Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Shayari 2017

Rasam-e-Wafa Nibhana To Gairat Kee Baat Hai;
Wo Mujhko Bhool Jayein Yeh Hairat Kee Baat Hai;
Sab Mujhko Chahte Hain Shohrat Kee Baat Hai;
Bas Wo Humein Nahi Chahte Yeh Hamari Kismat Kee Baat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee;
Intiha Thi Ye Dilrubi Kee;

Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah;
Ab Nahi Khair Parsayi Kee;

Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute;
Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee;

Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal;
Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee;

Daam Se Un Ke Chutna To Kahan;
Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee;

Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh;
Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee;

Us Taghaful-Shiar Se 'Hasrat';
Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaye Hai Be-Kasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
Kis Ke Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Deedar Kee Aag Jab Dil Mein Bhadakne Lagti Hai;
Tujhe Dekhne Ko Meri Aankhein Tarsane Lagti Hain;
Baadlon Ke Barsane Ka Humein Intezar Nahi Rehta;
Teri Yaadon Mein Yeh Aankhein Khud Hi Barsane Lagti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena;
Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
Betabi Hadh Se Badh Jaye Aur Neend Raaton Ko Aa Jaye;
To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhari Yaadon Mein Beeti Har Baat Alag Hai;
Tumhare Saath Huii Har Mulaqaat Alag Hai;
Har Shakhs Meri Zindagi Chhu Kar Geya;
Magar Tumhari Mulaqat Kee Baat Alag Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;

Mutaribo Koi Achuta Nagma;
Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;

Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;

Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;
Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;

Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee;
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Ne Yeh Kaisa Tohfa De Diya;
Mujhko Ghamo Ne Pathar Bana Diya;
Teri Yaadon Mein Hi Kat Gayi Umar Sari;
Aur Main Logon Se Kehta Raha Ki Tujhe Kab Ka Bhula Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Haathon Mein Ulfat Ka Naam Hota Hai;
Aankhon Mein Chalkta Jaam Hota Hai;
Khanjar Kee Jarurat Hai Yahan Kise;
Yahan Nazron Se Qatal-e-Aam Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Wo Aa Sake Na Hum Ja Sake;
Na Dard Dil Ka Hum Kisi Ko Suna Sake;
Bas Khamosh Baithe Hain Unki Yaadon Mein;
Na Usne Yaad Kiya Na Hum Bhula Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;

Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum;

Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi;
Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum;

Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu;
Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum;

Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi;
Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum;

Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar;
Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum;

Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel';
Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Kee Baatein Bata Deti Hain Aankhein;
Dhadkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein;
Dil Pe Chalta Nahi Jadu Chehron Ka Kabhi;
Dil Ko Tu Deewana Bana Deti Hain Aankhein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye;
Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tanhai Le Jati Hai Jahan Tak Yaad Tumhari;
Wahin Se Shuru Hoti Hai Zindagi Hamari;
Nahi Socha Tha Hum Chahenge Tumhein Is Kadar;
Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Hamari!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jahan Dariya Kahin Apne Kinare Chhod Dete Hai;
Koi Uthta Hai Aur Toofan Ka Rukh Mod Deta Hai;

Mujhe Be-Dast-o-Paa Kar Ke Bhi Khauf Us Ka Nahi Jata;
Kahin Bhi Haadsa Guzre Wo Mujh Se Jod Deta Hai;

Bichhad Ke Tujh Se Kuch Jaana Agar To Is Kadar Jaana;
Wo Mitti Hun Jise Dariya Kinare Chhod Deta Hai;

Mohabbat Mein Zara Si Bewafai To Zaruri Hai;
Wahi Achha Bhi Lagta Hai Jo Vaade Tod Deta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Shehar-e-Be-Charag Mein Jayegi Tu Kahan;
Aa Ai Shab-e-Firaq Tujhe Ghar Hi Le Chalen!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaane Lage Jab Wo Chhod Ke Daaman Mera;
Toote Hue Dil Ne Himaakat Kardi;
Socha Tha Ki Chhupa Lenge Gham Apna;
Magar Kambakht Ankhon Ne Bagawat Kar Di!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri;
Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri;
Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna;
Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum To Tere Dil Kee Mehfil Sajane Aaye The;
Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The;
Kis Baat Kee Saza Dee Tumne Humein Bewafa;
Hum To Tere Dard Ko Apna Banane Aaye The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho;
Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho;

Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho;
Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho;

Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe;
Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho;

Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar;
Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho;

Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao;
Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho;

Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal;
Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho;

Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai 'Rahat';
Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ke Behlane Kee Tadbeer To Hai;
Tu Nahi Hai Teri Tasveer To Hai;
Humsafar Chhod Gaye Mujh Ko To Kya;
Saath Mere Meri Taqdeer To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Lamha Ye Waqt Guzar Jayega;
Jane Kab Tu Mujhse Bichad Jayega;
Jee Lene Do Mujhe Is Ek Pal Mein Zindagi;
Ek Tujhse Bichad Kar Yeh Dil Mar Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nafrat Kabhi Na Karna Humse;
Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai;
Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai;
Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada;
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya Log;
Aansu Tapti Ret Mein Bo Gaye Kya-Kya Log;

Kirnon Ke Toofan Se Bajre Bhar-Bhar Kar;
Roshniyan Us Ghaat Par Dho Gaye Kya-Kya Log!

Saanjh Samay Is Kunj Mein Zindagiyon Kee Aut;
Baj Gayi Kya-Kya Bansauri Ro Gaye Kya-Kya Log;

Maili Chaadar Taan Kar Is Chaukhat Ke Dwar;
Sadiyon Ke Kohraam Mein So Gaye Kya-Kya Log;

Gathdi Kaal Rain Kee Sonti Se Latkaye;
Apni Dhun Mein Dhyan Nagar Ko Gaye Kya-Kya Log;

Meethe Meethe Bol Mein Dohe Ka Hindol;
Sun Sun Us Ko Bhanware Ho Gaye Kya Kya Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye;
Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye;
Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan;
Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rang Dikhati Hai Yeh Zindagi Kitne;
Gair Bhi Ho Jate Hain Ek Pal Mein Apne;
Na Jaana Kabhi Tum Sapno Kee Duniya Mein;
Kyonki Toot Jata Hai Dil Jab Toote Hain Sapne!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga;
Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga;
Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon;
Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Koshish Hamesha Hi Naqaam Rahi;
Pehle Tumhein Paane Kee Ab Tumhein Bhulane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hairan Hai Jabeen Aaj Kidhar Sajda Ravaa Hai;
Sar Par Hain Khudavand Sar-e-Arsh Khuda Hai;

Kab Tak Ise Seenchoge Tamanna-e-Samar Mein;
Ye Sabr Ka Pauda To Na Phula Na Phala Hai;

Milta Hai Khiraj Us Ko Teri Naan-e-Javin Se;
Har Baadshah-e-Waqt Tere Dar Ka Gadaa Hai;

Har Ek Uquubat Se Hai Takhi Mein Sava-Tar;
Wo Rang Jo Na-Karda Gunahon Kee Saza Hai;

Ehsaan Liye Kitne Maseeha-Nafson Ke;
Kya Kijiye Dil Ka Na Jala Hai Na Bujha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye;
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi;
Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Humko Kabhi Aisi Judai Na De;
Unki Yaadon Se Kabhi Humko Rihai Na De;
Dua Karna Dosto Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
Jahan Se Mera Pyaar Mujhe Dikhai Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe;
Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe;
Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe;
Nibaho Mohabbat Aise Ki Kisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindgi Is Tarah Guzarate Hain;
Karz Hai Aur Use Utarate Hain;

Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain;
Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain;

Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka;
Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain;

Kitne Dil Is Mein Goondh Lete Hain;
Zulf-e-Khugar Ko Jab Sanwarte Hain;

Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana;
Pesh-e-Fateh Bhi Log Haarte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale;
Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun;
Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota;
Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye;
Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Wo Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi;
Wo Mohabbat Hi Kya Jisme Yaaein Nahi;
Wo Yaaein Hi Kya Jisme Tum Nahi;
Aur Wo Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Musafir Ke Raaste Badalte Rahe;
Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe;

Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha;
Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe;

Mere Raaste Mein Ujala Raha;
Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe;

Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya;
Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe;

Mohabbat Adavat Wafa Berukhi;
Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe;

Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi;
Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe;

Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye;
Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Tak Aankh Royegi Kahan Tak Kiska Gham Hoga;
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;
Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main;
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Koi Chaah Kar Mohabbat Nibha Nahi Paata;
Kyon Koi Chaah Kar Rishta Banaa Nahi Paata;
Kyon Leti Hai Zindagi Aisi Karvat;
Ki Koi Chaah Kar Bhi Pyaar Jataa Nahi Paata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Zindagi Mili Na Wafa Mili;
Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili;
Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chupaate Hain;
Sachhi Mohabbat Karne Kee Bhi Kya Khoob Saza Mili!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat;

Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;

Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;

Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;

Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;

Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;

Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi';
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Aisi Bhi Koi Nahi Ki Mohabbat Bahut Jyada Hai;
Lekin Hum Dono Se Us Kee Taqat Bahut Jyada Hai;
Aap Ke Peeche Peeche Phirne Se To Rahe Is Umar Mein Hum;
Raah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Jyada Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashko Ko Moti Bana Deti Hai;
Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai;
Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho;
Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai!


Hanste Rahoge To Duniya Saath Hai Warna;
Aansuon Ko To Aankh Mein Bhi Jagah Nahi Milti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein;
Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;

May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;

Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum;

Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;

Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum;

Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer'
Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai;
Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath;
Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai;
Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Pal Hanske Jiya Karte Hain;
Aap Se Dil Kee Har Baat Kiya Karte Hain;
Bahut Khaas Ho Aap Hamare Liye;
Isliye Har Waqt Aapko Yaad Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai;
Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai;
Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain;
Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;

Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;

Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;

Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;

Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar;
Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sard Raaton Ko Satati Hai Judai Teri;
Aag Bujhti Nahi Seene Mein Lagayi Teri;
Tum Jo Kehte The Bichar Kar Main Sukun Paa Lunga;
Phir Kyu Roti Hai Mere Dar Par Tanhayi Teri!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi;
Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Apna Hota To Bin Kahe Hi Samjh Leta;
Ab Kis Ko Bataun Ki Kya Hai Is Dil Mein;
Bhule Baithe Hain Wo Log Bhi Jinhe Apna Samjhta Hun;
Kabhi Mile To Dil Cheer Ke Dikha Dun Ki Kya Hai Is Dil Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho;
Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho;

Ab Koi Aarzoo Nahi Baki;
Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho;

Main Zameen Par Ghana Andhera Hun;
Aasmano Kee Chandni Tum Ho;

Doston Se Wafa Kee Ummeedein;
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhadkan Dil Ki Ruk Jati Hai;
Sanse Aksar Tham Jati Hai;
Bahut Buri Halat Hoti Hai Yaaro;
Jab GF Se Shaadi Karne Ki Naubat Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne;
Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The;
Aankh Mein Noor Kee Aur Dil Mein Lahoo Kee Surat;
Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat;

Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho;
Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah;
Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah;

Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge;
Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang;
Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Lutf-e-Mulaqat Ka Rang;

Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho;
Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu;
Ki Mere Paas Siva Mehr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi;
Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya;
Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya;
Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake;
Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch Sochun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
Kuch Bolun To Tera Naam Aa Jata Hai;
Kab Tak Chupaon Dil Kee Baat;
Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye;
Pyaar Hi To Kehte Hain Use;
Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaye;
Saans Bhi Lo To Khushbu Uski Hi Aaye;
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Cha Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoon Bar Kar Munasib Nahi Dil Bahe;
Dil Nahi Maanta Kaun Dil Se Kahe;

Teri Duniya Mein Aaye Bahut Din Rahe;
Sukh Ye Paya Ki Hum Ne Bahut Dukh Sahe;

Bulbulein Gul Ke Aansu Nahi Chatati;
Un Ko Apni Hi Margoob Hain Chehchahe;

Aalam-e-Nazaa Mein Sun Raha Hun Mein Kya;
Ye Azizon Kee Cheekhe Hain Kya Kehkahe;

Is Naye Husn Kee Bhi Adaon Pe Hum;
Mar Mitenge Ba-Sharte Ke Zinda Rahe;

Tum 'Hafeez' Ab Ghisatne Kee Manzil Mein Ho;
Daur-e-Ayyaam Pahiya Hai Gham Hain Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;
Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Ro Ke Muskraye, Kabi Muskura Ke Roye;
Uski Yaad Jab Bhi Aayi, Use Bhula Ke Roye;
Ek Uska Hi Naam Tha, Jise Hazar Bar Likha;
Jitna Likh Ke Kush Hue, Usse Jyada Use Mita Ke Roye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Dil Mein Tumhare Pyaar Kee Dastaan Likhi Hai;
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai;
Kabhi Hamare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo;
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Naseeba De Lekh Koi Mod Nahi Sakda;
Hove Rabb Te Aitbar Koi Tod Nahi Sakda;
Sachha Pyaar Ta Milda Hai Naseeban De Naal;
Lakh Chah Ke Vi Kise Naal Rishta Koi Jod Nahi Sakda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse;
Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai;
Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish;
Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kaam Na Aayi;
Aag Aisi Lagai Ki Paani Se Bhi Bujh Na Paayi;
Aaj Bhi Rote Hain Hum Unki Yaad Mein;
Jo Chod Kar Chale Gaye Aur Unhe Hamari Yaad Tak Na Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tere Vaade Kee Tere Pyaar Kee Mohtaj Nahi;
Ye Kahani Kisi Kirdaar Kee Mohtaj Nahi;

Khali Kashkol Pe Itarayi Hui Phirti Hai;
Ye Fakeeri Kisi Dastar Kee Mohtaj Nahi;

Log Honthon Pe Sajaye Hue Phirte Hain Mujhe;
Meri Shohrat Kisi Akhbaar Kee Mohtaj Nahi;

Ise Toofan Hi Kinare Se Laga Sakta Hai;
Meri Kashti Kisi Patvaar Kee Mohtaj Nahi;

Maine Mulkon Kee Tarah Logo Ke Dil Jeete Hain;
Ye Hukumat Kisi Talwar Kee Mohtaj Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Umeed Bar Nahi Aati;
Koi Soorat Nazar Nahi Aati;
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai;
Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
No longing can now be fulfilled,
No despite can now be envisaged.
The day of death has been appointed,
Why is the night crowded with sleeplessness?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
GILA SHIKWA  
Jab Se Usne Shehar Choda Har Raasta Sunsan Hua;
Apna Kya Hai Sare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksan Hua;
Ye Dil Ye Aaseb Kee Nagri Maskan Sochun Vehmon Ka;
Soch Raha Hun Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehman Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham;
Main Chah Kar Bhi Use See Na Paaya;
Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hun Main To Yaaro;
Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Na Paaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Do Pal Da Hai Saath Pata Nahi Kado Vichad Jana;
Rishteya Da Kee Pata Kado Tut Jana;
Puch Liya Karo Kade Haal-Chaal Sade Dil Da;
Zindgi Da Kee Pata Asi Kado Muk Jana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi;
Kuch Apna Zamana Yaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi;
Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha;
Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rakshas Tha Na Khuda Tha Pehle;
Aadmi Kitna Bada Tha Pehle;

Aasmaan, Khet, Samandar Sab Laal;
Khoon Kagaz Pe Uga Tha Pehle;

Main Wo Maqtool Jo Qatil Na Bana;
Haath Mera Bhi Utha Tha Pehle;

Ab Kisi Se Bhi Shikayat Na Rahi;
Jane Kis-Kis Se Gila Tha Pehle;

Shehar To Baad Mein Veeran Hua;
Mera Ghar Khaak Hua Tha Pehle!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Mehrban;
Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi;
Hamare Jaisi Tumko Chaht Bhi Na Milegi;
Yun Itni Berukhi Na Humein Dikhlaiye;
Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga;
Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Na Bhula Paunga;
Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena;
Ki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Kee Baat Ko Juban Se Kehna Nahi Aata;
Khafa Hona To Aata Hai, Khafa Rehna Nahi Aata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Baar Se;
Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se;

Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab;
Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se;

Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka;
Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se;

Maand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang;
Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se;

Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko;
Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Bul-Hawas Ne Husn-Parasti Shiaar Kee;
Ab Aabroo-e-Sheva-e-Ahl-e-Nazar Gayi;
Nazare Ne Bhi Kaam Kiya Wan Naqaab Kee;
Masti Se Har Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gayi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Each common lover has become a fake priest of beauty,
The distinction of the visionary lover has been erased.
Looking itself performed the function of secreting you,
Each blinded gaze refracted on the glories of your face.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dilon Ko Fikr-e-Do-Alam Se Kar Diya Aazad;
Tere Junoon Ka Khuda Silsila Daraaz Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Zuban Khamosh Aankhon Mein Nami Hogi;
Yahi Bas Meri Ek Dastan-e-Zindagi Hogi;
Bharne Ko Toh Har Zakham Bhar Jayega;
Kaise Bharegi Wo Jagah Jahan Teri Kami Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kabhi Hum Tute To Kabhi Khwaab Tute;
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute;
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The;
Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat;
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab;
Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi, Sara Aalam Sota Tha;
Naam Tera Le Le Kar Koi Dard Ka Maara Rota Tha;

Charagaron, Ye Taskin Kaisi, Main Bhi Hun Is Duniya Mein;
Unko Aisa Dard Kab Utha, Jinko Bachana Hota Tha;

Kuch Ka Kuch Keh Jata Tha Main Furkat Kee Betabi Mein;
Sunane Wale Hans Padte The Hosh Mujhe Tab Aata Tha;

Tare Aksar Doob Chale The, Raat Ko Rone Walo Ko;
Aane Lagi Thi Neend Si Kuch, Duniya Mein Savera Hota Tha;

Tark-e-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya;
Ishq Ke Pehle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha;

Uske Aansu Kisne Dekhe, Uski Aahein Kisne Suni;
Chaman Chaman Tha Husn Bhi Lekin Dariya Dariya Rota Tha;

Pichala Pahar Tha Hizr Kee Shab Ka, Jagta Rab, Sota Insan;
Taaron Kee Chanv Mein Koi 'Firaq' Sa Moti Pirota Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Paane Ke Liye Kuchh Bhi Kar Sakta Hu;
Tere Pyaar Mein Jee Toh Kya, Mar Bhi Sakta Hu;
Phir Bhi Tu Nahi Mili To Koi Mujhe Gham Nahi;
Yeh Formula Kissi Dusri Pe Set Kar Sakta Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Woh Baada-e-Shabana Kee Sar-Mastiyan Kahan;
Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi;
Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein;
Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gone are those spirited nights of intoxication,
Arise! The blissful sleep of dawns that follow is also dispersed.
A cloud of my ashes rises in the street of the other,
Finally oh wind, I no longer crave wings or plumage.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye;
Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye;
Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi;
Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum;
Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota;
Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Takdeer Bata Tune Mujhko Kis Mod Pe Lake Chhod Diya;
Ek Mod Talak To Saath Diya Ek Mod Pe Lake Chhod Diya;
Khud Pyaar Kiya Khud Thukraya Phir Pyaar Bhara Dil Tod Diya;
Us Mod Talak To Saath Diya Is Mod Pe Lake Chhod Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha Hai;
Tera Milna Bhi Mujh Ko Khal Raha Hai;

Jise Maine Kiya Tha Be-Khudi Mein;
Jabeen Par Ab Vo Sajda Jal Raha Hai;

Mujhe Mat Do Mubarak-Baad-e-Hasti;
Kisi Ka Hai Ye Saya Chal Raha Hai;

Sar-e-Sahara Sada Dil Ke Shajar Se;
Barasta Door Ik Badal Raha Hai;

Fasad-e-Lagzish-e-Takhleeq-e-Aadam;
Abhi Tak Haath Yazdaan Mal Raha Hai;

Dilon Kee Aag Kya Kafi Nahi Hai;
Jahanum Be-Zaroorat Jal Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhule Hain Rafta Rafta Unhen Muddaton Mein Hum;
Kishton Mein Khud-Kushi Ka Maza Humse Puchiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Pane Kee Chaahat Mein Bahut Kuch Choot Jata Hai;
Na Jane Sabr Ka Dhaga Kahan Par Toot Jata Hai;
Zara Batao Ki Tum Kise Humraah Kehte Ho;
Yahan To Apna Saya Bhi Saath Chod Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai;
Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai;
Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein;
Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Surat Hamari Dekh Li Lekin Dil Hamara Dekh Na Sake;
Khushi Hamari Dekh Li Lekin Dukh Hamare Dekh Na Sake;
Pyaar Hum Se Kar Liya Aur Fikar Hamari Kar Na Sake;
Hansi Hamari Dekh Li Magar Aansu Hamare Dekh Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai;
Mujh Pe Ehsaan Hawa Karti Hai;

Shab Kee Tanhai Mein Ab To Aksar;
Guftagu Tujh Se Raha Karti Hai;

Dil Ko Us Raah Pe Chalna Hi Nahi;
Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai;

Zindagi Meri Thi Lekin Ab To;
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai;

Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh;
Dil Ka Ehaval Kaha Karti Hai;

Sham Padte Hi Kisi Shakhs Kee Yaad;
Kucha-e-Jaan Mein Sada Karti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;
Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Your glance penetrates the heart to reacdh the soul,
Both are left in agreement by such a cohesive gesture.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Pehle Se Un Kadmon Kee Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai;
Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai;
Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai;
Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye;
In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye;
Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain;
Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajnabi Thi Baatein Sabhi Uske Pyaar Kee;
Nahi Thi Khabar Ek Din Qayamat Zaroor Hogi;
Karte Rahe Fariyad Us Khuda Se Ai Sanam;
Milega Tu Mujhe, Khuda Kee Rehmat Zaroor Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;

Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna;

Khakh Kis-Kis Kee Khuda Jaane Hui Ai Daman Wale;
Tune Chalte Hue Daman Na Sambhala Apna;

Dil Chune Wale Do Lafz Hi Likhe The Usne;
Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Geya Apna;

Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain;
Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna;

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gham Se Marta Hun Ki Itna Nahi Duniya Mein Koi;
Ki Kare Taziyat-e-Mehr-o-Wafa Mere Baad;
Aaye Hai Bekasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
I perish with grief, the world offers no companion,
To give rituals of succour for love and fidelity, in my aftermath.
I am weeping for that soul-sick, outcast love, Ghalib,
Whose habitat will be visited by its turmoil, in my aftermath.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Husn Ghamze Kee Kashakash Se Chuta Mere Baad;
Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
The clash between beauty and seduction is assuaged in my aftermath,
The faithless are consequently at peace in my aftermath.
No one is left worthy of the eminence of deire's insanity,
The manner and the ways of love are banished in my aftermath.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zamane Se Nahi Main To Tanhai Se Darta Hun;
Pyaar Se Nahi Main To Ruswai Se Darta Hun;
Milne Kee Umang Bahut Hoti Hai Dil Mein;
Lekin Milne Ke Baad Teri Judai Se Darta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
Pyaar Kya Hota Hai Hum Pehchan Na Sake;
Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Akhan Di Benoori Changi Nahi Hundi;
Sajjna Kolon Doori Changi Nahi Hundi;
Kade Kade Taa Aa Ke Mil Jaya Karo;
Har Vele Majboori Changi Nahi Hundi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;

Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe;

Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli;
Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe;

Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai;
Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe;

Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee,
Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe;

Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi;
Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe;

Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel';
Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;
Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte;
Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta;
Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate;
Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe;
Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe;
Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat;
Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo;
Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo;
Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo;
Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;

Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;

Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;

Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;

Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;

'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Could we build on some pre-eminence and see what lay below,
If only we had a different home, apart from the sky.
However much he insults me, I can take it with a smile,
By chance, the beloved's guard turns out to be a friend.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jo Ho Ek Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota;
Hamesha Ek Hi Se Pyaar Ho Aisa Nahi Hota;
Har Ek Kashti Ka Apna Tazurba Hota Hai Dariya Mein;
Safar Mein Roz Hi Manjhdhar Ho Aisa Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chipa Liya Karo;
Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaash Kite Tu Mere Naal Hunda;
Teriyan Akhan Vich Koi Sawaal Hunda;
Teriyan Baahan Vich Reh Ke Main Eh Dasdi;
Tere Jaan Te Mera Ki Hai Haal Hunda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
BhulaKar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
To BhulaKar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
Meri Fitrat Mein Nahi Hai Ye Aadat Varna;
Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;

Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;

Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;

Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;

Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;

Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Discourse over that ravishment, compounded with my eloquence,
Made a rival out of he, who used to be my confidant.
Oh Lord! Why would they imbibe so much in a stranger's gathering,
The limits of my endurance were put to the test today.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha;
Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha;
Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Mil Jaye Mujhe Tum Jaisa Ye Na-Mumkin Sahi;
Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Ye Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai;
Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai;
Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun;
Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thikana Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Baat Bas Se Nikal Chali Hai;
Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai;

Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai;
Ab Tabiyat Behal Chali Hai;

Ashk Khoonaab Ho Chale Hain;
Gham Kee Rangat Badal Chali Hai;

Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein;
Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai;

Lakh Paigam Ho Gaye Hain;
Jab Saba Ek Pal Chali Hai;

Jao, Ab So Raho Sitaro;
Dard Kee Raat Dhal Chali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
The visible darkness of my home is intensified by the night of pain,
The only proof of dawn is but a candle which has already been spent.
There is no word of an encounter, nor the joy of beholding,
For an age now, there has been peace between sight and hearing.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai;
Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai;
Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai;
Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane;
Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai;
Magar Zindagi Kisi Kee Mohabbat Nahi Banti;
Tamanna Le Kar Jeete Hain Sab Log;
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hasrat Hai Sirf Humein Tumhe Paane Kee;
Aur Koi Khawahish Ab Nahi Is Deewane Kee;
Shikwa Humein Tumse Nahi Khuda Se Hai;
Kya Zarurat Thi Tumhe Itna Khoobsurat Banane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab Ahista-Ahista;
Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista-Ahista;

Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda;
Haya Yaklakhat Aayi Aur Shabab Ahista-Ahista;

Shab-e-Furkat Ka Jagaa Hun Farishton Ab To Sone Do;
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Ahista-Ahista;

Sawal-e-Vasl Par Un Ko Adoo Ka Khauf Hai Itna;
Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Ahista- Ahista;

Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna;
Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Ahista- Ahista;

Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Un Se;
Huzoor Ahista-Ahista Janaab Ahista-Ahista!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Apni Gali Mein Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-e-Qatl;
Mere Pate Se Khalak Ko Kyon Tera Ghar Mile;
Saqi Gari Kee Sharm Karo Aaj Varna Hum;
Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jis Kadar Mile!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Do not bury me in your alley after my murder,
Why should my address bring the world to your home.
Practice the properieties of wine bearing today,
Other nights, I imbibe whatever can be found.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Taqdeer Ne Jaise Chaha Vaise Dhal Gaye Hum;
Bahut Sambhal Ke Chale Fir Bhi Fisal Gaye Hum;
Kisi Ne Vishwas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil;
Aur Logon Ko Lagta Hai Ki Badal Gaye Hum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Palkon Mein Aansu Aur Dil Mein Dard Soya Hai;
Hansne Walon Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai;
Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Is Tanhayi Ka Alam;
Jisne Zindagi Mein Kisi Ko Pane Se Pehle Khoya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kash Woh Samajhte Is Dil Kee Tadap Ko;
To Yun Humein Ruswa Na Kiya Hota;
Unki Ye Berukhi Bhi Manzoor Thi Humein;
Bas Ek Baar Humein Samjh Liya Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahi Mohabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narwa Hai Ishq;

Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
I sacrifice my life for you,
I never knew what prayer is.
I concede that Ghalib is nothing,
If it comes free, what's the harm in it?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Ko Unse Hai Wafa Kee Umeed;
Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai;
Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga;
Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
We hope for fidelity from them,
Who do not know what fidelity may be.
Yes, do well, well will come to you,
What else is the Dervish's cry?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yun Palke Bicha Kar Tera Intezar Karte Hain;
Yeh Wo Gunah Hai Jo Hum Baar Baar Karte Hain;
Jalakar Hasrat Kee Raah Par Chirag Arzoo Ke;
Hum Subah Aur Sham Tere Milne Ka Intezar Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai;
Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai;
Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari;
Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Har Khushi Se Khoobsurat Aapki Har Sham Kar Dun;
Apna Pyaar Aur Dosti Aapke Naam Kar Dun;
Mil Jaye Agar Dobara Ye Zindagi;
To Har Baar Ye Zindagi Aapke Naam Kar Dun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yahi Nahi Koi Toofaan Meri Talaash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Janaa Meri Talaash Mein Hai;

Visaal-Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitara-e-Shab-e-Hijra Meri Talaash Mein Hai;

Main Faisale Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
Kisi Ka Deedaa-e-Hairan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ek Karya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
Mui Charag Saar Unvan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwab Tha Dhadka Sa Lag Geya Dil Ko;
Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talaash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;
Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Uski Nazar Ko Fursat Hi Na Mili Hogi;
Varna Mera Marz Itna La-Ilaaj To Na Tha;
Humne To Wahan Bhi Mohabbat Hi Kee;
Jahan Mohabbat Ka Koi Riwaaz Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kya Wajha Hai Mere Darne Kee;
Ab To Khwaish Hai Unki Yaadon Mein Marne Kee;
Na Jane Unhein Kyon Itna Yaad Karta Hai Dil;
Jinhe Fursat Hi Nahi Hai Humein Yaad Karne Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge,
Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge;
Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye;
Har Gham Aapka Hum Bhula Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Socha Na Samjha Na Seekha Na Jana;
Mujhe Aa Geya Khud-Ba-Khud Dil Lagana;

Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana;
Simat Kar Yahin Aa Na Jaye Zamana;

Zubaan Par Lagi Hain Wafaon Kee Muhrein;
Khamoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana;

Gulon Tak Lagayi To Aasaan Hai Lekin;
Hai Dushwaar Kaanton Se Daaman Bachana;

Karo Laakh Tum Matam-e-Naujawani;
Pa 'Meer' Ab Nahi Aayega Wo Zamana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Main Bhi Munh Mein Jubaan Rakhta Hun;
Kaash Pucho Ki Mudda Kya Hai;
Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi Maujood;
Phir Yeh Hungama Ai Khuda Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
I also have a tongue in my mouth,
If only you could ask its articulation,
if there is nothing apart from you, Oh Lord!
Then what is this continual turmoil.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai;
Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai;
Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar;
Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Oh errant heart, what has transpired now,
Finally, what is the cure for this ache,
I desrie, the Other is indifferent,
Ah God, what is this performance.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wafa Kee Keemat Lagai Nahi Jati;
Humse Apni Chahat Chupayi Nahi Jati;
Is Kadar Mohabbat Hai Humein Unse;
Ki Unki Khata Bhi Humse Batai Nahi Jati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Ke Dard Ko Chupana Kitna Mushkil Hai;
Toot Kar Fir Muskurana Kitna Mushkil Hai;
Kisi Ke Saath Door Tak Jao Fir Dekh;
Akele Laut Ke Aana Kitna Mushkil Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai;
Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hai;
Puchna Hi Hai To Jalti Hui Laash Se Pucho;
Zindagi Mein Gham Aur Kafan Mein Chain Kitna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koei Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Veeran Hai Maykada Khum-o-Sagar Udas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Humne Haunsle Parwaradigaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Began Kar Diya;
Tum Se Bhi Dilfareb Hain Gham Rozgar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Nakardkaar Ke!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ye Kya Jaane Mein Jana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar;
Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;
Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthkar Khaak Aankhon Tak;
Isi Raaste Geya Hai Hasraton Ka Kafila Hokar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Yeh Safar Nikla;
Saare Jahaan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla;
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya;
Afsos Wahi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Qatil Teri Adaaon Ne Loota Hai;
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai;
Shaunk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka;
Mujhe To In Nashili Nigahon Ne Loota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zara Sa Katra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

Sharafaton Kee Yahan Koi Ahmiyat Hi Nahi;
Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai;

Zameen Kee Kaisi Viqalat Ho Phir Nahi Chalti;
Jab Aasmaan Se Koi Fainsla Utarta Hai;

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni See Baatein Hon;
Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
To whom can I even explain, the dark night of sepration,
What had I against death if only it did not come again and again.
Being so humiliated in death, why did I not drown instead,
Then there would be no funeral, no one required to mourn at my tomb.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya;
Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya;
Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Unhe Ye Shikayat Hai Humse Ki;
Hum Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hain;
Na-Samajh Hain Wo Ki Kya Jaane;
Humein To Har Chehre Mein Wahi Nazar Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Phir Chupke Se Yaad Aa Geya Koi;
Meri Aankhon Ko Phir Rula Geya Koi;
Kaise Uska Shukriya Karun Ada;
Jo Mujh Na-Chiz Ko Shayar Bana Geya Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuch Main Bhi Thak Geya Use Dhoondte Hue;
Kuch Zindagi Ke Paas Bhi Mohlat Nahi Rahi;
Us Kee Har Ek Ada Se Jhalakne Laga Khaloos;
Jab Mujh Ko Aitbar Kee Aadat Nahi Rahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Bekar Kee Baatein Karte Hain;
Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Kee Baatein Karte Hain;

Nahak Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-e-Fitrat Ka Dawa;
Aankhon Mein Nahi Hai Betabi Deedar Kee Baatein Karte Hain;

Kehte Hain Unhi Ko Dushman-e-Dil Naam Unhi Ka Naseh Bhi;
Wo Log Jo Reh Kar Sahil Par Majhdhar Kee Baatein Karte Hain;

Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahi Kuch Naz-e-Safar;
Chalne Ka Jinhe Maqdur Nahi Raftaar Kee Baatein Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Yeh Kahan Kee Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Naasih;
Koi Chaarasaaz Hota Koi Ghamgusar Hota;
Rang-e-Sang Se Tapkta Woh Lahu Ki Phir Na Thamta;
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
What kind of friendship, my friends have turned to be preaching,
No one brings solutions, no one brings comapssion.
The veined stone has burst into an incessant flow of blood,
When touched by the ember which you think is merely my grief.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko;
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ask my heart about your half-drawn bow,
This anguish would not arise had the arrow passed through my body.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Kee Rah Mein Raaste Badal Jate Hain;
Waqt Kee Aandhi Mein Insan Badal Jate Hain;
Sochte Hain Tumhein Itna Yaad Na Karein Lekin;
Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Deedar Tera Kiya Humne, Aaj Gairon Kee Qataar Se;
Na Nazar-e-Inayat Hui, Na Rooh Ko Sukun Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tujhe Tanha Kare;
Jaan Ban Ke Utar Jaa Uski Rooh Mein;
Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujh Se Wafa Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kis-Kis Ada Se Tune Jalwa Dikha Ke Mara;
Aazad Ho Chuke The, Banda Bana Ke Mara;

Awal Bana Ke Putla, Putle Mein Jaan Dali;
Phir Usko Khud Qaza Kee Soorat Mein Aake Mara;

Aankhon Mein Teri Zaalim Churiyaan Chupi Hui Hain;
Dekha Jidhar Ko Tune Palkein Uthake Mara;

Gunchon Mein Aake Mehka, Bulbul Mein Jake Chehka;
Isko Hansa Ke Mara, Usko Rula Ke Mara;

Sosan Kee Tarah 'Akbar', Khamosh Hain Yahan Par;
Naragis Mein Isne Chhip Kar Aankhein Lada Ke Mara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Barish Hui To Phulon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;
Badal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Har Zakhm Kisi Thokar Kee Meharbani Hai;
Meri Zindagi Bas Ek Kahani Hai;
Mita Dete Sanam Ke Dard Ko Seene Se;
Par Ye Dard Hi Uski Akhiri Nishani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kitab-e-Ishq Mein Jitne Alfaz Likhe Hain;
Dil Mein Mere Utne Ehsaas Rakhe Hain;
Tum Keh Kar Dekhte Sitamgar, Zalim;
Mere Labon Par Kitne Tere Naam Rakhe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Gila Aap Se Nahi Koi;
Gila Hum Apni Majbooriyon Se Karte Hain;
Aap Aaj Hamare Kareeb Na Sahi;
Mohabbat To Hum Aapki Dooriyon Se Bhi Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai;
Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai;

Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai;
Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai;

Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche;
Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai;

Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah;
Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yeh Na Thi Hamari Kismat Ki Visaal-e-Yaar Hota;
Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota;
Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhooth Jaana;
Ki Khushi Se Mar Na Jaate Agar Aitbar Hota!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
It was never in my fate to be united with my beloved,
If I had lived any longer, it would be nothing but more waiting.
Waiting with those promises that I know to be falsities,
Had I belief in them, I would have died of joy.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Main Ek Zarra Bulandi Ko Chhune Nikla Tha;
Hawa Ne Tham Ke Zamin Par Gira Diya Mujhko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye;
Aaj Tak Woh Humein Pehchan Na Paye;
Khud Hi Kar Li Bewafai Hum Ne Unse;
Taki Un Par Bewafai Ka Koi Ilzam Na Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Koi Vaada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hai;
Judai Ke Baad Bhi Humein Tujhse Pyaar Hai;
Tere Chehre Kee Udasi Kar Rahi Hai Bayaan Dastaan;
Ki Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dilon Se Khelne Ka Hunar Humein Nahi Aata;
Isi Liye Ishq Kee Baazi Hum Haar Gaye;
Meri Zindagi Se Shayad Unhein Bahut Pyaar Tha;
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Wo Maar Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aap Duniya Bhar Se Ulfat Kijiye;
Mujh Ko Mera Dil Inayat Kijiye;

Zabt Se Kya Khoon-e-Hasrat Kijiye;
Ek Nala Kar Ke Fursat Kijiye;

Joaf Kehta Hai Ki Manzil Door Hai;
Shauq Kehta Hai Kee Himmat Kijiye;

Gark Hi Hona Thaa Manzoor-e-Khuda;
Na-Khudaa Kee Kya Shikayat Kijiye;

Hazraat-e-'Natiq' Jahan Tak Ho Sake;
Apne Dil Mein Zabt-e-Ulfat Kijiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha;
Auron Pe Hai Woh Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha;
Chhoda Mah-e-Nakhshab Kee Tarah Dast-e-Qaza Ne;
Khurshid Hanuz Us Ke Barabar Na Hua Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Translation: You are no one's friend, albeit, the giver of pain,
The grief you inflicton others, you will not even bestow upon me.
Just as the hand of death can smash the image of Nakhshab's moon,
The sun's radiance will also vanish before it can match that of the beloved.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jee Dhoondta Hai Phir Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahen Tassavur-e-Jana Kiye Hue;
Ghalib Humein Na Chhed Ke Phir Josh-e-Ashq Se;
Baithe Hain Hum Tahayya-e-Toofan Kiye Hue!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
The soul seeks again that vacant time,
Night and day our memory re-imagining what the beloved is.
Ghalib do not torment us, for again with the storm of our tears,
We are sitting here having decided to unleash a hurricane at will.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga;
Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Na Bhula Paunga;
Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena;
Kyonki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain;
Kis Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain;
Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi;
Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Deewana Mat Kaho Mujh Ko Yun Achha Nahi Lagta;
Bada Afsos Hota Hai Jab Koi Apna Nahi Lagta;
Lagta Hai Ki Hogi Uski Bhi Kuch Majboori;
Uska Yun Chhod Kar Jana Achha Nahi Lagta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein;
Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein;

Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein;
Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein;

Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par;
Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein;

Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein;
Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein;

Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua;
Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab;
Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab;
Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Kee, Lekin Waqt Hum Se Bewafai Kar Geya;
Kuch To Hamare Naseeb Bure The, Kuch Us Ka Hum Se Jee Bhar Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Naam Ki Thi Joh Roshni Use Khud Hi Tum Ne Bujha Diya;
Na Jala Saki Jise Dhoop Bhi, Use Chandni Ne Jala Diya;
Hun Gardishon Mein Ghira Hua, Mujhe Ab Apni Khabar Nahi;
Wo Jo Shaqs Tha Mera Rehnuma, Use Raaston Mein Hi Ganwa Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jalne Do Zamane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
Nayi Duniya Basane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
Humein Jeevan Ka Har Lamha, Tumhare Naam Karna Hai;
Yahi Vaada Nibhane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Sukhan Mein Rang Tumhare Khayal Hi Ke To Hain;
Ye Sab Karishme Hawa-e-Visaal Hi Ke To Hain;

Kaha Tha Tumne Ki Aata Hai Kaun Ishq Kee Taab
So Hum Jawab Tumhare Sawal Hi Ke To Hain;

Zara Si Baat Hai Dil Mein, Agar Bayan Ho Jaye;
Tamaam Masle Izahar-e-Haal Hi Ke To Hain;

Yahan Bhi Iske Siwa Aur Kya Naseeb Humein;
Khutan Mein Reh Ke Bhi Chashme-Gizaal Hi Ke To Hain;

Hawaa Kee Zad Pe Hamara Safar Hai Kitni Der;
Charaag Hum Kisi Sham -e-Zawal Hi Ke To Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehman Kiye Hue;
Josh-e-Qadah Se Bazm Chiraghan Kiye Hue;
Karta Hun Jama Phir Jigar-e-Lakht Lakht Ko;
Arsa Hua Hai Dawat-e-Mizhgaan Kiye Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
It has been an age since my lover was hosted,
When heated wine lit candles through night,
Once again, I gather the pieces of my dismembered body,
What time has passed since I encountered those killing eyes.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Udaan Walo, Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai;
Paron Kee Abki Nahi, Haunslon Kee Bari Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mera Har Pal Aaj Khoobsurat Hai;
Dil Mein Jo Sirf Teri Hi Soorat Hai;
Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Ab Gham Nahi;
Duniya Se Jyada Mujhe Teri Jarurat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Sohne Hoan Chahe Lakh Sohne;
Meri Sarkar Jinha Koi Fabda Nahi;
Akhaan Rehan Dekhan Nu Tarsadian;
Chandra Dil Vi Dekh Rajjda Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jate Hain;
Akele The Hum, Akele Hi Reh Jate Hain;
Ab Apne Dil Ka Dard Hum Kise Dikhayein;
Kyonki Marham Lagane Wale Hi Ab Zakhm De Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Zoph Aata Hai Dil Ko Thaam To Lo;
Boliyo Mat Magar Salaam To Lo;

Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo;
Haath Se Mere Ek Jaam To Lo;

Inhin Baaton Pe Lautata Hun Main;
Gaali Phir De Ke Mera Naam To Lo;

Ek Nigaah Par Bike Hain 'Insha' Aaj;
Muft Mein Mol Ek Gulam To Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Nadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho Ghalib;
Kismat Mein Hai Marne Kee Tamanna Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ignorant are the ones who ask why Ghalib is still living,
My fate is that I should yearn for death until some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kis Ko Qatil Main Kahun Kis Ko Masiha Samajhun;
Sab Yahan Dost Hi Baithe Hain Kise Kya Samajhun;
Wo Bhi Kya Din The Ki Har Veham Yaqeen Hota Tha;
Ab Haqeeqat Nazar Aaye To Use Kya Samajhun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zakhm The Gehre Aur Na Aaya Mujhe Unhe Seena;
Uske Zakhmo Ke Bin Zindagi Mein Kya Jeena;
Agar Lafzo Mein Teri Tareef Karunga To Tere Husn Ke Be-Adbi Hogi;
Bas Tu Yeh Jaanle Ki Tere Bin To Chand Kee Chandni Bhi Adhuri Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Ton Door Rahaan Tan Kis Tarah;
Dil Da Haal Vi Dassan Tan Kis Tarah;
Bada Samjhaya Apne Kamle Dil Nu Sajjna;
Hun Isnu Hor Majboor Kara Ta Kis Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Nahi Tha Yakeen Kabhi Milna Padega Judai Ke Baad;
Phir Bhadak Uthenge Jazbat Tumhari Bewafai Ke Baad!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain;
Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain;

Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain;
Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain;

Main Shah Reh Nahin, Raste Ka Pathar Hun;
Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain;

Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hun;
Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain;

Ye Ek Ped Hai, Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum;
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain;

Kai Sitaron Ko Main Janata Hun Bachpan Se;
Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Haan Aye Falak-e-Pir Jawan Tha Abhi Arif;
Kya Tera Bigadta Jo Na Marta Koi Din Aur;
Tum Maah-e-Shab-e-Char-Duham The Mere Ghar Ke;
Phir Kyon Na Raha Ghar Ka Woh Naqsha Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yes, you Ancient sky! Arif was still young,
What would you lose, if he had not died untill some other day.
You were the full moon of my home,
Why could not that design remain until some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mohabbat Mein Main Khud Ko Bhool Jaunga;
Raha Wada Teri Shohbat Mein Main Duniya Bhool Jaunga;
Kabhi Aajmana Humein Bhi Apni Mehfil Mein;
Main Teri Khatir Duniya-e-Mehfil Bhool Jaunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta Hai;
Tamaam Umar Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai;
Ek Muqammal Shayari Hai Tu Kudrat Kee;
Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Sapne The, Un Sapno Ke Aap Sahil Hue;
Na Jane Kaise Hum Aapki Mohabbat Ke Kabil Hue;
Karazdar Rahenge Hum Us Haseen Pal Ke;
Jis Pal Aap Hamari Choti Si Duniya Mein Shamil Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Khushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-Hawasi Ka;
Ki Dhyan Hi Na Raha Gham Kee Be-Libasi Ka;

Chamak Uthe Hain Jo Dil Ke Kalas Yahan Se Abhi;
Guzar Hua Hai Khayalon Kee Dev-Dasi Ka;

Guzar Na Jaa Yun Hi Rukh Pher Kar Salaam To Le;
Humein To Der Se Daawa Hai Roo-Shanasi Ka;

Khuda Ko Maan Ki Tujh Lab Ke Choomane Ke Siva;
Koi Ilaaj Nahi Aaj Kee Udasi Ka;

Gire Pade Hue Patton Mein Shehar Dhoodhta Hai;
Ajeeb Taur Hai Iss Junglon Ke Baasi Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge;
Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Departing, you say, 'We shall meet on Judgement Day',
Marvellous! As if the day of judgement is some other day!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mit Jayega Sar Gar Tera Pathar Na Ghisega;
Hoon Dar Pe Tere Naasiyah-Farsa Koi Din Aur;
Aaye Ho Kal Aur Aaj Hi Kehte Ho Ke Jaaun;
Maana Ki Khamosh Nahi Acha Koi Din Aur!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
My forehead will bear the scar before your tombstone will,
I remain prostrate before your grave until some other day,
Arriving yesterday, and speaking today of leaving,
Granted not forever, but perhaps, some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jo Nahi Aata Uska Intezar Kyon Hota Hai;
Kisi Ke Liye Apna Yeh Haal Kyon Hota Hai;
Waise To Iss Duniya Mein Kafi Cheezein Pyaari Hain;
Jo Nahi Milta Usi Se Pyaar Kyon Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Dheere Se Sarkti Hai Raat Us Ke Aanchal Kee Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Khile Kamal Kee Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Toote To Use Sajana Seekho;
Koi Roothe To Use Manana Seekho;
Rishte To Milte Hain Muqaddar Se;
Bas Use Khoobsurti Se Nibhana Seekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua;
Iss Dil Kee Jheel See Aankhon Mein Ek Khwab Bahut Barbad Hua;

Ye Hijr-Hawa Bhi Dushman Hai Iss Naam Ke Saare Rangon Kee;
Wo Naam Jo Mere Honthon Pe Khushbu Kee Tarah Aabad Hua;

Us Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye;
Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hua;

Wo Apne Ganv Kee Galiyan Thi Dil Jin Mein Nachta Gata Tha;
Ab Iss Se Fark Nahi Padta Nashaad Hua Ya Shaad Hua;

Benaam Sataish Rehti Thi In Gehri Sanwali Aankhon Mein;
Aisa To Kabhi Socha Bhi Na Tha Ab Jitna Bedad Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
Main Shaad Hun Ki Hun To Kisi Kee Nigaah Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Badalte Iss Zamane Ne Sab Ko Badal Dala;
Khwabon Aur Khyalon Ko Bhi Badal Dala;
Na Badal Saka Us Bewafa Ko Pyaar Mera;
Jiske Liye Humne Apne Aap Ko Badal Dala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Siva Tere;
Mujhe Kisi Kee Jarurat Nahi Siva Tere;
Meri Nazar Ko Thi Jiski Talaash Barson Se;
Kisi Ke Paas Woh Surat Nahi Siva Tere!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Hote Agar Paas To Koi Shararat Karte;
Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte;
Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar;
Apni Khoyi Hui Neendo Kee Shikayat Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah;
Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah;

Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange;
Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah;

Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke;
Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah;

Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De;
Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur;
Tanha Gaye Kyon Ab Raho Tanha Koi Din Aur!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Our paths had to cross again some other day,
Going alone, now stay alone until some other day.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi;
Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai Zindagi;
Band Hain Dareechey Tamam Na Koi Kinara Dikhai De;
Nahi Maloom Ulfat Kee Hai Kaun Si Manzil;
Ki Tere Siwa Ab Na Humein Guzara Dikhai De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Wo Aate Hain To Dil Mein Ek Kasak Si Mehsoos Hoti Hai;
Main Darta Hun Ki Kahin Isi Ko Mohabbat To Nahi Kehte!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko;
Ki Har Koi Dekhna Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko;
Baarr-Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi;
Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

Sharafaton Kee Yahan Koi Ahemiyat Hi Nahi; Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai;

Zameen Kee Kaise Viqaalat Ho Phir Nahi Chalti;
Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai;

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni Si Baatein Hon;
Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Haan Woh Nahi Khuda Parast, Jao Woh Bewafa Sahi;
Jisko Ho Din-o-Dil Aziz Uski Gali Mein Jaye Kyon;
Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain;
Roiye Zaar Zaar Kya Kijiye Haaye Haaye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Granted they are not a lover of God, yes, they are unfaithful,
Whoever holds creed and heart beloved, do not dare to wander up their way.
Without this brittle Ghalib, what industry willbe stopped?
Why cry so incessantly, why lament so endlesly?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mohabbat Karli Tumse Bahut Sochne Ke Baad;
Ab Kisi Ko Dekhna Nahi Tumhe Dekhne Ke Baad;
Duniya Chhod Denge Tumhe Pane Ke Baad;
Khuda Maaf Kare Itna Jhooth Bolne Ke Baad!
FUNNY~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Ye Taraqqi Ka Zamana Hai Tere Aashiq Par;
Ungliyan Uthti Thi Ab Hath Utha Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Raah Takte Jab Thak Gayi Meri Aankhein;
Phir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansu Nikle!
ASHK~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai;
Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai;
Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar;
Yaad Aane Ke Woh Saare Hunar Rakhta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Husan Aur Uspe Husan-e-Zan, Rah Gayi Bul Hawas Ki Sharm;
Apne Pe Aitmaad Hai Ghair Ko Aazmayein Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔝🔝Beauty and its narcissism, ironically spare the lustful,
With seduction's assurance of its power, what need to test the rival?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ai Dost Humne Tarq-e-Mohabbat Ke Bawjood;
Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ai Khuda Kisi Ko Aisi Zindagi Na De;
Zindagi De To Yun Bebasi Na De;
Dil Mein Rahe Sada Chahtein Yaar Ke Milan Kee;
Par Na Ho Sake Mulaqat Unse Aisi Koi Mazboori Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Badli Jo Kaynaat Mujhe Iska Gham Nahi;
Lekin Bura Tha Naseeb Jo Tum Badal Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se;
Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se;
Woh Khafa Hain Ya Yeh Unki Koi Ada Hai;
Shikayat Bhi Kya Karein Ab Agar Yahi Hai Naseeb Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai;
Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai;

Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye;
Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai;

Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De;
Ab Chorr Di To Kyon Tera Chehra Malool Hai;

Ai Maan Yeh Meri Shohratein Meri Yeh Izatein;
Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai;

Aayi Jo Teri Yaad To Aankhein Baras Padi;
Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai;

⬉⬉Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane 'Wasi';
Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Qaid-e-Hayat-o-Band-e-Gham Asal Mein Dono Ek Hain;
Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nijaat Paye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉The prison-house of life and the chains of grief, in reality, are the same,
Before perishing, why should there be any release from suffering?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai;
Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai;
Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye;
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Pyaar Bahut Hai Tumse Magar Izhaar Nahi Karte;
Meri Khamoshi Se Yeh Na Samjhna Ki Tumse Pyaar Nahi Karte;
Meri Aankhein To Har Lamha Tumhari Raah Dekhti Hain;
Aur Tum Kehti Ho Hum Intezar Nahi Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho;
Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho;
Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat;
Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Zamana Badal Geya Badal Gaye Insaan Bhi;
Aaj Badla Sab Kuch Chahat Aur Pyaar Bhi;
Aaj Kisi Kee Nazar Mein Keemat Nahi Hai Khoon Kee;
Paisa Jis Kee Jeb Mein Wo Hi Sultaan Aur Ameer Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬈⬈Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Seh Nahi Sakte;
Hum Ek Shehar Mein Ab Khush Bhi Reh Nahi Sakte;

Yeh Roz-o-Shab Hain Hamare Ki Ek Dusre Se;
Chupaye Phirte Hain Ahwaal, Keh Nahi Sakte;

Shakist-e-Zaat Ka Izhaar Chahte Bhi Nahin;
Ajeeb Haal Hai, Hum Chup Bhi Reh Nahi Sakte;

Haqeeqton Kee Chattane Bhi Apni Raah Mein Hain;
Khayal-o-Khwab Ke Dariya Mein Beh Nahi Sakte;

Woh Be-Kasoor Hai, Aisi Bhi Koi Baat Nahin;
Kasoor-waar Hain Hum, Yeh Bhi Keh Nahin Saktey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jab Woh Jamaal-e-Dilfaroz, Surat-e-Mehr-e-Nim Roz;
Aap Hi Ho Nazara Soz, Parde Mein Munh Chhupaye Kyon;
Dashna-e-Ghamza Jaan Sataan, Naawak-e-Naaz Be Panah;
Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samne Tere Aaye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
The glorious beauty of that face, so much like the midday sun,
The manifests such blinding light, needs nothing like a veil.
Weaponry of seduction, arrows of untold invitation,
Could injure the reflected as much as the admirer.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaane Do Abb Iss Gusse Ko;
Ishq Ko Toh Bhi Nibhaana Hai.
Gussa Hai Aggar Aashiq Pe;
Toh Kabr Mein Kyun Isse Lajaana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Kee Rut Bata Gayi;
Phir Wahi Subah Aayegi Phir Wahi Sham Aa Gayi;
Mere Lahoo Mein Jal Uthe Utne Hi Taza Dam Chirag;
Waqt Kee Sazishi Hawa Jitne Diye Bujha Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samjhte Hain;
Apna Banate Hain Mere Har Gham Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain;
Khuda Har Ek Khushi De Aapko Har Ek Gham Humko Naseeb Ho;
Bas Yahi Dil Mein Sochkar Har Ek Dua Karte Hain!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Mere Marne Ke Baad Kisi Ko Koi Khaas Farq To Nahi Hoga;
Bas Ek Tanhayi Royegi Ki Mera Humsafar Chala Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Dukh Fasana Nahi Ki Tujh Se Kahen;
Dil Bhi Maana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab;
Khud Bhi Jana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Betarah Haal-e-Dil Hai Aur Tujh Se;
Dostana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar;
Ab Zamana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

⬉⬉Qaasid! Hum Faqeer Logo Ka;
Ek Thikana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ai Khudaa Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost;
Aab-O-Dana Nahn Ki Tujh Se Kahen;

Ab To Apna Bhi Us Gali Mein 'Faraz';
Aana Jana Nahi Ke Tujh Se Kahen!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyon;
Royenge Hum Hazar Baar Koi Humein Sataye Kyon;
Daer Nahi, Haram Nahi, Dar Nahi, Aastaan Nahi;
Baithe Hain Rehguzar Pe Hum Gair Humein Uthaye Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
It is only a heart, not stone or mortar, why should it not fill with pain,
We will wail a thousand times, why should anyone torment us.
It is not a temple, mosque, a dearly beloved's door, nor a patron's entryway,
We are wayfarers, why should anyone evict us!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se;
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Tootega To Fariyad Karoge Tum Bhi;
Hum Na Rahe To Humein Yaad Karoge Tum Bhi;
Aaj Kehte Ho Hamare Paas Waqt Nahi;
Par Ek Din Mere Liye Waqt Barbaad Karoge Tum Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon;
Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon;
Yun Nigahein Na Fer Mujhse Mere Sanam;
Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Yeh Kaisi Judai Hai Jisne Humein Shayar Bana Diya;
Yeh Kaisa Gham Hai Jisne Humein Bebas Bana Diya;
Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi;
Karte Bhi Kya Jab Aap Ne Hi Gair Bana Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na Ruswa Kiya Geya;
Gairon Ka Naam Mere Lahoo Se Likha Geyaa;

Nikla Tha Main Sada-e-Jaras Kee Talash Mein;
Bhule Se Iss Sukoot Ke Sehra Mein Aa Geya;

Kyon Aaj Us Ka Zikr Mujhe Khush Na Kar Saka;
Kyon Aaj Us Ka Naam Mera Dil Dukha Geya;

Iss Hadse Ko Sun Ke Karega Yakeen Koi;
Suraj Ko Ek Jhonka Hawa Ka Bujha Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
GHAZAL  
Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil;
Garmi-e-Bazm Hai Ek Raqs-e-Sharar Hone Tak;
Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaz;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Leisure for life is no more than the flash of a glance, o ignorant,
The warmth of festivity is one dance of the flame,
Asad, what can cure the grief of existence, except dying,
The candle is obliged to burn before extinguishing at dawn.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun;
Khwabon Hi Mein Sarf Ho Chuka Hun;
Sab Mere Bagair Mutmain Hain;
Main Sab Ke Bagair Jee Raha Hun!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dillagi Mein Dil Ko Hum Kaisa Rog Laga Baithe;
Zindagi Ko Chorh Kyon Maut Ko Gale Laga Baithe;
Humne Samjha Tha Dil Lagakar Dil Ko Chain Milega;
Aisi Lagi Chot Ke Dil Ko Bedard Se Dard Laga Baithe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Tum Khafa Ho Gaye To Koi Khushi Na Rahegi;
Tere Bina Chiragon Mein Roshni Na Rahegi;
Kya Kahe Kya Guzregi Dil Par;
Zinda To Rahenge Par Zindagi Na Rahegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬉⬉Tum Mere Dil Mein Aise Base Ho;
Jaise Ke Dil Kee Dhadkan Bane Ho;
Tumko Meri Jaan Khabar Hi Nahi Hai;
Mere Liye Tum Kya Ban Gaye Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Phool The Rang The Lamhon Kee Sabahat Hum The;
Aise Zinda The Ki Jeene Kee Alamat Hum The;

Sab Khirad-Mand Bane Phirte The Masha-Allah;
Bas Tere Shehar Mein Ik Sahib-e-Vehshat Hum The;

Naam Bakhsha Hai Tujhe Kis Ke Wufoor-e-Gham Ne;
Gar Koi Tha To Tere Mujrim-e-Shohrat Hum The;

Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko;
Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The;

Dhoop Ke Dasht Mein Kitna Wo Humein Dhundhta Tha;
'Aitabar' Us Ke Liye Abr Kee Soorat Hum The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Hum Ne Mana Ki Taghaful Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak;
Partawe-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem;
Main Bhi Hun Ek Inayat Kee Nazar Hone Tak!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈I agree that you will not remain indifferent but,
I will be dust by the time you become aware of me,
The sun's ray teaches a dewdrop how to vanish,
I live because you have not bestowed the grace of your attention upon me.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aisa Nahi Ki Unse Mohabbat Nahi Rahi;
Jazbaat Mein Wo Pehli Si Shiddat Nahi Rahi;
Sar Mein Wo Intezar Ka Saudaa Nahi Raha;
Dil Par Wo Dhadkano Kee Hukuumat Nahi Rahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Khud Ko Bhool Jayein To Koi Gham Nahi;
Aapko Agar Bhool Jayein Woh Hum Nahi;
Chahte Hain Hum Dosto Ko Jaan Se Bhi Jyada;
Unke Liye Apni Jaan Bhi Chali Jaye To Koi Gham Nahi!
I~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~     
Mujhe Apne Jism Kee Khushbu Se Madhosh Kar Do;
Mujhe Apni Nazuk Si Baahon Mein Mehsoor Kar Do;
Laga Ke Seene Se Mujhe Saare Gham Door Kar Do;
Main Tumse Juda Na Ho Saku Mujhe Itna Majboor Kar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil To Hai Jo Sirf Tujh Pe Hi Mare Ja Raha Hai;
Teri Yaad Mein Teri Tasbih Kiye Ja Raha Hai;
Ab To Yeh Judaai Ka Gham Hum Se Saha Nahi Ja Raha Hai;
Aur Ek Tu Hai Jo Door Reh Kar Hume Tadpaye Ja Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Dastan Kiye Hue;
Zamana Ho Geya Hai Un Ko Mehaman Kiye Hue;

Suroor-e-Aish Talkhi-e-Hayat Ne Bhula Diya;
Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jaan Kiye Hue;

Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Wo Aayenge;
Wo Aayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue;

Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Un Se Maang Loon;
Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Bekaran Kiye Hue;

⬈⬈Wo Aayenge To Aayenge Junoon-e-Shauq Ubharne;
Wo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue;

Main Un Kee Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon;
Ki Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Badguman Kiye Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betaab;
Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Hone Tak!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Love demands endurance, while desire is consuming,
What should be my state untill obsession devours patience.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Arz Farmaiya Hai:
Ishq Mein Zor Nahi Chalta, Ghalib;
Wah Wah!
Ishq Mein Zor Nahi Chalta, Ghalib;
Kabz Mein Bhi Nahi Chalta!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak;
Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nihang;
Dekhein Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hone Tak!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
A sigh requires a lifetime to take effect,
Who lives to reach the source of your journey,
The gaping mouths of a hundred crocodiles form netted traps in each wave,
Consider the labour within the sea-change of a raindrop to a pearl.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Ek Tukda Teri Yaadon Ki Chandni Ka Tod;
Nihara Use Der Tak, Hatheli Par Rakh Ke;
Phir Ek Phoonk Se Udaa Diya Kal Raat Maine;
Aaj Subah Dekhi Hai Tere Ehsaas Ki Dhund Har Taraf Faili Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Khoobsurat Sa Ek Pal Kissa Ban Jata Hai;
Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Ban Jata Hai;
Kuch Log Zindagi Mein Milte Hain Aise;
Jinse Kabhi Na Tootne Wala Rishta Ban Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Kismat Pe Naaz Hai To Wajah Hai Teri Mohabbat;
Khushiyan Jo Pass Hain To Wajah Hai Teri Mohabbat;
Main Tujh Se Mohabbat Kee Talab Kaise Na Karu;
Chalti Hain Yeh Saans To Wajah Hai Teri Mohabbat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Maine Kab Chaha Ki Main Us Kee Tamana Ho Jaoon;
Ye Bhee Kya Kam Hai Agar Us Ko Gawara Ho Jaoon;

Mujh Ko Unchai Se Girana Bhee Hai Manzoor, Agar;
Us Kee Palkon Se Jo Toote, Wo Sitara Ho Jaoon;

Lekar Ik Azm Uthun Roz Nayi Bheed Ke Sath;
Phir Wahei Bheed Chhate Aur Main Tanha Ho Jaoon;

Jab Talak Mahve-Nazar Hun, Main Tamashayi Hun;
Tuk Nigahein Jo Hata Loon To Tamasha Ho Jaoon;

Main Wo Bekar Sa Pal Hun, Na Koi Shabd, Na Sur;
Wo Agar Mujh Ko Rachale To Hamesha Ho Jaoon;

Aagahi Mera Marz Bhi Hai, Mudawa Bhi Hai 'Saaz';
Jis Se Marta Hun, Usee Zehar Se Achha Ho Jaoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jhhuki Nazro'n Mein Qayamat Ka Asar Hota Hai;
Husn Kuchh Aur Nikhar Jaata Hai Sharmaane Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aafat To Hai Wo Naaz Bhi Andaaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par Wo Ada Aur Hi Kuch Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔂🔂Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati;
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati;
Ajeeb Log Hain Iss Zamane Mein;
Koi Bhool Nahi Pata 🔁🔁Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Rone Se Kabhi Kisi Ko Kuch Hasil Nahi Hota;
Jo Bichhad Jaye Woh Sathi Nahi Hota;
Dusro Kee To Hum Mehfil Sajate Rehte Hain;
Par Hamari Tanhai Mein Kabhi Koi Shamil Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya;
Par Iss Dil Ko Kabhi Itna Bekarar Nahi Kiya;
Bas Aankhon Mein Unke Sapne Sajaye Rakhe Hain;
Magar Kabhi Humne Honthon Se Ishq Ka Izhar Nahi Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;

Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;

Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;

⧬⧬Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;

Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
Silsila Khatm Na ⬈⬈Hoga Mere Afsane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ghalib Nadeem-e-Dost Se Aati Hai Bu-e-Dost;
Mashghul-e-Haq Hoon Bandagi-e-Bu Turaab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Ghalib, the fragrance of the Lord emantes from the Lord's Companion,
Recognizing Ali has become a business of my truth.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔝🔝Kaise Kahe Ki Usko Bhi Humse Hai Koi Vaasta;
Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chand Kee Taraf Dekh Ke Fariyaad Mangte Hain;
Hum Zindagi Mein Bas Tera Pyaar Mangte Hain;
Bhool Ke Bhi Kabhi Mujhse Door Mat Jana;
Hum Kaun Sa Tujhse Teri Jaan Mangte Hai!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Mohabbat Wafa Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
Duniya Mein Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
Tumhare Paas Mere Bina Sab Kuch Hai;
Par Hamare Paas Tumhare Siwa Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham;
Main Chah Kar Bhi Use Sil Na Paya;
Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hu Main To Yaaro;
Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Nhi Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha;
Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha;

Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz;
Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha;

⬉⬉Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga;
Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha;

Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna;
Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha;

Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain;
Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Hai Ghalib Ghalib Jisko Samjhtey Hain Hum Shuhood;
Hain Khwab Mein ⬉⬉Hanooz Jo Jaage Hain Khwab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
The deep decorum of the hidden is misread as revelation,
The clairvoyant lost in dreams, dreams he is awake.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
🔀Khwabida Zindagi Thi Jagaa Kar Chale Gaye;
Chehre Tak Aasteen Wo Lakar Chale Gaye;
Kya Raaz Tha Ki Jis Ko Chipakar Chale Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Kujh Yaaran Nu Si Parkhiya Main;
Kujh Yaari Meri Parakh Gaye;
Lakh Bura Keha, Kujh Russe Na;
Kujh Bina Kahe Hi Harakh Gaye;
Kujh Vaarde Si Jaan Mere To;
Kujh Aayi Musibat Sarak Gayee;
Kujh Mere To Vichhad Ke Khush Hoye;
Kujh Sanu Vekhan Layi Taras Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi;
Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi;
Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein;
Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mujhe Rula Kar Dil Uska Bhi To Roya Hoga;
Chehra Aansuon Se Usne Bhi To Dhoya Hoga;
Agar Na Kiya Hasil Kuch Humne Pyaar Mein;
Kuchh Na Kuch To Usne Bhi Zaroor Khoya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya;
Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya;

Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega;
Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya;

Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye;
Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya;

Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi;
Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho Geya;

Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah;
Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya;

Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka;
Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aarish-e-Jamaal Se Faarigh Nahi Hanooz;
Pesh-e-Nazar Hai Aaina Daaim Naqab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
The embellishment of the ravishing is never to be done,
Inside the seculusion of the veil, the mirror lives constantly.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
🔂🔂Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh Be-Naqab Aaya;
Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya;
Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijaab Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀Hamari Tanhai Mitane Ke Liye Kaun Aayega;
In Roti Hui Aankhon Ko Chup Karane Kaun Aayega;
Kisi Ko Ab Zaroorat Hi Nahi Hai Hamari Dosto;
Sochte Hain Agar Mar Gaye To Dafnane Kaun Aayega!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Maut Se Keh Do Ki Hum Se Naraazgi Khatam Kar Le Ab;
Woh Bhi Bahut Badal Gaye Hain Jinke Liye Jiya Karte The Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Main Aadat Hun Uski, Woh Zaroorat Hai Meri;
Main Farmaish Hun Uski, Woh Ibadat Hai Meri;
Itni Aasani Se Kaise Nikal Dun Use Apne Dil Se;
Main Khwab Hun Uska Woh Haqeeqat Hai Meri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain;
Jaise Bichhade Hue Kabe Mein Sanam Aate Hain;

Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Tare Roshan;
Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain;

Raqs-e-May Tez Karo, Saaz Kee Lai Tez Karo;
Su-e-Maikhana Safiraan-e-Haram Aate Hain;

Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag;
Woh To Jab Aate Hain Mail-ba-Karam Aate Hain;

Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho;
Dil Bhi Kam Dukhata Hai Woh Yaad Bhi Kam Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬈⬈Sharam Ek Ada-e-Naaz Hai Apne Hi Se Sahi;
Hai Kitne Behijab Ki Yun Hai Hijab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Reticence is a form of pride, even with oneself,
No matter how unveiled you are within your many veils.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai;
Arzoo Kisiki Aur Bandgi Kisiki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai;
Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Kee Ja Sakti;
Khud Ko Itni Bhi Aziyat Nahi Di Ja Sakti;
Jante Hain Ki Yakeen Toot Raha Hai Dil Par;
Phir Bhi Ab Tark Ye Vehshat Nahi Kee Ja Sakti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi;
Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane Wale Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉⬉Na Koi Kisi Se Door Hota Hai;
Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai;
Aata Hai Chal Pyaar Khud Uske Paas;
Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yun To Hum Dushmanon Ke Kaafilon Se Sar Utha Kar Guzar Jaate Hain;
Khauf To Aksar Apno Kee Galiyon Se Guzarne Mein Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe;
Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe;

Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth;
Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe;

Rooh Phoonkega Mohabbat Kee Mere Paikar Mein Woh;
Phir Woh Apne Samne Be-Jaan Kar Dega Mujhe;

Khwahishon Ka Khoon Bahega Sar-e-Bazar-e-Shauq;
Aur Mukammal Be-e-Sar-o-Saman Kar Dega Mujhe;

Munahadim Kar Dega Aa Kar Sari Tameeraat-e-Dil;
Dekhte Hee Dekhte Veeran Kar Dega Mujhe;

Ek Naa-Maujudgi Reh Jayegi Charon Taraf;
Rafta Rafta Iss Qadar Sunsaan Kar Dega Mujhe;

Ya To Mujh Se Woh Chuda Dega Ghazal-Goyi 'Zafar'
Ya Kisi Din Sahab-e-Deevaan Kar Degaa Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr;
Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
What appears as confirmation of the Ocean's actuality,
Is it merely a sum total of wave, drop, phosphorescence.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum;
Aaya Bhi Aur Geya Bhi Zamana Bahar Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔝🔝Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;
Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;
Hume To Intezar Hai Us Sham Ka;
Jo Aaye Kabhi Tumhein Saath Lekar!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Kee Aayi Aur Rulati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka;
Khusiyan Dhundti Rahe Aashiyana Aapka;
Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho;
Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak;

Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab;
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak;

Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak;

Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj;
Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai;
Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭I am equidistanced from my own reality,
In proportion to the illusion of otherness.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Gham-e-Ishq Reh Geya Hai, Gham-e-Justjuu Me Dhalkar;
Woh Nazar Se Chipp Gaye Hain Meri Zindagi Badalkar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko;
Har Koi Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko;
Baar Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi;
Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Yun To Duniya Mein Sahare Bahut Hain;
Hamare Jaise Tumhare Chahne Wale Bahut Hain;
Kis Kiska Haal Ab Tum Ja Kar Puchoge;
Yun To Zamane Mein Tumhare Deewane Bahut Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna Kar De;
Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi;
Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu;
Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⬉⬉Nazar Se Nazar Kee Mulaqat Dekhi Hai;
Pyaar Mein Hote Hue Teeron Kee Barsaat Dekhi Hai;
Yun To Lakhon Dekhe Hain Humne Dil Lagane Wale;
Par Teri Chahat Mein Humne Baat Koi Khaas Dekhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Tumhein Dekha Aur Pehli Nazar Mein Apni Zindagi Bana Liya;
Aaj Pa Kar Tumhein Humne Apna Khuda Hai Pa Liya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Aansu Na Hote To Aankh Itni Khoobsurat Na Hoti;
Dard Na Hota To Khushiyon Kee Keemat Na Hoti;
Poori Karta Rabb Yun Hi Sab Muradein;
To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ek Jaam Khankta Jaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;
Ek Hoshruba Inaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Wo Dekh Sitaron Ke Moti Har Aan Bikhrte Jaate Hain;
Aflaak Pe Hai Kohram, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Yeh Waqt Nahi Hai Baaton Ka Palkon Ke Saaye Kaam Mein La;
Ilham Koi Ilham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Madhoshi Mein Ehsas Ki Unche Jeene Se Gir Jaane De;
Iss Waqt Na Mujh Ko Tham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Rau Mein Hai Rakhsh-e-Umr Kahan Dekhiye Thamey;
Na Haath Baag Par Hai Na Pa Hai Rakab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀The horseman of life speeds by, where can it be stopped,
There are no hands on the reins, no feet in the stirrups.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama;
Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Listening, why does a soul struggle to leave its body,
If the divine voice resides in the instruments before us.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yeh Ishq Wale Wafa Kee Keemat Kya Jaane;
Bewafa Hai Yeh Gham-e-Mohabbat Kya Jaane;
Milta Ho Jinhe Har Mod Pe Naya Humsafar;
Woh Sachhe Pyaar Kee Keemat Kya Jane!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Yeh Na Puch Ki Shikayatein Kitni Hain Tujhse Ai Zindagi;
Sirf Yeh Bata Ki Tera Koi Aur Sitam Baaki To Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~      
Ishq Tujse Karta Hun Main Zindagi Se Bhi Jyada;
Main Darta Nahi Maut Se Teri Judai Se Jyada;
Chahe To Aajma Le Mujhe Kisi Aur Se Jyada;
Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Mohabbat Se Jyada!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;

Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;

Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;

Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;

Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


🔺🔺Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humne Manga Tha Saath Unka;
Woh Judai Ka Gham De Gaye;
Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi Jee Lete;
Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum;
Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum;
Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari;
Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand;
Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Why today so disgraced, when yesterday was impermissible.
An angel's arrogant refusal to bow for me.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar;
Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko;
Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko;
Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye;
Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai;
Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa;
Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Zindagi Se Kyon Rooth Gaye Ho Tum;
Itne Mayus Kyon Ho Gaye Ho Tum;
Zaroor Tumhara Bhi Kisi Ne Dil Toda Hai;
Jo Itne Gham-Geen Ho Gaye Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉⬉Teri Tarha Malal Mujhe Bhi Nahi Raha;
Ja Ab Tera Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Tu Ne Bhi Mausamon Kee Pazeerai Chhod Di;
Ab Shauq-e-Mah-e-Visaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Mera Jawab Kya Tha Tujhe Bhi Khabar Nahi;
Yaad Ab Tera Sawaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Jis Baat Ka Khayaal Na Tu Ne Kabhi Kiya;
Us Baat Ka Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Toda Hai Tu Ne Jab Se 🔝🔝🔝Mere Dil Ka Aaina;
Andaza-e-Jamal Mujhe Bhi Nahi Raha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein;
Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Why Parsimony today in the promise of tomorrow's imbibing.
This surely is an insult to the generosity of heaven's thirst-quencher.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Mere Liye Ab Koi Ilzam Na Dhoondo;
Chaha Tha Tumhein Ek Yahi Ilzam Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ai Zindagi Yun Mujhse Tu Daga Na Kar;
Zinda Rahu Main Ye Tu Dua Na Kar;
Koi Chhuta Hai Tujhe To Hoti Hai Jalan;
Ai Hawa Tu Bhi Use Chhuaa Na Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya;
Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Khoobsurati Kee Pehchan Banawat Se Nahi Hoti;
Mohabbat Kee Pehchan Dhadkano Kee Aahat Se Nahi Hoti;
Kaise Samajh Liya Khush Hain Hum Aapke Bagair;
Khushiyon Kee Pehchan Sirf Muskurahat Se Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Dukh De Kar Sawal Karte Ho;
Tum Bhi Ghalib Kamaal Karte Ho;

Dekh Kar Puch Liya Haal Mera;
Chalo Kuch To Khayaal Karte Ho;

Shehar-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi;
Ye Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho;

Marna Chahe To Mar Nahi Sakte;
Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho;

Ab Kis Kis Kee Misaal Dun Tumko;
Har Sitam Be-Misaal Karte Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Bhi Ek Sham Bahut Uljhe Hue The Khud Mein;
Ek Sham Usko Bhi Haalat Ne Mohlat Nahin Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar;
Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar;
Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di;
Jise Dil Mein Basaya Tha Dhadkan Banakar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Har Lamha Hum Unhein Yaad Karte Rahe;
Unki Yaad Mein Mar-Mar Ke Jeete Rahe;
Ashq Aankon Se Hamari Behte Rahe;
Hum Ashqon Ke Jaam Peete Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Raaton Ka Manzar Azeeb Lagta Hai;
Saya Teri Yaadon Ka Kareeb Lagta Hai;
Lehrein Aakar Waapis Ho Jaati Hain;
Woh Sahil Tanha Azeeb Lagta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai;
Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The Vahshat Ke Bagair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua;
Har Yaad Par Dil Ka Dard Taza Hua;
Suni Thi Sirf Ghazalo Mein Judai Ki Baatein;
Jab Khud Par Beeti To Haqeeqat Ka Andaza Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
🔁🔁Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi;
Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi;
Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana;
Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi!
BEWAFA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Zubaan Se Tumhein Keh Nahi Sakte;
Isliye Hamesha Khuda Se Fariyad Karte Hain;
Jab Bhi Dil Dhadke Tumhara Zor Zor Se;
Samajh Lena Hum Tumhein Dil Se Yaad Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh Jayega;
Door Tak Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jayega;

Dard Kee Sari Tahe Aur Saare Guzre Hadse;
Sab Dhuan Ho Jayenge Ek Waakiya Reh Jayega;

Yun Bhi Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar;
Ye Bhi Hoga Khud Usi Mein Ek Khala Reh Jayega;

Dayre Insan Ke Inkar Ke Iqrar Kee Sargoshiya;
Ye Agar Kabhi Toote To Fasla Reh Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kal Jinhe Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Kee Nazar;
Aaj Wo Raunaq-e-Bazar Nazar Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwaab Toote;
Na Jane Kitne Tukdon Mein Armaan Toote;
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
Har Aaine Ke Saath Lakhon Jazbaat Toote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Ke Dard Ko Chupana Jitna Mushkil Hai;
Toot Kar Fir Muskurana Utna Hi Mushkil Hai;
Kisi Ke Sath Door Tak Jao Aur Fir Dekho;
Ki Akele Laut Kar Aana Kitna Mushkil Hai!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Wala Hota;
To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote;
Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota;
To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein;
Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein;

Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla;
Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein;

Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi;
Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein;

Ek Duniya Ka Qaseeda Tha Agarche Mere Naam;
Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein;

Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur;
Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Ishq ki Chahat Mein Hum Reh Reh Kar Reh Gaye;
Teri Waafa Ki Justju Mein Beh Beh Kar Beh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt;
Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔀🔀Woh Begaano Mein Apne;
Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain;
Hamare Khoon Ki Bhi Keemat Nahi;
Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Hue Hain;
Unke Liye Hum Har Khusi Bhulaye Hue Hain;
Najar Nahi Aate Par Tadap Mahsoos Hoti Hai;
Andekhe Yaar Ke Liye Sapne Sajaye Hue Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Ye Doori Kardi;
Bhichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi;
Mere Mukaddar Mein Gham Aaye To Kya Hua;
Khuda Ne Uski Khwaish To Poori Kardi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Shaan Se Pyaar Ka Izhar Karenge;
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge;

Dekh Ke Jalegi Duniya Saari;
Iss Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge;

Denge Salaami Sab Humko;
Jab Pyaar Ko Hum Bayaan Karenge;

Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam;
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge;

Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar;
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge;

Saaye Ki Tarah Tujhse Lipte Rahenge;
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
🔝🔝Baarish Hue Bheeg Gaye Hum;
Baarish Hue Bheeg Gaye Hum;
Rajinikanth Ne Phuk Maari;
Aur Fir Kya - Sukh Gaye Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Shikwa Kisi Ka Na Fariyad Kisi Kee;
Honi Thi Yun Hi Zindagi Barbaad Kisi Kee;
Ehsas Mita Talash Miti Mit Gayi Umeedein;
Sab Mit Geya Par Na Mit Saki Yaad Kisi Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Na Dil Ka Rog Tha, Na Yaadein Thi, Aur Na Hi Ye Hijar;
Tere Pyaar Se Pehle Kee Neendein Bhi Kamaal Kee Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe;
Pathar Pe Hun Lakeer, Mita Dijiye Mujhe;
Har Roz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko;
Main Kya Hun, Aik Baar Bata Dijiye Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬈⬈Shehar Mein Dhoond Raha Hun Ki Sahara De De;
Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kasa De De;

Pedh Sab Nange Faqiron Kee Tarah Sehme Hain;
Kis Se Ummeed Ye Kee Jaye Ki Saya De De;

Waqt Kee Sangjani Noch Gayi Sare Naqsh;
Ab Woh Aaina Kahan Jo Mera Chehra De De;

Dushmano Kee Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaye;
Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhokha De De;

Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaunga;
Meri Tanhayi Yahan Kuch Dino Pehra De De;

Jis Ne Katron Ko Bhi Mohtaz Kiya Mujh Ko;
Wo Josh Mein Agar Aa Jaye To Dariya De De;

Tum Ko 'Rahat' Kee Tabiyat Ka Nahi Andaza;
Woh Bhikari Hai Magar Maango To Duniya De De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Juda Kisi Se Kisi Ka Gharaz Habeeb Na Ho;
Ye Dagh Woh Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Woh Lamhe Rulate Hain Humko Raat Din;
Woh Lamhe, Unka Bhi To Dil Dukhate Honge;
Jab Kabhi Bhi Woh, Padh Lete Honge Nagme Hamare;
Naam Apna Padhkar, Aankho Se Ashk Jhalak Aate Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai;
Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai;
Iss Umeed Ke Saath Ki Aayenge Woh Kabhi;
Humne Har Raah Pe Apni Palkein Bichha Rakhi Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧬⧬Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsaane Kee;
Maine Pal Pal Kee Kosish, Uske Pass Jaane Kee;
Naseeb The Meri Ya, Sazish Zamane Kee;
Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
Sare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Mashuq Ishq Aashiq Hai;
Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahin Mohabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;

Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mehfil Mein Mere Zikar Ke Aate Hi Uthe Woh;
Ruswa-e-Mohabbat Ka Ye Ezaz To Dekho!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Mein Kisi Ek Se Karo Pyaar Itna;
Ki Kisi Aur Se Pyaar Karne Kee Gunjaish Na Rahe;
Woh Muskurade Aap Ko Dekh Kar Ek Baar;
To Zinadgi Se Phir Koi Khwaish Na Rahe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬈⬈Roz Dhalti Hui Shaam Se Darr Lagta Hai;
Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Darr Lagta Hai; Jab Se Mila Hai Dhokha Iss Ishq Mein;
Tabse Ishq Ke Naam Se Bhi Darr Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mohabbat Kee Daastan Sunane Aaye Hain;
Tabah Karne Ke Baad Woh Pyaar Jatane Aaye Hain; Aansu Ponch Liye The Hum Ne Kab Ke;
Magar Woh Fir Se Aaj Hume Rulane Aaye Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Humein Koi Gham Nahi Tha Gham-e-Aashiqui Se Pehle;
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle;

Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasur Iss Mein;
Tere Gham Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle;

Mera Pyaar Jal Raha Hai Ai Chand Aaj Chhup Jaa;
Kabhi Pyaar Tha Humein Bhi Teri Chandni Se Pehle;

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota;
Ki Hazaron Gham Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pehle;

Ye Ajeeb Imtihan Hai Ki Tum Hi Ko Bhulana Hai;
Mile Kab The Iss Tarah Hum Tumhein Bedili Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;
Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Takdeer Se Shikwa Bhi Karein To Kis Tarah Karein;
Iss Takdeer Ne Humko Milaaya Bhi Tha Unse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta;
Zakhm Kitne Hain Dikha Nahi Sakta;
Aankhon Se Samajh Sako To Samajh Lo;
Aansu Gire Hain Kitne ⬊⬊Gina Nahi Sakta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬊⬊Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samajhte Hain;
Apna Banaate Hain Mere Har Gham Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain;
Khuda Har Ek Khushi De Aapko, Har Ek Gham Humko Naseeb Ho;
🔀🔀Bas Yehi Dil Mein Sochkar Har Ek Dua Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Raah Aasaan Ho Gayi Hogi;
Jaan Pehchaan Ho Gayi Hogi;

Phir Palat Kar Nigah Naahi Aayi;
Tujh Pe Kurbaan Ho Gayi Hogi;

Teri Zulfon Ko Chedati Thi Saba;
Khud Pareshaan Ho Gayi Hogi;

Maut Se Tere Dardmandon Kee;
Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi;

Un Se Bhi Chheen Loge Yaad Apni;
Jinka Imaan Ho Gayi Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe;
Ki Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe;
Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe;
Shab-e-Firaaq Ne Mara Litaa Litaa Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Gar Jo Dil Kee Suno To Haar Jaoge;
Hum Jaisa Pyaar Phir Kaha Se Paoge;
Jaan Dene Kee Baat To Har Koi Karta Hai;
Par Zindagi Banane Wala Kahan Se Laoge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Tadapte Hain Din Raat Par Jatate Nahi;
Haal-e-Dil Koi Puche Hum Batate Nahi;
Sunkar Aapko Hogi Hairat Badi Dosto;
Hum Unhe Chahte Hain Jo Hume Chahte Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Aaj Tanha Sahi Lekin Kal Manjar Nazar Aayega;
Har Juban Pe Naam Har Nazar Mein Chehra Nazar Aayega;
Mumkin Hai Mujhko Bhi Bhool Jayegi Duniya Lekin;
Dil Mein Tamam Umar Chehra Nazar Aayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ab Jo Laute Ho Itne Saalon Mein;
Dhoop Utri Hui Hai Baalon Mein;

Tum Meri Aankh Ke Samandar Mein;
Tum Meri Rooh Ke Ujalon Mein;

Phool Hi Phool Khil Uthe Mujh Mein;
Kaun Aaya Mere Khayalon Mein;

Maine Jee Bhar Ke Tujh Ko Dekh Liya;
Tujh Ko Uljhaa Ke Kuch Sawalon Mein;

⧬⧬Meri Khushiyon Kee Kayenat Bhi Tu;
Tu Hi Dukh Dard Ke Hawalon Mein;

Jab Tera Doston Mein Zikar Aaye;
Theess Uthti Hai Dil Ke Chaalon Mein;

Tum Se Abaad Hai Yeh Tanhai;
Tum Hi Roshan Ho Ghar Ke Jaalon Mein;

Kya Use Yaad Aa Raha Hun 'Wasi';
Rang Ubhre Hain Uss Ke Gaalon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Bas Ek Jhijak Hai Yahi Haal-e-Dil Sunane Mein;
Ki Tera Zikr Bhi Aayega Iss Fasane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aapki Yaad Dil Ko Bekarar Karti Hai;
Nazar Talash Aapko Bar Bar Karti Hai;
Gila Nahi Jo Hum Hain Door Aapse;
Hamari To Judai Be Aapse Pyaar Karti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le;
Mujhe Yaad Rakh, Beshak Naam Na Le;
Tera Veham Hai Ki Hum Bhool Gaye Tujhe;
Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Meri Yaadon Kee Kashti Uss Samandar Mein Tairti Hai;
Jis Mein Paani Meri Apni Hi Palkon Ka Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare;
Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare;

Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar;
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Kare;

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein;
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare;

⧭⧭Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain;
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare;

Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand;
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare;

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai;
'Qateel' Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe;
⧭⧭Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage;
🔺🔺Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage;
🔝🔝Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar;
🔺🔺Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage!

No comments :

Post a Comment