Dil Ne Bahut Kaam Ghazal Shayari new2017

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;

Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna;

Khakh Kis-Kis Kee Khuda Jaane Hui Ai Daman Wale;
Tune Chalte Hue Daman Na Sambhala Apna;

Dil Chune Wale Do Lafz Hi Likhe The Usne;
Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Geya Apna;

Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain;
Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna;

Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;

Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe;

Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli;
Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe;

Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai;
Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe;

Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee,
Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe;

Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi;
Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe;

Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel';
Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;

Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;

Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;

Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;

Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;

'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;

Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;

Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;

Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;

Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;

Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baat Bas Se Nikal Chali Hai;
Dil Kee Halat Sambhal Chali Hai;

Jab Junoon Had Se Badh Chala Hai;
Ab Tabiyat Behal Chali Hai;

Ashk Khoonaab Ho Chale Hain;
Gham Kee Rangat Badal Chali Hai;

Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamayein;
Yaa Shab-e-Hizr Tal Chali Hai;

Lakh Paigam Ho Gaye Hain;
Jab Saba Ek Pal Chali Hai;

Jao, Ab So Raho Sitaro;
Dard Kee Raat Dhal Chali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sarakti Jaye Hai Rukh Se Naqab Ahista-Ahista;
Nikalta Aa Raha Hai Aftab Ahista-Ahista;

Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda;
Haya Yaklakhat Aayi Aur Shabab Ahista-Ahista;

Shab-e-Furkat Ka Jagaa Hun Farishton Ab To Sone Do;
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Ahista-Ahista;

Sawal-e-Vasl Par Un Ko Adoo Ka Khauf Hai Itna;
Dabe Hontho Se Dete Hain Jawab Ahista- Ahista;

Hamare Aur Tumhare Pyaar Mein Bas Farq Hai Itna;
Idhar To Jaldi Jaldi Hai Udhar Ahista- Ahista;

Wo Bedardi Se Sar Kaate 'Ameer' Aur Main Kahun Un Se;
Huzoor Ahista-Ahista Janaab Ahista-Ahista!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahi Mohabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narwa Hai Ishq;

Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahi Nahi Koi Toofaan Meri Talaash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Janaa Meri Talaash Mein Hai;

Visaal-Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitara-e-Shab-e-Hijra Meri Talaash Mein Hai;

Main Faisale Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
Kisi Ka Deedaa-e-Hairan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ek Karya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
Mui Charag Saar Unvan Meri Talaash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwab Tha Dhadka Sa Lag Geya Dil Ko;
Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talaash Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Socha Na Samjha Na Seekha Na Jana;
Mujhe Aa Geya Khud-Ba-Khud Dil Lagana;

Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana;
Simat Kar Yahin Aa Na Jaye Zamana;

Zubaan Par Lagi Hain Wafaon Kee Muhrein;
Khamoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana;

Gulon Tak Lagayi To Aasaan Hai Lekin;
Hai Dushwaar Kaanton Se Daaman Bachana;

Karo Laakh Tum Matam-e-Naujawani;
Pa 'Meer' Ab Nahi Aayega Wo Zamana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Wo Ja Raha Hai Koei Shab-e-Gham Guzaar Ke;

Veeran Hai Maykada Khum-o-Sagar Udas Hain;
Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye Din Bahar Ke;

Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
Dekhe Hain Humne Haunsle Parwaradigaar Ke;

Duniya Ne Teri Yaad Se Began Kar Diya;
Tum Se Bhi Dilfareb Hain Gham Rozgar Ke;

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
Mat Puch Valvale Dil-e-Nakardkaar Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zara Sa Katra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

Sharafaton Kee Yahan Koi Ahmiyat Hi Nahi;
Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai;

Zameen Kee Kaisi Viqalat Ho Phir Nahi Chalti;
Jab Aasmaan Se Koi Fainsla Utarta Hai;

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni See Baatein Hon;
Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Bekar Kee Baatein Karte Hain;
Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Kee Baatein Karte Hain;

Nahak Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-e-Fitrat Ka Dawa;
Aankhon Mein Nahi Hai Betabi Deedar Kee Baatein Karte Hain;

Kehte Hain Unhi Ko Dushman-e-Dil Naam Unhi Ka Naseh Bhi;
Wo Log Jo Reh Kar Sahil Par Majhdhar Kee Baatein Karte Hain;

Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahi Kuch Naz-e-Safar;
Chalne Ka Jinhe Maqdur Nahi Raftaar Kee Baatein Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kis-Kis Ada Se Tune Jalwa Dikha Ke Mara;
Aazad Ho Chuke The, Banda Bana Ke Mara;

Awal Bana Ke Putla, Putle Mein Jaan Dali;
Phir Usko Khud Qaza Kee Soorat Mein Aake Mara;

Aankhon Mein Teri Zaalim Churiyaan Chupi Hui Hain;
Dekha Jidhar Ko Tune Palkein Uthake Mara;

Gunchon Mein Aake Mehka, Bulbul Mein Jake Chehka;
Isko Hansa Ke Mara, Usko Rula Ke Mara;

Sosan Kee Tarah 'Akbar', Khamosh Hain Yahan Par;
Naragis Mein Isne Chhip Kar Aankhein Lada Ke Mara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai;
Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai;

Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai;
Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai;

Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche;
Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai;

Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah;
Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aap Duniya Bhar Se Ulfat Kijiye;
Mujh Ko Mera Dil Inayat Kijiye;

Zabt Se Kya Khoon-e-Hasrat Kijiye;
Ek Nala Kar Ke Fursat Kijiye;

Joaf Kehta Hai Ki Manzil Door Hai;
Shauq Kehta Hai Kee Himmat Kijiye;

Gark Hi Hona Thaa Manzoor-e-Khuda;
Na-Khudaa Kee Kya Shikayat Kijiye;

Hazraat-e-'Natiq' Jahan Tak Ho Sake;
Apne Dil Mein Zabt-e-Ulfat Kijiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein;
Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein;

Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein;
Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein;

Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par;
Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein;

Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein;
Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein;

Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua;
Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sukhan Mein Rang Tumhare Khayal Hi Ke To Hain;
Ye Sab Karishme Hawa-e-Visaal Hi Ke To Hain;

Kaha Tha Tumne Ki Aata Hai Kaun Ishq Kee Taab
So Hum Jawab Tumhare Sawal Hi Ke To Hain;

Zara Si Baat Hai Dil Mein, Agar Bayan Ho Jaye;
Tamaam Masle Izahar-e-Haal Hi Ke To Hain;

Yahan Bhi Iske Siwa Aur Kya Naseeb Humein;
Khutan Mein Reh Ke Bhi Chashme-Gizaal Hi Ke To Hain;

Hawaa Kee Zad Pe Hamara Safar Hai Kitni Der;
Charaag Hum Kisi Sham -e-Zawal Hi Ke To Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zoph Aata Hai Dil Ko Thaam To Lo;
Boliyo Mat Magar Salaam To Lo;

Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo;
Haath Se Mere Ek Jaam To Lo;

Inhin Baaton Pe Lautata Hun Main;
Gaali Phir De Ke Mera Naam To Lo;

Ek Nigaah Par Bike Hain 'Insha' Aaj;
Muft Mein Mol Ek Gulam To Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain;
Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain;

Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain;
Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain;

Main Shah Reh Nahin, Raste Ka Pathar Hun;
Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain;

Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aankhein Hun;
Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain;

Ye Ek Ped Hai, Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum;
Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain;

Kai Sitaron Ko Main Janata Hun Bachpan Se;
Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-Hawasi Ka;
Ki Dhyan Hi Na Raha Gham Kee Be-Libasi Ka;

Chamak Uthe Hain Jo Dil Ke Kalas Yahan Se Abhi;
Guzar Hua Hai Khayalon Kee Dev-Dasi Ka;

Guzar Na Jaa Yun Hi Rukh Pher Kar Salaam To Le;
Humein To Der Se Daawa Hai Roo-Shanasi Ka;

Khuda Ko Maan Ki Tujh Lab Ke Choomane Ke Siva;
Koi Ilaaj Nahi Aaj Kee Udasi Ka;

Gire Pade Hue Patton Mein Shehar Dhoodhta Hai;
Ajeeb Taur Hai Iss Junglon Ke Baasi Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua;
Iss Dil Kee Jheel See Aankhon Mein Ek Khwab Bahut Barbad Hua;

Ye Hijr-Hawa Bhi Dushman Hai Iss Naam Ke Saare Rangon Kee;
Wo Naam Jo Mere Honthon Pe Khushbu Kee Tarah Aabad Hua;

Us Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye;
Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hua;

Wo Apne Ganv Kee Galiyan Thi Dil Jin Mein Nachta Gata Tha;
Ab Iss Se Fark Nahi Padta Nashaad Hua Ya Shaad Hua;

Benaam Sataish Rehti Thi In Gehri Sanwali Aankhon Mein;
Aisa To Kabhi Socha Bhi Na Tha Ab Jitna Bedad Hua!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah;
Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah;

Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange;
Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah;

Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke;
Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah;

Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De;
Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

Sharafaton Kee Yahan Koi Ahemiyat Hi Nahi; Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai;

Zameen Kee Kaise Viqaalat Ho Phir Nahi Chalti;
Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai;

Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni Si Baatein Hon;
Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai;
Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai;

Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye;
Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai;

Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De;
Ab Chorr Di To Kyon Tera Chehra Malool Hai;

Ai Maan Yeh Meri Shohratein Meri Yeh Izatein;
Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai;

Aayi Jo Teri Yaad To Aankhein Baras Padi;
Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai;

Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane 'Wasi';
Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Seh Nahi Sakte;
Hum Ek Shehar Mein Ab Khush Bhi Reh Nahi Sakte;

Yeh Roz-o-Shab Hain Hamare Ki Ek Dusre Se;
Chupaye Phirte Hain Ahwaal, Keh Nahi Sakte;

Shakist-e-Zaat Ka Izhaar Chahte Bhi Nahin;
Ajeeb Haal Hai, Hum Chup Bhi Reh Nahi Sakte;

Haqeeqton Kee Chattane Bhi Apni Raah Mein Hain;
Khayal-o-Khwab Ke Dariya Mein Beh Nahi Sakte;

Woh Be-Kasoor Hai, Aisi Bhi Koi Baat Nahin;
Kasoor-waar Hain Hum, Yeh Bhi Keh Nahin Saktey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh Fasana Nahi Ki Tujh Se Kahen;
Dil Bhi Maana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab;
Khud Bhi Jana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Betarah Haal-e-Dil Hai Aur Tujh Se;
Dostana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar;
Ab Zamana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Qaasid! Hum Faqeer Logo Ka;
Ek Thikana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

Ai Khudaa Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost;
Aab-O-Dana Nahn Ki Tujh Se Kahen;

Ab To Apna Bhi Us Gali Mein 'Faraz';
Aana Jana Nahi Ke Tujh Se Kahen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na Ruswa Kiya Geya;
Gairon Ka Naam Mere Lahoo Se Likha Geyaa;

Nikla Tha Main Sada-e-Jaras Kee Talash Mein;
Bhule Se Iss Sukoot Ke Sehra Mein Aa Geya;

Kyon Aaj Us Ka Zikr Mujhe Khush Na Kar Saka;
Kyon Aaj Us Ka Naam Mera Dil Dukha Geya;

Iss Hadse Ko Sun Ke Karega Yakeen Koi;
Suraj Ko Ek Jhonka Hawa Ka Bujha Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Phool The Rang The Lamhon Kee Sabahat Hum The;
Aise Zinda The Ki Jeene Kee Alamat Hum The;

Sab Khirad-Mand Bane Phirte The Masha-Allah;
Bas Tere Shehar Mein Ik Sahib-e-Vehshat Hum The;

Naam Bakhsha Hai Tujhe Kis Ke Wufoor-e-Gham Ne;
Gar Koi Tha To Tere Mujrim-e-Shohrat Hum The;

Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko;
Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The;

Dhoop Ke Dasht Mein Kitna Wo Humein Dhundhta Tha;
'Aitabar' Us Ke Liye Abr Kee Soorat Hum The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Dastan Kiye Hue;
Zamana Ho Geya Hai Un Ko Mehaman Kiye Hue;

Suroor-e-Aish Talkhi-e-Hayat Ne Bhula Diya;
Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jaan Kiye Hue;

Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Wo Aayenge;
Wo Aayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue;

Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Un Se Maang Loon;
Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Bekaran Kiye Hue;

Wo Aayenge To Aayenge Junoon-e-Shauq Ubharne;
Wo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue;

Main Un Kee Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon;
Ki Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Badguman Kiye Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maine Kab Chaha Ki Main Us Kee Tamana Ho Jaoon;
Ye Bhee Kya Kam Hai Agar Us Ko Gawara Ho Jaoon;

Mujh Ko Unchai Se Girana Bhee Hai Manzoor, Agar;
Us Kee Palkon Se Jo Toote, Wo Sitara Ho Jaoon;

Lekar Ik Azm Uthun Roz Nayi Bheed Ke Sath;
Phir Wahei Bheed Chhate Aur Main Tanha Ho Jaoon;

Jab Talak Mahve-Nazar Hun, Main Tamashayi Hun;
Tuk Nigahein Jo Hata Loon To Tamasha Ho Jaoon;

Main Wo Bekar Sa Pal Hun, Na Koi Shabd, Na Sur;
Wo Agar Mujh Ko Rachale To Hamesha Ho Jaoon;

Aagahi Mera Marz Bhi Hai, Mudawa Bhi Hai 'Saaz';
Jis Se Marta Hun, Usee Zehar Se Achha Ho Jaoon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;

Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;

Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;

Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;

Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha;
Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha;

Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz;
Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha;

Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga;
Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha;

Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna;
Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha;

Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain;
Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya;
Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya;

Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega;
Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya;

Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye;
Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya;

Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi;
Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho Geya;

Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah;
Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya;

Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka;
Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain;
Jaise Bichhade Hue Kabe Mein Sanam Aate Hain;

Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Tare Roshan;
Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain;

Raqs-e-May Tez Karo, Saaz Kee Lai Tez Karo;
Su-e-Maikhana Safiraan-e-Haram Aate Hain;

Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag;
Woh To Jab Aate Hain Mail-ba-Karam Aate Hain;

Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho;
Dil Bhi Kam Dukhata Hai Woh Yaad Bhi Kam Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe;
Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe;

Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth;
Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe;

Rooh Phoonkega Mohabbat Kee Mere Paikar Mein Woh;
Phir Woh Apne Samne Be-Jaan Kar Dega Mujhe;

Khwahishon Ka Khoon Bahega Sar-e-Bazar-e-Shauq;
Aur Mukammal Be-e-Sar-o-Saman Kar Dega Mujhe;

Munahadim Kar Dega Aa Kar Sari Tameeraat-e-Dil;
Dekhte Hee Dekhte Veeran Kar Dega Mujhe;

Ek Naa-Maujudgi Reh Jayegi Charon Taraf;
Rafta Rafta Iss Qadar Sunsaan Kar Dega Mujhe;

Ya To Mujh Se Woh Chuda Dega Ghazal-Goyi 'Zafar'
Ya Kisi Din Sahab-e-Deevaan Kar Degaa Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak;

Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab;
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak;

Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak;

Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj;
Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein;

Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karein;
Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek Jaam Khankta Jaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;
Ek Hoshruba Inaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Wo Dekh Sitaron Ke Moti Har Aan Bikhrte Jaate Hain;
Aflaak Pe Hai Kohram, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Yeh Waqt Nahi Hai Baaton Ka Palkon Ke Saaye Kaam Mein La;
Ilham Koi Ilham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Madhoshi Mein Ehsas Ki Unche Jeene Se Gir Jaane De;
Iss Waqt Na Mujh Ko Tham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;

Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;

Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;

Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;

Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega;
Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega;

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai;
Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega;

Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya;
Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega;

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto;
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega;

Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar;
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Teri Tarha Malal Mujhe Bhi Nahi Raha;
Ja Ab Tera Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Tu Ne Bhi Mausamon Kee Pazeerai Chhod Di;
Ab Shauq-e-Mah-e-Visaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Mera Jawab Kya Tha Tujhe Bhi Khabar Nahi;
Yaad Ab Tera Sawaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Jis Baat Ka Khayaal Na Tu Ne Kabhi Kiya;
Us Baat Ka Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

Toda Hai Tu Ne Jab Se Mere Dil Ka Aaina;
Andaza-e-Jamal Mujhe Bhi Nahi Raha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh De Kar Sawal Karte Ho;
Tum Bhi Ghalib Kamaal Karte Ho;

Dekh Kar Puch Liya Haal Mera;
Chalo Kuch To Khayaal Karte Ho;

Shehar-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi;
Ye Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho;

⧭⧭Marna Chahe To Mar Nahi Sakte;
Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho;

Ab Kis Kis Kee Misaal Dun Tumko;
Har Sitam Be-⧭⧭Misaal Karte Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬰⬰Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh Jayega;
Door Tak Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jayega;

Dard Kee Sari Tahe Aur Saare Guzre Hadse;
Sab Dhuan Ho Jayenge Ek Waakiya Reh Jayega;

Yun Bhi Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar;
Ye Bhi Hoga Khud Usi Mein Ek Khala Reh Jayega;

Dayre Insan Ke Inkar Ke Iqrar Kee Sargoshiya;
Ye Agar Kabhi Toote To Fasla Reh Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein;
Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein;

Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla;
Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein;

Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi;
Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein;

Ek Duniya Ka Qaseeda ⬱⬱⬱Tha Agarche Mere Naam;
Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein;

Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur;
Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shaan Se Pyaar Ka Izhar Karenge;
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge;

Dekh Ke Jalegi Duniya Saari;
Iss Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge;

Denge Salaami Sab Humko;
Jab Pyaar Ko Hum Bayaan Karenge;

Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam;
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge;

Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar;
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge;

Saaye Ki Tarah Tujhse Lipte Rahenge;
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shehar Mein Dhoond Raha Hun Ki Sahara De De;
Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kasa De De;

Pedh Sab Nange Faqiron Kee Tarah Sehme Hain;
Kis Se Ummeed Ye Kee Jaye Ki Saya De De;

Waqt Kee Sangjani Noch Gayi Sare Naqsh;
Ab Woh Aaina Kahan Jo Mera Chehra De De;

⧭⧭Dushmano Kee Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaye;
Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhokha De De;

Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaunga;
Meri Tanhayi Yahan Kuch Dino Pehra De De;

Jis Ne Katron Ko Bhi Mohtaz Kiya Mujh Ko;
Wo Josh Mein Agar Aa Jaye To Dariya De De;

⭌⭌Tum Ko 'Rahat' Kee Tabiyat Ka Nahi Andaza;
Woh Bhikari Hai Magar Maango To Duniya De De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
Sare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

Ishq Mashuq Ishq Aashiq Hai;
Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha;
Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

Koi Khwaahan Nahin Mohabbat Ka;
Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;

Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Humein Koi Gham Nahi Tha Gham-e-Aashiqui Se Pehle;
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle;

Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasur Iss Mein;
Tere Gham Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle;

Mera Pyaar Jal Raha Hai⧭ Ai Chand Aaj Chhup Jaa;
⬉⬉Kabhi Pyaar Tha Humein Bhi Teri Chandni Se Pehle;

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota;
Ki Hazaron Gham Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pehle;

🔝Ye Ajeeb Imtihan Ha🔝i Ki Tum Hi Ko Bhulana Hai;
Mile Kab The Iss Tarah Hum Tumhein Bedili Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment