Kabhi Ro Ke Muskuraye Shayari 2017

Rabba Band Karde Iss Baarish Nu;
Nakhre Jhalle Nahi Jande Husn Diya Naara De;
Jinha Ne Kadi Phull Nahi Si Chukeya;
Chukne Pai Rahe Ne Ajj, Paunche Salwaara De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hothon Ko Chhua Usne, Ehsaas Aab Tak Hai;
Ankhon Mein Nami, Sanson Mein Aag Aab Tak Hai;
Waqt Guzaar Geya, Par Uski Yaad Na Gai;
Kya Panipuri Thi Yaar, Swaad Aab Tak Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Barson Guzar Gaye Rokar Nahi Dekha;
In Aankhon Ko Aansu Se Dhokar Nahi Dekha;
Wo Kya Jaane Pyar Kya Chiz Hai;
Jisne Kabhi Kisi Ko Kho Kar Nahi Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Chehre Pe Udaasi Aankhon Mein Nami Hai;
Tere Chehre Pe Udaasi Aankhon Mein Nami Hai;
Tata Namak Istemaal Kar Bete Tujhme Iodine Ki Kami Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushiyon Se Naraaz Hai Meri Zindagi;
Pyaar Ki Mohtaaz Hai Meri Zindagi;
Hans Leta Hun Logon Ko Dikhane Ke Liye;
Warna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Dekhi Hai Maine Zamaane Bhar Ke Logon Ki;
Jahaan Kuch Daam Zyada Ho Aksar Vahaan Insaan Bik Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhokha Mila Jab Pyar Main, Zindagi Mein Udaasi Si Chaa Gayi;
Socha Tha Chhod Dein Is Raah Ko, Kambhakht Mohalley Mein Dusri Aa Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehfil Mein Kuch To Sunaana Padta Hai;
Apna Gham Bhul Ke Muskuraana Padtaa Hai;
Kabhi Hum Bhi Unke Dost Hua Karte The;
Ab Ye Humein Unhe Yaad Dilaana Padtaa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Baat Dil Mein Mat Rakhna;
Jo Pasand Ho Usse 'I Love You' Kehna;
Agar Wo Gusse Mein Aa Jaaye To Darna Mat;
Raakhi Nikaal Na Aur Kehna Pyari Behna Milti Rehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
Na Chahte Hue Bhi Pyaar Hota Hai;
Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kah Do Un Padhne Valon Se;
Kabhi Hum Bhi Padhai Kiya Kartey The;
Jitnaa Syllabus Padh Kar Aaj Wo Top Kartey Hain;
Utnaa To Hum Choice Par Chod Diya Kartey The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Karte Hai Tumhe Tanhai Mein;
Dil Dooba Hai Gam Ki Gehraai Mein;
Hume Mat Dhundna Duniya Ki Bhid Mein Aye Dost;
Hum Milenge Tumhe Tumhari Hi Parchai Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Usne Haathon Per Mehendi Lagaai Hai;
Humne Uski Doli Sajaai Hai;
Hamein Pata Tha Woh Bewafa Niklegi;
Isliye Humne Uski Choti Behen Bhi Pataai Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gehri Thi Raat, Lakin Hum Khoye Nahi;
Dard Bahoot Tha Dil Mein, Lakin Hum Roye Nahi;
Koi Nahi Hamara Jo Puche Humse;
Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye, Ya Kisi Ke Liye Soye Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Aaj Bhi Dil Ka Aashiyana Sajane Se Darte Hain;
Baagon Mein Phool Khilaney Se Darte Hain;
Hamari Ek Pasand Se Tut Jaayeinge Hazaaro Dil;
Tabhi Toh Hum Aaj Bhi Girlfriend Bananey Se Darte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Bhi Chahenge Tujhe Heer Ki Tarha;
Rab Se Maangenge Tujhe Kissi Fakeer Ki Tarha;
Rang Naa Laayi Aggar Hamaari Ye Duayen;
To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Main Mahfuz Rakhna Sitaaron Ko;
Ab Dur Talak Sirf Raat Hogi;
Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hain;
Kisi Naa Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Kabar Pe Mat Gulaab Leke Aana;
Na Hi Haathon Mein Chiraag Leke Aana;
Payasa Hu Main Barso Se Jaanam;
Bas Aate Waqt Ek Kadhaai Chicken Aur Saath Mein Sharaab Leke Aana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Neend Aati Hai To Khwaab Aate Hein;
Khwaab Mein Ek Ladki Aati Hai;
Ladki Ke Pichhe Uska Baap Aata Hai;
Phir Na Neend Aati Hai Na Khwaab Aata Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aansuon Ko Palkon Pe Laaya Na Kijiye;
Dil Ki Baatein Har Kisi Ko Bataya Na Kijiye;
Log Mutthi Mein Namak Liye Firte Hain;
Apne Har Jakhm Dikhaya Na Kijiye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Ishk To Karti Hai Par Junoon Nahi Karti;
Wo Katal To Karti Hai Par Khoon Nahi Karti;
Is Kadar Kanjoos Hai Meri Chahne Vaali;
Miss Call To Karti Hai Phone Nahi Karti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Umar Ki Raah Mein Jazbaat Badal Jaate Hain;
Waqt Ki Aandhi Mein Halaat Badal Jaate Han;
Sochta Hoon Kaam Kar-Kar Ke Record Tod Du;
Lekin Kambakht Salary Dekhte Hi Khayaal Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Door Jaakar Bhi Hum Door Jaa Na Sakenge;
Kitna Royenge Hum Bata Na Sakenge;
Gham Iska Nahi Ki Aap Mil Na Sakoge;
Dard Iss Baat Ka Hhoga Ki Hum Aapko Bhula Na Sakenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aapko Humse Kabhi Khone Nahi Denge;
Aapko Khud Se Alag Hone Nahi Denge;
Kabhi SMS Bhi Kar Dia Karo Warna;
Aankh Mein Mirchi Dal Denge Aur Dhone Bhi Nahi Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai;
Bayan Karne Ka Andaz Juda Hota Hai;
Kuch Log Ankhon Se Dard Baha Detay Hain;
Aur Kisi Ki Hansi Mein Bhi Dard Chupa Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Aankhon Se Baat Kar Leta Hai;
Koi Aankhon Mein Mulaqat Kar Leta Hai;
Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena Yaroo;
Jab Koi English Mein Baat Kar Leta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khelna Seekh Liya Ab Toh Dard Se Humne;
Jeena Seekh Liya Bewafai Ke Sath Ab Toh;
Dil Kis Kadar Toota Hai Kya Bataayein Hum;
Marne Se Pehle Kafan Odhna Sikh Liya Humne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam;
Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh;
Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Duniya Mein Lakho Log Rehte Hain;
Koi Hasta Hai, To Koi Rota Hai;
Par Is Jahaan Mein Sukhi Bas Vo Hai Yaaron;
Jo Shaam Ko Do Peg Lagaa Ke Sota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nazar Chahti Hai Didaar Karna;
Dil Chahta Hai Pyaar Karna;
Kya Batayein Iss Dil Ka Aaalam;
Naseeb Mein Likha Hai Intezar Karna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Puri Bottal Na Sahi Ek Jaam Ho Jaaye;
Milna Na Sahi Dua Salaam Ho Jaaye;
Jinki Yaad Mein Hum Bimaar Baithe Hain;
Unhe Bukhaar Na Sahi Jukhaam Ho Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain;
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain;
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin;
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Paagal Hai Wo Log Jo Ladkiyo Ko Miss Karte Hai;
Miss Karna Hai To Machharo Ko Karo;
Jo Jaan Hateli Per Rakh Kar Aap Ko Kiss Karte Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzilon Se Begaana Aaj Bhi Safar Mera;
Raat Besahar Meri Dard Beasar Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhaari Yaad Dil Se Jaane Nahin Denge;
Tumhaare Jaisa Dost Khone Bhi Nahin Denge;
Roz Sharafat Se SMS Kiya Karo Warna;
Ek Kaan K Neeche Denge Aur Rone Bhi Nahin Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main;
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main;
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri;
Phir Aaj Kyu Lagaa Sab Khone Laga Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Suraj Wo Jo Din Bhar Aasmaan Ka Saath De;
Chand Wo Jo Raat Bhar Taaron Ka Saath De;
Pyaar Wo Jo Zindagi Bhar Ka Sath De;
Aur Biwi Woh Jo Har Baat Ka Ulta Jawab De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzilon Sey Begana Aaj Bhee Safar Mera;
Raat Besahar Meree Dard Beasar Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baaghon Mein To Bahaar Darakhton Kee Dekh Lee;
College Mein Aa Key Convocation Ko Dekhiye;
Leemoo To Kaaghazee Bahut Dekhey Hain Aapney;
Ab Kaaghazee Taraqqee-E-Nation Ko Dekhiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pyaar Ke Geet Gayenge Hum;
Apni Ek Nayi Duniya Basaayenge Hum;
Jo In Hawaaon Se Diya Bujh Gaya;
Unhe Bech Kar Philips Ke Bulb Layenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Kuchh To Batlaao Kya Javaab Doon Aakhir;
Ek Savaal Karta Hai Roz Mujhsey Ghar Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rok Do Mere Janaaze Ko;
Ab Mujhme Jaan Aa Rahi Hai;
Aage Se Thoda Right Le Lo, Kyonki Daru Ki Dukaan Aa Rahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jhonka Idhar Na Aae Naseem-E-Bahar Ka;
Naazuk Bagut Hai Phool Chiragh-E-Mazaar Ka;
Phir Baithe Baithe Waada-E-Wasl Us Ne Kar Liya;
Phir Uth Khara Hua Wohi Rog Intezaar Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahan Ki Gurbat Me Sukun Nahi Ayega;
Gam-e-tohin Se Kubul Nahi Ayega;
Maklul Ki Fitrat He Ye Kafir;
Dimag Fat Jayega Par Ye Sher Samajh Nahi Ayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyaar Karenge;
Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikraar Karenge;
Jahan Bhi Jaoge Har Kadam Humme Hi Paaoge;
Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezaar Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer;
Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ke Khayaal Bohat Hain;
Ishq Ke Charche Bohat Hain;
Sochte Hain Hum Bhi Kar Le Ishq;
Par Sunte Hain Ishq Mein Kharche Bohat Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Buhut Namkeen Hai Woh Jisse Ham Chahte Hein;
Har Pal Khuda Se Ussi Ko Mangte Hein;
Dil Buhut Tarasta Hai Usse Paane Ko;
Kya Aapka Dil Nahi Karta Maggi Khaane Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddatein Guzreen Teri Yaad Bhi Aayi Na Humein;
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhey Aisa Bhi Nahi;
Sar Mein Sauda Bhi Naheen Dil Mein Tamanna Bhi Nahi;
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaqi Gayi Bahaar Dil Mein Rahee Havas;
Tu Minnaton Sey Jaam Dey Aur Main Kahoon Key 'Bas!'
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunaate Rahe;
Humari Tanhaayion Se Ankh Churaate Rahe;
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki;
Hum Har Dard Muskura Kar Chipaate Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujh Se Pehlay Jo Ik Shakhs Yahaan Takht Nasheen Tha;
Usko Bhi Apney Khudaa Honey Ka Itna Hee Yaqeen Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum;
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum;
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar;
Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;
Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya;
Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Kisee Kee Aankh Ka Noor Hoon;
Na Kisee Key Dil Ka Qaraar Hoon;
Jo Kisee Key Kaam Na Aa Sakey;
Main Vo Ek Musht-e-Ghubaar Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khwaab Thaa Ya Khayaal Thaa Kyaa Thaa;
Hijr Thaa Ya Vishaal Thaa Kyaa Thaa!
Chamkee Bijlee Sie Par Na Samjhey Hum;
Husn Thaa Ya Jamaal Thaa Kya Thaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Yaar Ney Utthaa Kar Zulfon Key Baal Baandhey;
Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Tak Rahoge Aakhir Yun Duur Duur Hum Se;
Milna Padega Aakhir Ik Din Jarur Hum Se.

Daaman Bachhane Waale Yeh Berukhi Hai Kaisi;
Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasur Hum Se.

Hum Chhod Denge Tum Se Yun Baat-Chit Karna;
Tum Puchhte Firoge Apna Kasoor Hum Se!


Waaste De De Ke Khuda Se Teri Khushiyon Ki Dua Maangi Hai;
Aaj Phir Tere Liye Maine Kismat Se Waafa Maangi Hai.

Chaand Taaron Sa Tabassum Maine Manga Hai Rab Se;
Tere Aangan Ke Liye Phir Baharon Ki Fiza Maangi Hai.

Uss Ke Jeevan Me Andhera Naa Ho Ek Pal, Mere Maula;
Jis Ki Khatir Maine Har Pal Sajdon Me Dua Maangi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humse Dur Jane Ka Bahana Na Bana Lena;
Bass Jane Ki Ek Wajah Bata Dena;
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se;
Lekin Jahan Aapki Yaad Na Aaye;
Uss Jagah Ka Pata Bata Dena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti;
Kaash Aapse Mulaqat Hamaari Na Hoti;
Sapno Mein Hi Dekh Lete Aapko;
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uss Ne Chupke Se Meri Girl Friend Ka Number Nikal Liya, Ae Dost;
Aur Aaj Wo Apni Hi Bhen Ko Message Kar Kar Ke Khush Hota Hai Har Roz!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Ka Har Zakham Uski Meharbani Hai;
Meri Zindagi To Ek Adhuri Kahani Hai;
Chahta To Mita Dete Har Dard Ko;
Magar Yeh Dard Hi To Uski Aakhri Nishani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil To Mil Hi Jayegi, Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah To Wo Hain, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se;
Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se;
Guzre Hain Hum Kuchh Aise Makam Se;
Ke Nafrat Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaale Badal Jaise Gori Ka Ghunghat;
Ek Chhupaye Barkha Aur Doosra Dulhan;
Na Barsein Badal Na Uthe Ghunghat;
Hum Pyaase Idhar Bhi Aur Udhar Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Yaad Mein Har Pal Khoya Hu Main;
Tujhe Mehsus Kar Akele Roya Hu Main;
Na Jaane Kab Tera Deedar Ho;
Iss Intzaar Mein Khuli Aankho Se Soya Hu Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rone De Tu Aaj Humko Aankhe Sujane De;
Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De;
Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhot Jayega;
Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jayega!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Ro Ke Muskuraye, Kabhi Muskura Ke Roye;
Jab Bhi Teri Yaad Aayi, Tujhe Bhula Ke Roye;
Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazar Bar Likha;
Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jayada Mita Ke Roye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Bhi Din They Jab Hum Bhi Piya Karte They;
Yun Na Karo Hamse Piney Pilaney Ki Baat;
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab Hai;
Utni Hum Paimaney Mein Chhod Diya Kartey They!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Majar Par Udasi Chhayi Hai;
Chand Ki Roshni Mein Bhi Kami Aayi Hai;
Akele Acchhe The Hum Apne Aashiyane Mein;
Jane Kyun Tutkar Aaj Fir Aapki Yaad Aayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Ko Mohabbat Ki Sachai Maar Dalegi;
Kissi Ko Mohabbat Ki Gehrai Maar Dalegi;
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega;
Aur Jo Bachega Usse Tanhai Maar Dalegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamesha Yaad Aati Hai Unki;
Aur Mann Ho Jata Hai Kharab;
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum;
Ek Hath Mein Kalam Aur Ek Hath Mein Sharab!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaaron Ki Mehfil Aise Jamai Jaati Hai;
Kholane Se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai;
Fir Tute Dil Waalon Ko Awaaz Lagayi Jati Hai;
Ke Ao Yahan, Dard-e-DiL Ki Dawa Pilayi Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Usse Mere Janaze Ki Khabar Mat Dena;
Yeh Meri Mohabbat Ki Tohin Hogi;
Ke Meri Mehbooba Paidal Chale;
Aur Main Logon Ke Kandhon Pe Sawar Rahon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gulab Ki Mehak Bhi Fiki Lagti Hai;
Kaun Si Khushbu Mujhme Basa Gayi Ho Tum;
Zindgi Hai Kya Teri Chahat Ke Siva;
Yeh Kaisa Khwab Aankhon Ko Dikha Gayi Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aarzoo Ke Diye Dil Mein Jalte Rahnege;
Meri Aankhon Se Ansoo Nikalte Rahenge;
Dil Mein Roshni Toh Karo, Tum Shama Ban Ke;
Mom Bankar Hum Yunhi Pighalte Rahenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Guzrey Hue Waqt Ki Kuchh Nishaniya Baaki Hain;
Abhi Uski Gali Mein Meri Kahaniya Baaki Hain;
Abhi Zinda Hai Mohaabat Mujhme Kahin;
Logon Ke Dilon Mein Hairaniya Baaki Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De;
Baho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De;
Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Woh Chhoot Jayega;
Hai Itna Dard Ke Tera Daaman Bheeg Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Tak Pyaar Ke Ek Pal Ka Intzaar Karna Hoga;
Kab Tak Iss Intzaar Ki Aag Mein Yunhi Jalna Hoga;
Mere Dil Se Abb Sabar Aur Na Hoga;
Akhir Kab Tak Tumhare Saath Ek Pal Jeene Ke Liye;
Mujhe Yunhi Pal Pal Marna Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawabo Ke Ander Zinda Mat Raho;
Balki Apne Ander Khwab Ko Zinda Rakho;
Mahobbat Uss Se Nahi Hoti Jo Khoobsurat Ho;
Khubsoorat Woh Hota Hai Jiss Se Mahobbat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae Maut, Tujhe Gale Lagana Chahta Hun;
Kitni Wafa Hai Tujh Main Aazmana Chaahta Hun;
Logo Ne Bahut Rulaya Hai Mujhe;
Tera Saath Mile To Logo Ko Rulana Chahta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Palkon Se Aansu Bikhar Jate Hein;
Aap Kya Jaano Aap Kitna Yaad Aate Hein;
Hum Aaj Bhi Usi Moad Pe Khade Hein;
Jaha Apne Kaha Tha, Tum Yahin Ruko;
Hum Daru Aur Namkin Lekar Aate Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Likhu Kya Aaj Waqt Ka Takaza Hai;
Dard-e-Dil Abhi Taza-Taza Hai;
Gir Pade Hain Aansu Mere Kagaz Pe Likhte Waqt;
Lagta Hai Kalam Mein Syahi Kam Dil Mein Dard Jyada Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Bhigne Ka Itna Hi Shonq Hai Baarish Main;
To Dekho Na Meri Aankhon Main;
Baarish To Har Ek Ke Liye Hoti Hai;
Lekin Ye Aankhein Sirf Tumhare Liye Barasti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuchh Socho Toh Tere Khayal Aa Jaata Hai;
Kuchh Bolon To Tera Naam Aa Jaati Hai;
Kab Tak Chupaon Dil Ki Baat;
Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jaata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Basi Hai Pyaari Soorat Teri;
Aur Dil Mein Basa Hai Tera Pyaar;
Chahe Tu Kabool Kare Ya Na Kare;
Humein Rahega Tera Intezaar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Ke Pyar Mein Gehri Chot Khai Hai;
Wafa Se Pehle Hi Wafa Bewafa Paayi Hai;
Log To Dua Maangte Hein Iss Haal Mein Marne Ki;
Par Hamne Uski Yaadon Mein Jeene Ki Kasam Khai Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Khuda Humko Kabhi Aissi Judai Na De;
Unki Yaadon Se Humko Rihai Na De;
Dua Karna Dosto, Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
Jahan Se Mera Yaar Mujhe Dikhai Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jub Koi Pochhta Hai Mujhse Meri Zindagi Ki Qeemat;
To Mujhe Yaad Aa Jaata Hai Tera Muskurana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti;
Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti;
Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko;
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaaney Kaisy Jeety Hain Log Yaadoon Ke Saharey;
Main To Kai Baar Marta Hoon Ik Yaad Aanay Pe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Uss Nay Ek Dard Diya To Muje Yaad Aaya;
Humm Nay Hi Duaon Main Uss Ke Saare Dard Mange Thay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Achha Lagta Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Jaise Koi Subhaa Jurari Ho Kissi Haseen Shaam Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Toofan Mein Taash Ke Ghar Nahi Bante;
Rone Se Bigde Muqadar Nahi Swarte;
Duniya Ko Jitne Ka Hausla Rakho;
Ek Haar Se Koi Faqeer Aur Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Bante!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushiya Batortey Batortey Umar Guzar Gayi;
Par Khush Na Ho Sakey;
Ek Din Ehsaas Hua Khush To Wo Log Hai, Jo Khushiya Baant Rahey Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh Nahi Wahan Fasaana Jahan Hai Tera;
Khushi Dhoondhe Hamesha Aashiyana Tera;
Zindagi Mein Tu Kabhi Udaas Na Ho;
Duniyaa Yeh Yaad Rakhe Muskurana Tera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zinda Hai Magar Jinne Ka Iraada Badal Diya;
Waqt Ke Tufaan Ne Har Ek Vaada Badal Diya;
Chal Sake Kissi Ke Sath Iss Kabil Na Rahe Aab;
Thokaron Ne Hame Itna Jayada Badal Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ae Mohabbat Teri Chahat Iss Jahan Main Har Ek Shaqs Ko Hai;
Teri Ibaadat Main Sir Jhukayein, Akhir Hum Bhi Tere Kaneez-e-ishq Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Ki Hoti Hai Khata, Aur Saza Dil Ko Mil Jaati Hai;
Pucho Na Yaaro Pal Mein Hi Kaise Zindagi Badal Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Khushbu Se Waqif Ho Main;
Yeh Andaz Se Kayal Hun Main;
Mujhe Apni Zindagi Ka Har Pal Dede;
Yehi Mere Jinne Ka Tamanna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa;
Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa;
Tadapta Hu Iss Kadar Bewafayi Mein Uski;
Yeh Tan Baanta Ja Raha Hai Kankal Jaisa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tijoriyan Bharte Hein Log Ummar Bhar Ke Liye;
Par Afsos
Maut Ka Farishta Kabhi Bhi RISHWAT Nahi Leta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Jeena Aasaan Nahi Hota;
Bina Sangharsh Ke Koi Mahaan Nahi Hota;
Jab Tak Na Pade Hathode Ki Chot;
Pathar Bhi Bhagwaan Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Kehti Thi Maine Tumhe Apne Dil Main Lock Kar Diya;
Gaur Farmaiyega...
Woh Kehti Thi Maine Tumhe Apne Dil Main Lock Kar Diya;
Aur Aaj Usne Facebook Pe Hamein Block Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua;
Mujh Pe Goya Ik Zamaana Mehrbaan Ho Jaeega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log Puchhte Hain, Kyun Surkh Hain Tumhari Aankhein;
Hans Ke Keh Deti Hoon, Raat Ko So Na Saaki;
Laakh Chahoon Bhi, Magar Ye Keh Na Sakoon;
Raat Ko Rone Ki Hasrat Thi, Magar Ro Na Saki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Chhipi Yaadon Se Swaaron Tujhe;
Tu Dikhe Toh Apni Ankhon Mein Uttarun Tujhe;
Tere Naam Ko Mere Labon Par Aise Sajaya Hai;
So Bhi Jaun Toh Khwaabon Mein Toh Pukarun Tujhe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamaari Sanso Mein Ek Aahat Apki Bhi Hai;
Dil Ki Dhadkno Mein Ek Gungunahat Apki Bhi Hai;
Anjaan Hai Aap Shayad Iss Raaz Se;
Ki Hamaari Hansi Mein Ek Muskrahat Apki Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dum Nikle;
Bahut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle.
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye The, Lekin;
Bahut Beaabru Hokar Tere Kuche Se Hum Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sozish-e-batin Ke Hain Ahbaab Munkir, Warna Yaan;
Dil Maheet-e-girya Aur Lab Aashnaa-e-khanda Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hoga Kasu Deewar Ke Saaye Mein Para, Mir;
Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaraam Talab Ko!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Paa Lene Ka;
Bichhad Ke Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ya Toh Deewaana Hanse, Ya Tu Jise Taufeeq De;
Warna Iss Duniya Mein Kya Hai Muskaraane Ke Liye?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shahr Ki Raat Aur Main Naashaad-o-Nakaara Phiroon;
Jagmagati Jaagti Sarkon Pe Aawara Phiroon;
Ghair Ki Bast Hai, Kab Tak Dar Badar Maara Phiroon;
Ai Ghum-e-Dil Kya Karoon, Ai Wahshat-e-Dil Kya Karoon?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Soorat Ka Wahm Aur Deewangi;
Lagi Karne Dar Parda Be-ganagi!
Na Dekhe Meri Oar Uas Pyaar Se;
Gharibana Sar Maare Deewar Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghuncha-e-Na Shagufta Ko Door Se Mat Dikha Ke Yoon;
Bosa Ko Poochhta Hoon Main, Munh Se Mujhe Bata Ke Yoon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haan Woh Nahin Khuda Parast, Jaao Woh Bewaafa Sahi;
Jisko Ho Deen-o-Dil Aziz, Uski Gali Mein Jaaey Kyun?
Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaunse Kaam Band Hain;
Roeye Zar Zar Kya, Kijeye Haae Haae Kyun?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindgi Ne Diye Bahot Se Dhoke;
Gor Farmaye
Zindgi Ne Diye Bahot Se Dhoke;
But it's OK, it's OK, it's OK!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai;
Her Kissi Ko Kissi Na Kissi Ki Talash Hai;
Kissi Ke Pass Manzil Hai, Toh Raah Nahi;
Aur Kissi Ke Pass Rah Hai, Toh Manzil Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Pe Raunaq;
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat Yoon Dil Mein Teree Khoyee Huee Yaad Aaee;
Jaisey Veeraney Mein Chupkey Sey Bahaar Aa Jaaye;
Jaisey Sahraaon Mein Hauley Sey Chaley Baad-e-Naseem;
Jaisey Beemaar Ko Bevajah Qaraar Aa Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Se Aggar Juda Hona Itna Aasan Hota;
Toh Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishte Na Aate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehrbaan Hokey Bulaalo Mujhey Chaaho Jis Waqt:
Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jagmagaate Shehar Ki Raanaaiyon Mein Kya Na Tha;
Dhoondne Niklaa Tha Jisko, Bas Vahi Chehra Na Tha;
Hum Vahi, Tum Bhi Vahi, Mausam Vahi, Manzar Vahi;
Faasle Badh Jaayenge Itne Kabhi Socha Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Surma-e-Muft-e-Nazar Hoon, Meri Qeemat Yeh Hai;
Ke Rahe Chashm-e-Khareedaar Pe Ehsaan Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Kuchh Sapne Adhure Reh Jaate Hein;
Tab Dil Ke Dard Aansu Ban Ke Beh Jaate Hein;
Jo Kehte Hein Ke Hum Sirf Aap Ke Hein;
Pata Nahi Kaise Alvida Keh Jaate hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Duniya Bhi Dekhi Aur Duniyadaari Bhi Deekhi;
Dil Par Mainee Chalti Hui Aari Bhi Dekhi;
Dekhe The Jo Log Maine Wafadariyaan Nibhaate;
Unhi Ke Hathon Maine Hoti Gadaari Bhi Dekhi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rone Se Kissi Ko Paya Nahi Jata;
Khone Se Kissi Ko Bhulaya Nahi Jata;
Waqt Sabko Milta Hai Zindaagi Badalane Ke Liye;
Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baaki Hai;
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baaki Hai;
Kya Hua Aggar Dekh Kar Muh Pher Lete Hain;
Tasalli Hai Ke Shakal Ki Pehchaan Baki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Toh Bane Hi Tabah Hone Ke Liye The;
Tera Milna Toh Ek Bahaana Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe;
Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Utra Hai Mere Dil Mein Koi Chand Nagar Se;
Ab Khauf Nahi Koi Andheron Ke Safar Main;
Woh Baat Hai Tujh Mein, Koi Tujh Sa Nahi Hai;
Kash Koi Dekhe Tujhe Meri Nazar Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raha Youn Hi Namukkamal, Gham-e-Ishq Ka Fasaana;
Kabhi Mujhko Neend Aayi, Kabhi So Gaya Zamaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Main Pass Unko Bulaa Saka;
Na Main Dil Ki Baat Suna Saka;
Woh Hansi Hansi Main Hi Chal Deeya;
Ke Main Haath Tak Na Hila Saka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dard⬑⬑ Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jate Hain;
Beetey Lamhe Hamein Jab Bhi Yaad Atey Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬰⬰Tu Hi Bata Ae Dil, Tujhe Samjhaon Kaise;
Jisse Chahta Hai Tu, Usse Nazdeek Laun Kaise;
Youn Toh Har Tamanna Har Ehsaas Hai Woh Mera;
Par Uss Ehsaas Ko Yeh Ehsaas Dilaun Kaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Aansoonon Ko Aankhon Mein Sajana Hoga;
Chirag Bujh Gaye, Khud Ko Jalana Hoga;
Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum;
Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bhool Jane Ka Bahana Na Bana Dena;
Durr Jane Ki Bas Ek Wajah Bata Dena;
Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se;
Par Jaha Apki Yaad Na Aaye, Wo Jagah Bata Dena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Ibaadaton Ko Aise Qubool Ker, Ae Mere Maalik;
Ke Sajde Mein Main Sar Jhukaun;
Toh Mujh Se Judda Har Rishton Ki Zindaagi Sawar Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tairna Hai To Samundar Mein Jaiye;
Kinaro Mein Kya Rakha Hai;
Pyar Karna Hai To Bahon Mein Aaie;
Isharon Mein Kya Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Tappish Sooraj Ki Hoti Hai;
Jalna Zameen Ko Parta Hai;
Kasoor Ankhon Ka Hota Hai;
Bhugatna Dil Ko Parta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Ko De Di Hain Ishaaron Mein Ijaazat Maine;
Mangne Se Na Mil Sakun Toh Chura Lo Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Chaho To Dil Se Hame Mita Dena;
Chaho To Hamko Bhula Dena;
Par Yeh Vaada Karo Ae Dost;
Ki Jab Yaad Aye Hamaari⬉⬉, Toh Rona Mat Bas Muskura Dena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Roo Kar Muskuraye, Kabhi Muskuraa Ke Roye;
Jaab Bhi Teri Yaad Aai, Tujhee Bhula Kar Roye;
Ek Tera Hi Toh Gam Tha, Jisse Hazaar Baar Likha;
Jitna Likh Ke Khush Hue, Uss Se Jayada Mita Ke Roye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Chahat Ka Hona Bhi Zaruri Hai;
Warna Yaad To Dushman Bhi Roz Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Hoon Main Aur Kya Samajhte Hein;
Sab Raaz Nahi Hote Batane Wale;
Kabhi Tanhaiyon Mein Aakar Dekhna;
Kaise Rote Hai Sabko Hasane Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Justaju, Uska Intezaar Aur Yeh Akelapan;
Thak Kar Muskura Dete Hein, Jab Roya Nahi Jaata!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Har waqt Milti Rehti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdir Se Mera Qasoor Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae Khuda, Khushi Har Pal Unke Paas Rakhna;
Mere Apno Ko Tu Kabhi Na Udaas Rakhna;
Gum Na Aye Unke Paas, Mere Moula;
Tu Nazar-e-Karam Unpe Khaas Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉⬉Humne Socha, Unke Pyar Mein Tadapna Chhod Denge;
Unke Liye Tarasna Chhod Denge;
Dil Ko Bola, Tu Bhul Ja Use;
Dil Bola, Hum Dhadakna Chhod Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai;
Kasam Khuda Ki, Wahin Dhokha Khaya Hai;
Kyon Dosh Dete Hain Hum Kaanto Ko;
Zakhm To Humne Phulo Se Hi Paya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aadatan Tumne Kar Diye Vaade, Aadatan Hum Ne Bhi Aitabaar Kiya;
Teri Raahon Mein Baarahaa Ruk Kar, Humne Apna Hi Intazaar Kiya;
Ab Na Maangenge Zindagii Ya Rab, Ye Gunaah Humne Ek Bar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waada Kar Lete Hein, Nibhaana Bhul Jaate Hein;
Lagakar Aag, Bhujana Bhul Jaate Hein;
Yeh To Aadat Ho Gaye Ab Unki Roz;
Ke Rulaate Hein, Aur Manana Bhul Jaate Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo;
Khwahish-e-Didaar Mein Sab Kuch Gava Diya;
Kisi Ne Di Khabar Ki, Vo Aayenge Raat Ko;
Itna Kiya Ujaala Ke Ghar Tak Jala Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki Chahat Mein Dil Majbur Ho Geya;
Bewafai Karna Unka Dastur Ho Geya;
Kasur Unka Nahi, Hamara Tha;
Humne Chaha Hi Itna Ki Unko Garur Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat Ki Dhadkan Jab Tak Jaari Rehti Hai;
Sotey Nahi Hum, Zimmedari Rehti Hai;
Jabse Tuney Halki Halki Baatein Ki;
Yaar Tabiyat Bhaari Bhaari Rehti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya;
Khali Hi Sahi Hathon Mein Jaam To Aaya;
Main Hoon Bewaafa Sabko Bataya Usne;
Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Qahar To Yeh Hai Ke Kafir Ko Milein Hoor-o-Qasoor;
Aur Bechaare Musalmaan Ko Faqt Waada-e-Hoor!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unhe Koi Aur Bhi Chahe, Iss Baat Se Hum Thoda-Thoda Jalte Hein;
Par Faqr Hai Hume Iss Baat Ka Ke Sab Hamaari Pasand Pe Hi Marte Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Basa Dete Nahin Aur Dil Pe Hai Har Lahza Nigah;
Ji Mein Kahte Hein Ke Muft Haath Aaey, Tau Maal Achha Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saari Zindgaani Humne Bita Di;
Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha;
Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Na Main Pass Usko Bula Saka;
Na Main Dil Ki Baat Suna Saka;
Wo Hansi-Hansi Main Hi Chal Diye;
Aur Main Haath Tak Na Hila Saka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬀⬉⬉Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbaar Ho Jata Hai;
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai;
Khubiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sadaa;
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut Ke Baad Bhi Yaad Aa Raha Hai Koi;
Mitti Meri Kabr Se Utha Raha Hai Koi;
Ai Khuda, Do Pal Ki Zindagi Aur De De;
Meri Kabr Se Udaas Ja Raha Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Koi Taaza Museebat Tutati Hai, Hafeez;
Ek Aadat Hai Khuda Ko Yaad Kar Leta Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe;
Maza Kahne Ka Jab Hai, Ik Kahe Aur Doosre Samjhein;
Kalaam-e-Mir Samjhe, Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe;
Magar Inn Ka Kaha, Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Naraz Hai Humse Ke Hum Kuch Likhte Nahi;
Kahan Se Layein Lafz Jab Wo Milte Nahi;
Dard Ki Zuban Hoti To Bata Dete;
Woh Zakhm Kaise Bataye Jo Dikhte Nahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Mohabbat Teri Chahat, Iss Jahan Main Har Ek Shaks Ko Hain;
Teri Ibadat Main Sir Jhukayen, Akheer Hum Bhi Tere Kaneez-E-Ishq Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jaane Kis Ke Muqadar Mein Likhe Ho Tum Magar,
Yeh Such Hain Ke Umeedwar Hum Ajj Bhi Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raha Yun Hi Namukkamal, Gham-e-Ishq Ka Fasaana;
Kabhi Mujhko Neend Aayi, Kabhi So Gaya Zamaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Jawaani Mein Ishq Ko Mazaak Samajhte Rahe;
Iss Kambakht Ishq Ne Meri Zindgaani Ko Mazak Bana Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬⧬Chirag Se Na Puchho Baaki Tel Kitna Hai;
Sanso Se Na Pucho Baaki Khel Kitna Hai;
Pucho Us Kafan Mein Lipte Hue Insaan Se;
Zindgi Mein Gum Aur Kafan Mein Sukoon Kitna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe:
Woh Bhi Humein Durr Se Takte Rahe;
Jab Humne Izhar Karne Ko Haath Thama;
To Mehndi Se Ranga Unka Haath Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mitti Ka Jism Lekar, Pani K Ghar Mein Hu;
Mnzil Hai Maut Meri Aur Main Har Pal Safar Mein Hu;
Hoga Katal Mera Pata Hai Mujhko Par;
Yeh Malum Nahi Ke Main Kis Katil Ki Nazar Mein Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne To Kho Di Thi Saab Chahat Ki Aas;
Unhone Pyaar-e-Izhrar Karke, Hum Mein Jinne Ki Arzoo Bhar Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kabhi Honthon Se Angaare Barsate Rahe;
Kabki Labh Pe Labh Rakhte Gaye;
Iss Hi Tarahein Humne Zindgaani Bita Di;
Kabhi Takraar aur Kabhi Ikraar Karte Karte!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Aaj Muddat Baad Unhone Mohabbat Ka Izhaar Kiya;
Aur Humne Unmein Raab Ka Deedar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Naino Mein Basse Hain, Zarra Dhyan Rakhna;
Apna Rishta Yunhi Aabad Rakhna;
Mujhe To Aadat Hai Yaad Karne Ki;
Hichkiyan Aati Rahein To Maaf Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Khud-be-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanso Mein;
Main Soach Ke Karta Toh Phir Mohabbat Na Karta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Likhun Kuchh Aaj, Ye Waqt Ka Takaza Hai;
Mere Dil Mein Dard, Abhi Taaza Hai;
Gir Padte Hai Ashq, Mere Kagaz Par;
Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo Jyada Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Halaat Ne Tod Diya Mujhe Kache Dhage Ke Tarah;
Warna Mere Wade Bhi Kabhi Zanjeer Hua Karte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uss Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha;
Apna Bhi Na Banaya Aur Kissi Aur Ka Bhi Hone Na Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Kabhi Kabhi Pathar Ke Takranay Se Aati Nahi Kharash;
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jaata Hai;
Bhool Jao Unhe Jinhe Maaf Nahi Kar Sakte;
Ya Fir - Maaf Kar Do Unhe, Jinhe Bhool Nahi Sakte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badi Tabdiliyan Laye Hain Hum Apne Aap Main; Lekin Tumhaari Yaad Main Rehne Ki Aadat, Abb Bhi Bakki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taras Jaoge Hamaare Labo Se Sunn Ne Ko Ek Ek Lafz;
Pyaar Ki Baatein To Kya, Hum Shakayat Bhi Nahi Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Labo Pe Geet To Aankhon Mein Khwab Rakhte The;
Kabhi Kitabon Mein Hum Bhi Gulaab Rakhte The;
Kabhi Kissi Ka Jo Hota Tha Intezar Humein;
Bada Hi Sham-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindaagi Uski Jiss Ki Mout Pe Zamaana Afsos Karay, Ghalib;
Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Dunia Main Marney Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaan Kar Bhi Woh Mujhe Jaan Na Paiye;
Aaj Tak Woh Mujhe Pehchaan Na Paiye;
Khud Hi Karli Bewafai Hum Ne, Dosto;
Ta-Ke Unn Par Koi Ilzaam Na Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Woh Jo Muskura Ke Mila Kabhi;
Toh Yeh Fikr Jaise Mujhe Hui;
Kahun Apne Dil Ki Jo Baat Main;
Kahin Muskura Ke Na Taal De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Zindagi Mana Dard Bhari;
Phir Bhi Isme Ye Raahat Bhi Hai;
Main Hoon Tera Aur Tu Hai Meri;
Yunhi Rahe Hum, Ye Chahat Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kaash Woh Ayein Pyaar Ka Izhaar Karne, Meri Kabr Par - Ik Din;
Phir Mein Bhi Ik Aur Zindagi Ki Duwa Maangu, Unpe Nijhawar Karne Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Aashiq Paane Ko Ishq Samajhte Rahe;
Jo Pa Liya, Woh Ishq Nahi, Woh Ishq-e-Hararat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Aap To Chand Ho, Jisse Sab Yaad Karte Hain;
Hamaari Kismat To Sitaron Jaisi Hai;
Yaad Karna To Durr, Log Apni Khwahish Ke Liye Bhi;
Hamaare Tootne Ka Intezar Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Saanson Ko Aadat Hai, Teri Yaadon Se Chalney Ki;
Ruk Jayeingi Yeh Saansein, Jiss Din Tum Yaad Na Aaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Baadi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein;
Na Woh Qaid Kar Sake, Na Hum Azaad Ho Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nigahon Pe Nigahon Ke Pehre Hote Hain;
Nigahon Ke Ghav Bhi Gehre Hote Hain;
Na Jaane Kyun Koste Hain Log Badsurton Ko;
Barbaad Karne Wale To Khoobsurat Chehre Hi Hote Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Baar Apne Andaaze Mohabbat Ka Ikraar Kar Lete;
Hum Apni Zindgai To Kya, Apni Rooh Bhi Unke Naam Kar Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Nadiyan Nahi Aansu The Mere;
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe;
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri;
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Mere Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi;
Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Ajeeb Yeh Aashique Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai;
Aur Kabhi Sanata Satata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Nafrat He Nahi Duniya Mein, Dard Ka Sabab;
Mohabbat Bhi Sakoon Waloon Ko, Badi Takleef Deti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuchh Iss Tarah Se Thukraya Zindaagi Ne Humein;
Abb Har Khushi Se Jaise Nafrat See Ho Gayi;
Dil Se Unhe Humne Kab Ka Nikaal Diya;
Abb Inn Saanso Mein Unki Khusbu Si Rah Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Dastoor-e-Zindaagi To Dekho;
Ishq-E-Bukhar Hum Ko Tha;
Lekin Hakim-E-Dawa Kissi Aur Ke Naseeb Mein Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Behte Aansu Ki Zabaan Nahi Hoti;
Lafzo Mein Mohabbat Bayan Nahi Hoti;
Mile Jo Pyaar Kisi Ka To Kadar Karna;
Kismat Har Kisi Par Maherban Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kashmakash Mein Kat Gayi Saari Zindgaani;
Tanhayi Ne Jeene Na Diya Aur Justaju Ne Marne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Berukhi Aur Teri Meherbaani;
Yehi Maut Hai Aur Yehi Zindgaani!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Kitaabon Main Phool Rakhna;
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna;
Humein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Woh;
Nazar Sey Harf-e-Salaam Likhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kamaal Ka Hausla Diyaa Khuda Ne Hum Insaano Ko;
Waqif Hum Agle Pal Se Nahi Hote;
Aur Waade Hum Janmo Ke Kar Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itna Anmol Tha Ke ⧭⧭Khareed Na Saka Koi Hamko;
Hairaan Hun Ke Tere Hathon Bika To Bika Kaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Zeher Dekar Maarte To Duniya Ki Nazron Mein Aa Jaate;
Andaaz-e-Qatal To Dekho, Mohabbat Karke Chhod Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa;
Ke Maine Bhi Lutaya Hai Mohabbat Main Sakoon Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aakhri Baar Tere Pyaar Ko Sajda Kar Luon;
Lout Ke Phir Teri Mehfil Mein Nahi Aayunga;
Apni Barbaad Mohabbat Ka Janaja Le Kar;
Teri Duniya Se Bahut Durr Chala Jaunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Dhoondtey Ho Tum Ishq Ko Oh Bekhabar;
Yeh Khud Hi Dhoond Leta Hai Jissey Barbaad Karna Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Majburiyon Ko Meri Badkismati Mat Samajhna;
Qyunki Hum Unn Rahon Par Se Bhi Guzre Hein;
Jahan Kismat To Durr, Saaya Bhi Sath Nahi Deta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajab Bandashain Hain Mohabbat Ki;
Na Uss Ne Qaid Mein Rakha, Na Hum Azaad Huwe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Chhorne Ka Faisla To Woh Har Roz Karta Hai;
Magar Uska Bas Nahin Chalta, Meri Wafa Ke Saamne!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭Nelaam Kuchh Iss Tarha Se Huay Bazar-e-Mohabbat Mein;
Boli Lagane Wala Bhi Woh Tha, Jiss Ne Kabhi Jholi Faila Kar Manga Tha Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬉⬉Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;
Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;
Mujhe Toh Uss Shaam Ka Intezaar Hai;
Jo Aaye Tume Saath Lekar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha;
Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha;
Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain;
Lekin Woh Bhool Gaye Ke Unhe Yeh Bataya Kisne Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Kismat Hamari Aasman Mein Chamakte Sitaare Jaisi;
Log Apni Tammana Ke Liye Hamarey Tutne Ka Intezaar Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taqderien Badal Jati Hain Jab Zindagi Ka Koi Maqsad Ho;
Warna Zindagi Kat Jati Hai Taqdeer Ko Ilzaam Dete Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Bahut Khoobsurat Unka Har Andaaz Hai;
Haqiqat Hai Ya Khwaab Hai;
Khushnaseebon Ke Paas Rehte Hain Woh;
Mere Paas To Bas ⧭Unki Meethi Si Yaad Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊Ye Sahil Per Bikhrey Huye Phool;
Na Jane Aaj Phir Kiski Mohabbat Doob Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Unhone Ek Aur Dard Diya To Yaad Aaya;
Hamne Hi To Maange The Unke Sare Dard Apni Duaao Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh, Faraz;
Ussey Mujhse Nahi Khud Say Mohabbat Ho Jaati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Aapki Yaad Dil Ko Bekarar Karti Hai;
Nazar Talash Apko Bar Bar Karti Hai;
Gila Nahi Jo Hum Hain Door Apse;
Hamari To Judai Be A⬉pse Pyar Karti Hai!



No comments :

Post a Comment