Mohabbaton Mein Dikhave Ghazal Shayari new2017

Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila;
Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila;

Gharon Pe Naam The, Naam Ke Saath Ahude The;
Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila;

Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha;
Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila;

Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi;
Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila;

Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine;
Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Jab Raah Kee Deewar Hua;
Koi Sailaab Numudaar Hua;

⬹⬹Us Ne Pedon Se Hata Li Shakhein;
Baag Mein Se Tu Kayi Baar Hua;

Maine Jo Dil Mein Chupana Chaha;
Mere Chehre Se Numudaar Hua;

Sahili-Shaam Ka Faila Manzar;
Kuch Lakiron Mein Giraftar Hua;

Raat Ek Shakhs ⧭⧭⧭⧭Bahut Yaad Aaya;
Jis Ghadi Chaand Numudaar Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Nikli Mohabbat Kee Jo Baat...

Nikli Mohabbat Kee Jo Baat To Tum Yaad Aa Gaye;
Uthe Dil Mein Wo Jazbat To Tum Yaad Aa Gaye;

Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko;
Hui Jab Phir Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye;

Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha;
Badle Jab Halaat To Tum Yaad Aa Gaye;

Sone-Chandi Se Sazi Rehti Thi Kalai Meri;
Khali Dekhe Jab Apne Haath To Tum Yaad Aa Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;

⬹⬹Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzara Hai Barha, Tanha;

Teri Aahat Kadam Kadam, Aur Main;
Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;

Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se;
Ek Aansu Baha, Baha Tanha;

Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil;
Ek Khandhar Sa Raha Saha, Tanha;

Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam;
Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam;

Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki;
Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam;

Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya;
Idhar Gul Phadte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam;

Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee;
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam;

Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge;
Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam;

Na Samjha 'Dard' Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka;
Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Khushi 🔻🔻🔻Hai Na Koi Gham Rulane Wala;
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala;

Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra;
Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala;

Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha;
Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala;

Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein;
Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala;

Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya;
Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ko Taqleed Se Azaad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Mizaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

A⭅⭅i Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeraan Khalvatein Aabaad Kar;

Nazaz Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhoolne Wale Khuda-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniya Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ek Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ek Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Aabaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadaan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~e

Ye Zamane Kee Wafaye Mere Kaam Kee Nahi;
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Kee Nahi;

Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi;
Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi;

Mujhe Gham Hai To Uske Chale Jaane Ka;
Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Kee Nahi;

Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola;
Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki;
Lekin, Tere Haath Mein Koi Bhi Lakir Uske Naam Kee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad;

⧬⧬⧭⧭Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad;
Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;

Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe;
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad;

Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar;
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;

Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai;
Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tere Naam Se Mohabbat Kee Hai;
Tere Ehsaas Se Mohabbat Kee Hai;

Tum Pass Nahi Ho Mere Phir Bhi;
Tumhari Yaad Se Mohabbat Kee Hai;

Kabhi Tumne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga;
Maine Un Lamhaat Se Mohabbat Kee Hai;

Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai;
Maine Tumhare Intezar Se Bhi Mohabbat Kee Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain;
Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain;

Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain;
To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain;

Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai;
Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain;

Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan;
To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain;

Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari;
Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain;

Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai;
To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬⧬Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ro-Ro Ke Guzari Hai Humne;
⬆Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;

Betabi Had Se Badh Jaye;
Aur Nind Na Aaye Raaton Ko;

To Doob Ke Meri Yaadon Main;
Duniya Se Kinara Kar Lena;

Jis Waqt Janaza Guzrega;
Us Shaks Ka Tere Kooche Se;

Jazbat Pe Kabu Kar Lena;
Khidki Se Nazara Kar Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jaate Hain Toh

Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


I⬉⬉tni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebaak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

⬇⬇Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

'Daag' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Phoolon Ki Suna Karte The;
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The;

Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee;
Hum Andheron Mein Chala Karte The;

Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale;
Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The;

Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil;
Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The;

Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale;
Kaafile Rok Liya Karte The;

Aaj Gulshan Mein Shagufe "Saghar";
Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge;
Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge;

Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge;

Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo;
Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge;

Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali;
Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge;

'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi;
Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

Jis Par Hamari Aankh ⧭⧭Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen;
Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen;

Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa;
Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen;

Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat;
Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen;

Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi;
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen;

Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein;
Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen;

Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag';
Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee;
Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee;

Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool;
Saari Sadakatein ⬰⬰Kisi Kaafir Nigaah Kee;

Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar;
Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee;

Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke;
Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee;

Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se;
Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;

Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;

Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;

Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;

Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;

'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;

Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;

Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;

Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;

Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;

Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;

Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;

⬈⬈Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;

Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;
Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi;
Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi;

Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar;
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi;

Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha;
Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi;

Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka;
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi;

Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar;
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;

⬈⬈Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;

Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;

Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;

Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main;
Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao;

Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti;
Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao;

Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante;
Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;

Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

⧭⧭Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye;

Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye;

Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;

Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;

Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya;

Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;

Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka 'Shakeel';
Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Teri Gali Mein Main Na Chalun

Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale;
Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;

Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun;
Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale;

Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath;
Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale;

Keh Baithiyo Na 'Dard' Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main;
Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;

Mutaribo Koi Achuta Nagma;
Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;

Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;

Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;

Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;

Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;

Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;

Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;

Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;

Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;

Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;

Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;

Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;

Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;

'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Giri Is Tabassum Ki Bijli...

Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

🔝🔝Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai;
Tum Hi Kaho Ki Ye 🔺🔺Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal;
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai;

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Geya Hoga;
Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi;
Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi;
Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo;
Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir';
Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;

Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye;

Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein;
Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye;

Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas;
Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye;

Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab;
Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye;

Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein;
Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye;

Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui;
Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;

May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;

Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum;

Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;

Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum;

Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer'
Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈⬈Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment