Bewafaon Ko Apni Wafayen Ghazal Shayari new2017




Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De;
Chandni Raat Ko Bad'duyain Na De;

Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le;
Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De;

Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah;
Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De;

Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah;
Is Qadar Pyar Se Bad'duyain Na De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;

Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai;

Meri Awaaz Tanhaai Mein Marti Ja Rahi Hai;
Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;

Azaab Zulmat-e-Shab Hai Ki Ab Dil Ke Labon Par;
Koi Harf-e-Duaa Hona Zaroori Ho Geya Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Mujh Se Kaafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka Toh Khudaa Yaad Aaya;

Mere Dil Pe Toh Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saaya;
Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya;

Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqaabil Paya;

Charagar Aaj Sitaron Ki Kasam Kha Ke Bata;
Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya;

Log Hanste Hain Toh Is Soch Mein Kho Jata Hun;
Mauj-e-Sailaab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;

Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai;
Jaantey Boojhtey Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota;
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota;

Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein;
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota;

Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota;

Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte;
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Saari Zindagi Ko Besamar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar, Isko Basar Iss Ne Kiya;

Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;

Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
Mujhko Seedhey Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;

Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Huwa;
Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;

Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Per Iss Ne Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sun To Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasanaa Kyaa;
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;

Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya;

Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Ruuh Ko;
Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;

➥➥Betaab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
Mahmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat ➥➥➥Qu-Ba-Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

`Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shahara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

Dar-O-Deewar Pe Chayi Hai Udaasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai;
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai;

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shaunq Say Jana;
Aisay Mein Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai;

➞➞Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai;
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai;

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena;
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai;

Samajh Geya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi;
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai;

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke;
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yehi Nahi Ki Toofan Meri Talaash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai;

Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai;

Main Faislay Kee Ghari Se Guzar Chali Hun;
Kisi Kee Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Be Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
Koi Chiraagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko;
Ki Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⇾⇾Khulta Nahin Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair;
Par Dil Kee Jaan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;

Main Kaise Kahun Tum Aao Ki Dil Kee Kashish Se Wo;
Ayenge Daude Aap Mere Ghar Kahe Bagair;

Kya Taab Kya Majal Hamari Ki Bosa Lein;
Lab Ko Tumhare Lab Se Milakar Kahe Bagair;

Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
Rehta Nahin Hai Aashiq-E-Muztar Kahe Bagair;

Taqdir Ke Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
Dilawata Ae 'Zafar' Hai Muqaddar Kahe Bagair!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main;
Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe;
➚➚Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ki Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo;
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo;

Tum Ne Bhi Suni HoGi Bari Aam Kahawat Hai;
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo;

Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye;
Sur Hi Na Mile Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo;

Dushman Ke Iradon Ko Hai Zahir Agar Karna;
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo;

Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Savera Hai;
Agar Chahte Ho Manzil To Parwaaz Badal Dalo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Raah Dikhaaoge;
Kab Tak Chain Ki Mohalat Doge, Kab Tak Yaad Na Aaoge;

Bitaa Did Umeed Kaa Mausam, Khaak Udati Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Kaa Baadal, Kab Barkhaa Barasaaoge;

Ahad-e-Vafaa Aur Tark-e-Mohabbat Jo Chaaho So Aap Karo;
Apane Bas Ki Baat Hi Kyaa Hai, Hamase Kyaa Manavaaoge;

Kisne Vasl Kaa Sooraj Dekhaa, Kis Par Hijr Ki Raat Dhali;
Gesuon Vaale Kaun The, Kya The, Unko Kya Jatalaaoge;

➤➤'Faiz' Dilon Ke Bhaag Mein Hai Ghar Basanaa Bhi Lut Jaanaa Bhi;
Tum Us Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitane Din Itaraaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

➥➥Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum;
Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum;

Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum;

Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fizaa;
Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum;

Us Ke Baghair Aaj ➤➤Bahut Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jo Bhi Deewar Hai Raste Mein Giraa Ke Ro Lein;
Aao Ik Doojay Ko Seene Se Laga Ke Ro Lein;

Saamne Tu Hai To Hum Dil Mein Bhi Ro Sakte Hain;
Yu'n Karein Hum Tujhe Baaton Mein Laga Kar Ro Lein;

Tere Aaney Se Yeh Naraaz Raha Karte Hain;
Jee Mein Hai Aaj Har Ik Gham Ko Manaa Kar Ro Lein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say;
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa;
Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⏪⏪Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha;
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha;

Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa;
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha;

Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi;
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha;

Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi;
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha;

Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua;
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yahi Dil Mein Dar Raha;

Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha 'Munir';
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;

Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi;

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain;
Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi;

Ham Chale Us Ki Bazm Se Uth Kar;
Aur Wo Hai Ki Rokta Hee Nahi;

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi;
Chup Ke Pathar Hai Bolta Hee Nahi;

Main To Us Ki Talaash Mein Guum Hun;
Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfien Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

⬱⬱Kapkapati Hai Rat Seeney Me;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

'Daagh' Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aa Jayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yan;
Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan;

Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Hamein Nahin;
Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan;

Ham Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke;
Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan;

⬈⬈Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dahar Mein;
Uth Asman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan;

Is Butkade Mein Mani Ka Kis Se Karen Sawal;
Adam Nahin Surat-e-Adam Bahut Hai Yan;

Ajaz-e-Isawi Se Nahin Bahs Ishq Mein;
Teri Hi Bat Jan-e-Mujassim Bahut Hai Yan;

Mere Hilak Karne Ka Gam Hai Abas Tumhen;
Tum Shad Zindagani Karo Gam Bahut Hai Yan;

Shayad Ke Kam Subh Tak Apana Khinchena Mir;
Ahawal Aj Sham Se Darham Bahut Hai Yan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;

Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⬱Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho;
Ik Baar Kaho Tum Mere Ho;

Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De;
Kyun Itnay Ghoor Andheray Ho;

Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki;
Tum Mere Rain Basairay Ho;

Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka;
Tum Daaku Chor Lutairay Ho;

Kuch Bolo Ya Aazaad Karo;
Kyun Khamooshi Se Ghairay Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Aap Ko Dekh Kar Dekhataa Rah Gayaa;
Kyaa Kahun Aur Kahane Ko Kyaa Rah Gayaa;
Unki Aankhon Se Kaise Chhalakane Lagaa;
Mere Honthon Pe Jo Maajaraa Rah Gayaa;
Aise Bichha.De Sabhii Raah Ke Mod Par;
Aakharii Ham-Safar Raastaa Rah Gayaa;
Soch Kar Aao Kuu-e-Tamannaa Hai Ye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬱⬱Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo;

Hum Ne Apni Har Saans Par Naam Tera Likh Diya;
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya;

Ishq Mein Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo;
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar;
Jab Se Tum Ankhoon Mein Aaye Jaagti Hai Ye Nazar;

Apni Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo;
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Duniya Ho Jaye;
Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apna Ho Jaye;

Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb;
Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye;

Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhein Ban Jayein;
Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye;

Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat;
Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha, Ho Jaye;

Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Mein Sach Kehna Hai;
Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye;

Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer;
Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye;

Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad;
Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye;
Duniya Hai Yahan Par Jiye Bin Raha Na Jaye;

Kat'ti Nahin Yeh Zindagi Umeed Ke Bagair;
Yeh Jaam Woh Hai Jis Ko Piye Bin Raha Na Jaye;

Chahat Ka Zakhm Dil Ko Tamasha Na Bana De;
Aisa Hai Chaak Jis Ko Siye Bin Rahaa Na Jaye;

Duniya Ke Is Afshaar Mein Hai Us Ki Yaad Yoon;
Aandhi Ho Tez Aur Diye Bin Raha Na Jaye;

⬉⬉Ik Simt Tera Hukam Hai, Ik Simt Kayenaat;
Yeh Bojh Apne Sir Pe Liye Bin Raha Na Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;

Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai;
Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai;

Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai;

Kaun Ubharate Hue 🔀🔀Mahatab Ka Rasta Roke;
Us Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sahar Jana Hai;

Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe;
Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai;

Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-e-Dil;
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai;
Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai;

⧬⧬Savad-e-Dard Mein Tanha Khada Hun;
Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai;

Samajh Mein Kuch Nahi Ata Kisi Ki;
Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai;

Sulagta Kyun Nahi Tarik Jangal;
Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai;

⧭⧭Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki;
Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai;

Kinara Dusara Dariya Ka Jaise;
Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai;

Dilon Ki Raushani Bujhn⬸⬸e Na Dena;
Vajud-e-Tiragi Mahkam Nahi Hai;

Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun;
Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai;

Jo Koi Sun Sake Amjad Toh Suna Dena;
Ba-Juz Ek Baz Gasht-e-Gam Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo'n Is Ka;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;

Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;

Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;

⬈⬈Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel'gon Us Ka;

Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur'sakoon Us Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Aalim-e-Mohabbat Mein;
Ik Kamaal Wehshat Mein;

Be-Sabab Rafaaqat Ka;
Dukh Uthaana Padta Hai;

Titliyaan Pakadney Ko;
Door Jana Padta Hai⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna;
Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna;

Chot Khana, Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey;
Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna;

Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira;
Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna;

Meri Pehchan Mere Peer-e-Hin Zakhm Se Hai;
Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna;

Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem;
Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai;
Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gyi Kon Aya Hai;

Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai;
Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai;

Main Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko;
Ankhon Ki Ibaadat Ka Main Ne Bss Ek Yahi Phal Paya Hai;

Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi-o-Gham Ke Hangamey;
Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi;
Bahaar Ik Khaas Si Dilon Mein Chhod Gayi;

Bichhad Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal;
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi;

Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir;
Jo Na-Tamaam Umangein Dilon Mein Chhod Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shehar Ka Shehar Hi Aaseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shehar Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

Dar-o-Divar Pe Chhai Hai Udasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Dub Gaya Bhi ⬈⬈Toh Marunga Na Kamal;
Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⭂⭂Dil Ajab Gumbad Ke Jis Mein Ik Kabutar Bhi Nahin;
Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin;

Dabati Jati Hain Mitti Mein Badan Ki Kashtiyan;
Dikhne Mein Yeh 🔁🔁Zamin Koi Samandar Bhi Nahin;

Jitne Hangamein Thay Sukhi Tahaniyon Se Jhadd Gaye;
Par Phal Bhi Nahin Angan Mein Patthar Bhi Nahin;

Khushk Taahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai Adeem;
Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin;

Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirein Adeem;
Itna Pyara Toh Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Waale;
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale;

Kya Mile Ga Tujhe Bikhre Hue Khwaabon Ke Siwa;
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaane Waale;

Sab Ne Pehna Tha Bade Shaunq Se Kaghaz Ka Libaas;
Jis Qadar Log Thay Baarish Mein Nahaane Waale;

Mar Gaye Hum Toh Ye Qutbe Pe Likha Jaye Ga;
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Waale;

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai Qateel;
Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi;
Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhod Gayi;

Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal;
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi;

Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir;
Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhod Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bahut Sahi Gam-e-Geti Sharab Kam Kya Hai;
Gulam-e-Saqi-e-Kausar Hun Mujhko Gam Kya Hai;

Tumhari Tarz-o-Rawish Jante Hain Ham Kya Hai;
Raqib Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai;

Sukhan Mein Khama-e-Galib Ki Atashfashani;
Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Mein Dam Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Guzre Hue Taveel Zamane Ke Baad Bhi;
Dil Mein Raha Woh Chhod Ke Jaane Ke Baad Bhi;

Pehlu Mein Reh Ke Dil Ne Diya Hai Bahut Fareb;
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi;

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Talaash;
Dil Mutmain Nahin Hai Tere Aane Ke Baad Bhi;

Jo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahin Pe Hai;
Tera Hi Zikar Hai Tere Jaane Ke Baad Bhi;

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey Faraz;
Dil Ka Tamaam Haal Sunane Ke Baad Bhi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

↶↶Jab Bhi Dil Khul Ke Roye Honge;
Log Aaraam Se Soye Honge;

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil;
Hum Toh Kya Aap Bhi Roye Honge;

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kya Kya;
Phool Kaanton Mein Piroye Honge;

Woh Safeenay Jinhein Toofan Na Mile;
⇭⇭Na-Khudaon Ne Duboyein Honge;

Kya Ajab Hai Woh Mile Bhi Hon Faraz;
Hum Kisi Dhyaan Mein Khoye Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein;
Kyun Na Ay Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzar Karein;
Phir Kahein Aur Mubtila Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai Faraz;
Kya Karein Jab Log Khudaa Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah;

Baad Muddat Usko Dekha Toh Jism-o-Jaan Ko Yun Laga;
Pyasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah;

Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jagaon Ga;
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah;

⇪⇪⇪Mere Hee Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs 'Wasi';
Aur Main Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha Use Kisi Pagal Ki Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⇿⇿Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Rahaa Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

Kaha Thaa Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Eik Din;
So Main Jahaan Thaa Wahin Par Kharha Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aaas Mein Mohsin;
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Gyaa Barson!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha;
Main Tha Apne Khumaar Mein Baitha;

Uska Aanaa Tha Khwaab Mein Aanaa;
Main Abs-e-Intezaar Mein Baitha;

Koi Soorat Nahi Hai Us Jaisi;
Usko Dekhon Hazaar Mein Baitha;

Usko Khushyon Se Khauf Aata Hai;
Weham Kiya Zehen-e-Yaar Mein Baitha;

Hum Bhi Raston Mein Phir Rahe Thay Faraz;
Woh Bhi Tha Rahguzar Mein Baitha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Daman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain;
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain;

Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin;
Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain;

Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se;
Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain;

⇬⇬Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi;
Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain;

Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha;
Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain;

⇪⇪Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi 'Mohsin';
Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~





No comments :

Post a Comment