat rakhna, varna mere jeene ki dua kaun karega.

No comments :

Post a Comment