ASHK DARD SHAYARI NEW




  1. Tadapte Hain Din Raat Par! Jatate Nahi;
  2. Haal-e-Dil Koi Puche Hum Batate Nahi;
  3. Sunkar Aapko Hogi Hairat Badi Dosto;
  4. Hum Unhe Chahte Hain Jo Hume Chahte Nahi!
  5. *********************************
  6. Aaj Tanha Sahi Le!kin Kal Manjar Nazar Aayega;
  7. Har Juban Pe Naam Har Nazar Mein Chehra Nazar Aayega;
  8. Mumkin Hai Mujhko Bhi Bhool Jayegi Duniya Lekin;
  9. Dil Mein Tamam Umar Chehra Nazar Aayega!
  10. *********************************
  11. Ab Jo Laute Ho Itne Saalon Mein;
  12. Dhoop Utri Hui Hai Baalon Mein;

  13. Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein;
  14. Tum Meri Rooh Ke Ujalon Mein;

  15. Phool Hi Phool Khil Uthe Mujh Mein;
  16. Kaun Aaya Mere Khayalon Mein;

  17. Maine Jee Bhar Ke Tujh Ko Dekh Liya;
  18. Tujh Ko Uljhaa Ke Kuch Sawalon Mein;

  19. Meri Khushiyon Kee Kayenat Bhi Tu;
  20. Tu Hi Dukh Dard Ke Hawalon Mein;

  21. Jab Tera Doston Mein Zikar Aaye;
  22. Theess Uthti Hai Dil Ke Chaalon Mein;

  23. Tum Se Abaad H!ai Yeh Tanhai;
  24. Tum Hi Roshan Ho Ghar Ke Jaalon Mein;

  25. Kya Use Yaad Aa Raha Hun 'Wasi';
  26. Rang Ubhre Hain Uss Ke Gaalon Mein!
  27. *********************************
  28. Bas Ek Jhijak Hai Yahi Haal-e-Dil Sunane Mein;
  29. Ki Tera Zikr Bhi Aayega Iss Fasane Mein!
  30. *********************************
  31. Aapki Yaad Dil Ko Bekarar Karti Hai;
  32. Nazar Talash Aapko! Bar Bar Karti Hai;
  33. Gila Nahi Jo Hum Hain Door Aapse;
  34. Hamari To Judai Be Aapse Pyaar Karti Hai!
  35. JUDAAI  ********************************* 
  36. Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le;
  37. Mujhe Yaad R!akh, Beshak Naam Na Le;
  38. Tera Veham Hai Ki Hum Bhool Gaye Tujhe;
  39. Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
  40. YAADEIN*********************************   
  41. Meri Yaadon Kee Kashti Uss Samandar Mein Tairti Hai;
  42. Jis Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai!
  43. *********************************a

  44. Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare;
  45. Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare;

  46. Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar;
  47. Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Kare;

  48. Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein;
  49. Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare;

  50. Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain;
  51. Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare;

  52. Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand;
  53. Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare;

  54. Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai;
  55. 'Qateel' Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare!
  56. ***************!****************** 
  57. Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe;
  58. Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang!
  59. *********************************
  60. Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage;
  61. Chirag Haath Utha Kar !Duayein Karne Lage;
  62. Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar;
  63. Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage!
  64. *********************************


  65. Nikle Jab Aansu Uski Aankhon Se;
  66. To Dil Karta Hai Sari !Duniya Jala Dun;
  67. Phir Sochta Hun Ki Honge Uske Apne Bhi Iss Duniya Mein
  68. Kahin Anjane Mein Use Phir Se Na Rula Dun!
  69. *********************************
  70. Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
  71. Ki Tujhko Yaad Rakhne Mein Main Kya-Kya Bhool Jata Hun!
  72. *********************************
  73. Mohabbat Hum Ne Kee To Ek Khata Ho Gayi;
  74. Ki Wafa Aur Zindagi Hi Ab Saza Ho Gayi;
  75. Wafa Karte Rahe Hum Ibadaton Kee Tarah;
  76. Phir Ibadat Bhi Hamare Liye Ek Gunah Ho Gayi!
  77. *********************************To

  78. Tu Jo Aa Jaye To Iss Ghar Ko Sanwarta Dekhun;
  79. Ek Muddat Se Jo Veeran Hai Wo Basta Dekhun;

  80. Khawab Bankar Tu Behta Rahe Jannat Ke Jharne;
  81. Aur Bas Main Isi Mausam Ko Nikharta Dekhun;

  82. Jis Se Milna Nahi Usse Mohabbat Kaisi;
  83. Sochata Jaaun Magar Dil Mein Utarta Dekhun;

  84. Dil Geya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaata;
  85. Main Faqat Ek Hi Tasveer !Kahan Tak Dekhun;

  86. Chand Lamhe Jo Tere Ishq Ke Mil Jaate Hain;
  87. Inn Hi Lamhon Ko Main Sadiyon Mein Badalta Dekhun!
  88. ********************************* 
  89. Woh Aate Hain Khwabo'n Mein Yunhi Bin Bulaye;
  90. Aisa Hi Kuchh S!hikwa Hamare Dil Ko Bhi Hai!
  91. *********************************
  92. Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Mein Ai 'Khumar';
  93. Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Aa Geya!
  94. *********************************
  95. Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab;
  96. Maine Bhi Maana Ki Yeh! Sharaab Nasha Chadati Hai;
  97. Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main;
  98. To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai!
  99. ********************************* 
  100. Uss Ke Bin Chup Chup Rehna Ab Achha Lagta Hai;
  101. Khamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Bhi Achha Lagta Hai;
  102. Uss Ka Milna Na Milna To Kismat Kee Baat Hai;
  103. Magar Pal Pal Uss Kee Yaad Mein Rona Ab Achha Lagta Hai
  104. *********************************   
  105. Tujh Ko Paa Kar Bhi Kabhi To Khona Tha;
  106. Ye Hadsa Mere Saath Kabhi To Hona Tha;
  107. Wo Tod Kar Aksar Dil Mera Fir Jodta Raha;
  108. Jaise Main Uss Ke Haath Ka Koi Khilona Tha!
  109. *********************************


  110. Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai;
  111. Dil Dhadakta Hai Sahulat Se, Yahi Kaafi Hai;

  112. Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka;
  113. Puch Lete Ho Shararat! Se, Yahi Kaafi Hai;

  114. Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
  115. Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yahi Kaafi Hai;

  116. Muddatton Se Nahi Dekha Tera Jalwa Lekin;
  117. Yaad Aa Jate Ho Shiddat Se, Yahi Kaafi Hai;

  118. Saari Duniya Se Ulj!hate Hain Lekin Tera Kaha;
  119. Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;

  120. Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
  121. Katt Rahi Hai Baai Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;

  122. Aaj Ke Ehad Tagaful Mein Kisi Dar Pe 'Munir';
  123. Koi Aa Jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!

  124. *********************************

  125. Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
  126. Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
  127. Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
  128. Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!
  129. *********************************
  130. Zindagi Kitni Khoobsurat Hoti Agar Teri Chahat Adhuri Na Hoti;
  131. Kuch Uljhane Kuch Majboorian Hoti Beshak, Magr Pyaar Mein Itni Dooriyan Na Hoti!
  132. *********************************
  133. Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte;
  134. Bhari Mehfil Mei!n Kuch Keh Nahi Sakte;
  135. Humare Girte Hue Aansuon Ko Padh Kar Dekho;
  136. Woh Bhi Kehte Hain Ki Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte!
  137. *********************************
  138. Jis Din Meri Arthi Iss Duniya Se Vida Hogi;
  139. Ek Alag Sama Ho!ga Ek Alag Baat Hogi;
  140. Kehna Uss Bewafa Se Mar Gaye Tumhare Chahne Wale;
  141. Ab Na Hum Hain Aur Na Hamari Batein Hogi!
  142. *********************************

  143. Mujhe Khud Se Hain Shikayatein, Mujhe Zindagi Se Gila Nahi;
  144. Ki Jo Chaha Maine Woh Paa Liya, Nahi Aisa Kuch Jo Mila Nahi;

  145. Mere Aas Paas Hai !Roshni, Mere Raaston Mein Chirag Hain;
  146. Yeh Tere Karam Ka Hai Mojza, Meri Justuju Ka Sila Nahi;

  147. Teri Aankh Se Jo Haseen Ho, Woh Nigah Jag Mein Bani Nahi;
  148. Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Doon, Koi Aisa Phool Khila Nahin;

  149. Yeh Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya, Yeh Jo Tera Chehra Khushnuma;
  150. Koi Raat Aisi Siyaah Nahi, Kisi Subah Mein Yeh Jilaa Nahin;

  151. Yeh Jo Mehr-o-Maa Kee Hain Halatein, Yeh Jo Aainon Kee Hain Hairtein;
  152. Hain Azal Se Yeh Isi Tarah, Koi Apni Jaa Se Hila Nahi!
  153. *********************************
  154. Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
  155. Husn Ne Yehi Silsila Hamaari Zindgi Mein Duhra Diya!
  156. *********************************
  157. Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin;
  158. Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee!
  159. *********************************
  160. Karoge Yaad Tum Ki Main Kehta Tha Kabhi;
  161. Daulat Aur Mohab!bat Ka, Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai;
  162. Hoti Hai Jinke Liye Daulat Hi Sab Se Badhkar;
  163. Unke Liye To Yeh Mohabbat, Bas Ek Khel Hota Hai!
  164. *********************************
  165. Humne To Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto;
  166. Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta;
  167. Jo Mil Jaye Iss Raa!h Par Kabhi Yaar Se;
  168. Woh Zakham Kabhi Fir Dobara Nahi Silta!
  169. DARD*********************************
  170. Mohabbat Ka Koi Rang Nahi Phir Bhi Woh Rangeen Hai;
  171. Pyaar Ka Koi Chehra Nahi Phir Bhi Woh Haseen Hai!

  172. *********************************
  173. Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
  174. Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

  175. Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Aawazein Si;
  176. Door Sehra Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

  177. Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi;
  178. Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

  179. Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
  180. Dukh To Chehre Kee Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

  181. Ab Agar Doob G!eya Bhi To Marunga Na 'Kamal'
  182. Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
  183. *********************************
  184. Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye;
  185. Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahin Anjam Se!

  186. *********************************
  187. Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi;
  188. Baat Bhi Na! Ho Aisi Majboori To Nahi;
  189. Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua;
  190. In Aankhon Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi!
  191. ISHQ*********************************
  192. Aaj Bhi Kayi Sawal Hain Iss Dil Mein;
  193. Pyaar Ka Gham Be!zuban Hai Iss Dil Mein;
  194. Kuch Keh Nahi Paata Ye Dil Magar;
  195. Uss Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Iss Dil Mein!
  196. YAADEIN*********************************
  197. Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log;
  198. Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log;
  199. Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi;
  200. Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log!
  201. *********************************
  202. Mujh Se Kafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
  203. Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka To Khuda Yaad Aaya;

  204. Mere Dil Pe To Hai Ab Tak Tere !Gham Ka Saya;
  205. Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya;

  206. Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
  207. Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqabil Paya;

  208. Charagar Aaj Sitaron Kee Kasam Kha Ke Bata;
  209. Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya;

  210. Log Hanste Hain To !Iss Soch Mein Kho Jata Hun;
  211. Mauj-e-Sailab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;

  212. Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai;
  213. Jaante Bhujhte Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya!
  214. *********************************
  215. Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn;
  216. Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!
  217. *********************************
  218. Umeedon Ke Daaman Mein Zinda Hain Hum;
  219. Warna Jeene Kee Chahat Kahan;
  220. Tumse Milne Kee Aarzoo Liye Firte Hain Dar-b-Dar;
  221. Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan!
  222. *********************************
  223. Mana Ki Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
  224. Magar Tumhein Meri Moha!bbat Ka Bhi To Ehsaas Nahi;
  225. Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu;
  226. Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
  227. *********************************
  228. Manzilon Se Apni Darr Na Jana;
  229. Raaste Kee Preshaniyon Se Toot Na Jana;
  230. Jab Bhi Zarurat Ho Zindagi Mein Kisi Apne Kee;
  231. Hum Aapke Apne Hain Ye Bhool Na Jana!

  232. *********************************

  233. Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe;
  234. Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe;

  235. Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein;
  236. Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe;

  237. Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
  238. Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe;

  239. Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale;
  240. Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;

  241. Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
  242. Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;

  243. Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer;
  244. 'Faraz' Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!
  245. *********************************
  246. Lutf Wo Ishq Mein Paay!e Hain Ki Jee Jaanta Hai;
  247. Ranj Bhi Aise Uthaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
  248. Jo Zamane Ke Sitam Hain Wo Zamana Jaane;
  249. Tu Ne Dil Itne Sataye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
  250. *********************************
  251. Bahut Udaas Hai Koi Shakhs Tere Chale Jaane Se;
  252. Ho Sake To Laut Kar Aaja Kisi Bahaane Se;
  253. Tu Lakh Khafa Sahi Ma!gar Ek Baar To Mud Kar Dekh;
  254. Koi Toot Geya Hai Tere Door Chale Jaane Se!
  255. *********************************
  256. Meri Zindagi Ke Raaz Mein Ek Raaz Tum Bhi Ho;
  257. Meri Bandagi Kee Aas Mein Ek Aas Tum Bhi Ho;
  258. Tum Kya Ho Mere, K!uch Ho Ya Kuchh Bhi Nahi Magar;
  259. Meri Zindagi Ke Kaash Mein Ek Kaash Tum Bhi Ho!
  260. *********************************
  261. Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen;
  262. Woh Hi Apne Samne Ho, Hum Jidhar Dekha Karen;
  263. Ek Taraf Ho Sari Duniya, Ek Taraf Teri Surat Ho;
  264. Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen!
  265. *********************************

  266. Kabhi Mujh Ko Sath Lekar, Kabhi Mere Sath Chal Kar;
  267. Who Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar;

  268. Hue Jis Pe Meharban Tum Koi Khushnaseeb Hoga;
  269. Meri Hasratein To Nikali Mere Aansuon Mein DhalkKe;

  270. Teri Zulf-o-Rukh Ke Kurban Dil-e-Zar Dhundta Hai;
  271. Wahi Champai Ujale Wahi Surmai Dhundlake;

  272. Koi Phul Ban Geya Hai !Koi Chand Koi Tara;
  273. Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke;

  274. Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo;
  275. Wo Yahin Kahin Chupe Hain Mere Gum Ka Rukh Badal Ke;

  276. Teri Be-Jhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila;
  277. Ye Nagar Hai Aainon Ka Yahan Saans Le Sambhal Ke!
  278. *********************************
  279. Be-Zubani Tarjuman-e-Shauq Be-Had Ho To Ho;
  280. Warna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hai Taqriren Kahin!

  281. *********************************
  282. Woh Karte Hain Baat Ishq Kee;
  283. Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi;
  284. Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko;
  285. Par Use Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi!
  286. *********************************
  287. Shaam Suraj Ko Dhalna Sikhaati Hai;
  288. Shama Parwaane Ko Jalna Sikhaati Hai;
  289. Girne Waale Ko Takleef To Hoti Hai Magar;
  290. Thokar Hi Insaan Ko Chalna Sikhaati Hai!
  291. *********************************
  292. Woh Mehndi Wale Haath Mujhe Dikha Kar Royi;
  293. Ab Main Hun Kisi A!ur Kee Yeh Mujhe Bata Kar Royi;
  294. Pehle Kehti Thi Ki Nahi Jee Sakti Tere Bin;
  295. Aaj Phir Se Woh Baat D!ohra Kar Royi;
  296. Kaise Karun Uski Mohabbat Pe Shak Yaaro;
  297. Woh Bhari Mehfil Mein Mujhe Gale Laga Kar Royi!

  298. *********************************

  299. Teri Nigah Ke Jadu Bikharte Jate Hain;
  300. Jo Zakhm Dil Ko Mile Woh Bharte Jate Hain;

  301. Tere Baigair Woh Din Bhi Guzar Gaye Aakhir;
  302. Tere Baigair Ye Din Bhi Guzarte Jate Hain;

  303. Liye Chalo Mujhe Dariya-e-Shauq Kee Maujon;
  304. Ki Humsafar To Mere Paar Utarte Jate Hain;

  305. Tamaam Umar Jahan Hanste Khelte Guzari;
  306. Ab Us Gali Mein Bhi Hum Darte Darte Jate Hain;

  307. Mein Khawhishon Ke Gharaunde Banaye Jata Hun;
  308. Woh Mehnatein Meri Barbad Kiye Jate Hain!
  309. *********************************
  310. Main Bikhar Jaunga Zanjeer Kee Kadiyon Kee Tarah;
  311. Aur Reh Jayegi Iss Dasht Mein Jhankar Meri!
  312. *********************************
  313. Uske Intezar Ke Maare Hain Hum;
  314. Bas Uski Yaadon Ke Sahare Hain Hum;
  315. Duniya Jeet Kar Kya Kar!na Hai Ab;
  316. Jise Duniya Se Jeeta Tha, Aaj Usi Se Haare Hain Hum!
  317. *********************************
  318. Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Shan-e-Beniazi;
  319. Tum Maangte Phiro Ge Apna Ghuroor Hum Se!
  320. *********************************
  321. Zuban Khamosh Aankhon Mein Nami Hogi;
  322. Yahi Bas Ek Daastan Zindagi Ki Hogi;
  323. Bharne Ko To Har Zak!hm Bhar Jayega;
  324. Lekin Kaise Bharegi Wo Jagah, Jahan Uski Kami Hogi!
  325. *********************************

  326. Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
  327. Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

  328. Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
  329. Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

  330. Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
  331. Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;

  332. Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
  333. Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
  334. *********************************
  335. Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sahra-Nashin Achhhe;
  336. Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati!

  337. *********************************
  338. Hum Apne Ikhtiyar Kee Hadh Se Guzar Gaye;
  339. Chaha Tumhein To Pyaar !Kee Hadh Se Guzar Gaye;
  340. Jaagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Kee Aarzu;
  341. Jab Mausam-e-Bahaar Kee Hadh Se Guzar Gaye!
  342. *********************************
  343. Kitni Mushkil Se Kati Kal Kee Meri Raat Na Pooch;
  344. Dil Se Nikli Hui Hon!thon Mein Dabi Baat Na Pooch;
  345. Main Jiske Liye Ladh Jaun Iss Khudai Se;
  346. Mujhe Khud Se Hai Pyaari Yeh Kiski Zaat Na Pooch!
  347. *********************************
  348. Hathon Kee Lakiro Ka Aitbar Kar Lena;
  349. Bharosa Ho To Had Ko Paar Kar Lena;
  350. Khona Pana To Naseebon Ka Khel Hai;
  351. Dil Ko Jo Apna Lage Bas Usi Se Pyaar Kar Lena!


  352. Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain;
  353. Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain;

  354. Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate;
  355. Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain;

  356. Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To;
  357. Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain;

  358. Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin;
  359. Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain;

  360. Kabhi Yaadon Mein Tujhe !Baahon Mein Bhar Lete Hain;
  361. Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain;

  362. Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se;
  363. Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain;

  364. Gar Tujhe Chorrne Kee !Soch Bhi Aaye Dil Mein;
  365. Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain!
  366. *********************************
  367. Aggar Jawaani Mein Khuda Na Pa Saako;
  368. Tu Chahat Moo!la Ki Kabhi Kum Nahi Hoti.
  369. Toh Ishq Mein Ho Kar Ek Baar Be-Murawat;
  370. Insaan Ishq Ki Bandagi Kyun Bhool Jata Hai!
  371. *********************************
  372. Hamaari Shayari Dilaati Hai Aashiq Ki Yaad;
  373. Yeh Duhaarti Bhi Hai Hamaare Ishq Ki Fariyaad!
  374. *********************************
  375. Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera;
  376. Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya!

  377. *********************************
  378. Dil To Karta Hai Zindagi Ko Kisi Qaatil Ke Hawaale Kar Du;
  379. Judai Mein Yun Roz-Roz Ka Marna Mujhe Achhaa Nahi Lagta!
  380. *********************************
  381. Chirag-e-Wafaa Apne Haath Mein Liye;
  382. Ghumte Rahe Jinke Liye Hum Raat Bhar;
  383. Aaj Wo Hi Judaa Humse !Ho Gaye Hain;
  384. Chal Diye Wo Hi Humse Apna Munh Mod Kar!
  385. *********************************
  386. Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main;
  387. Tham Lo Mujh Ko G!amon Se Choor Hoon Main;
  388. Teri Doori Ne Kar Diya Hai Pagal Sa Mujhe;
  389. Aur Logon Ka Kehna Hai Ki Magroor Hoon Main!
  390. *********************************
  391. Shaayad Abhi Hai Raakh Mein

  392. Shaayad Abhi !Hai Raakh Mein Koi Sharaar Bhi;
  393. Kyon Varna Intezar Bhi Hai Iztiraar Bhi;

  394. Dhyaan Aa Geya Hai Marg-e-Dil-e-Namurad Ka;
  395. Milne Ko Mil Geya Hai Sukun Bhi Qaraar Bhi;

  396. Ab Dhundne Chale Ho Musafir Ko Dosto;
  397. Hadd-e-Nigah Tak Na Raha Jab Gubaar Bhi;

  398. Har Aastaan Pe Nasiya Farsaa Hain Aaj Woh;
  399. Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intezar Bhi;

  400. Ik Raah Ruk Gayi To Thee Thak Kyon Gayi 'Ada';
  401. Aabaad Bastiyan Hain Pahadon Ke Paar Bhi!
  402. *********************************
  403. Bewaafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi;
  404. Besharam Tum Ho To Sharamsar Hum Bhi Nahi;
  405. Pyaar Ke Iss Maud Par Kehte Ho Ke Shadishuda Ho;
  406. To Kya Hua Darling, Kunware Hum Bhi Nahi!
  407. *********************************
  408. Tumhein Jafa Se Na Y!un Baaz Aana Chahiye Tha;
  409. Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha!

  410. *********************************


  411. Gum Mein Bhi Muskurana Chahta Hu Main;
  412. Ek Nayi Duniy!a Basana Chahta Hu Main;
  413. Magar Na Jane Kyon Nikal Aate Hain Aansu;
  414. Jab Bhi Tumhein Bhulana Chahta Hu Main!
  415. *********************************
  416. Jinhe Bhulaney Mein Yaaro, Itne Zamane Lage;
  417. Jab Dil Dukha To Woh !Hi Log Yaad Aane Lage!
  418. *********************************
  419. Reh Na Pao Ge Kabhi Bhula Kar Dekh Lo;
  420. Yakeen Nahi Aata T!o Aazma Kar Dekh Lo;
  421. Har Jagah Mehsoos Hogi Kami Hamari;
  422. Apni Mehfil Ko Kitna Bhi Saja Kar Dekh Lo!
  423. *********************************

  424. Aashna Ho To Aashna Samjhe;
  425. Ho Jo Na-Aashna To Kya Samjhe;

  426. Hum Isi Ko Bhala Samhhte Hain;
  427. Aapko Jo Koi Bura Samjhe;

  428. Vasal Hai Tu Jo Samjhe Use Vasal;
  429. Tu Judaa Hai Aagr Judaa Samjhe;

  430. Jo Zeher Deve Apne Haath Se Tu;
  431. Tera Bimar-e-Gum Dawa Samjhe;

  432. Ho Wo Baigana E!k Alam Se;
  433. Jisko Apna Wo Dilruba Samjhe;

  434. Ai 'Zafar" Woh Kabhi Na Ho Gumraah;
  435. Jo Mohabbat Ko Rehnuma Samjhe!
  436. *********************************
  437. So Zindagi Nisaar Karun Aisi Maut Par;
  438. Yun Roye Zaar Zaar Tu Ahl-e-Azaa Ke Saath!

  439. *********************************
  440. Jo Beet Gey!a Use Bhool Ja Ai Dil;
  441. Jo Guzar Geya Waqt Woh Kabhi Na Aayega;
  442. Pal Do Pal Ka Saath De Kar Saathi Chala Geya;
  443. Uski Yaad Mein Jal Kar Tu Aur Bhi Pachtayega!
  444. *************!********************
  445. Aaya Tha Saath Lekar Teri Yaadon Ka Sahara;
  446. Jaa Raha Hu M!ain Lekar Tere Gum Ka Fasana;
  447. Maar Jayenge Hum Tadapkar Teri Bala Se;
  448. Na Basa Meri Mohabbat Ka Kahin Aashiyana!
  449. *********************************
  450. Dekha Jo Tumhe To Mehsus Hua;
  451. Pehchaan Hai Apni Muddat Se;
  452. Khwabon Mein Dekhi Thi Jo Surat;
  453. Milti Hai Tumhari Surat Se!
  454. *********************************
  455. Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
  456. Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

  457. Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
  458. Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

  459. Ishq Mashook Ishq Aashiq Hai;
  460. Yani Apna Hi Mubtal!a Hai Ishq;

  461. Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
  462. Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

  463. Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
  464. Kya Kahin Tum! Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
  465. *********************************
  466. Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah, Ai Dost Ghabrata Hun Main;
  467. Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main!

  468. *********************************
  469. Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;
  470. Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;
  471. Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
  472. Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!
  473. *********************************
  474. Chehre Kee Har Muskaan Ban Jaata Hai Koi;
  475. Dil Kee Har Dhadkan Ban Jata Hai Koi;
  476. Fir Kaise Jiyenge Ye Zindagi Unke Bin;
  477. Jab Zindagi Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai Koi!
  478. ISHQ*********************************
  479. Nasha Zaroori Hai Zindagi Ke Liye;
  480. Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye;
  481. Kisi Kee Mast Nigahon !Mein Doob Jao;
  482. Bada Haseen Samandar Hai Khudkhushi Ke Liye!
  483. HUSN*********************************
  484. Iss Se Pehle Ki

  485. Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
  486. Kyon Na Ai Dost H!um Judaa Ho Jayein;

  487. Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
  488. Hum Bhei Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

  489. Hum Bhi Majboorion Ka Uzaar Karein;
  490. Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

  491. Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
  492. Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

  493. Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
  494. Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!
  495. *********************************
  496. Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par;
  497. Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha!

  498. *********************************
  499. Hamari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho;
  500. Tumhare Har Gum Ka Dard Hamara Ho;
  501. Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gum Nahi;
  502. Bas Aakhiri Waqt Saath Tumhara Ho!
  503. *********************************
  504. Chup Chap Se Rehte Hain Wo Aksar;
  505. Zulfein Bhi Suna Hai K!i Sanwara Nahi Karte;
  506. Din Raat Guzarte Hain Un Ke Be-Chain Se;
  507. To Chain Se Hum Bhi Guzara Nahi Karte!
  508. *********************************
  509. Aap Kew Nigah Agar Meharban Ho Jaye;
  510. Main Jis Zameen Pe 1Hun Wo Aasman Ho Jaye;
  511. Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Ishq Par;
  512. To Phir Ek Baar Mera Imtihan Ho Jaye!
  513. *********************************

  514. Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
  515. Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

  516. Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
  517. Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

  518. Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
  519. Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

  520. Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
  521. Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

  522. Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
  523. Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

  524. Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
  525. Khamosh Yaadon K!e Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
  526. *********************************
  527. Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
  528. Himmat Hai To M!eri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;
  529. Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat;
  530. Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh!

  531. *********************************

  532. Na Chain Aaye Jo Jeene Se To Marne Se Sukoon Hoga;
  533. Mohabbat Hadh Se Badh Jaye To Lazmi Hai Junoon Hoga!
  534. *********************************
  535. Gum Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne;
  536. Gum To Ye Ha!i Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne;
  537. Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh Dete;
  538. Baat Apas Ki Kyon Sab Ko Batai Tum Ne!
  539. *********************************
  540. Jane Kis Baat Kee Mujhko Saza Deta Hai;
  541. Meri Hansti Hui Aankhon Ko Rula Deta Hai;
  542. Ek Muddat Se Khabar Bhi Nahi Teri;
  543. Koi Iss Tarah Bhi Kya Apne Pyaar Ko Bhula Deta Hai!
  544. *********************************

  545. Mujh Ko Baigana Kar G!aye Mere Din;
  546. Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;

  547. Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga;
  548. Jaane Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;

  549. Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
  550. Ki Mujh Hee Ko B!asar Gaye Mere Din;

  551. Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
  552. Mere Din, Be-Asar Gaye Mere Din;

  553. Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
  554. Yaar Yaaran, Sudhar Gaye Ab Din;

  555. Ab Main Bas Reh Geya Hun Raaton Mein;
  556. Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
  557. *********************************
  558. Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono Hi Be-Bas The;
  559. Wo Zulfein Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko!
  560. *********************************
  561. Tere Rukhsaar Se Hi Jal Jati Hai Cigarette Meri;
  562. Iss Atishi Husn Ne, Machis Kee Bachat Kar Dee!
  563. *********************************
  564. Chandni Raat Badi Der Ke Baad Aayi;
  565. Yeh Mulaqat Badi Der Ke Baad Aayi;
  566. Aaj Aaye Hain Woh Milne Ko Badi Der Ke Baad;
  567. Aaj Kee Raat Badi Der K!e Baad Aayi!
  568. *********************************
  569. Hasraton Se Aapki Ra!ah Sajaa Denge;
  570. Sapno Kee Daulat Aap Par Luta Denge;
  571. Na Hai Koi Phool Aaj Mere Damaan Mein;
  572. Lekin Aapke Aane Par Palkein Bichha Denge!
  573. *********************************
  574. Majbooriyon Ko Hum Palkon Mein Chhupa Lete Hain;
  575. Hum Kahan Rote H!ain Bas Yeh Halaat Rula Dete Hain;
  576. Hum To Har Pal Yaad Karte Hain Sirf Aapko;
  577. Aur Woh Hi Hum Par Yaad Na Karne Ka Ilzam Laga Dete Hain!
  578. *********************************
  579. Wo Mujhe Chaahti Hai Par Apna Nahi Sakti;
  580. Mujhe Bhulane Ka Da!rd Utha Nahi Sakti;
  581. Ajeeb Hai Uske Pyaar Ka Ye Andaz Bhi;
  582. Khafa To Karti Hai Par Manaa Nahi Sakti!


  583. *********************************
  584. Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
  585. Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski;

  586. Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
  587. Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski;

  588. Ghiri Hui Hun Main Chehron Ki Bheed Mein Lekin;
  589. Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski;

  590. Main Dard Se Rone Lag!i Hun To Aisa Lagta Hai;
  591. Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski;

  592. Ye Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye;
  593. Kahan Pe Reh Gayi Logon Sadaqatein Uski;

  594. Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar;
  595. Ye Mera Dil, Meri Sa!nsein Amanatein Uski!
  596. *********************************
  597. Gairon Pe Khul Na Jaye Kahin Raaz Dekhna;
  598. Meri Taraf Bhi Ghamza-e-Ghamaz Dekhna!

  599. *********************************
  600. Tum Se Kab Humne Mulaqat Ka Vaada Chaha;
  601. Door Reh Kar Tujhe Kuch Aur Bhi Jyada Chaha;
  602. Yaad Aayi Hai Teri Aur! Bhi Shiddat Se Humein;
  603. Bhool Jaane Ka Tujhe Jab Bhi Iraada Chaha!
  604. *********************************
  605. Koi Dhokha Nahi Aisa Jo Na Khaya Hum Ne;
  606. Zindagi Bhar Tera Sa!ath Nibhaya Hum Ne;
  607. Kabhi Mehnat Ka Silaa Apni To Paya Hi Nahin;
  608. Chaaon Auron Ko Mili Pedh Lagaya Hum Ne!
  609. *********************************
  610. Intezar To Bahut Tha Humein Lekin Aaye Na Woh Kabhi;
  611. Hum To Bin Bulay!e Hi Aa Jaate Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi!
  612. *********************************
  613. Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain;
  614. Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain;

  615. Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai;
  616. Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain;

  617. Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do;
  618. Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain;

  619. Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti;
  620. Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain;

  621. Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai;
  622. Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain;

  623. Chalo 'Faiz' Phir Se Kahin Dil Lagyein;
  624. Suna Hai Thikaane !Ke Din Aa Rahe Hain!
  625. *********************************
  626. Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye;
  627. Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahi Anjam Se!

  628. *********************************
  629. Tere Chehre Ne Kuc!h Aisa Gazab Dhaya Hai;
  630. Ki Tere Husn Se Aaj Chand Bhi Sharmaya Hai;
  631. Maang Lete Tumhein Aaj Uss Khuda Se;
  632. Par Tere Samne Aaj Woh Bhi Tera Ghulam Nazar Aaya Hai!
  633. *********************************
  634. Uski Aankhon Mein Koi Dard Basa Hai Shayad;
  635. Ya Mujhe Khud Hi Veham Sa Hua Hai Shayad;
  636. Maine Pucha K@i Bhool Gaye Ho Kya Tum Bhi;
  637. Ponch Kar Aansu Usne Bhi Keh Diya, Haan Shayad!
  638. *********************************
  639. Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya Hai;
  640. Khud Ko Dard Ke Samandar Mein Dubo Diya Hai;
  641. Jo Thi Kab@hi Mere Muskurane Ki Wajah;
  642. Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya Hai!



No comments :

Post a Comment