Dard Hua Hai shayari

  1. Hum Se Milne Aaya Hai
  2. Aakhir Dukh Humsaaya Hai
  3. --------------------------------------------------------
  4. Haara hun main mohabbat ki har baji har imtihaan ko;
  5. Kyun nahi milti kamyabi is sansar me dil ki juban ko;
  6. Mujhe shikayat nahi hai gairon se kabhi ;
  7. Jab apno ne hi diya hai mera naam har iljaam ko.
  8. --------------------------------------------------------
  9. Koi Teer Dil Mein Laga Ho Jaise”
  10. Koi Khanjar Seene Mein Uttar Gaya Ho Jaise”
  11. Nakaam Muhabbat Ne Halat Kar Di Aisi”
  12. Imtiyaz Ka Saara Aalam Lutt Gaya Ho Jaise”
  13. --------------------------------------------------------
  14. Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai,
  15. Wafa kar k bhi bewafa ka naam paya hai.
  16. Rahain alag nahi thin hamari phir bhi,
  17. Hum ne alag alag manzil ko paya hai...
  18. --------------------------------------------------------
  19. Zakham Itne Gahre the Ki Ezhaar Kya Karthe
  20. Hum Khudh He Nishana Ban Gaye Kisi Pe Waar Kya karthe,
  21. Marne Ke Baad Bhi Khuli Rahi Aankhe,
  22. Aab Tum he Batao Iss Se Zayada Intezar kya Karthe..
  23. --------------------------------------------------------
  24. Kya hoon main aur kya samajhte hai,
  25. Sab raaz nahi hote batane wale,
  26. Kabhi tanhaiyo mein aakar dekhna,
  27. Kaise rote hai sabko hasane wale.
  28. --------------------------------------------------------
  29. yaad teri hume itni aayi,
  30. ke teri yaado ke saaye me jine laga,
  31. dost to dost meri halat ko dekh,
  32. khud khuda bhi rone lagaaaa,
  33. plze come back in my life
  34. --------------------------------------------------------
  35. Us ajnabi ka youn na intezaar karo
  36. Is aashiq dil ka na aitbaar karo
  37. Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
  38. Itna kabhi na kisi se pyaar karo..
  39. --------------------------------------------------------
  40. Kuch aise ghao bhi hote hain
  41. jinhen zakhmi aap nahi dhote
  42. bin roye huye aansuon ke tarah
  43. sine mein chupa ke rakhte hain
  44. aur sari umr nahi rote
  45. ninden bhi muhaiya hoti hain
  46. sapane bhi dur nahi hote
  47. q phir bhi jagate rehte hain
  48. q sari raat nahi sote
  49. ab kis se kahen ae jan-e-vafa
  50. ye ahal-e-vafa kis aag mein jalate rehte hain
  51. q bujh ke rakh nahi hote
  52. --------------------------------------------------------
  53. Dard Me Koi Mausam Pyara Nahin Hota
  54. Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahin Hota
  55. Dekhe Zara Koi Bebsi Hamari
  56. Hum Unke Ho Gaye Jo Hamara Nahin Hota…
  57. --------------------------------------------------------
  58. Koi Dard Hi Na Ho Mujhe Aisa Bana Do
  59. Mujhe Apne Jaisa Bana Do
  60. Mayoos Hota Hoon Jab Wo Todta Hai Mera Dil
  61. Ek Patthar Ka Dil Mere Bhi Seene Mein Laga Do.
  62. --------------------------------------------------------
  63. MANGI THI DUA AASHIYANE KI,
  64. CHAL PADI AANDHIYA ZAMANE KI,
  65. MERE GHAM KO SAMAJH NA PAYA KOI,
  66. MERI TO AADAT THI MUSKURANE KI.
  67. --------------------------------------------------------
  68. Hum Bikhrate Hain Andhere Ki Tarah
  69. Dard Badhta Hai Roshni Ki Tarah
  70. --------------------------------------------------------
  71. Hum Mar Ke Tumhare Paas Aayenge Varna
  72. Humse Mil Jao Aadmi Ki Tarah
  73. --------------------------------------------------------
  74. Mai Khwab Koi Sazau To Kis K Liye,
  75. Mai Duniya Apni Basau To Kis K Liye,
  76. --------------------------------------------------------
  77. Khawab Tut Gye Sare Sazne Se Pahle,
  78. Duniya Uzad Gyi Meri Basne Se Pahle,
  79. --------------------------------------------------------
  80. Mai Raah-E-Kadam Badau To Kis K Liye,
  81. Ashak Mere Thamte Nhi Yaad Me Teri,
  82. --------------------------------------------------------
  83. Asar Khatam H Ab Friyaad Me Meri,
  84. Mai Haath Dua Me Uthau To Kis K Liye,
  85. --------------------------------------------------------
  86. Wo Kahte H Bhool Ja ‘Kumar’ Muzhe Yaad Krke Hasil Kya,
  87. Mai Puchhta Hu Mila Meri Khushiyon Ka Katil Kya,
  88. Mai Khuda K Kahar Se Use Bachau To Kis K Liye.
  89. --------------------------------------------------------
  90. Dil main ab na koi kyhal naya aata hai,
  91. jine ka ab na koi sawal najar aata hai,
  92. apne hasin chehre ki jhalak bhar de do,
  93. 365 raton ke bad, yaron sal naya aata hai.
  94. --------------------------------------------------------
  95. hum chah kar bhi use paa na ske,
  96. ye dard~e~dil sunaa na ske,
  97. socha ki smjh jayenge ankho se baaten,
  98. par unki ankhon se ankhe mila na sake.
  99. --------------------------------------------------------
  100. Humara Dard Humari Dukhi Aawaz Se Lade
  101. Sulgati Aag Kabhi Sirfiri Hawa Se Lade
  102. --------------------------------------------------------
  103. Main Jaanta Hoon Ki Aakhir Kya Hoga
  104. Akela Pata Agar Raatbhar Hawa Se Lade
  105. --------------------------------------------------------
  106. Mere Ajeej Mujhe Katal Karke Feink Aate
  107. Bhala Huya Ki Mere Lab Meri Sada Se Lade
  108. --------------------------------------------------------
  109. Siyah Barf Mein Thithuri Hai KaayNaat Meri
  110. Koi Sitara Uthe Tootkar Khla Se Lade
  111. --------------------------------------------------------
  112. Humare Sehar Mein Kya Ho Gaya Tha Jiske Liye
  113. Bashir Rote Rahe Raat Bhar Khuda Se Lade
  114. --------------------------------------------------------
  115. Zid Apni Puri Karne Ke Liye
  116. Mere Jazbaton Se Wo Aqsar Khelta Raha
  117. Main Bhi Bada Khud-Dar Tha
  118. Usko Khush Rakhne Ke Liye
  119. Sitam Aqsar Uske Jhelta Raha.
  120. --------------------------------------------------------
  121. Hausle Zindagi Ke dekhte hai,
  122. Chalo kuch roz ji ke dekhte hai.
  123. Barish se toh Pyass Bhujhti Nahi,
  124. Aao ab toh Zeher pee ke dekhte hai..
  125. --------------------------------------------------------
  126. Aye dil kinare ko kinara na samajh,
  127. Aye dil sahare ko sahara na samajh,
  128. Barish aane par kinare toot jate hain,
  129. Musibat aane par sahare chhooth jate hain..
  130. --------------------------------------------------------
  131. Jis per hamari aankh ne moti bichaaye raat bhar
  132. Bhaija wohi kaaghaz usay, ham ne likha kuch bhi nahi
  133. do chaar din ki baat hai dil khaak mai so jaaye ga
  134. jab aag per kaaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi...
  135. --------------------------------------------------------
  136. Koi Chupke Chupke Rota Hai,
  137. Koi Dil Hi Dil Me Rota Hai,
  138. Par Jo Dil Hi Dil Me Rota Hai
  139. Uska Dard Bada Hota Hai
  140. --------------------------------------------------------
  141. Jab Bhi Yaad Aate Hain Afsaane Apni Mulaqaton Ke,
  142. Dhadkane Lagne Lagti Hain Parayi Aur Rukene Si Lagti Hain,
  143. Hosh Kahin Jaise Kahin Gum Ho Jata Hai,
  144. Aankhen Tujhe Dekhene Ko Tadapti Hain,
  145. Yeh Zindagi Ek Bhoj Si Lagene Lagti Hai,
  146. Tujhse Judi Koi Dil Ki Dor Si Lagti Hai,
  147. Har Taraf Ek Ghana Kohra Sa Lagta Hai,
  148. Waqt Bhi Kuch Thehra Khoya Hua Sa Lagta Hai..
  149. --------------------------------------------------------
  150. Gunah Hua Hai Mujhse Yeh Maana Maine,
  151. Kya Thi Majboori Kya Kabhi Jaana Tumne,
  152. Zakhm Tumko Mila Hai Per Dard Humko Hota Hai,
  153. Apni Bawafai Per Dil Saari Saari Raat Rota Hai,
  154. Kerdia Maaf Keh Ke Apna Gam Na Seene Mein Dabaya,
  155. Suji Huyi Aankhe Aur Murjhaya Hua Chehra Humse Na Chupaya,
  156. Kuch Ker Humper Raham Aur De Humko Saza,
  157. Yuh Aansu Bahaker Hum Ko Aur Na Tadpa..
  158. --------------------------------------------------------
  159. Dard Hua Hai Humein
  160. Aise likhne ka bhi kya fayda jo jhuta lage,
  161. Aise rang ka bhi kya fayda jo fika lage,
  162. Shayri woh hai jo dil se nikle, aur jise sunke,
  163. Her dil mein thoda sa to dard jage..
  164. --------------------------------------------------------
  165. Aansuon Ke Sahare Unke Gam Ko Bhula Dete Hain
  166. Wo Nazar Aate Hain Jab Kabhi To Khud Ko Chupa Lete Hain
  167. Dard-E-Dil Ki Halat Ko Kin Alfazon Mei Byaan Kare Hum
  168. Aaeene Mein Khud Ko Dekete Hain To Nazrein Jhuka Lete Hain.
  169. --------------------------------------------------------
  170. taras jaoge tum mehfil-e-wafaa ke liye,
  171. kisi se pyaar na karna KHUDAA ke liye,
  172. jab lagegi ishq ki adalat ek din,
  173. tum hi chune jaaoge ae zaalim SAZAA ke liye..
  174. --------------------------------------------------------
  175. Zindagi lehar thi aap shail hue,
  176. Na zane kaise hum se bhool hue,
  177. Aur hum aapki dosti ke kabil na hue,
  178. Na bhulenge hum uss haseen pal ko,
  179. Jab aap hamari choti se duniya mein shamil hue.
  180. --------------------------------------------------------
  181. Zalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohot Thi
  182. Majboor The Hum Usse Mohabbat Bhi Bohot Thi
  183. Us But Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diye Humne
  184. Go Apni Tabiyat Men Bagawat Bhi Bohot Thi
  185. Waqif Hi Na Tha Ramz-e-mohabbat Se Wo Warna
  186. Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bohot Thi
  187. Yun Hi Nahi Mashoor-e-zamana Mera Qatil
  188. Us Shakhs Ko Is Fan Men Maharat Bhi Bohot Thi...
  189. --------------------------------------------------------
  190. Unhai Jab Dekha Humne To Dekhte Reh Gaye,
  191. Apna Dil Na Jane Kab De Gaye,
  192. --------------------------------------------------------
  193. Pyar Kya Hota H Ye Mil Ker Jana Unse,
  194. Is Me Dard Bhi Hota H Dur Reh Ker Jana Unse,
  195. --------------------------------------------------------
  196. Is Dard-E-Dil Ki Wo Dawa Bangayi,
  197. Dil Ka Sukun Rooh Ki Pyaas Bangayi,
  198. --------------------------------------------------------
  199. Apne Pyar Ka Izhar Kaise Ker Dete Unse,
  200. 3 Lafzon Me Seemat Jaye Aisa Pyar Hi Kaha Tha Unse,
  201. --------------------------------------------------------
  202. Pehla Pyar Banke Is Dil Me Dhadakne Lagi,
  203. Socha Maang Lu Sath Uska Us Se Hi,
  204. Per Kaha Tha Raaz-E-Wafa Aana Mere Mukaddar Me,
  205. --------------------------------------------------------
  206. So Tod Diya Dil Aur Chali Gai Chhod Ke,
  207. Is Be-Dard Tanhayi Aur Bebasi Ke Sheher Me,
  208. --------------------------------------------------------
  209. Bus Bechaniyo Ka Hi Sath Tha Akhir Tak,
  210. Yehi Sabab Bani Pehli Galti Ka Ab Tak..
  211. --------------------------------------------------------
  212. Wo To Pani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
  213. Aansu To Wo Hai Jo Aankho Mei Hi Reh Jaye,
  214. Wo Pyar Kya Jo Lafjo Mei Byan Ho,
  215. Pyar To Wo Hai Joa Ankhoan Main Nazar Aaye
  216. --------------------------------------------------------
  217. Teri Aarzu Ki Tapish Mein,
  218. Mere Sare Jazbaat Pighal Gaye,
  219. Tune Hume Dhundne Ki Kosish Hi Nahi Ki,
  220. Aur Hum Teri Talash Mein Dur Tak Nikal Gaye.
  221. --------------------------------------------------------
  222. Rusna si aassi parr koi horr vaari lai gya,
  223. Manona si sanu parr koi horr russ ke beh gya,
  224. Assin tan nibhonde rahe pyar sacha jaan ke ,
  225. Parr dard denn walla bedard sanu hi keh gya…………
  226. --------------------------------------------------------
  227. Dard Main Woh Bhi Hain
  228. Dard Mein Hum Bhi
  229. Woh Aasoo Dekha Rahen Hain
  230. Hum Aaso Shuka Rahen Hain
  231. Farq Sirf Itna Hain Ki
  232. Woh Zamane Ko Dikha Rahen Hain
  233. Aur Hum Khuda Se Bhi Chupa Rahein Hain
  234. --------------------------------------------------------
  235. App ki nazroan say oojhal ho jayen gay hum,
  236. dur fizaun mei kahin kho jayen gy hum,
  237. meri yadoon say lipat kar reh gaye app,
  238. kaffan orrah kay jab soa jayenege ham..
  239. --------------------------------------------------------
  240. Keh Kar Jab Koi Ankho Se Door Hota Hai
  241. Ankhein Dekhti Rehti Hain
  242. Lekin Dil Majbur Hota Hai
  243. Koi Kahe Na Kahe Zubaan Se
  244. Magar Dil Mein Dard Jarur Hota Hai.
  245. --------------------------------------------------------
  246. Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai..
  247. Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai..
  248. kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai…….
  249. hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai….
  250. --------------------------------------------------------
  251. Hi guys..This one’s not originally written by me but i
  252. had heard it from one of my friends edited a bit of it
  253. and here’s what came out finally:
  254. Yaad na aye koi mujhe is jahan mein,
  255. Tere siwaye kuch bhi na sochoon,
  256. Dekha hai jabse tujhe mere humdum,
  257. Chaand sitare bhi na dekhoon...
  258. --------------------------------------------------------
  259. Dil ki gehraaiyon me hum jaane se bachte rahey
  260. doob jate sahil pe isliye kinare se bachte rahey
  261. khuda se gila kya karna sabka naseeb hi aisa hai
  262. tujhe laga hum tere kareeb aane se bachte rahey..
  263. --------------------------------------------------------
  264. Darta Hu Mai Ki Kahi Aapko Kho Na Du
  265. Darta Hu Mai Ki Kahi Aapko Kho Na Du
  266. Aapko Kho Kar Kahi Mai Khud Ko Kho Na Du
  267. Chahta Hu Is Kadar, Aapko Aye Mere Dost
  268. Na Hona Khafa Mujhse, Agar Ho Gaye Khafa Mujhse
  269. Meri Duniya To Aap Jaise Dosto Se He Bani Hai
  270. Kahin Mai Apne Is Pyare Duniya Ko He Kho Na Du.
  271. --------------------------------------------------------
  272. Kabhi dil ko kabhi samako jalake roye,
  273. Raat ke godh mein soo gaye jab sari duniya,
  274. Toh chand ko teri tasvir banake roye.
  275. --------------------------------------------------------
  276. Jaan kar bhi woh mujhe jaan na paiye ,
  277. Aaj tak woh mujhe pehchan na paiye ,
  278. Khud hi karli bewafai hum ne doston,
  279. ta-keh un par koi ilzaam na aaye . ..
  280. --------------------------------------------------------
  281. Reh na paoge bhula kar dekh lo,
  282. Yakin na aaye to aajma kar dekh lo,
  283. Har jagah mehsus hogi meri kami,
  284. Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo.
  285. --------------------------------------------------------
  286. bina tere na ak pal ho
  287. na bin tere kabhi kal ho
  288. ye dil ban jaye patthar ka
  289. na isme koi hal-chal ho
  290. --------------------------------------------------------
  291. Doston Ki Dosti Mein Khata Khayi Hai
  292. Karke Bharosa Unse Hamne Sazaa Payi Hai
  293. Jo Aaye The Dil Ke Aashiyane Mein Chiraag Bankar
  294. Afsos! Ushi Chiraag Ne Aashiyane Mein Aag Lagaayi Hai
  295. --------------------------------------------------------
  296. Kab hua hume pyar pata nahi,
  297. Kab ho gaya hume ikrar unse pata nahi,
  298. Hum jinka intezar karte hain raato mein,
  299. Unki yaad mein nikal aaya aansu pata nahi..
  300. --------------------------------------------------------
  301. Tuje Kai Malum Kitna Dard Mila Hai Tera Shehir Chor Ke
  302. To Bata Tuje Kai Mila Mera Dil Tor K
  303. Mairi Muhabbat Samandar Se B Gehri Thi
  304. Tuje Kabhi Na Mile Ga Sakoon Ishq-e-Tofah Ko Rok Ke
  305. --------------------------------------------------------
  306. Zuban hi sirf ek jariya nahi,
  307. Jo aap lafzon ko samajh payenge.
  308. Kabhi aankon me jhank kar dekhna,
  309. Hazaron alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge..
  310. --------------------------------------------------------
  311. Judai ke ye lamhe kitne ajeeb hai,
  312. Tu door hokar mere kareeb hai.
  313. Ham ek hokar bhi anjaan hain ek-dooje se,
  314. Ye kaise hamare naseeb hai..
  315. --------------------------------------------------------
  316. Durr ho kar bhi tum kabhi durr nahin huae
  317. Tum har waqt dil mein ehsaas ban kar maujood jo rahe
  318. Dhukh iss baat ka nahin ke hum tumhe paa na sake
  319. Dukh to is bhaat ka hai ke bhichar kar bhi hum tumein bhula na sake
  320. --------------------------------------------------------
  321. Tere Jaane Ke Baad Dil Ne Ashq Bahaaya Phirse,..
  322. Haath RakhKar Dil Ke Paas Humne Isko Samjhaaya Phirse,..
  323. Phir Bhi Dil Se Awaazein Aati Hai,..
  324. Tumhare Naam Ki Sadaaein Aati Hai,..
  325. Tumhara Naam Zubaan Pe Gungunaake Dil Ko Behlaaya Phirse...
  326. --------------------------------------------------------
  327. Ek Rishta Dard Ka...
  328. Ek Rishta Dard Ka Hai Mere Uske Darmiya.
  329. Phir Bhi Kitna Fasla Hai Mere Uske Darmiya.
  330. Yuhi Rhengi Ranjishe Ye Hamare Bech
  331. Koi Jabtak Teesra Hai Mere Uske Darmiya
  332. --------------------------------------------------------
  333. Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai,
  334. Dard Ki Had Dekho Ke Uski Jaan Pe Ban Aayi Hai,
  335. Hum Gunehgar Kehke Khud Ko Behla Liya Kerte Hain,
  336. Aur Woh Muskurake Hume Ruladiya Kerte Hain..
  337. --------------------------------------------------------
  338. Waise Toh Hume Nafrat Hai Apne Bewafai Se,
  339. Lekin Jhutla Nahi Sakte Bewafa Hona Ke Sachayi Se,
  340. Chhoda Tha Saath Uska Jisko Kehte Hum Apne Perchayi The,
  341. Diya Woh Jahaan Use Jismein Khushiyan Na Dekhayi De..
  342. --------------------------------------------------------
  343. Woh Toh Ab Bhi Apne Pyar Pe Kayam Hai,
  344. Rooh Nikal Chuki Bas Uska Jism Reh Gaya Baki,
  345. Kaise Kahe Ke Kaise Zindagi Usne Beetayi Hai,
  346. Mere Her Gunah Ki Saza Usne Payi Hai..
  347. --------------------------------------------------------
  348. Waqt to hume bhul chuka hai,
  349. Muqaddar bhi na bhula de,
  350. Pyaar hum isiliye nahi karte,
  351. Kyonki darte hain koi hume phir se na rula de..
  352. --------------------------------------------------------
  353. Tumhe jab se dekha ha i maine ,
  354. ankho mai anshu aya jate hai,
  355. kya kahon kase kahon kaise batio,
  356. mushkil ruk pate hai.
  357. --------------------------------------------------------
  358. Dil Me Chubhi Baaton Ko Waqt Ki Trikh De Do
  359. Aaj Khushiya Mana Lo Gamo Ko Fir Kabhi Yaad Karenge
  360. Rakh Lo Dil Me Chhipa Kar Dard Aapne
  361. Ye Bevajah Hi Aashko Ke Moti Barbad Karenge
  362. Aaj Jo Lamhe Hai Kal Ho Na Ho
  363. Jee Lo Aaj Jeebhar Ke Inhe Kal Muskurate Huye Inki Baat Karenge
  364. --------------------------------------------------------
  365. Dil Jala Hoon Bauhat Mein Saari Dunya Jala Doon
  366. Uss Ki Raahon Ki Saari Roshni Mein Bujhadon!!
  367. Janay Her Baar Mere Sath Yeh Hojata Hai
  368. Mai Jissay Chahta Hoon Mujhse Woh Kho Jata Hai
  369. Yah Bata Day Hamaray Pyar Mai Kiya Kami Hai
  370. Mere Ankhoon Mai Dekhoo Ajj Kitnee Nami Hai!!
  371. --------------------------------------------------------
  372. Bhool ke bhi mujhko bhula na sakoge,
  373. yaad meri dil se hata na sakoge,
  374. banke rahunga dhadkan main tumhari,
  375. band karke mujhko chupa na sakoge.
  376. --------------------------------------------------------
  377. Jab Aankhon Mein Sapna Tera Aaye
  378. Bojhal Saanson Mei Khusiyan Le Aaye
  379. Aa Jaaye Ashq Jo Tujhe Yaad Karte Huye
  380. Saamne Tera Hasta Huya Chehra Dikh Jaaye
  381. --------------------------------------------------------
  382. Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Bagair
  383. Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair
  384. Waqt Apni Raftar Se Chal Raha Hai
  385. Magar Dhadkan Thami Si Hai Tere Bagair
  386. Na Baarish Hai Na Dhuan Phir BHi
  387. Dil Mein Tapish Si Hai Tere Bagair
  388. Bahot Roka Aansuon Ke Badalon Ko Barasne Se
  389. Phir Bhi Aankhon Mein Nami Si Hai Tere Bagair...
  390. --------------------------------------------------------
  391. Khulle Paare Hain Meri Zindagi Kay Saare Warq
  392. Najane Kab Koi Aandhi Ura Kar Lai Jaii
  393. Kisi Ka Dard Kahan Tak Apnay Pass Rakhon
  394. Ye Jis Ka Ho Wo Nishani Bata Kar Lai Jai
  395. --------------------------------------------------------
  396. Tere Hontho Pe Apna Naam Chhod Jaunga,
  397. Aankho Me Tere Aansuo Ka Jaam Chhod Jaunga,
  398. Gar Reh Sko To Rah Lena Khush Is Duniya Me,
  399. Main Tere Liye Apni Khushiyan Tamaam Chhod Jaunga,
  400. ‘Kumar’ Markar Bhi Jinda Rahenga Tuzhme Hi Kahi,
  401. Kbhi Na Dhalegi Gamo Ki Aisi Shaam Chhod Jaunga..
  402. --------------------------------------------------------
  403. Jab Bhi Milti Hai Lipat Ke Roti Hai
  404. Zakhmo Mein Apne Simat Ke Roti Hai
  405. Jaane Ka Wada Karti Hai Meri Zindagi Se
  406. Magar Jate-Jate Palat Ke Roti Hai.
  407. --------------------------------------------------------
  408. Kisi Ne Hume Rulaya To Kya Bura Kiya
  409. Dil Ko Dukhaya To Kya Bura Kiya
  410. Hum To Pehle Se Hi Tanha The
  411. Kisi Ne Ehsas Dilaya To Kya Bura Kiya?.
  412. --------------------------------------------------------
  413. Tadap is dhra (dharti) ki un badalon se poocho
  414. Tadap un kinaron ki uthti hui lehron se poocho
  415. Tadap us raat ki un sitaron se poocho
  416. Na jane kitne abaad hue is ishq mein
  417. Par tadap ashiqui ki un barbaad ashiqon se poocho
  418. --------------------------------------------------------
  419. Itna na tadpa ki iss kadar sakht ho jau main,
  420. Phir tere pyar ke asson bhi na pighla paye mujko.
  421. --------------------------------------------------------
  422. Aise Toh Thes Nahi Lagti Thi, Jab Apne Rootha Karte The,
  423. Itna Dard Toh Na Hotha Tha, Jab Sapne Toota Karte The,
  424. Apka Shayad Dil Bhi Toote, Jhoothe Pyar Karneh Walo Ka,
  425. Es Kadar Pyar Koi Karta Nahi, Ke Merne Wale Ke Saath Koi Marta Nahi.
  426. --------------------------------------------------------
  427. Tadap kar dekh kissi ki chah main,
  428. Tabhi ptta chalega ke pyaar kya hota hai,
  429. Agar aaise hi mil jaye koi raahoan main,
  430. Toa kaise ptta chale intezaar kya hota hai…..
  431. --------------------------------------------------------
  432. Todte Raho Dil Tum Kaanch Ki Tarah,
  433. Hum Tutkar Bhi Sirf Tumhe Chahenge,
  434. Kya Hua Gr Tumhe Pa Na Sake,
  435. Tumhe Paane K Zid Liye Hi Mar Jayenge,
  436. --------------------------------------------------------
  437. Gr Keh Do Ek Bar Ki Khush Rahoge Humare Bina,
  438. Hum Apki Is Duniya Se Chale Jayenge,
  439. Maut Bhi Mile Apki Khusi Ki Keemat Par,
  440. Apki Kasam Apki Khusi K Liye Mar Jayenge…
  441. --------------------------------------------------------
  442. Hansi ke peeche hazaaron aansoo chhupate chale
  443. Dil main ghum ka dariya sambhaalte huey
  444. Na koi raasta, Na koi manzil
  445. Hogaya kitna paraya apna hi dil.
  446. --------------------------------------------------------
  447. Woh sagar nahi aansoo the mere,
  448. Jispar woh kashti chalate rahe.
  449. Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
  450. Issliye hum aansoo bahate rahe..
  451. --------------------------------------------------------
  452. bewafa dil ki rahon me na bhatke hote,
  453. sisse se najuk dil ko sine me chhupa ke rkhte,
  454. agr hum karte unse bewafai,
  455. to aaj iss kabr me na lete hote.
  456. --------------------------------------------------------
  457. Koi Hath Nahi Khaali Hai
  458. Baba Ye Nagri Kaisi Hai
  459. --------------------------------------------------------
  460. Koi Kisi Ka Dard Na Jane
  461. Sabko Apni Apni Padi Hai
  462. --------------------------------------------------------
  463. Uska Bhi Kuch Haq Hai Aakhir
  464. Usne Mujhse Nafrat Ki Hai
  465. --------------------------------------------------------
  466. Jaise Sadiyan Beet Chuki Hon
  467. Fir Bhi Aadhi Raat Abhi Hai
  468. --------------------------------------------------------
  469. Kaise Kategi Tanha-Tanha
  470. Itni Saari Umar Padi Hai
  471. --------------------------------------------------------
  472. Hum Dono Ki Khoob Nibhegi
  473. Main Bhi Dhukhi Hoon Voh Bhi Dukhi Hai
  474. --------------------------------------------------------
  475. Ab Gham Se Kya Nata Tode
  476. Zalim Bachpan Ka Sathi Hai
  477. --------------------------------------------------------
  478. Bhula Kar Hame Wo Khush Reh Payenge
  479. Sath Mein Nahi To Mere Jane K Baad Muskuraye Ge
  480. Dua Hai Khuda Se Ki Unhe Kabhi Dard Na Dena
  481. Hum To Seh Gaye Par Wo Toot Jayenge!
  482. --------------------------------------------------------
  483. Tum Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
  484. Chale jayenge jab hum kabhi na vaapas aane ko.
  485. Karega mehfil me jab zikr hamara koi,,,,
  486. To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko..
  487. --------------------------------------------------------
  488. Unko Khabar Hai Mere Tute Armaano Ki
  489. Aaj Jarurat Padegi Kanch Ke Paimane Ki
  490. Khali Na Hone Dena Jaam Yaaro
  491. Varna Fir Yaad Aayegi Guzare Zamane Ki.
  492. --------------------------------------------------------
  493. Mere Aansuon ka har ek katra ,
  494. Teri Muhabbat Ki nishani hai ,
  495. Jise tum samjho to moti hai ,
  496. Na samjho To paani hai …
  497. --------------------------------------------------------
  498. Majboori Uski Bewafai Ka Mahaj Ek Bahana Hai
  499. Dard Ko Kisi Bahane Lab Per Lana Hai
  500. Kash Wo Kabhi Ek Bar Milne Aaye
  501. Zakham Ek Gehra Use Dikhana Hai.
  502. --------------------------------------------------------
  503. Har ik sawaal ka us ko jawaab kya deta,
  504. Main apni zaat ka usko hisaab kya deta,
  505. Jo aik lafz ki khushboo na rakh saka mehfooz,
  506. Main us ke haath main poori kitaab kiya deta..
  507. --------------------------------------------------------
  508. Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
  509. Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
  510. Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
  511. Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
  512. Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
  513. Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
  514. Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
  515. Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai.
  516. --------------------------------------------------------
  517. Paas Na Aaye Hote, To Door Jane Me Takleef Na Hoti.
  518. Zuban Hi Na Hoti To, Chup Rah Jane Me Takllef Na Hoti.
  519. Jude Hain Is Duniya Ke Kuchh Aur Log Bhi Humse,
  520. Akele Hote To Is Duniya Se Chale Jaane Me Takleef Na Hoti.
  521. --------------------------------------------------------
  522. Khol do muh mera kafan se ,
  523. hame muskurane ki aadat hai,
  524. janaaza jara rok ke chalo ,
  525. hame unke aane ki umeed hai.
  526. --------------------------------------------------------
  527. Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai
  528. Bayan Karne Ka Andaz Juda Hota Hai
  529. Kuch Log Ashqon Mein Dard Ko Baha Dete Hain
  530. Aur Kisi Ka Dard Hassi Mein Chupa Hota Hai.
  531. --------------------------------------------------------
  532. Dil ka rona.Dil ka sisakana hai baki.
  533. Abhi teri khushiyon ki khatirMera mitna hai baki
  534. --------------------------------------------------------
  535. Bichda hai jo ek baar use milte nahi dekha,
  536. Is jakhm ko humne kabhi silte nahi dekha,
  537. Jis bhi chaman ne ki bahar ki khwaish,
  538. Unme koi phool kabhi khilte nahi dekha,
  539. Patjhad me un shakhon se patte juda huye,
  540. Aandhiyo me bhi jinko kabhi hilte nahi dekha..
  541. --------------------------------------------------------
  542. Unse keh do wo meri taqdeer se jalna chod de,
  543. unse keh do wo meri taqdeer se jalna chod de.
  544. Aree hum to wo badnaseeb hain jo agar,
  545. kafan ki dukan kholen to log marna chod de.
  546. --------------------------------------------------------
  547. Dete Ho Kyu Ye Dard Bas Humi Ko
  548. Kya Samjoge Tum In Ankho K Nami Ko
  549. Yu To Honge Lakhon Diwane Is Chand Ke
  550. Chand Kya Mehsus Karega Ek Tare K Kami Ko
  551. --------------------------------------------------------
  552. Dard Shayari Sms in Hindi
  553. Zamana Humen Itna Ghareeb Ku Samajte Hain Dost
  554. Unko Maaloom Nahi K Hum Dard Ki Dolat Se Maala Maal Hain.
  555. --------------------------------------------------------
  556. Kimat Jazbat Ki Lagai Nai Jati
  557. Kimat Pyar Ki Lagai Nai Jati
  558. Dil Mai Ho Agar Dard Ka Ahsas To
  559. Hontho Pe Muskan Sajai Nai Jati
  560. --------------------------------------------------------
  561. Teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
  562. jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha
  563. tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di
  564. ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha
  565. mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
  566. yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha
  567. jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
  568. us baat ka khiyal
  569. --------------------------------------------------------
  570. Hum karte tujse kitna pyar bas tujse bata nahi pate.
  571. Tere liye hi hota he ye dil bekarar bas dikha nahi pate.
  572. Tere hi yaad me ashq bahati he aankhe,
  573. Bas apne aankho ka dard tuze dikha nahi paate..
  574. --------------------------------------------------------
  575. Khushi talash li meine gam k aashiyane me,
  576. Ab koi aur kya dega mujhe is zamane me,
  577. Koi kisi k liye itna berham na bane,
  578. Jitni dunia ban gayi mujhko satane me,
  579. Na jane kya khata hui mujhse,mere dil se,
  580. Sab hans hans k aaye mujhe rulane me,
  581. Mein sochata hoon khata kya hui mere is dil se,
  582. Koi sath nahi deta mera muskurane me.
  583. Dil se...
  584. --------------------------------------------------------
  585. Ab Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hai
  586. Iss Jahan Mein Koi Hamara Nahi Hai
  587. Chua Unka Daaman Toh Woh Haskar Bole
  588. Yeh Mohabbat Ka Daaman Tumhara Nahi Hai..
  589. --------------------------------------------------------
  590. Vaade Pe Woh Aitbaar Nahi Karte
  591. Hum Zikr-E-Mohabbat Sare Bazaar Nahi Karte
  592. Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
  593. Aur Woh Sochte Hai Hum Unse Pyaar Nahi Karte...
  594. --------------------------------------------------------
  595. Zindagi Ke Safar Ko Lafzo Me Piroya Hai
  596. Apni Har Ghazal Ko Dard Me Bigoya Hai,
  597. Wah Wah Na Kehna Meri Nazm Pe Aye Dosto,
  598. Ke Aaj Phir Se Yeh Dil Dard Me Roya Hai!
  599. --------------------------------------------------------
  600. Na Mila Dil Ka Qadardaan Is Zamanay Main,
  601. Yeh Sheesha Toot Gaya Hai Daikhnay Aur Dekhanay Main,
  602. Gii Main Aata Hai Ek Roz Shamma Say Pochoon,
  603. Maza Kis Main Hai, Jalnay Main Ya Jalanay Main
  604. --------------------------------------------------------
  605. Kya Khoob Yeh Safar Chalta Jo Tu Humsafar Milta
  606. Manzil Tou Hum Se Chin He Gayi Ab Tou Raasta Bhi Nahi Milta
  607. Kaash Hota Mumkin Muqqaddar Badal Paana
  608. Par Afsos Ki Taqqdeer Ka Likha Yun Nahi Mit Paata
  609. --------------------------------------------------------
  610. Pata Tha Tut Jaana Hai Ek Din Fir Bhi Na Jaane Kyun
  611. Har Raat Har Din Naye Khwab Tha Boonta
  612. Tujhe Paane Ki Zid Thi Har Lamha Har Pal
  613. Na Kisi Zulm O Sitam Na Anjaam Ka Darr Tha
  614. Kya Karoon Ki Zor Chalta Nahi Khud Pe
  615. Tujhe Dekh K Bhi Ishq Na Karta Tou Kya Karta
  616. --------------------------------------------------------
  617. Tu Tha To Tha Yakeen Ki Khuda Bhi Hai Yaheen
  618. Har Sakhsh K Chehre Mein Khuda Nahi Milta
  619. Ab Kya Ibaadat Kya Dua, Kiske Aage Karun Sajda
  620. Kis Kaam Ke Maszid Jab Khuda Hi Na Mil Sakka
  621. --------------------------------------------------------
  622. Aa Kar Meri Majaar Par Jo Tune Muskura Diya,
  623. Bijalee Chamak Uthi Sara Badan Jala Diya,
  624. Jiteji Na Pucha Dard-E-Ishq Ka Majara,
  625. Aab Aae Hi Puchane Jab Khak Me Mila Diya?
  626. --------------------------------------------------------
  627. Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main
  628. Lag raha hai jaise sare ehsaas mar se gaye hai mere
  629. Jin ehsaaso ko shabdo mein piro kar ek naya roop diya karti thi
  630. --------------------------------------------------------
  631. Likhu kuchh aaj ye waqt ka takaaza hai,
  632. dil mein dard abhi taza hai,
  633. Gir padte hain aansu mere kagaz par,
  634. Lagta hai kalam mein syahi kam dard zyada hai..
  635. --------------------------------------------------------
  636. Pyaar ek tarfa ho to usse pyaar nahi khete,
  637. Gum ki parchaye main awaz nahi dete,
  638. Mohabbat humne bhi ki thi unse,
  639. Magar parchaye banane se hum na rahe.
  640. --------------------------------------------------------
  641. Vaade Bhi Usne Kya Khoob Nibhaye Hai,
  642. Zakhm Muft Aur Dard Tohfe Me Bhijwaye Hai.
  643. Is Se Badhkar Wafadari Ki Misaal Kya Hogi
  644. Maut Se Pehle Vo Kafan Le Aaye Hai.
  645. --------------------------------------------------------
  646. Thodi-Thodi Sanso K Liye,
  647. Humne Zindagi Bechi,
  648. Parchhaiyon Se Tang Aa K,
  649. Humne Roshni Bechi,
  650. Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
  651. Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi.
  652. --------------------------------------------------------
  653. Jhuka Le Nigaahein Us Mein Aitraaz Kya Hai
  654. Kuch Guftagu Bhi Kar Le Yaha Woh Bewafa Kaha Hai
  655. Tha Woh Zamaana Ke Woh Waqt Bhi Ajeeb Tha
  656. Pilaa De Saaqi Dariye Bhar Mujhe
  657. “Masroor” Ab Woh Kaatil E Shaks Kaha Hai.
  658. --------------------------------------------------------
  659. Dard Ka Musafir Tu Kya-Kya Kahega
  660. Zikr Kar ‘Masroor’ Ka Woh Usse Sharaab Se Bayaan Karega.
  661. --------------------------------------------------------
  662. Dunia kehti hai on kai pyaar nai onhai zindagi dai di,
  663. mujha toh mere pyar nai gham kai ilawah kuch nahi diya,
  664. Tum ne yeh kia kr diya,
  665. mujhe rula diya,
  666. is pathar se aansoo nikal diya,
  667. Gham ka Khazana moo pr mar diya
  668. oos ki mohabbat nai aik hi to tahzeeb sikhai hai,
  669. ‘AFREEN’
  670. Roz rotay hoai so jatai hain magar shiqwa nahi kr patai.
  671. --------------------------------------------------------
  672. Kya Kahein Bin Tere Ye Zindagi Hai Kaisi
  673. Dil Ko Jalati Yeh Bebasi Hai Kaisi
  674. Na Keh Pate Hain Na Seh Pate Hain
  675. Na Jane Taqdeer Mein Likhi Ye Aashiqui Hai Kaisi.
  676. --------------------------------------------------------
  677. Kal uski Yad puri Rat ati rahi,
  678. Hum jage puri Dunia soti rahi,
  679. Aasman me bijli puri Rat hoti rahi,
  680. Bas ek BARISH thi jo Mere sath roti rahi..
  681. --------------------------------------------------------
  682. Is Dil Ki Daastan Bhi Badi Ajeeb Hoti Hai,
  683. Badi Muskil Se Ise Khushi Naseeb Hoti Hai.
  684. Kisi Ke Paas Aane Par Khushi Ho Na Ho,
  685. Par Door Jane Par Badi Takleef Hoti Hai.
  686. --------------------------------------------------------
  687. Teri Bad-Dua Bhi Dua Lagti Hai
  688. Agar De Tu Zehar To Dawa Lagti Hai
  689. Tune Sitam Dhaye, Gila Kuch Nahi
  690. Ye Bhi Mohabbat Ki Ek Ada Lagti Hai.
  691. --------------------------------------------------------
  692. Tujhe Yaad Karte Hain.
  693. Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad
  694. Kabhi Subh Se Pehle Kabi Sham K Bad
  695. Kabhi Milo To Kuch Karen Batein
  696. Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad
  697. Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain
  698. Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam Ke Bad
  699. Mere Marne K Bad B Log Tujhe Pukarenge
  700. Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad.
  701. --------------------------------------------------------
  702. Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana
  703. Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana
  704. Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar
  705. Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar
  706. --------------------------------------------------------
  707. Pyar se Pyar Karna ik nasha hai,
  708. Dil leke dil dena bhi ik nasha hai,
  709. Dilloan main dard toa hota hi hai mere dost,
  710. Par us dard ko pina bhi ik nasha hai ..
  711. --------------------------------------------------------
  712. Mein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
  713. Har Fikrr Ko Dhowien Mein Urataa Chala Gaya
  714. Barbaadiyoo Ka Soog Mana-Na Fuzool Tha
  715. Barbadiyo Ka Jashnn Manata Chala Gaya
  716. --------------------------------------------------------
  717. kholi hain zulf nazar hatahu kise
  718. roshan chehra si nazar churahuo kise
  719. aaj tum se muhabat na karu kise
  720. aaj khuda se tumhe na magu kise
  721. santosh —gemani
  722. --------------------------------------------------------
  723. Dete hai kyu woh dard bas hami ko?,
  724. kya samjhenge woh bewaffa inn aankhon ki nami ko?,
  725. Lakhoan diwane hain jis chand ke,
  726. kya woh mehsus karega ek tare ki kami ko??
  727. Kab takk khelenge aur torenge woh inn dillo ke saath,
  728. Akhir kabhi chand pe bhi gharan lagna hi hai.
  729. --------------------------------------------------------
  730. Pain Thodi Dil Mein
  731. Rain Thodi Sky Se
  732. Wo Guzare Meri Side Se
  733. Zakham Mere Hide Se
  734. Gaal Geele Main Ro Diya
  735. Unho Ne Jana Ke Nahi Jana .
  736. --------------------------------------------------------
  737. Meherbani karke hamari ek aakhri ghuzarish puri kar dijiye.
  738. Aapki noor bhari aankhon ko hamari nazaron se mila dijiye.
  739. Jeene ki khwahish tho ek sapna ban kar reh gayi hai.
  740. Sirf ek baar muskura ke humein Jannat ke dawaar tak pohoncha dijiye.
  741. --------------------------------------------------------
  742. bewafai unhone ki saja hume mili,
  743. pyaar humne kiya,gunah unse hue,
  744. chot usse lagi to dard mujhe hua,
  745. ghav to uske bhar gye,
  746. par nissaa mere baaki reh gye.
  747. --------------------------------------------------------
  748. Deta hai kyu ye dard bas hum hei ko,
  749. Kya samjenge woh en aankho ki nami ko,
  750. Lakho deewane ho jis chand ke,
  751. Woh kya mehsus karenge ek tare ki kami ko.
  752. --------------------------------------------------------
  753. Rooh Ko Tadpa Rahi Hai, Aapki Yaad
  754. Dard Bankar Chhaa Rahi Hai, Aapki Yaad
  755. Mere Ashqon Se Ghabra Rahi Hai, Aapki Yaad
  756. Rokte-Rokte Bhi Aa Rahi Hai, Aapki Yaad.
  757. --------------------------------------------------------
  758. Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
  759. Zindagi main tumhari kami rah gayi
  760. In honto par to hansi hi hansi hai
  761. Par aankho main todi si nami rah gayi
  762. Jin sapno ko kabhi dekha tha humne
  763. Woh zindagi wahi par thami rah gayi
  764. Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
  765. Zindagi main tumhari kami rah gayi...
  766. --------------------------------------------------------
  767. Waqt Haath Se Nikal Gaya Warna Hum Bhi Azaad Hotey
  768. Andheron Mein Ghoomte Hain Aur Tanhai Mein Rotey
  769. Khaas Jo The Apne Wohi Tou Ajmaate Hain
  770. Vaar Vaar Dil Toota,Phir Bhi Be-Wajah Chot Khaate Hain
  771. Khushi Aur Gammon Ka Rishta Kush Hum Jaisa Ajeeb Hai
  772. Khushi Naraaz C Aur Gamm Hamesha Kareeb Hai
  773. --------------------------------------------------------
  774. Ishq Ke Bhi Kuch Andaz Hote Hain
  775. Jagti Ankhon Mein Bhi Khawab Hote Hai,
  776. Zaroori Nahi K Gam Mein Ansu Nikle,
  777. Muskurati Ankhon Mein Bhi Sailab Hote Hain
  778. --------------------------------------------------------
  779. Zindagi Hai Nadan Isi Liye Chup Hoo
  780. Dard Hi Dard Subah Shaam Isi Liye Chup Hoon
  781. Keh Du Zamane Se Dastan Apni
  782. Usme Aayega Uska Naam Isi Liye Chup Hoon
  783. --------------------------------------------------------
  784. Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
  785. Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
  786. Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
  787. Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh...
  788. --------------------------------------------------------
  789. Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote
  790. Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
  791. Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne
  792. Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne
  793. --------------------------------------------------------
  794. Manzilein Mushkil Thi Par Hum Khoye Nahi,
  795. Dard Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi,
  796. Koi Nahi Aaj Hamara Aaj Jo Pucche Hamse,
  797. Jaag Rahe Ho Kisi K Liye,
  798. Ya Kisi K Liye Soye Nahi.
  799. --------------------------------------------------------
  800. Tum Apni Palko Ki Perchaiya Mujhe Dedo
  801. Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhe Dedo
  802. Main Doob Jau Aapki Udas Aakhon Mein
  803. Apni Dard Ki Vo Gehraiyan Mujhe Dedo
  804. --------------------------------------------------------
  805. Kitne Nadan The Tofan Ko Kinara Samjha
  806. Kitne Bejaan Saharon Ko Sahara Samjha
  807. Kitne Kamzarf The Woh Loog Jo Sahil Pe The
  808. Hamain Doobta Dekha Aur Nazara Samjha
  809. --------------------------------------------------------
  810. Hotho Pe Hansi Aankho Me Nami Jine Ki Aadat Ho Hi Gayi
  811. Mere Liye Tum Hi Sab Kuch Par Tere Liye Ham Kuchh Bhi Nahi
  812. Chehra Tera Dhundhala Dhundhla Khoi Khoi Si Tasveere
  813. Tum Khwabo Me Kaise Aaoge Jab Aankho Me Neend Nahi
  814. --------------------------------------------------------
  815. Khuda se thoda sa rehem kharid loon,
  816. Apke zakhmo ka marham kharid loon,
  817. Agar bik jaye meri khushiyaa kahi,
  818. To apka har gam kharid loon..
  819. --------------------------------------------------------
  820. Khushiyon Se Naraz Hai Meri Zindagi
  821. Pyar Ki Mohtaj Hai Meri Zindagi
  822. --------------------------------------------------------
  823. Has Leta Hoon Logo Ko Dikhane Ke Liye
  824. Varna Dard Ki Kitab Hai Meri Zindagi
  825. --------------------------------------------------------
  826. Har Koi Kisi Ki Majboori Nahi Samajhta
  827. Dil Se Dil Ki Doori Nahi Samajhta
  828. --------------------------------------------------------
  829. Koi To Kisi Ke Bina Mar Mar Ke Jeeta Hai
  830. Aur Koi Kisi Ko Yaad Karna Bhi Jaroori Nahi Samajhta
  831. --------------------------------------------------------
  832. Na Jaane Kyon Abhi Ek Aansoo Aankh Se Chhalka
  833. Dil Ko Shayad Uski Yaad Aayi
  834. Chaahat Hai Itni Hume Us Se Milne Ki
  835. Hanste Huye Bhi Aankhe Bhar Aayi
  836. --------------------------------------------------------
  837. Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Sharmati Nahi,
  838. Palkein Jhukaake Apni, Muskurati Nahi,
  839. Apne Gulaabi Labon Se Kuch Haseen Bol Ke,
  840. Is Dil Ko Kyun Phir Se Dhadkati Nahi.
  841. --------------------------------------------------------
  842. Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Paas Aati Nahi,
  843. Nazron Ke Ishaare Kuch Keh Jaati Nahi,
  844. Sapne Satrangi Se Aankhon Mei Mujhe Dikhake,
  845. Kyun Phir Se Meri Neendein Churati Nahi.
  846. --------------------------------------------------------
  847. Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Khaylon Mei Aati Nahi,
  848. Seene Se Mujhe Lagake Koi Geet Sunati Nahi,
  849. Lamhe Kuch Khoobsurat Se Mere Saath Bitaake,
  850. Kyun Phir Se Mujhme Kho Jaati Nahi.
  851. --------------------------------------------------------
  852. Dur ho gaye hamare chahne wale,
  853. Yaad bahot aaye hume bhulne wale,
  854. Mit gaye the hum jinki chahat mein
  855. Wo kabhi laut ke nahi hain aane wale..
  856. --------------------------------------------------------
  857. Wo jo sar juka ke baithe hai,
  858. Hamar DIL chura ke baithe hai.
  859. Hamne unse kaha,Hamara dil Laota do ,
  860. Toh Bole,
  861. Hum Toh Hatho me mehdi laga ke baithe hai.
  862. --------------------------------------------------------
  863. Shaam Bhi Udas Hogi Raat Bhi Udas Hogi
  864. Kafan Me Lipti Meri Laash Hogi
  865. Ae Dafna Ke Janewalon Unse Keh Do
  866. Qabar Me Bhi Unki Tasvir Mere Saath Hogi
  867. --------------------------------------------------------
  868. Dard ko na dekhiye dard se
  869. Dard ko bhi dard hota hai
  870. Dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
  871. Aakhir pyar mein dard hee toh hamdard hota hai..
  872. --------------------------------------------------------
  873. Bahar Aanee Pe Khilte Gulab Dekhe Hai
  874. Haseen Dil Churate, Behisab Dekhe Hai
  875. Jahan Gulab Ke Sang Lipte Karr Dekhe Hai
  876. Wahin Mohabbaton Me Bhi Kaanton Ko Khilte Dekhe Hai
  877. --------------------------------------------------------
  878. Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
  879. Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
  880. Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
  881. Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi.
  882. --------------------------------------------------------
  883. Dil Ki Dehleez Pe Yaadon Ke Diye Rakhe Hain
  884. Aaj Tak Humne Ye Darwaje Khule Rakhe Hain
  885. --------------------------------------------------------
  886. Is Kahani Ke Vo Kirdar Kahan Se Layun
  887. Vahi Dariya Hai Vahin Kache Ghade Rakhe Hain
  888. --------------------------------------------------------
  889. Hum Pe Jo Gujri Bataya Na Batayenge Kabhi
  890. Kitne Khat Ab Bhi Tere Likhe Hue Rakhe Hain
  891. --------------------------------------------------------
  892. Tutae huyae paimanoo main jaam nahi aata
  893. Dil ke marij ko aaram nahi aata
  894. Aye dil todne wali jara ye too pucha hota
  895. Toota huya dil bhi kisi ke kaam nahi aata
  896. --------------------------------------------------------
  897. Aaj phir uski yaad ne rula diya humko
  898. tanha hu eshas kara diya mujko
  899. do aksar likhne ka silkha nhi tha mere paas
  900. aur uske gum ne shayar bana diya mujko.
  901. --------------------------------------------------------
  902. Tu ja raha hai to to tanhaiyan bhi leta ja
  903. Ye tallukat ki parchaiyan bhi leta ja
  904. Najar ke chrche,ghari ki kahaniya bhi samet
  905. Gali me gunjati ruavaiyan bhi leta ja
  906. Gai ruton ka har ek lamha mujhko lauta de
  907. Phir apni yadon ki purvaiyan bhi leta ja
  908. Kabhi jo toot ke barsi thi meri aankhon se
  909. Jo ho sake vo khamoshiyan bhi leta ja.
  910. --------------------------------------------------------
  911. #Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
  912. #Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
  913. 3Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
  914. #Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta..
  915. --------------------------------------------------------
  916. #Aaj tak bandhi hai uske aane ki ummeed
  917. #aaj tak thehri hui hai zindagi apni jagah
  918. #laakh ye chaaha ki usko bhool jaun par doston,
  919. #Hausle apni jagah hai bebasi apni jagah.

No comments :

Post a Comment