Bashir Badr ShayariHindi Now2017

⧭⧭Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni ⧭⧭Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Koi Kaanta Chubha Nahi Hota;
Dil Agar Phool Sa Nahi Hota;

Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi;
Yun Koi Bewafa Nahi Hota;

Guftagu Un Se Roz ⧭⧭Hoti Hai;
Muddaton Saamana Nahi Hota;

Jee Bahut Chahta Sach Bole;
Kya Karein Haunsala Nahi Hota;

Raat Ka Intezar Kaun Kare;
Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kis Ne Mujhko Sada Dee Bata Kaun Hai;
Ai Hawa Tere Ghar Mein Chhupa Kaun Hai;

Baarishon Mein Kisi Ped Ko Dekhna;
Shaal Odhe Hue Bheegta Kaun Hai;

Main Yahan Dhoop Mein Tap Raha Hun Magar;
Wo Paseene Mein Doobaa Hua Kaun Hai;

Aasmano Ko Humne Bataya Nahi;
Doobti Shaam Mein Doobta Kaun Hai;

Khushbun Mein ⧭⧭Nahayi Hui Shaakh Par;
Phool-Sa Muskurata Hua Kaun Hai;

Dil Ko Patthar Hue I⬈⬈k Zamana Hua;
Is Makaan Mein Magar Bolta Kaun Hai;

Tum Bhi Mazboor Ho Hum Bhi Mazboor Hain;
Bewafa Kaun Hai Bawafa Kaun Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Main Thak Geya Hun Bahut Shayadaar Pedon Se;
Zara Si Dhoop Bichhakar Qayam Karta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila;
Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila;

Gharon Pe Naam The, Naam Ke Saath Ahude The;
Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila;

Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha;
Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila;

Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi;
Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila;

Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine;
Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par ⬀⬀Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧭⧭Mil Bhi Jaate Hain To Katra Ki Nikal Jaate Hain;
Hai Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha;
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha;
Be-Waqt Agar Jaunga Sab Chaunk Padenge;
Ek Umar Hui ⧭⧭Din Mein Kabhi Ghar Nahin Dekha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
Magar Kaun Tumhari Tarah Mujh Ko Chahega;
Tumhein Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega;
Magar Wo Aankhein Hamari Kahan Se Layega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Musafir Ke Raaste Badalte Rahe;
Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe;

Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha;
Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe;

Mere Raaste Mein Ujala Raha;
Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe;

Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya;
Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe;

⧭⧭Mohabbat Adavat Wafa Berukhi;
Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe;

Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi;
Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe;

Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye;
Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho;
Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho;

Ab Koi Aarzoo Nahi Baki;
Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho;

Main Zameen Par Ghana Andhera Hun;
Aasmano Kee Chandni Tum Ho;

Doston Se Wafa Kee Ummeedein;
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain;
Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain;

Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain;
Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain;

Main Shah Reh Nahin, Raste Ka Pathar Hun;
Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain;

Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hun;
Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain;

Ye Ek Ped Hai, Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum;
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain;

Kai Sitaron Ko Main Janata Hun Bachpan Se;
Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai;
Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai;
Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye;
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Din Se Chala Hu ⬉⬉Meri Manzil Pe Nazar Hai;
Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi;
Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi;

Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe;
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi;

Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar;
Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi;

Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak;
Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi;

Do Chaar Din Kee ⧭⧭Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega;
Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi;

Ehsaas Kee Khushbu ⧬⧬Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan;
Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Chandni Ka Badan Khushabuon Ka Saya Hai;
Bahut Azeez Hume Hai Magar Paraya Hai;

Utar Bhi Aao Kabhi Aasman Ke Zeene Se;
Tumhein Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai;

Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se;
Khudaa Kisi Kee Mohabbat Pe Muskuraya Hai;

Use Kisi Kee Mohabbat Ka Aitbar Nahi;
Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai;

Tamam Umar Mera Dum Uske Dhuein Se Ghuta;
Woh Ik Chirag Tha Maine Use Bujhaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Tum Hosh Mein Ho Na Hum Hosh Mein Hain;
Chalo Maikade Mein Wahin Baat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah;
Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Milaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭⧭Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De;
Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De;

Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe;
Ab Itni Zayada Safai Na De;

Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me;
Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De;

Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein;
Aseeron Ko Aisi Rihayi ⬑⬑⬑Na De;

Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai;
Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De;

Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye;
Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De;
Chandni Raat Ko Bad'duyain Na De;

Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le;
Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De;

Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah;
Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De;

Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah;
Is Qadar Pyar Se Bad'duyain Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se;
Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬉⬉Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfien Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

Kapkapati Hai Rat ⬈⬈Seeney Me;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfein Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlein;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

Kapkapati Hai Raat Seeney Mein;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha;
Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha;

Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin;
Makaa'n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha;

Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate;
Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha;

Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi;
Woh Aik Pau'daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha;

Chiragh Doob Gaye⬈⬈ Kapkapaye Honton Par;
Kisi Ka Hath Hamare Labo'n Tak Aya Tha;

Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf;
Samundro'n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha;

Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta;
Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki;
Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Bhi Bohat Akela Hai Shayed Meri Tarah;
Us Ko Bhi Koi Chahney Wala Naheen Milaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tum Raah Mein Chupp Chaap Kharrey Ho To Gaye Ho;
Kis Kis Ko Batao Gey Ghar Kyun Naheen Jaatey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii;
Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii;

Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii;
Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii;

Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen;
Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii;

Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa;
Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii;

Azal Taa Abd Tak ⬈⬈Safar Hii Safar Hai;
Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Voh Duroondon Ke, Salaamon Ke Nagar Yaad Aaye;
Na'atein Parhte Hue, Qasbaat Ke Ghar Yaad Aaye;

Shaam Ke Baad Kachehri Ka Thakaa Sanaataa;
Begunaahii Ko Adaalat Ke Hunar Yaad Aaye;

Ghar Ki Masjid Mein Woh Nuuraani Se Chehre;
Khaanqaahon Mein Duaaon Ke Shajar Yaad Aaye;

Mere Seene Mein Koi Saans Chubhaa Karti Hai;
Jaise Mazduuron Ko Pardes Mein Ghar Yaad Aaye;

Kitne Khat Aaye Gaye, Shaakh Mein Phoolon Kii Tarah;
Aaj Daryaa Mein Chiraagon Ke Safar Yaad Aaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Muhabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

Umr Bhar Jin Ke ⬈⬈⬈Vafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain⧭⧭
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe ⬉⬉Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi ⬉⬉Log Badal Jate Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Wo Gazal Walon Ka Uslub Samajhate Honge;
⧭Chand Kahate Hain Kise Khub Samajhate Honge;

⬉⬉Itni Milati Hai Meri Ghazlon Se Surat Teri;
Log Tujh Ko Mera Mahbub Samajhate Honge;

Main Samajhata Tha Mohabbat Ke Zaban Khushbu Hai;
Phul Se Log Ise Khub Samajhate Honge;

⬉⬉Bhool Kar Apna 🔀🔀Zamana Ye Zamane Wale;
Aj Ke Pyar Ko Mayub Samajhate Honge

No comments :

Post a Comment