Nikle Jab Aansu Uski Aankhon Se;
To Dil Karta Hai Sari Duniya Jala Dun;
Phir Sochta Hun Ki Honge Uske Apne Bhi Iss Duniya Mein
Kahin Anjane Mein Use Phir Se Na Rula Dun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
Ki Tujhko Yaad Rakhne Mein Main Kya-Kya Bhool Jata Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Hum Ne Kee To Ek Khata Ho Gayi;
Ki Wafa Aur Zindagi Hi Ab Saza Ho Gayi;
Wafa Karte Rahe Hum Ibadaton Kee Tarah;
Phir Ibadat Bhi Hamare Liye Ek Gunah Ho Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Jo Aa Jaye To Iss Ghar Ko Sanwarta Dekhun;
Ek Muddat Se Jo Veeran Hai Wo Basta Dekhun;
Khawab Bankar Tu Behta Rahe Jannat Ke Jharne;
Aur Bas Main Isi Mausam Ko Nikharta Dekhun;
Jis Se Milna Nahi Usse Mohabbat Kaisi;
Sochata Jaaun Magar Dil Mein Utarta Dekhun;
Dil Geya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaata;
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahan Tak Dekhun;
Chand Lamhe Jo Tere Ishq Ke Mil Jaate Hain;
Inn Hi Lamhon Ko Main Sadiyon Mein Badalta Dekhun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Aate Hain Khwabo'n Mein Yunhi Bin Bulaye;
Aisa Hi Kuchh Shikwa Hamare Dil Ko Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Mein Ai 'Khumar';
Kya Baat Ho Gayi Jo Khuda Yaad Aa Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab;
Maine Bhi Maana Ki Yeh Sharaab Nasha Chadati Hai;
Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main;
To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uss Ke Bin Chup Chup Rehna Ab Achha Lagta Hai;
Khamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Bhi Achha Lagta Hai;
Uss Ka Milna Na Milna To Kismat Kee Baat Hai;
Magar Pal Pal Uss Kee Yaad Mein Rona Ab Achha Lagta Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujh Ko Paa Kar Bhi Kabhi To Khona Tha;
Ye Hadsa Mere Saath Kabhi To Hona Tha;
Wo Tod Kar Aksar Dil Mera Fir Jodta Raha;
Jaise Main Uss Ke Haath Ka Koi Khilona Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai;
Dil Dhadakta Hai Sahulat Se, Yahi Kaafi Hai;
Haal Duniya Ke Sataye Hue Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yahi Kaafi Hai;
Jo Bhi Raaste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yahi Kaafi Hai;
Muddatton Se Nahi Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Aa Jate Ho Shiddat Se, Yahi Kaafi Hai;
Saari Duniya Se Uljhate Hain Lekin Tera Kaha;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;
Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Baai Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;
Aaj Ke Ehad Tagaful Mein Kisi Dar Pe 'Munir';
Koi Aa Jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Kitni Khoobsurat Hoti Agar Teri Chahat Adhuri Na Hoti;
Kuch Uljhane Kuch Majboorian Hoti Beshak, Magr Pyaar Mein Itni Dooriyan Na Hoti!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhara Dukh Hum Seh Nahi Sakte;
Bhari Mehfil Mein Kuch Keh Nahi Sakte;
Humare Girte Hue Aansuon Ko Padh Kar Dekho;
Woh Bhi Kehte Hain Ki Hum Aapke Bin Reh Nahi Sakte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Din Meri Arthi Iss Duniya Se Vida Hogi;
Ek Alag Sama Hoga Ek Alag Baat Hogi;
Kehna Uss Bewafa Se Mar Gaye Tumhare Chahne Wale;
Ab Na Hum Hain Aur Na Hamari Batein Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Khud Se Hain Shikayatein, Mujhe Zindagi Se Gila Nahi;
Ki Jo Chaha Maine Woh Paa Liya, Nahi Aisa Kuch Jo Mila Nahi;
Mere Aas Paas Hai Roshni, Mere Raaston Mein Chirag Hain;
Yeh Tere Karam Ka Hai Mojza, Meri Justuju Ka Sila Nahi;
Teri Aankh Se Jo Haseen Ho, Woh Nigah Jag Mein Bani Nahi;
Tere Rukh Ko Jis Se Misaal Doon, Koi Aisa Phool Khila Nahin;
Yeh Jo Teri Zulf Ka Hai Hashiya, Yeh Jo Tera Chehra Khushnuma;
Koi Raat Aisi Siyaah Nahi, Kisi Subah Mein Yeh Jilaa Nahin;
Yeh Jo Mehr-o-Maa Kee Hain Halatein, Yeh Jo Aainon Kee Hain Hairtein;
Hain Azal Se Yeh Isi Tarah, Koi Apni Jaa Se Hila Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
Husn Ne Yehi Silsila Hamaari Zindgi Mein Duhra Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin;
Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Karoge Yaad Tum Ki Main Kehta Tha Kabhi;
Daulat Aur Mohabbat Ka, Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai;
Hoti Hai Jinke Liye Daulat Hi Sab Se Badhkar;
Unke Liye To Yeh Mohabbat, Bas Ek Khel Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne To Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto;
Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta;
Jo Mil Jaye Iss Raah Par Kabhi Yaar Se;
Woh Zakham Kabhi Fir Dobara Nahi Silta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Ka Koi Rang Nahi Phir Bhi Woh Rangeen Hai;
Pyaar Ka Koi Chehra Nahi Phir Bhi Woh Haseen Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;
Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Aawazein Si;
Door Sehra Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;
Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;
Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Kee Lakiron Pe Saja Ho Jaise;
Ab Agar Doob Geya Bhi To Marunga Na 'Kamal'
Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar Gaye;
Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahin Anjam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi;
Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi;
Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua;
In Aankhon Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Bhi Kayi Sawal Hain Iss Dil Mein;
Pyaar Ka Gham Bezuban Hai Iss Dil Mein;
Kuch Keh Nahi Paata Ye Dil Magar;
Uss Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Iss Dil Mein!
YAADEIN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi;
Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujh Se Kafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka To Khuda Yaad Aaya;
Mere Dil Pe To Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saya;
Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya;
Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqabil Paya;
Charagar Aaj Sitaron Kee Kasam Kha Ke Bata;
Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya;
Log Hanste Hain To Iss Soch Mein Kho Jata Hun;
Mauj-e-Sailab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;
Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai;
Jaante Bhujhte Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Umeedon Ke Daaman Mein Zinda Hain Hum;
Warna Jeene Kee Chahat Kahan;
Tumse Milne Kee Aarzoo Liye Firte Hain Dar-b-Dar;
Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mana Ki Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Bhi To Ehsaas Nahi;
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu;
Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzilon Se Apni Darr Na Jana;
Raaste Kee Preshaniyon Se Toot Na Jana;
Jab Bhi Zarurat Ho Zindagi Mein Kisi Apne Kee;
Hum Aapke Apne Hain Ye Bhool Na Jana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe;
Jise Qarar Na Aaya Kahin Bhula Ke Mujhe;
Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milein;
Fareb Do To Zara Silsile Barha Ke Mujhe;
Nashe Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
Ki Le Udaa Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe;
Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale;
Udaas Chorrh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;
Tumhare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;
Khinchi Hui Hai Mere Aansoun Mein Ek Tasveer;
'Faraz' Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Ranj Bhi Aise Uthaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Jo Zamane Ke Sitam Hain Wo Zamana Jaane;
Tu Ne Dil Itne Sataye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Udaas Hai Koi Shakhs Tere Chale Jaane Se;
Ho Sake To Laut Kar Aaja Kisi Bahaane Se;
Tu Lakh Khafa Sahi Magar Ek Baar To Mud Kar Dekh;
Koi Toot Geya Hai Tere Door Chale Jaane Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Zindagi Ke Raaz Mein Ek Raaz Tum Bhi Ho;
Meri Bandagi Kee Aas Mein Ek Aas Tum Bhi Ho;
Tum Kya Ho Mere, Kuch Ho Ya Kuchh Bhi Nahi Magar;
Meri Zindagi Ke Kaash Mein Ek Kaash Tum Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen;
Woh Hi Apne Samne Ho, Hum Jidhar Dekha Karen;
Ek Taraf Ho Sari Duniya, Ek Taraf Teri Surat Ho;
Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Mujh Ko Sath Lekar, Kabhi Mere Sath Chal Kar;
Who Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar;
Hue Jis Pe Meharban Tum Koi Khushnaseeb Hoga;
Meri Hasratein To Nikali Mere Aansuon Mein DhalkKe;
Teri Zulf-o-Rukh Ke Kurban Dil-e-Zar Dhundta Hai;
Wahi Champai Ujale Wahi Surmai Dhundlake;
Koi Phul Ban Geya Hai Koi Chand Koi Tara;
Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke;
Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo;
Wo Yahin Kahin Chupe Hain Mere Gum Ka Rukh Badal Ke;
Teri Be-Jhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila;
Ye Nagar Hai Aainon Ka Yahan Saans Le Sambhal Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Be-Zubani Tarjuman-e-Shauq Be-Had Ho To Ho;
Warna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hai Taqriren Kahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Karte Hain Baat Ishq Kee;
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi;
Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko;
Par Use Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaam Suraj Ko Dhalna Sikhaati Hai;
Shama Parwaane Ko Jalna Sikhaati Hai;
Girne Waale Ko Takleef To Hoti Hai Magar;
Thokar Hi Insaan Ko Chalna Sikhaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Mehndi Wale Haath Mujhe Dikha Kar Royi;
Ab Main Hun Kisi Aur Kee Yeh Mujhe Bata Kar Royi;
Pehle Kehti Thi Ki Nahi Jee Sakti Tere Bin;
Aaj Phir Se Woh Baat Dohra Kar Royi;
Kaise Karun Uski Mohabbat Pe Shak Yaaro;
Woh Bhari Mehfil Mein Mujhe Gale Laga Kar Royi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Nigah Ke Jadu Bikharte Jate Hain;
Jo Zakhm Dil Ko Mile Woh Bharte Jate Hain;
Tere Baigair Woh Din Bhi Guzar Gaye Aakhir;
Tere Baigair Ye Din Bhi Guzarte Jate Hain;
Liye Chalo Mujhe Dariya-e-Shauq Kee Maujon;
Ki Humsafar To Mere Paar Utarte Jate Hain;
Tamaam Umar Jahan Hanste Khelte Guzari;
Ab Us Gali Mein Bhi Hum Darte Darte Jate Hain;
Mein Khawhishon Ke Gharaunde Banaye Jata Hun;
Woh Mehnatein Meri Barbad Kiye Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Bikhar Jaunga Zanjeer Kee Kadiyon Kee Tarah;
Aur Reh Jayegi Iss Dasht Mein Jhankar Meri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uske Intezar Ke Maare Hain Hum;
Bas Uski Yaadon Ke Sahare Hain Hum;
Duniya Jeet Kar Kya Karna Hai Ab;
Jise Duniya Se Jeeta Tha, Aaj Usi Se Haare Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Cheen Lenge Tum Se Ye Shan-e-Beniazi;
Tum Maangte Phiro Ge Apna Ghuroor Hum Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zuban Khamosh Aankhon Mein Nami Hogi;
Yahi Bas Ek Daastan Zindagi Ki Hogi;
Bharne Ko To Har Zakhm Bhar Jayega;
Lekin Kaise Bharegi Wo Jagah, Jahan Uski Kami Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;
Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;
Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;
Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sahra-Nashin Achhhe;
Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Apne Ikhtiyar Kee Hadh Se Guzar Gaye;
Chaha Tumhein To Pyaar Kee Hadh Se Guzar Gaye;
Jaagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Kee Aarzu;
Jab Mausam-e-Bahaar Kee Hadh Se Guzar Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitni Mushkil Se Kati Kal Kee Meri Raat Na Pooch;
Dil Se Nikli Hui Honthon Mein Dabi Baat Na Pooch;
Main Jiske Liye Ladh Jaun Iss Khudai Se;
Mujhe Khud Se Hai Pyaari Yeh Kiski Zaat Na Pooch!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hathon Kee Lakiro Ka Aitbar Kar Lena;
Bharosa Ho To Had Ko Paar Kar Lena;
Khona Pana To Naseebon Ka Khel Hai;
Dil Ko Jo Apna Lage Bas Usi Se Pyaar Kar Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Se Kya Puchte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain;
Tere Laut Aane Kee Din Raat Dua Karte Hain;
Ab Koi Honth Nahi In Ko Churane Aate;
Meri Aankhon Mein Agar Ashk Hua Karte Hain;
Teri Tu Jane, Par Ai Jane-Tammana Hum To;
Saans Ke Saath Tujhe Yaad Kiya Karte Hain;
Tu Hi Pehlu Mein Nahi Warna December Mein Wahin;
Dhoop Mein Akhbaar Padhaa Karte Hain;
Kabhi Yaadon Mein Tujhe Baahon Mein Bhar Lete Hain;
Kabhi Khawbon Mein Tujhe Chum Liya Karte Hain;
Teri Tasveer Laga Lete Hain Hum Seene Se;
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kiya Karte Hain;
Gar Tujhe Chorrne Kee Soch Bhi Aaye Dil Mein;
Hum To Khud Ko Bhi Wahin Chorr Diya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aggar Jawaani Mein Khuda Na Pa Saako;
Tu Chahat Moola Ki Kabhi Kum Nahi Hoti.
Toh Ishq Mein Ho Kar Ek Baar Be-Murawat;
Insaan Ishq Ki Bandagi Kyun Bhool Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamaari Shayari Dilaati Hai Aashiq Ki Yaad;
Yeh Duhaarti Bhi Hai Hamaare Ishq Ki Fariyaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera;
Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil To Karta Hai Zindagi Ko Kisi Qaatil Ke Hawaale Kar Du;
Judai Mein Yun Roz-Roz Ka Marna Mujhe Achhaa Nahi Lagta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chirag-e-Wafaa Apne Haath Mein Liye;
Ghumte Rahe Jinke Liye Hum Raat Bhar;
Aaj Wo Hi Judaa Humse Ho Gaye Hain;
Chal Diye Wo Hi Humse Apna Munh Mod Kar!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main;
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main;
Teri Doori Ne Kar Diya Hai Pagal Sa Mujhe;
Aur Logon Ka Kehna Hai Ki Magroor Hoon Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaayad Abhi Hai Raakh Mein Koi Sharaar Bhi;
Kyon Varna Intezar Bhi Hai Iztiraar Bhi;
Dhyaan Aa Geya Hai Marg-e-Dil-e-Namurad Ka;
Milne Ko Mil Geya Hai Sukun Bhi Qaraar Bhi;
Ab Dhundne Chale Ho Musafir Ko Dosto;
Hadd-e-Nigah Tak Na Raha Jab Gubaar Bhi;
Har Aastaan Pe Nasiya Farsaa Hain Aaj Woh;
Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intezar Bhi;
Ik Raah Ruk Gayi To Thee Thak Kyon Gayi 'Ada';
Aabaad Bastiyan Hain Pahadon Ke Paar Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bewaafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi;
Besharam Tum Ho To Sharamsar Hum Bhi Nahi;
Pyaar Ke Iss Maud Par Kehte Ho Ke Shadishuda Ho;
To Kya Hua Darling, Kunware Hum Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhein Jafa Se Na Yun Baaz Aana Chahiye Tha;
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gum Mein Bhi Muskurana Chahta Hu Main;
Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hu Main;
Magar Na Jane Kyon Nikal Aate Hain Aansu;
Jab Bhi Tumhein Bhulana Chahta Hu Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jinhe Bhulaney Mein Yaaro, Itne Zamane Lage;
Jab Dil Dukha To Woh Hi Log Yaad Aane Lage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Reh Na Pao Ge Kabhi Bhula Kar Dekh Lo;
Yakeen Nahi Aata To Aazma Kar Dekh Lo;
Har Jagah Mehsoos Hogi Kami Hamari;
Apni Mehfil Ko Kitna Bhi Saja Kar Dekh Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashna Ho To Aashna Samjhe;
Ho Jo Na-Aashna To Kya Samjhe;
Hum Isi Ko Bhala Samhhte Hain;
Aapko Jo Koi Bura Samjhe;
Vasal Hai Tu Jo Samjhe Use Vasal;
Tu Judaa Hai Aagr Judaa Samjhe;
Jo Zeher Deve Apne Haath Se Tu;
Tera Bimar-e-Gum Dawa Samjhe;
Ho Wo Baigana Ek Alam Se;
Jisko Apna Wo Dilruba Samjhe;
Ai 'Zafar" Woh Kabhi Na Ho Gumraah;
Jo Mohabbat Ko Rehnuma Samjhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
So Zindagi Nisaar Karun Aisi Maut Par;
Yun Roye Zaar Zaar Tu Ahl-e-Azaa Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Beet Geya Use Bhool Ja Ai Dil;
Jo Guzar Geya Waqt Woh Kabhi Na Aayega;
Pal Do Pal Ka Saath De Kar Saathi Chala Geya;
Uski Yaad Mein Jal Kar Tu Aur Bhi Pachtayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaya Tha Saath Lekar Teri Yaadon Ka Sahara;
Jaa Raha Hu Main Lekar Tere Gum Ka Fasana;
Maar Jayenge Hum Tadapkar Teri Bala Se;
Na Basa Meri Mohabbat Ka Kahin Aashiyana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekha Jo Tumhe To Mehsus Hua;
Pehchaan Hai Apni Muddat Se;
Khwabon Mein Dekhi Thi Jo Surat;
Milti Hai Tumhari Surat Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;
Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;
Ishq Mashook Ishq Aashiq Hai;
Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;
Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;
Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aa Ki Tujh Bin Iss Tarah, Ai Dost Ghabrata Hun Main;
Jaise Har Shai Mein Kisi Shai Kee Kami Paata Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;
Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;
Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chehre Kee Har Muskaan Ban Jaata Hai Koi;
Dil Kee Har Dhadkan Ban Jata Hai Koi;
Fir Kaise Jiyenge Ye Zindagi Unke Bin;
Jab Zindagi Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nasha Zaroori Hai Zindagi Ke Liye;
Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye;
Kisi Kee Mast Nigahon Mein Doob Jao;
Bada Haseen Samandar Hai Khudkhushi Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;
Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhei Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;
Hum Bhi Majboorion Ka Uzaar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;
Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;
Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doston Ke Iss Qadar Sadme Uthaye Jaan Par;
Dil Se Dushman Kee Adawat Ka Gila Jata Raha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho;
Tumhare Har Gum Ka Dard Hamara Ho;
Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gum Nahi;
Bas Aakhiri Waqt Saath Tumhara Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chup Chap Se Rehte Hain Wo Aksar;
Zulfein Bhi Suna Hai Ki Sanwara Nahi Karte;
Din Raat Guzarte Hain Un Ke Be-Chain Se;
To Chain Se Hum Bhi Guzara Nahi Karte!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Kew Nigah Agar Meharban Ho Jaye;
Main Jis Zameen Pe Hun Wo Aasman Ho Jaye;
Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Ishq Par;
To Phir Ek Baar Mera Imtihan Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;
Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;
Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;
Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;
Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;
Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhse Bichad Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;
Shaam Hai Gehri, Tez Hawa Hai, Sar Pe Khadi Hai Raat;
Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Chain Aaye Jo Jeene Se To Marne Se Sukoon Hoga;
Mohabbat Hadh Se Badh Jaye To Lazmi Hai Junoon Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gum Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne;
Gum To Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne;
Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh Dete;
Baat Apas Ki Kyon Sab Ko Batai Tum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jane Kis Baat Kee Mujhko Saza Deta Hai;
Meri Hansti Hui Aankhon Ko Rula Deta Hai;
Ek Muddat Se Khabar Bhi Nahi Teri;
Koi Iss Tarah Bhi Kya Apne Pyaar Ko Bhula Deta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din;
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga;
Jaane Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
Ki Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din;
Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
Mere Din, Be-Asar Gaye Mere Din;
Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
Yaar Yaaran, Sudhar Gaye Ab Din;
Ab Main Bas Reh Geya Hun Raaton Mein;
Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono Hi Be-Bas The;
Wo Zulfein Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Rukhsaar Se Hi Jal Jati Hai Cigarette Meri;
Iss Atishi Husn Ne, Machis Kee Bachat Kar Dee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chandni Raat Badi Der Ke Baad Aayi;
Yeh Mulaqat Badi Der Ke Baad Aayi;
Aaj Aaye Hain Woh Milne Ko Badi Der Ke Baad;
Aaj Kee Raat Badi Der Ke Baad Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hasraton Se Aapki Raah Sajaa Denge;
Sapno Kee Daulat Aap Par Luta Denge;
Na Hai Koi Phool Aaj Mere Damaan Mein;
Lekin Aapke Aane Par Palkein Bichha Denge!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Majbooriyon Ko Hum Palkon Mein Chhupa Lete Hain;
Hum Kahan Rote Hain Bas Yeh Halaat Rula Dete Hain;
Hum To Har Pal Yaad Karte Hain Sirf Aapko;
Aur Woh Hi Hum Par Yaad Na Karne Ka Ilzam Laga Dete Hain!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mujhe Chaahti Hai Par Apna Nahi Sakti;
Mujhe Bhulane Ka Dard Utha Nahi Sakti;
Ajeeb Hai Uske Pyaar Ka Ye Andaz Bhi;
Khafa To Karti Hai Par Manaa Nahi Sakti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski;
Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski;
Ghiri Hui Hun Main Chehron Ki Bheed Mein Lekin;
Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski;
Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai;
Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski;
Ye Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye;
Kahan Pe Reh Gayi Logon Sadaqatein Uski;
Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar;
Ye Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gairon Pe Khul Na Jaye Kahin Raaz Dekhna;
Meri Taraf Bhi Ghamza-e-Ghamaz Dekhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Se Kab Humne Mulaqat Ka Vaada Chaha;
Door Reh Kar Tujhe Kuch Aur Bhi Jyada Chaha;
Yaad Aayi Hai Teri Aur Bhi Shiddat Se Humein;
Bhool Jaane Ka Tujhe Jab Bhi Iraada Chaha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Dhokha Nahi Aisa Jo Na Khaya Hum Ne;
Zindagi Bhar Tera Saath Nibhaya Hum Ne;
Kabhi Mehnat Ka Silaa Apni To Paya Hi Nahin;
Chaaon Auron Ko Mili Pedh Lagaya Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Intezar To Bahut Tha Humein Lekin Aaye Na Woh Kabhi;
Hum To Bin Bulaye Hi Aa Jaate Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain;
Kareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain;
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai;
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain;
Abhi Se Dil-o-Jaan Sar-e-Raah Rakh Do;
Ki Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain;
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti;
Nigahein Churane Ke Din Aa Rahe Hain;
Saba Phir Humein Puchti Phir Rahi Hai;
Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain;
Chalo 'Faiz' Phir Se Kahin Dil Lagyein;
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain!

Kuch Wahi Achhhe Hain Jo Waqif Nahi Anjam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Chehre Ne Kuch Aisa Gazab Dhaya Hai;
Ki Tere Husn Se Aaj Chand Bhi Sharmaya Hai;
Maang Lete Tumhein Aaj Uss Khuda Se;
Par Tere Samne Aaj Woh Bhi Tera Ghulam Nazar Aaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Aankhon Mein Koi Dard Basa Hai Shayad;
Ya Mujhe Khud Hi Veham Sa Hua Hai Shayad;
Maine Pucha Ki Bhool Gaye Ho Kya Tum Bhi;
Ponch Kar Aansu Usne Bhi Keh Diya, Haan Shayad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya Hai;
Khud Ko Dard Ke Samandar Mein Dubo Diya Hai;
Jo Thi Kabhi Mere Muskurane Ki Wajah;
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqeeb To Aakhir Woh Naam Kiska Tha;
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Muqeem Kaun Hua Hai Maqaam Kiska Tha;
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Hai Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;
Woh Katl Karke Har Kisi Se Puchte Hain;
Yeh Kaam Kisne Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;
Guzar Geya Woh Zamana Kahein To Kis Se Kahein;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-o-Shaam Kiska Tha;
Har Ek Se Kehte Hain Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puche Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Zinda Hun Lekin Sochta Rehta Hun Khalwat Mein;
Ki Ab Tak Kis Tamanna Ke Sahaare Jee Liya Maine!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chahat Mein Dubne Ka Haq Sabhi Ko Hai;
Par Duniya Ke Samne Inkar Sabhi Ko Hai;
Beshak Koi Chupa Le Dil Kee Gehraiyon Mein;
Par Kisi Na Kisi Se To Pyar Sabhi Ko Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mera Muqaddar Padhane Wale Ne Mujhe Pareshani Mein Daal Diya;
Haatho Kee Lakeerein Dekh Kar Bola, Tujhe Maut Nahi Kisi Ki Chaahat Maaregi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Khamoshi Se Darr Lagta Hai;
Door Na Ho Jaye Mujhse Aisa Kyon Lagta Hai;
Duniya Se Use Cheen Lene Ka Hausla Hai Mujh Mein;
Lekin Woh Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raat Ke Khwab Sunayein Kis Ko Raat Ke Khwab Suhane The;
Dhoodhle Dhoodhle Chehre The Par Sab Jaane Pahchane The;
Ziddi Wahshi Alhar Chanchal Meethe Log Raseele Log;
Honth Un Ke Ghazalon Ke Misre Aankhon Mein Afsane The;
Yeh Ladki To Inn Galiyon Mein Roz Hi Ghuuma Karti Thi;
Iss Se Un Ko Milna Tha To Iss Ke Lakh Bahane The;
Hum Ko Sari Raat Jagaya Jalte Bujhte Taron Ne;
Hum Kyon Un Ke Dar Pe Utre Kitne Aur Thikane The;
Vahshat Kee Unvaan Humari In Mein Se Jo Naar Bani;
Dekhenge To Log Kahenge 'Insha' Ji Deewane The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Vaar Karte Hain 'Faraz';
Warna Gairon Ko Kya Khabar Ki Dil Kee Jagah Kaun Si Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun;
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun;
Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hee, Baad Mere Marne Ke;
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa;
Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum;
Aaj Wakif Hai Yaaro Humse Shehar Ka Har Ek Aadmi;
Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zamane Wale Mil Gaye Hain Sabhi Ek Doosre Se;
Milkar Sabhi Ne Mujh Akele Ko Mara Hai;
Tu Bhi Mat Ho Jana Bewafa Sabhi Kee Tarah;
Ai Mere Dost Iss Dil Ko Bas Tera Sahara Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye;
Gum Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye;
Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Kee Simt Jata Hun;
Isko Dasht-e-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye;
Lakh Khushguman Duniya Vehmi Talluq Ko;
Dosti Kahe Lekin Dosti Na Samjha Jaye;
Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jeene Marne Ko;
Aap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye;
Khak Karne Walon Kee Kya Ajeeb Khwahish Thi;
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Ise Shikwa Samajh Kar Kis Liye Sharma Gaye;
Muddaton Ke Baad Dekha Tha To Aansu Aa Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Agar Hamari Koi Khata Tu Sabit To Kar;
Agar Bure Hain Hum To Bura Saabit To Kar;
Tujhe Chaha Hai Humne Kitna, Tu Kya Jane;
Chal Hum Bewafa Hi Sahi, Tu Apni Wafa Sabit To Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhule Hain Rafta Rafta Unhein Muddaton Mein Hum;
Kishton Mein Khudkhushi Ka Mazaa Hum Se Puchiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai;
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai;
Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu;
Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log Har Mod Par Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain;
Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalte Kyon Hain;
Main Na Juganu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun;
Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain;
Neend Se Mera Taluq Hi Nahi Barson Se;
Khwab Aa-Aa Ke Meri Chhat Pe Tehalte Kyon Hain;
Mod To Hota Hai Jawani Ka Sambhalne Ke Liye;
Aur Sab Log Yahin Aakar Phisalte Kyon Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Milate Ho Usi Ko Khaak Mein, Jo Dil Se Milta Hai;
Meri Jaan Chahane Wala, Badi Mushkil Se Milta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Had Kee Had Se Guzrna Koi Aapse Seekhe;
Yun Mohabbat Mein Jaan Lutana Koi Aapse Seekhe;
Hum To Dil Dekar Bhi Aapke Ho Na Sake;
Dil Ko Dil Se Churana Koi Aapse Seekhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat Intezar Karvao Humse Itna Ki Waqt Ke Faislon Pe Tumhe Bhi Afsos Ho Jaye;
Kya Pta Tum Baat Karne Aao Aur Tab Tak Humari Rooh Hi Khamosh Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankho Ke Ishare Samajh Nahi Pate;
Hontho Se Dil Kee Baat Keh Nahi Pate;
Apni Bebasi Hum Kis Tarah Kahe;
Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahi Pate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho;
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho;
Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal;
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho;
Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai;
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho;
Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod;
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamam Umar Jo Kee Humse Be-Rukhi Sab Ne;
Kafan Mein Hum Bhi Azizon Se Munh Chhupa Ke Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Unki Yaad Aati Hai Kabhi Unke Khawab Aate Hain;
Mujhe Satane Ke Saleeke To Unhe Behisab Aate Hain;
Qayamat Dekhni Ho Agar Chale Jana Kisi Mehfil Mein;
Suna Hai Ki Mehfil Mein Woh Be-Naqab Aate hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kayi Sadiyon Mein Aati Hai Koi Soorat Haseen Itni;
Husn Par Har Roz Kahan Aise Shabab Aate Hain;
Roshni Ke Waaste To Unka Noor Hi Kaafi Hai;
Unke Deedaar Ko Aaftab Aur Mehtaab Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Churi Kee Nok Se Zakhmo Pe Wo Marham Lagate Hain;
Zakham Bhi Khud Hee Dete Hain Khud Hee Aansu Bahate Hain;
Yeh Kaisa Pyaar Hai Unka Koi To Humko Samjhao;
Sitamgar Hain Ya Hain Dilbar Woh Jo Yaad Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;
Uss Tak Aati Hai To Har Cheez Thehar Jati Hai;
Jaise Pana Hi Use Asal Mein Mar Jana Hai;
Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
Dil Ko Rukna Hai Ki Taron Mein Thehar Jana Hai;
Kaun Ubharte Hue Mehtab Ka Raasta Roke;
Uss Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sehar Jana Hai;
Main Khila Hun To Isi Khak Mein Milna Hai Mujhe;
Wo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai;
Wo Tere Husn Ka Jadu Ho Ki Mera Gum-e-Dil;
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dushmani Lakh Sahi Khatam Na Kijiye Rishta;
Dil Milen Ya Na Milen Hath Milate Rahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein;
Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein;
Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa;
Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tu Tham Le;
Magar Mere Pyaar Ko Bhi Tu Kabhi Pehchan Le;
Kitna Intezar Kiya Hai Tere Ishq Mein Humne;
Zara Yeh Dill Kee Betaabi Ko Bhi Tu Kabhi Jaan Le!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din Beet Jate Hain Suhani Yaadein Banker;
Baatein Reh Jati Hain Kahani Bankar;
Par Pyaar To Hamesha Dil Ke Kareeb Rahega;
Kabhi Muskaan To Kabhi Aankhon Mein Pani Bankar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ret Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo;
Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo;
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain;
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo;
Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho;
Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo;
Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai 'Mohsin';
Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam;
Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Firm certainty, eternal action, the love that conquers the world,
These are the swords of men in the holy war of life!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Kee Tarha;
Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Kee Tarha;
Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha;
Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Mil Jaaye Mujhe Tum Jaisa Yeh Na-Mumkin Sahi;
Lekin Tum Dhund Lo Hum Jaisa Itna Aasan Yeh Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Paas Aate To Hum Baat Kar Lete;
Wo Sath Rehte To Hum Pyaar Kar Lete;
Kya Majburi Rahi Jo Woh Chale Gaye;
Wajah To Batate Hum Intezar Kar Lete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafa Yaad;
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;
Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Yeh Na Bhi Raha Yaad;
Shayad Ke Mere Bhoolne Waalay Ne Kiya Yaad;
Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko;
Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Ki Adaa Yaad;
Kya Lutf Ki Main Apna Pata Aap Bataaun;
Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad;
Muddat Hui Ek Hadsa-e-Ishq Ko Lekin;
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakne Kee Sadaa Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naya Ek Rabt Paida Kyon Karen Hum;
Bichadna Hai To Jhagda Kyon Karen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Fursat Mili Jab Humko To Tanhai Aa Gayi;
Ghum Bhi Aaya Saath Mein Ruswai Aa Gayi;
Inn Sab Se Milne Aankhon Se Aansu Bhi Aa Gaye;
Jab Yaad Mere Dil Ko Teri Judai Aa Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghum Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulai Tum Ne;
Ghum To Ye Hai Ki Raqeebon Se Nibhai Tum Ne;
Koi Ranjish Thi Agar Tum Ko To Mujh Se Keh Deta;
Baat Aapas Kee Kyon Sab Ko Batai Tum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho;
Jo Mile Khawab Mein Wahi Daulat Ho;
Kis Liye Dekhti Ho Tum Yeh Aaina;
Tum To Khud Se Bhi Jyada Khoobsurat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Hissa Shumar Karta Tha;
Mujhse Itna Woh Pyaar Karta Tha;
Woh Banata Tha Meri Tasveerein;
Unse Batein Hazaar Karta Tha;
Mera Dukh Bhi Khuloos-e-Niyat Se;
Apna Dukh Hi Shumar Karta Tha;
Such Samjhta Tha Jhooth Bhi Mera;
Yun Mera Aitbaar Karta Tha;
Pehle Rakhta Tha Phool Raaste Mein;
Phir Mera Intezar Karta Tha;
Aaj Pehlu Mein Wo Nahi 'Faraz';
Jo Mujh Pe Jaan Nisaar Karta Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Hain Sukhe Hue Talab Pe Baithe Hue Hans;
Jo Talluq Ko Nibhate Hue Mar Jate Hain;
Ye Mohabbat Kee Kahani Nahi Marti Lekin;
Log Kirdar Nibhate Hue Mar Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamanna Se Nahi Tanhayi Se Darte Hain;
Pyaar Se Nahi Ruswayi Se Darte Hain;
Milne Kee Chahat To Bahut Hai Magar;
Milan Ke Baad Kee Judai Se Darte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chahat Kee Raah Mein Bikhre Aarmaan Bahut Hain;
Hum Uski Yaad Mein Pareshan Bahut Hain;
Woh Har Baar Dil Todta Hai Ye Keh Kar Ki;
Meri Ummedon Kee Duniya Mein Abhi Mukaam Bahut Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Se Laun Hunar Use Manane Ka;
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka;
Mohabbat Mein Saza Mujhe Hi Milni Thi;
Kyonki Jurm Maine Kiya Tha Usse Dil Lagane Ka!

Raasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;
Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap;
Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh;
Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan;
Kamre Kee Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;
Tu Bhi 'Munir' Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Ja Kar Dekh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jaane Wo Humse Kya Chhupati Thi;
Kuch Tha Zaroor Uske Payyare Se Hontho Pe;
Magar Na Jaane Kyon Humse Sharmati Thi;
Jab Munh Khulwaya Tab Jakar Maloom Huya;
Saali Chup-Chup Paan Masala Chabati Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dard Ke Milne Se Ai Yaar Bura Kyun Mana;
Usko Kuch Aur Siwa Deed Ke Manzur Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Likh Nahi Paate Kuch Suna Nahi Paate;
Haal-e-Dil Zuban Pe La Nahi Paate;
Woh Utar Gaye Hain Dil Kee Gehraiyon Mein;
Woh Samjh Nahi Paate, Hum Samjha Nahi Paate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Izhar Mohabbat Ka Kuch Aise Hua;
Kya Kahein Ki Pyaar Kaise Hua;
Unki Ek Jhalak Pe Nisaar Hue Hum;
Saadgi Pe Mar-Mite Aur Aankho Se Iqraar Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Ho Chuka Intezar Unka;
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi;
Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko;
Dard Unke Ab Kahe Jaate Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujh Ko Baigana Kar Gaye Mere Din;
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din;
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jayega;
Jaanae Kis Ke Ghar Gaye Mere Din;
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat;
Ki Mujh Hee Ko Bisaar Gaye Mere Din;
Saari Raatein Gayin Meri Be-Haal;
Mere Din Be-Asar Gaye Mere Din;
Khosha Ab Intezar Hai Na Umeed;
Yaar Yaaran Sudhar Gaye Ab Din;
Ab Main Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye 'Jon' Mar Gaye Mere Din!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab In Hudud Mein Laya Hai Intezar Mujhe;
Wo Aa Bhi Jayein To Aaye Na Aitabar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Kehta Hai Pyaar Nasha Ban Jata Hai;
Koi Kehta Hai Pyaar Saza Ban Jata Hai;
Lekin Agar Pyaar Karo Sache Dil Se To;
Pyaar Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai!
I~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mila Wo Bhi Nahi Karte Mila Hum Bhi Nahi Karte;
Gila Wo Bhi Nahi Karte Shikwa Hum Bhi Nahi Karte;
Yeh Bhi Such Hai Mohabbat Unko Bhi Hai Mohabbat Humko Bhi Hai;
Izhar Wo Bhi Nahi Karte Iqrar Hum Bhi Nahi Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Fursat Na Mili Padhne Kee Warna;
Hum To Tere Shehar Mein Biktey Rahe Kitaabon Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ai Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun;
Jab Tees Koi Chamke Main Tujhko Dikhayi Dun;
Jis Roz Kabhi Tera Deedaar Na Ho Paaye;
Main Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhayi Dun;
Magroor Hai Tu Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar;
Tu Chahe To Main Tujhko Tan Man Kee Khudai Dun;
Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Kare Mujhko;
Main Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunayi Dun;
Ik Umar Ke Baad Apne Chit Chor Ko Pakda Hai;
Main Kaise Qateel Usko Baahon Se Rihayi Dun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab To Ghabra Ke Ye Kehte Hain Ki Mar Jayenge;
Mar Ke Bhi Chain Na Paya To Kidhar Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maine Har Gum Ko Hans Kar Utha Liya;
Raaz Teri Bewafai Ka Sabse Chhipa Liya;
Mujhko To Teri Wafaon Par Yakin Tha;
Na Jane Kyon Tumne Apna Daman Chhuda Liya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Yeh Doori Kar Di;
Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di;
Mere Muqaddar Mein Gum Aaye To Kya Hua;
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain;
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain;
Jane Kya Baat Hai Unme Ai Khuda;
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Dil Qaid Se Chhoota Hua Hai;
Abhi Tak Shehar Se Rootha Hua Hai;
Hum Kaise Kahe Iss Dil Ko Sacha;
Hamare Samne Jhoota Hua Hai;
Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Par;
Yeh Sab Samaan Loota Hua Hai;
Tumhare Dil Mein Meri Chahaton Ka;
Koi To Beej Sa Phoota Hua Hai;
Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se;
Yeh Dil Phele Se Hee Toota Hua Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Thak Thak Ke Band Hote Hain Chasme Intezar;
Aata Hai Sab Ko Khyal Tumhare Khyal Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Safar Mohabbt Ka Dushwar Kitna Hai;
Magar Dekhna Hai Ki Koi Wafadar Kitna Hai;
Yahi Soch Kar Use Kabhi Manga Nahi Maine;
Use Parakhna Hai Ki Wo Mera Talbgar Kitna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Janam Vich Karan Pyaar Inha;
Ki Har Janam Vich Mil Jave Tera Sath Mainu;
Inhe Sajde Karan Main Rabb Agge;
Har Janam Vich Naseeb Hove Tera Pyaar Mainu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaise Guzarti Hai Meri Har Ek Sham Tere Bagair;
Agar Tu Dekhle To Kabhi Tanhaa Na Chhodti Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Kya Hamare Khwab The, Jane Kahan Pe Kho Gaye;
Tum Bhi Kisi Ke Sath Ho, Hum Bhi Kisi Ke Ho Gaye;
Jaane Woh Kyon The, Kaun The Aaye The Kis Liye Yahan;
Woh Jo Fashaar-e-Waqt Mein, Bojh Sa Ek Dho Gaye;
Uss Ki Nazar Ne Yun Kiya Gard-e-Malal-e-Jaan Ko Saaf;
Abar Baras Ke Jis Tarah, Sare Chaman Ko Dho Gaye;
Katne Se Aur Badhti Hai Uthe Hue Sarun Ki Fasal;
Apne Lahu Se Ahl-e-Dil, Beej Yeh kaise Bo Gaye;
Jin Ke Bagair Ik Pal, Jeena Bhi Muhaal Tha;
Shaklein Bhi Unn Kee Bujh Gayin, Naam Bhi Unn Ke Kho Gaye;
Ankhon Mein Bhar Ke Rut Jaage, Raston Ko De Ke Dooriyan;
'Amjad' Woh Apne Humsafar, Kaise Maze Se So Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shehar Mein Lagta Nahin Sahra Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Ja Ke Baithein Aise Deewane Ko Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi;
Wafa Kar Lo Chahe Jitni, Bewafai Hi Milegi;
Jitna Bhi Kisi Ko Apna Bana Lo;
Jab Aankh Khulegi Tanhayi Hi Milegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain;
Dil Kee Baatein Tumse Chupi Kab Hain;
Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Kee Jagah;
Phir Zindagi Ko Saanson Kee Zarurat Kab Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tadap Ke Dekh Kisi Kee Chahat Mein;
To Pata Chale Intezar Kya Hota Hai;
Yun Hi Mil Jaye Agar Koi Bina Tadpe;
To Kaise Pata Chale Pyaar Kya Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai;
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;
Main Uss Ke Khayaal Se Gurezaan;
Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai;
Tehreer Ussi Ki Hai, Magar Dil;
Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;
Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein;
Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai;
Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
Sahil Pe Thakan Tapak Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
Tum Bhi Chale-Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pehli Bar Zindagi Mein Humne Chaha Hai Jisko;
Unse Humne Apne Pyaar Ka Izhaar Kar Diya;
Ab Woh Apne Dil Ko Beqarar Karein Ya Na Karein;
Magar Humne Toh Apne Dil Ko Beqarar Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai;
Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai;
Iss Umeed Ke Saath Ki Aayega Kabhi Paigam Aapka;
Humne To Har Pal Darwaze Par Nazrein Tika Rakhi Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafa Ka Naam Mat Lo Yaaro Wafa Dil Ko Dukhati Hai;
Wafa Ka Naam Lene Se Humein Ek Bewafa Kee Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Katra Malal Bhi Boya Nahi Geya;
Woh Khauf Ki Logon Se Roya Nahi Geya;
Yeh Sach Hai Ki Teri Bhi Neendein Ujad Gayi;
Tujh Se Bichhad Ke Hum Se Bhi Soya Nahi Gaya;
Uss Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahi Laga;
Uss Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahi Geya;
Daman Hai Khushk Aankh Bhi Chupchap Hai Bahut;
Ladiyon Mein Aansuon Ko Piroya Nahi Geya;
Alfaz Talkh, Baat Ka Andaaz Sard Hai;
Pichla Malal Aaj Bhi Goya Nahi Geya;
Ab Bhi Kahin Kahin Pe Kalikh Lagi Hui;
Ranjish Ka Daag Theek Se Dhoya Nahi Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Karte Hain Khushi Kee To Ek Ranj Ke Sath;
Woh Hansate Bhi Hain Ke Rula Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Hue;
Khud Nazron Mein Apni Begane Hue;
Kisi Bhi Rishte Ka Khayal Nahi Mujhe;
Ishq Mein Tere Iss Kadar Deewane Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke;
Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai;
Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein;
Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Nahi Mila Bus Ek Sabak De Geya Ishq;
Khak Ho Jata Hai Insan Khak Se Bane Insan Ke Peeche!

Yeh Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;

Ghiri Hui Hun Mein Chehron Kee Bheed Mein Lekin;

Yeh Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye;
Kahan Pe Reh Gayi Logo Sadaqatein Uski;

Yeh Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Tak Sunegi Raat Kahan Tak Sunayein Ge hum;
Shikwe Sare Sab Aaj Tere Rubaru Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Yakeen Hota Ki Kehne Se Ruk Jayenge;
Toh Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete;
Magar Naseeb Ko Yeh Manzoor Nahi Tha;
Ki Hum Bhi Do Pal Khushi Se Guzar Lete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mahekta Hua Jism Tera Gulab Jaisa Hai;
Neend Ke Safar Mein Tu Khwaab Jaisa Hai;
Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Kee Mastiyan;
Nasha Teri Aankhon Ka Sharab Ke Jaam Jaisa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Haseen Hontho Ko Kisi Parde Mein Chippa Liya Karo;
Hum Zara Gustakh Log Hain, Nazron Se Chum Liya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai;
Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai;
Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat;
Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai;
Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedien;
Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai;
Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon;
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai;
Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav;
Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai;
Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi 'Tabish';
Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Kya Ki, Bayaan Sab Se Dil Kee Haaltein Karni;
'Faraz' Tujh Ko Na Aayi Mohabbtein Karni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hain;
Phir Bhi Dosti Dilon Ko Mila Deti Hai;
Woh Dost Hi Kya Jo Naraz Na Ho;
Par Sachhi Dosti Doston Ko Mana Leti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushbu Kee Tarah Meri Har Sans Mein;
Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Intezar Rehta Har Shaam Tera;
Yaadein Katati Hain Le-Le Kar Naam Tera;
Muddat Se Baithe Hain Yeh Aas Paale Dil Mein;
Ki Aaj Aayega Koi Lekar Paigaam Tera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Doli Uthi, Meri Mayyat Uthi;
Phool Tujh Par Bhi Barse, Phool Mujh Par Bhi Barse;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Saj Gayi, Mujhe Sajaya Geya;
Tu Bhi Ghar Ko Chali, Main Bhi Ghar Ko Chala;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tu Uth Ke Gayi, Mujhe Uthaya Geya;
Mehfil Wahan Bhi Thi, Log Yahan Bhi The;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Unka Hasna Wahan, Inka Rona Yahan;
Qazi Udhar Bhi Tha, Maulvi Idhar Bhi Tha;
Do Bol Tere Padhe, Do Bol Mere Padhe;
Tera 'Nikah' Padha, Mera 'Janaaza' Padha;
Farq Sirf Itna Sa Tha, Tujhe Apnaya Geya, Mujhe Dafnaya Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Diya Diye Se Jala Loon To Chain Aaye Mujhe;
Tumhein Gale Se Laga Loon To Chain Aaye Mujhe;
Mohabbton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi;
Tere Khatoot Jala Loon To Chain Aaye Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Achha Hota Jo Tumse Pyaar Na Hua Hota;
Chain Se Rehte Hum Jo Tumhara Deedar Na Hua Hota;
Hum Kab Ke Pahunch Chuke Hote Apni Manzil Par;
Agar Bewafa Tujh Par Aitbar Na Hua Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Kabhi Hume Bhi Yun Hi Yaad Kar Liya Karo;
Hamari Tasveer Bhi Dekh Kar Use Chum Liya Karo;
Maana Ki Tumhein Kami Nahi Hai Kisi Cheez Kee;
Fir Bhi Kabhi Hume Apni Dua Mein Maang Liya Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Roothi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai;
Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ahista Chal Zindagi, Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai;
Kuch Dard Mitana Baki Hai, Kuch Farz Nibhana Baki Hai;
Raftar Mein Tere Chalne Se Kuch Rooth Gaye, Kuch Chut Gaye
Roothon Ko Manana Baki Hai, Roton Ko Hasana Baki Hai;
Kuch Hasratein Abhi Adhuri Hain, Kuch Kaam Bhi Aur Zaruri Hai;
Khwahishein Jo Ghut Gayi Iss Dil Mein Unko Dafnana Baki Hai;
Kuch Rishte Ban Kar Toot Gaye, Kuch Judte-Judte Chut Gaye;
Un Toote-Chute Rishton Ke Zakhmon Ko Mitana Baki Hai;
Tu Aage Chal Main Aata Hun, Kya Chhod Tujhe Jee Paunga;
In Saanso Par Haq Hai Jinka, Unko Samjhana Baki Hai;
Ahista Chal Zindagi Abhi Kayi Karz Chukana Baki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad;
Mujh Se Mere Gunnah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Kee Gehrai Ko Samjh Nahi Sakte;
Hontho Se Kuch Keh Nahi Sakte;
Kaise Bayan Kare Hum Aapko Yeh Dil Ka Haal Ki;
Tum Hi Ho Jiske Bina Hum Reh Nahi Sakte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ke Sabhi Halaat Mujhe Kehne Do;
Behte Hain Ashk To Inhe Behne Do;
Bewafai Shamil Na Karo Dosti Kee Raaho Mein;
Kam Se Kam Dosti Ko To Dosti Rehne Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete;
Mujhme Kya-Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete;
Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyon Kee;
Nafrat Kee Hi Mujhe Koi Wajah To Bata Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai;
Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai;
Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se;
Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai;
Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se;
Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai;
Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi;
Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai;
Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta;
Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge;
Shab-e-Firaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Hi To Nahi Dil Mera Tujhe Talashta Firta;
Kar Yakeen Manzil Ka Tu Hi Hai Kinara Mera;
Yun Hi To Nahi Aayi Sada Teri Hawaon Mein Behkar;
Haule Se Tumne Hi Hoga Naam To Pukara Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya;
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Geya;
Jo Pyaar Ka Chirag Jalaya Tha Maine;
Usi Chiraag Se Jalkar Mera Ghar Khak Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi;
Magar Tumhein Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Nahi;
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham-e-Aansu;
Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dheere Se Sarakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Kee Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Kee Tarah;
Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Geya Baadal Kee Tarah;
Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar Jagauonga;
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Geya Woh Kal Kee Tarah;
Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi'
Aur Main Shehar Bhar Mein Dhundta Raha Use Kisi Pagal Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kal Chaudhvin Kee Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera;
Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhari Pasand Hamari Chahat Ban Jaye;
Tumhari Muskurahat Dil Kee Rahat Ban Jaye;
Khudaa Khushiyon Se Itna Khush Kar De Aapko;
Ki Aapko Khush Dekhna Hamari Aadat Ban Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete;
Har Ek Ne Dhokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete;
Yeh Hamara Zarf Tha Ki Khamosh Rahe Warna;
Daastan Sunate To Mehfil Ko Bhi Rula Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Karoge Yaad Ek Din Iss Pyaar Ke Zamane Ko;
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko;
Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi;
To Tum Bhi Tanhayi Dhoondoge Aansu Bahane Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;
Wo Bhare Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi;
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain;
Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi;
Hum Chale Uss Kee Bazm Se Uth Kar;
Aur Woh Hai Ki Rokta Hee Nahi;
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Woh Bhi;
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi;
Main To Uss Kee Talaash Mein Gum Hun;
Woh Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahan Kisi Ko Bhi Kuch Hasb-e-Aarzoo Na Mila;
Kisi Ko Hum Na Mile Aur Hum Ko Tu Na Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain;
Mere Khyalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain;
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain;
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajab Rangon Mein Guzri Hai Zindagi Apni;
Dilon Pe Raaj Kiya Lekin Mohabbat Se Mehroom Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
Phoolon Ko Baharon Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
Mehfil Mein Jo Milna To Nighahein Jhuka Lena;
Koi Samjh Na Paye Ki Mujhe Tum Se Mohabbat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say;
Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Lakh Moujoun Mein Ghira Hun, Abhi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Qabar Say Aaj Bhi 'Mohsin' Kee Aati Hai Sada;
Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
मैखाने मे आऊंगा मगर पिऊंगा नही, साकी;
ये शराब मेरा गम मिटाने की औकात नही रखती।
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni;
Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni Haseen Ankhon Mein Chuppa Lo Mujh Ko;
Mohabbat Agar Karte Ho To Chura Lo Mujh Ko;
Khone Ka Agar Khauf Hai Tumhein To;
Dil Kee Har Dhadkan Mein Basaa Lo Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Kee Tarah Hu-Bahuu;
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahan Yaad Na Aaye Teri, Woh Tanhaai Kis Kaam Kee;
Bigde Rishte Na Bane, To Khudaai Kis Kaam Kee;
Beshak Apni Manzil Tak Jana Hai Humein;
Lekin Jahaan Se Apne Na Dikhein Woh Unchaai Kis Kaam Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya;
Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya;
Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya;
Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya;
Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar;
Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya;
Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun;
Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya;
Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan;
Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya;
Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan;
Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Le Kar Aana Usse Mere Janaaze Mein;
Ek Aakhri Haseen Mulaqat Toh Hogi;
Mere Jism Mein Beshak Jaan Na Ho Magar;
Meri Jaan Mere Jism Ke Pass To Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banaun Kis Ke Liye;
Woh Shakhs To Shehar Hi Chodd Geya Main Bahar Jaun Kis Ke Liye;
Muddat Se Koi Aayaa Na Geya Sunsaan Padi Hai Ghar Kee Fazaa;
In Khali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shama Jalaun Kis Ke Liiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apno Ne Pyaar Mein Rula Diya;
Kya Hua Jo Kisi Aur Ke Liye Hume Bhula Diya;
Hum To Waise Bhi Akele The;
Kya Hua Jo Aapne Yeh Ehsaas Dila Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Kee Lekin;
Waqt Humse Bewafai Kar Geya;
Kuch Humare Naseeb Bure The;
Kuch Logon Ka Humse Dil Bhar Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh Par;
Main Bheegta To Jarur Hun Lekin Palkon Kee Had Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aayi Hai Kuch Na Puch Qayamat Kahan Kahan;
Uff Le Gayi Hum Ko Mohabbat Kahan Kahan;
Betabi-o-Sakoon Kee Hui Manzilein Tamaam;
Behlaayein Tujh Se Choot Ke Tabiyat Kahan Kahan;
Raah-e-Talaab Mein Chor Diya Dil Ka Sath Bhi;
Phirte Liye Hue Yeh Museebat Kahan Kahan;
Begaangi Pe Uss Kee Zamaane Se Aitraaz;
Dar Parda Uss Kee Shikayat Kahan Kahan;
Hosh-o-Junoon Bhi Bas Ab To Ek Baat Hain 'Firaq';
Hoti Hai Uss Shararat Kee Nazar Kahan Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itne Hijaabon Par To Yeh Aalam Hai Husn Ka;
Kya Haal Ho Jo Dekh Lein Parda Uthaa Ke Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Bhi Soona Pada Hai Har Ek Manjar;
Tere Jaane Se Sab Kuch Veeran Lagta Hai;
Uss Raaste Pe Aaj Bhi Hum Teri Raah Dekhte Hain;
Jahan Se Tera Laut Aana Aasaan Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Afsos Hai Tujhe Sahab Na Koi Sharmindagi Hai;
Guzar Rahi Hai Jo Gunaahon Mein Yeh Kaisi Zindagi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Woh Aaye Aur Na Koi Unka Paigaam Aaya;
Intezar Mein Apne Tadapa Kar Humein Hai Rulaya;
Humse Khataa Hui Agar Koi, Tum Bata Toh Dete;
Aisi Bhi Kya Naraazgi Thi Jo Humein Aapne Bhulaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar Kee Tarah;
Uthti Hai Har Nigaah Kharidaar Kee Tarah;
Iss Ku-e-Tishnagi Mein Bahut Hai Ki Ek Jaam;
Haath Aa Gaya Hai Daulat-e-Bedaar Kee Tarah;
Wo To Hain Kahin Aur Magar Dil Ke Aas Paas;
Firti Hai Koi Shay Nigaah-e-Yaar Kee Tarah;
Seedhi Hai Raah-e-Shauq Pa Yun Hi Kabhi Kabhi;
Kham Ho Gayi Hai Gesu-e-Diladar Kee Tarah;
Ab Ja Ke Kuch Khula Hunar-e-Naakhoon-e-Junoon;
Zakhm-e-Jigar Huye Lab-o-Rukhsar Kee Tarah;
Majrooh Likh Rahe Hain Wo Ahal-e-Wafa Ka Naam;
Hum Bhi Khade Hue Hain Gunahagaar Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Ki Tarha;
Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Ki Tarha;
Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Ki Tarha;
Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Ki Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Duniya Vi Dekhi Te Duniya Daari Vi Dekhi;
Dilan Utte Chaldi Main Aari Vi Dekhi;
Dekhe Si Jo Lok Main Nibhaunde Yaariyan;
Ohna Hatthon Hundi Main Gaddari Vi Dekhi⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz';
Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum;
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum;
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar;
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Bichar Kar Aap Se Humko Khushi Achhi Nahi Lagti;
Labon Par Yeh Banawat Ki Hansi Achhi Nahi Lagti;
Kabhi To Khoob Lagti Thi Magar Yeh Sochti Hoon Ab;
Ki Mujhko Kyon Meri Yeh Zindagi Achhi Nahi Lagti⬰⬱⬱
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kis Se Se Mangein Dawaa Zakhmon Kee;
Sabhi Ne Chotein Khayi Hain;
Kisi Ka Sanam Bewafa Hai To;
Kisi Ka Sajan Harzayi Hai⬌⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aafat Kee Shokhiyan Hain Tumhari Nigah Mein;
Mehshar Ke Fitane Khelte Hain Jalwa-Gaah Mein;
Woh Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
Main Shaad Hoon Ke Hoon To Kisi Kee Nigah Mein;
Aati Baat Baat Mujhe Yaad Baar Baar;
Kehta Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein;
Iss Tauba Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Iss Qadar;
Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein;
Mushtaaq Iss Ada Ke Bahut Dard-Mand The;
Ai Daag Tum To Baith Gaye Ek Aah Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Judaa Kisi Se Kisi Ka Garaz Habib Na Ho;
Yeh Daag Wo Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Bhi Bahut Sawal Hain Iss Dil Mein;
Pyaar Ka Gham Bejuban Hai Iss Dil Mein;
Kuch Keh Nahi Paata Yeh Dil Magar;

Pal Pal Ke Rishte Ka Vaada Hai Aapse;
Apnapan Kuch Inta Jyada Hai Aapse;
Na Sochna Ki Bhool Gaye Hum Aapko;
Zindagi Bhar Chahenge Yeh Vaada Hai Aapse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mein Zamane Dhoondhte Hain Hum Log;
Tu Zeher Hi De Sharab Keh Kar Saqi;
Jeene Ke Bahane Dhoondhte Hain Hum Log⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Haath Chhute Bhi Toh Rishte Nahi Chhoda Karte;
Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Toda Karte;
Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan;
Aisi Tasveer Ke Tukade Nahi Joda Karte;
⬉⬉Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda;
Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahi Thoda Karte;
Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai, Use Behane Do⬉⬉
⬈⬈Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte;
⬈⬈Jaagne Par Bhi Nahin Aankh Se Girti Kirchein;
Iss Tarah Khawabon Se Aankhein Nahin Phodaa Karte⬋⬋
Ja Ke Kohsar Se Sar Maaro Ki Aavwaz To Ho;
Khasta Deewaron Se Maatha Nahin Phodaa Karte⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil To Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumraah To Woh Hain Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ithe Kaiyan Nu Maan Wafawan Da;
Te Kaiyan Nu Naaz Adawaan Da;
Assi Peele Patte Drakhtaan De;
Sanu Rehnda Khauf Hawawan Da!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitaabon Se Daleelein Doon, Ya Khud Ko Samne Rakh Doon;
Woh Mujhse Pooch Baithe Hain Mohabbat Kis Ko Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Log Puchte Hain Kyon Surkh Hain Tumhari Aankhein;
Hans Ke Keh Deti Hoon Raat Ko So Na Saki;
Lakh Chahoon Bhi Magar Yeh Keh Na Sakoon;
Raat Ko Rone Ki Hasrat Thi Magar Ro Na Saki⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Itni Nafrat Hai Use Meri Mohabbat Se;
⧭Usne Apne Hath Jala Liye Meri Taqdeer Mitane Ke Liye!

Muddatton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Aa Jate Ho Shidat Se, Yahi Kaafi Hai;
Saari Duniya Se Ulajhte Hain Lekin;
Tera Kahaa Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;
Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;
Aaj Ke Ehad Taghaful Mein Kisi Dar Pe 'Munir';
Koi Aa jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho;
Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main;
Aaj Kyon Bewajah Rone Laga Hun Main;
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri;
Phir Aaj Kyon Lagaa Sab Khone Laga Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Jazbat Meri Pehchan Hai Woh;
Meri Justaju Meri Shaan Hai Woh;
Log Kehte Hain Bhula Dun Main Use;
Par Kaise Bhula Dun Yaaro Is Seene Me Dhadakti Jaan Hai Woh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye;
⧪Aaj Tak Woh Humein Pehchaan Na Paye;
⧪Khud Hi Kar Lee Bewafai Humne;
⧪⧪Taaki Unpar Koi Ilzaam Na Aaye⬌⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Hum Ek Hi Jazbe Ko Samoyein Kaise;
Ab Tujhe Paa Ke Yeh Uljhan Hai Ke Khoyein Kaise;
Zehen Chhalni Jo Kiya Hai, To Yeh Majboori Hai;
Jitne Kaante Hain, Woh Talwon Mein Piroyein Kaise;
Hum Ne Maana Ki Bahut Dair Hai Hashar Aaney Tak;
Chaar Janib Teri Aahat Ho To Soyein Kaise;
Kitni Hasrat Thi, Tujhe Pass Bitha Kar Rote;
Ab Yeh Mushkil Hai, Tere Samne Royein Kaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko;
Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyun Judta Hai Tu Iss Jahan Se, Ek Din Yeh Guzar Hi Jayega;
Chahe Kitna Bhi Samet Le Jahan, Mutthi Se Fisal Hi Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Chote The Hum To Zor Se Rote The;
Jo Pasand Hota Tha Use Paane Ke Liye;
Aaj Bade Hain To Chupke Se Rote Hain;
Jo Pasand Hai Use Bhulane Ke Liye!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
Jaan Ban Kar Utar Ja Uski Rooh Mein;
Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasana Kya;
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;
Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-E-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya;
Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko;
Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;
Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
Mehmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai;
Par Nahin Taqat-e-Parvaz Magar Rakhti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Toh Chahaton Mein Bas Yahi Asool Hai;
Jab Tu Qubool Hai To Tera Sab Kuch Qubool Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
🔺🔺Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya Hai Pyaar;
Kuch Ne Darr Kar Kuch Ne Josh Mein Kiya Izhar;
Magar Bina Bole Jab Do Dil Keh Jayein Dil Kee Baat;
Wahi Hai Nazar Ka Nazar Se Saccha Iqraar🔺🔺🔺
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Zara Fursat Paayi Thi Aaj Use Phir Yaad Kiya;
Band Gali Ke Aakhiri Ghar Ko Khol Ke Phir Aabad kiya;
Khol Ke Khidkii Chand Hansa Phir Chand Ne Dono Hathon Se;
Rang Udaye Phool Khilaye Chidiyon Ko Aazad Kiya;
Bade Bade GHam Khade Hue The Raasta Roke Raahon Mein;
Choti Choti Khushiyon Se Hi Hum Ne Dil Ko Shaad Kiya;
Baat Bahut Mamuli Si Thi Uljh Gayi Takraron Mein;
Ek Zara Si Zidd Ne Aakhir Dono Ko Barbaad Kiya;
Danaon Ki Baat Na Maani Kaam Aayi Nadaani Hi;
Suna Hawa Ko Padha Nadi Ko Mausam Ko Ustad Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Justaju Khoye Hue Kee Umar Bhar Karte Rahe;
Chaand Ke Humraah Hum Har Shab Safar Karte Rahe;
Raaston Ka Ilm Tha Na Hum Ko Simton Kee Khabar;
Shehar-e-Na-Maaloom Kee Chahat Magar Karte Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Aapko Chahenge Wafa Ki Had Tak;
Bewafai Ko Apki Hum Wafa Kar Denge;
Royenge Aap Hume Dekar Saza;
Ek Din Hum Aisi Khata Kar Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Intezar To Bahut Tha Humein;
Lekin Aaye Na Woh Kabhi;
Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate;
Agar Hota Unhe Bhi Intezar Kabhi⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jholi Addeyan Je Tu Milda Tan Khair Bhi Pawa Lainde;
Jaan Diteyan Je Milda Tan Jaan Vi Gawa Lainde;
Pata Nahi Kehdeyan Naseeban Naal Milna Tu;
Nahi Tan Naseeb Vi Change Rabb Kolo Likha Lainde!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Bichartey Waqt Jo Tum Saunp Kar Gaye The Mujhe;
Woh Intezar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Tu Khud Hee Jaanay Kahin Door Kho Geya Hai Magar;
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Main Jab Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga;
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Main Ab Bhi Girte Hue Paanion Ki Qaid Mein Hun;
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai;
Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaise Kare;
Ki Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chaand Rusvayi To Hai;
Par Karun Kya Ab Tabiyat Aap Par Aayi To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya;
Jis Din Se Tumne Yeh Dil Tod Diya;
Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe;
Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya⬋⬋
ASHK~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut Ne To Nahi Zindagi Ne Bahut Sataya Hai;
Tujhe Jitna Bhule Tu Utna Hi Yaad Aaya Hai;
Tu kyon Is Baat Ko Aksar Bhool Jata Hai;
Barson Minaton Ke Baad Tujhe Paaya Hai!
JUDAA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ I
Phool Bankar Muskurana Zindagi;
Muskurake Ghum Bhulana Zindagi;
Jeet Kar Koi Khush Ho Toh Kya Hua;
Haar Kar Khushiyan Manana Bhi Hai Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab-e-Khud-Aagahi;
Khulte Hain Ghulamon Par Asaraar-e-Shahanshahi;
'Attaar' Ho 'Rumi' Ho 'Raazi' Ho 'Ghazaali' Ho;
Kuch Haath Nahin Aataa Be-Aah-Sahar-Gaahi;
Naumeed Na Ho In Se Ai Rah-Bar-e-Farzaana;
Kam-Kosh To Hain Lekin Be-Zauq Nahin Raahi;
Ai Tayar-e-Lahooti Us Rizq Se Maut Achhhi;
Jis Rizq Se Aati Ho Parvaaz Mein Kotahi;
Daara o Sikandar Se Woh Mard-e-Faqeer Aulaa;
Ho Jiski Faqeeri Mein Boo-e-Asadool-Laahi;
Aaeen-e-Jawan Mardaan Haq-Goyi o Be-Baaki;
Allaah Ke Sheron Ko Aati Nahin Roobahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Tum Hosh Mein Ho Na Hum Hosh Mein Hain;
Chalo Maikade Mein Wahin Baat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Pal Mein Jo Guzar Jaaye Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuch Nahi;
Pyaar Kehti Hai Duniya Jise Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Tumhare Apni Kami Chod Jaayenge;
Aakhon Mein Intezar Kee Nami Chod Jaayenge;
Yaad Rakhna Mujhe Dhoondte Firoge Ek Din;
Zindagi Mein Dosti Kee Kahani Chod Jaayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Rabb Kare Koi Ishq Da Shikar Na Hove;
Judaa Apne Dildar Toh Kise Da Pyaar Na Hove;
Main Gujaar Dawa Apni Zindagi Uss Toh Baigar;
Bas Shart Eh Hai Ki Usnu Vi Kise Hor Naal Pyaar Na Hove⬌⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhaare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhaale Tumhaare Khat;
Sab Chudiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Di;
Aur Kar Diye Hawa Ke Havale Tumhare Khat;
Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Maine Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;
Yun To Hain Be-Shumar Wafaa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shai Se Nirale Tumhare Khat;
Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Garib Ka;
Kuch Is Tarah Se Maine Sambhale Tumhare Khat;
Ahl-e-Hunar Ko Mujh Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
Maine Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;
Parwah Mujhe Nahin Hai Kisi Chand Ki 'Wasi';
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujale Tumhare Khat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yu Toheen Naa Kar Sharaab Ko Kadwa Keh Kar;
Zindgi Ke Tajurbe Sharaab Se Bhi Kadwe Hote Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nahin Jaata Kisi Se Wo Marz, Jo Hai Naseebon Ka;
Na Qayal Hun Dawa Ka Main, Na Qayal Hun Tabibon Ka;
Na Shikwa Dushmano Ka Hai, Na Hai Shikwa Habibon Ka;
Shikayat Hai To Kismat Ki, Gila Hai To Naseebon Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Intezar Kee Ghadi Ko, Pal Pal Ki Bekarari Ko Lafzon Mein Bayan Kaise Kar Du;
In Makhmali Ehsaason Ko, Reshmi Jazbaton Ko Alfazon Mein Bayan Kaise Kar Du!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Sahil Par Khade Khade Humne Shaam Kar Di;
Apna Dil Aur Duniya Aap Ke Naam Kar Di;
Yeh Bhi Na Socha Kaise Guzregi Zindagi;
Bina Soche Samjhe Har Khushi Aap Ke Naam Kar Di⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Tainu Rabb De Kolo Mangya Si Par Kismat De Vich Na Likha Sake;
Is Duniya Kolo Door Ja Ke Vi Assi Teinu Dil Vichon Na Bhula Sake⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chedne Ka To Mazaa Tab Hai Kaho Aur Suno;
Baat Mein Tum To Khafaa Ho Gaye, Lo Aur Suno;
Tum Kahoge Jise Kuchh, Kyun Na Kahega Tum Ko;
Chhod Devegaa Bhalaa, Dekh To Lo, Aur Suno;
Yahi Insaaf Hai Kuchh Socho To Apne Dil Mein;
Tum To Sau Keh Lo, Meri Ek Na Suno Aur Suno;
Aafareen Tum Pe Yahi Chahiye Shabash Tumhein;
Dekh Rota Mujhe Yun Hansne Lago Aur Suno;
Baat Meri Nahin Sunte Jo Akele Mil Kar;
Aise Hi Dhang Se Sunaun Ki Suno Aur Suno!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Sirf Issi Dhun Mein Guzare Jayein;
Bas Tera Naam, Tera Naam Pukare Jayein;
Jab Yeh Tay Hai Ki Yahan Koi Nahin Aayega;
Kis Ki Khatir Dar-O-Deewar Sanware Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Phir Mausam Num Hua Meri Aankhon Ki Tarah;
Shayad Baadlon Ka Bhi Kisi Ne Dil Dukhaya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Zindagi Kaash Tu Hi Rooth Jaati Mujhse;
Ye Roothe Hue Log Mujhse Manaye Nahi Jaate!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Parh Parh Kitaban Ilam Diya Tu Naam Rakh Liya Qazi;
Hath Vich Pharh Ke Talwar Naam Rakh Liya Ghazi;
Makke Madine Ghum Aaya Te Naam Rakh Liya Haji;
Oh Bulleya Hasil Kee Kita, Je Tu Rabb Na Kita Razi⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein⬊⬊
Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-e-Gam Guzaar Ke;
Veeraan Hai Maikada Khum o Sagar Udaas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;
Ik Fursat-e-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Hum Ne Haunsle Parwardigaar Ke;
Duniya Ne Teri Yaad Se Baigana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gam Rozgaar Ke;
Bhule Se Muskura To Diye The Woh Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Naa-Karda-Kaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaate Hain;
Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jaate Hain;

Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kareeb Itna Raho Ki Rishton Mein Pyaar Rahe;
Door Bhi Itna Rahein Ki Aane Ka Intezar Rahe;
Rakho Ummeed Rishton Ke Darmiyaan Itni;
Ki Toot Jaaye Ummeed Magar Rishte Barkaraar Rahein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Ke Mayne Humse Kya Puchte Ho;
Hum In Batoon Se Anjaan Hain;
Bus Ek Gujarish Hai Ki Bhool Naa Jaana Hume;
Kyonki Tumhara Pyaar Hi Hamari Jaan Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Iss Dunya Mein Jo Humko Dil Ke Hain Rog Mile;
Khushiyon Ki Talaash Mein Jo Humko Hain Sog Mile;
Matlabi Zamane Kee Matlabi Galiyon Mein;
Doston Ke Roop Mein Sab Dushman Log Mile⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aa Jayen Hum Nazar To Koi Dum Bahut Hai Yan;
Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan;
Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Humein Nahin;
Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan;
Hum Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke;
Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan;
Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dehar Mein;
Uth Aasman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan;
Mere Hilak Karne Ka Gum Hai Bas Tumhein;
Tum Shad Zindagani Karo Gum Bahut Hai Yan;
Shayad Ke Kam Subh Tak Apna Khinchena 'Mir';
Ahawal Aaj Sham Se Darham Bahut Hai Yan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari;
Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega;
Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar;
To Shaam Ki Sabji Ka Intajaam Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do;
Main Bahut Dino Se Udaas Hun, Mujhe Koi Shaam Udhaar do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Khud Hi Badal Jaaoge Tum Ek Din;
Kaise Tum Par Aitbaar Hum Kare;
Kabhi Sochte Hain Ki Mana Lenge Tumhe;
Par Sochte Hain Ki Wo Humpar Aitbaar Kare⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Bahut Khubsurat Hai Har Baat Lekin, Agar Dil Bhi Hota Toh Kya Baat Hoti;
Likhi Jaati Phir Daastaan-e-Mohabbat, Ek Afsaane Jaisi Mulaaqat Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Har Chaman Mein Mumkin Hai Ki Gul Khil Jaaye;
Tumhe Bhi Hamare Baad Mumkin Hai Koi Aur Mil Jaaye;
Zindagi To Tumne Kabhi Hum Ko Jeene Na Di;
Ab Marna Chaha To Kehte Ho Ki Maut Bhi Na Aaye⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumne To Keh Diya Ki Mohabbat Nahi Mili;
Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili;
Neendo Ke Des Jaate, Koi Khawab Dekhte;
Lekin Diya Jalane Se Fusat Nahi Mili;
Tujhko To Khair Shahar Ke Logo Ka Khauf Tha;
Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijajat Nahi Mili;
Phir Ikhtilaf-e-Rai Ki Surat Nikal Padi;
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili;
Be-zar Yun Hue Ki Tere Ahad Mein Humein;
Sab Kuch Mila, Sukun Kee Daulat Nahi Mili!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah;
Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Milaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Yaadon Ke Siva Kuch Bhi Nahi Hai;
Khawab Har Raat Fir Sajana Padta Hai;
Kahin Dekh Na Le Namm Ye Aankhein Koi;
Aansuon Ko Aankhon Mein Chupana Padta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Suna Hai Gusse Mein Woh Sab Tod Deta Hai;
Mera Dil Hai Uske Pass Khudaa Khair Kare!
MISCELLANEOUS
Gham-e-Hayaat Pareshaan Na Kar Sakega Mujhe;
Ki Aa Geya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai;
Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Ji Chahta Hai;
Ghar Ki Wehshat Se Larzta Hun Magar Jaane Kyon;
Sham Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chahta Hai;
Doob Jaun To Koi Mauj Nishan Tak Na Bataye;
Aisi Nadi Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai;
Kabhi Mil Jaye To Raaste Kee Thakan Jag Pare;
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chahta Hai;
Wahi Paiman Jo Kabhi Ji Ko Khush Aya Tha Bahut;
Usi Paiman Se Mukar Jaane Ko Ji Chahta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Reheta Hai;
Har Dost Ko Apna Dostana Yad Reheta Hai;
Kuch Pal Sachhe Dost Ke Saath To Gujaro;
Woh Afsana Maut Tak Yaad Rehta Hai⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Ulfat Kabhi Nakaam Na Hone Denge;
Teri Dosti Kabhi Badnaam Na Hone Denge;
Meri Zindagi Mein Suraj Nikle Na Nikle;
Teri Zindagi Mein Kabhi Shaam Na Hone Denge!
DOSTI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin';
Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Jarurat Hai Jiski Woh Paas Nahi Hai;
Ab Unke Dil Mein Wo Ehsaas Nahi Hai;
Tadapte Hai Do Pal Baat Karne Ko;
Shayad Ab Waqt Hamare Liye Unke Pass Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Todna Hota To Rishta Hum Na Banate;
Umeed Nahi Hoti To Sapne Hum Na Sajate;
Aitbar Kiya Hai Humne Aapki Wafaon Pe;
Bharosa Na Hota To Apne Dil Ka Hissa Na Banate⬉⬉⬉
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Main Nahi Kehndi Rabba Mainu Pyaar Bakash De;
Koi Sohna Jeha Chahun Wala Yaar Bakash De;
Bas Ini Jehi Tamaana Iss Tutte Hoye Dil Di;
Jehra Chori Chori Takke Oh Dildaar Bakash De⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Na Woh Main Na Woh Tu Hai Na Woh Maazi Hai 'Faraz';
Nasha Badhta Hai Sharaabein Jo Sharaabon Mein Milein;
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein;
Kya Ajab Kal Woh Zamaane Nisaabon Mein Milein;
Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwabon Mein Milein;
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein;
Tu Khudaa Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa;
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Milein;
Dhoondte Ho Logon Mein Wafaa Ke Moti;
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Kar Lo;
Aaj Hum Dar Pe Khinchege Jin Baaton Par;
Dono Insaan Hain To Kyun Itne Hijaabon Mein Milein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Kisi Baat Ka Koyi Jawaab Nahi Hota;
Har Naam Ishq Mein Kharab Nahi Hota;
Yun To Jhum Lete Hain Nashe Me Rehne Wale;
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Jaisi Koi Tasveer Banani Thi Mujhe;
Mere Andar Se Sabhi Rang Tumhare Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uthti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf;
Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun;
Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Lun;
Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri;
Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Lun⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Hum;
Lekin Yeh Kya Ke Tera Sheher Chorr Jayen Hum;
Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum;
Be'noor Ho Chuki Hai Bohat Sheher Ki Fizaa;
Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum;
Us Ke Baghair Aaj Bohat Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badla Jo Waqt Gehri Dosti Badal Gayi;
Suraj Dhala To Saaye Ki Surat Badal Gayi;
Ik Umar Tak Main Teri Zarurat Bana Raha;
Fir Yun Hua Ki Teri Zarurat Badal Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dastaan-e-Ishq Main Sabko Sunati Chali Gayi;
Woh Dhaate Rahe Sitam Main Muskurati Chali Gayi;
Na Thi Mujhe Parwah Koi, Na Tha Kisi Ka Dar;
Gamon Ke Sailabon Se Main Yun Hi Takrati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jo Dil Zinda Hi Na Ho Uske Liye Zindagi Kya Hai;
Lete Rehte Hain Naam Unka Woh Mere Nahi To Kya Hai;
Dhadkta Rehta Hai Kehne Ko To Ye Dil Mera;
Zindagi Chalti Rahe Ya Khatam Ho Humein Matlab Hi Kya Hai⬉⬉
BEWAFA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dil Se Bhula Diya, Aankhon Se Kabhi Na Girana;
Humein Itna Tadpaya Kisi Aur Ko Na Tadpana;
Kabhi Mud Ke Dekhoge Un Raahon Pe, Hum Wahi Milenge;
Jaha Socha Tha Kabhi Hoga Apna Bhi Ek Aashiyana⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hote Tak;
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hote Tak;
Kaun Jeetaa Hai Teri Zulf Ke Sar Hote Tak;
Dil Ka Kyaa Rang Karun Khoon-e-Jigar Hote Tak;
Dekhen Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hote Tak;
Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-e-Sharar Hote Tak;
Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Jooz Marg Ilaaj;
Hum Ne Maana Ki Tagaful Na Karoge Lekin;
Partav-e-Kur se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hote Tak;
Main Bhi Hun Ek Inaayat Ki Nazar Hote Tak;
Yak Nazar Besh Nahin Fursat-e-Hasti Gaafil!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Ke Baad Yeh Mehsoos Hua Hai Humko;
Jeena Mushkil Nahi Aur Marna Bhi Dushwaar Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Aaj Jarurat Hai Jiski Wo Paas Nahi Hai;
Ab Unke Dil Mein Wo Ehsas Nahi Hai;
Tadapte Hain Do Pal Baat Karne Ko;
Shayad Ab Waqt Hamare Liye Unke Pass Nahi Hai⬉⬉⬉
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Judaa Ho Kar Bhi Jee Rahe Hain Muddat Se;
Kabhi Dono Hi Kehte The Yun Ho Nahi Sakta!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Farz Tha Jo Mera Nibha Diya Maine;
Usne Jo Maanga Wo Sab Diya Maine;
Wo Sunke Gairon Ki Baatein Bewafa Ho Geya;
Samajh Kar Khawab Usko Aakhir Bhula Diya Maine⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Tanhaaiyon Se Aa Ke Abid Koi To Puchey;
Kabhi Jab Chand Pura Ho, Samandar Cheekhta Kyun Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zakham-e-Umeed Bhar Geya Kab Ka;
Qais To Apne Ghar Geya Kab Ka;
Ab To Munh Apna Mat Dikhaao Mujhe;
Naa-Siho Main Sudhar Geya Kab Ka;
Aap Ab Puchne Ko Aaye Hain;
Dil Meri Jaan Mar Geya Kab Ka;
Aap Ik Aur Neend Le Lijiye;
Kaafila Kooch Kar Geya Kab Ka;
Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam;
Main To Khud Se Mukar Geya Kab Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Pyaar Kar Ke Humein Barbaad Karte Hain;
Unko Kabhi Khushiyan Kaise Milegi;
Hum To Unko Jee-Jaan Se Chahate Hain;
Unko Humse Bad-dua Kaise Milegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzilon Ke Gham Mein Rone Se Manzilein Nahin Milti;
Haunsle Bhi Toot Jaate Hain Aksar Udaas Rehne Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Beh Gaye;
Insano Ki Iss Bheed Mein Dekho Hum Tanha Reh Gaye;
Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein;
Aaj Wahi Sanam Humein Bewafa Keh Gaye⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ujaad Di Hai Ajab Zalzalon Ne Yeh Basti;
Makeen Talash Karoon Ya Makaan Talash Karoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya;
Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;
Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;
Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua;
Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;
Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ghairon Mein Hain Jo Shaad Unhein Eid Mubarak;
Jinko Nahin Hum Yaad Unhein Eid Mubarak;
Masoom Se Armaanon Kee Masoom Si Duniya;
Jo Kar Gaye Barbaad Unhein Eid Mubarak⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mumkin Hai Palat Kar Main Chala Aaon Safar Se;
Woh Naam To Ley Rooh Kee Gehraayi Se Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Kaun Se Mausam Se Koi Aas Lagaye;
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Laga Kar Aag Seeney Mein Chale Ho Tum Kahan;
Abhi To Raakh Udne Do Tamasha Aur Bhi Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil O Nigah Pe Teri Rahe Fasoon Is Ka;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;
Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayad;
Ki Tera Ho To Geya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;
Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;
Zameen Kee Khaak To Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
Hamari Yaad Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Us Ka;
Dil-e-Tabaah Kee Dhadkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Us Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kasam De Ke Apni Tujhe Rok Lega;
Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok Dega;
Tu Murr Murr Ke Peeche Kise Dekhta Hai;
Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Lega⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Der To Lagti Hai Us Ko Bharne Mein;
Jis Zakham Mein Shamil Ho Apno Ki Inayat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tasveer Mein Khayaal Hona To Lazmi Saa Hai;
Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Mein Bani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Bedili Se Hansne Ko Khush-Dili Na Samjha Jaye;
Gam Se Jalte Chehre Ko Roshni Na Samjha Jaye;
Gaha Gaha Wahshat Mein Ghar Ki Simt Jata Hun;

Lakh Khushguman Duniya Bahimi Talluq Ko;
Dosti Kahein Lekin Dosti Na Samjha Jaye;
Hum To Bas Ye Kehte Hain Roz Jine Marne Ko;
Ap Chahein Kuch Samjhein Zindagi Na Samjha Jaye;
Khak Karne Walon Ki Kya Ajeeb Khwahish Thi;
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Tum Jab Aao Gi, To Khoya Hua Pao Gi Mujhe;
⧭⧭Meri Tanhai Mein, Khawbon Ke Siwa Kuch Bhi Nahin;
⧭⧭Mere Kamrey Ko Sajaaney Ki Tamanna Hai Tumhe;
⧭⧭Mere Kamrey Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahin⭅⭅
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mukhliss Har Kisi Ke Sath Rehta Hun;
Shayad Issi Liye Udaas Rehta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Yakeen Ke Raah Par Chal Pade, Unhein Manzilon Ne Panaah Dee;
Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya, Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pucho To Ek Ek Hai Tanhaa Sulag Raha;
Dekho To Shehar Shehar Hai Mela Laga Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhse Bicharr Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;

Shaam Hai Gehri, Tez Hawaa Hai, Sar Pe Khari Hai Raat;
Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;

Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;
Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Jaa Kar Dekh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mile Kaise Sadiyon Kee Pyaas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna;
Barri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Teri, Bas Baat Teri, Fariyad Teri;
Ya Rabb Mujhe Kaam Koi To Aur Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Sirf Musaan Ke Pyare Hain Hussain;
Chiraag-e-Noh Bashar Ke Tarey Hain Hussain;
Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do Zara Tum;
Har Kaum Pukare Gi Hamare Hain Hussain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waar Is Qadar Shadeed Ke Dushman Hi Karta;
Chehra Magar Zaroor Kisi Ashnaa Ka Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujh Se Gile Karun Tujhe Janaan Manaun Main;
Ik Bar Apne Aap Mein Aao To Aaun Main;
Dil Se Sitam Kee Be'saro Kaari Hawaa Ko Hai;
Woh Gard Udaa Rahi Hai Ki Khud Ko Ganwaun Main;
⧭⧭Naadim Hun Woh Ki Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin;
Woh Kam Hain Ki Apni Judai Kamaaun Main;
Kyon'kar Ho Apne Khawab Kee Aankhon Mein Wapsi;
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamun Mein Jaun Main;
Ik Rang Si Kamaan Ho Khushbu Sa Ik Teer;
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaun Main;
Shikwa Sa Ek Dareecha Ho, Nasha Sa Ek Sakoot;
Ho Shaam Ek Sharab Si Aur Larr'khraon Main;
Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil;
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Khamosh Chehre Par Hazaron Pehre Hote Hain;
Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;
Jinse Aksar Rooth Jaate Hain Hum;
Asal Mein Unse Hi Rishte Gehre Hote Hain⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Khawab, Khayal, Haqeeqat, Yaqeen, Gham Aur Khushiyaan;
Zara Si To Umar Hai Meri, Bhala Kis Kis Ke Saath Guzarunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Log Lete Hain Yun Hi Shamma Aur Parwane Ka Naam;
⧭⧭Kuch Nahi Hai Is Jahan Mein Ghum Ke Afsane Ka Naam⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhuli Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
Har Gham Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tang Hota Ja Raha Hai Haala-e-Yaksaaniyat;
Kya Inhii Pheeke Dino Mein Ghutt Ke Marna Hai Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe To Gham Tha Us Ke Bicharrne Ka Magar;
Woh Hath Malta Raha Umar Bhar Ganwaa Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayein Hum;
Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chorr Jayein Hum;

Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayein Hum;
Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Kee Fizaa;
Tareek Raaston Par Kahin Kho Na Jayein Hum;
Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Kar Layein Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪Khwabon Ke Andar Zinda Mat Raho;
Balki Apne Andar Khwabon Ko Zinda Rakho;
Mohabbat Usse Nahin Hoti Hai Jo Khoobsurat Ho;
Khoobsurat To Wo Hota Hai Jisse Mohabbat Hoti Hai⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Apne Ghar Geya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi;
Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil Pe Aa Ke Shaad e Ajab Hadsa Hua;
Main Hum-Safar Ko Bhol Geya Hum-Safar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Jab Se Sanam Tum Ko Paya Hai;
Tere Har Hukum Ko Sar Aankhon Pe Bithaya Hai;
Aur Kya De Sakta Hun Main Tum Ko Sanam;
Roshni Tujhe Dene Ke Liye Khud Ko Jalaya Hai⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ustaad Kyon Roya Thaa Kin Halaat Ka Maara Tha;
Bachon Ko Sikhaaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;
Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein;
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;
Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
Raasta Kat Bhee Gaya To Fansla Reh Jaaye Ga;
Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Aud Kar;
Chaand Soone Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;
Jo Kabhi Us Ne Parheen Theen Mujh Se 'Nasir' Maang Kar;
Naam Mera Unn Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Kee;
Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Kee⬊⬊
ARMAAN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sameit Kar Le Ja Apni Yaadon Ke Adhooray Qissay;
Teri Agli Chahat Mein Tujhe In Kee Bhi Zaroorat Hogi!
BEWAFA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maut Ne Chupke Se Najaney Kya Kaha;
Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!
ZINDAGI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Assi Kise De Kujh Nai Lagde, Na Koi Saada Dardi;
Vich Rawaa'n De Chadd Ke Tur Gaye, Wah Maula Teri Marzi⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aage Bare Na Qissa-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Hum;
Ab Bhaagte Hain Saya-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Aasman Se Hum;
Hanste Hain Us Ke Giriya-e-Beikhtiyar Par;
Bhule Hain Baat Keh Kar Koi Razadan Se Hum;
Ab Shauq Se Bigar Kar Batein Kiya Karo;
Kuch Pa Gaye Hain Aap Kee Tarz-e-Bayan Se Hum;
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-e-Teg-e-Ishq;
Badlenge Tujhko Zindagi-e-Jawidan Se Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badle To Nahin Hain Woh Dil-o-Jaan Ke Qarinay;
Ankhon Ki Jalan, Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wohi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Hum Tujh Se Alag Reh Ke Bhi Rehte Hain Tere Paas;
Hote Hain Teri Bazzm Main Hote Hian Jahaan Bhi!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Ka Imtihan Aasan Nahi;
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi;
Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezar Mein;
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khud Se Roothun To Kayi Roz Na Khud Se Bolun;
Phir Kisi Dard Ki Deewaar Se Lag Kar Ro Lun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil O Nigah Pe Taari Rahe Fasoon Iska;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Uska;
Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
Ke Tera Ho To Geya Hoon Magar Mein Hoon Uska;

Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Uska;
Zameen Ki Khaak To Kab Ki Urraa Chuke Hain Hum;
Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Uska;
Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Uska!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Kya Ki Tujhe Bhi Hai Zamane Se Shikayat;
Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nazar Karna, Nazar-Andaz Karna;
Yehi Hai Pyar Ka Aghaaz Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Mujhe Khawab Dikhane Wale Logo Sun Lo;
Mera Dukh Yeh Hai Koi Khawab Nahin Bhoolta Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Dastak Ke Muntazir Muddat Se;
Deemak, Darwaazey, Tanhai Aur Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;
Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do;
Main Safaayi Koi Doon Ga Na Wazaahat Dunga;
Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amaanat Dunga;
Phir Kabhi Tumse Na Milne Kee Zamanat Dunga;
Bas Tumhein Tark-e-Marasim Pe Yeh Zehmat Dunga;
Tum Ho Bechain To Main Bhi Koi Masroor Nahin;
Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;
Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Nahin Maanta Kagaz Pe Likha Shajra-e-Nassb;
Baat Karne Se Qabeele Ka Pata Chalta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Awaaz Mein Thehrao Tha, Ankhon Mein Nami Si Thi;
Aur Keh Raha Tha Maine Sab Kuch Bhulaa Diyaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Mein Suno Tum Khud To Bewafa Ho;
Woh Jo Bichrra To Tum Marr Kyun Na Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Umeed To Manzil Pe Pahunchne Kee Bari Thi;
Taqdeer Magar Jaane Kahan Soyi Pari Thi;
Khush The Ki Guzarein Ge Rafaqat Mein Safar Ab;
Tanhayi Magar Baahon Ko Phir Khole Khari Thi⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Yun Hi Ye Dil Satata Rahega;
To Ik Din Mera Jee Hi Jata Rahega;
Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore;
Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega;
Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun;
Main Pahunchunga Jab Tak Yeh Aata Rahega;
Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron;
Khabar Kal Kee Humko Sunata Rahega;
Khafa Ho Ki Ai Dard Mar To Chala Tu;
Kahan Tak Gham Apna Chupata Rahega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein Daaman;
Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan;
Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyun Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni;
Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sab Rutein Aakar Chali Jati Hain;
Mausam-e-Gham Bhi To Hijrat Karta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Zulfon Kee Siahi Se Na Jaane Kaise;
Gham Kee Zulmat Meri Raton Mein Chali Aayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhare Baad Na Takmeel Ho Saki Apni;
Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Gham e Dunia Mein Gham e Yaar Bhi Shamil Kar Lo;
Nasha Bhadta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein;
Ab Na Wo Main Hun Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai 'Faraz';
Jaise Do Saye Tamanna Ke Sarabon Mein Milein⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Ranjish Hi Sahi Dil Mein Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor Jaane Ke Liye Aa;
Kuch To Mere Pand-e-Ray Mohabbat Ka Bharam Rakh;
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;
Pehle Se Maraasam Na Sahi Phir Bhi Kabhi To Aa;
Rasmo Waar-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;
Kis Kis Ko Batayein Ge Judaai Ka Sabab Hum;
Tu Mujh Se Khafa Hai Tu Zamane Ke Liye Aa;
Ab Tak Dil-e-Khush Faham Tujh Se Hain Umeedein;
Ye Aakhiri Shamma Bhi Bujhanay Ke Liye Aa⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
दिल ने आज फिर तेरे दीदार की ख्वाहिश रखी है;
अगर फुरसत मिले तो ख्वाबों मे आ जाना।
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sher Logon Ke Bahut Yaad Hain Auron Ke Liye;
Tu Mile To Main Tujhe Sher Sunaaon Apne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Kee Tehreer Parho;
Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum;
Magar Ab Karein Kyon Gila Ajnabi Se;
Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila;
Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Is Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi;
Mujh Se Bichrre Hue Log Sheher-e-Khawab Mein Hain⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;
Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shehara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise⬊⬊

Dukh To Chehre Kee Lakion Pe Saja Ho Jaise;
Ab Agar Doob Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah;
Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Thake Hue Hain Sabhi Paimal Raho Par;
Kahi Se Dhoond Kar Phir Taza Rah Guzar Lana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Katt Hi Gayi Judayi Bhi, Kab Yeh Hua Ki Mar Gaye;
Tere Bhi Din Guzar Gaye, Mere Bhi Din Guzar Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne;
Lagaa Diya Mujhe Deewaar Se Gharri Ki Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad;

Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Ye Bhi Na Raha Yaad;
Shayad Ki Mere Bhoolne Waale Ne Kiya Yaad;

Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Kee Adaa Yaad;
Kya Lutf Ki Main Apna Pataa Aap Bataaun;

Muddat Hui Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin;
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakane Kee Sadaa Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho;
Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar;
Kitni Khamosh Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Uss Se Chupaaun, Nahi Ghair Bhi Itna;
Kya Us Ko Bataaun, Mera Apna To Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Pathar Zehan Gulaab Nahi Hunde;
Korey Waraq Kitaab Nahi Hunde;
Je Ker Laaiye Yaari Sajna;
Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunde⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main;
Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main;
Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf;
Apne Badan Ki Kabr Mein, Kab Se Garrhaa Hun Main;
Kis Kis Ka Naam Laaun Zubaan Par Ki Tere Saath;
Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun;
Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam;
Duniya Samajh Rahi Hai, Ki Sab Kuch Tera Hun Main;
Le Mere Tajrubon Se Sabak, Aye Mere Raqeeb;
Do-Chaar Saal Umar Mein, Tujhse Barra Hun Main;
Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai 'Qateel';
Sone Se Pehle Roz, Jise Dekhta Raha Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Guzar Gaya Woh Waqt, Jab Teri Hasrat Thi Mujhe;
Ab Tu Khuda Bhi Ban Jaye To Bhi Tera Sajda Na Karu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
'Jalib' Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Aiven Rus Ke Na Sathon Mukh Mod Mitra;
Sada Tere Toh Baghair Kehda Hor Mitra;
Othe Hundi E Umeed Jithe Jor Mitra;
Tainu Saadi Nahi Par Saanu Teri Lohr Mitra⬉⬉⬉
PUNJABI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Nazar Se Nazar Ko Milao Nazar Ka Aitbar Karo;
Hum Tum Se Sanam, Tum Hum Se Pyaar Karo;
Tum Jo Rootho To Kuch Bhi Karke Manaayein Tumko;
Hum Jo Pal Bhar Ko Jayein To Tum Intezar Karo⬉⬉
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
Muskura Kar Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Geya⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De;
Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De;
Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe;
Ab Itni Zayada Safai Na De;
Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me;
Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De;
Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein;
Aseeron Ko Aisi Rihayi Na De;
Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai;
Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De;
Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye;
Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jaane Kab Koi Taara Toot Jaaye;
Na Jaane Kab Koi Aansu Aankh Se Chhoot Jaaye;
Kuch Pal Hamare Saath Bhi Has Lo;
Na Jaane Kab Tumhare Daant Toot Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Hum Aaj Bhi Dil Ka Aashiyana Sajane Se Darte Hain;
Baagon Mein Phool Khilane Se Darte Hain;
Hamari Ek Pasand Se Tut Jaayeinge Hazaaro Dil;
Tabhi Toh Hum Aaj Bhi Girlfriend Bananey Se Darte Hain⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha;
Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha;
Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha;
Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Arz Sirf Itna Hai Dosti Ke Baare Mein;
Aadmi Galat Samjha Aadmi Ke Baare Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Koi Aisa Mila Jis Pe Dil Luta Dete;
Har Ek Ne Dhokha Diya Kis-Kis Ko Bhula Dete;
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain;
Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Hum Dekhen;
Nigaahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Mat Phenk Pani Me Pathhar;
Usey Bhi Koi Peeta Hai;
Mat Raho Yun Udaas Zindagi Mein;
Tumhe Dekh Kar Bhi Koi Jeeta Hai⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahin Aah Ban Ke Lab Per Tera Naam Aa Na Jaye;
Tujhe Bewafa Kahoon Main, Woh Muqaam Aa Na Jaye;
Jise Sun Ke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil;
Tere Anjuman Se Mujh Ko Woh Peyaam Aa Na Jaye;
Woh Jo Manzilon Par Laa Kar Kisi Hamsafar Ko Lootein;
Unhi Rehzanon Mein Tera Kahin Naam Aa Na Jaye;
Isi Fikar Mein Hain Ghalat Yeh Nizaam Ke Bande;
Jo Tamaam Zindagi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum;
Magar Ab Karein Kyon Gilaa Ajnabi Se;
Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila;
Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badla Waafa Ka Denge Badi Saadgi Se Hum;
Tum Hum Se Rooth Jao Ge Aur Zindagi Se Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahi Bahut Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya;
Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Zyada Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Rabb To Pyara Koi Naam Nahi Hunda;
Ohdi Nigha Vich Koi Aam Ya Khas Nahi Hunda;
Duniya Di Mohabbat Vich Hai Dhokhebazi;
Par Usdi Mohabbat Vich Koi Badnaam Nahi Hunda⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni;
Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni;
Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga;
Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni;
Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye;
Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni;
Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir;
Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni;
Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi;
Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni;
Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas;
Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Koi Ilzaam, Na Koi Tanz, Na Koi Ruswai Mir;
Din Bahut Hogaye Yarron Ne Koi Inayat Nahi Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoondte Ho Kya In Ankhon Mein Kahani Meri;
Khud Mein Gum Rehna Toh Aadat Hai Purani Meri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kis Qadar Naadim Hua Hoon Main Bura Keh Kar Usey;
Kya Khabar Thi Jaate Jaate Woh Dua De Jaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kisi De Ishq Ch Ki Ki Mukaam Aunde Ne⬌⬌
⧭⧭Kade Khushi Kade Gam De Paigaam Aunde Ne⬌⬌
⧭⧭Hanera Chhaya Taan, Mere Saaye Ne Bhi Sath Chadd Ditta⬌
⧭⧭Sunya Si Samay Te Apne Hi Kamm Aunde Ne⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Paikar Tha Wafa Ka, Mohabbat Ka Khuda Tha;
Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha;
Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke;
Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha;
Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar;
Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha;
Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi;
Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha;
Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba;
Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha;
Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati;
Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Woh Jate Jate Kah Gaye Ki Abb Hum Sirf Khwabo Main Ayeinge;
Humne Kaha Tu Wada To Kar, Zindgi Bhar Ke⬇⬇ Liy Soo Jayeinge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh;
Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Har Shakhs Nahin Hota Har Shakhs Ke Kabil;
Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahin Kartey⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Khaali Hath Bazaar Vichon Langh Aaye;
Doonghi Soch Vichar Vichon Langh Aaye;
Jithe Phul Te Chaadra'n Charh Diyaan Ne;
Assi Te Uss Mazaar Vichon Bhi Langh Aaye⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai⬊⬊
Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane;
Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath;
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein;
Aise Jalwe Nazar Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman;
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se;
Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Umar Kitni Manzilein Teh Kar Chuki;
Dil Jahaan Thehra, Thehra Hi Reh Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koshish Ke Baad Bhi Jo Poori Na Ho Saki;
Tera Naam Bhi Unn Khawishon Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Gham-e-Hyaat Pareshaan Na Kar Sake Ga Mujhe;
Ki Aageya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Assi Kisse De Kujh Nahi Lagde, Na Koi Saada Dardi;
Vich Rawaa'n De Chadd Ke Tur Gaye, Wah Maula Teri Marzi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam;
Ham Ko Nahi Maloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaanay Ka Mausam;
Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam;
Aey Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham;
Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam;
Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam;
Chehre Pe Agar Hai Mere Subaah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta;
Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar;
Humne Aghosh-e-Mohabbat Mein Sulaye Pathar⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Tumhare Baad Na Khushi Ho Saki Apni;
Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Soorat;
Gaur Karne Pe Yaad Aati Hai⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasanaa Kyaa;

Jeena Saba Dhundti Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-e-Buland Yaar Ka Hai Astana Kya;

Mehman Sara-e-Jism Ka Hoga Ravanaa Kya🔀🔀
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chandni Raat Bari Der Ke Baad Aayi;
Yeh Mulaqat Bari Der Ke Baad Aayi;
Aaj Aye Hain Woh Milne Ko Bari Der Ke Baad;
Aaj Ki Raat Bari Der Ke Baad Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Zara Tafseel Se Aye Qaasid-e-Khush'ruu Bata;
Pehle Us Ne Kya Kaha, Phir Kya Kaha, Phir Kya Kaha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh e Haalat Pe Kaboo To Kar Liya Maine;
Unhe Dekhke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De;
Chandni Raat Ko Bad'duyain Na De;
Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le;
Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De;
Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah;
Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De;
Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah;
Is Qadar Pyar Se Bad'duyain Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitaab-e-Zeest Ka Ek Aur Baab Hatam Hua;
Shabaab Hatam Hua, Azaab Hatam Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Tum Kya Gaye Ki Waqt Ka Ehsaas Mar Geya;
Raaton Ko Jaagte Rahe Aur Din Ko So Gaye🔀🔀
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Rakhna Hi Mohabbat Mein Nahi Hai Sab Kuch;
Bhool Jana Bhi Badi Baat Hua Karti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Jo Zindagi Vich Hoya Ohi Geetan Vich Main Likheya;
Changa Ya Maada Thokran Kha Kha Ke Main Sikheya;
Par Hun Pta Lagga Zindagi Jeeni Ini Aasan Nahi;
Paise Ton Bina Ithe Kise Di Koi Shaan Nahi⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬉Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Meri Awaaz Tanhaai Mein Marti Ja Rahi Hai;
Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Azaab Zulmat-e-Shab Hai Ki Ab Dil Ke Labon Par;
Koi Harf-e-Duaa Hona Zaroori Ho Geya Hai🔀🔀
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam;
Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Zaat Mein Koi Manzil Na Qayenat Mein Hai;
Safar Karoon Toh Kahan Mera Koi Jada Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaane Wale Dil Ko Pathar Kar Gaye;
Phir Kissi Ko Dekh Kar Dil Dhadka Hi Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Likhan Waliya Ho Ke Dyal Likh De;
Meri Kismat Vich Meri Jaan Da Pyar Likh De;
Likhi Na Us Naal Mera Kade Vi Vichoda;
Hor Bhavein Dukh Sanu Hazaar Likh De⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧭Mujh Se Kaafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka Toh Khudaa Yaad Aaya;
Mere Dil Pe Toh Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saaya;

⧭⧭Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
⬈⬈Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqaabil Paya;
Charagar Aaj Sitaron Ki Kasam Kha Ke Bata;

Log Hanste Hain Toh Is Soch Mein Kho Jata Hun;
Mauj-e-Sailaab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;

Jaantey Boojhtey Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jise Khud Se Hi Nahin Furstein; Jise Khayal Apne Kamaal Ka; Useh Kya Khabar Mere Shaunq Ki; Useh Kya Pata Mere Haal Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Yaqeen Hai Ki Tum Munfarid Ho Auron Se;
Tumhein Ghumaan Hai Ki Shayad Main Auron Jaisa Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Tadapne Kee Izaazat Hai Na Fariyaad Kee Hai;
Ghuutt Ke Mar Jaaon Yeh Marzi Mere Sayaad Ki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Eh Zindagi Di Chahat Da Silsila Hai;
Koi Mil Geya Te Koi Vichhar Gya;
Jinna Nu Mangya Si Duavaan Ch;
Oh Kisi Hor Nu Bina Mange Mil Gya⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota;
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota;
Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein;
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota;
Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota;
Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte;
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha;
Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha;
Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain;
Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Umeed To Manzil Pe Pahunchne Ki Bari Thi;
Taqdeer Magar Janay Kahan Soyi Parri Thi;
Khush They Ke Guzarein Gey Rafaqat Mein Safar Ab;
Tanhayee Magar Baahon Ko Phir Kholey Khari Thi⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Yeh Nizaam Hua Kare;
Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Rabb Toh Pyara Koi Naam Nahi Hunda;
Ohdi Nigha Vich Koi Aam Ya Khaas Nahi Hunda;
Duniya Di Mohhabat Vich Hai Dhokhebazi;
Par Usdi Mohabbat Ch Koi Badnaam Nahi Hunda⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Meri Saari Zindagi Ko Besamar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar, Isko Basar Iss Ne Kiya;

Mujhko Seedhey Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;
Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Huwa;

Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Per Iss Ne Kiya⧬⧬⧬
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uss Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
Jalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Khudaa Buri Nazar Se Bachaye Aap Ko;
Chand Sitaron Se Sajaye Aap Ko;
Ghum Kya Hota Hai Ye Aap Bhool Hi Jao;
Khudaa Zindagi Mein Itna Hasaye Aap Ko⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Sun Kar Tamaam Raat Meri Dastaan-e-Gham;
⧭⧭Boley To Sirf Yeh Ke Bahut Boltey Ho Tum!

No comments :
Post a Comment