mohabbat ka izhar shayari2017

Nahi Jo Dil Mein Jagah To Nazar Mein Rehne Do;
Meri Hayaat Ko To Apne Asar Me Rehne Do;
Main Apni Soch Ko Teri Gali Me Chhod Aaya Hun;
Mere Wazood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mere Lafz Agar Us Tak Pahunch Jayein To Bas Itna Keh Dena;
Hum Jaise Log Ek Baar Kho Jayein To Phir Dobara Nahi Milte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humse Khelti Rahi Duniya Taash Ke Patton Ki Tarah;
Jisne Jeeta Usne Bhi Phenka Jisne Haara Usne Bhi Phenka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    

Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebaak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

'Daag' Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Khaali Kee Surat Dekh Kar;
Jinko Likhna Tha Wo Sab Baatein Zubani Ho Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain;
Usse Zubaan Par Lao Aur Bayan Kar Do;
Aaj Bas Tum Kaho Aur Kehte Hi Jao;
Hum Bas Sunein Aise Be-Zuban Kar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai;
Khuda Nahi Hai, Par Humne Usko Khuda Banaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ab To Kar Lijiye Aap Samaat Qisaa Ishq Ka;
Aah Tak Le Aayein Hain Hum Mukhtsir Karte Hue!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Baat Phoolon Ki Suna Karte The;
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The;

Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee;
Hum Andheron Mein Chala Karte The;

Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale;
Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The;

Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil;
Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The;

Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale;
Kaafile Rok Liya Karte The;

Aaj Gulshan Mein Shagufe "Saghar";
Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aise Chhupne Se Na Chhupna Hi Tha Behtar Tera;
Tu Hai Parde Mein Magar Zikr Hai Ghar Ghar Tera!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Jis Tarah Ragon Mein Khoon Rehta Hai;
Ussi Tarah Mujhe Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai;
Zindagi Kee Har Khushi Mansoob Hai Tumse;
Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Pyaar Karte Hain Tumse Kitna Kabhi Dikha Na Sake;
Tum Kya Ho Hamare Liye Yeh Kabhi Bata Na Sake;
Kya Hu Jo Aaj Tum Sath Nahi Ho Fir Bhi;
Tumhari Kisi Bhi Yaad Ko Hum Bhula Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tumhari Khamoshi Hamari Aadat Hai;
In Dooriyon Mein Bhi Hamari Chahat Hai;
Hamari Zindagi Agar Khoobsurat Hai;
To Uski Wajah Bhi Aapki Muskurahat Hai!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge;
Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge;

Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge;

Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo;
Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge;

Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali;
Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge;

'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi;
Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi;
Wo Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi;
Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye;
Meri Keemat Lagi Kee Lagi Reh Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ek Baar Dekh Ke Azad Kar De Mujhe;
Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Kee Qaid Mein Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tumse;
Jazbaton Kee Koi Numaish Nahi Kee;
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai;
Rishte Kee To Koi Guzarish Nahi Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahi Milti;
Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khushbu Mangi Thi Rabb Se;
Wo Humein Lajawab Phool Thama Gaye;
Thodi Khushi Mangi Thi Dua Mein;
Wo Humein Aapse Milakar Sabse Khush Nasib Bana Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Mujhse Yun Daga Na Kar;
Main Zinda Rahu Bin Uske Ye Dua Na Kar;
Dekhta Hai Use Koi To Hoti Hai Jalan;
Ai Hawa Tu Bhi Use Chuaa Na Kar!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Roti Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
Na Chahte Hue Bhi Pyaar Hota Hai;
Kyon Dekhte Hain Hum Woh Sapne;
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen;
Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen;

Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa;
Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen;

Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat;
Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen;

Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi;
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen;

Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein;
Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen;

Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag';
Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jab Se Usne Shehar Ko Chhoda Har Raasta Sunsaan Hua;
Apna Kya Hai Saare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksaan Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jab Samne Hote Ho Tum, Na Jane Kyon Hosh Kho Dete Hain Hum;
Milti Hai Nazar Jab-Jab Tumse, Kasam Khudaa Kee Khudaa Ko Bhi Bhool Jaate Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kaha Ye Kisne Kee Phoolon Se Dil Lagau Main;
Agar Tera Khayal Na Sochu To Mar Jaun Main;
Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka;
Aa Jaau Imtehaan Par To Hadd Se Guzar Jaun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Soch Nahi Sakte Ek Pal Bhi Door Rehna Tumse;
Agar Tu Bhool Jaaye To Toot Ke Bikhar Jaun Main;
Kabhi Jannat Bhi Mile Mujhe Tere Pyaar Ke Badle;
Mohabbat Kee Kasam Wahan Bhi Mukar Jaun Main!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee;
Tujh Par Teri Nigaah Se Chhup Kar Nigaah Kee;

Roohon Mein Jalti Aag Khayalon Mein Khilte Phool;
Saari Sadakatein Kisi Kaafir Nigaah Kee;

Jab Bhi Gham-e-Zamana Se Aankhein Hui Do-Chaar;
Munh Pher Kar Tabassum-e-Dil Par Nigaah Kee;

Baagen Khinchi Masafatein Kadki Faras Ruke;
Maazi Kee Rath Se Kis Ne Palat Kar Nigaah Kee;

Dono Ka Rabt Hai Meri Mauj-e-Khiram Se;
Lagzish Khayal Kee Ho Ke Thokar Nigaah Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Daad-o-Tahsin Ka Ye Shor Hai Kyon;
Hum To Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka;
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya;
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki;
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya!
DOSTI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge;
Ye Pal Ye Pehlu Tere Hi Naam Honge;
Dekhna Kabhi Jhuk Kar Neeche Bhi Ai Humsafar;
Tere Har Kadam Ke Neeche, Mere Haathon Ke Nishan Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chupa Loon Is Tarah Tujhe Apni Baahon Mein;
Ki Hawa Bhi Guzarne Ki Izazat Maange;
Ho Jaun Itna Madhosh Tere Ishq Mein;
Ki Hosh Bhi Aane Ki Izazat Manage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;

Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;

Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;

Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;

Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;

'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~   L  
Dil Mein Sama Gayi Hain Qayamat Kee Shokhiyan;
Do-Chaar Din Raha Tha Kisi Kee Nigah Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mohabbat Mein Kuch Is Tarah Wafa Karun;
Woh Bhool Bhi Jaye To Yaad Karun;
Mohabbat Ne Bas Itna Sikhaya Hai Mujhe;
Ki Khud Se Pehle Unke Liye Dua Karun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Baat Umar Bhar Kee Thi Do Pal Kee Nahi;
Baat Saath Kee Thi Halaat Kee Nahi;
Jahan Ke Mele Mein Haath Chhod Diya Tune;
Baat Zubaan Kee Thi Kismat Kee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Shauq-e-Safar Kahan Hai Kahan Le Geya Humein;
Hum Jis Ko Chodd Aaye Hain Manzil Wahi To Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;

Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;

Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;

Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;

Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Doobi Hain Meri Ungliyan Khud Apne Lahoo Mein;
Yeh Kaanch Ke Tukde Uthaane Kee Saza Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kaam Aa Saki Naa Apni Wafayein To Kya Karein;
Us Bewafa Ko Bhool Naa Jayein To Kya Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Yaad Rukti Nahi Rok Paane Se;
Dil Maanta Nahi Kisi Ke Manane Se;
Ruk Jaati Hain Dhadkane Aapko Bhool Jaane Se;
Isliye Aapko Yaad Karte Hain Jeene Ke Bahane Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dukh Dete Ho Aur Khud Hi Swaal Karte Ho;
Tum Bhi O Sanam Kamaal Karte Ho;
Dekh Kar Puch Liya Hai HaaL Mera;
Chalo Shukr Hai Kuch To Khyaal Karte Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;

Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;

Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;

Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;

Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;
Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ab Tak To Khair Teri Tamanna Mein Kat Gayi;
Tu Mil Geya To Sochta Hun Kya Karun Ga Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kash Koi Mile Is Tarah Ke Phir Judaa Na Ho;
Wo Samjhe Mere Mizaz Ko Aur Kabhi Khafa Na Ho;
Apne Ehsaas Se Baant Le Saari Tanhayi Meri;
Itna Pyaar De Jo Pehle Kabhi Kisi Ne Diya Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Itni Lambi Umar Kee Dua Mat Maang Mere Liye;
Aisa Na Ho Ke Tu Bhi Chhod De Aur Maut Bhi Na Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata;
Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata;
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar;
Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi;
Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi;

Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar;
Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi;

Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha;
Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi;

Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka;
Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi;

Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar;
Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kahan Ka Vasl Tanhai Ne Shayad Bhes Badla Hai;
Tere Dam Bhar Ke Mil Jaane Ko Hum Bhi Kya Samajhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Aisa Nahi Hai Ki Ab Teri Mujhko Zaroorat Nahi Rahi;
Bas Toot Toot Kar Ab Bikhrne Kee Himmat Nahi Rahi;
Aisa Nahi Hai Ki Tere Peeche Teri Yaad Aati Nahi Rahi;
Bas Ab Foot Foot Kar Rone Kee Himmat Nahi Rahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mujhse Na Sahi, Gairon Se Hi Sahi;
Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Geya;
Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye;
Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tumne Dekha To Humein Pyaar Se Bas Itna Hi Sahi;
Tera Bas Ho Geya Deedar Bas Itna Hi Sahi;
Tera Aashiq Hun Tumne Humein Chaha Na Sahi;
Kabhi Mujhko Pehchaan Liya Bas Itna Hi Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;

Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;

Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;

Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
GHAZAL  
Chori Chori Humse Tum Aa Kar Mile The Jis Jagah;
Muddatein Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do;
Mujhe Ye Shaam Sajane Kee Izazat De Do;
Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir;
Mujhe Ishq Karne Kee Izazat De Do!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kuch Cheezein Hum Purani Chhod Aaye;
Aate Aate Uski Aankhon Mein Paani Chhod Aaye;
Ye Aisa Dard Hai Jo Bayaan Ho Hi Nahi Sakta;
Dil To Saath Le Aaye Lekin Dhadkan Wahin Chhod Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phool Hun Main Meri Khusbu Tum Ho;
Dil Hun Main Meri Dhadkan Tum Ho;
Jaan Hun Main Aur Meri Rooh Tum Ho;
Jism Hun Main Aur Meri Zindagi Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;
Aate Jaate Mujhe Ilzaam To Dete Jao;

Damm Nikal Jaye Jo Uth Ker Shab-E-Tunhaai Main;
Mujh Ko Wapis Dil-E-Nakaam To Dete Jao;

Main Kisi Aur Ka Ehsaan Naheen Lay Sakti;
Meri Qismat Mera Anjaam To Dete Jao;

Phool Mehkaon -k- Daaman Main Sajaon Kante;
Mere Hisse Ka Mujhe Kaam To Dete Jao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera;
Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Nibha Sakta Hun Main Tamam Umar Saath Tera;
Magar Aapni Zindagi Par Mujhe Yaqeen Nahi;
Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Pass Mere;
Magar Hunga Us Waqt Bhi Main Tumhare Saath Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Mein Ho Aap To Koi Aur Khaas Kaise Hoga;
Yaadon Mein Aapke Siva Koi Pass Kaise Hoga;
Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho;
Par Bologe Nahi To Humein Ehsas Kaise Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kahan Se Layein Hunar Use Manane Ka;
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Ke Chale Jane Ka;
Milni Thi Mujhe Hi Saza Is Mohabbat Mein;
Kyon Ki Juram Maine Hi Kiya Tha Us Se Dil Lagane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;

Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Chand Kaliyan Nishat Ki Chun Kar,
Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hun;
Tujh Se Milna Khushi Ki Baat Sahi,
Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mat Puch Sabar Kee Inteha Kahan Tak Hai;
Tu Sitam Kar Le Teri Taqat Jahan Tak Hai;
Wafa Kee Umeed Kisi Aur Ko Hogi;
Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Nu Pyaar Assi Tere To Jyada Nahi Karde;
Kise Hor Te Aitbar Assi Tere To Jyada Nahi Karde;
Tu Jee Sake Mere Bin Eh Ta Changi Gall Hai Sajjna;
Par Assi Jee Lavange Tere Bin Eh Vaada Nahi Karde!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Chaand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
Phoolon Ko Baharon Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
Milo Jo Kabhi Kisi Mehfil Mein To Nazarein Jhuka Lena;
Koi Samjh Hi Na Paaye Ki Mujhe Tum Se Mohabbat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kuchh Faisala To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Paani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab Ba-Tarz-e-Digar Jana Chahiye;

Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Ye Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-e-Safar Jana Chahiye;

Sara Jvaar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzaam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

Jab Bhi Gaye Azaab-e-Dar-o-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

⬈Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanafarosh Ko Mar Jan Chahiye⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain;
Ye Aashiq Kaun Si Basti Ke Ya Rab Rehne ⬈⬈⬈Wale Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬰⬰Tujhse Ru-b-Ru Hokar Baatein Karu;
Nigahein Milakar Wafa Ke Vaade Karu;
Thaam Kar Tera Hath Baith Jaun Tere Samne;
Teri Haseen Surat Ke Nazare Karu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Zindagi Tasveer Bhi Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi;
Farak To Bas Iske Rango Ka Hai;
Mann Chahe Rango Se Bane To Hai Tasveer;
Aur Aanjane Rango Se Bane To Hoti Hai Taqdeer!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Nazarein Mile To Pyaar Ho Jata Hai;
Palkein Uthe To Izhaar Ho Jata Hai;
Na Jaane Kya Kasish Hai Chahat Mein;
Ki Koi Anjaan Bhi Hamari Zindagi Ka H⧬⬈aqdaar Ho Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;

Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;

Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya;

Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;

Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka 'Shakeel';
Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe;
Kehte Hain Ki 'Ghalib' Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein;
Itna Aasan Nahi Hai Kisi Ko Bhula Kar So Jana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ishq Ne Humein Benaam Kar Diya;
Har Khushi Se Humein Anjaan Kar Diya;
Humne To Kabhi Nahi Chaha Ki Humein Bhi Mohabbat Ho;
Lekin Aap Kee Ek Nazar Ne Humein Nilaam Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧬⧬Bas Ek Choti Si Tum Haan Kar Do;
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do;
Wo Mohabbtein Jo Tumhare Dil Mein Hain;
Un Ko Zuban Par Lao Aur Bayan Kar Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale;
Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;

Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun;
Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale;

Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath;
Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale;

Keh Baithiyo Na 'Dard' Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main;
Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;
Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kitab-e-Ishq Mein Jitne Alfaz Likhe Hain;
Dil Mein Mere Utne Ehsaas Rakhe Hain;
Tum Keh Kar Dekhte Sitamgar, Zalim;
Mere Labon Par Kitne Tere Naam Rakhe Hain!
DAR~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~   D  
Kuch Sochta Hun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
Kuch Bolta Hun To Tera Naam Aa Jata Hai;
Kab Tak Chupa Ke Rakhun Dil Kee Baat Ko;
Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Nafrat Na Kabhi Karna Humse;
Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;

Mutaribo Koi Achuta Nagma;
Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;

Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;

Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;

Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;

Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe;
Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe;
Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth;
Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Holi Ke Din Ki Ye Mulaqat Yaad Rahegi;
Rango Ki Ye Barsaat Yaad Rahegi;
Aap Ko Mile Rangeen Duniya Aise Hamesha;
Is Toote Hue Dil Ki Rabb Se Yahi Fariyad Rahegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto;
Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧬⧬Tujhe Chahte Hain Be-inteha Par Chahna Nahi Aata;
Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata;
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar;
Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;

Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;

Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;

Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;

Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha;
Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha;
Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain;
Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Galti Naal Vi Kadi Kise Naal Pyaar Naa Kareyo;
Mar Mar Ke Jeona Pai Jana Kadi Ishq Vich Kise Te Na Mareyo!
PUNJABI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
Pyaar Hota Hai Kya Hum Pehchan Na Sake;
Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Bhula Kar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat;
To Bhula Kar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
Meri Fitrat Mein Nahi Hai Bas Ye Aadat Varna;
Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    

Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;

Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;

Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;

Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;

Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;

'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Inhi Patharon Pe Chal Kar Agar Aa Sako To Aao;
Mere Ghar Ke Raaste Mein Koi Kehkashan Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Bahut Door Magar Bahut Paas Rehte Ho;
Aankhon Se Door Magar Dil Ke Paas Rehte Ho;
Mujhe Bas Itna Bata Do Ai Sanam;
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Raaz Dil Ka Dil Mein Chupate Hain Woh;
Samne Aate Hi Nazar Jhukate Hain Woh;
Baat Karte Nahi, Ya Hoti Nahi;
Par Shukar Hai Jab Bhi Milte Hain Muskurate Hain Woh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Ki Tarah Hu-B-Hu;
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;
Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe⬉⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Lafzon Mein Kaise Tareef Karun,
Lafzon Mein Aap Kaise Sama Paoge;
Jab Bhi Puchenge Kabhi Log Aapke Baare Mein;
Hamari Aakhein Dekh Kar Wo Sab Jaan Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zinda Rahe To Kya Hai, Jo Mar Jayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane Ke Samne;
Ek Khwab Hain Jahan Mein Bikhar Jayein Hum To Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭⧭Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;
Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧬⧬Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi;
Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi;
Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi;
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ret Pe Naam Kabhi Likhte Nahin;
Kyonki Ret Pe Likhe Naam Kabhi Tikte Nahin;
Aap Kehte Ho Tum Patthar Dil Ho;
Par Patthar Pe Likhe Naam Kabhi Mitte Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Aana Usse Le Kar Mere Janaze Mein,
Meri Mohabbat Ki Tauhin Hogi;
Main Chaar Logon Ke Kandhe Pe Hounga,
Aur Meri Jaan Peeche Paidal Hogi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
Magar Tumhaari Tarah Kaun Mujhe Chahega;
Tumhen Zaruur Koi Chahaton Se Dekhega;
Magar Vo Aankhein Hamari Kahaan Se Layega⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai;
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;

Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal;
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai;

Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;

Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Geya Hoga;
Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri;
Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri;
Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri;
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Sanu Lodh Teri Hai Kinni Assi Dasde Nahi;
Sach Jaani Tere Bina Assi Kakh De Nahi;
Tasveer Teri Rakh Layi Hai Dil De Vich;
Bhul Ke Vi Kise Hor Nu Assi Takde Nah⬈⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Aatish-e-Ishq Mein Jal Jaun Tujhe Is Se Kya;
Mausam Kee Tarah Badal Jaun Tujhe Is Se Kya;
Chot Khaun Ya Zakham Lage, Ya Ehsas-e-Gham Mein Tarpun;
Main Gir Jaun Ya Sambhal Jaun Tujhe Is Se Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Bas Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do;
Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do;
Kat Ti Nahi Ab Yeh Zindagi Bin Tere;
Aur Kitna Karun Main Intezar Likh Do!
INTZAAR~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kisi Ranjish Ko Hawa Do

Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi;
Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi;
Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo;
Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi;

Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir';
Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Haara Hai Ishq Na Duniya Thaki Hai;
Diya Jal Raha Hai Hawa Chal Rahi Hai;
Sukoon Hi Sukoon Hai Khushi Hi Khushi Hai;
Tera Gham Salamat Mujhe Kya Kami Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kisi Ko Pyaar Itna Dena Ki Koi Had Na Rahe;
Magar Aitbaar Bhi Itna Rakhna Ki Koi Shak Na Rahe;
Wafa Itni Karna Ki Bewafai Na Ho;
Aur Dua Bas Itni Karna Ki Kabhi Judai Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧬⧭⧭Paya Tumko To Hum Ko Laga Tumko Kho Diya;
Hum Dil Pe Roye Aur Yeh Dil Hum Pe Ro Diya;
Kyon Is Ke Fansle Hume Manzoor Ho Gaye;
Kitne Hue Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye⬊⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai;
Kisi Baat Ko Sab Se Chupana Ishq Hai;
Yun To Neend Nahi Aati Humein Raat - Raat Bhar;
Magar Sote - Sote Jagna Aur Phir Jaagte - Jaagte Sona Hi Ishq Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;

Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye;

Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein;
Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye;

Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas;
Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye;

Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab;
Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye;

Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein;
Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye;

Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui;
Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧬⧬Ye Jabr Bhi Dekha Hai Tareekh Kee Nazron Ne;
Lamhon Ne Khataa Kee Thi Sadiyon Ne Saza Payi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Aapka Intezar Humein Har Pal Rehta Hai;
Har Lamha Humein Aapka Ehsas Rehta Hai;
Aap Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain;
Kyonki Aap Hamare Dil Mein Hamari Dhadkan Banke Rehte Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashkon Ko Moti Bana Deti Hai;
Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai;
Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho;
Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ruthi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬈⬈Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum;
Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum;

May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi;
Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum;

Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka;
Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum;

Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil;
Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum;

Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi;
Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum;

Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai '🔝🔝🔝Nazeer'
Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar;
Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya;
Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai;
Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa;
Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬈⬈⬈Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko;
Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko;
Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye;
Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum;
Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum;
Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari;
Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humne Manga Tha Saath Unka;
Woh Judai Ka Gham De Gaye;
Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi Jee Lete;
Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬆⬆⬆Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;

Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;

Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;

Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;

Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
O Sheesha Ban Ke Jad Vi Sahmne Aa Behnde;
Mainu Meriya Kamiya De Parchawe Dikh Painde;
Tere Vaang Ta Sajjna Laare Laune Aaye Na;
Kaash! Ki Tere Kolo Kuj Ta Sikh Lainde!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Mujhe In Patharo Ka Dar Na Hota;
Agar Sheeshe Ka Mera Ghar Na Hota;
Yakeenan Hum Bhi Khelte Ishq Ki Bazi;
Agar Dil Tootne Ka Dar Na Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo;
Mohabbat Humse Itni Zyada Na Karo;
Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke;
Aur Humein Sataane Ka Irada Na Karo⬱⬱⬱
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Ki Tarah;
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Tanhaiyon Mein Khayaal Aata;
Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata;

Beqarar Dil Ko Qarar Nahi Aata;
Milne Ka Humein Kyon Unko Khayaal Nahi Aata;

Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo, Ye Silsila Tham Hi Nahi Pata;
Soche To Kya Soche, Koi Vichar Aur Samajh Nahi Aata;

Rab Se Aziz Wo Kaisa Saaya Hai, Itna Kya Mann Ko Bhaya;
Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaayi Si Jam Gayi Hai Aankhon Par;
Sara Manzar Hara Sa Rehta Hai;
Sehma Sehma Daraa Sa Rehta Hai;
Jaane Kyon Dil Bhara Sa Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⧭⧭Aansu Na Hote To Aankhein Itni Khoobsurat Na Hoti;
Dard Na Hota To Khushiyon Kee Koi Keemat Na Hoti;
Poori Karta Jo Rabb Yun Hi Sab Muradein;
To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke;
Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai;
Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein;
Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Koi Din Gar Zindgani Aur Hai;
Apne Jee Mein Hum Ne Thaani Aur Hai;

Aatish-e-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan;
Soz-e-Ghumhaae Nihaani Aur Hai;

Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen;
Par Kuch Ab Ke Sargaraani Aur Hai;

⧫De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar;
Kuch To Paigham-e-Zabaani Aur Hai;

Qaata-e-Aamaar Hain Aksar Nazoom;
Woh Balaa-e-Aasmaani Aur Hai;

Ho Chukin Ghalib Balayein Sab Tamaam;
Ek Marg-e-Naagahaani Aur Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧫Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khyal Aata Hai Jab Bhi Uska Chehra;
To Labon Pe Aksar Fariyad Aati Hai;
Bhool Jata Hun Saare Gham Aur Sitam Uske;
Jab Bhi Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaane Wale Dil Ko Pathar Kar Gaye;
Phir Kissi Ko Dekh Kar Dil Dhadka Hi Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dene Aaye Hain Mere Dard Kee Keemat Mujh Ko;
Itne Humdard Hain Na Jaane Kyon Log Mere!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Taluq Rakh Liya Baaki Yakeen Tod Aaya Hun;
Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chod Aaya Hun;

Tumhare Saath Jeene Kee Kasam Khane Se Kuch Pehle;
Main Kuch Vaade, Kayi Kasmein, Kahin Pe Tod Aaya Hun;

Mohabbat Kaanch Ka Zinaaan Thi, Yun Sang-e-Garaan Kab Thi;
Jahan Sir Phod Sakta Tha, Wahan Sir Phod Aaya Hun;

Palat Kar Aa Geya Lekin Yun Lagta Hai Ki Apna Aap;
Jahan Tum Mujh Se Bichde The Wahin Rakh Chod Aaya Hun;

Use Jaane Kee Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein;
Jahan Tak Chod Sakta Tha, Wahan Tak Chod Aaya Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun;
🔝Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi;
🔝Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili;
🔝Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi⬉⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne;
Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Hum To Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Muddtaa Hoyian Vicchde Nu Oh Gallaan Phir Yaad Karn Nu Jee Karda;
Rabb Jaane Tera Mera Ki Rishta Ajj Phir Tainu Apni Kehan Nu Jee Karda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hontho Pe Dil Ke Tarane Nahi Aate;
Sahil Pe Samundar Ke Fasane Nahi Aate;
Neend Mein Bhi Khul Uthti Hain Palkein;
Aankhon Ko Khwab Chupane Nahi Aate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬉⬉Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;

Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;

Fikr-e-Maash, Ishq-e-Butaan, Yaad-e-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;

Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;

Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo;
Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare;

Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare;

Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tod Kar Jise;
Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski;
Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge;
Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge;
Tum Na Mile To Jeete Ji Mar Jayenge;
Tumhe Paa Liya To Mar Ke Bhi Jee Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho;
Meri Ragon Mai Zehar Judaai Ka Utarta Dekho;
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se;
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Humne Hamare Ishq Ka, Izhaar Yoon Kiya;
Phoolon Se Tera Naam, Pathron Pe Likh Diya⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧭⧭Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho;
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho;

Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal;
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho;

Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai;
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho;

Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod;
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho🔽🔽🔽
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Hans Ke Farmaate Hain Woh, Dekh Ke Haalat Meri;
Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri;
Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri;
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri🔝🔝🔝

No comments :

Post a Comment