Kya Pyaar Ka Izhaar Karna Shayari 2017

⬈⬈Phir Na Kijiye Meri Gustakh-Nigaahi Ka Gila,
Dekhiye Aap Ne Phir Pyaar Se Dekha Hai Mujhe⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dhoondo Ge Ujjre Rishton Mein Wafa Ke Khazane;
Tum Mere Baad Mohabbat Ka Bahut Ehtram Karo Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬊⬊⬊Dil Ab Pehle Jaisa Masoom Nahi Raha,
Pathar To Nahi, Magar Ab Mom Bhi Nahi Raha⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

๐Ÿ”๐Ÿ”Rooh Pyaasi Kahan Se Aati Hai;
Ye Udasi Kahan Se Aati Hail;

Dil Hai Shab Do Ka To Ai Umeed;
Tu Nidasi Kahan Se Aati Hai;

Shauk Mein Aish-e-Vatl Ke Hangaam;
Naashiphasi Kahan Se Aati Hai;

Ek Zindaan-e-Bedili Aur Shaam;
Ye Sabasi Kahan Se Aati Hai;

Tu Hai Pehalu Mein Phir Teri Khushbu;
Hoke Baasi Kahan Se Aati Ha๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”Yaad Hai Ab Tak Tujhse Bichadne Kee Wo Andheri Shaam Mujhe;
Tu Khamosh Khada Tha Lekin Baatein Karta Tha Kajal!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
YAADEIN  
Roshni Kab Kam Hui Pata Na Chala;
Khushi Kab Ghum Hui Pata Na Chala;
Aap Kee Yaad Mein Khoye Kuch Is Tarha;
Aankh Kab Nam Hui Pata Na Chala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Bahut Khaas The Kabhi Nazro Mein Kisi Ke Hum Bhi;
Magar Nazron Ke Takaze Badalne Mein Der Kaha Lagti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Haqeeqat Se Bahut Door Hai Khwahishein Meri;
Phir Bhi Khwahish Hai Ki Ek Khwab Haqeeqat Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-Kya;
Hijaab Ahle Mohabbat Ko Aaye Hain Kya-Kya;

Jahaan Mein Thi Bas Ek Afwah Tere Jalwon Kee;
Charag-e-Dair-o-Haram Jhilmilaein Hai Kya-Kya;

Kahin Charag, Kahin Gul, Kahin Dil Barbaad;
Kheramein Naaz Ne Kitne Uthaye Hain Kya-Kya;

Payamein Husn, Payamein Junoon, Payamein Fana;
Teri Nigah Ne Phasane Sunaye Hain Kya-Kya;

'Firaq' Raahe Wafa Mein Sabak Ravi Teri;
Bade Badon Ke Kadam Dagmagaein Hain Kya-Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
๐Ÿ”บ๐Ÿ”บHar Dum Duayein Dena Har Lehza Aahein Bharna;
Un Ka Bhi Kaam Karna Apna Bhi Kaam Karna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”Dil Ne Yun Bhi Kaha Mujhse Hans Kar Kayi Baar;
Tu Khud Pagal Na Ho Jana Mujhe Samjhate Sanjhate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Karna Ho Kisi Ko Ishq To Yaaro Seene Mein Basa Lena;
Agar Kabhi Toot Jaye To Sirf Yaadon Kee Hi Dawa Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Udasiyan Mera Daman Hi Nahi Chhodti;
Ab To Jeene Kee Tamanna Bhi Saath Chhod Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke;
Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke;

Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal;
Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke;

Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat;
Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke;

Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat';
Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”Kis Kis Ko Haaye Tere Taghaaful Kaa De Jawaab,
Aksar To Reh Gaye Hain Jhuka Kar Nazar Ko Hum;
Allaah Re Wo Aalame Rukhsat Ki Der Tak,
Taakte Rahe Hain Yun Hi Teri Rehguzar Ko Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Pita Hun Jitni Utni Hi Badhti Hai Tishnagi,
Saqi Ne Jaise Pyaas Mila Di Sharab Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Karni Hai Khuda Se Dua Ki Teri Mohabbat Ke Siva Kuch Na Mile,
Zindagi Mein Tu Mile Sirf Tu, Ya Phir Yeh Zindagi Hi Na Mile!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Suna Hai Ishq Ka Shaunq Nahi Tum Ko,
Magar Barbaad Tum Kamaal Karte Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬊⬊Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;

Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzra Hai Badha Tanha;

Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main;
Is Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;

Kehana Yaadon Ke Barf-Zaaron Se;
Ek Aansu Baha Baha Tanha;

Doobte Sahilon Ke Mod Pe Dil;
Ik Khandar Sa Raha Saha Tanha;

Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aadat Ke Baad Dard Bhi Dene Laga Maza;
Hans Hans Ke Aah Aah Kiye Ja Raha Hun Main!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


⧭⧭Jalwon Kee Sazishon Ko Na Rakho Hijab Mein;
Ye Bijliyan Hain Ruk Na Sakengi Naqab Mein⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Naam Uska Likh Kar Mita Raha Tha Main;
Dil Ko Apne Yun Behla Raha Tha Main;
Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar Dosto,
Na Chahte Hue Bhi Bas Usi Ko Chah Raha Tha Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tumhari Khushbu Se Mehakti Hai Wo Ghazlein Bhi,
Jin Mein Likhti Hun Main 'Ki Tumhein Bhul Gayi Hun'!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar;
Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Chashm-e-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin;
Jaise Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi To Na Thi;

Un Kee Aankhon Ne Khudaa Jaane Kiya Kya Jadoo;
Ki Tabiyat Meri Maail Kabhi Aisi To Na Thi;

Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaya;
Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Khoo Teri Hoor-e-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar;
Aadat Is Kee Bhi Aadmii Si Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kabhi Neendein Kabhi Aankhon Mein Paani Bhej Deta Hai;
Wo Khud Aata Nahi Bas Apni Nishani Behj Deta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Baad Marne Ke Meri Qabar Pe Aaya Ghafil,
Yaad Aayi Mere Qatil Ko Wafa Mere Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Aag Se Seekh Liya Humne Yeh Qareena Bhi;
Bujh Bhi Jana Par Badi Der Tak Sulagte Rehna;
Jaane Kis Umar Mein Jayegi Ye Aadat Apni;
Roothna Usse Aur Auron Se Uljhate Rehna๐Ÿ”ฝ๐Ÿ”ฝ๐Ÿ”ฝ๐Ÿ”ฝ
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Kaanta Chubha Nahi Hota;
Dil Agar Phool Sa Nahi Hota;

Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi;
Yun Koi Bewafa Nahi Hota;

Guftagu Un Se Roz Hoti Hai;
Muddaton Saamana Nahi Hota;

Jee Bahut Chahta Sach Bole;
Kya Karein Haunsala Nahi Hota;

Raat Ka Intezar Kaun Kare;
Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaye To Yun Ki Jaise Hamesha The Meharban;
Bhule To Yun Ki Goya Kabhi Aashna Na The!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⧪⧪Shikan Na Daal Jabin Par Sharab Dete Hue;
Ye Muskurati Hui Cheez Muskura Ke Pila⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hosh Mein Jab Tak Raha Tanha Raha Ghamgeen Raha;
Ab Hun Deewana To Ek Aalam Mera Deewana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuch Aise Haadse Bhi Zindagi Mein Hote Hain Dost,
Insaan Bachh To Jata Hai, Magar Zinda Nahi Rehta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun;
Ai Sakinaan-e-Khuld Suno Main Nashe Mein Hun;

Kuch Phool Khil Rahe Hain Sar-e-Shakh-e-May-Kada;
Tum Hi Zara Ye Phool Chuno Main Nashe Mein Hun;

Thehro Abhi To Subah Ka Maara Hai Zau-Phishan;
Dekho Mujhe Fareb Na Do Main Nashe Mein Hun;

Nasha To Maut Hai Gham-e-Hasti Kee Dhoop Mein;
Bikhara Ke Zulf Saath Chalo Main Nashe Mein Hun;

Mela Yun Hi Rahe Ye Sar-e-Rahguzar-e-Zeest;
Ab Jaam Saamne Hi Rakho Main Nashe Mein Hun;

Payal Chanak Rahi Hai Nigaar-e-Khayal Kee;
Kuch Ehatimaam-e-Raqs Karo Main Nashe Mein Hun;

Main Dagmaga Raha Hun Bayabaan-e-Hosh Mein;
Mere Abhi Kareeb Raho Main Nashe Mein Hun;

Hai Sirf Ek Tabasum-e-Rangeen Bahut Mujhe;
'Saghar' B-Dosh Lala-Rukhon Main Nashe Mein Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho;
Ye Zindagi To Hai Rahmat Ise Saza Na Kaho;
Na Jaane Kaun Si Mazburion Ka Qaidi Ho;
Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭⧭Nigahon Se Wo Is Dil Mein Samaye;
Jab Ashk Bahe To Palko Par Aaye;
Darr Hai Kahin Wo Kho Hi Na Jaye;
Palko Ko Ab Hum Kaise Jhukaye⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭⧭Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha;
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha;
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala;
Main Mom Hun Usne Mujhe Chhu Kar Nahi Dekha⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Shayar Bana Diya Adhuri Mohabbat Ne,
Mohabbat Agar Puri Hoti To Hum Bhi Ek Ghazal Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⭄⭄Kuch Fainsla To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Pani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab B-Tarz-E-Digar Jana Chahiye;

Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye;

Sara Jvar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanfarosh Ko Mar Jana Chaahiye๐Ÿ”บ๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jo Tu Hai Payaar Ka Baadal To Baar Baar Baras;
Na Bheeg Paun Ga Main Tere Ek Nazarae Se!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Ahsaan Kisi Ka Wo Rakhte Nahi Mera Bhi Chuka Diya;
Jitna Khaya Tha Namak Mera, Mere Zakhmon Par Laga Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kitni Fikr Hai Kudrat Ko Meri Tanhai Kee;
Jaagte Rehte Hain Raat Bhar Sitare Mere Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mat Pucho Ki Main Alfaz Kahan Se Lata Hun;
Ye Uski Yaadon Ka Khazana Hai bas Lutaye Ja Raha Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The;
Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The;

Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke;
Tum Se The Jitne Istiare The;

Tere Kaul-o-Karar Se Pehle;
Apne Kuch Aur Bhi Sahare The;

Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye;
Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The;

Mere Daaman Mein Aa Gire Saare;
Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The;

Umar-E-Jaaved Kee Dua Karte;
'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ishq Mein Khawab Ka Khayal Kise;
Na Lagi Aankh Jab Se Aankh Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉⬉Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Betab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar;
Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Mein Aksar;
Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar;
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Hairat Se Na Dekh Mere Chehre Kee Dararein;
Main Waqt Ke Haathon Mein Khilone Kee Tarah Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉⬉Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaak Mein Pinhan;
Gafil Tu Nira Sahib-e-Idraak Nahi Hai;

Wo Aankh Ke Hai Surma-e-Afarng Se Roshan;
Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

Kya Sufi O Mulla Ko Khabar Mere Junoon Kee;
Un Ka Sar-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

Kab Tak Rahe Mahkumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
Ya Main Nahi Ya Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

Bijli Hun Nazar Koh O Bayaban Pe Hai Meri;
Mere Liye Shayaan Khas O Khaashak Nahi Hai;

Aalam Hai Faqat Momin-e-Janbaz Kee Meeras;
Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulak Nahi Hai⬊⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kamil;
Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


Ajeeb Bhi Tu Hai Naseeb Bhi Tu Hai,
Duniya Kee Is Bheed Mein Kareeb Bhi Tu Hai;
Teri Duaon Se Hi Chalti Hai Meri Zindagi,
Kyonki Mera Rabb Bhi Tu Hai Meri Taqdeer Bhi Tu Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Ke Sare Arman Le Jate Hain,
Humse Hamari Pehchan Le Jate Hain,
Be-panah Na Chahna Kisi Ko Kyonki,
Jaan Kehne Wale Hi Aksar Jaan Le Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ajeeb Zulm Hue Hain Mohabbat Par Yaaro;
Jinhe Mili Unhein Kadar Nahi Jinhe Kadar Thi Unhein Mili Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Tum Door Ho To Pyaar Ka Mausam Na Aayega;
Ab Ke Baras Bahaar Ka Mausam Na Aayega;

Chumunga Kis Kee Zulf Ghataon Ko Dekh Kar;
Ik Jurm-e-Khush-Gawar Ka Mausam Na Aayega;

Chalake Sharab Barq Gire Ya Jalein Charag;
Zikr-e-Nigah-e-Yaar Ka Mausam Na Aayega;

Vaada-Khilafiyon Ko Taras Jayega Yakeen;
Raaton Ko Intezar Ka Mausam Na Aayega;

Tujh Se Bichhad Ke Zindagi Ho Jayegi Taveel;
Ehasas Ke Nikhar Ka Mausam Na Aayega⬈⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dawaa Zahido Tum Ko;
Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Daali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tera Nazariya Mere Nazariye Se Alag Tha Kyonki,
Tumne Waqt Guzara Tha Aur Maine Zindagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khyalon Mein Bhatak Jana Teri Yaadon Mein Kho Jana,
Bahut Mehnga Pada Hai Mujhko Tera Ho Jana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
Maloom To Humein Bhi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Vasl Kee Banti Hain In Baaton Se Tadbeerein Kahin;
Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeerein Kahin;

Bezubani Tarjumane-Shauq-e-Behad Ho Na Ho;
Varna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hain Taqreerein Kahin;

Mit Rahi Hain Dil Se Yaadein Rozagar-e-Aish Kee;
Ab Nazar Kaahe Ko Aayengi Ye Tasveerein Kahin;

Iltifaat-e-Yaar Tha Ik Khwab-w-Aagaz-e-Wafa;
Sach Hua Karti Hain In Khwabon Kee Tabeerein Kahin;

Teri Besabri Hai 'Hasrat' Khaamkari Kee Daleel;
Giriya-e-Ushaq Mein Hoti Hain Taseerein Kahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Kuch Keh Rahi Hain Aap Ke Seene Kee Dhadkanein;
Mera Nahi To Dil Ka Kaha Maan Jaiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Saath Chodne Walon Ko To Ek Bahana Chahiye;
Varna Nibhane Wale To Maut Ke Darwaze Tak Saath Nahi Chodte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Na Dard Ne Kisi Ko Sataya Hota;
Na Aankhon Ne Kisi Ko Rulaya Hota;
Khushi Hi Khushi Hoti Har Jagah;
Agar Banane Wale Ne Dil Hi Na Banaya Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Jab Hui Thi Mohabbat To Laga Kisi Achhe Kaam Ka Asar Hai;
Khabar Na Thi Humein Ki Gunahon Kee Aisi Bhi Sazaa Hoti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch;
Har Waqt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch;

Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kahin;
Jungle Sa Phail Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch;

Sahil Kee Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa;
Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Sa Kuch;

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah;
Har Shay Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch;

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabar Ka Diya;
Aur Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Zindagi Kya Kisi Muflis Ke Qabaa Hai Jis Mein;
Har Ghadi Dard Ke Paiband Lagaye Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~   A  
Yakeen Hai Ki Na Aaye Ga Mujhse Milne Koi;
To Phir Yeh Dil Ko Mere Intezar Kaisa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Khamosh Kyon Hai Ye To Maloom Nahi Magar;
Dil Doob Sa Jata Hai Jab Tu Khamosh Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”€๐Ÿ”€Zaalim Duniya Mein Zara Sambhal Ke Rehna Mere Yaar;
Yahan Palkon Pe Bithaya Jata Hai Nazron Se Girane Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Mehak Utha Hai Aangan Is Khabar Se;
Wo Khushbu Laut Aayi Hai Safar Se;

Judai Ne Use Dekha Sar-e-Baam;
Dareech Par Shafaq Ke Rang Barse;

Main Is Deewar Par Chadh To Geya Tha;
Utare Kaun Ab Deewar Par Se;

Gila Hai Ek Gali Se Shehar-e-Dil Kee;
Main Ladta Phir Raha Hun Shehar Bhar Se;

Use Dekhe Zamane Bhar Ka Ye Chaand;
Hamari Chandni Chaye To Tarse;

Mere Maanan Guzra Kar Meri Jaan;
Kabhi Tu Khud Bhi Apni Rehguzar Se⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Bagair Bhi To Ghaneemat Hai Zindagi;
Khud Ko Ganwa Kar Kaun Teri Just-Ju Kare!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar;
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kisi Ne Humein Rulaya To Kya Bura Kiya;
Dil Ko Dhukaya To Kya Bura Kiya;
Hum To Pehle Se Hi Tanha The;
Kisi Ne Ehsaas Dilaya To Kya Bura Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Jane Kaun Si Galiyon Mein Chor Aaya Hun;
Charagh Jalte Hue Khawab Muskurate Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yahi Nahi Koi Toofan Meri Talash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Jaana Meri Talash Mein Hai;

Visal-Rutt Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitara-e-Shab-e-Hijran Meri Talash Mein Hai;

Main Fainsle Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
Kisi Ka Deeda-e-Hairan Meri Talash Mein Hai;

Ye Be-Yaqeen See Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ek Qarya-e-Veeran Meri Talash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ek Kahani Hun;
Mui Charaag Saar Unvan Meri Talash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwab Tha Dhdaka Sa Lag Geya Dil Ko;
Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Umar To Saari Kati Ishq-e-Butaan Mein '‎Momin‬';
Aakhiri Waqt Mein Kya Khak Musalmaan Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yakeen Karo Aaj Iss Kadar Yaad Aa Rahe Ho Tum,
Jis Kadar Tum Ne Bhula Rakha Hai Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
Rishto Ke Phoolon Mein Gulab Ho Tum;
Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Saccha Nahi Hota;
Un Logo Ke Har Sawaal Ka Jawab Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Bas Wohi Ek Shakhs Mere Dil Kee Zidd Hai;
Na Uss Jaisa Chahiye, Na Uss Ke Siwa Chahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Tere Sheher Teri Soch Se Nikal Jaungi;
Kisi Udaas Sham Mein Dhal Jaungi;

Tu Jo Mukar Geya Hai Har Baat Se Apni;
Dekh Lena Ek Din Main Bhi Badal Jaungi;

Mat Dikha Mujh Ko Apna Ye Masoom Chehra;
Jab Ki Tu Janta Hai Main Pighal Jaungi;

Chahe Laakh Tadpun Tere Intezar Mein;
Mat Lout Ke Aana Main Sambhal Jaungi;

Tera Hona Itna Zaroori To Nahi Hai;
Main To Yaadon Ke Khilauno Se Behel Jaungi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ajeeb Bebasi Ka Mausam Hai Dil Ke Aangan Mein 'Faraz';
Taras Gaye Hain Tere Sath Guftgu Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  


⬈⬈Kaise Guzarta Hai Tere Bin Har Pal;
Kabhi Baat Karne Kee Hasrat To Kabhi Dekhne Kee Tamanna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Har Ek Chehre Pe Ghuman Uska Tha;
Basa Na Koi Dil Mein Ye Khaali Makaan Uska Tha;
Tamam Dukh Mit Gaye Mere Dil Se Lekin;
Jo Na Mit Saka Woh Ek Naam Uska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mohabbat Kisi Aise Shakhs Kee Talash Nahin Karti Jiske Saath Raha Jaaye;
Mohabbat To Aise Shakhs Kee Talash Karti Hai, Jiske Bagair Raha Na Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain Log;
Mutthi Mein Juganuon Ko Chupaye Hue Hain Log;

Us Shakhs Ko To Qatal Hue Der Ho Gayi;
Ab Kis Liye Ye Bheed Lagaye Hue Hain Log;

Barason Purane Dard Na Athkheliyan Karen;
Ab To Naye Ghamon Ke Sataye Hue Hain Log;

Aankhein Ujad Chuki Hain Magar Rang Rang Ke;
Khwabon Kee Ab Bhi Fasal Lagaye Hue Hain Log;

⬈⬈Kya Reh Geya Hai Shehar Mein Khandaraat Ke Siva;
Kya Dekhne Ko Ab Yahan Aaye Hue Hain Log;

Kuch Din Se Be-Dimagi-e-'Azahar' Hai Rang Par;
Basti Mein Us Ko 'Meer' Banaye Hue Hain Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Ne Paala Muddaton Pehlu Mein Hum Koi Nahi;
Tum Ne Dekha Ek Nazar Se Dil Tumhara Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi;
Phir Bhi Khush Hun Mujhe Us Se Koi Gila Nahi;
Aur Kitne Aansu Bahaun Ab Us Ke Liye;
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Guzar Geya Wo Waqt Jab Tere Talabgaar The Hum;
Ab Khuda Bhi Ban Jao To Sajda Na Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Unhein Chahana Hamari Kamzori Hai;
Unse Keh Nahi Pana Hamari Majboori Hai;
Wo Kyon Nahi Samajhte Hamari Khamoshi Ko;
Kya Pyaar Ka Izhaar Karna Itna Zaroori Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉⬉Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho;
Hum Na Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Ye Kinaron Se Khelne Wale;
Doob Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Banda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai;
Hum Batayein To Kya Tamasha Ho;

Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Par;
Muskurayein To Kya Tamasha Ho;

Teri Soorat Jo Itefaaq Se Hum;
Bhool Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Waqt Kee Chand Satein 'Saghar';
Laut Aayein To Kya Tamasha Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧬⧬Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise;
Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha๐Ÿ”ฝ๐Ÿ”ฝ๐Ÿ”ฝ

No comments :

Post a Comment