- Pucho To Ek Ek Hai Tanhaa Sulag Raha;
- Dekho To Shehar Shehar Hai Mela Laga Hua!
- **********************************
- Tujhse Bicharr Kar Kya Hun Main, Ab Bahar Aakar Dekh;
- Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh;
- Shaam Hai Gehri, Tez Hawaa Hai, Sar Pe Khari Hai Raat;
- Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh;
- Darwaze Ke Paas Aa Aa Kar Wapis Mudti Chaap;
- Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Mein, Paas Bula Kar Dekh;
- Shayad Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan;
- Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh;
- Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Mein Mil Kar Rehna Seekh;
- Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Jaa Kar Dekh!
- **********************************
- Mile Kaise Sadiyon Kee Pyaas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna;
- Barri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna!
- **********************************
- Yaad Teri, Bas Baat Teri, Fariyad Teri;
- Ya Rabb Mujhe Kaam Koi To Aur Bhi Ho!
- **********************************
- Kya Sirf Musaan Ke Pyare Hain Hussain;
- Chiraag-e-Noh Bashar Ke Tarey Hain Hussain;
- Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do Zara Tum;
- Har Kaum Pukare Gi Hamare Hain Hussain!
- **********************************
- Waar Is Qadar Shadeed Ke Dushman Hi Karta;
- Chehra Magar Zaroor Kisi Ashnaa Ka Tha!
- **********************************un
- Tujh Se Gile Karun Tujhe Janaan Manaun Main;
- Ik Bar Apne Aap Mein Aao To Aaun Main;
- Dil Se Sitam Kee Be'saro Kaari Hawaa Ko Hai;
- Woh Gard Udaa Rahi Hai Ki Khud Ko Ganwaun Main;
- Naadim Hun Woh Ki Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin;
- Woh Kam Hain Ki Apni Judai Kamaaun Main;
- Kyon'kar Ho Apne Khawab Kee Aankhon Mein Wapsi;
- Kis Taur Apne Dil Ke Zamamun Mein Jaun Main;
- Ik Rang Si Kamaan Ho Khushbu Sa Ik Teer;
- Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaun Main;
- Shikwa Sa Ek Dareecha Ho, Nasha Sa Ek Sakoot;
- Ho Shaam Ek Sharab Si Aur Larr'khraon Main;
- Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil;
- Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaun Main!
- **********************************
- Khamosh Chehre Par Hazaron Pehre Hote Hain;
- Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain;
- Jinse Aksar Rooth Jaate Hain Hum;
- Asal Mein Unse Hi Rishte Gehre Hote Hain!
- **********************************
- Khawab, Khayal, Haqeeqat, Yaqeen, Gham Aur Khushiyaan;
- Zara Si To Umar Hai Meri, Bhala Kis Kis Ke Saath Guzarunga!
- **********************************
- Log Lete Hain Yun Hi Shamma Aur Parwane Ka Naam;
- Kuch Nahi Hai Is Jahan Mein Ghum Ke Afsane Ka Naam!
- **********************************
- Bhuli Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
- Har Gham Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai!
- **********************************
- Tang Hota Ja Raha Hai Haala-e-Yaksaaniyat;
- Kya Inhii Pheeke Dino Mein Ghutt Ke Marna Hai Mujhe!
- **********************************
- Mujhe To Gham Tha Us Ke Bicharrne Ka Magar;
- Woh Hath Malta Raha Umar Bhar Ganwaa Ke Mujhe!
- **********************************
- Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na Aayein Hum;
- Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chorr Jayein Hum;
- Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
- Awaargi Se Dil Ko Kahan Tak Bachaayein Hum;
- Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Kee Fizaa;
- Tareek Raaston Par Kahin Kho Na Jayein Hum;
- Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
- Jaalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Kar Layein Hum!
- ~ Habib Jalib
- GHAZAL 26
- Khwabon Ke Andar Zinda Mat Raho;
- Balki Apne Andar Khwabon Ko Zinda Rakho;
- Mohabbat Usse Nahin Hoti Hai Jo Khoobsurat Ho;
- Khoobsurat To Wo Hota Hai Jisse Mohabbat Hoti Hai!
- MISCELLANEOUS 330
- Main Apne Ghar Geya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi;
- Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi!
- **********************************
- Manzil Pe Aa Ke Shaad e Ajab Hadsa Hua;
- Main Hum-Safar Ko Bhol Geya Hum-Safar Mujhe!
- **********************************
- Jab Se Sanam Tum Ko Paya Hai;
- Tere Har Hukum Ko Sar Aankhon Pe Bithaya Hai;
- Aur Kya De Sakta Hun Main Tum Ko Sanam;
- Roshni Tujhe Dene Ke Liye Khud Ko Jalaya Hai!
- **********************************
- Ustaad Kyon Roya Thaa Kin Halaat Ka Maara Tha;
- Bachon Ko Sikhaaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hain!
- **********************************
- Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
- Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;
- Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein;
- Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;
- Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
- Raasta Kat Bhee Gaya To Fansla Reh Jaaye Ga;
- Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Aud Kar;
- Chaand Soone Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;
- Jo Kabhi Us Ne Parheen Theen Mujh Se 'Nasir' Maang Kar;
- Naam Mera Unn Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga!
- **********************************
- Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Kee;
- Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Kee!
- **********************************
- Sameit Kar Le Ja Apni Yaadon Ke Adhooray Qissay;
- Teri Agli Chahat Mein Tujhe In Kee Bhi Zaroorat Hogi!
- **********************************
- Maut Ne Chupke Se Najaney Kya Kaha;
- Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!
- **********************************
- Assi Kise De Kujh Nai Lagde, Na Koi Saada Dardi;
- Vich Rawaa'n De Chadd Ke Tur Gaye, Wah Maula Teri Marzi!
- **********************************
- Aage Bare Na Qissa-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
- Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Hum;
- Ab Bhaagte Hain Saya-e-Ishq-e-Butan Se Hum;
- Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Aasman Se Hum;
- Hanste Hain Us Ke Giriya-e-Beikhtiyar Par;
- Bhule Hain Baat Keh Kar Koi Razadan Se Hum;
- Ab Shauq Se Bigar Kar Batein Kiya Karo;
- Kuch Pa Gaye Hain Aap Kee Tarz-e-Bayan Se Hum;
- Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-e-Teg-e-Ishq;
- Badlenge Tujhko Zindagi-e-Jawidan Se Hum!
- **********************************
- Badle To Nahin Hain Woh Dil-o-Jaan Ke Qarinay;
- Ankhon Ki Jalan, Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wohi Hai!
- **********************************
- Hum Tujh Se Alag Reh Ke Bhi Rehte Hain Tere Paas;
- Hote Hain Teri Bazzm Main Hote Hian Jahaan Bhi!
- **********************************
- Mohabbat Ka Imtihan Aasan Nahi;
- Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi;
- Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezar Mein;
- Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi!
- **********************************
- Khud Se Roothun To Kayi Roz Na Khud Se Bolun;
- Phir Kisi Dard Ki Deewaar Se Lag Kar Ro Lun!
- **********************************
- Dil O Nigah Pe Taari Rahe Fasoon Iska;
- Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Uska;
- Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
- Ke Tera Ho To Geya Hoon Magar Mein Hoon Uska;
- Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
- Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Uska;
- Zameen Ki Khaak To Kab Ki Urraa Chuke Hain Hum;
- Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neelgon Uska;
- Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
- Yahin Kahin Pe Hai Woh Sheher Pursakoon Uska!
- **********************************
- Yeh Kya Ki Tujhe Bhi Hai Zamane Se Shikayat;
- Yeh Kya Ki Teri Aankh Bhi Pur Num Hai Meri Jaan!
- **********************************
- Nazar Karna, Nazar-Andaz Karna;
- Yehi Hai Pyar Ka Aghaaz Karna!
- **********************************
- Aye Mujhe Khawab Dikhane Wale Logo Sun Lo;
- Mera Dukh Yeh Hai Koi Khawab Nahin Bhoolta Main!
- **********************************
- Teri Dastak Ke Muntazir Muddat Se;
- Deemak, Darwaazey, Tanhai Aur Main!
- **********************************
- Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;
- Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do;
- Main Safaayi Koi Doon Ga Na Wazaahat Dunga;
- Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amaanat Dunga;
- Phir Kabhi Tumse Na Milne Kee Zamanat Dunga;
- Bas Tumhein Tark-e-Marasim Pe Yeh Zehmat Dunga;
- Tum Ho Bechain To Main Bhi Koi Masroor Nahin;
- Kal Yeh Likhti Thee Bicharna Tumhein Manzoor Nahi;
- Ab Yeh Kehti Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do!
- **********************************
- Main Nahin Maanta Kagaz Pe Likha Shajra-e-Nassb;
- Baat Karne Se Qabeele Ka Pata Chalta Hai!
- **********************************
- Awaaz Mein Thehrao Tha, Ankhon Mein Nami Si Thi;
- Aur Keh Raha Tha Maine Sab Kuch Bhulaa Diyaa!
- JUDAA**********************************9
- Mohabbat Mein Suno Tum Khud To Bewafa Ho;
- Woh Jo Bichrra To Tum Marr Kyun Na Gaye!
- **********************************
- Umeed To Manzil Pe Pahunchne Kee Bari Thi;
- Taqdeer Magar Jaane Kahan Soyi Pari Thi;
- Khush The Ki Guzarein Ge Rafaqat Mein Safar Ab;
- Tanhayi Magar Baahon Ko Phir Khole Khari Thi!
- **********************************
- Agar Yun Hi Ye Dil Satata Rahega;
- To Ik Din Mera Jee Hi Jata Rahega;
- Main Jata Hun Dil Ko Tere Pas Chore;
- Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega;
- Gali Se Teri Dil Ko Le To Chala Hun;
- Main Pahunchunga Jab Tak Yeh Aata Rahega;
- Qafas Main Koi Tum Se Ai Ham-Safiron;
- Khabar Kal Kee Humko Sunata Rahega;
- Khafa Ho Ki Ai Dard Mar To Chala Tu;
- Kahan Tak Gham Apna Chupata Rahega!
- **********************************
- Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein Daaman;
- Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan;
- Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyun Hai!
- **********************************
- Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni;
- Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye!
- **********************************
- **********************************
- Teri Zulfon Kee Siahi Se Na Jaane Kaise;
- Gham Kee Zulmat Meri Raton Mein Chali Aayi Hai!
- **********************************
- Tumhare Baad Na Takmeel Ho Saki Apni;
- Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage!
- **********************************
- Gham e Dunia Mein Gham e Yaar Bhi Shamil Kar Lo;
- Nasha Bhadta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein;
- Ab Na Wo Main Hun Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai 'Faraz';
- Jaise Do Saye Tamanna Ke Sarabon Mein Milein!
- **********************************
- Ranjish Hi Sahi Dil Mein Dukhane Ke Liye Aa
- Aa Phir Se Mujhe Chor Jaane Ke Liye Aa;
- Kuch To Mere Pand-e-Ray Mohabbat Ka Bharam Rakh;
- Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa;
- Pehle Se Maraasam Na Sahi Phir Bhi Kabhi To Aa;
- Rasmo Waar-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa;
- Kis Kis Ko Batayein Ge Judaai Ka Sabab Hum;
- Tu Mujh Se Khafa Hai Tu Zamane Ke Liye Aa;
- Ab Tak Dil-e-Khush Faham Tujh Se Hain Umeedein;
- Ye Aakhiri Shamma Bhi Bujhanay Ke Liye Aa!
- **********************************
- दिल ने आज फिर तेरे दीदार की ख्वाहिश रखी है;
- अगर फुरसत मिले तो ख्वाबों मे आ जाना।
- **********************************
- Sher Logon Ke Bahut Yaad Hain Auron Ke Liye;
- Tu Mile To Main Tujhe Sher Sunaaon Apne!
- **********************************
- Aankh Rakhte Ho To Us Aankh Kee Tehreer Parho;
- Munh Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Uss Kee!
- **********************************
- Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum;
- Magar Ab Karein Kyon Gila Ajnabi Se;
- Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila;
- Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se!
- **********************************
- Is Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi;
- Mujh Se Bichrre Hue Log Sheher-e-Khawab Mein Hain!
- JUDAAI**********************************
- Ajnabi Khauf Fizaon
- Ajnabi Khauf Fizaon Mein Basa Ho Jaise;
- Shehar Ka Shehar Hi Aseb Zada Ho Jaise;
- Raat Ke Pichle Pehar Aati Hain Awazein Si;
- Dur Shehara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;
- Dar-o-Deewar Pe Chayi Hai Udasi Aisi;
- Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;
- Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
- Dukh To Chehre Kee Lakion Pe Saja Ho Jaise;
- Ab Agar Doob Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
- Behte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
- **********************************
- Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah;
- Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna!
- **********************************
- Thake Hue Hain Sabhi Paimal Raho Par;
- Kahi Se Dhoond Kar Phir Taza Rah Guzar Lana!
- **********************************
- Katt Hi Gayi Judayi Bhi, Kab Yeh Hua Ki Mar Gaye;
- Tere Bhi Din Guzar Gaye, Mere Bhi Din Guzar Gaye!
- **********************************
- Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne;
- Lagaa Diya Mujhe Deewaar Se Gharri Ki Tarah!
- **********************************
- Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad;
- Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;
- Main Shikwa Ba Lab Tha, Mujhe Ye Bhi Na Raha Yaad;
- Shayad Ki Mere Bhoolne Waale Ne Kiya Yaad;
- Kya Jaaniye Kya Ho Geya Arbaab-e-Junoon Ko;
- Jeene Kee Adaa Yaad Na Marne Kee Adaa Yaad;
- Kya Lutf Ki Main Apna Pataa Aap Bataaun;
- Kijiye Koi Bhooli Hui Khaas Apni Adaa Yaad;
- Muddat Hui Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin;
- Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dhadakane Kee Sadaa Yaad!
- **********************************
- Yeh Bhi Sach Hai Koi Ulfat Mein Pareshan Kyun Ho;
- Yeh Bhi Sach Hai Koi Kyun Kar Na Pareshan Ho Jaye!
- **********************************
- Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar;
- Kitni Khamosh Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai!
- **********************************
- Kya Uss Se Chupaaun, Nahi Ghair Bhi Itna;
- Kya Us Ko Bataaun, Mera Apna To Nahi Hai!
- GILA SHIKWA 31
- Pathar Zehan Gulaab Nahi Hunde;
- Korey Waraq Kitaab Nahi Hunde;
- Je Ker Laaiye Yaari Sajna;
- Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunde!
- **********************************
- Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main;
- Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main;
- Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf;
- Apne Badan Ki Kabr Mein, Kab Se Garrhaa Hun Main;
- Kis Kis Ka Naam Laaun Zubaan Par Ki Tere Saath;
- Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun;
- Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam;
- Duniya Samajh Rahi Hai, Ki Sab Kuch Tera Hun Main;
- Le Mere Tajrubon Se Sabak, Aye Mere Raqeeb;
- Do-Chaar Saal Umar Mein, Tujhse Barra Hun Main;
- Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai 'Qateel';
- Sone Se Pehle Roz, Jise Dekhta Raha Hun Main!
- **********************************
- Guzar Gaya Woh Waqt, Jab Teri Hasrat Thi Mujhe;
- Ab Tu Khuda Bhi Ban Jaye To Bhi Tera Sajda Na Karu!
- **********************************
- Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
- 'Jalib' Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum!
- **********************************
- Aiven Rus Ke Na Sathon Mukh Mod Mitra;
- Sada Tere Toh Baghair Kehda Hor Mitra;
- Othe Hundi E Umeed Jithe Jor Mitra;
- Tainu Saadi Nahi Par Saanu Teri Lohr Mitra!
- **********************************
- Nazar Se Nazar Ko Milao Nazar Ka Aitbar Karo;
- Hum Tum Se Sanam, Tum Hum Se Pyaar Karo;
- Tum Jo Rootho To Kuch Bhi Karke Manaayein Tumko;
- Hum Jo Pal Bhar Ko Jayein To Tum Intezar Karo!
- **********************************
- Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
- Muskura Kar Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Geya!
- **********************************
- Khuda Hum Ko Aisi Khudayi Na De;
- Ki Apne Siwa Kuch Dikhayi Na De;
- Khatawar Samjhey Gi Duniya Tujhe;
- Ab Itni Zayada Safai Na De;
- Hanso Aj Itna Ki Is Shor Me;
- Sada Siskiyon Kee Sunayi Na De;
- Ghulami Ko Barkat Samjhney Lagein;
- Aseeron Ko Aisi Rihayi Na De;
- Khuda Aise Ehsas Ka Naam Hai;
- Rahe Sahmne Aur Dikhayi Na De;
- Mujhe Aisi Jannat Nahi Chahiye;
- Jahan Se Madina Dikhayi Na Dey!
- **********************************
- Na Jaane Kab Koi Taara Toot Jaaye;
- Na Jaane Kab Koi Aansu Aankh Se Chhoot Jaaye;
- Kuch Pal Hamare Saath Bhi Has Lo;
- Na Jaane Kab Tumhare Daant Toot Jaaye!
- **********************************
- Hum Aaj Bhi Dil Ka Aashiyana Sajane Se Darte Hain;
- Baagon Mein Phool Khilane Se Darte Hain;
- Hamari Ek Pasand Se Tut Jaayeinge Hazaaro Dil;
- Tabhi Toh Hum Aaj Bhi Girlfriend Bananey Se Darte Hain!
- **********************************
- Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha;
- Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha;
- Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha;
- Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon!
- **********************************
- Arz Sirf Itna Hai Dosti Ke Baare Mein;
- Aadmi Galat Samjha Aadmi Ke Baare Mein!
- **********************************
- Kahan Koi Aisa Mila Jis Pe Dil Luta Dete;
- Har Ek Ne Dhokha Diya Kis-Kis Ko Bhula Dete;
- Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain;
- Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete!
- **********************************
- Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Hum Dekhen;
- Nigaahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!
- **********************************
- Mat Phenk Pani Me Pathhar;
- Usey Bhi Koi Peeta Hai;
- Mat Raho Yun Udaas Zindagi Mein;
- Tumhe Dekh Kar Bhi Koi Jeeta Hai!
- **********************************
- Kahin Aah Ban Ke Lab Per Tera Naam Aa Na Jaye;
- Tujhe Bewafa Kahoon Main, Woh Muqaam Aa Na Jaye;
- Jise Sun Ke Toot Jaye Mera Aarzu Bhara Dil;
- Tere Anjuman Se Mujh Ko Woh Peyaam Aa Na Jaye;
- Woh Jo Manzilon Par Laa Kar Kisi Hamsafar Ko Lootein;
- Unhi Rehzanon Mein Tera Kahin Naam Aa Na Jaye;
- Isi Fikar Mein Hain Ghalat Yeh Nizaam Ke Bande;
- Jo Tamaam Zindagi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaye!
- **********************************
- Giley Hain Hazaron Ki Badle Ho Kyon Tum;
- Magar Ab Karein Kyon Gilaa Ajnabi Se;
- Azab Hai Neendein Ganwane Ka Silsila;
- Yeh Acha Nahin Silsila Ajnabi Se!
- **********************************
- Badla Waafa Ka Denge Badi Saadgi Se Hum;
- Tum Hum Se Rooth Jao Ge Aur Zindagi Se Hum!
- **********************************
- Yahi Bahut Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya;
- Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Zyada Hai!
- **********************************
- Rabb To Pyara Koi Naam Nahi Hunda;
- Ohdi Nigha Vich Koi Aam Ya Khas Nahi Hunda;
- Duniya Di Mohabbat Vich Hai Dhokhebazi;
- Par Usdi Mohabbat Vich Koi Badnaam Nahi Hunda!
- **********************************
- Band Aankh Se Sapne Bunte Bunte Umar Guzar Gayi Apni;
- Tootey Dil Ke Raizey Chunte Chunte Umar Guzar Gayi Apni;
- Woh Hum Se Bichar Kar Kaise Jeeta Hoga;
- Bass Yehi Sochte Sochte Umar Guzar Gayi Apni;
- Us Ki Talaash Mein Nikle, Apna Pata Bhool Gaye;
- Phir Khud Ko Khojte Khojte Umar Guzar Gayi Apni;
- Shamaa Ban To Gaye Roshni Ki Khatir;
- Magar Phir Jalte Jalte Umar Guzar Gayi Apni;
- Uss Ne Manaa Ki Deewaar Torr Kar Pukaara To Sahi;
- Lekin Rukte Rukte Umar Guzar Gayi Apni;
- Ab Yeh Zindagi Ussi Ki Amaanat Hai Waqas;
- Jiss Ki Raah Takte Takte Umar Guzar Gayi Apni!
- **********************************
- Na Koi Ilzaam, Na Koi Tanz, Na Koi Ruswai Mir;
- Din Bahut Hogaye Yarron Ne Koi Inayat Nahi Ki!
- **********************************
- Dhoondte Ho Kya In Ankhon Mein Kahani Meri;
- Khud Mein Gum Rehna Toh Aadat Hai Purani Meri!
- **********************************
- Kis Qadar Naadim Hua Hoon Main Bura Keh Kar Usey;
- Kya Khabar Thi Jaate Jaate Woh Dua De Jaye Ga!
- **********************************
- Kisi De Ishq Ch Ki Ki Mukaam Aunde Ne;
- Kade Khushi Kade Gam De Paigaam Aunde Ne;
- Hanera Chhaya Taan, Mere Saaye Ne Bhi Sath Chadd Ditta;
- Sunya Si Samay Te Apne Hi Kamm Aunde Ne!
- **********************************
- Paikar Tha Wafa Ka, Mohabbat Ka Khuda Tha;
- Woh Shakhs Zamane Mein Sab Se Hi Juda Tha;
- Chahat Ke Khazane They Har Lafz Mein Us Ke;
- Daaman Mera Us Ne Duaaon Se Bhara Tha;
- Mujh Ko Nahin Dekha Karri Dhoop Ne Chu Kar;
- Baba Mera Duniya Main Mujhe Aisa Jo Mila Tha;
- Fikrein Na Zamane Ki Kabhi Paas Bhi Aayi;
- Har Dard Meri Hasti Se Dartaa Hi Raha Tha;
- Jab Tak Raha Saanson Ka Basera Mere Baba;
- Tab Tak Main Ghamon Se Bachta Hi Raha Tha;
- Us Shaam Ki Hiddat Mere Dil Se Nahin Jati;
- Jis Shaam Tera Saaya Mere Sar Se Utha Tha!
- **********************************
- Woh Jate Jate Kah Gaye Ki Abb Hum Sirf Khwabo Main Ayeinge;
- Humne Kaha Tu Wada To Kar, Zindgi Bhar Ke Liy Soo Jayeinge!
- **********************************
- Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel;
- Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!
- **********************************
- Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh;
- Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski!
- **********************************
- Har Shakhs Nahin Hota Har Shakhs Ke Kabil;
- Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahin Kartey!
- **********************************
- Khaali Hath Bazaar Vichon Langh Aaye;
- Doonghi Soch Vichar Vichon Langh Aaye;
- Jithe Phul Te Chaadra'n Charh Diyaan Ne;
- Assi Te Uss Mazaar Vichon Bhi Langh Aaye!
- **********************************
- Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Ranj Bhi Aise Uthaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane;
- Tu Ne Dil Itne Sataaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Muskurate Hue Woh Mazmaa-e-Agyaar Ke Saath;
- Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayi Dono Aankhein;
- Aise Jalwe Nazar Aaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaare Dushman;
- Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai;
- Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Kooche Se;
- Is Tarah Kheench Ke Laaye Hain Ki Jee Jaanta Hai!
- **********************************
- Umar Kitni Manzilein Teh Kar Chuki;
- Dil Jahaan Thehra, Thehra Hi Reh Geya!
- **********************************
- Koshish Ke Baad Bhi Jo Poori Na Ho Saki;
- Tera Naam Bhi Unn Khawishon Mein Hai!
- **********************************
- Gham-e-Hyaat Pareshaan Na Kar Sake Ga Mujhe;
- Ki Aageya Hai Hunar Mujh Ko Muskurane Ka!
- **********************************
- Assi Kisse De Kujh Nahi Lagde, Na Koi Saada Dardi;
- Vich Rawaa'n De Chadd Ke Tur Gaye, Wah Maula Teri Marzi!
- **********************************
- Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam;
- Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam;
- Ham Ko Nahi Maloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
- Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaanay Ka Mausam;
- Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai;
- Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam;
- Aey Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham;
- Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam;
- Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
- Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam;
- Chehre Pe Agar Hai Mere Subaah Ka Ujaala;
- Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam!
- **********************************
- Bura Samjhu Unhein Mujhse To Aisa Ho Nahi Sakta;
- Ki Main Khud Bhi To Hoon 'Iqbal' Apne Nukta-Cheeno Mein!
- **********************************
- Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar;
- Humne Aghosh-e-Mohabbat Mein Sulaye Pathar!
- **********************************
- Tumhare Baad Na Khushi Ho Saki Apni;
- Tumhare Baad Adhoore Tamam Khawab Lage!
- **********************************
- Kya Sitam Hai Ki Ab Teri Soorat;
- Gaur Karne Pe Yaad Aati Hai!
- **********************************
- Sun To Sahi Jahaan Mein Hai Tera Fasanaa Kyaa;
- Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;
- Jeena Saba Dhundti Hai Apni Musht-e-Khaak;
- Baam-e-Buland Yaar Ka Hai Astana Kya;
- Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Rooh Ko;
- Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;
- Betab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
- Mehman Sara-e-Jism Ka Hoga Ravanaa Kya!
- **********************************
- Chandni Raat Bari Der Ke Baad Aayi;
- Yeh Mulaqat Bari Der Ke Baad Aayi;
- Aaj Aye Hain Woh Milne Ko Bari Der Ke Baad;
- Aaj Ki Raat Bari Der Ke Baad Aayi!
- **********************************
- Ab Zara Tafseel Se Aye Qaasid-e-Khush'ruu Bata;
- Pehle Us Ne Kya Kaha, Phir Kya Kaha, Phir Kya Kaha!
- **********************************
- Hosh e Haalat Pe Kaboo To Kar Liya Maine;
- Unhe Dekhke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
- **********************************
- Doosron Ko Hamari Sazaayen Na De;
- Chandni Raat Ko Bad'duyain Na De;
- Phool Se Aashiqui Ka Hunar Seekh Le;
- Titliyan Khud Rukein Gee Sadayen Na De;
- Motiyon Ko Chupaa Sipiyon Ki Tarah;
- Bewafaon Ko Apni Wafayen Na De;
- Main Bikhar Jaaon Aansuon Ki Tarah;
- Is Qadar Pyar Se Bad'duyain Na De!
- **********************************
- Kitaab-e-Zeest Ka Ek Aur Baab Hatam Hua;
- Shabaab Hatam Hua, Azaab Hatam Hua!
- **********************************
- Tum Kya Gaye Ki Waqt Ka Ehsaas Mar Geya;
- Raaton Ko Jaagte Rahe Aur Din Ko So Gaye!
- **********************************
- Yaad Rakhna Hi Mohabbat Mein Nahi Hai Sab Kuch;
- Bhool Jana Bhi Badi Baat Hua Karti Hai!
- **********************************
- Jo Zindagi Vich Hoya Ohi Geetan Vich Main Likheya;
- Changa Ya Maada Thokran Kha Kha Ke Main Sikheya;
- Par Hun Pta Lagga Zindagi Jeeni Ini Aasan Nahi;
- Paise Ton Bina Ithe Kise Di Koi Shaan Nahi!
- **********************************
- Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
- Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
- Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri;
- Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
- Meri Awaaz Tanhaai Mein Marti Ja Rahi Hai;
- Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaroori Ho Geya Hai;
- Azaab Zulmat-e-Shab Hai Ki Ab Dil Ke Labon Par;
- Koi Harf-e-Duaa Hona Zaroori Ho Geya Hai!
- **********************************
- Wohi Ahal-e-Karwan Hain Wohi Be Hisi Ka Alam;
- Na Kisi Ko Manzil Na Gham-e-Shikasta Pani!
- **********************************
- Na Zaat Mein Koi Manzil Na Qayenat Mein Hai;
- Safar Karoon Toh Kahan Mera Koi Jada Nahin!
- **********************************
- Jaane Wale Dil Ko Pathar Kar Gaye;
- Phir Kissi Ko Dekh Kar Dil Dhadka Hi Nahin!
- **********************************
- Likhan Waliya Ho Ke Dyal Likh De;
- Meri Kismat Vich Meri Jaan Da Pyar Likh De;
- Likhi Na Us Naal Mera Kade Vi Vichoda;
- Hor Bhavein Dukh Sanu Hazaar Likh De!
- **********************************
- Mujh Se Kaafir Ko Tere Ishq Ne Yun Sharmaya;
- Dil Tujhe Dekh Ke Dhadka Toh Khudaa Yaad Aaya;
- Mere Dil Pe Toh Hai Ab Tak Tere Gham Ka Saaya;
- Log Kehte Hain Naya Daur Naye Dukh Laya;
- Mera Meyaar-e-Wafaa Hi Meri Majboori Hai;
- Rukh Badal Kar Bhi Tujhe Apne Muqaabil Paya;
- Charagar Aaj Sitaron Ki Kasam Kha Ke Bata;
- Kis Ne Insaan Ko Tabasum Ke Liye Tadpaya;
- Log Hanste Hain Toh Is Soch Mein Kho Jata Hun;
- Mauj-e-Sailaab Ne Phir Kis Ka Gharaunda Dhaaya;
- Uss Ke Andar Koi Fankaar Chupaa Baitha Hai;
- Jaantey Boojhtey Jis Shakhs Ne Dhokha Khaya!
- **********************************
- Jise Khud Se Hi Nahin Furstein; Jise Khayal Apne Kamaal Ka; Useh Kya Khabar Mere Shaunq Ki; Useh Kya Pata Mere Haal Ka!
- **********************************
- Mujhe Yaqeen Hai Ki Tum Munfarid Ho Auron Se;
- Tumhein Ghumaan Hai Ki Shayad Main Auron Jaisa Hoon!
- **********************************
- Na Tadapne Kee Izaazat Hai Na Fariyaad Kee Hai;
- Ghuutt Ke Mar Jaaon Yeh Marzi Mere Sayaad Ki Hai!
- **********************************
- Eh Zindagi Di Chahat Da Silsila Hai;
- Koi Mil Geya Te Koi Vichhar Gya;
- Jinna Nu Mangya Si Duavaan Ch;
- Oh Kisi Hor Nu Bina Mange Mil Gya!
- **********************************
- Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-e-Yaar Hota;
- Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota;
- Na Mazaa Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein;
- Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota;
- Yeh Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti;
- Na Tumhein Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota;
- Tere Vaade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte;
- Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota!
- **********************************
- Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha;
- Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha;
- Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain;
- Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha!
- **********************************
- Umeed To Manzil Pe Pahunchne Ki Bari Thi;
- Taqdeer Magar Janay Kahan Soyi Parri Thi;
- Khush They Ke Guzarein Gey Rafaqat Mein Safar Ab;
- Tanhayee Magar Baahon Ko Phir Kholey Khari Thi!
- **********************************
- Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Yeh Nizaam Hua Kare;
- Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare!
- **********************************
- Rabb Toh Pyara Koi Naam Nahi Hunda;
- Ohdi Nigha Vich Koi Aam Ya Khaas Nahi Hunda;
- Duniya Di Mohhabat Vich Hai Dhokhebazi;
- Par Usdi Mohabbat Ch Koi Badnaam Nahi Hunda!
- **********************************o
- Meri Saari Zindagi Ko Besamar Iss Ne Kiya;
- Umar Meri Thi Magar, Isko Basar Iss Ne Kiya;
- Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
- Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;
- Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
- Mujhko Seedhey Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;
- Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Huwa;
- Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'mcoatbir Iss Ne Kiya;
- Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
- Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Per Iss Ne Kiya!
- **********************************
- Uss Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
- Jalib Chalo Kahin Se Usse Dhoond Layen Hum!
- **********************************
- Khudaa Buri Nazar Se Bachaye Aap Ko;
- Chand Sitaron Se Sajaye Aap Ko;
- Ghum Kya Hota Hai Ye Aap Bhool Hi Jao;
- Khudaa Zindagi Mein Itna Hasaye Aap Ko!
- **********************************
- Sun Kar Tamaam Raat Meri Dastaan-e-Gham;
- Boley To Sirf Yeh Ke Bahut Boltey Ho Tum!
- **********************************
- Mumkin Hai Nikal Aaye Yahan Koi Musafir;
- Sehraa Mein Lagaate Chalo Do Chacar Shajar Aur!
- **********************************
- Dono Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
- Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar Ke;
- Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai;
- Tum Kya Gaye Ki Rooth Gaye cDin Bahaar Ke;
- Ik Fursat-e-Gunaah Mili, Wo Bhi Chaar Din;
- Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar Ke;
- Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
- Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar Ke;
- Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj 'Faiz';
- Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar Ke!
- **********************************
- Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho;
- Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho;
- Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar'daaar;
- Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa'n Koi Na Ho!
- **********************************
- Qaasid Ke Aatae Aatae Khat Ik Aur Likh Rakhoon;
- Main Janta Hun Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein!
- **********************************
- Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jaao Ge Lekin;
- Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi!
- **********************************
- Har Roz Nave Bahaane Di Duhaai Na Deya Kar;
- Milna Nahi Hunda Tan Dikhayi Na Deya Kar;
- Hun Teriyan Gallan Ch Sachayi Nahi Mildi;
- Avein Apne Pyar Di Safai Na Dceya Kar!
- **********************************
- Sun To Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasanaa Kyaa;
- Kehti Hai Tujh Se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa Kya;
- Zina Saba Kaa Dhundati Hcai Apni Musht-e-Khaak;
- Baam-e-Baland Yaar Ka Hai Astana Kya;
- Aati Hai Kis Tarah Se Meri Kabz-e-Ruuh Ko;
- Dekhun To Maut Dhund Rahi Hai Bahana Kya;
- Betaab Hai Kamal Hamara Dil-e-Azeem;
- Mahmaan Saray-e-Jism Ka Hoga Ravana Kya!
- **********************************
- Shaam-e-Wada Sahi, Dukh Zyada Hi Sahi, Phir Bhi Dekho 'Faraz';
- Aaj Shab, Us Ki Furqat Mein Keh Lo Ghazal, Kal Usay Dekhna!
- **********************************
- Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai;
- Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai;
- Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua;
- Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai!
- **********************************
- Dhoondte Ho Kya In Aankhon Mein Kahani Meri;
- Khud Mein Gum Rehna To Aadat Haci Purani Meri!
- **********************************
- Bana Ghulab To Kaante Chubaa Geya Ek Shakhs;
- Hua Chiragh To Ghar Hi Jalac Geya Ek Shakhs!
- **********************************
- Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
- Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;
- Chahye Paighambar Dono Taraf;
- Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;
- Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
- Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;
- Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
- Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;
- Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho;
- Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;
- `Daagh` Itraaye Huey Phirtay Hain Aaj;
- Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
- **********************************
- Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye;
- Sur Jismein Hai Sab Gum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye;
- Main Kaun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye Zindaa Hoon;
- Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye!
- **********************************
- Tere Khayaal Mein Jab Be-Khayaal Hota Hoon;
- Zara Si Der Hi Sahi Be-Misaal Hota Hoon!
- **********************************
- Dard Ke Lamhe Kab Hum Par Asaan Bane;
- Jo Dukh Aansu Na Ban Sake cWoh Toofaan Bane!
- **********************************
- Jo Assar Hai Akh Di Maar Ander;
- Oh Na Teer Te Na Talwaar Ander;
- Ohna Rab Nu Labh Ke Ki Lena;
- Jinna Paa Leya Rab Nu Yaar Ander!
- **********************************
- Ajnabi Khauf Fizaon Mcein Basa Ho Jaise;
- Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise;
- Raat Ke Pichle Pahar Aati Hain Awazein Si;
- Dur Shahara Mein Koi Cheekh Raha Ho Jaise;
- Dar-O-Deewar Pe Chayi Hai Udaasi Aisi;
- Aaj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;
- Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
- Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;
- Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na 'Kamal';
- Bahte Pani Pe Mera Naam Likha Ho Jaise!
- **********************************
- Main Thak Geya Hu Bahut Shaayadaar Pedon Se;
- Zara Si Dhoop Bichhakar Qayaam Karta Hu!
- **********************************
- Roz Kehta Hu Ki Bhul Jaunga Usse;
- Magar Na Jane Kyun Roz Ye Baat Bhul Jata Hu!
- **********************************
- Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Kare;
- Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mcujhe Koi Kaam Hua Kare!
- **********************************
- Badal Dena Hai Raasta Ya Kahin Par Baith Jana Hai;
- Ki Thaktaa Ja Raha Hai Humsafar Ahistaa Ahistaa!
- **********************************
- Haadsa Ikko Hi Mere Naal Aksar Ho Geya;
- Jo Vi Sheesha Dekhya Main, Ohi Patthar Ho Geya!
- **********************************
- Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai;
- Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai;
- Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shaunq Say Jana;
- Aisay Mein Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai;
- Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai;
- Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai;
- Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena;
- Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai;
- Samajh Geya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi;
- Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai;
- Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke;
- Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai;
- **********************************
- Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pe Iqbal;
- Jo Lahoo Se Tameer Hue Thec, Paani Se Bah Gaye!
- **********************************
- Phadfadata Hai Jo Din Raat Mere Seeney Mein;
- Ab Yehi Ek Parindaa Hai Rihaa cKarne Ko!
- **********************************
- Teri Banda Parwari Se Mere Din Guzar Rahe Hain;
- Na Gila Hai Doston Ka, Na Shikayat-e-Zamana!
- **********************************
- Koi Aakhda Rabb Da Roop Ehnu;
- Koi Rabb Da Ehnu Wazir Aakhe;
- Rabb V Ohnu Nai Mod Sakda;
- Gal Mauj Vich Jehdi Fakeer Aakhe!
- **********************************
- Yehi Nahi Ki Toofan Meri Talaash Mein Hai;
- Ki Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai;
- Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
- Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talacash Mein Hai;
- Main Faislay Kee Ghari Se Guzar Chali Hun;
- Kisi Kee Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai;
- Ye Be Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai;
- Ki Ik Qirya-e-Veeran Meri Tcalaash Mein Hai;
- Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun;
- Koi Chiraagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai;
- Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko;
- Ki Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai!
- **********************************
- Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge;
- Gaur Farmaiye:
- Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge;
- Magar Kambakhat Saali Sadak Hi Seedhi Nikli!
- **********************************
- Na Muskurane Ko Jee Chahta Hai;
- Na Khane-Peene aur Na Hi Sone Ko Jee Chahta Hai;
- Yeh Garmi Abb Bardasht Karni Hai Badi Mushkil;
- Abb To Paharon Pe Chale Jane Ko Jee Chahta Hai!
- **********************************
- Bikhri Kitaabein, Bheege Auraacq Aur Yeh Tanhai;
- Kahoon Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi!
- **********************************
- Iss Daur Ka Ek Bada Fasaadi Hoon Main;
- Jo Sach Lage Bas Wohi Keh Deta Hoon Main!
- **********************************
- Kuch Aur Bhi Hain Humein Kaacm, Aye Gham-e-Janaan;
- Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Sanwaare!
- **********************************
- Kadi Mehak Nahi Mukdi Phullan Vichon;
- Phul Sukde Sukcde Suk Jandey;
- Kadi Pyar Nahi Mukda Dilan Vichon;
- Saah Mukde Mukde Muk Jandey!
- **********************************
- Khulta Nahin Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair;
- Par Dil Kee Jaan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;
- Main Kaise Kahun Tum Aao Ki Dil Kee Kashish Se Wo;
- Ayenge Daude Aap Mere Ghar Kahe Bagair;
- Kya Taab Kya Majal Hamari Ki Bosa Lein;
- Lab Ko Tumhare Lab Se Milakar Kahe Bagair;
- Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
- Rehta Nahin Hai Aashiq-E-Muztar Kahe Bagair;
- Taqdir Ke Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
- Dilawata Ae 'Zafar' Hai Muqaddar Kahe Bagair!
- **********************************
- Raha Na Dil Mein Woh Bedcard Aur Dard Raha;
- Muqeem Kaun Hua Hai, Maqaam Kiss Ka Thaa!
- **********************************
- Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata Hoon;
- Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana!
- **********************************
- Bas Itni Guzarish Hai Mohacbbat Mein Mere Maula;
- Mujhe Nakaam Hone Se Zara Pehle Uthaa Lena!
- **********************************
- Bartan Lohe Da Kadi Tutda Nahi;
- Maali Kadi Apne Baagc Nu Putda Nahi;
- Tut Janday Kadi Kadi Khoon De Rishte;
- Par Rishte Sachi Dosti De Kadi Tutde Nahi!
- **********************************
- Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
- Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;
- Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
- To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;
- Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
- Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;
- Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main;
- Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;
- Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
- Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe;
- Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya, cJawab Tha Ki Zindagi;
- Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!
- **********************************
- Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ki Jaise;
- Lutt Jaye Kahin Raah Mein Scamaan Kisi Ka!
- **********************************
- Qasam De Ke Apni Tujhe Rok Ley Ga;
- Teri Laghzishon Pe Tujhe Tok De Ga;
- Tu Murr Murr Ke Pichce Kise Dekhta Hai;
- Tera Kaun Hai Jo Tujhe Rok Le Ga!
- **********************************
- Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
- Issi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
- **********************************
- Bahut Waar Badal Badal Ke Vekh Lia Apnia Rahaan Main;
- Par Pata Nahio Kyon Manzil Te Ta Sirf Te Sirf Tu Hi Disdi Hai!
- **********************************
- Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo;
- Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo;
- Tum Ne Bhi Suni HoGi Bari Aam Kahawat Hai;
- Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo;
- Pur-Soz Dilon Ko Jo Muskan Na De cPaye;
- Sur Hi Na Mile Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo;
- Dushman Ke Iradon Ko Hai Zahir cAgar Karna;
- Tum Khel Wohi Khelo Andaz Badal Dalo;
- Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Savera Hai;
- Agar Chahte Ho Manzil To Parwaaz Badal Dalo!
- **********************************
- Hum Zamane Mein Yun Hi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz;
- Hazaron Chahne Wale The Kis-Kis Se Wafa Karte!
- **********************************
- Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Loon;
- Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Loon;
- Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri;
- Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Loon!
- **********************************
- Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain, Ankhein Hain;
- Main Unn Mein Doob Geya, Aitbar Karte Hue!
- **********************************
- Pathar Zehan Gulaab Nahi Hunday;
- Korey Waraq Kitaab Nahi Hunday;
- Je Ker Laaiye Yaari Sajna;
- Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunday!
- **********************************
- Kab Tak Dil Ki Khair Manaae Kab Tak Raah Dikhaaoge;
- Kab Tak Chain Ki Mohalat Doge, Kab Tak Yaad Na Aaoge;
- Bitaa Did Umeed Kaa Mausam, Khaak Udati Hai Aankhon Mein;
- Kab Bhejoge Dard Kaa Baadal, Kab Barkhaa cBarasaaoge;
- Ahad-e-Vafaa Aur Tark-e-Mohabbat Jo Chaaho So Aap Karo;
- Apane Bas Ki Baat Hi Kyaa Hai, Hamase Kyaa Manavaaoge;
- Kisne Vasl Kaa Sooraj Dekhaa, Kis Par Hijr Ki Raat Dhali;
- Gesuon Vaale Kaun The, Kya The, Ucnko Kya Jatalaaoge;
- 'Faiz' Dilon Ke Bhaag Mein Hai Ghar Basanaa Bhi Lut Jaanaa Bhi;
- Tum Us Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitane Din Itaraaoge!
- **********************************
- Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari;
- Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari;
- Kya Udhar Light Aa Ri?
- Idhar Toh Aa Ri - Ja Ri, Aa Ri - Ja Ri!
- **********************************
- Issi Khayaal Se Guzri Hai Shaam-e-Dard Aksar;
- Ke Dard Hadh Se Jo Guzre Ga Muskuraa Doon Ga!
- **********************************
- Kabhi Pathar Se Bhi Takraye To Kharaash Tak Na Aye;
- Kabhi Ik Baat Hi Se Insaan Toot Ke Bikhar Jatey Hain!
- **********************************
- Ghar To Basa Liya Hai Hum Ne Mil Kar Apna;
- Sheeshay K Ghar Mein Kaise Rah Painge Batao!
- **********************************
- Dil Ke Sehraa Mein Kab Aalam-E-Tacnhai Hai;
- Jab Bhi Dekha Teri Tasveer Nazar Ayi Hai!
- **********************************
- Yeh Aur Baat Teri Gali Mein Na cAyen Hum;
- Lekin Yeh Kya Ki Tera Sheher Chod Jayen Hum;
- Muddat Huyi Hai Kuye Bataan Ki Taraf Gaye;
- Awaargi Se Dil Ko Kahan Tack Bachaayen Hum;
- Be'noor Ho Chuki Hai Bahut Sheher Ki Fizaa;
- Tareek Raston Par Kahin Kho Na Jayen Hum;
- Us Ke Baghair Aaj Bahut Jee Udaas Hai;
- Jaalib Chalo Kahin Se Usey Dhoond Ke Layen Hum!
- **********************************
- Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya;
- Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Gham Rozgaar Ke!
- **********************************
- Kise Maloom Tha Ishq Is Qadar Lachaar Karta Hai;
- Dil Usse Janata Hai Bewafa, Magar Pyaar Karta Hai!
- **********************************
- Bikhri Kitaabein, Bheegey Auraaq Aur Yeh Tanhai;
- Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbatc Mein Kuch Bhi Nahi!
- **********************************
- Assa Vaang Musafir Tur Jaana;
- Teri Mehfil Sada Abaad Rahe;
- Kade Do-Chaar Hanju cDol Lavin;
- Jekar Tenu Saadi Yaad Rahe!
- **********************************
- Jo Bhi Deewar Hai Raste Mein Giraa Ke Ro Lein;
- Aao Ik Doojay Ko Seene Se Laga Ke Ro Lein;
- Saamne Tu Hai To Hum Dil Mein Bhi Ro Sakte Hain;
- Yu'n Karein Hum Tujhe Baaton Mein Laga Kar Ro Lein;
- Tere Aaney Se Yeh Naraaz Raha Karte Hain;
- Jee Mein Hai Aaj Har Ik Gham Ko Manaa Kar Ro Lein!
- **********************************
- Doobtey Doobtey Kashti Ko Uchala De Doon;
- Main Nahi Koi To Sahil Par Utar Jaye Ga
- Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka 'Faraz'
- Zalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaye Ga!
- **********************************
- Dil De To Is Mizaaj Ka Parwardigaar De;
- Jo Ranjj Ki Gharri Bhi Khushi Se Guzaar De!
- **********************************
- Yeh Samaat Ka Bharam Hai Ya Kisi Naghmey Ki Goonj;
- Aik Pehchaani Si Awaaz Aati Haci Mujhey!
- **********************************
- Likhan Waleya Ho Ke Dyal Likh De;
- Meri Kismat Wich Meri Jaan Dca Pyar Likh De;
- Likhi Na Us Naal Mera Kade Vi Vichoda;
- Hor Bhavein Dukh Sanu Hazaar Likh De!
- **********************************
- Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Macin Zinda Hoon Abhi;
- Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
- Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say;
- Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
- Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay;
- Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
- Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi;
- Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
- Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa;
- Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi!
- **********************************
- Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi;
- Yeh Bata Kiss Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga;
- Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi;
- Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga!
- **********************************
- Hamari Subh Sham Hoti Thi Jin Ke Pehloo Main;
- Waqt Badala To Dikhai Dete Hain, Ghairon Ke Dariche Main!
- **********************************
- Ghar Se Har Waqt Nikal Aatey Ho Kholey Hue Baal;
- Kuch To Shaam Dekhi Meri Jaan, Savera Dekho!
- **********************************
- Har Roz Nave Bahaane Di Duhaai Na Deya Kar;
- Milna Nahi Hunda Tan Dikhayi Nac Deya Kar;
- Hun Teriyan Gallan Ch Sachayi Nahi Mildi;
- Avein Apne Pyar Di Safai Na Deya Kar!
- **********************************
- Dil Jal Raha Tha Gham Se Macgar Nagmagar Raha;
- Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha;
- Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa;
- Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha;
- Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi;
- Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha;
- Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi;
- Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha;
- Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua;
- Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yahi Dil Mein Dar Raha;
- Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha 'Munir';
- Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha
- **********************************
- Kash Takdeer Bhi Hoti Zulf Ki Tarah;
- Jab Jab Bikharti, Tab Tab Sawaar Lete!
- ***************************c*******
- De Ga Agar Dard To Khud Bhi Doobay Ga;
- Woh Ek Shakss Jo Ankhon Me Rehta Hai!
- **********************************
- Bewafayi Ki Intehaa Kar De;
- Taaki Maloom Ho Wafaa Kya Hai!
- **********************************
- Teri Khushi Se Agar Gham Mecin Bhi Khushi Na Hui;
- Woh Zindagi To Mohabbat Ki Zindagi Na Hui!
- **********************************
- Bahut Waar Badal Badalc Ke Vekh Lia Apnian Rahaan Main;
- Par Pata Nhio Kyon Manzil Te Ta Sirf Te Sirf Tu Hi Disdi Hai!
- **********************************
- Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
- Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;
- Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi;
- Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi;
- Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain;
- Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi;
- Ham Chale Us Ki Bazm Se cUth Kar;
- Aur Wo Hai Ki Rokta Hee Nahi;
- Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi;
- Chup Ke Pathar Hai Bolta Hee Nahi;
- Main To Us Ki Talaash Mein Guum Hun;
- Wo Kabhi Mujh Ko Dhocondta Hee Nahi
- **********************************
- Jin Ke Angan Mein Ameeri Kca Shajar Lagta Hai;
- Unn Ka Her Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!
- **********************************
- Un Ke Khat Ki Arzoo Hai, Un Ki Aamad Ka Khayal;
- Kiss Qadar Phaila Hai Karobaar-e-Intezaar!
- **********************************
- Pagalpan Ki Sari Lakeerein Mere Hath Me Kyun;
- Jis Ko Chahoon Main Hi Chahoon, Main Hi Chahoon Kyun!
- **********************************
- Bhul Baitha Si Kade Chann Taare Kise De Nahi Hoye;
- Aiwen Ambran Wal Hath Marda Reha!
- **********************************
- Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
- Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;
- Us Ki Zulfien Bahut Gchaneri Hain;
- Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;
- Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
- Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;
- Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlien;
- Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;
- Kapkapati Hai Ratc Seeney Me;
- Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
- **********************************
- Hosh Apna Bhi Aye Ga Lekin Pehle;
- Dil Teri Yaadon Se Rihaa Toh Ho!
- **********************************
- Tumhein Maloom Bhi Hai Main Tanha Jee Nahin Sakta;
- Meri Aadat Badalne Tak To Mere Saath Ruk Jao!
- DARD**********************************
- Tere Husan Ko Pardey Ki Zarurat Hi Kya Hai;
- Kaun Hosh Main Rehta Hai Tujhe Dekhne Ke Baad!
- HUSN**********************************
- Ikk Aisa Yaar Banaa Baithhe;
- Naa Vichharh Sake Naa Meil Hoya!
- **********************************
- Ranj Ki Jab Guftaguu Honay Lagi;
- Aap Se Tum Tum Se Tu Honay Lagi;
- Chahye Paighambar Dono Tcaraf;
- Lutf Kia Jab Du-Ba-Du Honay Lagi;
- Meri Ruswayi Ki Naubat Aagayi;
- Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Honay Lagi;
- Be Niazi Badh Gayi Hai Is Qadar;
- Aarzoo Ki Aarzoo Honay Lagi;
- Ab To Mil Kar Dekhiye cKya Rang Ho;
- Phir Hamari Justajuu Honay Lagi;
- 'Daagh' Itraaye Hue Phirtay Hain Aaj;
- Shaayad Unki Aabruu Honay Lagi!
- **********************************
- Meri Tanhayi Ko Mera Shouq Mat Samajhna;
- Bahut Pyaar Se Diya Hai Yeh Tohfa Kisi Ne!
- **********************************
- Hosh-e-Haalat Pe Kabu To Kar Liya Maine;
- Unhe Dekh Ke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
- ISHQ**********************************
- Shabb Ki Tanhai Mein Gungunaati Rahin;
- Beeti Baatein Mujhe Yaad Aati Rahin!
- **********************************
- Yaad Aun Oh Pal, Jadon Ohh Saade Kcareeb Si;
- Yakeen Ni Aunda Khud Te, Kade Asi Enne Khushh Naseeb Si!
- **********************************
- Aa Jayen Ham Nazar Jo Koi Dacm Bahut Hai Yan;
- Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan;
- Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Hamein Nahin;
- Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan;
- Ham Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke;
- Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan;
- Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dahar Mein;
- Uth Asman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan;
- Is Butkade Mein Mani Ka Kis Se Karen Sawal;
- Adam Nahin Surat-e-Adam Bahut Hai Yan;
- Ajaz-e-Isawi Se Nahin Bahs Ishq Mein;
- Teri Hi Bat Jan-e-Mujassim Bahut Hai Yan;
- Mere Hilak Karne Ka Gam Hai Abas Tumhen;
- Tum Shad Zindagani Karo Gam Bahcut Hai Yan;
- Shayad Ke Kam Subh Tak Apana Khinchena Mir;
- Ahawal Aj Sham Se Darham Bahut Hai Yan!
- **********************************
- Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaacyi Hui Hai Raat;
- Shayed Hamari Tarah Hi Sataayi Hui Hai Raat!
- **********************************
- Koi Aur Hi Kaam Somp Do Mujhe Ab Tum;
- Yeh Kya Tujhe Sochna Aur Sochtey Hi Rehna!
- **********************************
- Kab Talak Tuj Pe Inhisar Krain;
- Kyun Na Ab Doosron Se Pcyar Krain;
- Tu Kabi Waqt Par Nahi Pahuncha;
- Kis Tarah Tera Aitbar Krain!
- **********************************
- Muddtaa Hoyian Vicchde Nu.. Ohh Gallaan Fer Yacad Karn Nu Jee Krdaa;
- Rabb Jaane Tera Mera Ki Rishhta.. Ajj Fer Tennu Aapni Kehn Nu Jee Krda!
- **********************************e
- Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq;
- Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;
- Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho;
- Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;
- Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai;
- Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;
- Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
- Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq;
- Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha;
- Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;
- Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka;
- Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;
- Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain;
- Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!
- **********************************
- Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
- Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
- Mohabbaton Ke Saheefay Hainc Ya Azaab Koi;
- Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe!
- **********************************
- Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chaho Lagac Do Dar Kaisa;
- Gar Jeet Gae To Kia Kehna Hare Bhi To Bazi Mat Nahin!
- I**********************************
- Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain;
- Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain!
- **********************************
- Tere Varga Hi C Chehra Jissne Kujhh Chhaddeya Nahi;
- Kujhh K Bhull Chukka Haan;
- Kujhh Bhhullna Baaki Hai;
- Kujhh Kujhh Yaad Hai!
- **********************************
- Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho;
- Ik Baar Kaho Tum Mere Ho;
- Mujhe Tum Bin Kuch Dikhcaayi Na De;
- Kyun Itnay Ghoor Andheray Ho;
- Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki;
- Tum Mere Rain Basairay Ho;
- Mein Maal-o-Manaal Mochabbat Ka;
- Tum Daaku Chor Lutairay Ho;
- Kuch Bolo Ya Aazaad Karo;
- Kyun Khamooshi Se Ghairay Ho!
- **********************************
- Har Ek Jazbat Ko Zubaan Nahi Milti;
- Dil Ki Har Ek Aarzoo Ko Dua Nahi Milti;
- Muskan Banaye Rakho To Duniya Sath Hai;
- Warna Aansuo Ko Bhi Aankho Mein Panah Nahi Milti!
- **********************************
- Teri Yaad Mein Humne Kalam Uthaayi;
- Liya Paper Aur Tasveer Aapki Banayi;
- Socha Tha Ki Usko Dil Se Laga Kar Rakhenge;
- Magar Wo Toh Bacho Ko Draane Ke Kaam Aayi!
- **********************************
- Kya Khabar Thi Hame Ke Mohabbcat Ho Jaye Gi;
- Hume To Bas Tera Muskurana Acha Laga Tha!
- **********************************
- Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
- Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
- **********************************
- Barsey Bagaer Hi Jo Ghactta Aa Kar Nikal Gai;
- Aik Bewafa Ka Ahd-e-Wafa Yaad Aa Gaya!
- **********************************
- Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote Hain;
- Jaagti Aankoh Me Bhi Kuch Khawab Hote Hain;
- Zaroori Nahi Ki Gham Me Aansu Nikle;
- Mushkurati Aankho Me Bhi Sailab Hote Hain!
- **********************************
- Sanu Lodh Teri Kinni Assi Dasde Nahi;
- Sach Jaani Tere Bina Assi Kakh De Nahi;
- Tasveer Teri Rakh Layi Aa Dil Vich;
- Bhul Ke Vi Kise Hor Nu Assi Takde Nahi!
- **********************************
- Aap Ko Dekh Kar Dekhataa Rah Gayaa;
- Kyaa Kahun Aur Kahane Ko Kyaa Rah Gayaa;
- Unki Aankhon Se Kaise Chhalakane Lagaa;
- Mere Honthon Pe Jo Maajaraa Rah Gayaa;
- Aise Bichha.De Sabhii Raah Ke Mod Par;
- Aakharii Ham-Safar Raastaa Rah Gayaa;
- Soch Kar Aao Kuu-e-Tamancnaa Hai Ye!
- **********************************
- Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai;
- Pass Hain Har Aur Sannata, Tacnhai Muskurai Hai!
- **********************************
- Taaza Mangein Hain Fasaane Hum Se;
- Jab Milein Hain Dost Puraane Hum Se!
- **********************************
- Ab Magar Kuch Bhi Nahin, Kuch Bhi Nahin Ho Sakta;
- Apne Jazbon Se Yeh Rangeen Shacrarat Na Karo;
- Kitni Masoom Ho, Naazuk Ho, Hamaqat Na Karo;
- Baar'haa Tum Se Kaha Tha Ke Mohabbat Na Karo!
- **********************************
- Ohh Aa Ke Mere Suppne Ch Ajj Vi Onnaa Hi Hassdi E;
- Par Main Hi Kamla Ro Painda Haan Ohnu Chete Karke!
- **********************************
- Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;
- Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo;
- Hum Ne Apni Har Saans Par Naam Tera Likh Diya;
- Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya;
- Ishq Mein Tum Bhi Sanam Hadch Se Guzar Ke Dekh Lo;
- Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo;
- Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar;
- Jab Se Tum Ankhoon Mein Aaye Jaagti Hai Ye Nazar;
- Apni Ratoon Se Meri Ratein Bcadal Ke Dekh Lo;
- Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Mein Utar Ke Dekh Lo!
- **********************************
- Umeedon Ki Manzil Toot Gayi;
- Aankho Se Ashqo Ki Dhara Beh Gayi;
- Arre Tumhari Bhi Kya Ijjat Reh Gayi;
- Jab Class Main Ladki Bhaiya Keh Gayi!
- **********************************
- Main Tujhe Ko Bhool Chuka, Lekin Ek Umar Ke Baad;
- Tera Kheyal Kya Tha Ke Chott Ubhar Aayi!
- **********************************
- Mere Paas Itne Sawaal Thay Meri Umar Se Na Simat Sake;
- Tere Paas Jitne Jawaab Thay Teri Ek Nigaah Mein Aa Gaye!
- **********************************
- Ek Khushi Dil Ne Kya Maang Li;
- Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi!
- **********************************
- Ungliyan Tutt Gyiyan Pathhar Nu Traashde Traashde;
- Jadon Yaar Di Soorat Bani Taa Khareed'daar Aa Gye!
- **********************************
- Hum Nahin Kehte Hamari, Teri Duniya Ho Jaye;
- Itne Rangon Mein Koi Rang Toh Apnac Ho Jaye;
- Ishq Woh Turfa-Balaa Hai Ke Kare Jis Ki Talb;
- Us Ko Maloom Na Ho, Sheher Mein Charcha Ho Jaye;
- Do Sitaron Ko Jo Dekhoon Tceri Ankhein Ban Jayein;
- Chand Ko Dheyan Mein Laaon Tera Chehra Ho Jaye;
- Har Dora Hai Yeh Nigehbaan Khari Hai Kismat;
- Kaise Mumkin Hai Ke Har Shasks Ka Socha, Ho Jaye;
- Hum Ko Har Bazm Mein, Har Haal Mein Sach Kehna Hai;
- Sheher Ka Sheher Khafaa Hota Hai, Acha Ho Jaye;
- Ishq Woh Kaar-e-Musalsal Hai Nahin Jis Ki Akheer;
- Us Ki Taufiq Hai Jis Shakhs Se Jitna Ho Jaye;
- Husn Ki Ankh Woh Tahsees Talb Hai Amjad;
- Bheed Ho Charon Taraf Aur Koi Tanha Ho Jaye!
- **********************************
- Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein;
- Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log!
- **********************************
- Jo Buraayi Mere Naam Se Mansoob Huyi;
- Dosto, Kitna Bura Tha Mera Acha Hona!
- **********************************
- Ab Tak Toh Khair Teri Tamancna Mein Katt Gayi;
- Tu Mil Gaya Toh Sochta Hoon Kya Karon Ga Main!
- **********************************
- Oh Naal Hundi Taa Zindagi Jannat Jehi Laggni Si;
- Ohde Bina Taa Har Saah Jeonde Rehn Di Wajaah Puchhda!
- **********************************
- Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye;
- Duniya Hai Yahan Par Jicye Bin Raha Na Jaye;
- Kat'ti Nahin Yeh Zindagi Umeed Ke Bagair;
- Yeh Jaam Woh Hai Jis Ko Piye Bin Raha Na Jaye;
- Chahat Ka Zakhm Dil Ko Tamasha Na Bana De;
- Aisa Hai Chaak Jis Ko Siye Bin Rahaa Na Jaye;
- Duniya Ke Is Afshaar Mein Hai Us Ki Yaad Yoon;
- Aandhi Ho Tez Aur Diye Bin Raha Na Jaye;
- Ik Simt Tera Hukam Hai, Ik Simt Kayenaat;
- Yeh Bojh Apne Sir Pe Liye Bin Raha Na Jaye!
- **********************************
- Zaamane Ke Dar Se Teri Tasvceer Toilet Mein Chhupa Rakhi Hai;
- Deedar Ho Tera Bar-Bar, Iss Liye Julab Ki Goli Kha Rakhi Hai!
- **********************************
- Saabit Hua Ke Tu Bhi Zamane Ke Sath Hai;
- Saabit Hua Ke Tu Bhi Hamaara Nahin Rahaa!
- **********************************
- Khamoshi Se Adaa Ho cRasm-e-Doori;
- Koi Hungama Barpaa Kyun Karen Hum!
- **********************************
- Tum Ko Jab Bojh Lage Mohabbat To Bata Dena;
- Main Chup-Chaap Mohabbat Se Mukar Jaunga!
- **********************************
- Chali Jaandi Aa Zindagi Saadi.. Ghaat Nahi Hai Saahan Di;
- Bakhashh Deugaa Baba Nanak.. Lambi List Gunaaha Di!
- **********************************
- Dil Ke Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai;
- Itna Besimt Na Chal Laut Ke Ghar Jana Hai;
- Us Tak Ati Hai To Har Chiz Thahar Jati Hai;
- Jaise Pana Hi Use Asl Main Mar Jana Hai;
- Bol Ai Sham-e-Safar Rang-e-Rihai Kya Hai;
- Dil Ko Rukana Hai K Taron Main Thahar Jana Hai;
- Kaun Ubharate Hue Machatab Ka Rasta Roke;
- Us Ko Har Taur Su-e-Dasht-e-Sahar Jana Hai;
- Main Khila Hun To Isi Khak Main Milna Hai Mujhe;
- Vo To Khushbu Hai Use Agle Nagar Jana Hai;
- Vo Tere Husn Ka Jadu Ho K Mera Gam-e-Dil;
- Har Musafir Ko Isi Ghat Utar Jana Hai!
- **********************************
- Woh Aaj Bhi Hume Dekh Kar Muskurate Hein;
- **********************************
- Woh Aaj Bhi Hume Dekch Kar Muskurate Hein;
- Yeh Toh Unke Bachche Hi Kamine Hein;
- Jo Humein Mama-Mama Bulaate Hein!
- **********************************
- Agar Mohabbat Ki Hadh Nahin Koi;
- Dard Ka Hisaab Kyun Rakhoon!
- **********************************
- Doston Se Iss Qadar Sadme Uthaaye Jaan Par;
- Dil Se Dushman Ki Dushmani Ka Gilaa Jata Raha!
- **********************************
- Phir Itne Mayoos Kyun Ho Uski Bewafayi Par Faraz;
- Tum Khud Hi Toh Kehte Thay Ki Woh Sab Se Juda Hai!
- **********************************
- Muddtaa Langhh Gyian Uss To Bina Jeon Di Aadat Paun Ch;
- Kambakhht Uss Di Ikk Jhalak Ne Fer Osse Mod Te Laii Aanda!
- **********************************
- Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai;
- Na Samajho Ye Ke Us Ko Gam Nahi Hai;
- Savad-e-Dard Mein Tanha Khada Hun;
- Palat Jaun Magar Macusam Nahi Hai;
- Samajh Mein Kuch Nahi Ata Kisi Ki;
- Agarche Guftagu Mubham Nahi Hai;
- Sulagta Kyun Nahi Tcarik Jangal;
- Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai;
- Ye Basti Hai Sitam Parvar Digan Ki;
- Yahan Koi Kisi Se Kam Nahi Hai;
- Kinara Dusara Dariya Ka Jaise;
- Vo Sathi Hai Magar Mahram Nahi Hai;
- Dilon Ki Raushani Bujhne Na Dena;
- Vajud-e-Tiragi Mahkam Nahi Hai;
- Main Tum Ko Chah Kar Pachta Raha Hun;
- Koi Is Zakhm Ka Marham Nahi Hai;
- Jo Koi Sun Sake Amjad Toh Suna Dena;
- Ba-Juz Ek Baz Gasht-e-Gam Nahi Hai!
- **********************************
- Dil Main Uthe Armaan Ke cToh Kya Kahne;
- Hum Toh Apni Shayari Bhi Unse Chhupate Rahe!
- **********************************
- Khayal Ko Kissi Aahat Ki Aas Rehti Hai;
- Nigah Ko Kissi Soorat Ki Talash Rehti Hai;
- Tere Bin Koi Kami Toh Ncahi Hai, Dost;
- Bas Gali Waali Jamadarni Udaas Rehti Hai!
- **********************************
- Chottiyan Chhuu Kar Guzarte Hain, Baraste Kyon Nahin;
- Baadlon Ki Ek Surat Aadmi Jaisi Bhi Hai!
- **********************************
- Bichhdi Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
- Har Gam Par Khoyee Huic Ek Yaad Mili Hai!
- **********************************
- Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr Ki Tamheed Thi;
- Us Ko Rukhsat Karke Ghar Laute To Andaaza Hua!
- **********************************
- Bada Zor Laya Usnu Dil Cho Kaddn Lyi;
- Par Sareer Kehnda Main Rooh Bina Jee Ni Skda!
- **********************************e
- Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo'n Is Ka;
- Tumhara Ho Ke Bhi Mumkin Hai Mein Rahoon Us Ka;
- Tujhe Khabar Nahin Is Baat Ki Abhi Shayed;
- Ke Tera Ho Toh Gaya Hoon Magar Main Hoon Us Ka;
- Ab Is Se Qata-Taluq Mein Behtri Hai Meri;
- Main Apna Reh Nahin Sakta Agar Rahoon Us Ka;
- Zameen Ki Khaak Toh Kab Ki Udaa Chuke Hain Hum;
- Hamari Zadd Mein Hai Ab Chiraag Neel'gon Us Ka;
- Dil-e-Tabaah Ki Dharkan Bata Rahi Hai Raza;
- Yahin Kahin Pe Hai Woh Scheher Pur'sakoon Us Ka!
- **********************************
- Ishq Ke Khayaal Buhut Hein;
- Ishq Ke Charche Buhut Hein;
- Sochte Hein Hum Bhi Kar Lein Ishq;
- Par Sunte Hein Ishq Mein Kharche Buhut Hein!
- **********************************
- Na Thi Jisko Mere Pyar Ki Kadar;
- Ittefaaq Se Usi Ko Chach Raha Tha Main;
- Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko;
- Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main!
- **********************************
- Meri Wafa Ki Gawahi Toh Sitare Bhi Dete Hain;
- Par Mere Chaand Ko cAaya Nahi Aitbar Mera!
- **********************************
- Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein;
- Main Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kaise Rahoon!
- **********************************
- Iss Anhoni Nu Kehn Lyi Meri Jeebh Vi Darrdi Aa;
- Ajj Kal Taa Mere Naam Ton Vi Suneya Oh Nafrat Krdi Aa!
- **********************************
- Aalim-e-Mohabbat
- Aalim-e-Mohabbat Mein;
- Ik Kamaal Wehshat Mein;
- Be-Sabab Rafaaqat Ka;
- Dukh Uthaana Padta Hai;
- Titliyaan Pakadney Kco;
- Door Jana Padta Hai!
- **********************************
- Aaj Tum Par Aansuyon Ki Barsat Hogi;
- Fir Wahi Kadakti Kali Raat Hogi;
- Yaad na Kar Ke Tumne Dil Dukhaya Hai Mera;
- Ja Tere Badan Mein Khujali Sari Raat Hogi!
- **********************************
- Mar Kar Bhi Usko Dekhte Rehne Ke Shauq Mein;
- Aankhein Kisi Ko Apni, Amanat Mein De Gaye!
- **********************************
- Badi Hoti Hai Mayoosi, Badi Hoti Hai Mayoosi;
- Bana Kar Hum Ne Naqash Aarzoo Aksar Mita Daala!
- **********************************
- Is Qadar Toot Ke Tum Par cHumein Pyaar Aata Hai;
- Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Dalein Tum Ko!
- **********************************
- Tutt Ke Rishta Saada Hor Behtar Ho Gya;
- Tennu Manzil Mil Gyi Te Main Fir Musaafir Ho Gya!
- **********************************in
- Itna Dushwar Nahin Maut Ko Taley Rakhna;
- Sar Jo Kat Jaye To Dastar Scambhaley Rakhna;
- Chot Khana, Magar Is Tarah cKe Lodhey Uthey;
- Zulmat Gham Isi Tarah Se Ujhaley Rakhna;
- Apne Ehbaab Ko Seene Se Lagaye Phira;
- Ek Khanjar Bhi Jeb Mein Daley Rakhna;
- Meri Pehchan Mere Peecr-e-Hin Zakhm Se Hai;
- Ab Bhi Aezaaz Sahi Shaal Do Shaley Rakhna;
- Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai Nadeem;
- Kuch Zaroori Toh Nahin Paaon Mein Chaley Rakhna!
- **********************************
- Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe;
- Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe;
- Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya;
- Tamam Umar Ishq ki Justju Main, Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe!
- **********************************
- Raas Kyon Dosti Kisi Ki Ayi Na Humko;
- Hum Ne Har Taur Se Nibhaa Kar Dekhi!
- **********************************
- Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jo Likho Kabhi Tareekh Wafaa Ki;
- Maine Bhi Lutaaya Hai Mcohabbat Mein Sakoon Apna!
- **********************************
- Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujh Pe Aaj Ki Shaam;
- Main Aaj Shaam Tumhacre Hijar Mein Udaas Na Tha;
- Ab Ek Saal Toh Yeh Ek cGham Hi Kaafi Hai;
- Tumhari Salgiraah Par Bhi Tumhare Paas Na Tha!
- **********************************
- Saari Umar Jehde Full Di Parwrish Kiti;
- Jad Khhushbu Den De Kaacbil Hoya Taa Gairran Nu De Ditta!
- **********************************
- Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai, Ik Mehka Mehka Saya Hai;
- Ehsaas Ki Is Tanhai Mein Yeh Raat Gyi Kon Aya Hai;
- Aye Shaam Alam Kuch Tu Hi Bata, Yeh Dhang Tujhe Kyon Bhaya Hai;
- Woh Meri Khoj Mein Nikla Tha Aur Tujh Ko Dhoond Ke Aya Hai;
- Main Phool Samajh Ke Chun Loon Ga Is Bheege Se Angaaron Ko;
- Ankhon Ki Ibaadat Ka Main Ne Bss Ek Yahi Phal Paya Hai;
- Kuch Roz Se Barpa Chaar Taraf Hain Shadi-o-Gham Ke Hangamey;
- Sunte Hain Chaman Ko Maali Ne Phoolon Ka Kafan Pehnaya Hai!
- **********************************
- Waqt Ik Pal Ko Jo Ruk Jaye Toh cEhsaan Is Ka;
- Chand Yaadein Mere Dil Mein Se Guzrna Chahein!
- **********************************
- Ab Toh Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin;
- Kitni Tanha Ho Gayin Tanhaayiaan!
- **********************************
- Haale Tak Mojood Ne Iss Dil cWich Tere Kadmaa De Nishaan;
- Tere Ton Baad Asi Kise Hor Nu Iss Raah Ton Gujjran Nhi Dittaa!
- **********************************
- Udaasion Ka Samaa Mehfilon cMein Chhod Gayi;
- Bahaar Ik Khaas Si Dilon Mein Chhod Gayi;
- Bichhad Ke Tujh Se Hazaaron cTaraf Gaya Khayaal;
- Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi;
- Kahan Se Laa'ye Ab Os Nigaah Ko Nasir;
- Jo Na-Tamaam Umangein Dilonc Mein Chhod Gayi!
- **********************************
- Bichhad Ke Toh Khat Bhi Na Likhe Yaaron Ne;
- Kabhi Kabhi Ki Adhoori Si Bcaat Se Bhi Gaye!
- **********************************
- Phir Aaj Ashk Se Ankhon Mcein Kyun Hain Aye Hue;
- Guzar Gya Hai Zamaana Tujhe Bhulaaye Hue!
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
DOSTI ASHK YAADEIN GILA SHIKWA SHAYARI
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment