Hame itna pyar mat shayari

  1. Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
  2. Main Tanha Gunahgar To Nahi
  3. In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
  4. Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi
  5. -------------------------------------------------
  6. Ishka aisa karo ki dhadkan me utar jaye,
  7. saans bi lo to khushboo usi ki aaye.
  8. Pyar ka nasha aankhon pe chhaye,
  9. baat koi bhi ho par naam usi ka aaye.
  10. -------------------------------------------------
  11. Hame itna pyar mat karna ki
  12. duniya me mashhoor ho jaye aur na hi itna
  13. bewafa banana ki ham duniya ko chodne ke liye
  14. majboor ho jaye
  15. -------------------------------------------------
  16. Yeh haste muskarate mausam jaha honge,Aey dost jaan lo ki hum waha honge
  17. Ek pal me aao hum yeh zindagi jee lein ,Kal jane tum kaha aur hum kaha honge
  18. -------------------------------------------------
  19. aankhon mey hamesha ek sapnaa rakho,
  20. yahaa aainaa koi nahi hai........
  21. hothon pey hamesha muskuraahat rakho,
  22. yahaa gam kaa kharidaar koi nahi hai
  23. -------------------------------------------------
  24. Niggahein aapki Pehchan hai hamari,
  25. Muskarahat aapki shaan hai hamari,
  26. Rakhna hifazaat aap apne ko,
  27. kyunki saanse aapki, jaan hai hamari..
  28. -------------------------------------------------
  29. Jo dil se karib ho use rusva nahi karte,
  30. Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte,
  31. Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi,
  32. apno se koi baat chupaya nahi karte.
  33. -------------------------------------------------
  34. yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
  35. aap nahi to aap ki tasveer chahiye ,
  36. par tasveer aapki hmara dil behala na sakegi,
  37. kyuki wo aapki tarah muskura na sakegi
  38. -------------------------------------------------
  39. Zindgi ke liye jina zaruri hai,,
  40. Jineke leye arman zaruri hai,
  41. Dil mein chahe hazaro gum ho,
  42. Phir bhi tere chehare pe muskan zaruri hai.
  43. -------------------------------------------------
  44. Yun to aapko roj yad kiya karte hai,
  45. man hi man me dekh lia karte hai,
  46. kya hua agarpas nahi hum to,
  47. dil hi dil me mulaquat kar liya karte hai!
  48. -------------------------------------------------
  49. fiza par thi asar hawaon ka hota hain,
  50. mohabbath par tho asar adawon ka hota hain
  51. aisi hi kisika deewana nahin hota,
  52. kuch tho kasoor nigahon ka hota hain
  53. -------------------------------------------------
  54. Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
  55. muskura kar dil ko bequraar na kijiye,
  56. phool bhi de jate hai jakhm gahre kabhi kabhi,
  57. har phool par yu aetbaar na kijiye
  58. -------------------------------------------------
  59. Barsaat aye aur dharti geeli na ho,
  60. dhoop aye aur sarsoon peeli na ho,
  61. apne kaise soch liya k
  62. apki yaad aye aur ankhen geeli na ho!
  63. -------------------------------------------------
  64. Jo hadse na guzaar jaye wo pyar hi kya,
  65. jo pyar karne pe majbur na kar de wo ikrar hi kya,
  66. intezar to sab karte hai,
  67. saanse tutne tak jo sath na de wo yaar hi kya!
  68. -------------------------------------------------
  69. Khuda se thoda rahem kharid lu,
  70. tere zakhmo ka malham kharid lu,
  71. agar bik jaye meri khushiyan kahin to
  72. mein teri zindagi ke sare gum kharid lu..
  73. -------------------------------------------------
  74. Naa karta shikayat zamane se koi,
  75. agar maan jata manane se koi,
  76. kisi ko kyu yaad karta koi
  77. AGAR BHUL JATA BHULANE SE KOI...
  78. -------------------------------------------------
  79. Gam ki aandhiyo me hum utar jayenge,
  80. sagar hai samndar me utar jayenge,
  81. hume marne ke liye fasi ki jarurat nahi,
  82. dil se nikal do yuhi mar jayenge..
  83. -------------------------------------------------
  84. Ban ke ehsaas meri dhadkan k paas rehte ho,
  85. Tasveer ban ke meri ankhon k paas rehte ho,
  86. aaj puchte hai 1 sawal tumse,
  87. kya door reh kar tum bhi udaas rehte ho?
  88. -------------------------------------------------
  89. Koi Gila Na Koi Shikwa Raha Aapse,
  90. Ye Aarzoo Hai Ek Silsila Bana Rahe Aapse,
  91. Bus Ek Umeed Hai Aapse,
  92. Khafa Na Hona Agar Hum Khafa Rahe Aapse!!!
  93. -------------------------------------------------
  94. Hum hawa ke jhonke hain guzar jayenge
  95. Khamoshi se tumhare Dil mein uttar jayange
  96. Paake tumhari dosti ye hua Ehsaas
  97. Tumse Bichad Kar Hum Mar jayenge
  98. -------------------------------------------------
  99. kal tanha raaton mein na jaane kyun unki yaad aayi.
  100. tanhai mitane ke liye humne ek cigeratte jalai.
  101. cigeratte jalate hi na jaane kaisi qayamat hui,
  102. ki cegeratte ke har dhuen ne unki shakla banaayee.
  103. -------------------------------------------------
  104. TADAP KE DEKH KISI KI CHAHAT ME TO PATE CHALE INTEZAAR KYA HOTA HAI,
  105. YUHI MIL JAAYE AGAR KOI BINA TADAP KE,
  106. TO KAISE CHALE PYAAR KYA HOTA HAI.
  107. -------------------------------------------------
  108. Aankhe kholun to chehra uska ho,
  109. Aankhe band karu to sapna uska ho,
  110. mar bhi jaau to koi gam nahi, Agar...
  111. kafan ke badle dupatta uska ho!
  112. -------------------------------------------------
  113. Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
  114. hame roz roz kyu bulate ho?
  115. Humne kaha, hum yaad unhe karte hai,
  116. tum kyo chale ate ho?
  117. -------------------------------------------------
  118. Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
  119. Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
  120. Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
  121. Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah
  122. -------------------------------------------------
  123. Mohbbat karna koi zulm nahi,
  124. Agar ki jaye usool se,
  125. Khuda ko bhi muhabbat thi,
  126. Apne rasoul se
  127. -------------------------------------------------
  128. Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
  129. Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
  130. Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
  131. Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
  132. -------------------------------------------------
  133. Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
  134. Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
  135. Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
  136. Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi
  137. -------------------------------------------------
  138. Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
  139. Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
  140. Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
  141. Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
  142. -------------------------------------------------
  143. Lehrai hai zulfon ki rahgir to dekho
  144. Dil jisme qaid hai wo zanjeer to dekho
  145. Phir mujhe shauk se kehlena deewana 
  146. yaaron Pehli meri mehboob ki tasveer to dekho
  147. -------------------------------------------------
  148. D se Dosti D se Dushmani D se Dill
  149. D se Dill lagi D se Dewana D se Dewangi D se Dharkan D se Dar D se Dekha app ko
  150. D se Dream mein Phir B se Bekrar ho ker M se Message ker dala app ko
  151. -------------------------------------------------
  152. lehr ati hai aur kinare se palat jati hai,
  153. yad ati hai aur dil me simat jati hai,
  154. lehr aur yad me frk itna hai ki
  155. lehr bewaqt ati hai aur apki yad har waqt ati hai.
  156. -------------------------------------------------
  157. aye khat ja ke unke haton ko chum le.
  158. jab woh padhe to unke hoton ko chum le.
  159. khuda na kare agar woh phad de toh girte girte unke kadmo ko chum le..
  160. -------------------------------------------------
  161. Marneki bat na karna, jindagi hai jine ke liye
  162. Kudha ne Mohabat banayi, Zindagi pane ke liye.
  163. -------------------------------------------------
  164. Aaj khushio ki koi duhai dega,Nikla hai chand to dikhai dega.
  165. Ae Mohabbat karne walo zara dekh ke Mohabbat karma ,
  166. Ek Aansoo bhi gira to sunai dega..
  167. -------------------------------------------------
  168. chand taro ka nur aap per barse ;
  169. har koi aap ke chahat ko tarse ;
  170. aap ke jindagi main aaye iteni khushiya ki
  171. aap ek gum pane ko tarse .
  172. -------------------------------------------------
  173. Mohabbat ki shama jalake to dekho,
  174. Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
  175. Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
  176. Zara humse nazaren milake to dekho.
  177. -------------------------------------------------
  178. u r my sweet sona
  179. i dont want to u khona
  180. plz give me your heart ka kona
  181. otherwise i will start rona-thona
  182. -------------------------------------------------
  183. Aye khat ja Unke Haathon ko Chumle,
  184. jab voh Padhe to Unke Hothon ko Chumle,
  185. khuda na kare voh faad bhi dale to Girte Girte Unke kadmo ko Chumle..
  186. -------------------------------------------------
  187. zindage ki garee mein pyar ka petrol zaroree hain
  188. agar petrol hain to dil mein umangon ka oil bhi zaroree hain
  189. varna life k engion mein pyar ki ringe beth saktee hain
  190. or life ke garee nahin chal saktee hain
  191. -------------------------------------------------
  192. Khuda salmat rakhe unko jo humse nafrat karte hai,
  193. pyar na sahi, nafrat hi sahi.
  194. Kuch toh hai joh sirf humse karte hain
  195. -------------------------------------------------
  196. Kya hai yeh waadein,
  197. kya hai yeh kasmein,
  198. humko vishvas nahi hai inmein,
  199. Bas hai vishvas humko tumpe,
  200. kyu ki hum pyar karte hai tumse
  201. -------------------------------------------------
  202. Mausam ki bahaar acchi...
  203. Mausam ki bahaar acchi ho, phoolo ki kaliya kacchi ho,
  204. hamari ye rishtey sacche ho, Rab, tere se bas ek duaa hai ki mere pyar ki har subhah acchi hoâ€
  205. -------------------------------------------------
  206. Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai, Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai, Waise hi aap pas ho na ho, aapki Yaadein hamesha paas rehti hai!
  207. -------------------------------------------------
  208. Mausam ki nazakat hai,Hasraton ne pukara hai..
  209. Kaise kahe ki kitna miss karte hain Aap ko,
  210. Yeh SMS usi yaad ka ek ishara hai.
  211. -------------------------------------------------
  212. Sms to ekv bahana hai,
  213. irada to aapka ek lamhe churana hai,
  214. aap chahe humse baat karo na karo ,
  215. phir bhi aapki yadoon mein hamara aana jana hai.
  216. -------------------------------------------------
  217. Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
  218. pyas bujhti nahi ki barsat guzar jati hai.
  219. “Apni yaado se kehdo ki yu na aaya kare, 
  220. neend aati nahi aur raat guzar jati haiâ
  221. -------------------------------------------------
  222. Wada karo par nibhana sikho,
  223. Chahat dil me rakho par jatana sikho,
  224. u hi kisiko intejar na karvao,
  225. koi agar pyar se sms kar to reply dena sikho...
  226. -------------------------------------------------
  227. Tera chehara kitna suhana lagata hai
  228. tere aage chand purana lagata hai
  229. tirache tirache tir nazar ke lagate hain
  230. sidha sidha dil pe nishana lagata hai
  231. aag ka kya hai pal do pal mein lagti hai
  232. bujhate bujhate ek zamana lagata hai
  233. sach to ye hai phul ka dil bhi chalani hai
  234. hansata chehara ek bahana lagata hai
  235. -------------------------------------------------
  236. Haraaron Tukre Kiye Us Ne Mere Dil Ky Magar
  237. Khud Hi Roo Parha Har Tukre Par Apna Naam Dekh Kar
  238. -------------------------------------------------
  239. Log Milte Hai Bichar Jate Hain
  240. Sirf Dil Ke Taar Cher Jate Hain
  241. U To Lete Hain IMDAD Hm Hazaro Naam
  242. Par Kuch Ap Jaise Log Dil Me Utar Jate Hain
  243. -------------------------------------------------
  244. Kabhi To Sham Dhale Apne Ghar Gaye Hote
  245. Kisi Ki Aankh Mein Rehkar Sanvar Gaye Hote
  246. -------------------------------------------------
  247. Singardan Mein Rehte Ho Aaine Ki Tarah
  248. Kisi Ke Hath Se Girkar Bikhar Gaye Hothe
  249. -------------------------------------------------
  250. Ghazal Ne Behte Hue Phool Chun Liye Varna
  251. Ghamon Mein Doob Ke Hum Log Mar Gaye Hote
  252. -------------------------------------------------
  253. Ajeeb Raat Thi Kal Tum Bhi Aake Laut Gaye
  254. Jab Aa Gaye The To Pal Bhar Thehar Gaye Hote
  255. -------------------------------------------------
  256. Bahut Dino Se Hai Dil Apna Khali-Khali Sa
  257. Khushi Nahi To Udasi Se Bhar Gaye Hote
  258. -------------------------------------------------
  259. Naam-E-Mohabbat Se Khushbu-E-Wafa Aati Hai
  260. Mere Dil Se Teri Dhadkan Ki Sada Aati Hai
  261. Jab Bhi Karte Ho Yaad Hume Dil Se
  262. Yu Lagta Hai Jaise Jannat Se Hawa Aati Hai.
  263. -------------------------------------------------
  264. Kis-kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya
  265. gairon ka naam mere lahu se likha gaya
  266. nikala tha main sada-e-jaras ke talash mein
  267. bhule se is sukut ke sehra mein aa gaya
  268. kyon aj us ka zikr mujhe khush na kar saka
  269. kyon aj us ka naam mera dil dukha gaya
  270. is hadase ko sun ke karega yaqin koi
  271. suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya
  272. -------------------------------------------------
  273. Dil Tha Rulane Ka To Rula Dete,
  274. Kuch To Meri Wafa Ka Sila Dete,
  275. Tham Kar Hath Gair Ka Jalate Rahe Hame,
  276. Kar Dete Ek Eshara Ham Khud Apna Dil Jala Dete.
  277. -------------------------------------------------
  278. Maine Uske Kadmo Me Apni Jaan Rakhdi…
  279. Ae Dost
  280. Par Manga Jab Us Se Apna Hi Dil To Usne Kaha..
  281. Choti C Chiz Hi To Thi Na Jane Kaha Rakhdi.
  282. -------------------------------------------------
  283. Jis Jis Ko Humne Chaaha
  284. Un Sab Ne Dil Tod Diya
  285. Toota Hai Dil Itni Baar Ke
  286. Dil Ne Ab Dhadkana Hi Chhod Diya
  287. -------------------------------------------------
  288. Dil Se Dil Ki Doorie Nahi Hoti,
  289. Kaash Koi Majburi Nahi Hoti,
  290. Milne Ki Tamanna To Bahot Hai,
  291. Lekin Kehte He Har Tamanna Puri Nahi Hoti…
  292. -------------------------------------------------
  293. Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
  294. Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan K Shor Say
  295. -------------------------------------------------
  296. Dur Na Jaya Karo Dil Tadap Jata Hai
  297. Aapke Hi Khyal Mein Din Guzar Jata Hai
  298. Aaj Pucha Hai Dil Ne Ek Sawal Humse
  299. Dur Reh Kar Aapko Bhi Kya Humara Khyal Aata Hai.
  300. -------------------------------------------------
  301. Aapke Dil Pe Ek Din Raj Karenge
  302. Kabhi Hum Is Baat Per Naaj Karenge
  303. -------------------------------------------------
  304. Aapke Liye Us Khuda Se Saari Khushiyan Maang Kar
  305. Aapko Ek Aansoo Ke Liye Mohtaj Karenge
  306. -------------------------------------------------
  307. Sirf lahara ke rah gaya aanchal
  308. rang ban kar bikhar gaya koi
  309. gardish-e-khun ragon mein tez hui
  310. dil ko chukar guzar gaya koi
  311. phul se khil gaye tasavvur mein
  312. daman-e-shauq bhar gaya koi
  313. -------------------------------------------------
  314. Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga,
  315. Ek Din Laut Kar Tumhe Aana Hoga,
  316. Dil Todkar Muskura Rahe Ho Aaj,
  317. Dekhna Ek Din Tumhe Bhi Pachtana Hoga.
  318. -------------------------------------------------
  319. Sheeshe Sa Tha Dil, Tootna Tha, Toot Gya
  320. Logo Ne Tukde Pade To Dekhe Honge
  321. Aahista Se Chhupa Liye Hain Maine Ashk
  322. Fir Bhi Aapne Nishaan To Dekhe Honge
  323. -------------------------------------------------
  324. Unse Se Ab Yeh Dard Ke Rishte Ban Chuke Hai..
  325. Hum Mar Jate Par Sirf Unke Ek Ishaare K Liye Ruke Hai..
  326. Agar Khush Hote Hai Hume Wo Jalta Dekh…
  327. To Hum Unki Iss Qwaahish K Aage Bhi Jhuke Hai
  328. -------------------------------------------------
  329. Ye Kasak Dil Ki Dil Mein Chubhi Reh Gayi
  330. Zindagi Mein Tumhari Kami Reh Gayi
  331. -------------------------------------------------
  332. Ek Main, Ek Tum, Ek Deewar Thi
  333. Zindagi Aadhi-Aadhi Banti Reh Gayi
  334. -------------------------------------------------
  335. Raat Mein Bhige Patton...
  336. Raat Mein Bhige Patton Ki Tarah
  337. Meri Palko Pe Thodi Nami Reh Gayi
  338. -------------------------------------------------
  339. Main Roka Nahi Vo Chala Bhi Gaya
  340. Bebasi Door Tak Dekhti Reh Gayi
  341. -------------------------------------------------
  342. Mere Ghar Ki Taraf Dhoop Ki Peeth Thi
  343. Aate-Aate Idhar Chandni Reh Gayi
  344. -------------------------------------------------
  345. Wo Kehte Hain Majboor Hain Hum
  346. Na Chahte Hue Bhi Door Hainn Hum
  347. Churali Hain Usne Dhadkane Humari
  348. Ab Bhi Kehte Hain Bekasoor Hain Hum
  349. -------------------------------------------------
  350. Abb Umar Ho Gayi Hai Dil Ki Kitab Main
  351. Kuch Khusk Paton K Siwa Kuch Nahi Raha
  352. Jazbe Tamam Kho Gaye Lamhon Ki Dhool Main
  353. Abb Dil Main Dharkano K Siwa Kuch Nahi Raha
  354. -------------------------------------------------
  355. Sukoon Mere Dil Ab Kahin Kho Gaya Hai,
  356. Veerangi Ki Galiyon Mei Madhosh Ho Gaya Hai,
  357. Har Pal Bas Uska Deedar Karte Hain Hum Khyalon Mein,
  358. Ek Ajnabi Mujhko Pyaar Ki Baarish Mei Bhigo Gaya Hai..
  359. -------------------------------------------------
  360. Izhaar Karna Chahte Hain...
  361. Izhaar Karna Chahte Hain Hum Par Alfaaz Nahin Milte,
  362. Alfaaz Milte Hain To Kuch Sawalon Ke Jawaab Nahin Milte,
  363. Yeh Dil Kyun Ajnabiyon Pe Mar Mit-ta Hai,
  364. Dhudte To Unko Par Koi Nisaan Nahin Milte..
  365. -------------------------------------------------
  366. Ajnabi Ban Ke Koi Aaya Tha
  367. Aisa Laga Wo Mera Saya Tha
  368. Log Karte Hain Gharon Ko Roshan
  369. Usne To Mere Dil Mein Hi Diya Jalaya Tha.
  370. -------------------------------------------------
  371. Hazaar Chehron May Uski Mushahbatain Milien Mjhko
  372. Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.
  373. -------------------------------------------------
  374. Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ki nahi
  375. daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahi
  376. tu apne dil ke jawan dhadakanon ko gin ke bata
  377. meri tarah tera dil beqarar hai ki nahi
  378. wo pal ke jis mein muhabbat jawan hoti hai
  379. us ek pal ka tujhe intazar hai ki nahi
  380. teri umeed pe thukra raha hun duniya ko
  381. tujhe bhi apne pe ye aitabar hai ki nahi
  382. -------------------------------------------------
  383. Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahi,
  384. Ret Par Naam Kabhi Tikte Nahi,
  385. Hum Toh Pathar Dil Hain,
  386. Aur Pathar Par Likhe Naam Kabhi Mit Te Nahi
  387. -------------------------------------------------
  388. Masti bhari nazar ka nasha hai mujhe abhi
  389. ye jam dur rakh do pi lunga phir kabhi
  390. dil ko jala ke bazm ko raushan na kijiye
  391. us mahjabin ko aane mein kuch der hai abhi
  392. hum ne to ashk pi ke guzri hai sari umr
  393. hum se khafa hai kis liye aakhir ye zindagi
  394. jam-e-subu ko dur hi rahane de saqiya
  395. mujh ko utarana hai kal ka nasha abhi
  396. -------------------------------------------------
  397. Unse Roz Milne Ko Dil Karta Hai
  398. Kuch Sun-ne Sunaane Ko Dil Karta Hai
  399. Kisi Ke Manaane Ka Andaaz Aisa Hai
  400. Roz Rooth Jaane Ko Dil Karta Hai
  401. -------------------------------------------------
  402. Chehre Pe Fida To Har Koi Hota Hai
  403. Dil Pe Fida Hoke To Dekhiye
  404. Jaan Lutane Ki Baat To Sab Karte Hain
  405. Dil Se Kabhi Apna Maan Ke To Dekhiye
  406. -------------------------------------------------
  407. Yaad Aayi Tumhari Toh Raatein Beet Gayi
  408. Kabhi Seena Me Daabe Rakha, Toh Kabhi Aankhe Bheeg Gayi
  409. Jab Bhi Kiya Sawal Dil Se Toh Jawab Yahi Aya Hai
  410. Ruh Toh Nikal Chuki Hai, Dil Toh Sirf Uska Saya Hai.
  411. -------------------------------------------------
  412. Rukane ka samay guzar gaya hai
  413. jana tera ab thahar gaya hai
  414. rukhsat ke ghadi khadi hai sar par
  415. dil koi do-nim kar gaya hai
  416. matam ke faza hai shahar-e-dil mein
  417. mujh mein koi shakhs mar gaya hai
  418. bujhane ko hai phir se chashm-e-nargis
  419. phir khvab-e-saba bikhar gaya hai
  420. bas ik nigah ke thi us ne
  421. sara chehara nikhar gaya hai
  422. -------------------------------------------------
  423. Charag dil ke jalao ki id ka din hai
  424. tarane jhum ke gao ki id ka din hai
  425. gamon ko dil se bhulao ki id ka din hai
  426. khushi se bazm sajao ki id ka din hai
  427. huzur us ke karo ab salamti ke dua
  428. sar-e-namaz jhukao ki id ka din hai
  429. sabhi murad ho purihar ek savali ke
  430. dua ko hath uthao ki id ka din hai
  431. Poet of the poem/ghazal or Nazam: Qateel Shifai
  432. P-------------------------------------------------
  433. Mohabbat ka junun baqi nahi hai
  434. musalamanon mein khoon baqi nahi hai
  435. safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
  436. ke jazaba-e-andrun baqi nahi hai
  437. ragon mein lahu baqi nahi hai
  438. wo dil, wo aawaz baqi nahi hai
  439. namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
  440. ye sab baqi hai tu baqi nahi hai
  441. -------------------------------------------------
  442. Wo Mere Liye Kuch Khas Hai Yaaro
  443. Jin Ke Laut Aane Ki Aas Hai Yaaro
  444. Wo Nazro Se Door Hai To Kya Hua
  445. Unke Dil Ki Dhadkan Mere Paas Hai Yaaro
  446. -------------------------------------------------
  447. Samajh Saka Na Koi Mere Dil Ko
  448. Ye Dil Yun Hi Nadaan Reh Gaya
  449. Mujhe Koi Gham Nahi Is Baat Ka
  450. Afsos Hai Ke Mera Yaar Bhi Mujhse Anjaan Reh Gaya.
  451. -------------------------------------------------
  452. Aj phir un ka samana hoga
  453. kya pata us ke bad kya hoga
  454. aasaman ro raha hai do din se
  455. aap ne kuch kaha suna hoga
  456. do qadam par sahi tera kucha
  457. ye bhi sadiyon ka fasala hoga
  458. ghar jalta hai raushani ke liye
  459. koi mujhasa bhi dil jala hoga
  460. -------------------------------------------------
  461. Socha Na Tha Dil Lagane Se Pehle
  462. Ki Tutega Dil Muskurane Se Pehle
  463. Dosto Ummido Ka Suraj Na Chamka Na Duba
  464. Grahan Lag Gaya Jagmagane Se Pehle.
  465. -------------------------------------------------
  466. Dil K Zakhmo Par Mat Ro Mere Yaar
  467. Wkt Har Zakhm Kaa Marham Hota Hai
  468. Dil Se Jo Sachaa Pyaar Kare
  469. Unka To Khuda Bhi Deewana Hota Hai.
  470. -------------------------------------------------
  471. Kuch Matlab K Lie Dhundte He Mujko
  472. Bin Matlab Jo Aye To Kya Bat He
  473. Katal Kar K To Sab Le Jayenge Dil Mera
  474. Koi Baton Se Le Jaye To Kya Bat He
  475. -------------------------------------------------
  476. Dil Ne Kiya Majboor Kuch Is Tarah Ke
  477. Khwaboon Me Bhi Tum Aane Lage
  478. Raat Toh Kaate Nahi Kat Ti Thi Aur Ab To
  479. Dharkano Me Bhi Tum Samane Lage
  480. -------------------------------------------------
  481. Apni Taqdir Mein Hum Mohabbat Mangna Bhool Gaye
  482. Dil To Maanga Per Dildar Mangna Bhool Gaye
  483. Hum To Dil Kisi Ko De Aaye
  484. Badle Mein Uska Dil Mangna Bhool Gaye
  485. -------------------------------------------------
  486. Thandi hawa ke jhonke chalte hain halake halake
  487. aise mein dil na todo wade karo na kal ke
  488. chalte hain ye bhi hum se tevar badal badal ke
  489. jin ko sikhaya hum ne chalana sambhal sambhal ke
  490. saqi ne aj mujh ko aisi nazar se dekha
  491. mausam hua gulabi rangin jam chalake
  492. bistar ke silvaton se ye mahasus ho raha hai
  493. toda hai dam kisi ne karavat badal badal ke
  494. -------------------------------------------------
  495. Rulane Se Pehle Ek Baar Hansaya Hota
  496. Kasoor Kya Tha Is Dil Ko Bataya Hota
  497. Mili Saza Us Khata Ki Jo Ki Na Humne
  498. Kash Tumse Dil Na Lagaya Hota
  499. -------------------------------------------------
  500. Tapish Sooraj Ki Hoti Hay Jalna Zameen Ko Perta Hay
  501. Qasoor Ankhoun Ka Hota Hay Tarepnaa Dil Ko Prta Hay
  502. -------------------------------------------------
  503. Dil Se Dur Jinhe Hum Kar Na Sake
  504. Paas Bhi Unhe Hum Kabhi Pa Na Sake
  505. Mita Diya Pyar Jisne Hamara Dil Se
  506. Hum Unka Naam Likh Kar Bhi Mita Na Sake
  507. -------------------------------------------------
  508. Humne Socha Unke Pyar Mein Tadapna Chhor Denge
  509. Aur Unke Liye Har Pal Tarasna Bhi Chhor Denge
  510. Dil Ko Bola Tu Bhool Ja Unhe
  511. Kambakht Dil Bola Hum Dhadakna Chhor Denge.
  512. -------------------------------------------------
  513. Na rava kahiye na saza kahiye
  514. kahiye kahiye mujhe bura kahiye
  515. dil mein rakhane ke baat hai gam-e-ishq
  516. is ko hargiz na barmala kahiye
  517. vi mujhe qatl kar ke kahate hain
  518. manata hi na tha ye kya kahiye
  519. aa gai aap ko masihai
  520. marane valo ko marhaba kahiye
  521. hosh udane lage raqibon ke
  522. “dag” ko aur bevafa kahiye
  523. -------------------------------------------------
  524. Dil Ka Dard Dil Todne Wala Kya Jaane
  525. Pyar Ke Rivazon Ko Zamana Kya Jaane
  526. Hoti Hai Kitni Takleef Ladki Pataane Mein
  527. Ye Ghar Baitha Uska Baap Kya Jaane
  528. -------------------------------------------------
  529. Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain
  530. Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain
  531. Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe
  532. Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain
  533. -------------------------------------------------
  534. Dil Me Bhi Wohi Hai Mere Dil Me Bhi Nahi Hai
  535. Wo Shaks Jo Mera Bhi Hai Mera Bhi Nahi Hai
  536. Kuch Ajeeb Hai Yeah Meri Andaz-E-Mohabbat
  537. Panna Bhi Nahi Hai Ussay,Khona Bhi Nahi Hai..
  538. -------------------------------------------------
  539. Jo Ho Ik Baar Voh Har Baar Ho Aisa Nahi Hota
  540. Hamesha Ek Hi Se Pyar Ho Aisa Nahi Hota
  541. -------------------------------------------------
  542. Har Ek Kashti Ka Apna Tajurba Hota Hai Dariya Mein
  543. Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota
  544. -------------------------------------------------
  545. Sikha Deti Hain Chalna Thokrein Bhi Raahgiro Ko
  546. Koi Rasta Sada Dushwar Ho Aisa Nahi Hota
  547. -------------------------------------------------
  548. Kahi To Koi Hoga Jiski Apni Bhi Zaroorat
  549. Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho Aisa Nahi Hota
  550. -------------------------------------------------
  551. Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
  552. Tere Sath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga
  553. Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki
  554. Tu Dil Ke Aur Karib Aane Laga
  555. -------------------------------------------------
  556. Koi Hanse To Tujhe Gum Lage Hansi Na Lage
  557. K Dillagi Bhi Tere Dill Ko Dillagi Na Lage
  558. Tu Roz Roya Kare Uth Ke Ratoon Mein
  559. Khuda Kare Tera Mere Baghair Jee Na Lage
  560. -------------------------------------------------
  561. Kho Diya Jise Apna Hone Ke Bawajood
  562. Wo Yaad Bahut Aata Hai Kisi Aur Ka Hone Ke Bawajood
  563. Karna Hai Use Hi Dil Se Juda
  564. Is Dil Ki Dhadkan Hone Ke Bawajood.
  565. -------------------------------------------------
  566. Us ne jab tyori badal kar baat ke
  567. mit gai duniya meri jazbat ke
  568. tum ne shishe pe jhuk kar baat ke
  569. wo uthi kali ghata barsat ke
  570. dil ke dhadakan bad rahi hai har nafas
  571. tez hai raftar paigamat ke
  572. tum mere duniya meri uqba meri
  573. ab kami mujh ko bhala kis baat ke
  574. ro diye hum dekh kar su-e-falak
  575. us ne hans kar jab kisi se baat ke
  576. -------------------------------------------------
  577. Behti Hawaon Se Awaaz Aayegi
  578. Har Dhadkan Se Fariyaad Aayegi
  579. Bhar Denge Aapke Dil Me Pyar Itna Ki
  580. Saans Bhi Loge To Sirf Meri Yaad Aayegi.
  581. -------------------------------------------------
  582. Moonh Ki Baat Sune Har Koi, Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun
  583. Aawazo Ke Bazaron Mein Khamoshi Pehchane Kaun
  584. -------------------------------------------------
  585. Sadiyan-Sadiyan Vahi Tamasha, Rasta-Rasta Lambi Khoj
  586. Lekin Jab Hum Mil Jate Hain Kho Jata Hai Jaane Kaun
  587. -------------------------------------------------
  588. Main Uski Perchhai Hoon Ya Voh Mera Aaina Hai
  589. Mere Hi Ghar Mein Rehta Hai Mere Jaisa Jaane Kaun
  590. -------------------------------------------------
  591. Kal Meri Neendo Mein Chhupkar Jaag Raha Tha Jaane Kaun
  592. Dheeme-Dheeme Bikhar Raha Hai Zrrah-Zaraah Jaane Kaun
  593. -------------------------------------------------
  594. Sher ke parde mein main ne gham sunaya hai bahut
  595. marsiye ne dil ko mere bhi rulaya hai bahut
  596. vadi-o-kohasar mein rota hun dhade mar-mar
  597. dilbaran-e-shahar ne mujh ko sataya hai bahut
  598. va nahi hota kisi se dil girifta ishq ka
  599. zahira gam-gin use rahana khush aaya hai bahut
  600. -------------------------------------------------
  601. Dil Ne Kiya Majboor...
  602. Dil Ne Kiya Majboor Kuch Is Tarah
  603. Ke Khwabo Mein Bhi Tum Aane Lage
  604. Raat To Kaate Nahi Kat-ti Thi Aur Ab To
  605. Dhadkano Mein Bhi Tum Samane Lage.
  606. -------------------------------------------------.
  607. Ro Rokar Mujhse Ye Pocha Mere Pav K Chalo Ne
  608. Aray Basti Kitne Door Bsa Li Dilme Basne Walo Ne
  609. -------------------------------------------------
  610. Dil Ki Baatein Kehne Ko Dil Karta Hai
  611. Dard-E-Judai Ko Sehne Se Dil Darta Hai
  612. Kya Karein Kismat Mein Hain Dooriyan
  613. Warna Humara To Aapke Dil Mein Rehne Ko Dil Karta Hai
  614. -------------------------------------------------
  615. Kaise Kati Raatein Bata Nahi Sakte
  616. Guzra Hua Pal Ginwa Nahi Sakte
  617. Pyar Apna Bhula Nahi Sakte
  618. Bas Tera Hi Intezar Hai
  619. Ab Aa Jao,
  620. Is Dil Ko Aur Tadpa Nahi Sakte
  621. -------------------------------------------------
  622. Aaj Dariya Chadha-Chadha Sa Hai
  623. Koi Humse Khafa-Khafa Sa Hai
  624. -------------------------------------------------
  625. Shaher Yaadon Ka Ik Basaya Tha
  626. Ab Nishan Bhi Mita-Mita Sa Hai
  627. -------------------------------------------------
  628. Dil Se Ek Roshni Jahan Mein Thi
  629. Ye Diya Bhi Bujha-Bujha Sa Tha
  630. -------------------------------------------------
  631. Shabnami Aag Bhi Jalati Hai
  632. Phool Ka Dil Jala-Jala Sa Hai
  633. -------------------------------------------------
  634. Kisko Fursat Ki Ek Nazar Dekhe
  635. Badr Tanha Bujha-Bujha Sa Hai
  636. -------------------------------------------------
  637. Meri Arzoo Kamini,Mere Khawab Bhi Kamine.
  638. Ek Dil Se Dosti Thi, Ye Huzoor Bhi Kamine.
  639. -------------------------------------------------
  640. Unke Deedar Ke Liye Dil Tadapta Hai
  641. Unke Intezar Mein Dil Tarasta Hai
  642. Kya Kahein Is Kambakht Dil Ko
  643. Jo Apna Hokar Bhi Kisi Aur Ke Liye Dhadkata Hai
  644. -------------------------------------------------
  645. Tum se ulfat ke taqaze na nibahe jate
  646. warna hum ko bhi tamanna thi ke chahe jate
  647. dil ke maro ka na kar gham ki ye andohnasib
  648. zakhm bhi dil mein na hota to karahe jate
  649. di na mohalat hamen hasti ne wafa ke warna
  650. aur kuch din gam-e-hasti se nibahe jate
  651. -------------------------------------------------
  652. Ye Karb Ka Tofaan Guzarta Kion Nahin
  653. Dil Toot Gia Hai To Bikhartaa Kion Nahin
  654. Aik Hi Shaks Ko Chahta Hai Kion Itnaa
  655. Koi Dosra Is Dil Pe Utarta Kion Nahin
  656. Har Bar Iski Berukhi Pe Pyar Aata Hai
  657. Dil Us K Riwajon Pe Akarta Kion Nahin
  658. Kehne Ko To Wo Dard Ek Lamhe Ka Hai Magar
  659. Wo Dard Ka Lamha, Guzarta Kion Nahin
  660. -------------------------------------------------
  661. Palko Se Aankho Ki Hifazat Hoti Hai
  662. Dhadkan Dil Ki Amanat Hoti Hai
  663. Hamara Rishta Bhi Bada Pyara Hai
  664. Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.
  665. -------------------------------------------------
  666. Pyaar Mein To Dil Toot Hi Gaya,
  667. Ab To Dosti Mein Bhi Dil Totney Laga,
  668. Kitni Bar Todoge Dil Humara,
  669. Ab Tootega To Shayad Mar Hi Jayega
  670. -------------------------------------------------
  671. Yun teri rahaguzar se divanavar guzri
  672. kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzri
  673. baithe rahe hain rasta mein dil ka khandhar saja kar
  674. shayad isi taraf se ek din bahar guzri
  675. bahati hui ye nadiya ghulate hue kinare
  676. koi to par utre koi to par guzri
  677. tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha
  678. tu dil hi har guzra hum jan har guzri
  679. -------------------------------------------------
  680. Yun Mehfil Nahi Hoti Our Nazaare Nahi Hote
  681. Yun Chand Ke Pehlu Main Sitare Nahi Hote
  682. Ham Is Lye Karte Hen Aap Ki Fikar
  683. Kiunki Dil Ke Kareeb Sare Nahi Hote
  684. -------------------------------------------------
  685. Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake
  686. Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake
  687. Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
  688. Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake
  689. -------------------------------------------------
  690. Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar Ka Intezaar Hota Hai
  691. Kayi Saari Raahon Se Gujarte Yeh Jeevan Paar Hota Hai
  692. Har Pal Dil Sapne Bunta Hai Tanhaiyon Ke Saaye Mein
  693. Mohabbat Se Hi To Yaaro Jeene Ka Ehsaas Hota Hai.
  694. -------------------------------------------------
  695. Dil Teri Saanson Mein Kaid Saa Mujhe Lgta Hai
  696. Din Mein Hai Ye Sota Raato Mein Ye Jagta Hai
  697. Kbhi Sochun Ki Teri Yaad Hai Kyun Aati Sanam Mujhko
  698. Hai Jeene Ki Wajah Tuhi To Bas Ye Dil Samajta Hai
  699. -------------------------------------------------
  700. Jo tu hi sanam hum se bezar hoga
  701. to jina hamen apna dushawar hoga
  702. gam-e-hijr rakhega betab dil ko
  703. hamen kudhate-kudhate kuch aazar hoga
  704. jo afrat-e-ulfat hai aisa to aashiq
  705. koi din mein barason ka bimar hoga
  706. uchatati mulaqat kab tak rahegi
  707. kabhu to tah-e-dil se bhi yar hoga
  708. tujhe dekh kar lag gaya dil na jana
  709. ke is sangdil se hamen pyar hoga
  710. -------------------------------------------------
  711. Raaz Dil Ka Dil Mein Chupate Hai Woh
  712. Samne Aate Hi Nazar Jhukate Hai Woh
  713. Baat Karte Nahi, Ya Hoti Nahi
  714. Par Shukar Hai Jab Bhi Milte Hai Muskurate Hai Woh
  715. -------------------------------------------------
  716. Aaj Kal Kyon Mera Waqt Kat Ta Nahi
  717. Koi Chehra Nazron Se Hat Ta Nahi
  718. Kyo Hain Betaabiyan Maine Na Jana Tha
  719. Pehle Kabhi Dil Na Deewana Tha
  720. -------------------------------------------------
  721. Mere Dil Ka Koi Kona Khali Na Dikhe
  722. Ye Kis Tarah Samaye Ho
  723. Barsaat Me Aasman Pe
  724. Jo Ye Raat Kahan Se Laaye Ho
  725. Meri Khushi Aur Gam Ko Pasand
  726. Tum Sabko Bhaaye Ho
  727. Meri Zindagi Muskurane Lagi
  728. Aakhir Kis Sadaa Se Aaye Ho
  729. -------------------------------------------------
  730. Rasm-E-Ulfat Sikha Gaya Koi,
  731. Dil Ki Duniya Pe Chha Gaya Koi,
  732. Taa Qayamat Kisi Tarah Na Bujhe,
  733. Aag Aisi Laga Gaya Koi…
  734. -------------------------------------------------
  735. Dil Todna Humari Aadat Nahi
  736. Dil Hum Kisi Ka Dukhate Nahi
  737. Bharosa Rakhna Meri Wafaon Per
  738. Dil Mein Basa Kar Hum Kisi Ko Bhulate Nahi.
  739. -------------------------------------------------
  740. Aag puri kahan bujhi hai abhi
  741. dida-e-tar mein tishnagi hai abhi
  742. doston se chuka raha hun hisab
  743. dushmanon se kahan thani hai abhi
  744. dost kah kar mujhe na de gali
  745. dil pe ik zakhm-e-dosti hai abhi
  746. kat de ye bhi khudparasti mein
  747. aur thodi si zindagi hai abhi
  748. jane kyon kund ho gaya nashtar
  749. zakhm ke dhar to vahi hai abhi
  750. -------------------------------------------------
  751. Meri Aakhon Mein Tum Apni Duniya Basa Lena
  752. Mere Dil Mein Tum Apna Ghar Bana Lena
  753. Tere Dil Mein Jaan Hai Meri
  754. Tum Apni Jaan Ko Meri Jaan Bana Lena
  755. -------------------------------------------------
  756. Dil Par Kisi Ka Jor Nahi Hota
  757. Dil Ki Awazo Se Shor Nahi Hota
  758. Is K Khone Ka Gum Kare Bhi To Kese
  759. Kyoki Dil Churane Wala Bhi Chor Nahi Hota

No comments :

Post a Comment