Dil Mein Rehne Walon Kee Baat Shayari2017

⬉⬉Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi;
Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar;
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Gardishein Wohi Paich-o-Kham Tere Baad Bhi;
Wohi Haunsle Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi;
Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhe Moatabar;
Tere Saare Gham Mujhe Mohtaram Tere Baad Bhi⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬉⬉Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na;
Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na;
Zara Chupke Se Khamoshi Se;
Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na🔂🔂🔂🔂🔂
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do;
Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do;

Kat Ti Nahi Yeh Zindagi, Ab Tere Bin;
Kitna Karoon Aur Intezar Likh Do;

Taras Rahi Hun Badi Muddat Se;
Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do;

Deewane Ho Jayein Jise Padh Ke Hum;
Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do;

Zayada Nahi Likh Sakte To Mat Likho;
Mohabbat Bhare Lafz Do Chaar Likh Do;

Ek Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se;
Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalm 'Faraz';
Main Pyaar Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
🔀🔀Ai Maut, Main Tujhe Gale Lagana Chahta Hun;
Kitni Wafa Hai Tujh Mein Yeh Aazmana Chahta Hun;
Rulaya Hai Bahut Duniya Mein Logo Ne Mujhe;
Mile Jo Tera Saath To Main Logo Ko Rulana Chahta🔺🔺 Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Phool Kee Ajab Kahani Hai;
Chup Rehna Bhi Pyaar Kee Nishani Hai;
Kahin Koi Zakhm Nahi Phir Bhi Kyon Dard Ka Ehsas Hai;
Lagta Hai Dil Ka Ek Tukda Aaj Bhi Uske Paas Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shaam Se Aaj Saans Bhaari Hai, Bekaraari Hi Bekaraari Hai;
Aapke Baad Har Ghadi Humne, Aap Ke Saath Hi Guzaari Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Bhaar Se;
Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se;

Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab;
Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se;

Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka;
Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se;

Mand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang;
Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se;

Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko;
Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jaate Hain To Katra Ki Nikal Jaate Hain;
Hai Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
🔁🔁Khamosh Hothon Ka Agar Ishara Mil Jaaye;
In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye;
Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain;
Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil 🔻🔻Jaaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
H⬹asane Ke Baad Kyon Rulati Hai Duniya;
Jaane Ke Baad Kyon Bhulati Hai Duniya;
Zindagi Mein Kya Koi Kasar Baaki Thi;
Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee;
Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee;

Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah;
Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee;

Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka;
Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee;

Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar;
Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee;

Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan;
Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee;

Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh';
Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;
Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar;
Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni Aakhon Ke Samander Mein Utar Jaane De;
Tera Mujrim Hun, Mujhe Doob Ke Mar Jaane De;
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko;
Sochta Hun Kahun Tujhse, Phir Sochta Hun Ki Chod Jaane De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Aarzoo Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karein;
Woh Hi Apne Saamne Ho Hum Jidhar Dekha Karein;
Ek Taraf Ho Saari Duniya, Ek Taraf Surat Teri;
Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Najane Kab Tak Ye Aankhein Uska Intezar Karengi;
Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko Bekarar Karengi;
Use To Ehsaas Tak Nahi Is Mohabbat Ka Yaaro;
Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar Karengi⭂

Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna;
Samne Apne Aaina Rakhna;

Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna;
Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna;

Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho;
Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna;

Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye;
Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna;

Milna-Julna Jahan Zaroori Ho;
Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Bhi Ek Sham Bahut Uljhe Hue The Khud Mein;
Ek Sham Usko Bhi Haalat Ne Mohlat Nahi Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭⧭Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai;
Jis Mein Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai;
Bas Yaadein Reh Jati Hain Yaad Karne Ke Liye;
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Un Galiyon Se Jab Guzre To Manjar Ajeeb Tha;
Dard Tha Magar Wo Dil Ke Kareeb Tha;
Jise Hum Dhundte The Apni Haathon Kee Lakiron Mein;
Wo Kisi Dusre Kee Kismat, Kisi Aur Ka Naseeb Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamare Ashk Mein Apka Khwab Chupa Hai;
Hamari Khushi Mein Aapka Ehsas Chupa Hai;
Tum Hamari Dastan Mein Raho Ya Na Raho;
Lekin Is Dil Mein Hamesha Aapke Liye Pyaar Chupa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai;
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;

Main Us Ke Khyaal Se Gurezaan;
Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai;

Tahreer Usi Kee Hai Magara Dil;
Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;

Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein;
Aur Zehn Kahaan Bhatak Raha Hai;

Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
Saahil Pe Thakaan Tapak Raha Hai;

Ek Chaand Saleeb-E-Shaakh-E-Gul Par;
Baali Kee Tarah Latak Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi To Zikr-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat;
Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Aarzoo Ye Nahi Ki Gham Ka Toofan Tal Jaye;
FIkar To Yeh Hai Ki Kahin Aapka Dil Na Badal Jaye;
Kabhi Mujkhko Agar Bhulana Chaho To;
Dard Itna Dena Ki Mera Dum Nikal Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jisko Chaho Use Chahat Bata Bhi Dena;
Kitna Pyaar Hai Usse Yeh Jata Bhi Dena;
Yun Na Ho Ki Uska Dil Kahin Aur Lag Jaye;
Karke Izhaar Uske Dil Ko Chura Bhi Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha;
Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai;

Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan;
Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee;
Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri;
Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai;

⬈⬈Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas;
Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhein Bhi Haye Naza Mein Apni Badal Gayi;
Sach Hai Ki Bekasi Mein Koi Aashna Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saans Lene Se Bhi Teri Yaad Aati Hai;
Har Saans Mein Teri Khushboo Bas Jati Hai;
Kaise Kahoon Ki Saans Se Main Zinda Hun;
Jab Ki Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Na Meri Koi Manzil Hai Na Mera Koi Kinara;
Tanhayi Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara;
Tum Se Bichhad Kar Kuch Yun Waqt Guzara;
Kabhi Zindagi Ko Tarse To Kabhi Maut Ko Pukara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Isi Karz Ko Ada Karne Ke Liye Hum Saari Raat Nahi Sote Ki;
Shayad Koi Jaag Raha Hoga Is Duniya Mein Hamare Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna;
Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna;

Chalkaaye Hue Khushbuu Lab-e-Laleen Ki;
Ik Baag Sa Sath Apne Mehkaaye Hue Rehna;

Ik Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se;
Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna;

Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To 'Munir' Apni;
Jis Sheher Mein Bhi Rehna Uktaaye Hue Rehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota Hai;
Ab Ishq Kiya To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuch Hota Hai;
Aaghaz-e-Musibat Hota Hai Apne Hi Dil Kee Shaamat Se;
Aankhon Mein Phool Khilaata Hai Talvon Mein Kaante Bota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din, Mahine, Saalon Ka Hisaab Nahi Aata Mujhe;
Hamesha Se Hamesha Tak Saath Tumhara Chahiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Hai Jiska Is Dil Ko Intezar Hai;
Khyalon Mein Ab To Bas Usi Ka Khayal Hai;
Khushiyan Main Is Jahan Kee Saari Us Par Luta Du;
Kab Aayega Wo Jiska Is Dil Ko Intezar Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Tujhe Bhule Magar Teri Yaadon Ko Na Bhula Paaye;
Saare Sansar Ko Jeet Liya Bas Ek Tujhse Na Jeet Paaye;
Teri Yaadon Mein Aise Kho Gaye Ki Kisi Ko Yaad Na Kar Paaye;
Tumne Mujhe Is Kadar Tanha Kar Diya Ki, Ab Tak Kisi Aur Ke Na Ho Paaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;

Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;

Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;

Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;

Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha;
Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha;
Be-Waqt Agar Jaunga Sab Chaunk Padenge;
Ek Umar Hui Din Mein Kabhi Ghar Nahin Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Pal Kee Judai Gawara Na Kar Sake;
Aisa Ishq Hum Dobara Na Kar Sake;
Zindagi Bhar Palat Ke Naa Dekha Kabhi;
Hum Phiir Bhi Shikwa Tumhara Naa Kar Sake!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai;
Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Reh Jata Hai;
Koi Sab Kuch Keh Kar Pyaar Jatata Hai;
To Koi Kuch Na Keh Kar Pyaar Nibhata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahin Se Jaan Geya Main Ki Waqt Dhalne Lage;
Main Thak Haar Ke Baitha To Pair Jalne Lage;
Jo De Raha Tha Sahaare To Ik Hajoom Mein Tha;
Jo Gir Pada To Sabhi Raasta Badalne Lage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati;
Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahin Jati;

Ab Umar, Na Mausam, Na Woh Raaste Ki Woh Palte;
Iss Dil Ki Magar Khaam Khayali Nahin Jati;

Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Ke Tujhe De Dein;
Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahin Jati;

Aaye Koi Aa Ke Yeh Tere Dard Sambhaale;
Hum Se To Yeh Jageer Sambhaali Nahin Jati;

Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Kisse;
Yeh Baat Teri Hum Se To Uchaali Nahin Jati;

Humraah Teri Phool Khilaati Jo Dil Mein;
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahin Jati;

Hum Jaan Se Jaayen Ge Tabhi Baat Bane Gi;
Tum Se To Koi Raah Nikaali Nahin Jati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Yeh Kaisi Tanhayi Hai;
Tere Saath Teri Yaad Aayi Kya Tu Sach-Much Aayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye;
Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Har Pal Ke Liye;
Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye;
Jab Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chahne Se Koi Cheez Apni Nahi Hoti;
Har Muskuraht Khushi Nahi Hoti;
Armaan To Hote Hain Bahut Magar;
Kabhi Waqt To Kabhi Kismat Sahi Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhool Se Kabhi Humein Bhi Yaad Kar Liya Karo;
Pyaar Na Sahi To Shikayat Hi Kar Liya Karo;
Itna Bhi Gair Na Samjho Ki Baat Hi Na Karo;
Mulaqat Na Sahi Par Milne Ka Vaada Hi Kar Liya Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬈⬈Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi;
Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili;
Dil Ke Viraan Shagufo Ko Phir Se Taazgi Mili;
Faila Hua Hai Noor Is Kadar Khaksaar Se Unke;
Gham-e-Zulmato Ko Unke Hi Dum Se Roshni Mili!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jane Kitni Umeedein Thi Tujhko Meri Yaadon Se;
Ki Jab Bhi Aayengi Haal Suna Jaya Karengi;
Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The;
Ki Yaadein Aayengi Aur Dil Behla Jaya Karengi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
Ki Tujhko Yaad Rakhne Mein Main Kya-Kya Bhool Jata Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;

Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;

Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;

Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;

Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;

Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Mohbbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Use Khuda Bana Dala;
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ki Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
G⬲ILA SHIKWA  
Kisi Ko Apna Banane Mein Der Lagti Hai;
Kya Hua Vaada Nibhane Mein Der Lagti Hai;
Pyaar To Pal Bhar Mein Ho Jata Hai;
Par Unhein Bhulane Mein Saari Umar Bhi Kam Pad Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naadani Kee Hadh Hai Zara Dekho To Unhein;
Mujhe Kho Kar Wo Mere Jaisa Dhoondh Rahe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Intezaar To Bahut Tha Humein;
Lekin Aaye Na Woh Kabhi;
Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate;
Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein;
Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;

Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshni Tha Wuzood;
Khatak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;

Jinhe Mata-e-Dil-o-Jaan Samajh Rahe The Hum;
Wo Aaine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mein;

Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai;
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ki Hai;
Bahut Dino Se Bahut Iztaraab Aankhon Mein;

Na Jaane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai;
Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khalaq Ne Cheen Lee Hai Mujhse Meri Tanhayi Tak;
Ishq Aa Pahuncha Hai Ilzaam Se Ruswayi Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Gulshan Kee Baharon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai;
Phir Uss Ne Kitabon Pe Mera Naam Likha Hai;
Yeh Dard Isi Tarah Meri Duniya Mein Rahe Ga;
Kuch Soch Ke Us Ne Mera Anjaam Likha Hai⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⬈⬈Marne Ka Tere Ishq Mein Iraada Bhi Nahi Hai;
Hai Ishq, Magar Itna Jyada Bhi Nahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Kab Kaha Tha Nazaron Se Khauf Aata Hai;
Mujhe To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai;

Main Dushmanon Ke Kisi Vaar Se Nahi Darta;
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai;

Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hain;
Humein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai;

Mile Hain Dosto Besakhiyon Se Gham Itne;
Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai;

Main Iltifaat Kee Khandaq Se Door Rehta Hun;
Talluqaat Ke Gaaron Se Khauf Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Ishq Bhi Junoon Bhi, Masti Bhi Josh-e-Khoon Bhi;
Kahin Dil Mein Dard, Kahin Aah Sard, Kahin Rang Zard;
Hai Yun Bhi Aur Yun Bhi;
Lo Phir Basant Aayi, Phoolon Mein Rang Layi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Ne Jo Chonk Kar Har Jagah Nigah Kee Hogi;
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi;
Ye Jo Moti Baraste Hain Teri Yaad Mein Aksar;
Badlon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊⬊Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane;
Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane;
Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko;
Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane!
SAAKI AUR SHARAAB⬀⬀  
Kabhi Lafz Bhool Jaun Kabhi Baat Bhool Jaun;
Tujhe Is Kadar Main Chahun Ki Apni Zaat Bhool Jaun;
Uth Kar Jo Kabhi Tere Paas se Chal Dun To;
Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindagi Is Tarah Guzarate Hain;
Karz Hai Aur Use Utarate Hain;

Wasl Pe Shart Baandh Lete Hain;
Aur Yeh Shart Roz Haarte Hain;

Aaino Mein To Aks Hai Khud Ka;
Log Patthar Yeh Kisko Maarte Hain;

Kitne Dil Is Mein Gundh Lete Hain;
Zulf-e-Khugar Ko Jab Swarate Hain;

Ek Baazi Pe Bhool Mat Jana;
Pesh-e-Fatah Bhi Log Haarte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Be Tere Kya Wahshat Hum Ko Tujh Bin Kaisa Sabr-o-Sukun;
Tu Hi Apna Shehar Hai Jaani Tu Hi Apna Sehra!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla;
Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla;
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya;
Afsos Wo Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬊⬊Aankhon Ke Ishaare Samajh Nahi Paate;
Honthon Se Dil Kee Baat Keh Nahi Paate;
Bebasi Ka Aalam Ab Kuch Yun Ho Geya Ki;
Kuch Keh Bhi Nahi Paate Aur Chup Reh Bhi Nahi Paate!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kaise Rokun Jo Ashk Aankhon Se Dhal Jaate Hain;
Dil Ke Kuch Dard Hain Aankhon Se Nikal Aate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro;
Ki Main Zameen Ke Rishton Se Kat Geya Yaaro;

We Be-Khayal Musafir Main Raasta Yaaro;
Kahan Tha Bas Mein Mere Use Rokna Yaaro;

Mere Kalam Pe Zamae Kee Gard Aisi Thi;
Ki Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro;

Tamam Shehar Hi Uski Talaash Mein Ghum Tha;
Main Uske Ghar Ka Pata Kis Se Puchta Yaaro;

Jo Beshumar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Hai;
Wo Apne Bachhon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaro;

Janab-e-Meer Ko Khudrajiyon Mein;
Miyan 'Wasim'Ke Kehne Ko Kya Bacha Yaaro!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tasveer Ke Do Rukh Hain Jaan Aur Gham-e-Jaana;
Ik Naqsh Chupana Hai Ik Naqsh Dikhana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Jab Achanak Kabhi Unka Deedar Hota Hai;
Dil Mein Dhimi Si Dhandkan Ruk Jati Hai;
Itni Khoobsurat Hain Aankhein Unki;
Ki Nazar Milate Hi Nazar Jhuk Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zaroori Ye Nahi, Ki Ishq Mein Tum Taj Banwao;
Zaroori To Ye Hai Ki, Bas Ishq Mein Tum Khud Mit Jaao!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aakhon Ke Saamne Har Dam Aapko Paya Hai;
Dil Mein Bas Aapko Hi Basaya Hai;
Aapke Bina Hum Jiyenge Bhi To Kaise;
Bhala Jaan Bina Bi Koi Jee Paya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gazab Kiya, Tere Vaade Pe Aitbaar Kiya;
Tamaam Raat Qayamat Ka Intezar Kiya;

Hansa Hansa Ke Shab-e-Vasl Ashkbaar Kiya;
Tasaliya Mujhe De De Ke Beqaraar Kiya;

Hum Aise Mahv-e-Nazara Na The Jo Hosh Aata;
Magar Tumhare Tagaful Ne Hoshiyar Kiya;

Fasana-e-Shab-e-Gham Unko Ek Kahani Thi;
Kuch Aitabaar Kiya Aur Kuch Na-Aitabaar Kiya;

Ye Kisne Jalwa Hamare Sar-e-Mazaar Kiya;
Ki Dil Se Shor Utha, Haaye! Beqaraar Kiya;

Tadap Phir Ai Dil-e-Nadan, Ki Gair Kehte Hain;
Aakhir Kuch Na Bani, Sabr Ikhtiyaar Kiya;

Kuch Aage Daawar-e-Mahshar Se Hai Umeed Mujhe;
Kuch Aap Ne Mere Kehne Ka Aitabaar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamanaa Tha;
Dehakati Aag Thi Tanhayi Thi Fasanaa Tha;
Ye Kya Ki Chand Hi Kadmon Pe Thak Ke Baith Gaye;
Tumhein To Saath Mera Door Tak Nibhanaa Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye;
Bewafa Ke Saath Jeena Seekh Gaye;
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai;
Maut Se Pehle Kafan Hum Odhna Seekh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhokha Deti Hai Shareef Chehron Kee Chamak Aksar;
Har Kaanch Ka Tukda Heera Nahi Hota⧭⧬

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamare Liye Unke Dil Mein Chahat Na Thi;
Kisi Khushi Mein Koi Dawaat Nahi Thi;
Maine Dil Unke Kadmon Mein Rakh Diya;
Magar Unhein Zameen Dekhne Kee Aadat Nahi Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Chaand Sitaron Se Kya Puchu Kab Din Mere Firte Hain;
Wo To Bechare Khud Hain Bikhari, Dere-Dere Firte Hain;

Jin Galiyon Mein Hum Ne Sukh Kee Sej Pe Raate Kaati Thi;
Un Galiyon Mein Vyakul Hokar Saanjh Savere Firte Hain;

Roop-Saroop Kee Jot Jagana Is Nagari Mein Zokhim Hai;
Chaaro Khunt Bagule Ban Kar Ghor Andhere Firte Hain;

Jin Ke Shaam-Badan Saaye Mein Mera Man Sustaya Tha;
Ab Tak Aankhon Ke Aage Wo Bal Ghanere Firte Hain;

Koi Humein Bhi Ye Samjha Do Un Par Dil Kyon Reejh Geya;
Teekhi Chitwan Baanki Shab Wale Bahutere Firte Hain;

Is Nagri Mein Baag Aur Ban Ki Yaaro Leela Nayari Hai;
Panchi Apne Sar Pe Uthakar Apne Basere Firte Hain;

Log To Daman Si Lete Hai Jaise Ho Jee Lete Hain;
'Abid' Hum Deewane Hain Jo Baal Bikhere Firte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi To Zikar-e-Sehar Dosto Hai Door Kee Baat;
Abhi To Dekhte Jao Badi Udaas Hai Raat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Ne Humein Aashiq Kaha;
Kisi Ne Humein Deewana Kaha;
In Aankho Mein Aansu Tab Aaye;
Jab Kuch Apno Ne Hi Humein Begana Kaha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Aansuon Ko Palko Tak Laya Mat Karo;
Dil Kee Baat Kisi Ko Bataya Mat Karo;
Log Muthi Mein Namak Liye Phirte Hain;
Zakham Ye Apne Kisi Ko Dikhaya Mat Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se;
Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se;
Zakham Hi Zakham Diye Us Ne Dawa Ke Naam Se;
Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool Jaise Makhmali Talawo Mein

Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Chhale Kar Diye;
Gore Suraj Ne Hazaro Jism Kaale Kar Diye;

Pyaas Kaise Bujhegi Humne Khud Hi Bhool Se;
Maikade Kamzarf Logo Ke Hawale Kar Diye;

Dekh Kar Tujh Ko Koi Manzar Na Dekha Umar Bhar;
Ek Ujaale Ne Meri Aankhon Mein Jaale Kar Diye;

Roshni Ke Devta Ko Pujta Tha Kal Talak;
Aaj Ghar Kee Khidkiyon Ke Kaanch Kaale Kar Diye;

Zindgi Ka Koi Bhi Tohfa Nahi Hai Mere Paas;
Khoon Ke Aansu To Ghazlo Ke Hawale Kar Diye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Wo Nagar Nahin Ki Phir Aabaad Ho Sake;
Pachtaoge Suno Ho Ye Basti Ujad Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai;
Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai;
Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein;
Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Ishq Mein Wo Misaal Banayenge Hum;
Aankhein Band Karoge To Nazar Aayenge Hum;
Bhar Denge Itna Pyaar Aapke Dil Mein Ki;
Sab Se Pehle Yaad Aayenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake;
Teri Yaad Mein Saari Raat So Na Sake;
Mit Na Jaye In Ashkon Mein Teri Yaadein;
Yahi Soch Kar Hum Bas Ro Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Sirf Dhokha Tha Koi Tera Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Maine Socha Tha Tujhe Jaisa Ki Jo Tha Wo Na Tha;

Manzilo Kee Justju Mein Ghar Se Main Nikla Magar;
Tha Sabhi Kuch Theek Par Raasta Ki Jo Tha Wo Na Tha;

Saath Tha Din Bhar Wo Mere Ik Musafir Kee Tarah;
Shaam Jab Aayi To Ye Jana Ki Jo Tha Wo Na Tha;

Uske Bheetar Jhankte Hi Mujhko Andaza Hua;
Tha Wo Apni Jaat Mein Aisa Ki Jo Tha Wo Na Tha;

Tune Nahak Meri Baaton Ka Bura Maana Hai Dost;
Gaur Karna Bas Mera Kehna Ki Jo Tha Wo Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab;
Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Mein Teri Aahein Bharta Hai Koi;
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi;
Maut Sachhai Hai Ek Roz Aani Hai;
Lekin Teri Judaai Mein Har Roz Marta Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishan Baki Hain;
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baki Hai;
Kya Hua Agar Dekh Kar Munh Pher Lete Hain;
Yeh Tasalli To Hai Ki Unhein Hamari Pehchan Baki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee;
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge;
Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka;
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege⬈⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Jab Agle Saal Yahi Waqt Aa Raha Hoga;
Ye Kaun Jaanta Hai Kaun Kis Jagah Hoga;

Tu Mere Saamne Baitha Hai Aur Main Sochta Hun;
Ki Aate Lamhon Mein Jeena Bhi Ik Saza Hoga;

Yahi Damakte Hue Pal Dhuan Dhuan Honge;
Yahi Chamakta Hua Din Bhujha Bhujha Hoga;

Isi Jagah Jahaan Aaj Mil Ke Baithe Hain;
Isi Jagah Par Khuda Jaane Kal Kya Hoga;

Bichhadne Wale Tujhe Dekh Kar Sochta Hun;
Tu Phir Milega To Kitna Badal Geyaa Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉⬉Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
Magar Kaun Tumhari Tarah Mujh Ko Chahega;
Tumhein Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega;
Magar Wo Aankhein Hamari Kahan Se Layega⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Kuch Khabar Nahi Hum Ko Apna Ya Paraya Hai;
Dhoondne Ye Dil Jis Ko Is Gali Mein Aaya Hai;
Hum Duayein Dete Hain Tum Ko Phir Bhi Jaan-e-Jaan;
Magar Tum Ne Is Dil Ko Be-Panah Sataya Hai⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aaya Hai;
Ek Suroor Sa Har Waqt Hum Pe Chhaya Hai;
Na Jaane Ye Pyaar Ka Nasha Hai Ya Kuch Aur;
Har Jagah Humein Bas Aapka Hi Chehra Nazar ⬈⬈Aaya Hai!



No comments :

Post a Comment