Ek chhoote se sawal shayari

  • Haqiqat jaan lo juda hone se pahle
  • meri sun lo apni sunane se pahle
  • ye soch lena bhulane se pahle
  • bahut royi h ye aankhein muskurane se pahle
  • -----------------------------------------------------
  • Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti
  • phulon ko baharon ki kami nahi hoti
  • fir kyu hume yad karoge Aap
  • Aap toh Aasman Ho aur Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti
  • -----------------------------------------------------
  • Ek chhoote se sawal par Itni khamoshi
  • Bas itna hi toh puchha tha Kabhi wafaa ki h kisi se
  • -----------------------------------------------------
  • Humne tuje is kadar chaha ki Sari duniya bhula baithe
  • Ek tu h jo Hme pehchanne se bhi inkaar krta hai
  • -----------------------------------------------------
  • Kon kehta h k hm tumhare bin ji nhi skte
  • Are Tum nhi to tumhari yaade hi shi
  • -----------------------------------------------------
  • Waqt Aur Pyaar Zindagi Mein Bahut Khaas Hote Hain
  • Waqt Kisi Ka Nahin Hota Aur Pyaar Har Kisi Se Nahin Hota
  • -----------------------------------------------------
  • Dil Tod Diya To Chita Bhi Jala Dena
  • Kafan Na Mile To Dupatta Uda Dena
  • Agar Koi Puche Rog Kya Tha
  • To Nazren Jhuka K Mohobbat Bata Dena
  • -----------------------------------------------------
  • Zubaan khamosh ankhon me nami hogi
  • Yahi bas meri ek dastan-e-zindagi hogi
  • Bharne ko toh har zakham bhar jayega Kese
  • bharegi wo jagah jaha teri kami hogi
  • -----------------------------------------------------
  • Aankhon mein tere ashq utaar lenge
  • Khushi tujhe dekar gam udhaar lenge
  • Tere jaane ke baad aayegi teri yaad
  • Tere khayaalo mein hi waqt guzaar lenge
  • -----------------------------------------------------
  • Mana k kal hum akele reh gaye
  • judai k aansu ankho se beh gaye
  • rothe hue ko koun chup karayega
  • jo chup karathe the wo hi aaj chup hogaye
  • -----------------------------------------------------
  • Tamannao me Uljhaya Gaya hoon
  • khilone de k behlaya gaya hoon
  • Kafan me kyun na Jaun muh chupa k
  • Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon
  • -----------------------------------------------------
  • Mohabbt me yeh Hum kahan agaye
  • Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye
  • ye mohbbt b kya cheez hai yaro
  • jab ek moqaam se nikal gaye
  • tho dusre moqaam pahunch gaye
  • jab maikane se nikle the
  • Aaj kabrstan pahunchaye gaye
  • -----------------------------------------------------
  • Khuda ki mahobbat fanah kaun karega
  • Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega
  • Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna
  • Warna hamari maut ki dua kaun karega
  • -----------------------------------------------------
  • Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum
  • Dur fizaon me kahi kho jayenge hum
  • Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum
  • jab zameen ko odh ke so jayenge hum
  • -----------------------------------------------------
  • Meri barbadi par tu koi malal na karna
  • bhul jana mera khyal na karna
  • hum teri khusi k liye kafan ODH lenge
  • pr tu meri laash se koi sawal na karna
  • -----------------------------------------------------
  • Kisi din teri Nazro se dur ho Jayege hum
  • Dur fizao mein kahi kho Jayege hum
  • Meri Yaado se Lipat kar Rone Aaogi tum
  • Jab Jameen ko odh k so Jayenge hum
  • -----------------------------------------------------
  • Bewafa hai duniya kisi ka aitbaar na karo
  • har pal dete hai dhokha kisi se pyaar na karo
  • mit jaao tanha jee kar par kisi ke saath ka intezaar na karo
  • -----------------------------------------------------
  • Kaise Jiyenge Tum Bin Kaash Tumhe Ye Ehsaas To Raha Hota
  • Jo Dard Saha Hai Humne Woh Kabhi Tumne Bhi Saha Hota
  • Bas Chal Diye Begano Ki Tarah Daaman Chhod Kar
  • Kam Se Kam Ek Baar Alvida To Kaha Hota
  • -----------------------------------------------------
  • Bikhre ashkon ko hum phiro na sake teri yaad mai
  • saari raat rooa sake behhna jaye aansowon mai
  • tasveer teri bus yehi sochkar hum rona sake
  • -----------------------------------------------------
  • Aasun-0n Ke Chalne Kime Aawaaz Nahi Hoti
  • Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti
  • Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas
  • To Use Dard Dene Ke Aadat Nahi Hoti
  • -----------------------------------------------------
  • Ashq Woh Bhi Girnay Lagay Hain
  • Paigam Un K Bhi Aanay Lagay Hain
  • Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi
  • Jab Duniya Chor k Hum Janay Lagay Hain
  • -----------------------------------------------------
  • Rahta hu me apke dil me dekhta hu me apki ankho se bolta hu apke lab se
  • sochata hu me apke dimak se dil nikal ke de deya apko fir bhi ap ne mujh se bewafae kiu ki
  • -----------------------------------------------------
  • Mujhe uski kadar thi isliye use ab tk bula na paya
  • par us bewafa ne itna bhi na socha ki uska ab kya hoga
  • -----------------------------------------------------
  • Tanhayi mere dil mein samati chali gayi
  • Kismat bhi apna khel dikhati chali gayi
  • Mehkti fiza ki khusbu me jo deka pyar ko
  • Bas yaad unki aayi aur rulati chali gayi
  • -----------------------------------------------------
  • Apni takdeer me to kuch aise hi silsile likhe hai
  • kisi ne wakt gujarne ke liye apna bnaya
  • to kisi ne apna bna ke wakt gujar liya
  • -----------------------------------------------------
  • Be Wajah Usne Na Jane Kyu Duri Kardi
  • Bichhad Ke Mohabbat Hi Adhuri Kardi
  • Meri Kismat Me Gham Aaye To Kya Hua
  • Khuda Ne To Uski Khwahish To Puri Kardi
  • -----------------------------------------------------
  • Kabhi aansu kabhi khushi dekhi
  • Humne akshar majburi or bekasi dekhi
  • Unki naarazgi ko hum kya samjhe
  • Humne khud apni taqdeer ki bebasi dekhi
  • -----------------------------------------------------
  • Hum Ruth Jaye To Manane Ka Wada Kiya Tha
  • Door Jaye To BuLane Ka Wada Kiya Tha
  • Aaj PaLko Pe Aanshu Bhar Diye Usne
  • Jisne Zindgi Bhar Hasane Ka Wada Kiya Tha
  • -----------------------------------------------------
  • Hatho me rachne bali mehdi ab balo me rachae jati hai
  • dil se pyer karne bale ab bewafae karte hai rote hai
  • wo bhi jo apno se nhi dosro ko apna kehte the
  • -----------------------------------------------------
  • Koi Acha laga tu usay pyar mat karna
  • Us kay liye neendain baikar mat karna
  • Do din aayen gay khoshi say milnay
  • Teesre Din kahenge Mera Intezar mat karna
  • -----------------------------------------------------
  • Nasha hum karte hain ilzaam sharaab ko diya jaata hai
  • magar ilzaam sharaab ka nahi unka hai
  • jinka chehraa hume har jaam mein nazar aata hai
  • -----------------------------------------------------
  • Kabhi Khamoshi Bohat Kuch Keh Jati Hai
  • Tarapne Ke Liye Bas Yaad Reh Jati Hai
  • Kia Farq Parta Hai Dil Ho Ya Diya
  • Jalne Ke Baad Sirf Raakh Reh Jati Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Aaj Humne Apne Dil Se Keh Diya
  • Ja Jakar Dhadak Uske Seene Me
  • Hum Uske Bina Jee Rahe Hai
  • Tere Bina Bhi Jee Lenge Ab
  • -----------------------------------------------------
  • Ye Chand Itna Bhi Mat Chamak Hamne Bhi Kai Chand Dekhe He
  • Ye Chand Itna Bhi Mat Chamak Hamne Bhi Kai Chand Dekhe He
  • Tujh Me to Dag He Hamne Vedag Dekhe He
  • -----------------------------------------------------
  • Kabhi Ro Ke Muskuraye, Kabhi Muskura Ke Roye
  • Jab Bhi Teri Yaad Aayi Tujhe Bhula Ke Roye
  • Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazar Bar Likha
  • Jitna Likh Ke Khush Hue Us Se Ziyada Mita Ke Roye
  • -----------------------------------------------------
  • Wo Chali Gayi Door To Kya Kare
  • Wo Mita Gayi Sab Nishan To Kya Kare
  • Yaad Aati Hai Ab Bhi Unki Hume Had Se Jyada
  • Wo Yaad Na Kare To Kya Kare
  • -----------------------------------------------------
  • Hum uski khushi ki dua mangty rhy
  • Bay hadd or bay panah mangty rhy
  • Aj wo khush hy kisi or k sath
  • ab samjh aya hum "KHUDA" se apny liye hi saza mangty rahey
  • -----------------------------------------------------
  • Zindagi se chale hain ilzam lekar
  • Bahut jee chuke unka naam lekar
  • Akele baate karenge wo in sitaro se
  • Jb chle jayenge unhe ye sara aasma dekar
  • -----------------------------------------------------
  • Hame izhar karna nahi aaya unhe pyar karna nahi aaya
  • ham bas dekhte hi rah gaye aur wakt ko thamna nahi aaya
  • woh chalte chalte itni door chale gaye
  • aur hame rokna nahi aaya
  • -----------------------------------------------------
  • Achhi ladki par aitbar ho jati hai
  • andekhi anjani ladki se pyar ho jati hai
  • jab de jati hain wahi ladki dhoka to
  • bewfa shayariyo se dilochar ho jati hai
  • -----------------------------------------------------
  • unki arzu meri jindagi kakhwab hai
  • jiski manjil to hai magar rashta khrab hai
  • hasi se mere gam ka andaza n lagao yaro
  • is dil ka har panna khali hai
  • -----------------------------------------------------
  • Use gairo se bat karte dekha to thodi takleef hui
  • phir yaad aaya Hum konsa uske apne the
  • -----------------------------------------------------
  • Pyar tha mujhe usi se Uski Chahat me main tadapta raha Maut bhi
  • meri mohabbat ko rok na saki Kabr me bhi ye dil dhadakta raha
  • -----------------------------------------------------
  • Na Jane Ye Nazrein Kyun Udas Rehti Hain
  • Na Jane Inhe Kiski Talaash Rehti Hai
  • Ye Jankar Bhi Wo Kismat Me Nahi Hai
  • Fir bhi Unhe Pane Ki Ek Aas Rehti Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Zindagi se wafa hamne bhi ki hain bahot par
  • Gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi
  • Ek tujhko pakar bahut khush tha main
  • Par sath tera manzil tak mila bhi to nahi
  • -----------------------------------------------------
  • Mohabbat jindagi ki sabse badi saza hoti hai
  • chahe chupao lakh par ankhon se bayan hoti hai
  • mat karo mohabbat jindagi mein
  • kyoki har ladki duniya mein bewfa hoti hai
  • -----------------------------------------------------
  • Badi ummid thi unko apna banane ki
  • dil mein chaht thi bas unka ho jane ki
  • kya kahe jiska hona chahte the hum
  • unko adat hi nahi thi kisiko apna banane ki
  • -----------------------------------------------------
  • Jindagi mein kabhi udash mat hona
  • hasana magar hatash mat hona
  • duniya mein bahut ladki hai mere dost kisi ek ke pichhe barbad mat hona
  • -----------------------------------------------------
  • Kash woh samjhte iss dil ki tadap ko to yu hume rushwa na kiya hota
  • unki ye berukhi julm bhi manjur thi hume bas ek bar hume samjh liya to hota
  • -----------------------------------------------------
  • Dosti Insan Ki Zaroorat Hai
  • Dilon Pe Dosti Ki Huqumat Hai
  • Aap Ke Pyar Ki Wajah Se Zinda Hain Warna
  • Khuda Ko Bhi Hamari Zaroorat Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Jab khuchh sapne adhure rah jate hain
  • jab dil ka dard anshu bankar bah jate hain
  • jo kahte hain hum sirf apke hain
  • pata nahi woh kaise alvida kah jate hain
  • -----------------------------------------------------
  • Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan
  • Meri Khamoshi Ko Saja Na De
  • Jo Tere Baghair Na Jee Sake
  • Use Jeene Ki To Dua Na De
  • -----------------------------------------------------
  • Dil ko adat si ho gayi hai chot khane ki
  • Bhingi palkon ke sang muskurane ki
  • Kash anjaam hum pehle se jaan jaate
  • To koshish na karte dil lagane ki
  • -----------------------------------------------------
  • Aap Se Door Ho Kar Hum Jayenge Kaha
  • Aap Jaisa Dost Hum Payenge Kaha
  • Dil Ko Kaise Bhi Sambhal Lenge
  • Par Aankho Ke Aansu Hum Chupayege Kaha
  • -----------------------------------------------------
  • Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi
  • Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi
  • Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana
  • Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi
  • -----------------------------------------------------
  • Dil Ki Baatein Main Chand Se Kehta Hoon
  • Har Apna Dukh Jo Mein Mushkil Se Santa Hoon
  • Jab Bhi Usse Uss Sheeshe Lagi Tasveer Mein Dekhu
  • To Lagta Hai Jaise Mein Uske Andar He Rehta Hoon
  • -----------------------------------------------------
  • Itni Jaldi Daman Chhod Diya
  • Itni Jaldi Wada Tod Diya
  • Abhi To Zindgi Ki Sanse Hai Baaki
  • Aur Aapne Abhi Se Rishta Tod Diya
  • -----------------------------------------------------
  • Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya
  • Jab Bhi Aaya Khud Ko Tanha Paya
  • Dhundte Rahe Is Duniya Me Humsafar
  • Lekin Kisi Ko MaJboor To Kisi Ko Bewafa Paya
  • -----------------------------------------------------
  • Ham To Unke Yaad Me Pagal Hoye Ja Rahe The
  • Aur Ek Vo The Jinhone Hame Yaad Karna Bhi Jaruri Nai Samjha
  • -----------------------------------------------------
  • Main Nadaan Tha Jo Wafa Ko Talash Karta Raha
  • Yeh Bhi Na Socha Ke Apni Saans Bhi Ek Din Bewafaa Ban Jayegi
  • -----------------------------------------------------
  • Mat Puch Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai
  • Tu Sitam Kar Le Teri Taqat Jahan Tak Hai
  • Wafa Kee Umeed Kisi Aur Ko Hogi
  • Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya
  • Kya Karu Tum Ne Jo Mujhe Bhula Diya
  • Na Karte Wafa To Na Milti Ye Saza
  • Shayad Meri Wafaon Ne Hi Tujhe Bewafa Bana Diya
  • -----------------------------------------------------
  • Meri mohobaat ka usne yu sila diya
  • Meri yaado ko mitti mein mila diya
  • Khush h vo kisi gair ko apna bana ke
  • Aur humko usne gair bana diye
  • Meri mohobaat ke kabar par
  • Usne apna naya jahan basa liya
  • -----------------------------------------------------
  • Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo
  • Meri umeed thukra ke inkaar naa kiya karo
  • Teri mohabbat me hum sab kuch kho bethe
  • Jaan chali jayegi yu imtihaan naa liya karo
  • -----------------------------------------------------
  • Baat din ki nahi ab raat se dar lagta hai
  • Ghar hai kaccha mera barsaat se dar lgta hai
  • Tere tohfe ne to bas khoon ke aansoo hi diye
  • Zindagi ab teri saugaat se dar lagta hain
  • Pyaar ko chhod kar tum aur koi baat karo
  • Ab mujhe pyar ki har baat se dar lagta hai
  • -----------------------------------------------------
  • Koe mila hi nahi jis ko wafa date
  • Her ik ne dokha diya kis kis ko saza dete
  • ye humara zarf tha k khamosh rahe
  • dastan sunate to mehfil ko rula dete
  • -----------------------------------------------------
  • Kar diya Kurban Khud Ko hamne Wafa Ke Naam par
  • Chhod Gaye Wo Hamko Akela Majburiyo Ke Naam Par
  • -----------------------------------------------------
  • Kitabo Me Mere Fasane Dhundte Hai
  • Nadan Hai Guzre Zamane Dhundte Hai
  • Jab Wo The To Talash-e-Zindagi Bhi Thi
  • Ab To Hum Maut K Thikane Dhundte Hai
  • Musafir Be-Khabar Hai Teri Ankho Se
  • Tere Sheher Me Hi Sahare Dhundte Hai
  • Tujhe Kya Pata Aye Sitam Dhane Wale
  • Hum To Rone K Bahane Dhundte Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Girti hoi dewar ka humderd hoon Lakin charty hoy sourg ki prus-thish nahi karta
  • humdard e ehbab se drta hoo lakin zakhm too rakhta hoo lakin nooma ish nahi karta
  • -----------------------------------------------------
  • Woh aam c shaam thi jab juda huay thay hum
  • na toot kar pyar kia or na ro sakay hum
  • na zamany se kuch kaha hum ne barbad ho gaye bdi saadgi se hum
  • -----------------------------------------------------
  • Kisi ne mujh se poochha ki jab tumhara dil toda gaya toh tumen dard nahin hua
  • Usey maine hans ke jawaab diya ki dil todne waala itna khush tha ki hum apna dard hi bhool gaye
  • -----------------------------------------------------
  • Kabhi karte hai jindagi ki tamanna kabhi maut ka intzar karte hai
  • woh log humse kyo itne dur rahte hai jinhe hum jindagi se bhi jyada pyar karte hai
  • -----------------------------------------------------
  • Apni jindagi mein mujhko kareeb samjhna
  • koi gum aaye to mujko usme sareekh samjhna
  • de denge muskuraht anshu ke badle ham
  • magar hazaro mein thoda azeez samjhna
  • -----------------------------------------------------
  • Aaj woh apna hoke begane lage
  • hawa ke thande jhoke hame jalane lage
  • ek aah pe meri girte the jinke
  • aansu aaj woh mere jakhmo par muskurane lage
  • -----------------------------------------------------
  • Har Roj Tumhri Yad Me Hum Rote Hai
  • Tmhare Tasveer Aankho Me Leke Sote Hai
  • Bhig Na Jae Tmhari Tsveer Hamare Aansuo Se
  • Isliye Hum Aankho Se Nhi Dil Se Rote Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Woh mera nahin ye bataana ajeeb lagta hai
  • ab us se aankhen milaana ajeeb lagta hai
  • Chahte the jiska haath thaamna umar bhar
  • ab us se haath milaana bhi ajeeb lagta hai
  • -----------------------------------------------------
  • Kbhi khwabo me pankh laga ke udna
  • kbhi bichde hue dost se gunguna ke milna
  • kbhi baarish me uchal ke nahana hamari bhi phitarat thi
  • par ab to vo sari baate ek haseen khwab ho gayi
  • kyo ki jinhe socha tha humsafar vahi bewafa ho gayi
  • -----------------------------------------------------
  • Khwabo me pankh lagake udna
  • bichde hue dost se gunguna ke milna
  • barish me uchal kar bhigana
  • hamari bhi phitarat thi
  • par ye sab ek beete haseen khwab ho gaye
  • kyoki socha tha jise hamsafar vo hi bewafa ho gye
  • -----------------------------------------------------
  • Likhu Kuch Aj Ye Waqt Ka Taqaza Hai
  • Mere Dil Me Dard Abhi Taza Hai
  • Gir Padte Hai Ashk Mere Kaghaz Pe
  • Khalam Me Syahi Kum Aur Ansu Zyada Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Dil Ka Dard Jab Panno Par Aa Jata Hai
  • Ek Aansu B Dariya Ban Jata Hai
  • Dil K Tutne Ki Aawaz Bhi Nahi
  • Aur Sara Dard GAZAL Ban Jata Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Hamare bato pe woh muskuraya karti thi
  • hamare pas aane par woh nazare churaya karti thi
  • hum samjh nahi paye us bewfa ki chal ko
  • ki woh hume apne husn ke jaal mein fasaya kari thi
  • -----------------------------------------------------
  • Wafa ka mara hu ashiq Dar Dar ki thokar khata hu
  • Acha hua ki ruksat leli duniya seTeri Bewafai se Pehle
  • -----------------------------------------------------
  • Hamari Subh Sham Hoti Thi Jin Ke Pehloo Main
  • Waqt Badala To Dikhai Dete Hain Ghairon Ke Dariche Main
  • -----------------------------------------------------
  • Kise Sunau Jakar Mai Haal Apne Dil Ka
  • Tune To Keh Diya Fursat Nahi Mujhe
  • -----------------------------------------------------
  • Shayad Koi Heera Samajh K Tarash Lay Mujhe
  • Ye Soch Kar Main Umar Bhar Pathar Bana Raha
  • -----------------------------------------------------
  • Hum hi pagal the jo dil ka khel tere sath khel baithe
  • Teri aadat toh bachpan se khilone todne ki hai
  • -----------------------------------------------------
  • Kasoor War Kisi Aur Ko Q Samjhen Ghalti Toh Apni Hai
  • Zindagi Be Qadron Ko Sonp Di
  • Aur
  • Muhabbat Laparwahon Se Kar Bethe
  • -----------------------------------------------------
  • Jaam E Ulfat Ka Bahana Kr K Zehar Hi Dey Do MuJhe
  • Bohut Mushkil Ho Gaya Hai Tere Bagair Jeena
  • -----------------------------------------------------
  • Kuch Or Sochne Ki Zaroorat Nahi Mujhe
  • Tere Siva Kisi Se Mohabbat Nahi Mujhe
  • Tu Hi Rehta Hai Hmesha Mere Dil Or Dimag Me
  • Jise Pyaar Kru Use Bhool Jane Ki Aadat Nahi Muje
  • -----------------------------------------------------
  • Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya
  • Kya Karu tumne Jo Mujhe Bhula Diya
  • Na Karti Wafa Na Milti Ye Saza
  • Shayad Meri Wafao Ne hi tujhe Bewafa Bana Diya
  • -----------------------------------------------------
  • Pyar Zindgi Ka Woh khubsurat Waqt Hota Hai
  • Jiske Har Lamhe Ki Kimat Hum Ansuon Se Chukatey Hain
  • -----------------------------------------------------
  • Aate Toh Mujhe Bhi Hain Andaz Bohat Dil Todne Ke
  • Har Dil Me Khuda Basta Hai Bas Yahi Sochkar Chup Hu
  • -----------------------------------------------------
  • Agar Rishte Sache Ho To Unko Sambalna Nahi Padta
  • Aur Jin Rishto Ko Sambhalna Pade Wo Sache Nahi Hote
  • -----------------------------------------------------
  • Lafz ki shakal mein Ehsaas likha jata hai
  • Yahan Pani ko bhi Pyaas likha jata hai
  • Mere jazbaat se waqif hai meri Kalam
  • Main Pyar likhun to Us bewafa ka Naam likha jata hai
  • -----------------------------------------------------
  • Hum Nay Us Raat Bhi Tumhe Manga Tha
  • Log Jis Raat Bukhshish Ki Dua Mangty Hein
  • -----------------------------------------------------
  • Bematlab ki zindagi ka silsila hua
  • khatam ab jis tarah ki duniya us tarah ke hum
  • -----------------------------------------------------
  • Khuda Kare Wo Ab Jaha Bhi Rehe Kush Rahe
  • Unke Hisse Ke Aaso Bhi MeriAakho Se Gire
  • -----------------------------------------------------
  • Chahat Se Fatah Karty Hain Logon K Dillon Ko
  • Hum Woh Sikandar Hain Jo Lashkar Nahi Rakhtey
  • -----------------------------------------------------
  • Aata Hei Daagh-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad
  • Mujhko Mere Gunah Ka Hisab Aye Khuda Naa Maang
  • -----------------------------------------------------
  • Jab kabhi jee me aaye to aazma Lena Hum ko
  • Lahoo b dein gay chiraaghon me jalane k liye
  • -----------------------------------------------------
  • Kuch Lamhe Aur Tumhara Sath Chahte Hai
  • Aankho Me Thami Wo Barsat Chahte Hai
  • Jante H Bahut Chahte Ho Tum Bhi Magar
  • Tumari Zuban Se 1 Bar Izhar Chahte Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Na Çhahte hue ßhi aa jata hai labo pe tera naam
  • Kabhi teri Taarif mai Toh kabhi teri Shikayat Mein
  • -----------------------------------------------------
  • Koi fulo say pyar krte h koi kato say
  • pyar krte h lekin hum usse pyar krte h Jo humse pyar krta hai
  • -----------------------------------------------------
  • Hanju Saadi Taqdeer Asin Hanjuan Vich Rul Jaana
  • Asin Umraan Tak Tuhanu Yaad Rakhna
  • Par Tusin Hauli-hauli Sannu Bhul Jaana
  • -----------------------------------------------------
  • Jhooti Tasaliyon Ki Zaroorat Nahi Mujhe
  • Keh Do K Mere Liye Fursat Nahi Tujhe
  • Ye Bhi Nahi K Main Tumhein Ilzaam De Sakoon
  • Ye Bhi Nahi K Tum Se Shikayat Nahi Mujhe
  • Main Bhi Tumhari Yaad Ko Dil Se Bhula To Doon
  • Par Kya Karoon K Be-Wafai Ki Ijazat Nahi Mujhe
  • -----------------------------------------------------
  • Bichad K Tumse Zindagi Saza Lagti Hai
  • Ye Sans B Jaise Mujhse Khafa Lagti Hai
  • Tadap Uth Te Dard K Mare
  • Zakhmo Ko Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai
  • Agar Ummid-e-wafa Karu To Kis Se Karu
  • Mujh Ko To Meri Zindagi B Bewafa Lagti Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Teri Bewafai Ko Us Wafa Ke Saath Nibhayenge
  • Ke Teri Ankho Se Bhi Ansoon Aa Jayenge
  • Wada Hai Ke Hum Tuje Us Mod Par Le Jayenge
  • Jaha Hum Apna Dard Tere Ankhon Se Byan Kar Dikhayenge
  • -----------------------------------------------------
  • Tere bina mai ji na pau Bas tere sang mai rehna chahu
  • Tujhe kitna mai chahu kaise batau Teri yaadein mujhe satayein
  • Pyar tera bas hai meri chahat Iske siva mai kuch na chahu
  • Teri hasee pe mai toh fida tha Teri hi khatir mai toh jiya tha
  • Bin tere mai reh na pau Sang tere hi rehna chau
  • -----------------------------------------------------
  • Zakham Kee Baat Nahi Hai
  • Jaane Dard Kyon Hota Hai
  • Dhokhe Kee Baat Nahi Hai
  • Jaane Ehaas Kyon Hota Hai
  • Jante Hue Ki Wo Bewafa Hain
  • Na Jane Phir Bhi Pyaar Kyon Hota Hai
  • -----------------------------------------------------
  • kya kahe bin tere yah zindagi hai kesi
  • dil ko jalati yah bebasi hai kesi
  • na kah pate hai na sah pate hai
  • na jane taqdeer mai likhi yah aashiqi hai kesi
  • -----------------------------------------------------
  • Mohabbat Dekhi Hai Maine Zamaane Bhar Ke Logon Ki
  • Jahaan Kuch Daam Zyada Ho Aksar Vahaan Insaan Bik Jaate Hain
  • -----------------------------------------------------
  • Unke Honthon Pe Mera Naam Jab Aya Hoga
  • Khud ko Ruswaie Se Phir Kaise Bachaya Hoga
  • Sun ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka
  • Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga
  • -----------------------------------------------------
  • Kaagaz ki kasti thi hamari zindgani
  • uske bevfai thi baarish ka paani
  • hum bhi kitne paagal the uske pyaar me yaaro
  • apni barbaadi ka bhi mazaa lene lage
  • -----------------------------------------------------
  • Wade wafa kar k kyu mukar jate h log
  • Kisi ke dil ko kyu tadpaate hain log
  • Agar dil lagakar nibha nahi sakte to fir
  • Kyu dil ko dil se itna lagaate hain log
  • -----------------------------------------------------
  • Dil ka dard hotho pe aata hai phir kuch soch ke
  • khamosh ho jata
  • sochta hai kah dunga kabhi bus sochke chup ho jata hai
  • -----------------------------------------------------
  • Bewafa Sanam Ne Muskurate Labo Ko Ansu Pila Diya
  • Mohabbat Ka Farz Tha Usne Chuka Diya
  • Maine Kaha Dil Me Mohabbat Ki Roshni Kar Do
  • Us Zalim Ne Isi Bahane Dil Hi Jala Diya
  • -----------------------------------------------------
  • Jeete the kavi ham v shaan se
  • mehak uthi thi fiza kisi ke naam se
  • par guzre hain ham kuch aise mukam se ki
  • nafrat ho gayi hain mohabbat ke naam se
  • -----------------------------------------------------
  • Har Dil Me Dard Chupa Hota Hai
  • Bayan Krne Ka Andaz Juda Hota Hai
  • Kuch Log Aansuo Se Dard Bta Dete Hai
  • Aur Kisi Ka Dard Hasi Me Chupa Hota Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Kabhi Qarib To Kbhi JuDa He Tu
  • JaNe Kis-Kis Se Khfa He Tu
  • Muje To Tuj Par Khud Se Jyada Yakin Tha
  • Par Zamana Sach Hi Kehta Tha Ki Bewfa Hai Tu
  • -----------------------------------------------------
  • Zindgi hr pal khushiya nhi deti
  • kismat b kbhi-kbhi saath nhi deti
  • koi nhi mrta he kisi se juda ho kr
  • Bas ye yaaden hi hoti hai Jo Jeene Nhi deti
  • -----------------------------------------------------
  • Kash Wo Naghme Sunaye Na Hote
  • Aj Unko Sun Kar Ye Ansu Na Aye Hote
  • Agar Is Tarah Bhool Jana Hi Tha To
  • Itni Gehrai Se Dil Me Samaye Na Hote
  • -----------------------------------------------------
  • Pyar Me Wo Hame Rusva Kar Gaye
  • Khush The Akele Lekin Dard Wo De Gaye
  • Jee Lete Hum Tute Dil K Sath
  • Par Wo Dil K Tukde B Sath Le Gaye
  • -----------------------------------------------------
  • Hum Hai Tayyar Har Saza K Liye
  • Aur Kya Kahe Us Bewafa K Liye
  • Haqiqat Me Na Sahi Khwab Me Hi Sahi
  • Bas Ek Bar Aaja Khuda K Liye
  • -----------------------------------------------------
  • Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti
  • Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti
  • Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka
  • Jo Sharton Pe Mile Woh Mohabbat Nahi Hoti
  • -----------------------------------------------------
  • Yad Me Teri Anhe Bharta Hai Koi
  • Har Sans K Sath Tujhe Yad Karta Hai Koi
  • Maut To Sachai Hai Ani Hai
  • Lekin Teri Yad Me Har Roz Marta Hai Koi
  • -----------------------------------------------------
  • Karoge Yad Hame Ya Zamane Ko
  • Jab Hum Jayenge Kabhi Na Ane Ko
  • Karega Zikr Koi Jab Hamara Mehfil Me
  • To Chale Jaoge Tanhayi Me Ansu Bahane Ko
  • -----------------------------------------------------
  • Unki Chahat Me Dil Majboor Hogaya
  • Bewafai Unka Dastoor Hogaya
  • Kasoor Unka Nahi Mera Tha
  • Maine Chaha Itna Ki Unko Ghuroor Ho gaya
  • -----------------------------------------------------
  • Is Dil Ne Ab Pyar Karna Chod Diya
  • Jis Din Se Tum Ne Ye Dil Tod Diya
  • Ab To Ro B Nahi Sakte Apni Be-bashi Pe
  • Isliye In Ankho Ne Ab Rona B Chod Diya
  • -----------------------------------------------------
  • Subah ki krnon me lali ho pyar ki
  • nfrton ko jo de maat esi ho rngin subah
  • jayen jahan tk uski roshni
  • bikhra ho rng shir dosti aur pyar ki
  • -----------------------------------------------------
  • Chhodo Ab Wafa Ki Baate Jaane Bhi Do
  • Jo Fitrat Se Bewfa Ho Wo Wafa Kya Jaane
  • -----------------------------------------------------
  • Meri deewangi ko dekh k muskurate hai kyu
  • Main jitna paas jau utna door jate hai kyu
  • Kuchh toh wajah zaroor hogi unki berukhi ki
  • Mujhe aise her pal sataate hai kyu
  • -----------------------------------------------------
  • Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi
  • Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang Karegi
  • Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Kareeb
  • Kyonki Uske Jaane Ke Baad Uski Har Adaa Tang Karegi
  • -----------------------------------------------------
  • Kaha Se Lau Hunar Use Manane Ka
  • Koi Jawab Nai Tha Uske Rooth Jane Ka
  • Mohabbat Me Saza Muje Hi Milni Thi
  • Kyuki Jurm Maine Kiya Unse Dil Lagane Ka
  • -----------------------------------------------------
  • Ek din hum bhi kafan odh jayenge
  • Har ek rishta is zameen se tode jayenge
  • Jitna ji chahe satalo yaaro
  • Ek din rulate hue sabko chod jayenge
  • -----------------------------------------------------
  • Kash Aisa Koi Tum B Kaam Kardo
  • Meri Hr Hasrat Hr Arzoo Ko Fana Kardo
  • Ya To Wafaon Ko Tum Bhi Seekh Lo
  • Ya To Apni Tarah Muje B Bewafa Kr Do
  • -----------------------------------------------------
  • Dheere dheere door hote gaye
  • waqt ke aage majbur hote gaye
  • Ishq me humne aisi chot khai
  • ke hum bewafa aur wo bekasoor hote gaye
  • -----------------------------------------------------
  • Ladki ki nazro mei nazakat hoti hai
  • Uske inkar mei bhi ijaajat hoti hai
  • Humesha piche pad jao jub tak haan na bole
  • Q ki der se haan karna ladkiyo ki aadat hoti hai
  • -----------------------------------------------------
  • Jaan Kar Bhi Wo Mujhe Jaan Na Paye
  • Aaj Tak Wo Mujhe Pehchaan Na Paye
  • Khud He Kar Li Bewafai Humne
  • Taaki Unpar Koi Ilzaam Na Aaye
  • -----------------------------------------------------
  • Zindagi Ne Kai Sawalat Badal Dale
  • Waqt Ne Mere Haalaat Badal Dale
  • Main to Aaj bi wahi hun Jo main kal tha
  • Bas mere liye Kuch apno ne Apne Khyalat badal ale
  • -----------------------------------------------------
  • Khamosh baithe toh log kehte hai
  • Udaasi acchi nahi
  • Zara sa hans le toh Log muskuraane ki wajah pooch lete hain
  • -----------------------------------------------------
  • Tadap ke Dekh Kisi ki Chahat Me
  • To Pata Chale Intzaar Kya Hota Hai
  • Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke
  • To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Mein Khud Ko Tumse Dur Karna Chahti Hu
  • Ya Yu Kaho Ki Khud Ko Khud Se Durr Karna Chahti Hu
  • Meri Shayri Mein Pehle Se Jyada Dard Bhar Gaya Hai
  • Shayad Mein Iss Tarha Hi Apna Dard Bayan Karna Chahti Hu
  • -----------------------------------------------------
  • Bichar Ke Tum Se Zindagi Saza Lagti Hai
  • Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai
  • Tarap Uthta Hoon Dard Ke Maare Zakhmon Ko
  • Jab Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai
  • Agar Ummeed-E-Wafa Karu To Kis Se Karu
  • Mujh Ko To Meri Zindagi Bhi Be-Wafa Lagti Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
  • Tera Mujrim Hoon Mujhe Dub Ke Mar Jaane De
  • Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
  • Sochta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
  • -----------------------------------------------------
  • Logo se sunte the Mohabbat ke Afsaane
  • Khawab Humne bhi dekhe the Suhaane
  • Pyaar kya hai Hum aksar sochte the
  • Es Baat se Hum apne Dil ko rokte the
  • Lekin ab Tumhe es Dil mein basa kar
  • Ye Khata ek baar karna chahta hain
  • Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
  • Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai
  • -----------------------------------------------------
  • Jab Jana Hi Tha Tumhe To Aaye Kyon Hamari Zindigi Mein
  • Yu Rulana Tha Fir Kyon Hasna Sikhaya Humein
  • Ab To Tadapne Ke Liye Chod Diya Saari Umar
  • Pal Pal Yu Marna Hi Tha To Zina Kyon Bataya Humein
  • -----------------------------------------------------
  • Zindagi Ke Zehar Ko Yu Has Ke Pi Rahe Hai
  • Tere Pyar Bina Yu Hi Zindagi Jee Rahe Hai
  • Akelepan Se Ab Darr Nahi Lagta Hame
  • Tere Jaane Ke Baad Yu Hi Akele Jee Rahe Hai
  • -----------------------------------------------------
  • In Dooriyon Ko Judai Mat Kehna
  • In Khamoshio Ko Ruswai Mat Kehna
  • Har Mod Pe Yaad Karenge Aapko
  • Zindgi Ne Saath Na Diya To Bewafayi Mat Kehna
  • -----------------------------------------------------
  • Hum Me Tu Abhi Bhi Thoda Baki Hai
  • Aankhon Me najar aate Aansu Hai
  • Hoton Pe Teri Hasi Ki Jhanki Hai
  • Tu Chhod Gaya Dil Tod Gaya
  • Hum Ji Rahe Hai Ki Hum Me Thodi Mohabbat Abhi Baki Hai
  • -----------------------------------------------------
  • Sukoon milta hai do shbad
  • kaagaz me utaarkar
  • Kah bhi deti hu
  • aur awaaz bhi nahi hoti

No comments :

Post a Comment