Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Shayarin 2017

Mumkin Hai Nikal Aaye Yahan Koi Musafir;
Sehraa Mein Lagaate Chalo Do Chaar Shajar Aur!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahaar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho;
Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho;
Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar'daaar;
Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa'n Koi Na Ho!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qaasid Ke Aatae Aatae Khat Ik Aur Likh Rakhoon;
Main Janta Hun Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jaao Ge Lekin;
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi!
ISHQ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Har Roz Nave Bahaane Di Duhaai Na Deya Kar;
Milna Nahi Hunda Tan Dikhayi Na Deya Kar;
Hun Teriyan Gallan Ch Sachayi Nahi Mildi;
Avein Apne Pyar Di Safai Na Deya Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sun To Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasanaa Kyaa;
Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;

Zina Saba Kaa Dhundati Hai Apni Musht-e-Khaak;
Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya;

Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Ruuh Ko;
Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;

Betaab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
Mahmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho 'Faraz';
Aaj Shab, Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai;
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai;
Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua;
Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoondte Ho Kya In Aankhon Mein Kahani Meri;
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bana Ghulab To Kaante Chubaa Geya Ek Shakhs;
Hua Chiragh To Ghar Hi Jala Geya Ek Shakhs!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

`Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye;
Sur Jismein Hai Sab Gum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye;
Main Kaun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye Zindaa Hoon;
Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Khayaal Mein Jab Be-Khayaal Hota Hoon;
Zara Si Der Hi Sahi Be-Misaal Hota Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dard Ke Lamhe Kab Hum Par Asaan Bane;
Jo Dukh Aansu Na Ban Sake Woh Toofaan Bane!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Assar Hai Akh Di Maar Ander;
Oh Na Teer Te Na Talwaar Ander;
Ohna Rab Nu Labh Ke Ki Lena;
Jinna Paa Leya Rab Nu Yaar Ander!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Awazein Si;
Dur Shahara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;

Dar-O-Deewar Pe Chayi Hai Udaasi Aisi;
Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se;
Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Roz Kehta Hu Ki Bhul Jaunga Usse;
Magar Na Jane Kyun Roz Ye Baat Bhul Jata Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Kare;
Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai;
Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haadsa Ikko Hi Mere Naal Aksar Ho Geya;
Jo Vi Sheesha Dekhya Main, Ohi Patthar Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai;
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai;

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shaunq Say Jana;
Aisay Mein Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai;

Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai;
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai;

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena;
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai;

Samajh Geya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi;
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai;

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke;
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe Iqbal;
Jo Lahoo Se Tameer Hue The, Paani Se Bah Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phadfadata Hai Jo Din Raat Mere Seeney Mein;
Ab Yehi Ek Parindaa Hai Rihaa Karne Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe Hain;
Na Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Aakhda Rabb Da Roop Ehnu;
Koi Rabb Da Ehnu Wazir Aakhe;
Rabb V Ohnu Nai Mod Sakda;
Gal Mauj Vich Jehdi Fakeer Aakhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yehi Nahi Ki Toofan Meri Talaash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai;

Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai;

Main Faislay Kee Ghari Se Guzar Chali Hun;
Kisi Kee Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Be Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
Koi Chiraagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko;
Ki Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge;
Gaur Farmaiye:
Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge;
Magar Kambakhat Saali Sadak Hi Seedhi Nikli!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai;
Na Khane-Peene aur Na Hi Sone Ko Jee Chahta Hai;
Yeh Garmi Abb Bardasht Karni Hai Badi Mushkil;
Abb To Paharon Pe Chale Jane Ko Jee Chahta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bikhri Kitaabein, Bheege Auraaq Aur Yeh Tanhai;
Kahoon Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Daur Ka Ek Bada Fasaadi Hoon Main;
Jo Sach Lage Bas Wohi Keh Deta Hoon Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Aur Bhi Hain Humein Kaam, Aye Gham-e-Janaan;
Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Sanwaare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kadi Mehak Nahi Mukdi Phullan Vichon;
Phul Sukde Sukde Suk Jandey;
Kadi Pyar Nahi Mukda Dilan Vichon;
Saah Mukde Mukde Muk Jandey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khulta Nahin Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair;
Par Dil Kee Jaan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;

Main Kaise Kahun Tum Aao Ki Dil Kee Kashish Se Wo;
Ayenge Daude Aap Mere Ghar Kahe Bagair;

Kya Taab Kya Majal Hamari Ki Bosa Lein;
Lab Ko Tumhare Lab Se Milakar Kahe Bagair;

Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
Rehta Nahin Hai Aashiq-E-Muztar Kahe Bagair;

Taqdir Ke Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
Dilawata Ae 'Zafar' Hai Muqaddar Kahe Bagair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Muqeem Kaun Hua Hai, Maqaam Kiss Ka Thaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata Hoon;
Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bas Itni Guzarish Hai Mohabbat Mein Mere Maula;
Mujhe Nakaam Hone Se Zara Pehle Uthaa Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bartan Lohe Da Kadi Tutda Nahi;
Maali Kadi Apne Baag Nu Putda Nahi;
Tut Janday Kadi Kadi Khoon De Rishte;
Par Rishte Sachi Dosti De Kadi Tutde Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main;
Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe;

Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ki Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ki Jaise;
Lutt Jaye Kahin Raah Mein Samaan Kisi Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qasam De Ke Apni Tujhe Rok Ley Ga;
Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok De Ga;
Tu Murr Murr Ke Piche Kise Dekhta Hai;
Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Le Ga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
Issi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Waar Badal Badal Ke Vekh Lia Apnia Rahaan Main;
Par Pata Nahio Kyon Manzil Te Ta Sirf Te Sirf Tu Hi Disdi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo;
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo;

Tum Ne Bhi Suni HoGi Bari Aam Kahawat Hai;
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo;

Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De Paye;
Sur Hi Na Mile Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo;

Dushman Ke Iradon Ko Hai Zahir Agar Karna;
Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo;

Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Savera Hai;
Agar Chahte Ho Manzil To Parwaaz Badal Dalo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
Hazaron Chahne Wale The Kis-Kis Se Wafa Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Loon;
Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Loon;
Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri;
Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Loon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain, Ankhein Hain;
Main Unn Mein Doob Geya, Aitbar Karte Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pathar Zehan Gulaab Nahi Hunday;
Korey Waraq Kitaab Nahi Hunday;
Je Ker Laaiye Yaari Sajna;
Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunday!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Raah Dikhaaoge;
Kab Tak Chain Ki Mohalat Doge, Kab Tak Yaad Na Aaoge;

Bitaa Did Umeed Kaa Mausam, Khaak Udati Hai Aankhon Mein;
Kab Bhejoge Dard Kaa Baadal, Kab Barkhaa Barasaaoge;

Ahad-e-Vafaa Aur Tark-e-Mohabbat Jo Chaaho So Aap Karo;
Apane Bas Ki Baat Hi Kyaa Hai, Hamase Kyaa Manavaaoge;

Kisne Vasl Kaa Sooraj Dekhaa, Kis Par Hijr Ki Raat Dhali;
Gesuon Vaale Kaun The, Kya The, Unko Kya Jatalaaoge;

'Faiz' Dilon Ke Bhaag Mein Hai Ghar Basanaa Bhi Lut Jaanaa Bhi;
Tum Us Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitane Din Itaraaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari;
Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari;
Kya Udhar Light Aa Ri?
Idhar Toh Aa Ri - Ja Ri, Aa Ri - Ja Ri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Issi Khayaal Se Guzri Hai Shaam-e-Dard Aksar;
Ke Dard Hadh Se Jo Guzre Ga Muskuraa Doon Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Pathar Se Bhi Takraye To Kharaash Tak Na Aye;
Kabhi Ik Baat Hi Se Insaan Toot Ke Bikhar Jatey Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar To Basa Liya Hai Hum Ne Mil Kar Apna;
Sheeshay K Ghar Mein Kaise Rah Painge Batao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ke Sehraa Mein Kab Aalam-E-Tanhai Hai;
Jab Bhi Dekha Teri Tasveer Nazar Ayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Ayen Hum;
Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum;

Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayen Hum;

Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fizaa;
Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum;

Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kise Maloom Tha Ishq Is Qadar Lachaar Karta Hai;
Dil Usse Janata Hai Bewafa, Magar Pyaar Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bikhri Kitaabein, Bheegey Auraaq Aur Yeh Tanhai;
Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Assa Vaang Musafir Tur Jaana;
Teri Mehfil Sada Abaad Rahe;
Kade Do-Chaar Hanju Dol Lavin;
Jekar Tenu Saadi Yaad Rahe!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jo Bhi Deewar Hai Raste Mein Giraa Ke Ro Lein;
Aao Ik Doojay Ko Seene Se Laga Ke Ro Lein;

Saamne Tu Hai To Hum Dil Mein Bhi Ro Sakte Hain;
Yu'n Karein Hum Tujhe Baaton Mein Laga Kar Ro Lein;

Tere Aaney Se Yeh Naraaz Raha Karte Hain;
Jee Mein Hai Aaj Har Ik Gham Ko Manaa Kar Ro Lein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doobtey Doobtey Kashti Ko Uchala De Doon;
Main Nahi Koi To Sahil Par Utar Jaye Ga
Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka 'Faraz'
Zalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil De To Is Mizaaj Ka Parwardigaar De;
Jo Ranjj Ki Gharri Bhi Khushi Se Guzaar De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Samaat Ka Bharam Hai Ya Kisi Naghmey Ki Goonj;
Aik Pehchaani Si Awaaz Aati Hai Mujhey!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Likhan Waleya Ho Ke Dyal Likh De;
Meri Kismat Wich Meri Jaan Da Pyar Likh De;
Likhi Na Us Naal Mera Kade Vi Vichoda;
Hor Bhavein Dukh Sanu Hazaar Likh De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say;
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa;
Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi;
Yeh Bata Kiss Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga;
Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi;
Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamari Subh Sham Hoti Thi Jin Ke Pehloo Main;
Waqt Badala To Dikhai Dete Hain, Ghairon Ke Dariche Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ghar Se Har Waqt Nikal Aatey Ho Kholey Hue Baal;
Kuch To Shaam Dekhi Meri Jaan, Savera Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Roz Nave Bahaane Di Duhaai Na Deya Kar;
Milna Nahi Hunda Tan Dikhayi Na Deya Kar;
Hun Teriyan Gallan Ch Sachayi Nahi Mildi;
Avein Apne Pyar Di Safai Na Deya Kar!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha;
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha;

Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa;
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha;

Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi;
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha;

Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi;
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha;

Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua;
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yahi Dil Mein Dar Raha;

Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha 'Munir';
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kash Takdeer Bhi Hoti Zulf Ki Tarah;
Jab Jab Bikharti, Tab Tab Sawaar Lete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
De Ga Agar Dard To Khud Bhi Doobay Ga;
Woh Ek Shakss Jo Ankhon Me Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bewafayi Ki Intehaa Kar De;
Taaki Maloom Ho Wafaa Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Khushi Se Agar Gham Mein Bhi Khushi Na Hui;
Woh Zindagi To Mohabbat Ki Zindagi Na Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Waar Badal Badal Ke Vekh Lia Apnian Rahaan Main;
Par Pata Nhio Kyon Manzil Te Ta Sirf Te Sirf Tu Hi Disdi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;

Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi;

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain;
Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi;

Ham Chale Us Ki Bazm Se Uth Kar;
Aur Wo Hai Ki Rokta Hee Nahi;

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi;
Chup Ke Pathar Hai Bolta Hee Nahi;

Main To Us Ki Talaash Mein Guum Hun;
Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Unn Ka Her Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Un Ke Khat Ki Arzoo Hai, Un Ki Aamad Ka Khayal;
Kiss Qadar Phaila Hai Karobaar-e-Intezaar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pagalpan Ki Sari Lakeerein Mere Hath Me Kyun;
Jis Ko Chahoon Main Hi Chahoon, Main Hi Chahoon Kyun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bhul Baitha Si Kade Chann Taare Kise De Nahi Hoye;
Aiwen Ambran Wal Hath Marda Reha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfien Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

Kapkapati Hai Rat Seeney Me;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh Apna Bhi Aye Ga Lekin Pehle;
Dil Teri Yaadon Se Rihaa Toh Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhein Maloom Bhi Hai Main Tanha Jee Nahin Sakta;
Meri Aadat Badalne Tak To Mere Saath Ruk Jao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Husan Ko Pardey Ki Zarurat Hi Kya Hai;
Kaun Hosh Main Rehta Hai Tujhe Dekhne Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ikk Aisa Yaar Banaa Baithhe;
Naa Vichharh Sake Naa Meil Hoya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;

Chahye Paighambar Dono Taraf;
Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;

Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;

Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;

'Daagh' Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj;
Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Tanhayi Ko Mera Shouq Mat Samajhna;
Bahut Pyaar Se Diya Hai Yeh Tohfa Kisi Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh-e-Haalat Pe Kabu To Kar Liya Maine;
Unhe Dekh Ke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shabb Ki Tanhai Mein Gungunaati Rahin;
Beeti Baatein Mujhe Yaad Aati Rahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaad Aun Oh Pal, Jadon Ohh Saade Kareeb Si;
Yakeen Ni Aunda Khud Te, Kade Asi Enne Khushh Naseeb Si!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aa Jayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yan;
Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan;

Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Hamein Nahin;
Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan;

Ham Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke;
Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan;

Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dahar Mein;
Uth Asman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan;

Is Butkade Mein Mani Ka Kis Se Karen Sawal;
Adam Nahin Surat-e-Adam Bahut Hai Yan;

Ajaz-e-Isawi Se Nahin Bahs Ishq Mein;
Teri Hi Bat Jan-e-Mujassim Bahut Hai Yan;

Mere Hilak Karne Ka Gam Hai Abas Tumhen;
Tum Shad Zindagani Karo Gam Bahut Hai Yan;

Shayad Ke Kam Subh Tak Apana Khinchena Mir;
Ahawal Aj Sham Se Darham Bahut Hai Yan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaayi Hui Hai Raat;
Shayed Hamari Tarah Hi Sataayi Hui Hai Raat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Aur Hi Kaam Somp Do Mujhe Ab Tum;
Yeh Kya Tujhe Sochna Aur Sochtey Hi Rehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain;
Kyun Na Ab Doosron Se Pyar Krain;
Tu Kabi Waqt Par Nahi Pahuncha;
Kis Tarah Tera Aitbar Krain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddtaa Hoyian Vicchde Nu.. Ohh Gallaan Fer Yaad Karn Nu Jee Krdaa;
Rabb Jaane Tera Mera Ki Rishhta.. Ajj Fer Tennu Aapni Kehn Nu Jee Krda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

⧪Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;

Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi;
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe๐Ÿ”๐Ÿ”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chaho Laga Do Dar Kaisa;
Gar Jeet Gae To Kia Kehna Hare Bhi To Bazi Mat Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain;
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Tere Varga Hi C Chehra Jissne Kujhh Chhaddeya Nahi;
Kujhh K Bhull Chukka Haan;
Kujhh Bhhullna Baaki Hai;
Kujhh Kujhh Yaad Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho;
Ik Baar Kaho Tum Mere Ho;

Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De;
Kyun Itnay Ghoor Andheray Ho;

Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki;
Tum Mere Rain Basairay Ho;

Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka;
Tum Daaku Chor Lutairay Ho;

Kuch Bolo Ya Aazaad Karo;
Kyun Khamooshi Se Ghairay Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Jazbat Ko Zubaan Nahi Milti;
Dil Ki Har Ek Aarzoo Ko Dua Nahi Milti;
Muskan Banaye Rakho To Duniya Sath Hai;
Warna Aansuo Ko Bhi Aankho Mein Panah Nahi Milti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Yaad Mein Humne Kalam Uthaayi;
Liya Paper Aur Tasveer Aapki Banayi;
Socha Tha Ki Usko Dil Se Laga Kar Rakhenge;
Magar Wo Toh Bacho Ko Draane Ke Kaam Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Khabar Thi Hame Ke Mohabbat Ho Jaye Gi;
Hume To Bas Tera Muskurana Acha Laga Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Barsey Bagaer Hi Jo Ghatta Aa Kar Nikal Gai;
Aik Bewafa Ka Ahd-e-Wafa Yaad Aa Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain;
Jaagti Aankoh Me Bhi Kuch Khawab Hote Hain;
Zaroori Nahi Ki Gham Me Aansu Nikle;
Mushkurati Aankho Me Bhi Sailab Hote Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sanu Lodh Teri Kinni Assi Dasde Nahi;
Sach Jaani Tere Bina Assi Kakh De Nahi;
Tasveer Teri Rakh Layi Aa Dil Vich;
Bhul Ke Vi Kise Hor Nu Assi Takde Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Ko Dekh Kar Dekhataa Rah Gayaa;
Kyaa Kahun Aur Kahane Ko Kyaa Rah Gayaa;
Unki Aankhon Se Kaise Chhalakane Lagaa;
Mere Honthon Pe Jo Maajaraa Rah Gayaa;
Aise Bichha.De Sabhii Raah Ke Mod Par;
Aakharii Ham-Safar Raastaa Rah Gayaa;
Soch Kar Aao Kuu-e-Tamannaa Hai Ye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai;
Pass Hain Har Aur Sannata, Tanhai Muskurai Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Taaza Mangein Hain Fasaane Hum Se;
Jab Milein Hain Dost Puraane Hum Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Magar Kuch Bhi Nahin, Kuch Bhi Nahin Ho Sakta;
Apne Jazbon Se Yeh Rangeen Shararat Na Karo;
Kitni Masoom Ho, Naazuk Ho, Hamaqat Na Karo;
Baar'haa Tum Se Kaha Tha Ke Mohabbat Na Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ohh Aa Ke Mere Suppne Ch Ajj Vi Onnaa Hi Hassdi E;
Par Main Hi Kamla Ro Painda Haan Ohnu Chete Karke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo;

Hum Ne Apni Har Saans Par Naam Tera Likh Diya;
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya;

Ishq Mein Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo;
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar;
Jab Se Tum Ankhoon Mein Aaye Jaagti Hai Ye Nazar;

Apni Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo;
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Umeedon Ki Manzil Toot Gayi;
Aankho Se Ashqo Ki Dhara Beh Gayi;
Arre Tumhari Bhi Kya Ijjat Reh Gayi;
Jab Class Main Ladki Bhaiya Keh Gayi⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Main Tujhe Ko Bhool Chuka, Lekin Ek Umar Ke Baad;
Tera Kheyal Kya Tha Ke Chott Ubhar Aayi⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mere Paas Itne Sawaal Thay Meri Umar Se Na Simat Sake;
Tere Paas Jitne Jawaab Thay Teri Ek Nigaah Mein Aa Gaye⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Ek Khushi Dil Ne Kya Maang Li;
Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Ungliyan Tutt Gyiyan Pathhar Nu Traashde Traashde;
Jadon Yaar Di Soorat Bani Taa Khareed'daar Aa Gye⬉⬉

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Duniya Ho Jaye;
Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apna Ho Jaye;

Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb;
Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye;

Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Teri Ankhein Ban Jayein;
Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye;

Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat;
Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha, Ho Jaye;

Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Mein Sach Kehna Hai;
Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye;

Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer;
Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye;

Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad;
Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein;
Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Buraayi Mere Naam Se Mansoob Huyi;
Dosto, Kitna Bura Tha Mera Acha Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Tak Toh Khair Teri Tamanna Mein Katt Gayi;
Tu Mil Gaya Toh Sochta Hoon Kya Karon Ga Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Oh Naal Hundi Taa Zindagi Jannat Jehi Laggni Si;
Ohde Bina Taa Har Saah Jeonde Rehn Di Wajaah Puchhda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye;
Duniya Hai Yahan Par Jiye Bin Raha Na Jaye;

Kat'ti Nahin Yeh Zindagi Umeed Ke Bagair;
Yeh Jaam Woh Hai Jis Ko Piye Bin Raha Na Jaye;

Chahat Ka Zakhm Dil Ko Tamasha Na Bana De⧭⧭
Aisa Hai Chaak Jis Ko Siye Bin Rahaa Na Jaye⧭

Duniya Ke Is Afshaar Mein Hai Us Ki Yaad Yoon;
Aandhi Ho Tez Aur Diye Bin Raha Na Jaye;

Ik Simt Tera Hukam Hai, Ik Simt Kayenaat;
Yeh Bojh Apne Sir Pe Liye Bin Raha Na Jaye⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Zaamane Ke Dar Se Teri Tasveer Toilet Mein Chhupa Rakhi Hai;
Deedar Ho Tera Bar-Bar, Iss Liye Julab Ki Goli Kha Rakhi Hai⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saabit Hua Ke Tu Bhi Zamane Ke Sath Hai;
Saabit Hua Ke Tu Bhi Hamaara Nahin Rahaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khamoshi Se Adaa Ho Rasm-e-Doori;
Koi Hungama Barpaa Kyun Karen Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Ko Jab Bojh Lage Mohabbat To Bata Dena;
Main Chup-Chaap Mohabbat Se Mukar Jaunga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chali Jaandi Aa Zindagi Saadi.. Ghaat Nahi Hai Saahan Di;
Bakhashh Deugaa Baba Nanak.. Lambi List Gunaaha Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;

Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai;
Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai;

Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai;

Kaun Ubharate Hue Mahatab Ka Rasta Roke;
Us Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sahar Jana Hai;

Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe;
Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai⬱⬱

Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-e-Dil;
Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Aaj Bhi Hume Dekh Kar Muskurate Hein;
Gaur Farmiyae:
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Aaj Bhi Hume Dekh Kar Muskurate Hein;
Yeh Toh Unke Bachche Hi Kamine Hein;
Jo Humein Mama-Mama Bulaate Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Mohabbat Ki Hadh Nahin Koi;
Dard Ka Hisaab Kyun Rakhoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Doston Se Iss Qadar Sadme Uthaaye Jaan Par;
Dil Se Dushman Ki Dushmani Ka Gilaa Jata Raha!
DOST~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phir Itne Mayoos Kyun Ho Uski Bewafayi Par Faraz;
Tum Khud Hi Toh Kehte Thay Ki Woh Sab Se Juda Hai⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddtaa Langhh Gyian Uss To Bina Jeon Di Aadat Paun Ch;
Kambakhht Uss Di Ikk Jhalak Ne Fer Osse Mod Te Laii Aanda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai;
Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai;

Savad-e-Dard Mein Tanha Khada Hun;
Palat Jaun Magar Mausam Nahi Hai;

Samajh Mein Kuch Nahi Ata Kisi Ki;
Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai;

Sulagta Kyun Nahi Tarik Jangal;
Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai;

Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki;
Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai;

Kinara Dusara Dariya Ka Jaise;
Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai;

Dilon Ki Raushani Bujhne Na Dena;
Vajud-e-Tiragi Mahkam Nahi Hai;

Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun;
Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai;

Jo Koi Sun Sake Amjad Toh Suna Dena;
Ba-Juz Ek Baz Gasht-e-Gam Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Main Uthe Armaan Ke Toh Kya Kahne;
Hum Toh Apni Shayari Bhi Unse Chhupate Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Khayal Ko Kissi Aahat Ki Aas Rehti Hai;
Nigah Ko Kissi Soorat Ki Talash Rehti Hai;
Tere Bin Koi Kami Toh Nahi Hai, Dost;
Bas Gali Waali Jamadarni Udaas Rehti Hai⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chottiyan Chhuu Kar Guzarte Hain, Baraste Kyon Nahin;
Baadlon Ki Ek Surat Aadmi Jaisi Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bichhdi Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
Har Gam Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr Ki Tamheed Thi;
Us Ko Rukhsat Karke Ghar Laute To Andaaza Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bada Zor Laya Usnu Dil Cho Kaddn Lyi;
Par Sareer Kehnda Main Rooh Bina Jee Ni Skda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧬⧬Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo'n Is Ka;
Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;

Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;

Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;

Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel'gon Us Ka;

Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pur'sakoon Us Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”‚๐Ÿ”‚Ishq Ke Khayaal Buhut Hein;
Ishq Ke Charche Buhut Hein;
Sochte Hein Hum Bhi Kar Lein Ishq;
Par Sunte Hein Ishq Mein Kharche Buhut Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Thi Jisko Mere Pyar Ki Kadar;
Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main;
Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko;
Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Meri Wafa Ki Gawahi Toh Sitare Bhi Dete Hain;
Par Mere Chaand Ko Aaya Nahi Aitbar Mera⬊⬊
GILA SHIKWA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein;
Main Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kaise Rahoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Iss Anhoni Nu Kehn Lyi Meri Jeebh Vi Darrdi Aa;
Ajj Kal Taa Mere Naam Ton Vi Suneya Oh Nafrat Krdi Aa๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ๐Ÿ”บ

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aalim-e-Mohabbat Mein;
Ik Kamaal Wehshat Mein;

Be-Sabab Rafaaqat Ka;
Dukh Uthaana Padta Hai;

Titliyaan Pakadney Ko;
Door Jana Padta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Aaj Tum Par Aansuyon Ki Barsat Hogi;
Fir Wahi Kadakti Kali Raat Hogi;
Yaad na Kar Ke Tumne Dil Dukhaya Hai Mera;
Ja Tere Badan Mein Khujali Sari Raat Hogi!
FUNNY~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mar Kar Bhi Usko Dekhte Rehne Ke Shauq Mein;
Aankhein Kisi Ko Apni, Amanat Mein De Gaye⬊⬊
ARMAAN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Badi Hoti Hai Mayoosi, Badi Hoti Hai Mayoosi;
Bana Kar Hum Ne Naqash Aarzoo Aksar Mita Daala!
GILA SHIKWA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Dalein Tum Ko⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tutt Ke Rishta Saada Hor Behtar Ho Gya;
Tennu Manzil Mil Gyi Te Main Fir Musaafir Ho Gya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna;
Sar Jo Kat Jaye To Dastar Sambhaley Rakhna;

Chot Khana, Magar Is Tarah Ke Lodhey Uthey;
Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna;

Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira;
Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna;

Meri Pehchan Mere Peer-e-Hin Zakhm Se Hai;
Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna;

Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem;
Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe;
Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe;
Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya;
Tamam Umar Ishq ki Justju Main, Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe⬊⬊⬊

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko;
Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jo Likho Kabhi Tareekh Wafaa Ki;
Maine Bhi Lutaaya Hai Mohabbat Mein Sakoon Apna⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Shaam;
Main Aaj Shaam Tumhare Hijar Mein Udaas Na Tha;
Ab Ek Saal Toh Yeh Ek Gham Hi Kaafi Hai;
Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Saari Umar Jehde Full Di Parwrish Kiti;
Jad Khhushbu Den De Kaabil Hoya Taa Gairran Nu De Ditta⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai;
Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gyi Kon Aya Hai;

Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai;
Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai;

Main Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko;
Ankhon Ki Ibaadat Ka Main Ne Bss Ek Yahi Phal Paya Hai;

Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi-o-Gham Ke Hangamey;
Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Fakeeron Se Dosti Kar Lo;
Gur Sikhaa Dain Ge Badshaahi Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Waqt Ik Pal Ko Jo Ruk Jaye Toh Ehsaan Is Ka;
Chand Yaadein Mere Dil Mein Se Guzrna Chahein⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Toh Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin;
Kitni Tanha Ho Gayin Tanhaayiaan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haale Tak Mojood Ne Iss Dil Wich Tere Kadmaa De Nishaan;
Tere Ton Baad Asi Kise Hor Nu Iss Raah Ton Gujjran Nhi Dittaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhod Gayi;
Bahaar Ik Khaas Si Dilon Mein Chhod Gayi;

Bichhad Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal;
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi;

Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir;
Jo Na-Tamaam Umangein Dilon Mein Chhod Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Bichhad Ke Toh Khat Bhi Na Likhe Yaaron Ne;
Kabhi Kabhi Ki Adhoori Si Baat Se Bhi Gaye⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Phir Aaj Ashk Se Ankhon Mein Kyun Hain Aye Hue;
Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue⬉⬉

No comments :

Post a Comment