- Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi
- Annkho me ashk na rahe par Zindagi roti rahi
- dekha tha khwab par anjaam kuch aisa hua
- dil mera tadapta raha aur wo bhi roti rahi
- besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di
- kafan na nasib hua kabra ko lash roti rahi
- aaj to us maa ne apne bacche sula diye
- kal ki fikra me raat bhar daman bhigoti rahi
- behisab khwahisho ka bojh itna badh gaya
- khwahisho ki bheed me zindagi khoti rahi...
- =================================================
- Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti
- Har Wafa Adda Nahi Hoti
- Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai
- Puri Koi Dua Nahi Hoti
- Mil Gaye Har Aik Gaam Per!
- Doosti Woh Dawa Nahi Hoti
- Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin
- Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti
- Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb
- Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti
- Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
- Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti..
- =================================================
- Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye Mere Dil Ko Jalaate Gaye,
- Hum Kitne Unki Baato Me Aate Gaye.
- Bulate The Tanhai Me Apne Matlab Ke Liye Hume,
- Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye.
- Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The,
- Hum Unki Har Zid Ko Seene Se Lagate Gaye.
- Unki Aankho Ko Dekhe Tamanna Hamari Bhi Hoti Thi,
- Hardam Bas Is Majboori Ka Fayda Wo Uthate Gaye.
- Ab Kaise Kare Is Zamane Par Yakeen Hum doston,
- Jo Apne Bahut Khaas The Wo Hi Rulate Gaye.
- Ek Wo Bhi Daur Tha Ke Hamari Zara Si Aah Par Gamgeen Ho Jati Thi Wo,
- Pata Nahi Ab Kyu Apni Har Wo Bhulate Gaye.
- Barso Se Apna Maan Liya Tha Unko Humne,
- Fir Beech Majdhar Me Humko Wo Bahate Gaye..
- =================================================
- Pyar main dhokha khakar hum badnam ho gaye
- Har gali har chauk par mere charche aam ho gaye
- Har baji ki tarah pyar ki baji bhi hara
- Bagair chale hi mere kadam bekam ho gaye
- Aanshu ke sath-sath mujhe itni to khushi mili
- Ki akhbar ki surkhiyon main mere bhi nam ho gaye
- Hushn walon ko to koi dosh hi nahi deta
- Apne upar hi sare ilzam ho gaye
- Gam iss bat ka raha ki un hatho ko mehdi hi mila
- Aur ‘Avinash’ ke hatho main chhalkte jam ho gaye ..
- =================================================
- Ae KHUDA Tu Mujhe Jawab De
- K
- Yon Wo Chala Gaya Mujhko Chor Ke
- Hum To Uski Jhalak Ke Deewane The
- Uske Chand Se Chehre Ke Parwane The
- Uski Baaton Main
- Dil Lagai Bethe Hen
- Uska Naam Bar Bar Kehte Hen
- Wo, Jo Bina Bolay Baat Samjah De
- Aur Hume Humise Chura Le
- Uske Saath Hum Apne Sapne Saja Len
- Aj Is Tanhai Mai Rota Hai Ye Dil
- Tujhko Bulata Hai Ke Ek Dafa Mil
- Tum Na Aai, Aai Gi Tumari Yaad Hume
- Tumne Chor Diya, Choren Ge Nahi Ghum Hume
- Tere Bin Zamane Ka Saamna Na Kar Paen Gen
- Tere Bin Hum Yun Hi Duniya Se Chale Jaen Gen
- Ye Sun Kar Tum Meri Kabar Pe Mat Ana
- Na Hi Koi Phool Lekar Koi Ansoo Bahana
- Kyon Ke Hum Tujhse Apna Rishta Tor Len Ge
- Mera KHUDA Tera Saath Kisi Aur Se Jor De Gen….
- =================================================
- Zindagi ki uljhano mein ulajhta raha
- Bas uske pyar ke liye hardum tarasta raha
- Jaanta tha woh shayad hi kabhi mujhe haasil hogi
- Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
- Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
- Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
- Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
- Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha...
- =================================================
- Gila gila sa yeh samah bhiga raha hai mujhko,
- Kisi ke yaad mein yeh dil rula raha hai mujhko,
- Dil ki baat poh chaun tum tak kaise yeh zamane ka dar sata raha hai mujhko..
- Gila gila sa yeh samah bhiga raha hai mujhko,
- Raatey teri yaad mein yeh dil jaga raha hai mujhko,
- Hoga kiya yakin tujhe mere pyar pe yeh ehsaas dara raha hai mujhko,
- Gila gila sa yeh samah bhiga raha hai mujhko.
- =================================================
- Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
- Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi
- Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
- Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi
- Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
- Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi
- Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
- Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi
- Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
- Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi.
- =================================================
- Jidhar dekho uski bewafaai ke charche aam hote gaye
- Kahin toh jaakar thamegi woh bewafa shehar badalte badalte.
- =================================================
- Dil Nahi Chahta Mera Hansne Ko Israar Na Kar
- Aansoo Bhi Toone Diye Chahe To Iqraar Na Kar
- Ab To Dil Chahta Hai Din Raat Andhero Me Rahu
- Roshni Jhoonth Ki Dekar Mujhe Bezaar Na Kar
- Ujdhe Ujdhe Se Manzar Ko Kaha Tak Dekhu
- Neend Aankho Mein Bhari Hai Mujhe Bedaar Na Kar
- Kaun Baitha Hai Meri Raah Take Yaad Kare
- Jaake Ab Kiss Se Kahu Mera Intezaar Na Kar
- Saans Ka Boojh Uthaaoo Ya Usse Samjhaaoo
- Zinda Rehne Ki Dua De Kar Sharam Sar Na Kar.
- =================================================
- Ranjish hi sahi dil ko dukhane ke liye aa
- Aa fir se mujhe chhor jane ke liye aa
- Kis kis ko batayenge judayi ka sab-ab hum
- Tu mujhse khafa hai to jatane ke liye aa
- Kuchh to mere didare mohababat ka bharam rakh
- Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
- Mana ki mohababat ka chhupana hai mohababat
- Chupke se kisi roz batane ke liye aa
- Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
- Aise hi kisi roj na jane ke liye aa..
- =================================================
- Teri bewafai ka charcha sareaam kar doon
- Fir bhi apna dil tere nam kar doon
- Bewafa ke nam se na ho jaye mashhoor
- Aaj ye iljam apne nam kar doon
- Bewafa ka shila achha nahi hota
- Dil todkar hasna ye bhi achha nahi hota
- Dil ke har jakham ko hanske ab sahu
- Tu bata iss duniya main teri kya nam doon
- Sajaye maut se badtar ye saja hai pyar ki
- Aaj iss saja ko apne nam kar doon
- Kya mila hai tujhe dil todkar ‘Avinash’ ka
- Dil ki har aah ko gumnam kar doon.
- =================================================
- Yun na mil mujhse Khafa ho jaise
- Sath chal mere mauj-e-saba ho jaise
- log mujhe dekh kar has dete hai
- tu mujhe bhool gaya ho jaise
- ishq ko shirk ki hadd tak na badha
- yun na mil hamse Khuda ho jaise
- Maut bhi aaye to is Guroor ke sath
- mujh pe ehsaan kiya ho jaise
- Aise Anjan bane baithe ho
- Tum ko kuch bhi na pata ho jaise
- Hichkiyan aati rahi raat bhar
- tune phir yaad kiya ho jaise...
- =================================================
- Hasde Ne Avein, Hass Ke Ruwa Jande Ne Lok,
- Milde Ne Avein, Mil Ke Juda Ho Jande Ne Lok,
- Pal Do Pal Di Mohabbat Nu Umra Da Sath Na Samjhna,
- Mohabbat Vi Karde Ne, Te Khafa Vi Ho Jande Ne Lok,
- Naseeban Ch Pyar Nahi Si, Jo Mainu Milya Hi Nahi,
- Kar Ke Izhaar E Mohabbat Vi Beparvah Ho Jande Ne Lok,
- Hun Kis Ton Shikva Kariye Apni Mohabbat Da,
- Kar Ke Wafa Da Vaada, Bewafa Ho Jande Ne Lok…
- =================================================
- Bewafa se Wafaa
- Uske khathonko phaad diya
- Thasweeronko bhi jala diya
- Jobhi nishaaniyaan hai unko khatham kardiya
- Lekinnnnnnn…..
- Hamari har saans me, meri har nas me jo samaa gaya
- Hamare khayaalon me jo chaagaya
- Hamein jo apna diwaana banaagaya
- Saare dunian se bekhabar banaagaya
- Kehtha tha hum uski zindagi hain, merehi zindagiko mujhse cheengaya
- Kaisa a sitham kargaya
- Jeethe ji mujhe maargaya
- Aye sanam, yeh thoone kya kardiya?! kyaaaaa kardiya?!
- =================================================
- Jaathe jaathe humpe ek ehsaantho karjaathe
- Thoda zeher apne haathonse dejaathe
- Aakhri deedaartho karlethe
- Hamare janaaze ko khaandatho dejaathe!
- =================================================
- Dil ke jakhmo ko aansuoo main baha lenge ham
- Pochh un aansuoo ko yoon hi muskura lenge ham
- Hame bhool bhi jaogi to koi bat nahi
- Teri yadon se iss dil ko saja lenge ham
- Dono jahan ki khushi mubarak ho tumhe
- Ab to apne gam ki hi maja lenge ham
- Janta hoon ek din aa hi jaoge isiliye
- Tere intezar ki aadat laga lenge ham
- Hamse Chhudana chaho daman chhuda lo beshak
- Bekrar apne iss dil ko mana lenge ham
- Mujhe malum hai teri har rat hogi raushan
- Andhero se hi apne dil ko laga lenge ham..
- =================================================
- Main Aksar Abb Sab Say Katraane Laga Hoon
- Khud Ko Abb Khud Say Chupane Laga Hoon
- Koi Mujh Say Agar Mere Dil Ka Haal Puche To
- Khabar Usey Kuch Aur Hi Sunaane Laga Hoon
- MeriTanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai
- Apni Dastaan Khud Hi Gungunaney Laga Hoon
- Koi Ataa Bhi Nahin Abb Mere Ghar Mein
- Phir Main Kyun Issey Sajaney Laga Hoon
- Kuch Haasil Nahin Hai Uss Guzrey Waqt Say
- Yehi Soch Kar ‘Bahut’ Sab Bhulaney Laga Hoon..
- =================================================
- Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
- Jisko chaha usae hum pa na sake,
- Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
- Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
- Ek aur sher sunata hoon——-
- Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
- Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
- saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
- aaj akele hain…dil sawaal karta hai…
- Log to uske the, …kya khuda bhi uska tha????
- =================================================
- Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
- mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
- jab aai mout apni to usse raha na gaya,
- aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya
- Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
- jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
- saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
- unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se..
- =================================================
- Apne khwabo ki tabir ki khatir
- Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
- Yad kar wo din ek isara par maine
- Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
- Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
- Mujhe beijjat aur badnam kar dala
- Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
- Par tune khun ke aansu rula dala
- Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
- Par tune mujh se bewafai kar dala..
- =================================================
- Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
- Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko
- Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
- Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko
- Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
- Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko
- Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
- Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko
- Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
- Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko
- Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
- Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko
- Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
- Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko
- Aur Kuch Nahein Manga Meray Malik Tujh Sey
- Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko
- Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata Hai
- Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko
- Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
- Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko
- =================================================
- Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
- Jisko chaha usae hum pa na sake,
- Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
- Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
- Ek aur sher sunata hoon——-
- Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
- Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
- saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
- aaj akele hain.dil sawaal karta hai.
- Log to uske the, .kya khuda bhi uska tha????
- This isJeet, may be your new friend.
- =================================================
- Maine To Tumse Pyar Kiya Tha
- Dil Jaan Apna Tum Pe Nissar Kiya Tha
- Chorhogi Na Saath Mera Saari Zindagi
- Wafa Ka Tumne Bhi Ikraar Kiya Tha
- Hamne To Tumhari Rahon Par Phool Bichaye The
- Un Rahon Ke Kaante Apne Haathon Se Uthaye The
- Magar Ey-Bewafa Tune Meri Wafa Ka Kya Sila Diya
- Gair Ki Khatir Mujhko Dil Se Bhula Diya
- Main Koun Hoon Tumhara Jo Mujhe Yaad Karo Tum
- Apne Do Aansoo Bhi Mujh Par Barbaad Karo Tum
- Khud Ki Naav To Kinaare Par Laga Li
- Mujhe Beech Manjhdhaar Main Hi Chod Diya
- Is Dil Main Jo Basa Tha Pyar Tera
- Maine Bhi Us Dil Ko Hi Tod Diya
- Jo Gali Tere Ghar Tak Jaati Thi
- Us Gali Se Hi Maine Mooh Morh Liya
- Badnaam Na Ho Jaaye Tu Dunia Main Kaheen
- Isliye Tera Naam Lena Hi Chod Diya
- Jab Kabhi Bhi Yaad Aayegi Tumhari
- Samjhain Ge Kabhi Tumhe Chaha Hi Nahi
- Jab Bhi Tum Rahon Main Nazar Aayogi
- Sochainge Tumhe Dekha Hi Nahi
- Tu Jahaan Bhi Rahe Sada Khush Rahe
- Tujhe Dil Se Main Bhula Raha Hoon
- Tere Pyar Ki Jo Haseen Yaadain Hain Dil Main
- Un Yaadon Ko Louta Raha Hoon
- Tumhari Bewafai Ka Kya Charcha Karoon
- Apni Wafa Pe Sharma Raha Hoon
- Mujhe Tumhari Bewafai Se Koi Shikwa Nahi
- Main Tumhari Zindagi Se Ja Raha Hoon
- =================================================
- Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
- Kabhi milay to yehi baat Usay kehna
- Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera
- Magar ab koi nahi meray sath usay kehna
- Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
- Sisik sisik k kati hai raat usay kehna
- Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
- Nahi rahay wo halaat usay kehna
- Agar wo phir bhi na lotay to a meray meherban
- Hamari Zeest k Halaat usay kehna
- Har jeet us k naam kar raha hon me
- Me Manta hoon apni Haar usay kehna...
- =================================================
- Dil ke aangan me koi aya he
- Saath apne bhar laya he Har taraf phool
- Aur kalian hei kit ni
- Dil kash dil ki galian hei
- Us ke ane se mere jiwan me
- Sari dunia ki shushia he
- Raat din us ko ham ne manga tha
- Aap ne rab se dua ye kar te the
- Us ne sunli hamare dil ki dua
- Ab to sajab ki bahei meri hei
- Har taraf pyar ka nazaara he
- Har taraf chand ni si bikheri he
- Us ki sansoo me ae si khush boo he
- Jeese kalio ki hay khush boo he
- Us ki rangat he duadh ke kesi
- Chand ni fiki us me lag ti he
- Us ki aankhon me he nsha aesa
- Sare mekha ne fike lag te hei
- Bhigi zulfen us ki mujhko to
- Kale badal ghanere lag te hei
- Bhig ta hu merzo barish me
- Sawan aya aesa lag ta he
- Us ke ane se dil ke angan me
- Har taraf pyar ka nzaara he
- Dunia lag ti he jese jannat he
- Kya moohabbat ka ye nzaara he
- Rab se kar te hei ab dua ham
- To ta qyamat ho jo hmara he
- Us ki basoon me gar moot aye
- Wo nazaara bhi ham ko pyara he
- Ishq or pyar kar ne walon ko
- Bibbo.ki duao ka ye nazrana he .
- =================================================
- baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
- ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye
- dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
- dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
- ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
- is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye
- Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
- jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye
- jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
- apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye.
- =================================================
- Sawalon Me Ulajh Ke Reh Gayi Duniya Meri
- Kyo Hui Aise Jo Hai Aaj Haalat Meri
- Kya Tha Kasoor Jo Mili Itne Badi Saza
- Kya Hai Teri Bewafai Ki Wajah
- Kyo Toda Tumne Mere Dil Ko
- Kya Thi Kami, Sirf Jaan Hi Toh Na Di Thi Tumko
- Agar Maang Laati Meri Jaan Bhi Toh Shayad Itna Dard Na Hota
- Jitna Jeene Me Teri Bewafai Ke Saath Hota Hai
- Ek Ehsaan Ker, Apne Saath Leja Apni Yaadon Ko
- Apni Muskurahat Aur Apni Baato Ko.
- =================================================
- Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
- Tujhe Ai Zindagii Kyaa Ho Gayaa Hai
- Badii Zaalim Nihaayat Bevafaa Hai
- Ye Duniyaa Phir Bhii Kitanii Khush-Numaa Hai
- Har Ik Apane Hii Gam Mein Mubtilaa Hai
- Kisii Ke Dard Se Kaun Aashnaa Hai
- Mere Naqqaad Merii Shaayarii To
- Mere Tuute Huye Dil Kii Sadaa Hai
- Kahaan Huun “Shad” Main To Shaad Saa Huun
- Vo Shaad-E-Khush-Navaa To Mar
- =================================================
- Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
- Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
- Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
- Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
- Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
- Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
- Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
- Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
- Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
- Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi
- =================================================
- Dard Me Doobi Tehreer Teri
- Dil Ke Taron Ko Chhed Gayi
- Kyon Ki Teri Aankhon Mein Besabab Udaasi Hai
- Kyon Ki Tere Chehre Pe Dukh Hai, Badhawasi Hai
- Kyon Saughawar Tera Daaman Hai
- Kyon Tere Lahje Me Ajnabi Pan Hai
- Woh Ke Umr Bhar Jisne Shahar Bhar Ke
- Logon Me Mujh Ko Ham Sukhan Jaana,
- Dil Se Aashna Likha
- Khud Se Meherbaan Samjha
- Dilruba Likha
- Lekin……
- Ab Ke Saada Kaagaz Per Surkh Roshnai Se
- Tune Talkh Lahje Me
- Mere Naam Se Pahle Sirf “Bewafa” Likha
- Jaane Kyon
- Jaane Kyon
- Jaane Kyon ?????
- =================================================
- Jaan se bhi zyada unhe pyaar kiya karte the
- Yaad unhe din-raat kiya karte the
- Ab un raahon se guzra nahi jaata
- Jahan baith kar unka intzaar kiya karte the.
- =================================================
- Wo Khatam Qaid ki Miyad Bhi Nahi Karta
- Aur Main Zehmat-e-Faryad Bhi Nahi Karta
- Kabhi Kabhi Wo Mujhe Itna Yaad Aata Hai doston
- K Main Zid Mein Aa Kar Usey Yaad Bhi Nahi Karta..
- =================================================
- Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
- Tooti hui kashti or thera hua pani hai,
- Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
- Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai….
- =================================================
- Aankhon Aankhon Main Raha Dil,Maine Utar Kar Nahi Dekha..
- Kasti Ke Musafir Ne Samundar Nahi Dekha..
- Jis Din Se Chala Hoon,Meri Manzil Par Nazar Hai.
- Aankho Ne Kabhi Meet Ki Manzil Ko Nahi Dekha..
- Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahnewala,
- Main Mom Hoon Usne Mujhe Chhoo Kar Nahi Dekha..
- Yaaro Ki Mohabbat Ka Yaqeen Kar Liya Maine.
- Phulo Mein Chhupa Huwa Khanjar Nahi Dekha..
- Mehboob Ka Ghar Ho Ya Bazaar Ki Galiya,
- Jo Chhod Diya Usne Mud Kar Nahi Dekha…!!!
- =================================================
- Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue
- Mehsoos hua Tab, Jab Wo Juda Hue
- Kar K Wafa Kuch De Na Sake Wo
- Per Bahut Kuch De Gaye Jab Wo Bewafa Hue.
- =================================================
- Tum Agar Yaad Rakho Gey to Inayat Hogi,
- Warna ham ko Kahan Tum se Shikayat Hogi,
- Ye to Bewafa logon ki Dunya hai,
- Tum agar Bhool b Jao to Riwayat Hogi.
- =================================================
- Us k Chehry Per is Qadar Noor Tha
- K Us ki Yaad Mein Rona bhi Manzoor Tha
- Bewafa B Nahi keh Sakty us ko Faraz
- Pyar to ham ne Kia Hai Woh to Bekasoor Tha.
- =================================================
- Sitam Ko Humne Berukhi Samjha,
- Pyaar Ko Humne Bandagi Samjha,
- Tum Chaahe Hume Jo Bhi Samjho,
- Humne To Tumhe Apni Zindagi Samjha.
- =================================================
- Mat Zikar Kijye Meri Adaa K Baaray Mai,
- Main Buhat Kuch Janta Hoon Wafa K Baaray Mai,
- Suna Hai Woh Bhi Mohabbat Ka Shoq Rakhte Hain,
- Jo Jante Hi Nahi Wafa K Baaray Mai.
- =================================================
- Hamain Na Muhabbat Mili Na Pyar Mila
- Hum ko Jo Bhi Mila Bewafa Yaar Mila
- Apni to Ban Gai Tamasha Zindagi.
- Har koi Apny Maqsad ka Talabgar Mila.
- =================================================
- Tere Chokhat Say Sar Uthaon Tu Bewafa Kehna
- Tere Siwa Kisi Or Ko Chahon Tu Bewafa Kehna
- Meri Wafaon Pe Shak Hai To Khanjar Utha Lena
- Shoq Say Mar Na Jaon Tu Bewafa Kehna!!
- =================================================
- Bewafa To Woh Khud Thi,
- Par Ilzaam Kisi Aur ko Deti Hai.
- Pehle Naam Tha Mera Uske Hothon Par,
- Ab Woh Naam Kisi Aur ka Leti Hai.
- Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Saath Na Chorne Ka,
- Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai.
- =================================================
- Kash Pyar Ka Insurance Hojata,
- Pyar Karne Se Pehle Premium Bharwaya Jata.
- Pyar Me Wafa Mili To Theek Warna
- Bewafaon Pe Jo Kharcha Hota Uska Claim To Mil Jata.
- =================================================
- Humare Muskurane ki Wajah Tum Ho,
- Hamare Zindagi ka Matlab Tum Ho,
- Agar Chor Diya Saath Hamara To Samajh Lena
- K Hamari Maut ki Waja Bhi Tum Ho.
- =================================================
- Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
- Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
- Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
- Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se.
- =================================================
- Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
- Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
- Maloom hai Ab bhi Pyar Karta hai Mujhe.
- Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
- =================================================
- Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
- Hum Juda to Nahi,
- Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
- Hum Khafa to Nahi,
- Na Nilna Hamari Majboori Hai,
- Per Hum Bewafa to Nahi.
- =================================================
- Ek Pal Mai Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhye
- Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhye
- Bholay Hai Rafta Rafta Unhai Mudato Mai Hum
- Qisto Mai Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhye
- Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Janiye
- Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhye
- Hansne Ka Shauq Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha
- Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhye
- Woh Jaan He Gaye K Hume Un Se Pyar Hai
- Ankho Ki Mukhbari Ka Maza Hum Se Poochhye
- Na Doost Banao Huzeifa, Na Qareeb Lao Kisi Ko
- Doosto Ki Bewafai Ka Maza Hum Se Poochhye
- =================================================
- Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
- Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
- Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
- Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
- Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
- Wo zamänay ko mera haal suna kar roya
- Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
- Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
- Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
- Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya..
- =================================================
- Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta hai
- Kahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta hai
- Kuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai Woh
- Har ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Majmoo’n Likhta hai
- Lafzo ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta hai
- Siyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta hai
- Kashish Kyoun Naa ho Uski Daastaa’n-e-Dard Me yaaro
- jab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta hai
- Tahreerei’n Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre Par
- Khud Ko Dard Ki Mishaa’l aur kahin Majboor Likhta hai...
- =================================================
- Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
- K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai
- Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
- Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai
- Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
- Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai
- Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
- Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai
- Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
- Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai
- Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
- Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai
- Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
- Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai
- Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
- Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai…….
- =================================================
- Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
- bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai
- NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
- Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai
- Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
- phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
- Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda” sa lagta hai
- koi jab do dilo ke darmian nahin doori
- jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai.
- =================================================
- Kitni ajeeb judai thee ke tujhe alwida bhe na keh saka
- Teri sadgi mein itna fareb tha ke tujhe bewafa bhe na keh saka.
- =================================================
- Saza dene wale Raza poochte hai
- Jeene ki Humse Waja poochte hai
- Dete hai khud hi Zehar akar
- Phr kitna hua asar pooochte hai..
- =================================================
- aisi kismat kahan humari
- ki didar-e-yar ho jata
- Agar main or jeeta to
- wo bhi tera intzar ho jata...
- =================================================
- Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui
- Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui
- Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain
- Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui
- Teri har bat ka aitbar hamne kiya
- Tune hi mere dile aashna ka khun kiya
- Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui
- Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
- Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai
- Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
- Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
- Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
- Uss Khuda ko chhod kar “Avinash”
- Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui..
- =================================================
- Apne khwabo ki tabir ki khatir
- Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
- Yad kar wo din ek isara par maine
- Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
- Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
- Mujhe beijjat aur badnam kar dala
- Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
- Par tune khun ke aansu rula dala
- Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
- Par tune mujh se bewafai kar kala..
- =================================================
- Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log,
- Milte Hain Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log,
- Pal Do Pal Ki Mohabbat Ko Umar Ka Saath Samjhna,
- Mohabbat Bi Karte Hain Or Khafa Bhi Ho Jate Hain Log,
- Naseeb Mein Pyar Na Tha Jo Mujhe Mila Hi Nahi,
- Kr Ke Izhaar_E_Mohabbat Bhi Beparwaah Ho Jate Hain Log,
- Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Mohabbat Ka Aye “Hasan”
- Kar K Wafa Ka Vaada Bewafa Ho Jate Hain Log.
- =================================================
- Uske khathonko phaad diya
- Thasweeronko bhi jala diya
- Jobhi nishaaniyaan hai unko khatham kardiya
- Lekinnnnnnn…..
- Hamari har saans me, meri har nas me jo samaa gaya
- Hamare khayaalon me jo chaagaya
- Hamein jo apna diwaana banaagaya
- Saare dunian se bekhabar banaagaya
- Kehtha tha hum uski zindagi hain, merehi zindagiko mujhse cheengaya
- Kaisa a sitham kargaya
- Jeethe ji mujhe maargaya
- Aye sanam, yeh thoone kya kardiya?! kyaaaaa kardiya?!
- =================================================
- Hum apni wafawon ka sila kis say mangtay
- Hum ba wafa thay lakin wafa kis say mangtay
- Khud hee to kee thi hum nay apnay Rab say baghawat
- Phir hum jo duwa mangtay to kis say mangtay
- Jo thay tabeeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan thay
- Is Dil kee duwa mangtay to kis say mangtay
- Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum say
- koyi shokh ada mangtay to kis say mangtay
- Jo waqt guzar jaye tu wapis nahi aata
- Wo waqt gaya mangtay tho kis say mangtay
- Hum us kee justajoo main howe khud say be-ganay
- Hum ghar ka pata mangtay to kis say mangtay.!!
- =================================================
- Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,
- Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.
- (Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)
- Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,
- Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.
- Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,
- Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.
- (Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)
- Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”
- Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.
- (Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)
- Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,
- Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..
- =================================================
- Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
- Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega
- Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
- Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega
- Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagii Ne Keh Diya,
- Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega
- Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
- Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega
- Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-O-Aasmaan,
- Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega
- Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
- Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
- =================================================
- ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain.
- gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain.
- tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya .
- intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain.
- pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi.
- ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain.
- dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya..
- is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain.
- kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka.
- mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain.
- pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par.
- abto tere bin meri raatein katne lagi hain..
- ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..
- ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain...
- =================================================
- Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah
- Mehakti Thi Jo Gulshan Mein Kali Ki Tarah
- Yun Toh Koi Aata Nahi Iss Viraan Chaman Mein
- Yeh Kiski Parchai Hai Kuch Meri Hi Tarah
- Yun Toh Dard Ka Rishta Bahot Gehra Hai
- Par Yaadein Bhi Ek Kadwa Sach Hai Zindagi Ki Tarah
- Woh Aaya Aur Chala Gaya Sab Kuch Lekar
- Lipti Reh Gayi Rooh Badan Par Ajnabi Ki Tarah
- Kise Dhundti Hai Iss Duniya-e-Dast Mein Tanha Nazar
- Koi Saathi Ho Mera Bhi Iss Khamoshi Ki Tarah...
- =================================================
- Maine dekha hai tumhe jab se machalta dil hai
- Kitna samjhaya na samjha ye kaisa dil hai
- Tu to sota hai bade chain se shab bhar lekin
- Lekin socha hai ye kis hal main mera dil hai
- Kar diya maine tumhare hi hawale ab to
- Chahe jis tarah rakho ab ye tumhara dil hai
- Teri furkat main sanam hal bura hai mera
- Mah-e-aab sa har waqt dharkta dil hai
- Dekhna hai ki teri najre karam kab hogi
- Sange dil tu hai to khuddar bhi mera dil hai
- Meri bato ka bura aapne mana kyon sanam
- Main jise chahunga dunga ye hamara dil hai..
- =================================================
- Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise
- apni barson ki tadap chupaon kaise
- raha na jaye mujh tere bin ab
- main apne dill ko samajhau kaise
- najane kasi kashish hai tujh main
- main apne jazbat ko rok pau kaise
- najne kaisi aas hai tujh se
- main apni umeedon ko rok pau kaise
- bara dilnashi hai ahsas tera
- main is ahsas se bahar aon kaise
- pata nahi kaisa he ye diwanapan
- main apni diwangi ko rok pau kaise
- bare pyar se sajaya hai sapna ye apna
- main apne in sapnoo ko tor pau kaise
- main yahan tu wahan
- main apne ap ko smbhal pau kaise...
- =================================================
- Juda wo Hue pr Hum Nahin,
- Khafa wo hue pr Hum Nahin,
- Ek Hum He the Jo unse Pyar Karte Rahe,
- Bewafa Woh The Par Hum Nahin.
- =================================================
- Dil K Qareeb Aa K Jab Wo Door Ho Gaye,
- Sary Haseen Khawb Mery Choor Ho Gaye.
- Humne Wafa Nibhai To Badnamiyan Mili,
- Jo Log Bewafa Thy Wo Mashhor Ho Gaye.
- =================================================
- Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
- Aankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha.
- Us Se Umeed Thi K Nibhaye Ga Sath
- Magar Woh Bhi Badal Gaya Mery Halaat Ki Tarha.
- =================================================
- Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
- Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
- Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
- Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
- Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
- Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
- Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
- Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
- Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
- Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
- Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
- Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai.
- =================================================
- Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
- Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
- Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
- Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
- Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
- Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
- =================================================
- Bewafai UsKi Mita Kar Aaya Hun,,
- Khat Us K Paani Main Baha Kar Aaya Hun,,
- Koi Parh Na Lay Us Bewafa k wadaun Ko,
- Is Liye Pani Mein Bhi Aag Laga Kar Aaya Hun.
- =================================================
- Kitni Saji Hai Bewafai Teray Masoom Chehray Par.
- Hum Bhi Pagal Thay k Is Adaa Pay Mar Gaye.
- =================================================
- Mera Taajub Ajab Nahi Hai.
- Wo Shakhs Pehle Sa Ab Nahi Hai.
- Wafa Ka Kya Gila Karon Main Us Se ‘Ghalib’
- Wo Mera Tha Kab Jo Ab Nahi Hai.
- =================================================
- Tum apne mahal ki fikar karna
- Garibo ka jhappar jalane se pahle
- Aajmana apne pyar ko kasauti par
- Kisi diwane se dil lagane se pahle
- Yakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumhare
- Pyar bhare dil ko jalane se pahle
- Chhalkenge aansu aankhon main hajar bar
- Mohababat main rang lane se pahle
- Chamak uthegi aasma main bhi bijliya
- Bin badal barsat aane ke pahle
- Toot jate hain khwab mohababat main aksar
- Suna hai khwab sajnae se pahle
- Yah mashum chehre bhi dete hain dhokha
- Na samjhega koi chot khane se pahle
- ‘Avinash’ ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaron
- Bewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle..
- =================================================
- Aankh padati hai kaheen paon kaheen padta hai
- sab ke hai un ko khabar apani khabar kuch bhi nahi
- shama hai gul bhi hai bul-bul bhihai paravana bhi
- raat ke raat ye sab kuch hai sahar kuch bhi nahi
- hashr ke dhum hai sab kahate hain yun hai yun hai
- fitana hai ek teri thokar ka magar kuch bhi nahi
- nesti ke hai mujhe kucha-e-hasti mein talash
- sair karta hun udhar ke ke jidhar kuch bhi nahi
- ek aansu bhi asar jab na kare ae “tashna”
- fayeda rone se ae dida-e-tar kuch bhi nahi
- =================================================
- Teri aankhon se bahut pyar karte hain ‘Avinash’
- Hamse nafrat hai fir bhi teri aankhon pe marte hain ‘Avinash’
- Bewafai ki hai tumne ye malum hai ‘Avinash’ ko
- Teri galiyon main na rakhenge kadam, bas yahi sochte hai ‘Avinash’
- Mujhe manjur hai teri bewafai aur judai bhi
- Judai kya hai judai ko pairo tale rakhte hain ‘Avinash’
- Bewafai ki hai tumne mere sath
- Bewafao ko bhi dua dete rahe hain ‘Avinash’
- Dekh le aake kabhi kis tarah ji raha hoon yahan
- Jakham diye hai tune tere jakhmo ko sah rahe hain ‘Avinash’
- Matlab rakhne walon se sada hi door rahenge ab
- Teri muskan main matlab ki boo mahkate rahe hain ‘Avinash’
- Kya-Kya na sitam sahe hain tere pyar main
- Bewafa jan kar bhi tere liye tadapte rahe hain.
- =================================================
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usool
- Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usool
- Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya
- Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya
- Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- Kuch Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi
- Kuch Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi
- Tumse Kya Kehte K Tumne Kya Kiya
- Tumse Kya Kehte K Tumne Kya Kiya
- Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si
- Ho Gayi Thi Dil Ko Kuch Umeed Si
- Khair Tumne Jo Kiya Acha Kiya
- Khair Tumne Jo Kiya Acha Kiya
- Aur Phir Main Door Se Dekha Kiya
- Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya
- =================================================
- Phir aansuon k kuch fasane nikle,
- maikhane se sharabo k paimane nikle,
- jo dil k haal ko samaj na paya,
- unko hum apne zakham dikhane nikle..
- =================================================
- Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate
- MOhabbat k jkham k dawa dukan me nahi milate
- Kassh khuda hume itana dard nahi deta dost
- Toh hum bhi mehfil me tumse hass-hass k milate..
- =================================================
- Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha
- toota wahi sahara jis pe garoor tha
- usay hai guroor k woh kisi aur ka hai
- hamein hai naaz k woh kabhi hamara zaroor tha...
- =================================================
- Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
- Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
- Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
- Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye.
- Mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
- bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
- koi pooche ki rog kya tha,
- to sir jhuka ke mohabbat bata jana.
- Log to apna banake chodd dete hai..
- Kitnee aasanise ghairon se rishta jod lete hai.
- Hum ek phool tak na tod sake kabhi.
- kuch log to berahmi se dil bhi tod dete hai..
- Agar chand ko paana itna aasaan hota
- har koi chandni ka deewana hota
- taare toh roz hi tootte hai aasmaan pe
- par koi unka sahaara nahin hota
- Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
- hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
- aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
- par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi
- Tamaam raat vo zakhm de ke apne pairon ko
- mere vajood ke raaz talaash karte thei
- duaae karte thei aujde hue mazaaron pe
- bade ajeeb shehar talaash karte thei
- mujhe toh bataaya hai baadlon ne..
- vo lautne ke raaste talaash karte thei..
- =================================================
- Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
- hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay
- Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
- hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay
- Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
- nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay
- Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
- jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay
- Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
- magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay
- jhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchii
- yeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay.
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
Mujhe Zindagi Bhar Rulate shayari
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment