Mohabbat Ki Raahon Ka Shayari 2017

Hum Unke Dil Par Raaj Karte The,
Mera Dil Jinka Ghulam Aaj Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aadat Thi Tu Meri,
Ab To Bas Khwahish Ban Kar Reh Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham Hoga,
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;

Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main,
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga;

Samandar Kee Galatfehmi Se Koi Puch To Leta,
Zameen Ka Haunsala Kya Aise Toofaano Se Kam Hoga;

Mohabbat Naapne Ka Koi Paimana Nahi Hota,
Kahin Tu Badh Bhi Sakta Hai, Kahin Tu Mujh Se Kam Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaad Nahi Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhool Gaye;
Ush Ke Galiyon Se Jab Laute Apna Bhi Ghar Bhool Gaye;
Khub Gaye Pardes Ki Apne Deewar-o-Dar Bhool Gaye;
Sheesh-Mahal Ne Aisa Ghera Matti Ke Ghar Bhool Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Koi Mere Gham Ka Mudaava Kar De,
Tera Gham Hai Tere Kehne Se Chala Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jheel Achhi, Kanwal Achha Ki Jaam Achha Hai,
Teri Aakhon Ke Liye Kaun Sa Naam Achha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Dene Wale Marta Chhod Gaye,
Apnapan Jatane Wale Tanha Chhod Gaye,
Jab Padi Zaroorat Humein Apne Humsafar Kee,
Wo Jo Saath Chalne Wale The Sab Raasta Mod Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Yaad Mein Apne Yaar-e-Jaani Kee,
Hum Ne Mar Mar Ke Zindagani Kee;

Dosto Ko Adu Kiya Hum Ne,
Kar Ke Taarif Yaar-e-Jaani Kee;

Kyon Na Ruswaa Kare Zamaane Mein,
Ye Kahani Gham-e-Nahani Kee;

Rooh Hoyegi Hashar Mein Sahab,
Ek Nishani Sara-e-Faani Kee;

Khaak-Saari Se Badh Geya Insaan,
Arz Par Sair Aasmaani Kee;

Zard Surat Pe Hijr Mein Na Hanso,
Sharah Hai Rang-e-Zaafaraani Kee;

Aaj Kal Lakhnow Mein Ai 'Akhtar',
Dhoom Hai Teri Khush-Bayaani Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahin Sher-o-Nagma Ban Ke Kahin Aansuon Mein Dhal Ke,
Wo Mujhe Mile To Lekin Kai Surtein Badal Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tarsate The Jo Milne Ko Humse Kabhi,
Aaj Wo Kyon Mere Saaye Se Katraate Hain;
Hum Bhi Wahi Hain Dil Bhi Wahi Hai,
Naa Jane Kyon Log Badal Jaate Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafa Ke Badle Bewafayi Na Diya Karo,
Meri Umeed Thukra Ke Inkaar Na Kiya Karo,
Teri Mohabbat Mein Hum Sab Kuch Kho Baithe,
Jaan Chali Jayegi Yun Imtihaan Na Liya Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Khaas Nahi In Haathon Kee Lakiron Mein,
Magar Tum Ho To Ek Lakir Hi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango,
Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango;

Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se,
Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango;

Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi,
Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango;

Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala,
Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango;

Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai,
Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khwab Hi Mein Nazar Aa Jaye Shab-e-Hijar Kahin,
So Mujhe Hasrat-e-Deedar Ne Sone Na Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Fursat Nahi Unhe Humse Kuch Batein Karne Kee,
Isliye Ab Har Waqt Khamosh Rehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Se Roye Magar Honthon Se Muskura Baithe,
Yun Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Baithe,
Wo Humein Ek Lamha Na De Paye Apne Pyaar Ka,
Aur Hum Unke Liye Zindagi Luta Baithe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Koshish Hamesha Hi Nakaam Rahi,
Pehle Tujhe Paane Kee Ab Tujhe Bhulane Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Khaamosh Baithoge Kabhi Kuch Gungunaoge,
Main Utana Yaad Aaunga Mujhe Jitna Bhulaoge;

Koi Jab Puch Baithega Khamoshi Ka Sabab Tumse,
Bahut Samjhana Chahoge Magar Samjha Na Paoge;

Kabhi Duniya Mukkamal Ban Ke Aayegi Nigaahon Mein,
Kabhi Mere Kabhi Duniya Kee Har Ek Shah Mein Paoge;

Kahin Par Bhi Rahen Hum Tum Mohabbat Phir Mohabbat Hai,
Tumhein Hum Yaad Aayenge Humein Tum Yaad Aaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe;
Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe;
Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth;
Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nafrat Na Kabhi Karna Humse;
Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch Sochta Hun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
Kuch Bolta Hun To Tera Naam Aa Jata Hai;
Kab Tak Chupa Ke Rakhun Dil Kee Baat Ko;
Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ne Humein Benaam Kar Diya;
Har Khushi Se Humein Anjaan Kar Diya;
Humne To Kabhi Nahi Chaha Ki Humein Bhi Mohabbat Ho;
Lekin Aap Kee Ek Nazar Ne Humein Nilaam Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saari Duniya Ye Samajhti Hai Ki Saudai Hai,
Ab Mera Hosh Mein Aana Teri Ruswayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Dil Kee Kamzori Ban Ke Reh Jati Hai,
Kabhi Waqt Kee Majboori Banke Reh Jati Hai,
Ye Mohabat Wo Sharaab Hai Ai Dost,
Jise Jitna Piyo Pyaas Adhoori Hi Reh Jati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baat Sirf Itni Si Thi Ki Tum Achhe Lagte The,
Baat Ab Itni Badh Gayi Hai Ki Tumhare Siwa Koi Achha Nahi Lagta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Nahi Milta Jitni Marzi Wafa Karlo Kisi Se,
Jab Waqt Wafa Na Kare To Wafadar Bhi Bewafa Ho Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa Sake,
Ki Gunche Khil To Sake Khil Ke Muskura Na Sake;

Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki,
Jo Roshani Mein Rahe Roshani Ko Pa Na Sake;

Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzari,
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mishgaan Tak Aa Na Sake;

Rahen Khulus-e-Mohabbat Ke Haadsaat Jahan,
Mujhe To Kya Mere Naqsh-e-Kadam Mita Na Sake;

KarenNge Mar Ke Baqa-e-Dawaam Kya Hasil,
Jo Zindaa Reh Ke Muqaam-e-Hayat Pa Na Sake;

Naya Zamanaa Banane Chale The Deewane,
Nayi Zameen, Naya Aasmaan Bana Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan,
Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Se Milne Ki Chahat Hamesha Rahegi,
Aap Ko Bhulkar, Zindagi Na Rahegi,
Aapse Humko Mohobbat Tab-Tak Rahegi,
Jab Tak Sooraj Mein Roshani Rahegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Ki Raahon Ka Anzaam Yahi Hai,
Gham Ko Apna Lo Bas Paigam Yahi Hai,
Is Sahar Mein Mohabbat Dhunde Na Milegi,
Haan Bewafaon Ka Toh Elaan Yahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Lajja Kar Sharam Kha Kar Muskura Kar,
Diya Bosa Magar Munh Bana Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi,
Par Teri Kaun See Jafaa Na Sahi;

Dard-e-Dil Hum To Un Se Keh Guzare,
Gar Unhone Nahi Suna Na Sahi;

Shab-e-Gham Mein Bala Se Shugal To Hai,
Naala-e-Dil Mera Rasa Na Sahi;

Dil Bhi Apna Nahi Raha Na Rahe,
Ye Bhi Ai Charkh-e-Fitnaa-Zaa Na Sahi;

Dekh To Lenge Wo Agar Aaye,
Taaqat-e-Arz-e-Muddaa Na Sahi;

Kuch To Aashiq Se Chhed-chhaad Rahi,
Kaj-Adaayi Sahi Adaa Na Sahi;

Kyon Bura Manate Ho Shikwa Mera,
Chalo Be-Jaa Sahi B-Jaa Na Sahi;

Uqada-e-Dil Hamara Ya Kismat,
Na Khula Tujh Se Ai Saba Na Sahi;

Vaaizo Band-e-Khuda To Hai 'Aish',
Hum Ne Maana Wo Parasa Na Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee,
Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sukoon-e-Dil Ko Naseeb Teri Berukhi Hi Sahi,
Hamare Darmiyan Kuch To Rahega Chahe Fansla Hi Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par, Bahut Roye The Us Aansu Ki Khatir!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sholhiyan Chod Di Usne Ab Ke,
Har Rang Mein Udaasi Ghulti Ja Rahi Hai;
Us Roothne Wale Se Kaho Dekh Le Aa Kar,
Woh Paagal Ladki Ab Sudharti Ja Rahi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko,
Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Khamosh Rahon Mein Tera Saath Chahiye,
Tanha Hai Mera Haath Tera Haath Chahiye,
Hasrat-e-Zindagi Ko Teri Hi Saugaat Chahiye,
Mujhe Jeene Ke Liye Tera Hi Bas Saath Chahiye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Khatam Ho Gayi Kahani Bas Kuch Alfaaz Baaki Hain,
Ek Adhure Ishq Kee Ek Muqqamal Si Yaad Baaki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kushbu Tere Pyaar Kee Mujhe Mehka Jati Hai,
Teri Har Baat Mujhe Behka Jati Hai,
Saansen To Bahut Der Leti Hain Aane Jane Mein,
Har Saans Ke Pehle Mujhe Teri Yaad Aati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui;

Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui;

Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui;

Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui;

Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui;

Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Udi Udi Si Rangat Ye Khule Khule Se Gesu,
Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Chehere Ki Badhti Salwaton Ki Parwah Na Kar,
Hum Likhenge Apni Shayari Mein Hamesha Jawaan Tujhko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaj Hamari Baaton Ka Jawab Nahi Dete Na Do,
Aaoge Jab Hamari Kabar Par Hum Bhi Aisa Hi Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Paani Mein Tairna Seekh Lo Mere Dosto,
Aankhon Mein Doobne Walon Ka Anjaam Bahut Bura Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum;

Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum;

Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum;

Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum;

Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum;

Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Waqt Ka Jahaaz Tha Karta Lihaaz Kya,
Main Doston Se Haath Milane Mein Reh Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jin Kee Nazron Mein Hum Nahi Achhe,
Kuch To Woh Log Bhi Bure Honge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Shayad Unki Ada Hai Ye Jo Har Din Hume Tadpate Hain Wo,
Kabhi Kisi To Kabhi Kisi Bahane Se Hume Satate Hain Wo,
Na Jane Kya Milta Hai Unhe Jo Humpe Yeh Sitam Dhate Hain Wo,
Chain Hi Nahi Milta Unhe Jab Tak Hume Rulate Nahi Hain Wo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein;

Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein;

Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
Layi Hai Barshagaal Saugatein;

Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein;

Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein;
v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
Hai 'Akhtar' Wo Ishq Kee Ghaatein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Ye Fasana Hai,
Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamaana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Pa Lene Ka,
Bichhad Ke Bhi Aksar Dil Dhadakte Hain Saath Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne;
Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bas Jeene Hi To Nahi Degi,
Aur Kya Kar Lengi Yaadein Teri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale,
Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale;

⧭⧭Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi,
Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale;

Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke⧭⧭⧭

Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade,
Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale;

Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste,
Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale;

Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal,
Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale⬇⬇⬇

Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke,
Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale;

Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin',
Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaise Meri Nigaah Ne Dekha Na Ho Kabhi,
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kismat Ki Kitab To Badi Khoob Likhi Thi Meri Rabb Ne,
Bas Wahi Panna Ghum Tha Jis Mein Ishq Ka Zikr Tha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Maana Ki Tum Lafzon Ke Baadshah Ho Lekin,
Hum Bhi Khamoshiyon Par Raaj Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬈⬈Jo Afsaane Dil Mein Rehte Hain, Wo Aankhon Mein Nahi Rehte;
Bahut Se Harf Aise Hain, Jo Lafzon Mein Nahi Rehte;
Kitabon Mein Likhe Jaate Hain, Duniya Bhar Ke Afsaane;
Magar Jin Mein Haqeeqat Ho, Wo Kitabon Mein Nahi Rehte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein,
Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein;

⬇⬇Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya,
Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein;
v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai,
Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein;

Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa,
Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein;

Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh,
Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein;

Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo,
Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mujhko Ye Aarzoo Wo Uthayein Naqab Khud,
Un Ko Ye Intezar Taqaza Kare Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Tarah Dil Mein Samaoge Maloom Na Tha,
Dil Ko Itna Tadpaoge Maloom Na Tha,
Socha Tha Door Ho Aur Yaad Nahi Aaoge,
Magar Door Hokar Is Kadar Yaad Aaoge Maloom Na Tha!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
Muskura Kar Tumne Dekha To Yeh Tumhara Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khudaa Jaane Bichhad Ke Mujhse Wo Kis Ka Humsafar Ho Geya,
Hain Jis Ke Liye Muddat Se Muntazir Aakhein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe,
Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe;

Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,
Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe;

Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi,
Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe;

Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe;

Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jaane Kis Liye Umeed-Vaar Baitha Hun,
Ek Aisi Raah Pe Jo Teri Rahguzar Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sikha Diya Hai Jahaan Ne Har Zakham Pe Hansna,
Le Dekh Zindagi, Ab Tujhse Nahi Darte Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kuch Haar Gayi Taqdeer, Kuch Toot Gaye Sapne,
Kuch Gairon Ne Kiya Barbaad Kuch Bhool Gaye Apne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi,
Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi;

Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi,
Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi;

Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah,
Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi;

Khule Mein Soyenge Motiya Ke Phoolon Se,
Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi;

'Aziz' Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai,
Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mil Geya To Bichhdna Padega Phir 'Zareen',
Isi Khayal Se Hum Raaste Badalte Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Paya Tumko To Hum Ko Laga Tumko Kho Diya;
Hum Dil Pe Roye Aur Yeh Dil Hum Pe Ro Diya;
Kyon Is Ke Fansle Humein Manzoor Ho Gaye;
Kitne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Kee Tarah;
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
Kisi Tarha Zikar Na Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka;
Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;

Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;

Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;

Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;

Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ham Khudaa Ke Kabhi Kabil Hi Na The,
Un Ko Dekha To Khudaa Yaad Aayaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Behlane Ke Liye Hi Guftgu Kar Liya Karo Janab;
Maloom To Humein Bhi Hai Ki Hum Aapko Achhe Nahi Lagte!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Iss Umar Ke Modh Par Sirf Mohabbat Chahiye;
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shayar Bana Diya Adhuri Mohabbat Ne⬊⬊⬊⬊
Mohabbat Agar Puri Hoti To Hum Bhi Ek Ghazal Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

'Daagh' Tu Dekh To Kya Hota Hai⬉⬉⬉
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaise Kahen Ki Usko BhI Humse Hai Koi Vaasta,
Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kuch Sitaron Kee Chamak Nahi Jati,
Kuch Yaadon Kee Khanak Nahi Jati,
Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta,
Ki Door Reh Kar Bhi Unki Mehak Nahi Jati⬉⬉⬉
I~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~   
Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
Na Aao Kareeb Itna Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe To Hai Yakeen Humein,
Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Jaate Jaate Keh Gaye Ki Hum Sirf Khwabon Mein Aayenge,
Hum Ne Kaha Vaada To Karlo, Hum Zindagi Bhar Ke Liye So Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din;
So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin';
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Bhi Kar Le Jo Roshni Ghar Mein,
Phir Andhere Kahan Kayam Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Dekha Tha Faqat Shaunk-e-Nazar Kee Khatir,
Yeh Na Socha Tha Ki Tum Yun Dil Mein Utar Jaoge!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Honthon Kee Hansi Ko Na Samajh Haqeeqat-e-Zindagi;
Dil Mein Utar Ke Dekh Hum Kitne Toote Hue Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Mere Andaaz Wo Samajh Na Sake,
Mere Jazbaat Wo Samajh Na Sake,
Wo Samajh Na Sake Meri Mazboori,
Mere Halaat Wo Samajh Na Sake⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka,
Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka;

Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo,
Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka;

Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai,
Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka;

Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein,
Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka;

Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan 'Iqbal',
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Baat Ko Chup-Chaap Kyon Suna Jaye,
Kabhi To Haunsla Kar Ke Nahi Kaha Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Jab Aapse Milne Kee Umeed Nazar Aayi,
Mere Paanv Mein Zanjeer Nazar Aayi,
Gir Pade Aansu Aankh Se,
Aur Har Ek Aansu Mein Aapki Tasveer Nazar Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈⬈Humne Socha Tha Ki Shayad, Hum Hi Chahte Hain Tumko,
Par Tumhein Chahne Wala To Kafila Nikla,
Dil Ne Kaha Shikayat Kar Khuda Se,
Par Khuda Bhi Tera Chahne Wala Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Karte Nahi Izhaar Phir Kyon Karte Ho Tum Pyaar,
Nazron Se Baatein To Bahut Hui Ab Lab Se Karo Iqraar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain;

Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain;

Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain;

Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain;

Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na;
Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na;
Zara Chupke Se Khamoshi Se;
Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ishq Ke Maaron Ka Itna Hi Fasaana Hai;
Rone Ko Nahi Koi Hansne Ko Zamana Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tu Bin Bataye Mujhe Le Chal Kahin,
Jahan Tu Muskuraye Meri Manzil Hai Wahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Tere Haath Kee Main Wo Lakeer Ban Jaun,
Sirf Main Hi Tera Muqaddar Teri Takdeer Ban Jaun,
Main Tujhe Itna Chahun Ki Tu Bhool Jaye Har Rishta,
Sirf Main Hi Tere Har Rishte Kee Tasveer Ban Jaun⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Hi Apni Jafaon Pe Zara Gaur Karen;
Hum Agar Arz Karenge To Shikayat Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiqon Ko Ai Falak Devega Tu Aazaar Kya;
Dushman-e-Jaan Un Ka Thoda Hai Dil-e-Beemar Kya;

Rashk Aave Kyon Na Mujh Ko Dekhana Us Kee Taraf;
Takataki Baandhe Hue Hai Rozan-e-Deewar Kya;

Aah Ne To Kheema-e-Gardon Ko Phoonka Dekhen Ab;
Rang Laate Hain Hamare Deeda-e-Khoon-Baar Kya;

Murg-e-Dil Ke Vaaste Ai Hum-Safeero Kam Hai Kyon;
Kuch Kaza Ke Teer Se Teer-e-Nigah-e-Yaar Kya;

Chal Ke Mai-Khaane Hi Mein Ab Dil Ko Bahlao Zara;
'Aish' Yaa Baithe Hue Karte Ho Tum Begaar Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Ye Kya Jaane Mein Jana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar;
Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;
Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthkar Khaak Aankhon Tak;
Isi Raaste Geya Hai Hasraton Ka Kafila Hokar⬉⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge,
Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge;
Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye;
Har Gham Aapka Hum Bhula Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bichhad Ke Tujh Se Ajab Vehshaton Ne Ghera Hai,
Udaas Rehta Hai Yeh Dil Bhi Junglon Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kis Kis Se Wabasta Karen Hum Apni Umeedein,
Is Daur Ka Har Shakhs Wafa Bhool Geya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

⧭⧭Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Mein Na Ho Jurat To Mohabbat Nahi Milti;
Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tumse;
Jazbaton Kee Koi Numaish Nahi Kee;
Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai;
Rishte Kee To Koi Guzarish Nahi Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Baar Dekh Ke Azad Kar De Mujhe;
Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Kee Qaid Mein Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Aankh Dekhe Bina Nahi Rehti,
Honth To Khair Si Liye Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;

Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;

Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;

Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;

Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gharaz Ki Kaat Diye Zindagi Ke Din Ai Dost,
Wo Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Kya Cheez Mohabbat Tune Banai Hai,
Kisi Ko Ye Mil Jaati Hai Aur Koi Sehta Umar Bhar Kee Tanhai Hai,
Saath Chalne Ke Khwaab Dekhte Hain Jo Log Mohabbat Mein,
Koi Pa Leta Hai Apni Manzil Ko Aur Koi Sehta Umar Bhar Kee Judai Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Bahut Khoobsurat Hai Sab Kehte Hain,
Jis Din Tujhe Dekha Yakeen Aa Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Keh Rahe Ho Sab Kuch Kismat Kee Baat Hai,
Meri Tabahiyon Mein Tumhara Bhi Haath Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye;

Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye;

Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye;

Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye;

Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai,
Par Nahi Taqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

🔀🔀Kaanch Ke Tukde Bankar Bikhar Gayi Hai Zindagi Meri,
Kisi Ne Sameta Hi Nahi Haath Zakhmi Hone Ke Darr Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saari Khidkiyan Darwaze Band Kar Leta Hun,
Phir Bhi Na Jane Kahan Se Aa Jati Hain Tumhari Yaadein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uske Siva Kisi Aur Ko Chahna Mere Bas Mein Nahi Hai,
Yeh Dil Uska Hai Apna Hota To Baat Aur Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi;

Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi;

Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi;

⧭⧭Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi;

Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi;

Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar';
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hoti Nahi Qubool Dua Tarq-e-Ishq Kee;
Dil Chahta Na Ho To Zubaan Mein Asar Kahan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Log Chah Kar Bhi Nahi Padna Chahte Hamari Mohabbat Mein,
Kehte Hain Tum Dil Mein Nahi Rooh Mein Sama Jaate Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Ankhon Ne Baat Kee;
Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Wo Phir Ashkon Se Bayaan Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khamosh Baitho To Log Kehte Hain Udaasi Achhi Nahi,
Zara Sa Hans Len To Muskurane Kee Vajah Puch Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phool The Baadal Bhi Tha Aur

Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi;

Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi;

Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi;

Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
⧪⧪Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi;

Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Yeh Bhi Nahi Theek Ki Har Dard Mita De;
Kuch Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain⬊⬊⬊

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai,
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai;
Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu,
Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ai Dil Mat Kar Itni Mohabbat Kisi Se,
Ishq Mein Mila Dard Tu Seh Nahi Payega;
Ek Din Toot Kar Bikhar Jayega Apno Ke Haathon Se,
Kisne Toda Yeh Bhi Kisi Se Tu Keh Nahi Payega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪⧪Kuch Beete Hue Lamho Se Mulakat Hui,
Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Hui,
Yaad Jo Karne Baithe Un Tamam Yaadon Ko,
To Aapki Hi Yaadon Se Shuruat Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein;

Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein;

Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein;

Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein;

⧬⧬Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein;

Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn;
Aaya Mera Khyal To Sharma Ke Reh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧬⧬⧬Mumkin Nahi Kisi Ko Samjh Pana,
Samjhe Bina Kisi Se Dil Lagana,
Aasan Hai Kisi Ko Pyaar Karna,
Magar Bahut Mushkil Hai Zindagi Mein Kisi Ka Pyaar Pana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬈⬈Kisi Dard Ko Sambhal Pana Aasan Nahi;
Hanste Hue Har Lamha Bitana Aasan Nahi;
Zindgi Mein Har Koi 🔀🔀Dil Mein Basta Nahi,
Aur Jo Bas Jaye Usko Dil Se Bhulana Aasan Nahi🔃🔃
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧭Woh Silsile Woh Shaunk Woh Kurbat Na Rahi,
Phir Yun Hua Ki Dard Mein Shiddat Na Rahi,
Apni Zindagi Mein Ho Gaye Mashroof Woh Itna,
Ki Humko Yaad Karne Kee Fursat Bhi Na Rahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Aap Pehlu Mein Jo Baithen To Sambhal Kar Baithen;
Dil-e-Betab Ko Aadat Hai Machal Jaane Kee⬈⬈⬈

No comments :

Post a Comment