Kisi Ki Yaad Mein Ghazal Shayari new2017

Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Meesamaane Asar Ki Ye Bandagi Achhi Lagi;
Khaliq-E-Kaunayn Ko Madh-E-Ali Achhi Lagi;

Mout Se Ghabraate Hain Aksar Bashar Leikin Humein;
Shauq-E-Deedar-E-Ali Mein Maut Bhi Achhi Lagi;

⧭Waqt-E-Aakhir Aaye Jab Bari Pa Meri Murtaza;
Maut Ki Baahon Mein Mujhko Zindagi Achhi Lagi;

Hum Ghulaamaan-E-Ali Hain Daulaton Se Be Niaz;
Har Shahenshahi Se Humko Qambari Achhi Lagi;

Uski Bakshish Ke Liye Kaafi Hai Maula Ko Agar;
Razvi Ye Midhat Saraa Ki Shaairi Achhi Lagi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


⧭Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein;
Tum Se Sadiyonki Vafaon Ka Koi Nata Na Tha;

Tum Se Milane Ke Lakiren Thi Mere Hathon Mein;
Tere Vadon Ne Hamen Ghar Se Nikalne Na Diya;

Log Mausam Ka Maza Le Gaye Barasaton Mein;
Ab Na Suraj Na Sitare Na Shaman Na Chand;

Apne Zakhmon Ka Ujala Hai Ghani Raton Mein;
Tum Bhi Khul Jaoge Do Char Mulaqaton Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ghamzada Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota;
Ankh Un Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota;

Jalwa Na Ho Ma, Nee Ka To Soorat Ka Asar Kya;
Bulbul Gul - E- Tasweer Ka Shaida Nahi Hota;

Allah Bachay Marz -E- Ishq Se Mujh Ko;
Suntay Hain Ke Yeh Aarza Acha Nahi Hota;

Tash Beh Tere Chehre Ko Kya Doon Gul E Tar Se;
Hota Hai Shugufta, Magar Itna Nahi Hota;

Hum Aah Bhi Kartay Hain To Ho Jatay Hain Badnam;
Who Qatal Bhi Kartay Hain To Charcha Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar;

Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log;
Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Jazira Dekha Kar;

Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus;
Bhik Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar;

⧬Mangate Hain Bhik Ab Apne Muhallon Mai Faqir;
Bhuk Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar;

Khudkushi Likhi Thi Ek Beva Ke Chehare Par Magar;
Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Badh Gaya Tha Pyas Ka Ehasas Dariya Dekh Kar;
Hum Palat Aaye Magar Pani Ko Pyasa Dekh Kar;

Hum Bhi Hain Shayad Kisi Bhataki Hui Kashti Ke Log;
Chikhane Lagate Hain Khwabon Mai Jazira Dekha Kar;

Jis Ke Jitani Haisiyat Hai Usake Nam Utana Khulus;
Bhik Dete Hain Yahan Ke Log Kasa Dekh Kar;

Mangate Hain Bhik Ab Apne Muhallon Mai Faqir;
Bhuk Bhi Muhatat Ho Jati Hai Khatra Dekh Kar;

Khudkushi Likhi Thi Ek Beva Ke Chehare Par Magar;
Phir Wo Zinda Ho Gayi Bacha Bilakata Dekh Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧫Gulazar-E-Hast-O-Bu Na Beganavar Dekh;
Hai Dekhane Ke Cheez Ise Bar Bar Dekh;

Aaya Hai To Jahan Mein Misal-E-Sharar Dekh;
Dam De Najaye Hasti-E-Napayedar Dekh;

⧭Mana Ke Teri Did Ke Qabil Nahi Hun Main;
Tu Mera Shauq Dekh Mera Intazar Dekh;

⭄Kholi Hain Zauq-E-Did Ne Aankhen Teri To Phir;
Har Rahaguzar Mein Naqsh-E-Kaf-E-Pay-E-Yar Dekh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-E-Muhabbat Yaaro;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;

⧭Umar Bhar Jin Ke Wafaon Pe Bharosa Kije;
⧭Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Dil Se Teree Nigaah Jigar Tak Utar Gayee;
Donon Ko Ik Adaa Mein Razaamand Kar Gayee;

⧭Farda-O-Dee'n Ka Tafarqa Yak Baar Mit Gaya;
⧭Kal Tum Gaye Ke Ham Pe Qayaamat Guzar Gayee;

Maara Zamaane Ne 'Asadullah Khaa'n' Tumhe;
๐Ÿ”๐Ÿ”Woh Walwale Kahaan, Woh Jawaanee Kidhar Gayee!



Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai;
Musalmanon Mein Khun Baqi Nahin Hai;

Safen Kaj, Dil Pareshan, Sajda Bezuk;
K Jazba-e-Andrun Baqi Nahin Hai;

Ragon Mein Lahu Baqi Nahin Hai;
Wo Dil, Wo Awaz Baqi nahin Hai;

Namaz-o-Roza-o-Gurbani-o-Haj;
Ye Sab Baqi Hai Tu Baqi Nahin Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Keh Rahi Hai Mere Jazbaat Ki Jhankaar Tujhe;
Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe;

Raqss Karti Hai Tere Khoon Mein Meri Khushbu;
Kya Lubhaaye Gi Kisi Phool Ki Mehkaar Tujhe;

Woh Baddan Aik Hi Mar'mar Se Taraashey Jis Ne;
Main Ne Paaya Usi Fankaar Ka Shaahkar Tujhe;

Shayed Ab Chup Na Sake Raaz-E-Mohabbat Mera;
Main Ne Chup Reh Ke Sadaa Di Hai Kayi Baar Tujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein;
Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe!

Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ke Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-Iltafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay;
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay;

Tu Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof;
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay;

Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein;
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay;

Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha;
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rahe Ga Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe;
Ke Ibtidaa Mein Huye Ranj Intihaa Ke Mujhe;

Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe;
Shab-e-Firaaq Ne Maara Litaa Litaa Ke Mujhe;

Baghair Maut Ke Kis Tarah Koi Marta Hai;
Mera Raqeeb Bhi Roya Galey Laga Ke Mujhe;

Har Ik Shakhss Ko Haasil Judaa Hai Kefiyat;
Jafaa Ke Lutf Tujhe Hain, Mazey Wafaa Ke;

Ghazab Ki Aah Meri, Daagh Naam Hai Mera;
Tamaam Sheher Jalaao Ge Kya Jalaa Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron

Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron Se Sanwaara Hum Ne;
Kitni Raton Ko Tujhe Uthe Ke Pukara Hum Ne;

Jab Kabhi Hath Se Umeed Ka Daaman Choota;
Le Liya Aap Ke Daaman Ka Sahara Hum Ne;

Yoon To Dunya Bhi Mukhaalif Hai Hamari Warna;
Rukh Badaltey Huye Dekha Hai Tumhara Hum Ne;

Hum Zamaney Se Bhi Takraa Gaye Teri Khaatir;
Jo Na Karna Tha Kiya Woh Bhi Ganwaara Hum Ne;

Ae Taqi, Gham Nahin Yeh Jaan Rahe Ya Na Rahe;
Paa Liya Un Nighaaon Ka Ishaara Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun;
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun;
Shaoor-E-Aagahi Ek Almiaa Hai;
Ise Neelaam Karna Chahti Hun;
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay;
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun;
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar;
Mein Subaah-O-Shaam Karna Chahti Hun;
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai;
Ise Naakaam Karna Chahti Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khulta Nahin Hai Hal Kisi Par Kahe Bagair;
Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;

Main Kyunkar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo;
Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair;

Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len;
Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair;

Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
Rahta Nahin Hai Ashiq-E-Muztar Kahe Bagair;

Taqdir K Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
Dilawata Ai ?Zafar? Hai Muqaddar Kahe Bagair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajnabi Khauf Fizaon Main Basa Ho Jaise;
Shahar Ka Shahar Hi Aseb Zada Ho Jaise;

Rat Ke Pichle Pahar Ati Hain Avazain Si;
Dur Shahara Main Koi Chikh Raha Ho Jaise;

Dar-o-Divar Pe Chai Hai Udasi Aisi;
Aj Har Ghar Se Janaza Sa Utha Ho Jaise;

Muskurata Hun Pa-e-Khatir-e-Ahabab Magar;
Dukh To Chehre Ki Lakiron Pe Saja Ho Jaise;

Ab Agar Dub Gaya Bhi To Marunga Na ,Kamal;
Bahte Pani Pe Mera Nam Likha Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai;
Dil Dharakta Hai Sahulat Se, Yehi Kaafi Hai;

Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yehi Kaafi Hai;

Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yehi Kaafi Hai;

Muddat'ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Ajate Ho Shidat Se, Yehi Kaafi Hai;

Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yehi Kaafi Hai;

Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-O-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izat Se, Yehi Kaafi Hai;

Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir;
Koi Ajaye Zarurat Se, Yehi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ik Jaagda Dukhi Bimar Rati;
Ya Jaagda Choor Te Thug Rati;
Ya Jaagda Pehredar Rati;
Ya Jaagda Ishq Di Ramz Wala;
Ya Jaagda Yaar Da Yaar Rati;
Waris Mian Sub So Jande;
Bus Jagda Ik Parwardigar Rati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sundar, Komal Sapnon Ki Baraat Guzar Gayi Jaana;
Dhoop Ankhon Tak Aa Pohanchi Hai, Raat Guzar Gayi Jana;

Bhanwar Samay Tak Jis Ne Humain Baaham Uljhaaye Rakha;
Woh Albeli Resham Aesi Baat Guzar Gayi Jaana;

Sadaa Ki Dekhi Raat Humain Is Baar Mili To Chupkay Se;
Khaali Hath Pe Rakh Ke Kya Soghaat Guzar Gayi Jaana;

Kis Kompal Ki Aas Mein Ab Tak Wese Hi Sarsabz Ho Tum;
Ab To Dhoop Ka Mausam Hai, Barsaat Guzar Gayi Jaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai;
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai;

Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa't Aai;
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai;

Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin;
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai;

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni;
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai;

Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa;
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.N Tooti Hai;

Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein;
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai;

Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu "Mohsin";
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yehi Kaafi Hai;
Dil Dharakta Hai Sahulat Se, Yehi Kaafi Hai;

Haal Dunya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yehi Kaafi Hai;

Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yehi Kaafi Hai;

Muddat'ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Ajate Ho Shidat Se, Yehi Kaafi Hai;

Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yehi Kaafi Hai;

Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izat Se, Yehi Kaafi Hai;

Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir;
Koi Ajaye Zarurat Se, Yehi Kaafi Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Ko Apnay Amal Ka Hisaab Kya Detay;
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Detay;

Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main;
Ab In Be-Aant Khala'on Main Khwaab Kya Detay;

Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron K Dil;
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Detay;

Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaa K Pehray Main;
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Detay;

Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aasa Tha;
Os Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Detay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili;
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili;

Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay;
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili;

Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay;
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili;

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas;
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili;

Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe;
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili;

Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi "Faraz";
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jo Hua Ik Bar Woh Har Baar Ho, Aesa Nahin Hota;
Hamesha Aik Hi Se Pyaar Ho, Aesa Nahin Hota;

Har Ik Kashti Ka Apna Hi Tajarba Hota Hai Darya Mein;
Saffar Main Roz Hi Manjhdaar Ho, Aesa Nahin Hota;

Kahani Main To Kirdaaron Ko Jo Chahe Bana Dijiye;
Haqeeqat Bhi Kahaani Kaar Ho, Aesa Nahin Hota;

Kahin To Koi Hoga Jis Ko Apni Bhi Zaroorat Ho;
Har Ik Baazi Mein Dil Ki Haar Ho, Aesa Nahi Hota;

Sikhaa Deti Hain Chalna Thokrain Bhi Raahgiron Ko;
Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho, Aesa Nahin Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Payaam Aaye Hain Os Yaar-E-Bewafa Ke Mujhe;
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe;

Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain;
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe;

Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam;
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe;

Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay;
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe;

Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar;
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe;

Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer;
`Faraz` Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge;
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge;

Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana;
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana;

Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena;
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena;

Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena;
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena;

Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena;
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay;
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay;

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana;
Aisay Main Kahan Jaogi Barsaat Bohot Hay;

Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay;
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay;

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena;
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay;

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi;
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai;

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke;
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia;
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia;

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai;
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia;

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay;
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia;

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne;
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia;

'Faiz' Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki;
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha;
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha;

Subah-e-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa;
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha;

Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi;
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha;

Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi;
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha;

Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua;
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha;

Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha 'Munir';
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say;
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa;
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujhko Ruswa Sar-e-Mehfil To Na Karwaya Kare;
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare;

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha;
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare;

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke;
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare;

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse;
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare;

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun;
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ghamzada Nahi Hota Ke Ishara Nahi Hota;
Ankhun Se Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota;

Jalwa Na Ho Ma,Nee Ka To Soorat Ka Asar Kya;
Bulbul Gul - e- Tasweer Ka Shaida Nahi Hota;

Allah Bachay Marz -e- Ishq Se Mujh Ko;
Suntay Hain Ke Yeh Aarza Acha Nahi Hota;

Tash Beh Tere Chehre Ko Kya Doon Gul E Tar Se;
Hota Hai Shugufta, Magar Itna Nahi Hota;

Hum Aah Bhi Kartay Hain To Ho Jatay Hain Badnam;
Woh Qatal Bhi Kartay Hain To Charcha Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Teree Zulf Ke sar Hone Tak;

Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Betaab;
Dil Ka Kya Rang KarooN KHoon-e-Jigar Hone Tak;

Ham Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge, Lekin;
KHaak Ho JaayeNge Ham Tumko KHabar Hone Tak;

GHam-e-Hastee Ka 'Asad' Kis Se Ho Juz Marg Ilaaz;
Shamma'a Har Rang MeiN Jaltee Hai Sahar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Deewar O Dar Se Utar Kar Perchaiyan Bolti Hain;
Koi Nahi Bolta Jab Tanhaiyan Bolti Hain;

Pardesh Ke Raaston Mein Rookte Kahan Hain Musafir;
Har Ped Kehta Hai Kissa Khamoshiyan Bolti Hain;

Ek Bar To Zindagi Mein Milti Hai Sabko Haqumat;
Kuch Din To Har Aaine Mein Sehzadiyan Bolti Hain;

Sun'ne Ki Mohlat Mile To Aawaz Hai Pathron Mein;
Ujadi Hui Bastiyon Mein Aabadiyan Bolti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota;
Dubooya Mujhko Honi Ne, Na Hota Main To Kya Hota;

Hua Jub Gam Se Yun Behis, To Gum Kya Sar Ke Katne Ka;
Gar Juda Na Hota Tan Se, To Zannon Pur Dhara Hota;

Hui Muddat Ki Ghalib Mar Gaya, Pur Yaad Aata Hai;
Woh Har Ek Baat Pe Kahena, Ki Yoon Hota To Kya Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadami;
Phir Bhi Tanhaaiyo Ka Shikaar Aadami;

Subah Se Shaam Tak Bojh Dhotaa Hua;
Apani Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami;

Roz Jitaa Hua Roz Marataa Hua;
Har Nayi Din Nayaa Itazaar Aadami;

Har Taraf Bhaagate Daudate Raaste;
Har Taraf Aadami Ka Shikaar Aadami;

Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar;
Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadami!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafaa Ke Baab Mein ILzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-ILtafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaina Kyu Na Doon Ke Tamasha Kahe Jise;
Aisa Kaha Se Laau Ke Tujhasa Kahe Jise

Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Me;
Guldasta-e-Nigaah Suveda Kahe Jise;

Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Mein Aye Khuda;
Afasuun-e-Intazar Tamanna Kahe Jise;

Sar Par Hajum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye;
Wo Ek Musht-e-Khak Ke Sahara Kahe Jise;

Hai Chashm-e-Tar Me Hasarat-e-Diidar Se Niha;
Shauq-e-Ina Gusekhta Dariya Kahe Jise;

Darakar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko;
SubH-e-Bahar Paba-e-Miina Kahe Jise;

Ghalib Bura Na Man Jo Vaiz Bura Kahe;
Aisa Bhii Koii Hai Ke Sab Achchha Kahe Jise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad;
Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad;
Kab Nazar Men Aayegi Be-Daagh Sabze Kii Bahaar;
Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad;
The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke;
Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad;
Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii;
Kuchh Gile Shikwe Bhii Kar Lete Munaajaaton Ke Baad;
Unse Jo Kahne Gaye The Faiz, Jaan Sadqe Kiye;
Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat, Sab Baatoon Ke Baad!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Labon Ki Sarsarahat Ke, Baad Choor Hone Tak;
Main Tujhko Is Tarah Chahun, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Khataon Par Khataein Hon, Na Ho Kuch Baat Kehne Ko;
Main Tujh Mein Yun Sama Jaon, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Na Himmat Tujh Mein Ho Baqi, Na Himmat Mujh Mein Ho Baqi;
Magar Itna Qareeb Aaon, Ke Meri Saans Ruk Jaye;

Tere Honthon Ko Jab Rakhon, Main Apne Honth Kuch Aise;
Yaa Teri Pyaas Bujh Jaye, Yaa Meri Saans Ruk Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hasdeyan Nainan Noon Rona De Gaya;
Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya;

Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Hawan;
Eh Tohfa Pyar Da Sanoon Sohna De Gaya;

Maut Vi Nahin Aavndi Jeona Vi Hoya Aokha;
Eh Kaisa Rog Assanon Joon Joga De Gaya;

Laare Lappe Laake Assanon Raah Vich;
Chhad Ke Hath Assade Udeekaan De Gya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Dil Di Pehli Kahani Padh;
Kise Hor Noon Yaar Banaveen Naa;

Mainu Soch Samajh Ke Dil Daiween;
Mere Naal Mazaq Banaveen Naa;

Iss Pyar Wich Rolay Hunde Ne;
Dil Qaim Rakheen Ghabraveen Naa;

Je Tu Mangein Te Main Jind Daisaan;
Par Kise Hor Noo Yaar Banaveen Naa;

Vairi Jag Sara Iss Pyar Da A;
Be Qadre Noon Dard Sunaveen Naa;

Ae Dunya Badi e Zalim A;
Ainoo Kadi V Dukh Sunaveen Naa;

Har Ik Nahi Hunda Pyar De Qabal;
Ae Gal Meri Tu Bhulaveen Naa 'Waris';

Je Mil Jawe Tenu Dost Sacha;
Uss Dost Nu Kadi Gawaveen Naa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahi Hoti;
Nashe Mein Choor Fiza Is Kadar Nahi Hoti;

Tumhin Ko Dekhane Ke Dil Mein Aarazuein Hain;
Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahi Hoti;

Khafa Na Hona Agar Bad Ke Tham Lu Daman;
Ye Dil Fareb Khata Jan Kar Nahi Hoti;

Tumhare Aane Talak Hum Ko Hosh Rehta Hai;
Phir Uske Bad Hamein Kuch Khabar Nahi Hoti!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yun Saja Chaand Ki Chalka Tere Andaaz Ka Rang;
Yun Fazaa Mehaki Ki Badla Mere Humaraaz Kaa Rang;
Saya-­e­-Chashm Mein Hairaan Rukh­-e­-Raushan Ka Jamaal;
Surkhi-­e­-Lab Pe Pareshaan Teri Aawaaz Ka Rang;
Bepiye Hon Ki Agar Lutf Karo Aakhir­-e­-Shab;
Sheesha­-e­-May Mein Dhale Subah Ke Aagaaz Ka Rang;
Chango-­Nay Rang Pe The Apane Lahoo Ke Dam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun;
Yahi Ek Kaam Karna Chahti Hun;

Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai;
Ise Neelaam Karna Chahti Hun;

Main Apni Umar Ke Saaray;
Asaasay Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun;

Tumharay Khaim-e-Khushbuu Mein Reh Kar;
Main Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun;

Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai;
Ise Naakaam Karna Chahti Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phool Sa Kuch Qalaam Or Sahi;
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi;

Us Ki Zulfein Bahut Ghaneri Hain;
Ek Shab Ka Qayam Or Sahi;

Zindagi Kay Udaas Qissey Hain;
Ek Ladki Ka Naam Or Sahi;

Kursiyon Ko Sunaiye Ghazlein;
Qatal Ki Ek Sham Or Sahi;

Kapkapati Hai Raat Seeney Mein;
Zehar Ka Ek Jaam Or Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta;
Kahin Zamin To Kahin Aasmaan Nahi Milta;

Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain;
Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta;

Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole;
Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta;

Tere Zahan Mein Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho;
Zahan Umeed Ho Iski Wahan Nahin Milta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hasdeyan Nainan Nu Rona De Gaya;
Vekho Ki Dil Da Parohna De Gaya;

Akhaan Vich Jagraate Honthan Te Haawan;
Eh Tohfa Pyar Da Saanu Sohna De Gaya;

Maut Vi Nahi Aavndi Joona Vi Hoya Aukha;
Eh Kaisa Rog Asaa Nu Jeon Joga De Gaya;

Laare Lappe Laake Asaa Nu Raah Vich Chhad Ke;
Hath Assade Udeekaan Da Khedona De Gaya;

Hath Kar Gaya Assade Naal Oh Hass Hassa Ke;
Haase Khoh Ke Asaa Nu Umran Da Rona De Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;

Aks Beh Jaayein Ge Saare Dhoop Ke Sailaab Mein;
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
Raasta Kat Bhi Gaya Toh Faasla Reh Jaaye Ga;

Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Odh Kar;
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;

Jo Kabhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar;
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zamane Walon Se Chup Ke Rone Ke Din Nahin Hain;
Usey Kehna Yeh Udaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Main Jaan Sakti Hoon Vasl Mein Asal Bhaid Kya Hai;
Magar Haqeeqat Shanaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Hamara Khud Se Makaalma Bhi Naya Naya Hai;
Kisi Badamn Ka Libaas Hone Ke Din Nahin Hain;

Abhi To Aankhon Mein Aansuyon Ki Nami Hai Baqi;
Zameen-e-Dil Par Pyaas Bone Ke Din Nahin Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush;
Jaise Bacha Charaagh Se Khush;

Jab Taaron Ki Shamein Jhilmilein;
Saaqi Ne Kiya Ayaagh Se Khush;

Gham Chhod Gaya Jise Jagaa Kar;
Wo Dil Na Hua Faraagh Se Khush;

Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul;
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush;

Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee 'Nasir';
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aik Qatra Malaal Bhi Boya Nahin Gaya;
Woh Khauf Tha Ke Logon Se Roya Nahin Gaya;

Yeh Sach Hai Ke Teri Bhi Neendein Ujadd Gayin;
Tujh Se Bichad Ke Hum Se Bhi Soya Nahin Gaya;

Us Raat Tu Bhi Pehle Sa Apna Nahin Laga;
Us Raat Khul Ke Mujhse Bhi Roya Nahin Gaya;

Daman Hai Khushk, Ankh Bhi Chup Chaap Hai Bohat;
Laddiiyon Mein Aansuyon Ko Piroya Nahin Gaya;

Alfaaz Talkh, Baat Ka Andaaz Sard Hai;
Pichlaa Malaal Aaj Bhi Goya Nahin Gaya;

Ab Bhi Kahin Kahin Pe Hai Kalakh Lagi Huyi;
Ranjish Ka Daagh Theek Se Dhoya Nahin Gaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi;
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi;

Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se;
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi;

Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain;
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi;

Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa;
Ajnabi Mein Hee Nahi Tu Bhee Ajab Hai Koi;

Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain 'Nasir';
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak;
Kaun Jita Hai Teri Zulf K Sar Hone Tak;

Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sadkam-e-Nahang;
Dekhen Kya Guzare Hai Qatre Pe Gauhar Hone Tak;

Ashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betab;
Dil Ka Kya Rang Karun Khun-e-Jigar Hone Tak;

Ham Ne Mana K Taaful Na Karoge Lekin;
Khak Ho Jayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apne Aap Se Phirtey Hain Beganey Kyon;
Sheher Mein Aakar Log Huye Deewaney Kyon;

Hum Ne Kab Maani Thi Baat Zamaney Ki;
Aaj Hamari Baat Zamana Maaney Kyon;

Woh Jungle Ke Phoolon Per Kyon Marta Hai;
Us Ko Achey Lagte Hain Veeraney Kyon;

Sachi Baat Se Ghabraney Ki Aadat Kya;
Jhootey Logon Se Apne Yaraaney Kyon;

Halwat Mein Jo Aankh Milatey Darta Ho;
Mailey Mein Woh Shakhss Humain Pehchaney Kyon;

Mohsin Jab Bhi Chott Neyi Kha Leta Hoon;
Dil Ko Yaad Atey Hain Yaar Puraney Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha;
Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha;

Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay;
Magar Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha;

Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se;
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha;

Paani Maangtay Maangtay Mere Honth Pathar Ho Gaye;
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha;

Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay;
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha;

Umar Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha;
Main Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha;

Kahunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko 'Mohsin';
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen To Laut Ana;
Kisi Ki Ankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Ayen To Laut Ana;

Abhi Nayi Wadiyon, Naye Manzron Main Reh Lo Magar Meri Jaan;
Yeh Saarey Aik Aik Karke Jab Tum Ko Chod Jayen To Laut Ana;

Naye Zamanon Ko Qurb Orrhey, Zayeef Lamhey, Niddhaal Yadein;
Tumharey Khawbon Ke Band Kamron Mein Laut Ayen To Laut Ana;

Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool Jayen Tumhare Sathi;
Aur Apni Khatir Hi Apne Apne Diye Jalayen To Laut Ana;

Meri Woh Batein To Jin Pe Be'ikhtyaar Hanstaa Tha Khil'khilaa Kar;
Bicharney Wali Meri Woh Batein Kabhi Rulaayein To Laut Ana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise;
Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise;

๐Ÿ”ป๐Ÿ”ปHasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Mein;
Guldasta-e-Nigah Suwed⧬⧬⧬ Kahen Jise;

Phunka Hai Kisne Goshe Muhabbat Mein Ai Khuda;
Afsun-e-Intezar Tamanna Kahen Jise;

Sar Par Hujum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye;
Wo Ek Musht-e-Khak K Sahra Kahen Jise;

Hai Chashm-e-Tar Mein Hasrat-e-Didar Se Nihan;
Shauq-e-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise;

Darkar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko;
Subh-e-Bahar Panba-e-Mina Kahen Jise;

Ghalib? Bura Na Man ๐Ÿ”€๐Ÿ”€Jo Waiz Bura Kahe;
๐Ÿ”ป๐Ÿ”ปAisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment