Dil ne kaha shikayat kar Gila Shikwa Shayari 2017

⬉Dil Gaya Raunak-e-Hayat Gai;
Gumm Gaya Saari Kayanaat Gai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Saza na Do Muje Beqasur Hoon Mein;
Tham Lo Muj Ko Gamon Se Choor Hoon Mein;
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe;
Or Logon Ka Kehna He K Magroor Hoon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Dete;
Hum Apni Zaat Ka Usko Hisaab Kya Dete;
Jo Ek Lafz Ki Khushbo Na Rakh Saka Mehfooz;
Hum Ush K Haath Mai Pori Kitaab Kya Deete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬⧭⧭Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai;
Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai;
Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga;
Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga;
Yehi Hai Dosto Pyar Ki ⧭⧭Kahani Haste Haste Phir Rona Hi Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khareeda Jaa Nahin Sakta Hai Saaqi Zarf Rindon Ka;
Bahut Sheeshe Pighalte Hain To Ek Paimana Banta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dil Cheer Ke Dekh Tera Hi Naam Hoga;
Teri Wafa Teri Sada Tera Payaam Hoga;
Aaj Bhari Mehafil Mein Koi Badnaam Hoga;
Teri Jafaa Tera Sitam ⬉⬉Tujhape Ilzaam Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saza Na Do Muje Beqasur Hoon Mein;
Tham Lo Muj Ko Gamon Se Choor Hoon Mein;
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe;
Or Logon Ka Kehna He Ke Magroor Hoon Me!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitne Majboor Hain Takdeer Ke Hathon;
Na Use Pane Ki Aukat Rakhte Hain Aur Na Use Khone Ka Hosla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dard Me Koi Mausam Pyara Nahi Hota;
Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahi Hota;
Koi Dekhe To Humari Bebasi;
Hum Sabhi Ke Ho Jate Hain Par Koi Humara Nahi Hota!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uttah Kar Dil Mera Ushne Pathar Pe De Mara;
Main Kehta Hi Reh Gya Dekho Ish Mein Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Socha Bahut Samjha Bahut Hi Der Tak Parkha;
Ki Tanha Ho Ke Jee Lena Mohabbat Se To Behtar Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Deewana Hun Tera Mujhe Inkaar Nahi;
Kaise Keh Dun Ki Mujhe Tumse Pyar Nahi;
Kuch Shararat To Teri Nazro Mein Bhi Thi;
Main Akela Hi To ⬉⬉Iska Gunehgar Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Jis Ke Waaste Dil Beqarar Tha;
Wo Laut Kar Na Aaya Magar Intezaar Tha;
Jo Humsafar Tha Chhod Gaya Raah Mein Mujhe;
Main Phans Gaya Bhanwar Mein Woh Darya Ke Paar Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaand Utra Hamare Aangan Main Sitaroo Ko Gawara Na Hua;
Sitaroo Se Geela Kya Karte Jab Woh Chaand Hi Hamara Na Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ussh Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha;
Apna Bhi Na Banaya Or Kisi Ka Hone Bhi Nhi Diya!
GILA SHIKWA  
Har Baat Jante Hue Bhi Dil Maanta Na Tha;
Hum Jaane Aitbaar Key Kis Marhale Mein The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne;
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne;
Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte;
Baat Apas Ki Kiun Sab Ko Batai Tum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Di;
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe;
Kya Umeedein Bandh Kar Aaya Tha Samne;
Ush Ne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahi Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unhone Khud Ki Jaban Ko Mod Diya;
Nadani Main Hamare Dil Ko Tod Diya;
Ab To Hamare Ansoon Bhi Nahi Rukte Unki Yaad Mein;
Kyuki Apnone Hi Humse Muh Mod Diya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akhiyan Wich Aa Ke Ruk Jande Ne Hanju;
Palka Te Aa Ke Ruk Jande Ne Hanju;
Bada Dil Karde Baha Deva Ehna Nu;
Par Tenu Hasdeya Vekh Ke Suk Jande Ne Hanju!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itna Chhota Nahi Rista Hamara;
Kaise Soch Liye K Aa Gaya Kinara;
Lo Fir Ho Gayi Aap K Aangan Me Roshni;
Ek Baar Fir Badnaam Ho Gaya Naam Hamara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Tanha Hoon Is Dard Mohabbat Mein;
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho;
Hum Hai Kisi Ujde Hue Shahar Ki Misaal;
Aankhen Bata Rahi Hai⧬⧬ Ki Viraan Tum Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chahe Jitna Hanslo Aaj Mujh Par Mein Bura Nahi Manooga;
Is Hansi Ko Apne Dil Mein Basa Loonga;
Aur Jab Yaad Aayegi Tumhari;
Yahi Hansi Lekar Thoda Muskura Loonga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Me Sochunga;
K Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhare Baad Kaun Banega Mera Humdard;
Humne To Apne Bhi Khoye Hein Tujhe Pane Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle;
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle;
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha;
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ba Andaaz-E-Ghaiz-O-Ghazab Bolti Hain;
Ba Awaaz-E-Shor-O-Shaghab Bolti Hain;
Nahin Bolti Hain Tau Kab Bolti Hain;
Pe Jab Bolti Hain Tau Sab Bolti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle;
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle;
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha;
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Taqdeer Kya Likhun Mukaddar Ke Samne;
Qatil Ne Qatl Kar Diya Mere Ghar Ke Samne;
Sari Basti Jalti To Afsos Na Hota;
Tanha Mera Hi Ghar ⬉⬉Jalta Rha Samundar Ke Samne!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vada Karke Nibhana Bhool Jate Hain;
Lagakar Aag Bujana Bhool Jate Hain;
Ye To Aadat Ho Gayi Hai Unki;
Rulate To Hai Par Manana Bhool Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Iss Tarah Sauda Kiya Waqt Ne;
Tajurba De Kar Woh Meri Nadani Le Gya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Hussan Ke Hum Deewane Ho Gaye;
Tujhe Apna Banate Banate Hum Khud Se Begaane Ho Gaye;
Na Chor Na Mujhe Tu Aaye Zalim;
Tere Kareeb Aakar Hum Duniya Se Dur Hogaye Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga;
Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga;
Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad;
Toh Phir Yaad Dilane Se⬉⬉ Kya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bekhudi Besabab Nahin Ghalib;
Kuchh Tau Hai Jiski Parda Daari Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Dekha Ki Main Ja Rahi Hoon Kahin;
Andhera Hai Aur Rah Milati Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Ke Liye Sab Kuch Luta Diya Humne;
Wo Kehte Hai Unko Bhula Diya Humne;
Gaye The Hum Unke Aansu Pochne;
Ilzam De Diya Ki Unko Rula Diya Humne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Keh Do Usse, Judai Aziz Hai To Rooth Jaayein
Wo Jee Sakta Hain, To Hum Mar Bhi Sakte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Nazar Bhi Dekhna Gawaara Nahi Usse;
Zara Bhi Ehsaas Hamaara Nahi Usse;
Wo Sahil Se Dekhte Rahe Dubna Hamaara;
Hum Bhi Khuddar The Pukara Nahi Usse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaman Mein Jo Bhi The Naafiz Usool Uske The;
Tamaam Kaante Hamaare The Aur Phool Uske The;
Main Iltejaa Bhi Kartaa To Kis Tarha Kartaa;
Shehar Mein Faisle Sabko Kabool Uske The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Apni Aankhon Ke Samandar Main Utar Jaane De;
Tera Mujhrim Hoon Mujhe Doob Ke Mar Jaane De;
Zakhm Kitne Diye Hain Teri Chaahat Ne Mujko;
Sochta Hoon Tujh Se⬇⬇ Kahoon Magar Jaane De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dum Nikle;
Bahut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle.
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye The, Lekin;
Bahut Beaabru Hokar Tere Kuche Se Hum Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haan Woh Nahin Khuda Parast, Jaao Woh Bewaafa Sahi;
Jisko Ho Deen-o-Dil Aziz, Uski Gali Mein Jaaey Kyun?
Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaunse Kaam Band Hain;
Roeye Zar Zar Kya, Kijeye Haae Haae Kyun?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tappish Sooraj Ki Hoti Hai;
Jalna Zameen Ko Parta Hai;
Kasoor Ankhon Ka Hota Hai;
Bhugatna Dil Ko Parta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har waqt Milti Rehti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdir Se Mera Qasoor Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬⧭⧭Aadatan Tumne Kar Diye Vaade, Aadatan Hum Ne Bhi Aitabaar Kiya;
Teri Raahon Mein Baarahaa Ruk Kar, Humne Apna Hi Intazaar Kiya;
Ab Na Maangenge Zindagii Ya Rab, Ye Gunaah Humne Ek Bar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waada Kar Lete Hein, Nibhaana Bhul Jaate Hein;
Lagakar Aag, Bhujana Bhul Jaate Hein;
Yeh To Aadat Ho Gaye Ab Unki Roz;
Ke Rulaate Hein, Aur Manana Bhul Jaate Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne Wajood Apna Kho Liya;
Unka Wajood Apne Saath Jodte-Jodte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Taras Jaoge Hamaare Labo Se Sunn Ne Ko Ek Ek Lafz;
Pyaar Ki Baatein To Kya, Hum Shakayat Bhi Nahi Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nigahon Pe Nigahon Ke Pehre Hote Hain;
Nigahon Ke Ghav Bhi Gehre Hote Hain;
Na Jaane Kyun Koste Hain Log Badsurton Ko;
Barbaad Karne Wale To Khoobsurat Chehre Hi Hote Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tu Milke Bhi Na Milaa;
Tujhe Pa Ke Bhi Na Paya;
Mein Adhuri Reh Gai;
Jab Tera Saaya Mujhe Na Nazar Aya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Talaash Karoge Tum, Mujh Jaisa Shakhs;
Jo Tumhare Sitam Bhi Sahe Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Itna Na Tarpao Ke Koi Gunaah Kar Loon Main;
Phir Na Kehna Ke Kyun Barbaad Kiya Khud Ko, Meri Muhabbat Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bin Mangay Hi Mil Jati Hain Tabeerain Kisi Ko Faraz;
Koi Khali Hath Reh Jata Hai, Hazaaron Duaoon Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maine Hi Seekhaya Tha Usse Teer Chalana;
Ab Mere Siwa, Uss Ka Koi Nishaana Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski ankho me nazar ata tha sara jahan mujhko;
Magar uski ankhon me khud ko kabhi dekha hi nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum bhi bikne gaye the bazaar-e-ishq mein,
Kya pata tha wafa karne walon ko log khareeda nahi karte.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si,
Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si,
Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se,
Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
W⬉⬉oh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧬⧬Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Akhan di benuri changi nahi hundi,
Sajna kolon doori changi nahi hundi,
Kade kade tan milya kar,
Har vele majboori ⬉⬉changi nahi hundi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
๐Ÿ”๐Ÿ”€Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte hai tumko, par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se, paar khuda bhi tera chahne wala nikla.



No comments :

Post a Comment