- DARD ki barisho me hum akele hi the
- JAB barsi khushia Na jane bhiad kaha se aa gayi
- ................................
- Tum apnalo mujhe Meri aur koi tamanna nahi
- Bin tere zindgi Jee pana aasan nahi
- Dedo jagah mujhe apne dil me Mera aur koi ARMAAN nahi
- ................................
- Har baar hawao ko ilzaam dena thik nahi yaaro
- kabhi sochna kahi chiraag kud na thak gaya ho jalte jalte
- ................................
- Mere apne kahi ,kam na ho jaye
- Iss dar se humne, musibat me bhi Kisi apne ko aajmaya nahi
- ................................
- Mil sake aasani se
- Uski khawaish kise hai
- Jeead to uski hai jo
- Mukadar me likha hi nahi hai
- ................................
- Zindgi me kuch eesa kaam karo
- Log apka naam FACEBOOK pe nahi GOOGLE pe sarch kare
- ................................
- Hum kuch esse tere didar me kho jate hai
- Jaise bacche bhare bazaar me kho jate hai.
- ................................
- Karuna ka koi bhi karya
- Bhale kitna hi chota kyo na ho
- Kabhi vayarth nahi jata
- ................................
- Maine Sikhe Hain Mohabbat Se Mohabbat Ke Asool
- Sab Se Mushkil Hai Kisi Apne Ko Apna Karna
- ................................
- Qayamat hai yeh majboor dil ka ehsaas-e- tanhai
- Akele ab to hum aksar bhari mehfil mein rehte hain
- ................................
- Woh humsey apni marzi se baat krtey hai
- aur hum bhi kitney pagal hai ke unki marji ka intezar kartey hai
- ................................
- jo insaan aapse jaida pyar karega vo aapse roj ladega,
- lekin jab apka ek aasu girega,
- to usse rokne k liye vah sari dunia se ladega.
- ................................
- Na janey us ke dil main kitni mehfilenabad hon
- Jo akela betha ho usey tanhaa nahi kehte
- ................................
- Khud hi chorr gaye hain tou chalo acha hua
- Itne ehbaab kahan hum se sambhaley jatey
- ................................
- Girte rahe hum sajdo me hasrat e ishQ ki khaatir
- agar ibadat e khuda me gire hote to zindgi jannat ban jati
- ................................
- jab chaandni bd kr raaatoo pe chaaati hai
- tari yaaad aise me dil ko tadpati hai
- tari yaaaaad aaati hai tari yaaad aati hai tar yaad aati hai..
- ................................
- Jab Yaad Tumhari Aati Hai Dil Khun Ke Aansu Rota Hai
- Yeh Dard Denewala Kya Jane Dil Ka Dard Kaisa Hota Hai
- ................................
- Kitne Tohfe Deti Hai Ye Mohabbat Bhi
- Ruswai Alag Judai Alag Tanhai Alag
- ................................
- Ek Tumhi The Jiske Dum Pe Chalti Thi Saanse Meri
- Laut Aao Ke Zindagi Se Ab Wafa Nibhayi Nahi Jati
- ................................
- jindagi behaal hai sur hai naa taal hai
- msgbox bhi kangal hai kya aapki sms factory me hadtal hai
- yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindegi ka sawaal hai
- ................................
- Jawaab teri shayari ka Denge hum shayari mein
- Naam tera likh baithe hain Apne dil ki diary mein
- ................................
- Pariyon Se Sunder Hai Mehbooba Meri;
- Paakar Use Khud Par Naaz Karta Hun;
- Har Janam Mein Bas Usi Ka Banna Hai;
- Ye Elaan Sareaam Karta Hun
- ................................
- Main Kise Suna Raha Hoon Ye Ghazal Mohabbaton Ki;
- Kahin Aag Saazishon Ki Kahin Aanch Nafraton Ki;
- Koi Baagh Jal Raha Hai Ye Magar Meri Dua Hai;
- Mere Phool Tak Na Pahunche Ye Hawa Tamazaton Ki
- ................................
- Humne Wajood Apna Kho Liya;
- Unka Wajood Apne Saath Jodte Jodte
- ................................
- Mere Wajod Me Kash Tu utar Jaye;
- Mai Dekhu Aaina Or Tu Nazar Aye;
- Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye;
- Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar Jaye
- ................................
- Teri Subah Ki Angraian Jaaga Deti Hain Laakhon Armaan;
- Hote Hain Hum Neend Mein Lekin Bandhan Ki Umeed Rakhte Hein
- ................................
- Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota;
- Koi Kisi Ke Bina Adhoora Nahi Hota;
- Jo Chaand Roshan Karta Hai Raat Bhar Sab Ko;
- Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota
- ................................
- Tere Ikhtiyar Main Kya Nahin Mujhe Is Tarah Se Nawaaz De;
- Yun Duaein Meri Qubul Ho Ki Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
- ................................
- Ya Rab Dil-E-Muslim Ko Woh Zinda Tammanaa De;
- Jo Qalb Ko Garma De Jo Rooh Ko Tarpaa De
- ................................
- Kaun Meri Chahat Ka Fasaana Samjhega Iss Daur Mein;
- Yahan To Log Apni Zaroorat Ko Mohabbat Kehte Hain
- ................................
- Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
- Na Chahte Hue Bhi Pyaar Hota Hai;
- Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;
- Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai
- ................................
- Hum Bhi Chahenge Tujhe Heer Ki Tarha;
- Rab Se Maangenge Tujhe Kissi Fakeer Ki Tarha;
- Rang Naa Laayi Aggar Hamaari Ye Duayen;
- To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha
- ................................
- Aarzoo Ke Diye Dil Mein Jalte Rahnege;
- Meri Aankhon Se Ansoo Nikalte Rahenge;
- Dil Mein Roshni Toh Karo Tum Shama Ban Ke;
- Mom Bankar Hum Yunhi Pighalte Rahenge
- ................................
- Khuda Humko Kabhi Aissi Judai Na De;
- Unki Yaadon Se Humko Rihai Na De;
- Dua Karna Dosto Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
- Jahan Se Mera Yaar Mujhe Dikhai Na De
- ................................
- Ghuncha-e-Na Shagufta Ko Door Se Mat Dikha Ke Yoon;
- Bosa Ko Poochhta Hoon Main Munh Se Mujhe Bata Ke Yoon
- ................................
- Meri Ibaadaton Ko Aise Qubool Ker Ae Mere Maalik;
- Ke Sajde Mein Main Sar Jhukaun;
- Toh Mujh Se Judda Har Rishton Ki Zindaagi Sawar Jaye
- ................................
- Ae Khuda Khushi Har Pal Unke Paas Rakhna;
- Mere Apno Ko Tu Kabhi Na Udaas Rakhna;
- Gum Na Aye Unke Paas Mere Moula;
- Tu Nazar-e-Karam Unpe Khaas Rakhna
- ................................
- Na Main Pass Usko Bula Saka;
- Na Main Dil Ki Baat Suna Saka;
- Wo Hansi-Hansi Main Hi Chal Diye;
- Aur Main Haath Tak Na Hila Saka
- ................................
- Hai Kismat Hamari Aasman Mein Chamakte Sitaare Jaisi;
- Log Apni Tammana Ke Liye Hamarey Tutne Ka Intezaar Karte Hain
- ................................
- Mere Dil Ki Khawaishen Reh Reh Kar Poochengee Ek Din Uss Se;
- Kis Ko Aabad Kiya Hai Mujh Ko Barbaad Kar Ke
- ................................
- Shayad Koi Tarash Kar Kismat Sawaar De:
- Yeh Soch Kar Hum Umar Bhar Pathar Baney Rahe
- ................................
- Woh Mera Sab Kuchh Hai Par Muqaddar Nahi;
- Kaash Woh Mera Kuchh Na Hota Par Muqaddar Hota
- ................................
- Waqt Guzarta Raha Par Sansey Thammi Thi;
- Muskura Rahe The Hum Par Ankhon Mein Nami Thi;
- Saath Hamaare Yeh Jahaan Tha Sara;
- Par Na Jaane Kyun Tumhari Kami Thi
- ................................
- Hazaron Khwahishen Aise Ke Har Khawahish Pe Dum Nikle;
- Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhe Kam Nikle
- ................................
- Mere Jeene Ke Liye Tera Armaan Hi Kaafi Hai;
- Dil Ke Qalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai;
- Teer-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorate Ai Nazneen;
- Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan Hi Kafi Hai
- ................................
- Mery Sajdon Mein Kami To Na Thi Mere Mola
- Kya Mujh Se Bhi Barr Ke Kisi Ne Manga Tha Ussey?
- ................................
- Ek ye khwaahish ke koi zakhm na dekhe dil ka;
- ek ye hasrat ke koi dekhne wala hota
- ................................
- Apne gamo ki yu numaish na kar
- Apne nasib ki yu aazmaish na kar
- Jo tera hai tere dar pe khud ayega
- Roz roz use pane ki khwaish na kar
- ................................
- Har khomoshi mein ek baat hoti hai
- Har dil mein ek yaad hoti hai
- Aapko pata ho ya na ho par aapki khushi k liye roz fariyad hoti hai
- ................................
- Nakaam si koshish kiya karte hain
- Hum hain ki unse pyar kiya karte hain
- Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha
- Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
- ................................
- Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai
- Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai
- Use pana nahi meri taqdeer mein shayad
- Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai
- ................................
- Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye
- Hum apko yaad karein aur aapko khabar ho jaye
- Khuda se maangte hain ki aap jise bhi chaho
- Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye
- ................................
- Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai
- Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai
- Apni yadon se keho ki yun na sataya kare
- Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
- ................................
- Baag ki har kali khushbu de apko
- Suraj ki har kiran nai subah de apko
- Hum to kuch dene ke kabil nahi hain
- ................................
- Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho
- Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho
- Mujhe maut ka dar na hoga
- Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho
- ................................
- Toot jaate hain sabhi rishte magar Dil se dil ka raabta apni jagah Dil ko hai tujh se na milne ka yakeen Tujh se milne ki dua apni jagah
- ................................
- Jisne humko chaha use hum chah na sake
- Jisko chaha usae hum pa na sake
- Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai
- Kisi ka toda aur apna bacha na sake
- ................................
- Maut k baad yaad aa raha hai koi mitti meri kabr se utha raha hai koi
- Ya khuda do pal ki mohlat aur de de udas meri kabr se ja raha hai koi
- ................................
- Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun;
- Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Lun;
- Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri;
- Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Lun
- ................................
- Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Kee;
- Barri Arzoo Thi Hum Ko Mulaaqat Kee
- ................................
- Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein Daaman;
- Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan;
- Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyun Hai
- ................................
- Koshish Ke Baad Bhi Jo Poori Na Ho Saki;
- Tera Naam Bhi Unn Khawishon Mein Hai
- ................................
- Ae Kaash Kahin Qudrat Ka Yeh Nizaam Hua Kare;
- Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare
- ................................
- Khudaa Buri Nazar Se Bachaye Aap Ko;
- Chand Sitaron Se Sajaye Aap Ko;
- Ghum Kya Hota Hai Ye Aap Bhool Hi Jao;
- Khudaa Zindagi Mein Itna Hasaye Aap Ko
- ................................
- Ae Kaash Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Kare;
- Tujhe Dekhne Ke Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare
- ................................
- Bas Itni Guzarish Hai Mohabbat Mein Mere Maula;
- Mujhe Nakaam Hone Se Zara Pehle Uthaa Lena
- ................................
- Tere Har Gum Ko Apni Rooh Mein Utaar Loon;
- Zindagi Apni Teri Chahat Mein Sawaar Loon;
- Mulaqat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Meri;
- Sari Umar Bas Ek Mulaqat Mein Guzaar Loon
- ................................
- Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
- Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe;
- Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi;
- Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe
- ................................
- Ab Tak Toh Khair Teri Tamanna Mein Katt Gayi;
- Tu Mil Gaya Toh Sochta Hoon Kya Karon Ga Main
- ................................
- Dil Main Uthe Armaan Ke Toh Kya Kahne;
- Hum Toh Apni Shayari Bhi Unse Chhupate Rahe
- ................................
- Mar Kar Bhi Usko Dekhte Rehne Ke Shauq Mein;
- Aankhein Kisi Ko Apni Amanat Mein De Gaye
- ................................
- Iss Qadar Pyar Se Na Dekh Mujhe;
- Phir Tamanna Jawaan Na Ho Jaye
- ................................
- Sirf Ek Baar Apne Honthon Se Mujhe Apna Keh Do;
- Phir Mehfil Mein Raqeeboon Ka Tamasha Dekho
- ................................
- Ye Jo Hai Hukm Mere Pas Na Aye Koi 894;
- Iss Liye Ruth Rahe Hain K Manaye Koi 894;
- Taak Mein Hai Nigah-e-Shauq Khuda Khair Kare 894;
- Samane Se Mere Bachta Hua Jaye Koi
- ................................
- Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye;
- Kyunki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Zaroor Hai
- ................................
- Socha Tha Usse Bichhdenge Toh Mar Jaayenge;
- Jaan Leva Khauf Tha Bas Hua Kuch Bhi Nahi
- ................................
- Duriya Hote Huye Bhi Safar Vahi Rahega 894;
- Door Hote Huye Bhi Dostana Vahi Rahega 894;
- Bahut Mushkil Hai Ye Safar Zindgi Ka 894;
- Agar Aapka Sath Hoga To Ehsaas Vahi Rahega
- ................................
- In Aankhon Ki Baat Jo Bayaan Hoti;
- Toh Apka Pyaar Aaj Hamaari Pehchaan Hoti;
- Chhod Dete Hum Bhi Is Jahaan Ko;
- Agar Tere Dil Mein Jagah Tamaam Hoti
- ................................
- Khuda To Milta Hai Insaan Hi Nahin Milta;
- Yeh Cheez Woh Hai Jo Dekhi Kahin Kahin Maine
- ................................
- Mitt Jaye Ga Gunahon Ka Tasavur Is Jahaan Se;
- Agar Ho Jaye Yaqeen Ke Khuda Dekh Raha Hai
- ................................
- Sirf Chahne Se Mulaqat Nahi Hoti;
- Sooraj Ke Hote Raat Nahi Hoti;
- Hum Jise Chahete Hai Jaan Se Bhi Zyaadah;
- Saamne Hote Hain Par Baat Nahi Hoti
- ................................
- Tasveer Maine Maangi Thi Shokhi To Dekhiye;
- Ek Phool Us Ne Bhejj Diya Hai Gulaab Ka
- ................................
- Thukraa Diya Hai Jis Ke Liye ek Jahaan Ko;
- Yaa Rab Woh Mera Dil Na Dukhaaye Tamaam Umar
- ................................
- Dil Se Tera Khayal Na Jaye To Kya Karu;
- Tu Hi Bata Tu Yaad Aaye To Kya Karu;
- Hasrat Ye Hai Ki Ek Nazar Tujhe Dekhun;
- Magar Kismat Woh Lamha Na Laye To Kya Karu
- ................................
- Kahin To Milegi Mohabat Ki Manzil;
- Ye Dil Ka Musafir Chala Ja Raha Hai
- ................................
- Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle;
- Bohut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kum Nikle
- ................................
- Saaz Yeh Keena Saaz Kya Jaane;
- Naaz Waale Niyaaz Kya Jaane
- ................................
- Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum;
- Aaya Bhi Aur Gaya Bhi Zamana Bahaar Ka
- ................................
- Aah Hoti Mere Lab Par Na Yeh Nalah Hota;
- Ek Bhi Toone Jo Armaan Nikaala Hota
- ................................
- Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat Ghalib ;
- Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona
- ................................
- Naa Jana Ki Duniya Se Jata Hai Koi;
- Bahut Der Ki Mehrban Aate Aate
- ................................
- Takmeel E Zoq E Ishq Ko Ik Umar Chahiye;
- Barsoon Teri Nigah Ne Darse Wafa Diya;
- Parhati Hai Mujh Par Sare Zamane Ki Ubb Nazar;
- Mujh Ko Teri Nigah Nae Tujh Sa Bana Diya
- ................................
- Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse;
- Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barse;
- Minatien Kon Kare Aik Gharonde Ke Liye;
- Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barse
- ................................
- Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti;
- Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti;
- Janti Hoon Main Kabhi Tumhari Na Ban Paungi;
- Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti
- ................................
- Zaroori To Nahin Jeene Ke Liye Sahara Ho;
- Zaroori To Nahin Hum Jinke Hain Vo Hamara Ho;
- Kuch Kashtiyaan Doob Bhi Jaati Hain;
- Zaroori To Nahin Ke Har Kashti Ka Koi Kinara Ho
- ................................
- Hazaar Chehron Main Uski Muhabatain Milien Mujhko;
- Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin
- ................................
- Sirf Dekh Ke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti;
- Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti;
- Janti Hoon Main Kabhi Tumhari Na Ban Paungi;
- Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti
- ................................
- Jab Bhi Main Tere Sammne Hota Hun;
- Na Jane Kyon Aisa Lagta Hain;
- Yeh Waqt Yahi Tham Jaye;
- Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain
- ................................
- Bichre Hue Logon Pe Taras Khao Kisi Din;
- Aisa Ho Jaye K Na Yaad Aao Kisi Din;
- Sawan K Bina Jaise Ho Jati Hai Barish;
- Aisa Hi Mere Pas Chale Aao Kisi Din
- ................................
- Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen;
- Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen;
- Yoonhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara;
- Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
- ................................
- Yoon Hi Lakeer Khurchte Hain Apni Qismat Ki;
- Warna Unki Hatheli Mein Darj Hi Kya Hai;
- Kuch Is Liye Bhi Wo Aankhon Ko Band Rakhte Hain;
- Ke Khawaab Dekhte Rehne Men Harj Hi Kiya Hai
- ................................
- Tanha Jab Dil Hoga Aapko Aawaz Diya Karenge;
- Raat Me Sitaron se Aapka Jikar Kiya Karenge;
- Aap Aaye Ya Na Aaye Hamari Khaboon mein;
- Hum Bas Aapka Intezaar Kiya Karenge
- ................................
- Raaste Mein Pattharon Ki Kami Nahi Hai;
- Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai;
- Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki Magar;
- Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai
- ................................
- Woh Mera Sab Kuch Hai Bas Mera Muqaddar Nahi;
- Kaash Woh Mera Kuch Bhi Na Hota Sirf Muqaddar Hota
- ................................
- Kitna Dilkash Manzar Ho Jab Hum;
- Qayamat Ke Din Karein Shikwa Teri Bewafai Ka;
- Aur Tum Lag Ke Gale Se Mere;
- Dheere Se Kaho Chup Raho Khudaa Ke Liye
- ................................
- Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do;
- Main Bahut Dino Se Udaas Hun Mujhe Koi Shaam Udhaar Do
- ................................
- Jee Chahta Hai Tum Se Pyaari Si Baat Ho;
- Haseen Chand Tare Ho Lambi Si Raat Ho;
- Fir Raat Bhar Yahi Guftagu Rakhe Hum Dono;
- Tum Meri Zindagi Ho Tum Meri Kayanat Ho
- ................................
- Ajeeb Bebasi Ka Mausam Hai Dil Ke Aangan Mein Faraz ;
- Taras Gaye Hain Tere Sath Guftgu Ke Liye
- ................................
- Kaise Guzarta Hai Tere Bin Har Pal;
- Kabhi Baat Karne Kee Hasrat To Kabhi Dekhne Kee Tamanna
- ................................
- Tujhse Mila Nahi Hun Magar Chahta Hun Main;
- Tu Humsafar Ho Aur Kahin Ka Safar Na Ho
- ................................
- Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun;
- Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun;
- Main Aap Kee Zindagi Kee Khushi Banu Ya Na Ban Sakun;
- Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun
- ................................
- Kash Koi Mile Is Tarah Ke Phir Judaa Na Ho;
- Wo Samjhe Mere Mizaz Ko Aur Kabhi Khafa Na Ho;
- Apne Ehsaas Se Baant Le Saari Tanhayi Meri;
- Itna Pyaar De Jo Pehle Kabhi Kisi Ne Diya Na Ho
- ................................
- Tujhse Ru-b-Ru Hokar Baatein Karu;
- Nigahein Milakar Wafa Ke Vaade Karu;
- Thaam Kar Tera Hath Baith Jaun Tere Samne;
- Teri Haseen Surat Ke Nazare Karu
- ................................
- Aarzoo Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karein;
- Woh Hi Apne Saamne Ho Hum Jidhar Dekha Karein;
- Ek Taraf Ho Saari Duniya Ek Taraf Surat Teri;
- Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karein
- ................................
- Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri;
- Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri;
- Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna;
- Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri
- ................................
- Ajnabi Thi Baatein Sabhi Uske Pyaar Kee;
- Nahi Thi Khabar Ek Din Qayamat Zaroor Hogi;
- Karte Rahe Fariyad Us Khuda Se Ai Sanam;
- Milega Tu Mujhe Khuda Kee Rehmat Zaroor Hogi
- ................................
- Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka;
- Khusiyan Dhundti Rahe Aashiyana Aapka;
- Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho;
- Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka
- ................................
- Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai;
- Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai;
- Iss Umeed Ke Saath Ki Aayenge Woh Kabhi;
- Humne Har Raah Pe Apni Palkein Bichha Rakhi Hain
- ................................
- Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe;
- Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang
- ................................
- Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen;
- Woh Hi Apne Samne Ho Hum Jidhar Dekha Karen;
- Ek Taraf Ho Sari Duniya Ek Taraf Teri Surat Ho;
- Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen
- ................................
- Hamari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho;
- Tumhare Har Gum Ka Dard Hamara Ho;
- Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gum Nahi;
- Bas Aakhiri Waqt Saath Tumhara Ho
- ................................
- Kabhi Kabhi Hume Bhi Yun Hi Yaad Kar Liya Karo;
- Hamari Tasveer Bhi Dekh Kar Use Chum Liya Karo;
- Maana Ki Tumhein Kami Nahi Hai Kisi Cheez Kee;
- Fir Bhi Kabhi Hume Apni Dua Mein Maang Liya Karo
- ................................
- Kaash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete;
- Mujhme Kya-Kya Thi Kami Yeh To Bata Dete;
- Tadapte Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyon Kee;
- Nafrat Kee Hi Mujhe Koi Wajah To Bata Dete
- ................................
- Tumhari Pasand Hamari Chahat Ban Jaye;
- Tumhari Muskurahat Dil Kee Rahat Ban Jaye;
- Khudaa Khushiyon Se Itna Khush Kar De Aapko;
- Ki Aapko Khush Dekhna Hamari Aadat Ban Jaye
- ................................
- Le Kar Aana Usse Mere Janaaze Mein;
- Ek Aakhri Haseen Mulaqat Toh Hogi;
- Mere Jism Mein Beshak Jaan Na Ho Magar;
- Meri? Jaan Mere Jism Ke Pass To Hogi
Images Shayari,whatsapp Hindi Shayari, Love Shayari, Sad Shayari, Dosti Shayari, Best Shayari, New Shayari, Latest Shayari,hindi font inspirational zindagi shayari friendship,good night images,good morning shayari download images,shayari on life Shayari 2018.
New hindi shayari tere zindgi
Subscribe to:
Posts
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment