Yaadein Shayari Shayari 2017

⧭⧭Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakun;
Yaad Phir Aayi Hai Neendoon Ko Udaane Wali⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Meethi Si Thandak Hai Aaj In Hawaon Mein,
Shayad Teri Yaadon Se Bhara Daraaz Khula Reh Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Zindagi Ki Har Fizaon Mein Yaad Rakhna;
Dil Ki Sadaon Mein Yaad Rakhna;
Yeh Tohfa Bohat Hai Mere Liye;
Khaloos-e-Dil Se Duaon Mein Yaad Rakhna⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jinki Yaad Hai Dil Me Nishaani Ki Tarah;
Woh To Bhool Gaye Hume Kahani Ki Tarah⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Sabhi Naghme Saaz Mein Gaaye Nahi Jate;
Sabhi Log Mehfil Mein Bulae Nahi Jate;
Kuch Pass Reh Kar Bhi Yaad Nahi Aate;
Kuch Dur Rehkar Bhi Bhulaye Nahi Jate⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar;
Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani H⬲⬲o Gayin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki Barish;
Mujhe Yaad Aa Rahe Hain Mujhe Bhool Jane Waley!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Band Kar Diye Hain Humne Darwaze Ishq Ke,
Par Teri Yaad Hai Ki Dararon Se Bhi Aa Jaati Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Bhulakar Dekho, Hum Phir Bhi Yaad Aayenge;
Aapke Chahne Walon Mein Aapko Hum Hi Nazar Aayenge;
Aap Thak Jaoge Pee-Pee Kar Paani;
Par Hum Hichki Bankar Aapko Yaad Aayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Ajeeb Khel Hai Meri Zindagi Mein,
Jahan Yaad Ka Lafz Aa Jaye, Wahan Tum Yaad Aate Ho

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Yaadon Ki Koi Sarhad Hoti To Achha Hota;
Khabar To Hoti Kitna Safar Tay Karna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushboo Jaise Log Mile Afsanon Mein;
Aaj Jab Ek Purana Khat Khola Anjaane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lafzon Mein Uljhana Nahi Aata;
Baat Saaf Hai Ki Bahut Yaad Aa Rahe Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
T⬉⬉eri Yaadon Ke Chiragon Ko Jalaya Har Shaam,
Teri Baaton Ko Seene Se Lagaya Har Shaam,
Maangi Khuda Se Teri Khushi Ki Duayein,
Tanha Baith Ke Haatho Ko Uthaaya Har Shaam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Bhula Kar Dekho, Hum Phir Bhi Yaad Aayenge;
Aapko Hum Hi Nazar Aayenge,
Aap Paani Pi-Pi Kar Thak Jaoge,
Hum Hichki Ban Kar Yaad Aayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rakh Lo Dil Mein Sambhal Kar Thodi Si Yaad Meri,
Reh Jaoge Jab Tanha To Kaam Aayenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Betaab Se Rehte Hain Uski Yaad Mein Aksar,
Raat Bhar Nahi Sote Hain Uski Yaad Mein Aksar,
Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar,
Hum Toot Kar Rote Hain Uski Yaad Mein Aksar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Neend Cheen Rakhi Hai Uski Yaadon Ne,
Gila Uski Doori Se Karen Ya Apni Chahat Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Aankhon Ki Baat Karte Ho Janab,
Hamare To Lafz Bheegh Gaye Kisi Ki Yaad Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
S⬈⬈amjha Do Tum Apni Yaadon Ko Zara,
Waqt-Bewaqt Tang Karti Hain Mujhe Karzdaar Ki Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Nahi Aati To Unki Yaad Mahino Tak Nahi Aati;
Magar Jab Yaad Aate Hain, To Aksar Yaad Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chali Aati Hai Teri Yaad Mere Zehen Mein Aksar,
Tujhe Ho Na Ho Teri Yaadon Ko Zaroor Mujhse Mohabbat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Kee Hawa Jism Kee Dawa Ban Gayi;
Doori Aapki Meri Chahat Kee Saza Ban Gayi;
Kaise Bhulun Aapko Ek Pal Ke Liye;
Aapki Yaad Hamare Jeene Kee Wajah Ban Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaise Bhula Dun Main Uski Yaadon Ko,
Maut Insanon Ko Aati Hai, Yaadon Ko Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Khamoshi Se Saanson Ke Thaher Jane Tak,
Yaad Aayega Mujhe Wo Shakhs Mar Jane Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Duniya Mein Sab Kuch Bikta Hai,
Phir Judai Hi Rishwat Kyon Nahi Leti;
Marta Nahi Hai Koi Kisi Se Juda Hokar,
Bas Yaadein Hi Hain Jo Jeene Nahi Deti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
A⬉⬉b Bhi Chale Aate Hain Khayalon Mein Woh,
Roz Lagti Hai Haziri Us Gair Hazir Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khatam Ho Gayi Kahani Bas Kuch Alfaaz Baaki Hain,
Ek Adhure Ishq Kee Ek Muqqamal Si Yaad Baaki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Bas Jeene Hi To Nahi Degi,
Aur Kya Kar Lengi Yaadein Teri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Kee Tarah;
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Saari Khidkiyan Darwaze Band Kar Leta Hun,
Phir Bhi Na Jane Kahan Se Aa Jati Hain Tumhari Yaadein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Beete Hue Lamho Se Mulakat Hui,
Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Hui,
Yaad Jo Karne Baithe Un Tamam Yaadon Ko,
To Aapki Hi Yaadon Se Shuruat Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Hai Ab Tak Tujhse Bichadne Kee Wo Andheri Shaam Mujhe;
Tu Khamosh Khada Tha Lekin Baatein Karta Tha Kajal!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhari Khushbu Se Mehakti Hai Wo Ghazlein Bhi,
Jin Mein Likhti Hun Main 'Ki Tumhein Bhul Gayi Hun'!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat Pucho Ki Main Alfaz Kahan Se Lata Hun;
Ye Uski Yaadon Ka Khazana Hai bas Lutaye Ja Raha Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar;
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yakeen Karo Aaj Iss Kadar Yaad Aa Rahe Ho Tum,
Jis Kadar Tum Ne Bhula Rakha Hai Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai;
Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain;
Gujre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye;
Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Ha⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat Kee Khamoshi Raas Nahi Aati;
Meri Parchayi Bhi Ab Mere Paas Nahi Aati;
Aati Hai To Bas Aapki Yaad;
Jo Aakar Ek Pal Bhi Mujhse Door Nahi Jaati!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Kee Yaad Dil Mein Aaj Bhi Hai;
Bhool Gaye Wo Magar Pyaar Aaj Bhi Hai;
Hum Khush Rehne Ka Daawa To Karte Hain Magar;
Unki Yaad Mein Behte Aansu Aaj Bhi Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge;
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge;
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena;
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye;
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye;
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko;
Hui Jab Pyaar Kee Barsat To Tum Yaad Aa Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Manane Se;
Ruk Jaati Hain Dhadkane Aapko Bhool Jaane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hain Jeene Ke Bahane Se⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Ki Tarah;
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jis Mein Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaadein Reh Jati Hain Yaad Karne Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Yeh Kaisi Tanhayi Hai;
Tere Saath Teri Yaad Aayi Kya Tu Sach-Much Aayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jane Kitni Umeedein Thi Tujhko Meri Yaadon Se;
Ki Jab Bhi Aayengi Haal Suna Jaya Karengi;
Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The;
Ki Yaadein Aayengi Aur Dil Behla Jaya Karengi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena;
Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
Betabi Hadh Se Badh Jaye Aur Neend Raaton Ko Aa Jaye;
To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬋⬋Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath;
Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;
Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi;
Kuch Apna Zamana Yaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi;
Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha;
Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha;
Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha;
Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Wajha Hai Mere Darne Kee;
Ab To Khwaish Hai Unki Yaadon Mein Marne Kee;
Na Jane Unhein Kyon Itna Yaad Karta Hai Dil;
Jinhe Fursat Hi Nahi Hai Humein Yaad Karne Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phir Chupke Se Yaad Aa Geya Koi;
Meri Aankhon Ko Phir Rula Geya Koi;
Kaise Uska Shukriya Karun Ada;
Jo Mujh Na-Chiz Ko Shayar Bana Geya Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab;
Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab;
Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai;
Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai;
Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye;
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati;
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati;
Ajeeb Log Hain Iss Zamane Mein;
Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Kee Aayi Aur Rulati Chali Gayi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun;
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun;
Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hee, Baad Mere Marne Ke;
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein;
Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein;
Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa;
Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain;
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain;
Jane Kya Baat Hai Unme Ai Khuda;
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain;
Mere Khyalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain;
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain;
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum;
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum;
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar;
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tasveer Mein Khayaal Hona To Lazmi Saa Hai;
Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Mein Bani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Teri, Bas Baat Teri, Fariyad Teri;
Ya Rabb Mujhe Kaam Koi To Aur Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Bhuli Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
Har Gham Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Rakhna Hi Mohabbat Mein Nahi Hai Sab Kuch;
Bhool Jana Bhi Badi Baat Hua Karti Hai⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh Apna Bhi Aye Ga Lekin Pehle;
Dil Teri Yaadon Se Rihaa Toh Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shabb Ki Tanhai Mein Gungunaati Rahin;
Beeti Baatein Mujhe Yaad Aati Rahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Aur Hi Kaam Somp Do Mujhe Ab Tum;
Yeh Kya Tujhe Sochna Aur Sochtey Hi Rehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Tujhe Ko Bhool Chuka, Lekin Ek Umar Ke Baad;
Tera Kheyal Kya Tha Ke Chott Ubhar Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein;
Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Bichhdi Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
Har Gam Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Toh Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin;
Kitni Tanha Ho Gayin Tanhaayiaan⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dard-e-Dil Jab Had Se Guzar Jata Hai;
Bankar Syahi Kaagaz Pe Bikhr Jata Hai;
Jab Jab Utha Hai Teri Yaadon Ka Dhwan;
Bankar Nasha Is Dil Mein Utar Jata Hai⬈⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ab Wahan Yaadon Ka Bikhra Hua Malba Hi Toh Hai;
Jis Jagah Ishq Ne Buniyad Makaan Ki Rakhi Thi⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kitni Jaldi Zindagi Guzar Jaati Hai;
Pyaas Buztee Nahin Barsaat Chali Jaati Hai;
Aap Ki Yaadein Kuchh Iss Tarah Aati Hai;
Neend Aati Nahin Aur Raat Guzar Jaati Hai⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Gum'sum Si Raahguzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha;
Paani Mein Chaand, Chaand Mein Chehra Kisi Ka ⧭Tha!



Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai;
Har Ek Baat Pe Kahna Ke Yun Hota To Kya Hota!
~ Mirza Ghalib
YAADEIN  
Aaj Tafseel Nahi Bas Itna Suno;
Bohat Aaj Yaad Aa Rahe Ho Tum!
YAADEIN  
Dunyaa Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke...
~ Faiz Ahmad Faiz
YAADEIN  
Hum Bhi Hon Ge Ap Ke Dil Mein Magar;
Magar Ik Bhoolay Huye Qissay Ki Tarah;
Kabhi Jo Na Baant Pao Ge Dard To Yaad Aaunga;
Hum Tum Jo They Aik Jism Ke Hissay Ki Tarah!
YAADEIN  
Bhooli Huyi Sabaa Hoon Mujhe Yaad Ki Jiye;
Tum Se Kahin Milaa Hoon Mujhe Yaad Ki Jiye!
YAADEIN  
Tum Bhi Ho Beetay Huye Waqt Ki Maanind, Hu-Bahuu;
Tum Ne Bhi Yaad Ana Hai, Aana To Naheen Hai!
YAADEIN  
Dosti Di Dastan Jado Waqt Sunave Ga;
Mainu Ek Shaks Jaroor Yaad Ayuga;
Bhul Jan Gay Jindgi De Sare Gum;
Jadon Tere Naal Bitaya Oh Pal Yaad Ayuga!
YAADEIN  
Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi K Smjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkene Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeene K Bhane Se!
YAADEIN  
Chandni Raat Mein Aur Bhi Shiddat Se Aaye Gi Yaad Uski;
Behtar Tha Hum So Jatay Shaam Honey Se Pehlay!
YAADEIN  
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue!


Teri Yaad Mein Pal Pal Marta Hai Koi;
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi;
Fursat Mile To Tanhai Mein Sochna;
Kitni Khamosh Mohabbat Tum Se Karta Hai Koi!
YAADEIN  
Dil Ki Kitaab Ka Panna Churaa Legae Tum;
Aankhon Se Neendh Uda Legae Tum;
Teri Yaad Me Tadapne Ki Aadat Nahin Thi Mujhe;
Apni Yaadon Se Tadpaane Sikha Gaye Tum!
YAADEIN  
Jaaneman Aaj Tum Bahut Yaad Aaye Ho;
Kuch Yaadon Se aur Kuch jhoothe Waadon Se!
YAADEIN  
Dil Ki Kitaab Ka Panna Churaa Legae Tum;
Aankhon Se Neendh Udda Legae Tum;
Teri Yaad Me Tadapne Ki Aadat Nahin Thi Mujhe;
Apni Yaadon Se Tadpaane Sikha Gaye Tum!
YAADEIN  
Jugnu Ko Qaid Kar K Muskaraya Na Karo;
Roshni Ki Khatir Kisi Ka Dil Jalaya Na Karo;
Sitam Karna Hai Karo Par Itna Na Karo;
Yaad Nahi Karsakte To Yaad Aaya Na Karo!
YAADEIN  
Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein;
Yoon Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi!
~ Mushtaq Ahmad Nazish
YAADEIN  
Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi K Samjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkene Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeene Ke Bhane Se!
YAADEIN  
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
Ke Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun!
~ Mirza Ghalib
YAADEIN  
Saare Shikwe Jawab Tere Hai;
Dil Pe Saare Ghaav Tere Hai;
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati;
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai!
YAADEIN  
Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahin Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahin Hoti;
Duriyan Kardeti Ha Yaadon Ko Jinda;
Warna Yaadon Ki Koi Keemat Nahin Hoti!


Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Samjhane Se;
Ruk Jati Hai Dhadkane Aapko Bhool Jane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hai Zeeneh Ke Bhane Se!
YAADEIN  
Dost Ki Yaad Se Badi Koi Daulat Nahi Hoti;
Sath Rehna Hi Dost Ki Jarurat Nahi Hoti;
Duriyan Kardeti Hai Yadoon Ko Jinda;
Warna Yadoon Ki Koi Keemat Nahi Hoti!
YAADEIN  
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badte;
Dur Hone Se Dosti Ke Ehsaas Nahi Marte;
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Bech;
Par Koi Pal Nahi Jab Aapko Hum Yaad Nahi Karte!
YAADEIN  
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai!
YAADEIN  
Maghrib Ki Waadion Mein Goonji Azaan Hamari;
Thamta Na Tha Kisi Se Sail-E-Rawaan Hamara!
~ Allama Iqbal
YAADEIN  
Yeh Mat Kehna Ke Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha;
Mein Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha;
Tumhari Chahton Ke Phool Tu Mehfooz Rakhey Hain;
Tumhari Nafraton Ki Peerh Ko Zinda Nahi Rakha!
YAADEIN  
Uthe Hain Jab Yeh Haath Duaon Ko;
Rab Se Tere Liye Hi Fariyaad Karte Hain;
Tu Humein Bhulla Bhi De To Kya;
Hum To Tumhe Har Pal Yaad Karte Hain!
YAADEIN  
Unki Yaad Mein Sab Kuch Bhulla Baithe Hain;
Chiraag Khusiyo Ke Bujha Baithe Hain;
Hum To Marenge Unki Baahon Mein;
Ye Bhi Shart Maut Se Lagaa Baithe Hain!
YAADEIN  
Saarey Maahol Mein Khusboo Hai Teri Yaadon Ki;
Hum Ne Gham-Khaney Ko Bhi Phoolon Sey Saja Rakha Hai!
YAADEIN  
Yaad Aati Hai Jo Marhoom Tamannaaon Ki;
Bhool Jaata Hun Ke Mehroom-E-Tamanna Hun Main!


Bichri Hui Raahon Se Jo Guzrey Hum Kabhi;
Har Gham Par Khoyi Hui Ik Yaad Mil Gayi!
YAADEIN  
Kabhi Tujhko Chandni Raaton Mein;
Yaad Aayein Jo Hum Barsaaton Mein;
Nafrat Hi Se Lena Naam Mera;
Jo Zikar Mera Ho Baaton Mein!
YAADEIN  
Gehri Thi Raat, Lakin Hum Khoye Nahi;
Dard Bahoot Tha Dil Mein, Lakin Hum Roye Nahi;
Koi Nahi Hamara Jo Puche Humse;
Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye, Ya Kisi Ke Liye Soye Hi Nahi!
YAADEIN  
Muddatein Guzreen Teri Yaad Bhi Aayi Na Humein;
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhey Aisa Bhi Nahi;
Sar Mein Sauda Bhi Naheen Dil Mein Tamanna Bhi Nahi;
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi!

Tark-E-Mohabbat = Abandonment of Love
~ Firaq Gorakhpuri
YAADEIN  
Teri Yaad Mein Har Pal Khoya Hu Main;
Tujhe Mehsus Kar Akele Roya Hu Main;
Na Jaane Kab Tera Deedar Ho;
Iss Intzaar Mein Khuli Aankho Se Soya Hu Main!
YAADEIN  
Har Ek Majar Par Udasi Chhayi Hai;
Chand Ki Roshni Mein Bhi Kami Aayi Hai;
Akele Acchhe The Hum Apne Aashiyane Mein;
Jane Kyun Tutkar Aaj Fir Aapki Yaad Aayi Hai!
YAADEIN  
Guzrey Hue Waqt Ki Kuchh Nishaniya Baaki Hain;
Abhi Uski Gali Mein Meri Kahaniya Baaki Hain;
Abhi Zinda Hai Mohaabat Mujhme Kahin;
Logon Ke Dilon Mein Hairaniya Baaki Hain!
YAADEIN  
Jaaney Kaisy Jeety Hain Log Yaadoon Ke Saharey;
Main To Kai Baar Marta Hoon Ik Yaad Aanay Pe!
YAADEIN  
Dukh Nahi Wahan Fasaana Jahan Hai Tera;
Khushi Dhoondhe Hamesha Aashiyana Tera;
Zindagi Mein Tu Kabhi Udaas Na Ho;
Duniyaa Yeh Yaad Rakhe Muskurana Tera!
YAADEIN  
Raat Yoon Dil Mein Teree Khoyee Huee Yaad Aaee;
Jaisey Veeraney Mein Chupkey Sey Bahaar Aa Jaaye;
Jaisey Sahraaon Mein Hauley Sey Chaley Baad-e-Naseem;
Jaisey Beemaar Ko Bevajah Qaraar Aa Jaaye!



Bhool Jane Ka Bahana Na Bana Dena;
Durr Jane Ki Bas Ek Wajah Bata Dena;
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se;
Par Jaha Apki Yaad Na Aaye, Wo Jagah Bata Dena!
YAADEIN  
Chaho To Dil Se Hame Mita Dena;
Chaho To Hamko Bhula Dena;
Par Yeh Vaada Karo Ae Dost;
Ki Jab Yaad Aye Hamaari, Toh Rona Mat Bas Muskura Dena!
YAADEIN  
Dil Mein Chahat Ka Hona Bhi Zaruri Hai;
Warna Yaad To Dushman Bhi Roz Kiya Karte Hain!
YAADEIN  
Jab Koi Taaza Museebat Tutati Hai, Hafeez;
Ek Aadat Hai Khuda Ko Yaad Kar Leta Hun Main!
~ Hafeez Jullandhuri
YAADEIN  
Naino Mein Basse Hain, Zarra Dhyan Rakhna;
Apna Rishta Yunhi Aabad Rakhna;
Mujhe To Aadat Hai Yaad Karne Ki;
Hichkiyan Aati Rahein To Maaf Karna!
YAADEIN  
Kabhi Kabhi Pathar Ke Takranay Se Aati Nahi Kharash;
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jaata Hai;
Bhool Jao Unhe Jinhe Maaf Nahi Kar Sakte;
Ya Fir - Maaf Kar Do Unhe, Jinhe Bhool Nahi Sakte!
YAADEIN  
Badi Tabdiliyan Laye Hain Hum Apne Aap Main; Lekin Tumhaari Yaad Main Rehne Ki Aadat, Abb Bhi Bakki Hai!
YAADEIN  
Meri Saanson Ko Aadat Hai, Teri Yaadon Se Chalney Ki;
Ruk Jayeingi Yeh Saansein, Jiss Din Tum Yaad Na Aaoge!
YAADEIN  
Kabhi Kitaabon Main Phool Rakhna;
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna;
Humein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Woh;
Nazar Sey Harf-e-Salaam Likhna!
YAADEIN  
Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;
Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;
Mujhe Toh Uss Shaam Ka Intezaar Hai;
Jo Aaye Tume Saath Lekar!



Bahut Khoobsurat Unka Har Andaaz Hai;
Haqiqat Hai Ya Khwaab Hai;
Khushnaseebon Ke Paas Rehte Hain Woh;
Mere Paas To Bas Unki Meethi Si Yaad Hai!
YAADEIN  
Aapki Yaad Dil Ko Bekarar Karti Hai;
Nazar Talash Apko Bar Bar Karti Hai;
Gila Nahi Jo Hum Hain Door Apse;
Hamari To Judai Be Apse Pyar Karti Hai!
YAADEIN  
Tum Se Wabastgi Ka Ye Aalam Hai;
Hum Woh Saans Nahi Lete Jisme Tumhari Yaad Na Ho!
YAADEIN  
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le;
Mujhe Yad Rakh, Beshak Naam Na Le;
Tera Veham Hai Ke Hum Bhool Gaye Tujhe;
Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
YAADEIN  
Teri Yaad Ilaaj-e-Gham Hai;
Soch, Tera Maqaam Kya Hoga!
YAADEIN  
Main Uss Ke Kheyal Se Jaoon To Kahan Jaoon;
Woh Meri Sooch Ke Har Raste Pae Nazar Aata Hai!
YAADEIN  
Meri Yaadon Ki Kashti Uss Samundar Mein Tairti Hai;
Jiss Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai!
YAADEIN  
Kaash Unko Kabhi Fursat Mein Yeh Khayal Aa Jaye;
Ke Koi Yaad Karta Hai Unhey Zindagi Samajh Kar!
YAADEIN  
Apani Yaadon Ke Ujallon Ko Mere Pass Rahne Do;
Baki Hayat-E-Safar Inki Roshni Mein Guzaar Leinge!
YAADEIN  
Samundar Ke Safar Mein Iss Tarhan Awaaz Dain Humko;
Hawaein Tez Ho Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jai;
Ujaley Apni Yadoon Ke Hamare Saath Rehne De;
Najane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jai!


Kitni Jaldi Zindaagi Guzar Jaati Hai;
Pyaas Bujtee Nahin Barsaat Chali Jaati Hai;
Aap Ki Yaadein Kuchh Iss Tarah Aati Hai;
Neend Aati Nahin Aur Raat Guzar Jaati Hai!
YAADEIN  
Jaane Uss Shakas Ko Kaisa Yeh Hunar Aata Hai;
Raat Hote He Ankhon Mein Utar Jaata Hai;
Mein Uski Yaad Se Niklon, Toh Kahaan Jaun;
Woh Meri Soch Ki Har Dehlez Pe Nazar Aata Hai!
YAADEIN  
Kaise Bhula Doon Main Usko;
Maut Insanon Ko Aati Hai, Yadon Ko Nahi!
YAADEIN  
Sazzaa Ban Jaati Hain, Guzree Huye Waqt Ki Yaadein;
Jaane Kyun Matlab Ke Liye, Meharbaan Hote Hain Log!
YAADEIN  
Takleef Jo Ho Kabhi, Mujhe Sochne Se Tumhe;
Ek Lamha Bhi Na Lagana, Mujhe Bhool Jaana Tum!
YAADEIN  
Aapki Yaad Staye To Dil Kya Kare;
Yaad Dil Se Na Jaye To Dil Kya Kare;
Socha Tha Sapno Mein Mulaqat Hogi;
Magar Neend Hi Na Aaye, To Hum Kya Kare!
YAADEIN  
Ab udaas hona bhi acha lagta hai;
Kisi ka pass na hona bhi acha lagta hai.
Main door reh kar b kisi ki yaadon me hun;
Ye ehsaas hona b acha lagta hai.
YAADEIN  
Aj koi mujhko dilaye na mohabbat ka yakeen,
Jo mujhe bhool na sakte the, wohi bhool gaye.
YAADEIN  
Ye kambakht hichkiyan thamti kyu nahin;
Ye kis k zehan mein aaker atak gaye hain hum.
YAADEIN  
Rishta banaya hai to nibhayenge,
Har pal aapko hasayenge-satayenge,
Pata hai aapko to fursat nahi yaad karne ki,
Hum hi msg kr-kr ke apni yaad dilayenge.



Yaad hum bhi aapko karte hai, yaad aap bhi hame karte hai,
fark itna hai hum yaad ane par sms karte hai aur aap sms ane par yaad karte hai.
YAADEIN  
Judai apki rulati rahegi,
yaad apki aati rahegi,
pal pal jaan jati rahegi,
jab tak jism mein hai jaan har saans ye rishta nibhati rahegi.
YAADEIN  
Chale gaye ho dur kuch pal ke liye, Dur rehkar bhi karib ho har pal ke liye, Kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye, Jab dil me ho aap har pal ke liye.
YAADEIN  
Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana
YAADEIN  
Sooni zindagi main hulchul mehsus hui,
Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui,
Jaane kyun aaj aisa laga,
Shayad aapki kami mehsus hui.
YAADEIN  
Suraj paas ho na ho, Roshni aaspaas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandni aaspaas rehti hai,
Waise hi aap paas ho na ho,
Apki Yaadein hamesha saath rehti hai!
YAADEIN  
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi,
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi,
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal,
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
YAADEIN  
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati.
YAADEIN  
Jab dosti ki dastan waqt sunayega,
Tumko bhi koi shaks yaad ayega,
Tab bhool jayenge zindgi ke gam ko,
Jab apke sath guzara samay yaad ayega.
YAADEIN  
Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.



Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana he,
Aap chahe humse baat karo ya na karo,
Aap ki yadon mein humara ana jana hai.
YAADEIN  
Teri yaad rud jandi akhan cho pani banke,
Ki khatya es rooh ne diwani ban ke,
Bhaven ho gaya hun sadi akhan toh dur,
Par dil vich wasya hai pyar di nishani ban ke.
YAADEIN  
Suni zindagi mein halchal si mehsoos hui, bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui,
Jane aaj kyu aisa laga, shayad aapki kami mehsoos hui.

No comments :

Post a Comment