- Fitana phir aj uthane ko hai sar lagata hai
- khoon hi khoon mujhe rang-e-sahar lagata hai
- man lun kaise ki main aib sarapa hun faqat
- mere ahabab ka ye husn-e-nazar lagata hai
- kal jise phunka tha ye kah ki ki dushman ka hai ghar
- sochata hun to wo aj apana hi ghar lagata hai
- ehatiyatan koi dar phod lain divar mein ab
- shor badhata hua kuch janib-e-dar lagata hai
- ek daravaza hai har samt mein khulane ki liye
- hon na ho ye to mujhe shekh ka ghar lagata hai
- ---------------------------------------------------
- Shahid Ne Tuzhe Paigaam Likha H,
- Haal-E-Dil Tamaam Likha H,
- Mar-Mar K Jee Rahe Hai Tere Bin Hum To,
- Shab Se Sahar, Sahar Se Shaam Likha H,
- Khuda Kare Meri Tarah Kabhi Tu Na Tadpe,
- Isliye Apna Har Sukh Tere Naam Likha H,
- Jashan Mnata Hu Mai Har Gam Ka Unke Sath,
- Kismat Me Meri Jin Aansuo Ka Jaam Likha H,
- Or Alvida H Ab Tuzhse Meri Khush Rahna Apni Duniya Me,
- Mil Gyi H ‘Kumar’ Ko Bhi Manzil Bas Aakhir Me Tujhe Salaam Likha H.
- ---------------------------------------------------
- Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta hai
- Kahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta hai
- Kuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai Woh
- Har ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Majmoo’n Likhta hai
- Lafzo ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta hai
- Siyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta hai
- Kashish Kyoun Naa ho Uski Daastaa’n-e-Dard Me yaaro
- jab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta hai
- Tahreerei’n Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre Par
- Khud Ko Dard Ki Mishaa’l aur kahin Majboor Likhta hai...
- ---------------------------------------------------
- Ajeeb Ladka Hoon Khud Ko Jalaana Chahta Hoon,
- Main Khud Ko Rakh Kar Kahi Bhool Jana Chahta Hoon,
- Mere Naseeb Ki Khushiya Bhi Kab Mili Mujhko,
- Bas Ab To Umar Bhar Aansoo Bahana Chahta Hoon,
- Najaane Kitni Mohabbat Hai Ranj-O-Ghum Se Mujhe,
- Koi Bhi Dard Ho Dil Mein Chhupana Chahta Hoon,
- Baha Baha Ke Ye Aasnoo Bikhar Chuka Hoon Bahut,
- Simat Ke Zaat Mein Ab Muskurana Chahta Hoon,
- Jise Ek Umar Dil Mein Chhupa Ke Rakha Hai,
- Wo Raaz Aaj Main Sabko Batana Chahtaa Hoon,
- Wahi Hai Yaad Jo Achcha Kaha Hai Logo Ne,
- Baki Saare Sitam Bhool Jana Chahta Hoon,
- Mujhe Zamane Ne Pathar Samjh Liya Hai Magar,
- Main Ek Ladka Hoon Sabko Batana Chahta Hoon,
- Jo Mujhse Rooth Chuki Hai Zamane Ki Khushiyaa,
- To Main Bhi Un Khushiyo Se Rooth Jaana Chahta Hoon,
- Koi To Ho Jo Lagaye Mujhe Seene Se,
- Kisi Ko Main Bhi Apne Gum Sunana Chahta Hoon,
- Tu Apne Dil Ke Har Ek Dar Ko Khol De,
- Main Dard Bankar Tere Dil Mein Aana Chahta Hoon..!!!
- ---------------------------------------------------
- Apne khwabo ki tabir ki khatir
- Meri chhota sa sansar kyon ujar dala
- Yad kar wo din ek isara par maine
- Bhari mahfil main tujhe apni dulhan bana dala
- Par thodi si gurbat ko dekh kar tum ne
- Mujhe beijjat aur badnam kar dala
- Maine hamesha tujhe pyar kiya hai
- Par tune khun ke aansu rula dala
- Tumhe rutha hua mahboob samjha tha main
- Par tune mujh se bewafai kar dala..
- ---------------------------------------------------
- Chup hai har waqt ka rone waala;
- kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
- ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
- sakht-jaan… kitna hai rone waala.
- aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
- haar phoolon ke pirone waala.
- kho gayaa dard ki tasweeron mein;
- pyaar ke rang bhigone waala.
- fasl ashqon ki ug aayee kaise;
- kyaa kahe …kahkahe bone waala.
- baant-ta firta hai auron ko hansee;
- khud
- ---------------------------------------------------
- Hum tu tere dil ki mehfil sajany aay the
- Tere kasam tujhy apna banany aay the
- Kis baat ki saza di tony hum ko bewafa
- Hum tu tere dard ko apna banany aay the.
- ---------------------------------------------------
- Tum kis se wafa ki umeed kar rahay thy
- Ye to woh shaks hy
- Jo apni ghalti ki wajha bhi
- Tumhen kehta hy.
- ---------------------------------------------------
- Toot jata hai bikhar jata hai,
- Kaanch k ghar me muqaddar apne,
- Ajnabi tou sada pyar se milty hain,
- Bhool tou jaty hain aksar apne..
- ---------------------------------------------------
- Wada hum nai kya tha nibhaney k liye
- Ek dil dia tha ek dil pane k liye
- Unho ne mohabbat sikha di or kaha.
- Hum nai tou mohabbat ki thi tumhe azmaney k liye!
- ---------------------------------------------------
- Tere khuwabon ki dunia or main tanha!
- Raat, samandar, chand, hawa or main tanha!
- Koi to kash mera bhi gham saaz baney!
- Mujh se sare log khafa or main tanha.
- ---------------------------------------------------
- Datey hain kyun ye Dard bas hami ko,
- Kya Samjhen ge wo in Aankho ki nami ko,
- Lakhon Deewane hon jis Chand k,
- Wo kya Mehsus karen ge Ek Mri Kami ko..
- ---------------------------------------------------
- Apni zindagi ke har lamhe ko tera mohtaj kar liya hai
- azadi nahi milte meri rooh ko
- jab tak tere har ang ke tadap mere ander baqi hai
- tere tasveer ko dosron ke nazar se dekho ye meri majal nahi
- dua mangta hu mera pyar tere liye meri sooch se zyada wasee ho
- har noor ka shukar guzar ho jisne tujhe roshan kiya mere liya ,
- wajood main lane ke liye us noor se naraz raha
- jis ne tere wajood ko zahir kiya mere liye magar dusron ke noor se anjan rakha.
- ---------------------------------------------------
- Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
- mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
- jab aai mout apni to usse raha na gaya,
- aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya
- Dard ko jaaan sake aisa koi insaan nahi mila hume is dunia se,
- jo humne pura na kia ho aisa koi armaan nahi mila hume is dunia se,
- saath de sakte the unki khusi ka unki mahfil me hum,
- unki mahfil ka bhi waqt tha tab jab hume jaana tha is dunia se..
- ---------------------------------------------------
- Bighi Palkon Tale Hum Ne Chupae Ansoo,
- Hasna Chaha Maghar Ankh Me Ae Ansoo,
- Tum Ko Malum Shaed Ho K Na Ho,
- Tere Jane Pe Bhohat Hum Ne Bahae Ansoo,
- Pyar Ik Khel Kaha Tha Ke Tamasha Karte,
- Hum Ne Yeh Soch Ke Khud Se Bhi Chupae Ansoo,
- Jo Tere Sangh Bite The Vo Din Yaad Bhohat Ae,
- Hum Ne Injame Muhabat Pe Bahae Ansoo,
- Tu Sada Khush Rahe,
- Teri Ankh Me Kabhi Ek Bhi Na Ae Ansoo..
- ---------------------------------------------------
- Jab Se Hui Hai Shaadi
- Aansoo Baha Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon
- Biwi Mili Hai Aisi
- Vo Kaam Kya Karegi
- Khud Lux Mein Naha Kar
- Khushbu Mein Tar Rehegi
- Tukde Bache Hue Hain
- Unse Naha Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon
- Barah Baje Ghadi Mein
- Madam Ji So Rahi Hain
- Bacho Ki Fauj Aake
- Meri Jaan Ko Ro Rahi Hai
- Bacho Ke Saath Baitha
- Khana Paka Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon
- Soyi Hai Vo Palang Par
- Sar Dard Ke Bahane
- Kis Ki Majaal Hai Jo
- Jaaye Use Uthane
- Yaaro Bura Na Mano
- Mein Sar Daba Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon
- Duniya Ko Yeh Pata Hai
- Begum Ka Hoon Mein Shohar
- Is Ghar Ka Mein Tha Malik
- Ab Ban Gaya Hoon Naukar
- Bistar Laga Raha Hoon
- Chadar Bicha Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon
- Jab Se Hui Hai Shaadi
- Aansoo Baha Raha Hoon
- Aafat Gale Padi Hai
- Usko Nibha Raha Hoon.
- ---------------------------------------------------
- Haalat E Ghamo Ka Afsana Kaha Hai
- Mere Dil Ke Dard Ki Davaa Kaha Hai
- Bahut Zakhm Khaaye Hai Maine Zindagi Se
- Ab Kya Jeeye Masroor Mere Maut Ka Samaan Kaha Hai
- Roz Woh Hi Mulaqaate Bhi Achhi Nahin Lagti
- Koi Nayi Tasveer Ka Aaina Kaha Hai
- Sooraj Roz Dhalta Hai Apne Waqt Par
- Mere Chand Ka Ghar Kaha Hai
- Nikal Padta Hoon Bheed Mein Sabhi Ke Saath
- Aakhir Main Mera Raasta Kaha Hai
- ---------------------------------------------------
- Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
- K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai
- Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
- Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai
- Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
- Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai
- Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
- Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai
- Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
- Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai
- Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
- Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai
- Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
- Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai
- Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
- Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai…….
- ---------------------------------------------------
- Yaadon mai hum rahe ye ehsaas rakhna
- Nazro se dur par dil ke paas rakhna
- Ye nahi kehte ki sath raho
- Dur hi sahi par hume yaad rakhna..
- ---------------------------------------------------
- Aankho mai arman diya karate hai ;
- Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
- Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
- Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :
- ---------------------------------------------------
- Yaad Aye toa Ankhey band mat karna
- Hum chale bi jaye to gham mat karna
- Yeh zaruri nahi ki har rishtey ka koi naam ho
- Par pyar ka ehsaas apne dil se kam mat karna.
- ---------------------------------------------------
- Kisi ke bicharne ka dard saha nahi jata
- Usi bhola ni par bhi bhulaya nahi jata …..
- Yi ek dard hi aisa hi yaaro
- Jo ki chah kar bhi kisi ko bataya nahi jata…..
- ---------------------------------------------------
- Khud ko akelepan ka tana dia na karo,
- Yadoan ka gila shikwa bhi na dia karo,
- Kya bataye tumko kitna yaad karte hai,
- Hissab lagana hai to apni saanse gin liya karo…
- ---------------------------------------------------
- Har nakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
- Har nah ka matlab innkar nahi hota,
- Aree kya hua hum usse pa na sake yaaro,
- Sirf pane ka matlab pyar nahi hota………
- ---------------------------------------------------
- Aap se dur ho kar hum jayenge kaha,
- Aap jaisa dost hum payenge kaha,
- Dil ko kaise bhi sambal lenge,
- Par ankhon ke aansu hum chupayege kaha
- ---------------------------------------------------
- Khud ko akele ka tana na dia karo,
- Yadoon ka gila shikwa bhi na kia karo,
- Kya btaien tumko kitna karte hai yaad,
- Hisab lagana ho toa apni sansien gin lia karo
- ---------------------------------------------------
- Tumhi ko dil diya,tumhi ko jaan denge,
- Kabhi mujhse yeh kaha karte thy,
- Inhi baaton ke sahare tumhara intezar kara..
- Inhi yaadon mein apni zindagi bita denge…
- ---------------------------------------------------
- Tere shaher ka mousam bada suhana laga,
- Ek shaam chura lu agar bura na lage
- Tere bass main hai to tu bhool ja mujhe
- Tujhe bhulane me mujhe shayad zamana lage.
- ---------------------------------------------------
- Un Logo Ka Kya Hua Hoga,
- Jinko Meri Tarha Gum Ne Mara Hoga,
- Kinare Par Khade Log Kya Jane,
- Dubne Wale Ne Kin-Kin Ko Pukara Hoga..!
- ---------------------------------------------------
- kash woh nagme sunaye na hote
- aaj unko sunkar ye aansu aye na hote
- agar is tarha bhool jana hi tha to
- itni geherai se dil main samaye na hote..
- ---------------------------------------------------
- Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
- Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai…
- Use paana nahi meri taqdeer mein shayad,
- Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai…
- ---------------------------------------------------
- Us ajnabi ka youn na intezaar karo
- Is aashiq dil ka na aitbaar karo
- Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
- Itna kabhi na kisi se pyaar karo.
- ---------------------------------------------------
- Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
- Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
- Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
- Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.
- ---------------------------------------------------
- Jab Dil Ki Dharkan Rooti Hai
- Jab Dour Kahin Sannaatay Main
- Ek Chap Si Koi Hoti Hai
- Jab Man Main Ansoo Girtay Hai
- Dukh Hastay Hai Dukh Hastay Hai
- Jab Dour Koi Koyal Bolay
- Jab Baphri Moujain Mil Jain
- Jab Pair Say Patta Gir Jayay
- Jab Man Hi Man Main Aksar Hum
- Subah Sham Sulagtay Hai
- Dukh Hastay Hai Dukh Hastay Hai
- Jab Raat K Saayay Dhaltay Hai
- Jab Panchi Pankh Andhairay Hi
- Gher Lout Kay Ayay Kertay Hai
- Phir Hum Jaisay Deewanay Log
- Prem Ki Aag Main Jaltay Hai
- Dukh Hastay Hai Dukh Hastay Hai
- Jab Takiya Aksar Ratoun Ko
- Razoo Ka Bouj Uthata Hai
- Jab Bichray Waqt Ka Raz Sama
- Ankhon Ka Bouj Ghatata Hai
- Jab Lab Apas Main Miltay Hai
- Dukh Hastay Hai Dukh Hastay Hai
- ---------------------------------------------------
- Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
- bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai
- NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
- Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai
- Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
- phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
- Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda” sa lagta hai
- koi jab do dilo ke darmian nahin doori
- jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai.
- ---------------------------------------------------
- baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
- ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye
- dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
- dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
- ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
- is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye
- Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
- jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye
- jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
- apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye.
- ---------------------------------------------------
- Hai khata meri mohababat sanam tumse kar baithe
- Dil tumse lagakar rote hain hai ye kya kar baithe
- Auro ka gila kya jab apne hame barbad kar baithe hain
- Pagal to diwane hote hain, ham hosh mai diwane ban baithe
- Jite hain unki mohababat mai, isiliye har sitam sah baithe
- Mohababat ki meri kadar na ki, aur ruswa hame kar baithe
- Ehsas jab hoga pachhtaoge, dhundhoge hame par na paoge
- Bhul pe apni nada honge, ki hai ye kya kar baithe
- Par jakham tera to tabij bana kar gale laga baithe
- Pathar ho tum, ham ‘Avinash’ jo har dard bhula baithe..
- ---------------------------------------------------
- Hothon Pe Hasi Dekh Li,Dil Ke Andar Nahi Dekha,
- Yaaro Ne Mere Gam Ka Samundar Nahi Dekha,
- Kitni Haseen Hai Duniya Ye Dekha,
- Hai Apne Mar Mar Ke Jeenewalo Ka Manzar Nahi Dekha,
- Sheeshe Ka Makaan Tumne Bana To Liya Ae Dost,
- Lekin Waqt Ke Haath Ka Pathar Nahi Dekha,
- Rishto Ke Tootne Ka Dard Aap Kya Samjhe,
- Vo Lamha Kabhi Aapne Jee Kar Nahi Dekha,
- Bhatke Roshni Ki Talaash Mein Na Jaane,
- Kaha Kaha Afsos Ki Apni Rooh Ke Andar Nahi Dekha…!!!
- ---------------------------------------------------
- Tum Nay Morjhay Hoay Phool Kabhi Daykhay Hain ?
- Dil Ki Qabron Pay Paray ……
- Hejar Ki Lash Ki Ankhon Pay Dharay
- Tum Nay Uktay Hoay Khwab Kabhi Daykhay Hain ?
- Dard Ki Palkon Say Laptay Hoay
- Ghabray Hoay
- Tum Nay Baychain Duayan Kabhi Daykhi Hain ?
- Mohobbat Kay Kenaron Pay Bhatkti Pherti
- Tumnay Kabhi Dykha Hay Mujhay ?
- Kia Kabhi Daykha Hay Mujhay ?
- ---------------------------------------------------
- Shab-E-Hizr Ka Jhagda Kya Batain Saheb
- Bas Kaam Aa Gayee Apki Duaien Saheb
- Diwaar Zindgi Ki Uski Yadon Pe Tiki Hai
- Bhool Ke Din Raat Ki Eentein Kyu Girayen Sahib
- Mai.N Hosh Mai Hi Nahi Hun Mujhse Na Poocho
- Dil Hoga Yahi Kahin Dayein-Bayein Saheb
- Dikhne Laga Ab Mujhe Pariyon Ka Huzoom
- Aap Aage Se Mere Botal Na Hatayein Saheb
- Jo Zahar Zindgi Mout Tak Asaan Kare
- Sagar Nahi To Chullu Main Hi Pilayen Saheb
- Na Murge,Na Suraj Na Aarti Apni Sahar
- Utha De Jab Kowey Karne Lage Kayen Kayen Saheb
- Hindu Mulla Ki Dunia Se Nikala Ja Chuka
- Aap ‘Janumanu’ Pe Ye Tohmat Na Lagayen Saheb
- ---------------------------------------------------
- Dard Ka Rista Kaise Banaye Yaroo
- Apna Dard Kisi Aur Ko Q Dekhaye Yaroo
- Kuch Keh Ke Bhi Nahi Bataya Kabhi
- Aus Baat Ko Kaise Kahein Bataoo Yaroo
- Zakham Apna Payara Hai Mujhe Logo
- Q Marham Hum Lagayein Bataoo Yaroo
- Jis Ka Muntazir Thha Woh Na Aaya Kabhi
- Aus Ka Deed Kaise Kare Batoo Yaroo
- Jin Ke Intizar Mein Pathra Gayi Ankhein Meri
- Kaise Ashkh In Ankhoo Mein Aaye Batoo Yaroo
- ---------------------------------------------------
- Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
- teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
- jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
- apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
- har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
- teri chaahat mein to umr bita li meine,
- mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
- waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
- ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
- teri yaadon se har ek saans saja li meine,
- jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
- bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine…
- ---------------------------------------------------
- Jo Na-Mumkin Hai Chaahta Kyun Hoon
- Tujhse Hi Tujhko Maangta Kyun Hoon
- Koi Mujhpe Bhi Jaan Nisaar Kare
- Aise Armaan Paalta Kyun Hoon
- Dil Toh Veeraan Hai Ek Zamaane Se
- Aaj Bhi Issme Jhaankta Kyun Hoon
- Apni Tanhayee Se Gale Lag Kar
- Raat Aankhon Me Kaat-Ta Kyun Hoon
- Zikr Kaanton Ka Hai Kubool Mujhe
- Baat Phoolon Ki Taalta Kyun Hoon
- Kar Ke Taqseem Sab Me Khushiyon Ko
- Sare Gham Khud Sanbhal-Ta Kyun Hoon
- ---------------------------------------------------
- Yaad Tumhari
- Yaad tumhari bahut aati hai,
- Mere dil ki bechaini ko badhati hai.
- Ek pal bhi bhool na paun tujhe mein,
- Ab to hawayen bhe teri kahani sunati hai.
- Har pal mere sath rahti ho,
- Mere har khwab tum sajati ho.
- Akele me izhaar karti ho mohbbat ka,
- Par duniya se na jane kyon chhupati ho.
- Jahan dekhun vahan tera hi aksh milta hai,
- Har par saaya tera sath mere chalta hai.
- Ek pal bhi bhool na paun tujhe mein,
- Ab to hawayen bhe teri kahani sunati hai.
- ---------------------------------------------------
- Jahan Se Bhaaag Kar Khud Se Yaari Kar Baithe
- Goya Poori Barbadi Ki Tyaari Kar Baithe
- Mayusi Ki Raahon Par Dhhakela Tha Jisne
- Khushiyun Me Apni Usse Hissedari Kar Baithe
- Hasne Ka Sahara Ye Umr Hi Bachi Hai Hamari
- Kamsin Si Umr Me Khuloos Se Pardadari Kar Baithe
- Mahfil Me Unki Bulaya Tak Na Gaye The
- Uspe Unke Sitamo Par Shayri Kar Baithe
- Ghamzadon Se Kinara Karke Kaun Khush Nahi Hota
- Unhe Tanha Dekh Kar Ghamo Se Haami Kar Baithe
- Vo Baazi Jis Par Sab Logon Ki Aas Thi
- Jeeti Usi Baazi Ko Jaankar Haari Kar Baithe
- Pahunch Gaye Hum Jahan Muqarrar Unki Sunwai Thi
- Unke Gunaho Me Bhaagedari Unke Saath Ki Khatir Kar Baithe
- Is Kadar Karz-e-hsaas Me The Vo “Kaash“
- Himaqaton Ko Hamari Pasand Vo Saari Kar Baithe…
- ---------------------------------------------------
- Ek bewafa ki yaad mujhko pal pal aa rahi hai
- Aankho me meri anshu hai aur jaan ja rahi hai
- Mukho to mile hai sirf dard aur aanshu
- uski har kasam ab mujhko yaaar aa rahi hai
- Teh waqt ki hai bandish ta kismat me likh hai
- Tqdeer meri ban ban ke palti ja rahi hai
- Kahin mahfile sajti kahin khusiyon ke hai nagme
- Gairon ke sath wo bewafa khusiyan mana rahi hai
- Milke juda hona yeh ab kissa hai purana
- Iss bedard zamane me wafa bikti ja rahi hai
- Mujhko mila hai dard kitna kisko hai pata ?
- Iss dard ki dil me ab jalti ja rahi hai
- Jo gam sahe hai maine ab kitne sah rahe hai
- “SAGAR” ki har gazal aaj rang la rahi hai.
- ---------------------------------------------------
- ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain.
- gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain.
- tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya .
- intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain.
- pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi.
- ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain.
- dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya..
- is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain.
- kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka.
- mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain.
- pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par.
- abto tere bin meri raatein katne lagi hain..
- ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..
- ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain...
- ---------------------------------------------------
- Agar Dil Tera Karey To, Mujh Gareeb Se Mil Lena
- Roz Door Se Dekhtey Ho, Aaj Kareeb Se Mil Lena
- Aana Na Samne Mere, Ankh Teri Jo Bhar Aaye To
- Meri Razaa Jaan-ne Ko Mere Tabeeb Se Mil Lena
- Zakhm Gehra Hai Itna Kyun, Gar Sawaal Ho Dil Me
- Teri Yaad Se Jo Surkh Hui Us Saleeb Se Mil Lena
- Hain Dost Bahut Kam Meri Jubaani Kehne Waale
- Par Tum Udaas Na Hona Mere Raqeeb Se Mil Lena
- Tadap Raha Hai Arse Se Tere Deedaar Ko
- Bus Aakhri Baar Tum Us Bad-Naseeb Se Mil Lena...
- ---------------------------------------------------
- Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
- anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
- milne ki khushi de ya na de
- bichhadne ka gam zarur de jate hain.
- ---------------------------------------------------
- kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
- kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
- todne wale ke haath par zakhm to aaya hota.
- ---------------------------------------------------
- Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
- kitna benoor hai sapna haqeeqat ke aage,
- koi ruki hui dhadkan se pooche ,
- kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage.
- ---------------------------------------------------
- Jina chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
- marna chate hai magar maut pass nahi aati,
- bahut udas si hai zindagi,
- unki yaadein bhi tadpaane se baz nahi aati.
- ---------------------------------------------------
- raaton mein saara jahan sota hai,
- lekin kisi ki yaadon mein koi badnaseeb rota hai,
- khuda kisi ko kisi pe fida na kare,
- agar kare to kayamat tak juda na kare.
- ---------------------------------------------------
- Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Ker Lein,
- Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Ker Lein,
- Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !
- Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,
- Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !
- Hamsafar Koi To Ho. Waqt Ke Veeraane Mein ,
- Hamsafar Koi To Ho. Waqt Ke Veeraane Mein ,
- Sooni Aankho Mein
- Sooni Aankho Mein, Koi Khwaab Sajaya Jaaye !
- Ghar Se Maszid Hai Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,
- Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye
- Roshni Kii Bhii. Hifaazat Hai , Ibaadat Kii Tareh
- Roshni Kii Bhii. Hifaazat Hai , Ibaadat Kii Tareh
- Bujhte Suraj Se
- Bujhte Suraj Se , Charaago.N Ko Jalaya Jaaye !
- Ghar Se Maszid Hain Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,
- Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !
- Gam Akela Ho To , Saanso.N Ko Sataata Hain Bahut ,
- Gam Akela Ho To , Saanso.N Ko Sataata Hain Bahut ,
- Dard Ko Dard Ka
- Dard Ko Dard Kaa, Hamdard Banaya Jaaye !
- Ghar Se Maszid Hai Bahut Door, Chalo Yu Kar Lein,
- Kisi Rote Huye Bachhe Ko, Hansaya Jaaye !
- ---------------------------------------------------
- Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
- Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
- Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
- Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
- Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
- Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
- Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
- Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye.
- Woh roye to muh mod ke roye,
- Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
- Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
- Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.
- Unhone dekha aur aansu ghir pade,
- bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
- dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
- dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…
- Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
- Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
- MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
- Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
- Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
- Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
- Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
- Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.
- Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
- Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
- Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
- Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.
- Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
- Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
- Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
- Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota .
- ---------------------------------------------------
- Dukh Dard Ke Maaro Se Mera Zikar Na Karna,
- Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Woh Zabt Na Kar Payenge Aankhon Ke Samundar,
- Tum Raah Guzaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se,
- Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhaye,
- Ab Chaand Sitaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Woh Meri Kahani Ko Galat Rang Na De De,
- Afsaana Nigaaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Shayad Woh Mere Haal Pe Besakhta Rode,
- Is Baar Baharon Se Mera Zikar Na Karna,
- Le Jayenge Gehrayi Mein Tumko Bhi Baha Kar,
- Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikar Na Karna,
- Woh Shakhs Mile To Use Har Baat Batana,
- Tum Sirf Isharon Se Mera Zikar Na Karna..!!!
- ---------------------------------------------------
- Dil Se..
- Mohabbat ka ajeeb karobaar hum ne kiya,
- Woh be wafa sehi magar pyaar hum ne kiya,
- agar woh chor gya to mat keho bura us ko,
- Qasoor uska nhe “Aitebaar” hum ne kiya !
- ---------------------------------------------------
- Unhe to fursat nahi hume yaad karne ki
- humara waqt guzarta hai unki fariyad karke
- wo aaye mere lash pe to kehna
- abhi soya hai tujhe yaad karke !
- ---------------------------------------------------
- Pal bhar mein tut jaye wo kasam nahi,
- ishq ko bhool jaye wo hum nahi,
- tum bewafa bano is baat mein dam nahi,
- kyunki hamari wafa bhi kuchh kam nahi.
- ---------------------------------------------------
- Chahte the jinhe unke dil badal gaye
- samandar gehre the sahil badal gaye
- Katal aisa hua tukdo me mera
- kabhi badle khanzar to kabhi katil badal gaye.
- ---------------------------------------------------
- hum uski yaad mai barso rote rahe
- Bewafa wo nikle badnam hum hote rahe..
- pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye,
- dhul chehre pe thi aur hum aaina dhote rahe.
- ---------------------------------------------------
- Gamo ki Barsaat Samete Huay Betha hu.
- Kisi Bewafa se Dhokha Khai Bhetha hu.
- Jane Kab Dega Uper wala Mot Mujh ko,
- Ab To bas Khuda ke Bharosay Aas lagay Betha hu.
- ---------------------------------------------------
- Unko Apne Haal ka Hisaab Kya Dete?
- Sawal Saare Galat The, Hum Jawab Kya Dete?
- Wo Toh Lafzo Ki Hifazat Bhi Naa Kr Sake.
- Phr Unke Hath Mein Zndgi Ki Puri Kitaab Kya Dete???
- ---------------------------------------------------
- Raha jo dil mein dhadkan ban ke
- bichda mujhse vo bewafa ban ke
- na ummid rahi jeene ki ab ae dosto
- milli hamein dava bhi ek sazaa ban ke.
- ---------------------------------------------------
- aub toh gham sehne ki aadat si ho gayi hai
- raat ko chhup chhup rone ki aadat si ho gayi hai
- tu Bewafa hai….khel mere dil se ji bhar ke
- hamein toh ab chot khaane ki aadat si ho gayi hai.
- ---------------------------------------------------
- Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
- Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
- Khud hi kar li bewafai humne,
- taaki unpar koi ilzaam na aaye.
- Dosto aap ke bahut saare emails mil rahe hai shukriya ummid hai or bhi aisa hi pyaar dete rahoge email ke jariye.
- ---------------------------------------------------
- Sad Hindi Poetry on Dardey Ishq
- Bichrey To Dardey Ishq Ka Chara Na Kar Sake
- Yoon Tarqe Aashiqi Bhi Gawara Na Kar Sake
- Verna Vo Intezaar Me Sadiyaa Guzartey
- Hum Hi Chale To Unko Ishara Na Kar Sake
- Jo Aatishi Parasti They Vo Bhi Na Jaane Kyon
- Apne Hi Ghar Me Aag Gawaraa Na Kar Sake
- Usko Agar Thi Shehar Ki Gar Rounaqke Agar
- Tanhaiyon Se Hum Bhi Kinara Na Kar Sake
- Kuch Is Tarah Se Usne Bikhera Hume Yahan
- Hum Aur Zindagi Me Bharosa Na Kar Sake
- ---------------------------------------------------
- Manzil bhi ussi ke thi, raasta bhi ussi ka tha…
- Main sift ekela tha, baki sab kaarwa bhi ussin ka tha…
- Meri saath chalne ke soch bhi ussi kit hi, phir meri ko chdne ka faisla bhi ussi ka tha…
- Meri aankhoon main sapna bhi ussi ka tha, ab aansoo ka samandar bhi ussi ka ka hai,
- Mera dil agsar ab swaal karta hai mujse, ke sab kuch ussi ka tha per ….
- “kya kudha bhi ussi ka tha??
- ---------------------------------------------------
- Aapki surat mujhe sapne mai ek khilte hue phool ki tarah najar aati hai
- aapke sath bitaye hue har pal har lamha mujhe roj yad aata hai
- meri to duniya hi tumse thi phir kyu sath chod diya mera
- aapke har kadam mai sath dene wala dost bhi mai hi tha
- aapko khud se jyada pyar karne wala bhi mai hi tha
- jindgi mai khushi mangne se milti hai to mujhe nahi chahiye
- gum se bhi pyar karna sikh lenge
- pyar ka mtlb jis din smjh jaogi to yad kar kar ke pachtaogi tum
- dosti mai jan dene wala bhi koi koi milega
- aaj jinda hai hum to bat nahi karte tum
- ek din aisa bhi aayega jis din apne aap se bat karogi tum, farq itna hai
- kal hum nahi rahenge to awaj sunne ke liye bhi taras jaogi tum
- ---------------------------------------------------
- Mujhko ek bar aajmate to sahi;
- Wo meri bajm mein aate to sahi.
- Maine rakha tha sare sham se gher ko sajaker;
- Tumne rukte ek pal mager aate to sahi.
- Aapki khatir aapki khusiyon ki khatir;
- Khud bhi ho jata neelam batate to sahi.
- Yakeena aapke hisse mein raushani hoti;
- Shamme wafa dil mein ek bar jalate to sahi.
- Mai bhi insan hu patther nahi kyu thukraya ?
- Khud ho jata tukde tukde batate to sahi..
- ---------------------------------------------------
- Khwabon mai tum, jab bhi aate ho
- Hanste-hanste fir kyon chale jate ho
- Mai puchhta hoon tumse, kya kami hai mujhme
- Dilbar jo iss tarah mujhe satate ho
- Sanam, dil ka kya dhundhta hai dar-badar
- Tum to ujalon mai kahi najar na aate ho
- Milne ki koshish to karo khulush-e-yar
- Hansa kar fir iss tarah kyon mujhe rulate ho
- Roj-b-roj naye-naye rup khwabon mai
- Dekar tadap aur kashish badha jate ho
- Kyon wo iss tarah tumko karte hain ‘Avinash’
- Wo khud jagte hain aur tumhe jagate hain..
- ---------------------------------------------------
- Dosti Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai.
- Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai.
- Tumhe Yad Na Aayee Khair. Aana Meri Maut Par.
- Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.
- ---------------------------------------------------
- Lamha lamha intzar kiya us lamhe ke liye
- or woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,
- guzarish yehi hai khuda se ke kash woh
- lamha fir aye 1 lamhe ke liye .
- ---------------------------------------------------
- Mombati ke andar ka dhaga bola,
- mai jalta hu to tu kyu pigalti hai?
- Mombati boli, jisko dil me jagah di ho wo
- bichade to ansoon to niklte hai.
- ---------------------------------------------------
- Soch lene se pahley mein kar arz deta huin
- shayari me yaaron dil ke raaz khol deta huin
- kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
- mila mila kar kissey mein duniya ko bol deta hun..
- ---------------------------------------------------
- Tere bichadne ka dukh hum sah nahi sakte,
- bhari mahfil me kuch kah nahi sakte,
- hamare girte ansu pakad ke dekh,
- wo bhi kahenge hum tere bina reh nahi sakte.
- ---------------------------------------------------
- Kehteh Ho Ke Bahut Dur Chale Jaoge,
- Phir Na Kabhi Humko Yaad Aaoge,
- Kar Ke Dekhlo Her Mumkin Koshish,
- Rooh Ko Jism Se Dur Na Kar Paoge,
- Maana Aaj Saath Dena Hai Muskil,
- Magar Mera Saaya Toh Saath Paoge,
- Manzil Tum Bana Rahe Ho Kuch Alag Humse,
- Dekhna Hai Kitne Dur Akele Chal Paoge,
- Jab Bhi Honge Tanha Tum,
- Dil Ko Hamare Liye Bekarar Paoge,
- Kuch Lamho Ke Liye Shayad Ro Bhi Lo,
- Per Sukoon Phir Bhi Na Paoga,
- Her Zakhm Tumhara Hum Jhelenge,
- Per Chain Tum Bhi Na Paoge,
- Roye Hain Hum Kai Raaton Me,
- So Toh Tum Bhi Nahi Paoge,
- Todkar Dil Mera Tum Chal Toh Diye,
- Per Manzil Tum Na Paoge,
- Her Insaan Mere Janaaze Per Tumse Poochega,
- Magar Na Kuch Tum Keh Paoge,
- Magar Na Kuch Tum Keh Paoge.
- ---------------------------------------------------
- Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
- Lafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama Gaya
- Jo Nukta Sochta Raha Main Tamam Omar
- Lamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata Gaya
- Yun Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar Ne
- Bakhshi Qabooliat Dil-E-Be-Ikhteyaar Ne
- Sunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar Ne
- Woh Bandagi Ka Mujh Ko Saleeka Sikha Gaya
- Us Ka Khayal Subha Hai Us Ka Khayal Shaam
- Jaise Pila Gaya Woh Mujhe Chahaton Ka Jaam
- Matla Bhi Us Ke Naam Hai Maqta Bhi Us Ke Naam
- Deewaan-E-Shayri Mera Kuch Yun Saja Gaya
- Yun Haath Ki Lakeer Hina Ban Ke Chah Gayi
- Tasweer Us Ki Meri Haathaili Main Aa Gayi
- Khushbu Qaba Se Sari Fiza Main Sama Gayi
- Chashm-E-Ghazal Main Meri Kajal Laga Gaya
- Kar Ke Mere Wajood Ko Makhmoor Le Gaya
- Anjaan Raston Pe Mujhe Door Le Gaya
- Madhoshiyon Main Ais Tarah Mashoor Le Gaya
- Taza Ghamon Ki Raah Woh Mujh Ko Dikha Gaya
- Woh Aik Asgher Sare Jahan Se Zara Juda
- Omeed Meri Aas Meri Hausla Mera
- Aiwan-E-Dil Main Aatish-E-Chahat Laga Gaya
- Din Ka Sakoon Raat Ki Neendein Chura Gaya
- Toofaan Jaise Shehar Main Aa Kar Guzar Gaya
- Chu Kar Mere Badan Ko Sehar Mujh Pe Kar Gaya
- Jis Ko Tapak Tapak Ke Sulaya Tha Aik Omar
- Aikasgher Hi Chahaton Ke Woh Aarmaan Jaga Gaya
- Har Shaamai Intezaar Sulagti Rahi Bahut
- Roti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi Bahut
- Khushbu-E- Gul Chaman Main Batakti Rahi Bahut
- Deewangi Ki Aik Nayi Duniya Dikha Gaya
- Be-Aasra Bhi Ho Ke Bahlna Qabool Hai
- Shamma Ki Tarah Mujh Ko Pighalna Qabool Hai
- Purkhar Raaston Pe Bhi Chalna Qabool Hai
- Kaanton Ki Rahguzar Se Ulajhna Sikha Gaya
- Yun Falsafa Hayat Ka Mujh Ko Bata Gaya
- Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya
- ---------------------------------------------------
- Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
- Kabhi milay to yehi baat Usay kehna
- Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera
- Magar ab koi nahi meray sath usay kehna
- Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
- Sisik sisik k kati hai raat usay kehna
- Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
- Nahi rahay wo halaat usay kehna
- Agar wo phir bhi na lotay to a meray meherban
- Hamari Zeest k Halaat usay kehna
- Har jeet us k naam kar raha hon me
- Me Manta hoon apni Haar usay kehna...
- ---------------------------------------------------
- Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
- “Mere Paas Laut Aana”
- Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
- Or Kuch Saaf Nazar Na Aye
- To Darna Mat
- “Mere Paas Laut Aana”
- Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
- Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
- To Udaas Mat Hona
- “Mere Paas Laut Aana”
- Jab Saans Ki Dori Toote
- Or Koi apna Tumhien Lootey
- To Maayoos Mat Hona
- Mere Paas Laut Aana
- Jab Dil Tumhara Toote
- Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
- To Aanso Mat Bahana
- “Meri Paas Laut Aana”
- Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
- Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
- Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
- Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
- Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
- To Shermindah Mat Hona
- “Mere Paas Laut Aana”
- Bas Itna Kehna Chahta Hoon
- Ke Hamesha Intizar Karoonga
- Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
- Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
- To Rukna Mat
- “Mere Paas Laut Aana “
- ---------------------------------------------------
- Aaj Dil Kii Har Baat Kahii To Tera Zikr Aaya,
- Guzri Mohobat Kaa Har Lamha Yaad Aaya…
- Hui Mud_dat Aaj Tak Mujhme Kuchh Nahii Badla,
- Mere Khayaal Mein Teri Adaaon Par Naya Rang Aaya…
- Teri Yaadon Kii Aahat Ko Batorne Mein Hoon Juta,
- Bas Tera Karam Hai Yeh Jo Khud Ko Naa Samjha Paaya…
- Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
- Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…
- Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
- Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…
- Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
- Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya..
- ---------------------------------------------------
- Wo pyar ka sabot dikhaya karte the…
- Ansu baha ke hume manaya karte the…
- Is zindagi main sirf aap se wasta hai…
- Wo aksar hame batlaya karte the…
- Sone ki fursat kise the….
- Wo hume saari raat jagaya karte the…
- Bechaini jab had se zyada badh jati the…
- Tab wo jee bhar ke gale lagaya karte the…
- Wo mohabbat karne wale badal gaye….
- Jo har baat par “meri kasam” khaya karte the??
- ---------------------------------------------------
- Kheton mein kam karati hui ladakiyan
- jeth ke champai dhup ne
- jin ka sona badan
- surmai kar diya
- jin ko raton mein os aur pale ka bistar mile
- din ko suraj saron par jale
- ye hare laun mein
- sang-e-marmar ke benchon pe baithi hui
- un hansi muraton se kaheen khubasurat
- kaheen mukhtalif
- jin ke jude mein juhi ke kaliyan sajin
- jo gulab aur bele ke khushbu liye
- aur rangon ke hiddat se pagal phiren
- khet mein dhup chunati hui ladakiyan bhi
- nai umr ke sabz dahaliz par hain magar
- aaaina tak nahi dekhatin
- y gulab aur dezi ke hiddat se naashna
- khushbuon ke jan lams se bekhabar
- phul chunati hain lekin pahanati nahi
- in ke malabus mein
- tez sarson ke phoolon ke bas
- un ke aankhon mein roshan kapas
- Poet of the ghazal or Nazam:Ishrat Afreen
- ---------------------------------------------------
- Pathar Bana Dia Mujahy Rone Nahi Dia
- Damaan Bhi Tere Gham Ne Bighone Nahi Dia
- Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahain
- Shaab Bhar Tumhari yaad Ne Sone Nahi Dia
- Ankhon Mein Akar Beth Gai Annsoon Ki Lehar
- Palkon PeKoi Khoawab Perone Nahi Dia
- Dil Ko Tumhare Naam Ke Ansoo Aziz Thay
- Duniya Ka Dard Dil Mein Samone Nahi Diya
- Yoon Uski Yaad Chali Haath Thaam Ke
- Mele Mein Is Jahan Ke Khone Nahi Diya
- ---------------------------------------------------
- Maine kaha khuda se kie mai sirf mere pyar se hi pyar karunga,
- toh khuda ne kaha kie na kar itna pyar usse kyunki ek din use mai cheen lunga,
- toh maine bhi kah diya khuda se ki,
- tu bhagwan hai kuch bhi kar sakta hai lekin mere pyar ko mujhse dur nhi kar sakta hai.
- tab fir khuda ne kaha ki itna yakeen hai apne pyar pe,
- toh maine kaha khud se bhi jyada yakeen hai apne pyar pe,
- fir khuda ne kaha ki kar le jitna bhi yakeen apne pyar pe tu pachtayega,
- aaj kar raha hai pyar jisse itna wahi tujhe har pal rulayega.
- maine haskar kah diya us khuda se,
- tab bhi karunga use chahe mujhe jitna bhi rulayega,
- lekin tu bhi itna yaad rakh kie jab mai rounga to mere aanshuon ko tu bhi nahi rok payega.
- Dedicated to my love Jigyasha..
- ---------------------------------------------------
- Ye mere dil se nikli aawaz hai,
- mera dil tanha hi tha aur tanha aj hai
- mere mukaddar mai jab koi tha hi nahi to mere dil mai pyar ka kyo ehsas hai.
- Ye mere dil ki awaz hai.
- Mai pyar ki rah mai jab bhi chala nafrat hi mili mujhe.
- ‘mujhse nafrat kyo’ bs ek hi sawaal khuda se puchna mujhe kal tha aur aj hai yaro.
- ye meri dil ki awaz hai.
- Mere dil ki awaz hai…
- ---------------------------------------------------
- Agar awaz dainy say
- Agar wapas bulany say
- Agar magmum huny say
- Agar ansu bahany say
- Bichar kar jany waly lout aaty ,to
- Phir hum awaz dy laity
- Bohat ansu baha laity
- Inhein jany nahi daity
- Inhein dil mein basa laity
- Samy ko rok laity
- Waqt ko qaid kar laity
- Magar aaty howay logon ko jana hy
- Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
- So hum ny
- ---------------------------------------------------
- Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah
- Mehakti Thi Jo Gulshan Mein Kali Ki Tarah
- Yun Toh Koi Aata Nahi Iss Viraan Chaman Mein
- Yeh Kiski Parchai Hai Kuch Meri Hi Tarah
- Yun Toh Dard Ka Rishta Bahot Gehra Hai
- Par Yaadein Bhi Ek Kadwa Sach Hai Zindagi Ki Tarah
- Woh Aaya Aur Chala Gaya Sab Kuch Lekar
- Lipti Reh Gayi Rooh Badan Par Ajnabi Ki Tarah
- Kise Dhundti Hai Iss Duniya-e-Dast Mein Tanha Nazar
- Koi Saathi Ho Mera Bhi Iss Khamoshi Ki Tarah...
- ---------------------------------------------------
- Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
- Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi
- Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
- Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi
- Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
- Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi
- Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
- Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi
- Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
- Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi.
- ---------------------------------------------------
- Dard se khelna sikh gaye hum,
- Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham,
- kya btayeHame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
- Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!!
- ---------------------------------------------------
- Hamne tho apna dil unke hath me thama tha,
- Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha,
- unhone b kya koob natak nachwaya tha,
- tod k dil bazar me dande se tookwaya tha!!
- ---------------------------------------------------
- Legayi sb kuch magar bas kafan rehne dia,
- Yuhi meri zindgi ka akhri rehnuma rehne dia,
- Hum gaye they unko loutane k liye,
- Wo kha k raham rehne diya!!
- ---------------------------------------------------
- Mili he bahut saja unse Dil lagane ki,
- Nazar lag gai mere pyar ko zmane ki,
- Markr b KABAR se Nikle rahe dono hath,
- Arju rah gai unhe gale Lgane Ki!!
- ---------------------------------------------------
- Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye,
- Hamko rokna Tha magar rok na ruke,
- Dhono ka safar to shuru hogaya tha,
- Fark To Sirf Itna Tha,
- Unko doli me bitaya gaya,
- aur Hame dole me sulaya gaya!!
- ---------------------------------------------------
- Kafan na dalo mere Chehre par,
- mujhe Aadat hai muskuraney ki,
- aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,
- aaj umeed hai unke Aane ki!!
- ---------------------------------------------------
- Mohabbt me yeh Hum kahan agaye,
- Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,
- ye mohbbt bhi kya cheez hai yaro,
- jab ek moqaam se nikal gaye,
- To dusre moqaam pahunch gaye,
- jab maikane se nikle the,
- Aaj kabrstan pahunchaye gaye!!
- ---------------------------------------------------
- Khuda ki mahobbat fanah kaun karega,
- Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega,
- Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,
- Warna hamari maut ki dua kaun karega!!!
- ---------------------------------------------------
- Bahut Hansa Tha Main,
- Jinko Bhi Hansaane Ki Liye.
- Wahi Chod Gaye Hain Mujhe Aaj,
- Tanhai Main Aansoo Bahaane Ke Liye.
- Woh Hanste Hain Haamare Saamne,
- Shayad Hamein Tadpaane Ke Liye.
- Par Hum To Kambakht Ro Bhi Nahi Sakte,
- Zamaane Ko Gum Dikhane Ke Liye.
- Khushiyan Sab Woh Le Gaye,
- Aashk Hain Bas Aab Mere Liye.
- Par Yeh Aashk Bhi Aab Nahi Dete Hain Saath,
- In Aankhon Se Aashk Bahaane Ke Liye.
- Bade Sambhal Kar Rakhe The Kadam Humne,
- Unke Saaye Ko Bhi Bachaane Ke Liye.
- Par Aaj Apna Hi Saaya Saath Chod Gaya,
- Humein Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye.
- Ruke The Hum Har Moad Par,
- Unke Intezaar Ke Liye.
- Aaj Chod Gaye Hain Woh Ek Naye Moad Par,
- Zindagi Bhar Intezaar Karwaane Ke Liye
- Bahut Khushiyan Hain Aas-Pass,
- Mujhe Khush Karne Ke Liye.
- Phir Bhi Koi Wajah Doondhta Hoon,
- Shaayad Main Muskuraane Ke Liye.
- Kuch Yaadein Hongi Unke Pass Bhi,
- Humein Yaad Karne Ke Liye.
- Par Woh Kabhi Humein Na Yaad Kar Payenge,
- Doondhenge Kisi Bahane Ke Liye.
- Kabhi To Woh Bhi Sochenge,
- Humaare Pass Waapis Aane Ke Liye.
- Lekin Tub Hum Honge Hi Nahi,
- Unko Pachtaane Ka Mauka Dene Ke Liye.
- Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism,
- Aapna Hi Bhoja Dhone Ke Liye.
- Thodi Si Zamin Talaashta Hoon,
- Khud Ko Dafnaane Ke Liye.
- ---------------------------------------------------
- Lakh Dukh Uthao,Tum Koshish Karte Rehna,
- “Azeem” Isi Tarhan Toot Ke Use Chahte Rehna,
- Wo Yaad Na Kare Tum Ko Yeh Us Ka Amall Hai,
- Tum Khud Se Ziyada Use Yaad Karte Rehna,
- Yeh Jan Lo Ke Rona Us Ko Aata Nahi Tum Par,
- Khair Tum Aise Hi Ehed Nibhate Rehna,
- ---------------------------------------------------
- Aansoo Ki Tumhare Koi Qimaat Nahi Hai,
- Us Ki Yaad Mein Yu Hi Tum Ashk Bahate Rehna,
- Kabhi Tadpegee Wo, Kabhi To Beqarar Hogee,
- Dastaan Tum Us Ko Apni Yu Hi Sunate Rehna,
- Din Bohat Kam Hain Tumhari Zindagi Ke “Azeem”,
- Aggar Nafrat Bhi Kare Tum Us Se Mohabbat Karte Rehna,
- Zindagi Ke Kisi Mod Par Pashteegee Wo Bhi,
- Tum Be Khuli Aankhoon Se Use Dekhte Rehna,
- Khub Dil Lagea Hai “Molla” Is Be-Parwa Ke Saath,
- Mar Jaonga Nahi Hota Mujh Se Jitey Rehna,
- Jine Ki Baat Hai Is Mein Kia Kahoo “Azeem”,
- Qismaat Mein Hai Tumhari Us Ke Liye Tadappte Rehna.
- ---------------------------------------------------
- dard shayari
- Kuch tere khawab kuch mere khawab the,
- kuch milne to kuch bichdne k kisse ajib the,
- Thi to doulat duniya ki lekin tere bin bilkul garib the,
- banate the kabhi sapno ka mahal lekin sapne bhi adhure hi naseeb the,
- jab bhi aajmaya khud ko to paya kitna bhi ladlo halato se……
- kisi ko pane aur khone me to apne apne naseeb the.
- ---------------------------------------------------
- Ho sake toh pyaar ka itebar kar ke dekhna
- Phir lafzon se iqraar kar ke dekhna
- Junon ki had se aage nikal jain ge
- Faqat ek bar hum se izhaar kar ke dekhna
- Hota hai dil kyu betaab aur beqarar
- Ek lamhey ka intezar kar ke dekhna
- Hijar mein katain hain shabo-roz ki tarhan
- Ghari ki tak tak shomar kar ke dekhna
- Tere intezar mein umar bhi ghawa di
- Ek bar mera intezar kar ke dekhna
- Tere hussan ki kashish teri sadgi hai jani
- Yeh sab kuch uss par nisar kar ke dekhna..
- ---------------------------------------------------
- Kabhi aajao tum pal bhar ko
- Mujhe tum se batien krni hain,
- Kuch ghum k geet sunanay hain
- Kuch raaz hain jo batlanay hain,
- Kuch dil ko b batlana hai
- Kuch zakham hain jo dikhlanay hain,
- Kuch dil se yaadain dhoni hain
- Kuch naatay naiy bnanay hain,
- Jo sher likhay hain teri furqat mein
- Kuch sher tumhy wo sunanay hain,
- Kuch dard sunanay hain dil k
- Kuch piyar ki batien karni hain,
- Kabhi aajao tum pal bhar ko !
- Kabhi aajao tum pal bhar ko !
- ---------------------------------------------------
- Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay
- hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay
- Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain
- hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay
- Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee
- nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay
- Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain
- jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay
- Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay
- magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay
- jhijak jhijak ker nazar un ke dil tak aa pohanchii
- yeh woh safar hai ke Hussaini jise bhula na sakay.
- ---------------------------------------------------
- Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
- Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
- Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
- Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
- Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
- Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
- Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
- Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
- Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
- Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
- ---------------------------------------------------
- Mazboor ye haalaat idhar bhi he udhar bhi
- tanhaaii ki ek raat idhar bhi he udhar bhi
- kahne ko bahut kuch hai magar kis se kahe hum
- kab tak uuhi khamosh rahe aur sahe hum
- dil kahata hai duniya ki har ek rashm gira de
- kyu dil me sulagate rahe, logo ko bata de
- haan.. humko muhabbat hai, muhabbat hai,muhabbat hai
- ab dil me ye baat idhar bhi hai udhar bhi
- Mazboor ye haalaat idhar bhi hai udhar bhi?.
- ---------------------------------------------------
- Aati jati saanso me Zindagi basar hoti rahi
- Annkho me ashk na rahe par Zindagi roti rahi
- dekha tha khwab par anjaam kuch aisa hua
- dil mera tadapta raha aur wo bhi roti rahi
- besabra hokar hamne zindagi bhi chohd di
- kafan na nasib hua kabra ko lash roti rahi
- aaj to us maa ne apne bacche sula diye
- kal ki fikra me raat bhar daman bhigoti rahi
- behisab khwahisho ka bojh itna badh gaya
- khwahisho ki bheed me zindagi khoti rahi...
- ---------------------------------------------------
- Meri teri nigah mein jo lakh intazar hain
- jo mere tere tan badan mein lakh dil figar hain
- jo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hain
- jo mere tere shahar ke har ik gali mein
- mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
- jo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hain
- jo meri teri subah ke gulab chak chak hain
- ye zakhm sare be-dava ye chak sare be-rafu
- kisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahu
- ye hain bhi ya nahi bata
- ye hai ki mahaz jal hai
- mere tumhare ankabut-e-vaham ka buna hua
- jo hai to is ka kya karen
- nahi hai to bhi kya karen
- bata, bata, bata, bata
- Poet of the poem or ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz
- ---------------------------------------------------
- Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Dekhi
- Humne Majboori Aur Bekasi Dekhi
- Chand Lamhaat Jeene Ke Liye
- Bechke Apni Zindagi Dekhi
- Andhere Agar Ghir Aaye Ho
- Tere Pehloo Mai Raushni Dekhi
- Teri Naraazgi Ko Kya Samjhein
- Humne Khud Apni Bebasi Dekhi
- Hum Kyon Yahan Badnaam Hai
- Zamaane Ki Humne Dillagi Dekhi
- Waadon Par Bharosa Abh Kyon Rahe
- Humne Azeezon Ki Wada-Khilaafi Dekhi
- Ek Hum Hai Jo Lut Gaye Tanha
- Varna Duniya Bhar Ki Dosti Dekhi
- ---------------------------------------------------
- dard shayari
- muhabbat ka sabab mai tujhse puchun kis qadar
- khayyalon mai hai bass tu hee shaam o saher
- kuch yoon guzzarta hai tanhaiyyon mai dinn
- atay hi shaam ho rubaru tera chehra raat bhar
- teri tarah hai neend bhi rooththi hui mujhse
- ikk tera deedaar aur chaand taaron pe ikk nazar
- taaron ke tootnay kaa abb intezaar rehta hai
- k utha ke haath maang loon tujhe phir uss paher
- ---------------------------------------------------
- Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
- teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
- jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi,
- apne maathe ki woh tehreer mita li maine,
- har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
- teri chaahat mein to umr bita li maine,
- mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
- waqt ke haathon se ek nazm utha li maine,
- gheerey rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
- teri yaadon se har ek saans saja li maine,
- jiske sheron ko woh sunkey bahut roya tha,
- bas wohi ek ghazal sabsey chupa li maine..
- ---------------------------------------------------
- Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?
- Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?
- Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?
- Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?
- Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein?
- Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar?
- Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna?
- Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana?
- Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna?
- ---------------------------------------------------
- Kal Raat Jane Kya Hua
- Kuch Dair Pehlay Neend Se
- Kuch Ashk Milnay Aa Gaye
- Kuch Khuwab Bhi Tootay Huay
- Kuch Log Bhi Bhoolay Huay
- Kuch Gard Main Lipti Hui
- Kuch Bay Panah Pheli Hui
- Kuch Khol Main Simti Hui
- Bey Rabt Si Sochain Lye
- Bhooli Hui Baatein Lye
- Ik Shaks Ki Yaadain Lye
- Phr Dair Tak Jagey Rhey
- Sochon Mei Gum Bethey Rhey
- Ungli Say Thanday Farsh Per
- Ik Naam Bus Likhtey Rhey
- Kal Raat Bhi Wo Raat Thi
- Kuch Dair Pehle Neend Se
- Hum Dair Tak Rotey Rahey
- ---------------------------------------------------
- Dil Ki Baaton Pe Aise Aitbaar Na Kar
- Yahi Acha Hai Tu Kisi Se Pyaar Na Kar
- Bana Na De Gayal Tujhko Bhi Mahobaat
- Tu Apne Dil Ko Kisike Liye Bekarar Na Kar
- Badi Hoti Hai Muskhil Ye Judai Ki Gadiyan
- Tu Dil Main Apne Kafir Ka Intezaar Na Bhar
- Aaj Nahi Raha Duniya Main Kahin Sacha Pyaar
- Ye Suada Hai Dilon Ka Tu Ye Vayapar Na Kar
- Nahi Hoti Yahan Kimaat Ehsaason Ki Koi Bhi
- Tu Hoke Diwana Iss Kadar Jaan Nisaar Na Kar..
- ---------------------------------------------------
- Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zmana
- wo tera dorty hue meri taraf chaly ana
- wo mujh ko dekh kar tere hotoin per muskuraht ka jhilmilana
- wo meri bahon mai aa kar tera mujh mai sama jana
- wo bat bat mein mera rooth sa jana
- wo itny piyar sey tera mujh ko mnana
- wo raat raat bhar jaag ker mere sar ko dabana
- wo piyar sey mujh ko janu bulana
- wo tera mery ishq mai doob jana
- wo tery haaton ki mehndi mai mery naam ka jhilmilana
- kya tum ko yaad nahi chahat ka wo zamana
- bahut muskil hoga mujh ko bhulana..
- ---------------------------------------------------
- Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
- Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
- Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
- Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.
- Kal Tak Thi Chhoone Se Nafarat Jinhen,
- Wo Bhi Munh Sharab Se Dhone Lage Hain.
- Doston Ki Dost…. Bharosa Uth Gaya Insan Ka Insan Se,
- Bete Bhi Zamanat Baap Se Lene Lage Hain.
- Farz Bacha Hi Nahin Is Jahan Mein Koi,
- Nauker Ke Bhi Malik Pe Ehasan Hone Lage Hain.
- Doston Ki Dost….. Ehasan Jispar Kiye Jisne,
- Usee Ki Badaulat Wo Badnam Hone Lage Hain.
- Yaron Dil Lagana Na Kisi Se,
- Mohabbat Ke Bure Anzam Hone Lage Hain.
- Doston Ki Dost… Bikte Hain Eeman Daulat Ki Khatir,
- Izzat Ke Saude Sare Aam Hone Lage Hain.
- Ibadat Bhi Mandir Mein Daulat Ki Hoti,
- Log Daulat Ka Sham-O-Subah Naam Lene Lage Hain.
- Doston Ki Dost… Gam Mein Aadat Thi Muskurane Ki Jinko,
- Wo Bhi Hoker Behal Rone Lage Hain.
- Ab Khuda Hi Jane Is Jahan Ka Kya Hoga Manzer,
- Izafe Julm-O-Sitam Mein Her Saal Hone Lage Hain.
- Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
- Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
- ---------------------------------------------------
- Meri arthi utha kar leja rhe hein,kuch upper se fool bikhra rhy hein
- khin aae na mere tan se badboo, jaldi se mujko jalaa rhy hein
- meri arthi,,,
- kuch ankho se ansu bha rhe hein,kuch dil-hi-dil mein muskra rhe hein.
- khin firse zinda na mein ho jau,yeh soch kar kuch ghabra rhe hein
- meri arthi,??????
- kuch meri buraiyan ginva rhe hein,kuch aachaeo ko samne la rhe hein.
- is jalse mein shamil ho kar k sab baatoan k teer chla rhe hein.
- meri arthi????.
- kuch lene vale aae ja rhe hein,kuch dene vale chupe ja rhe hein.
- kuch meri mout ka jashan mna kr aapni dushmani nibha rhe hein.
- meri arthi??????????
- har roz ek lash jla rhe hein,jalate hi firse bhula rhe hein.
- zindagi nhi rukti kisi ek k jane se dekho vo sab muskra rhe hein.
- meri arthi
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
Apne khwabo shayari
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment