intezar shayri dard new hindi



  1. Gila Aap Se Nahi Koi;
  2. Gila Hum Apni Majbooriyon Se Karte Hain;
  3. Aap Aaj Hamare Kareeb Na Sahi;
  4. Mohabbat To Hum Aapki Dooriyon Se Bhi Karte Hain!
  5. ============================

  6. Soz Mein Bhi Wahi Ik Nagma Hai Jo Saaz Mein Hai;
  7. Fark Nazdeeq Kee Aur Door Kee Aawaz Mein Hai;

  8. Ye Sabab Hai Ki Tadap Seena-e-Har-Saaz Mein Hai;
  9. Meri Aawaz Bhi Shamil Teri Aawaz Mein Hai;

  10. Aashiqon Ke Dil-e-Majrooh Se Koi Puche;
  11. Wo Jo Ik Lutf Nigah-e-Galat-Andaaz Mein Hai;

  12. Gosh-e-Mushtaq Kee Kya Baat Hai Allaah-Allaah;
  13. Sun Raha Hun Main Jo Nagma Jo Abhi Saaz Mein Hai!
  14. ============================
  15. Yeh Na Thi Hamari Kismat Ki Visaal-e-Yaar Hota;
  16. Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota;
  17. Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhooth Jaana;
  18. Ki Khushi Se Mar Na Jaate Agar Aitbar Hota!

  19. ============================
  20. Main Ek Zarra Bulandi Ko Chhune Nikla Tha;
  21. Hawa Ne Tham Ke Zamin Par Gira Diya Mujhko!
  22. ============================
  23. Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye;
  24. Aaj Tak Woh Humein Pehchan Na Paye;
  25. Khud Hi Kar Li Bewafai Hum Ne Unse;
  26. Taki Un Par Bewafai Ka Koi Ilzam Na Aaye!
  27. ============================
  28. Koi Vaada Nahi Phir Bhi Tera Intezar Hai;
  29. Judai Ke Baad Bhi Humein Tujhse Pyaar Hai;
  30. Tere Chehre Kee Udasi Kar Rahi Hai Bayaan Dastaan;
  31. Ki Mujhse Milne Ke Liye Tu Bhi Bekarar Hai!
  32. JUDAAI============================
  33. Dilon Se Khelne Ka Hunar Humein Nahi Aata;
  34. Isi Liye Ishq Kee Baazi Hum Haar Gaye;
  35. Meri Zindagi Se Shayad Unhein Bahut Pyaar Tha;
  36. Isi Liye Mujhe Zinda Hi Wo Maar Gaye!
  37. ============================

  38. Aap Duniya Bhar Se Ulfat Kijiye;
  39. Mujh Ko Mera Dil Inayat Kijiye;

  40. Zabt Se Kya Khoon-e-Hasrat Kijiye;
  41. Ek Nala Kar Ke Fursat Kijiye;

  42. Joaf Kehta Hai Ki Manzil Door Hai;
  43. Shauq Kehta Hai Kee Himmat Kijiye;

  44. Gark Hi Hona Thaa Manzoor-e-Khuda;
  45. Na-Khudaa Kee Kya Shikayat Kijiye;

  46. Hazraat-e-'Natiq' Jahan Tak Ho Sake;
  47. Apne Dil Mein Zabt-e-Ulfat Kijiye!
  48. ============================
  49. Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha;
  50. Auron Pe Hai Woh Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha;
  51. Chhoda Mah-e-Nakhshab Kee Tarah Dast-e-Qaza Ne;
  52. Khurshid Hanuz Us Ke Barabar Na Hua Tha!
  53. ============================
  54. Jee Dhoondta Hai Phir Fursat Ke Raat Din;
  55. Baithe Rahen Tassavur-e-Jana Kiye Hue;
  56. Ghalib Humein Na Chhed Ke Phir Josh-e-Ashq Se;
  57. Baithe Hain Hum Tahayya-e-Toofan Kiye Hue!

  58. ============================

  59. Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga;
  60. Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Na Bhula Paunga;
  61. Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena;
  62. Kyonki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga!
  63. ============================
  64. Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain;
  65. Kis Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain;
  66. Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi;
  67. Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain!
  68. ============================
  69. Deewana Mat Kaho Mujh Ko Yun Achha Nahi Lagta;
  70. Bada Afsos Hota Hai Jab Koi Apna Nahi Lagta;
  71. Lagta Hai Ki Hogi Uski Bhi Kuch Majboori;
  72. Uska Yun Chhod Kar Jana Achha Nahi Lagta!
  73. ============================
  74. Dar Ke Kisi Se Chup Jataa Hai Jaise Saanp Khazane Mein;
  75. Zar Ke Zor Se Zinda Hain Sab Khaak Ke Is Veerane Mein;

  76. Jaise Rasam Ada Karte Ho Sheharon Kee Aabadi Mein;
  77. Subah Ko Ghar Se Door Nikalkar Shaam Ko Wapis Aane Mein;

  78. Neele Rang Mein Doobi Aankhein Khuli Padi Thi Sabze Par;
  79. Aks Pada Tha Aasman Ka Shayad Iss Paimane Mein;

  80. Dil Kuch Aur Bhi Sard Hua Hai Shaam-e-Shehar Kee Raunak Mein;
  81. Kitni Ziya Besood Gayi Sheeshe Ke Lafz Jalane Mein;

  82. Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Tak Kar Hairan Hua;
  83. Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Ek Zamane Mein!
  84. ============================
  85. Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab;
  86. Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab;
  87. Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab!
  88. ============================
  89. Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Kee, Lekin Waqt Hum Se Bewafai Kar Geya;
  90. Kuch To Hamare Naseeb Bure The, Kuch Us Ka Hum Se Jee Bhar Geya!
  91. ============================
  92. Tere Naam Ki Thi Joh Roshni Use Khud Hi Tum Ne Bujha Diya;
  93. Na Jala Saki Jise Dhoop Bhi, Use Chandni Ne Jala Diya;
  94. Hun Gardishon Mein Ghira Hua, Mujhe Ab Apni Khabar Nahi;
  95. Wo Jo Shaqs Tha Mera Rehnuma, Use Raaston Mein Hi Ganwa Diya!
  96. ============================
  97. Jalne Do Zamane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
  98. Nayi Duniya Basane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
  99. Humein Jeevan Ka Har Lamha, Tumhare Naam Karna Hai;
  100. Yahi Vaada Nibhane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain!
  101. ============================
  102. Sukhan Mein Rang Tumhare Khayal Hi Ke To Hain;
  103. Ye Sab Karishme Hawa-e-Visaal Hi Ke To Hain;

  104. Kaha Tha Tumne Ki Aata Hai Kaun Ishq Kee Taab
  105. So Hum Jawab Tumhare Sawal Hi Ke To Hain;

  106. Zara Si Baat Hai Dil Mein, Agar Bayan Ho Jaye;
  107. Tamaam Masle Izahar-e-Haal Hi Ke To Hain;

  108. Yahan Bhi Iske Siwa Aur Kya Naseeb Humein;
  109. Khutan Mein Reh Ke Bhi Chashme-Gizaal Hi Ke To Hain;

  110. Hawaa Kee Zad Pe Hamara Safar Hai Kitni Der;
  111. Charaag Hum Kisi Sham -e-Zawal Hi Ke To Hain!
  112. ============================
  113. Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehman Kiye Hue;
  114. Josh-e-Qadah Se Bazm Chiraghan Kiye Hue;
  115. Karta Hun Jama Phir Jigar-e-Lakht Lakht Ko;
  116. Arsa Hua Hai Dawat-e-Mizhgaan Kiye Hue!
  117. ============================
  118. Udaan Walo, Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai;
  119. Paron Kee Abki Nahi, Haunslon Kee Bari Hai!
  120. ============================
  121. Mera Har Pal Aaj Khoobsurat Hai;
  122. Dil Mein Jo Sirf Teri Hi Soorat Hai;
  123. Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Ab Gham Nahi;
  124. Duniya Se Jyada Mujhe Teri Jarurat Hai!
  125. ============================
  126. Sohne Hoan Chahe Lakh Sohne;
  127. Meri Sarkar Jinha Koi Fabda Nahi;
  128. Akhaan Rehan Dekhan Nu Tarsadian;
  129. Chandra Dil Vi Dekh Rajjda Nahi!
  130. ============================
  131. Paas Aakar Sabhi Door Chale Jate Hain;
  132. Akele The Hum, Akele Hi Reh Jate Hain;
  133. Ab Apne Dil Ka Dard Hum Kise Dikhayein;
  134. Kyonki Marham Lagane Wale Hi Ab Zakhm De Jate Hain!
  135. ============================

  136. Zoph Aata Hai Dil Ko Thaam To Lo;
  137. Boliyo Mat Magar Salaam To Lo;

  138. Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo;
  139. Haath Se Mere Ek Jaam To Lo;

  140. Inhin Baaton Pe Lautata Hun Main;
  141. Gaali Phir De Ke Mera Naam To Lo;

  142. Ek Nigaah Par Bike Hain 'Insha' Aaj;
  143. Muft Mein Mol Ek Gulam To Lo!
  144. ============================
  145. Nadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho Ghalib;
  146. Kismat Mein Hai Marne Kee Tamanna Koi Din Aur!

  147. ============================
  148. Kis Ko Qatil Main Kahun Kis Ko Masiha Samajhun;
  149. Sab Yahan Dost Hi Baithe Hain Kise Kcya Samajhun;
  150. Wo Bhi Kya Din The Ki Har Veham Yaqeen Hota Tha;
  151. Ab Haqeeqat Nazar Aaye To Use Kya Samajhun!
  152. ============================
  153. Zakhm The Gehre Aur Na Aaya Mujhe Unhe Seena;
  154. Uske Zakhmo Ke Bin Zindagi Mcein Kya Jeena;
  155. Agar Lafzo Mein Teri Tareef Karunga To Tere Husn Ke Be-Adbi Hogi;
  156. Bas Tu Yeh Jaanle Ki Tere Bin To Chand Kee Chandni Bhi Adhuri Hogi!
  157. ============================
  158. Tere Ton Door Rahaan Tan Kis Tarah;
  159. Dil Da Haal Vi Dassan Tan Kis Tarah;
  160. Bada Samjhaya Apne Kamle Dil Nu Sajjna;
  161. Hun Isnu Hor Majboor Kara Ta Kis Tarah!
  162. ============================
  163. Nahi Tha Yakeen Kabhi Milna Padega Judai Ke Baad;
  164. Phir Bhadak Uthenge Jazbat Tumhari Bewafai Ke Baad!

  165. ============================


  166. Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain;
  167. Ye Motiyon Kee Tarah Sipiyon Mein Palte Hain;

  168. Ghane Dhuen Mein Farishte Bhi Aankh Malte Hain;
  169. Tamam Raat Khajuron Ke Ped Jalte Hain;

  170. Main Shah Reh Nahin, Raste Ka Pathar Hun;
  171. Yahan Sawar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain;

  172. Unhe Kabhi Na Batana Main Unki Aacnkhein Hun;
  173. Wo Log Phool Samajhkar Mujhe Masalte Hain;

  174. Ye Ek Ped Hai, Aa Iss Se Milkar Ro Lein Hum;
  175. Yahan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain;

  176. Kai Sitaron Ko Main Janata Hunc Bachpan Se;
  177. Kahin Bhi Jaun Mere Saath Saath Chalte Hain!
  178. ============================
  179. Haan Aye Falak-e-Pir Jawan cTha Abhi Arif;
  180. Kya Tera Bigadta Jo Na Marta Koi Din Aur;
  181. Tum Maah-e-Shab-e-Char-Duham The Mere Ghar Ke;
  182. Phir Kyon Na Raha Ghar Ka Woh Naqsha Koi Din Aur!

  183. ============================
  184. Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai;
  185. Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega!
  186. ============================
  187. Mohabbat Mein Main Khud Ko Bhool Jaunga;
  188. Raha Wada Teri Shohbat Mein Main Duniya Bhool Jaunga;
  189. Kabhi Aajmana Humein Bhi Apni Mehfil Mein;
  190. Main Teri Khatir Duniya-e-Mehfil Bhool Jaunga!
  191. ============================
  192. Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta Hai;
  193. Tamaam Umar Tere Naam Karne Ka Dil Karta Hai;
  194. Ek Muqammal Shayari Hai Tu Kudrat Kee;
  195. Tujhe Ghazal Banake Zuban Pe Lane Ka Dil Karta Hai!
  196. HUSN============================
  197. Sapne The, Un Sapno Ke Aap Sahilc Hue;
  198. Na Jane Kaise Hum Aapki Mohabbat Ke Kabil Hue;
  199. Karazdar Rahenge Hum Us Haseen Pal Ke;
  200. Jis Pal Aap Hamari Choti Si Duniya Mein Shamil Hue!
  201. ISHQ============================

  202. Khushi Mili To Ye Aalam Tha Bad-Hawasi Ka;
  203. Ki Dhyan Hi Na Raha Gham Kece Be-Libasi Ka;

  204. Chamak Uthe Hain Jo Dil Ke Kalas Yahan Se Abhi;
  205. Guzar Hua Hai Khayalon Kee Dev-Dasi Ka;

  206. Guzar Na Jaa Yun Hi Rukh Pher Kar Salaam To Le;
  207. Humein To Der Se Daawa Hai Roo-Shanasi Ka;

  208. Khuda Ko Maan Ki Tujh Lab Ke Choomane Ke Siva;
  209. Koi Ilaaj Nahi Aaj Kee Udasi Ka;

  210. Gire Pade Hue Patton Mein Shehar Dhoodhta Hai;
  211. Ajeeb Taur Hai Iss Junglon Ke Baasi Ka!
  212. ============================
  213. Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko cMilenge;
  214. Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur!

  215. ============================
  216. Mit Jayega Sar Gar Tera Pathar Na Ghisega;
  217. Hoon Dar Pe Tere Naasiyah-Farsa Koi Din Aur;
  218. Aaye Ho Kal Aur Aaj Hi Kehte Hoc Ke Jaaun;
  219. Maana Ki Khamosh Nahi Acha Koi Din Aur!

  220. ============================
  221. Jo Nahi Aata Uska Intezar Kyon Hota Hai;
  222. Kisi Ke Liye Apna Yeh Haal Kyon Hccota Hai;
  223. Waise To Iss Duniya Mein Kafi Cheezein Pyaari Hain;
  224. Jo Nahi Milta Usi Se Pyaar Kyon Hota Hai!

  225. ============================

  226. Dheere Se Sarkti Hai Raat Us Ke Aancchal Kee Tarah;
  227. Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Khile Kamal Kee Tarha!
  228. HUSN  ============================ 
  229. Koi Toote To Use Sajana Seekho;
  230. Koi Roothe To Use Manana Secekho;
  231. Rishte To Milte Hain Muqaddar Se;
  232. Bas Use Khoobsurti Se Nibhana Seekho!
  233. ============================
  234. Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua;
  235. Iss Dil Kee Jheel See Aankhon Mein Ek Khwab Bahut Barbad Hua;

  236. Ye Hijr-Hawa Bhi Dushman Hai Iss Naam Ke Saare Rangon Kee;
  237. Wo Naam Jo Mere Honthon Pe Khushbu Kee Tarah Aabad Hua;

  238. Us Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye;
  239. Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs cubani Yaad Hua;

  240. Wo Apne Ganv Kee Galiyan Thi Dil Jin cMein Nachta Gata Tha;
  241. Ab Iss Se Fark Nahi Padta Nashaad Hua Ya Shaad Hua;

  242. Benaam Sataish Rehti Thi In Gehri Sanwali Aankhon Mein;
  243. Aisa To Kabhi Socha Bhi Na Tha Ab Jitna Bedad Hua!
  244. ============================
  245. Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
  246. Main Shaad Hun Ki Hun To Kisi Kee Nigaah Mein!

  247. ============================
  248. Badalte Iss Zamane Ne Sab Ko Badal Dala;
  249. Khwabon Aur Khyalon cKo Bhi Badal Dala;
  250. Na Badal Saka Us Bewafa Ko Pyaar Mera;
  251. Jiske Liye Humne Apne Aap Ko Badal Dala!
  252. GILA SHIKWA============================   
  253. Mujhe Kisi Se Mohabbat cNahi Siva Tere;
  254. Mujhe Kisi Kee Jarurat Nahi Siva Tere;
  255. Meri Nazar Ko Thi Jiski Talaash Barson Se;
  256. Kisi Ke Paas Woh Surat Nahi Siva Tere!
  257. ISHQ============================   
  258. Hote Agar Paas To Koi Shararat Kcarte;
  259. Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte;
  260. Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar;
  261. Apni Khoyi Hui Neendo Kee Shikacyat Karte!
  262. ISHQ============================   
  263. n

  264. Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah;
  265. Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah;

  266. Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange;
  267. Roshan Dil Bedaar Nazar Dce Ya Allah;

  268. Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke;
  269. Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah;

  270. Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakh De;
  271. Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah!
  272. ============================
  273. Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur;
  274. Tanha Gaye Kyon Ab Raho Tanha Koi Din Aur!

  275. ============================
  276. Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi;
  277. Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi!

  278. ============================

  279. Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai Zindagi;
  280. Band Hain Dareechey Tamam Na Koi Kinara Dikhai De;
  281. Nahi Maloom Ulfat Kee Hai Kaun Si cManzil;
  282. Ki Tere Siwa Ab Na Humein Guzara Dikhai De!
  283. DARD============================
  284. Wo Aate Hain To Dil Mein Ek Kasak Si Mehsoos Hoti Hai;
  285. Main Darta Hun Ki Kahin Isi Ko Mohabbact To Nahi Kehte!
  286. ISHQ============================
  287. Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko;
  288. Ki Har Koi Dekhna Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko;
  289. Baarr-Baar Dekhne Se Dil Nahi Bcharta Kisi Ka Bhi;
  290. Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko!
  291. HUSN============================

  292. Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai;
  293. Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;

  294. Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote;
  295. Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Katarta Hai;

  296. Sharafaton Kee Yahan Koi Ahemiyat Hi Nahi; Kisi Ka Kuch Na Bigado To Kaun Darta Hai;

  297. Zameen Kee Kaise Viqaalat Ho Phir Nahi Chalti;
  298. Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai;

  299. Tum Aa Gaye Ho To Phir Kuch Chandni Si Baatein Hon;
  300. Zameen Pe Chand Kahan Roz Roz Utarta Hai!
  301. ============================
  302. Haan Woh Nahi Khuda Parast, Jao Woh Bcewafa Sahi;
  303. Jisko Ho Din-o-Dil Aziz Uski Gali Mein Jaye Kyon;
  304. Ghalib-e-Khasta Ke Baghair Kaunc Se Kaam Band Hain;
  305. Roiye Zaar Zaar Kya Kijiye Haaye Haaye Kyon!
  306. ============================
  307. Mohabbat Karli Tumse Bahut Sochne Ke Baad;
  308. Ab Kisi Ko Dekhna Nahi Tumhe Dekhne Ke Baad;
  309. Duniya Chhod Denge Tumhe cPane Ke Baad;
  310. Khuda Maaf Kare Itna Jhooth Bolne Ke Baad!
  311. ============================
  312. Ye Taraqqi Ka Zamana Hai Tere Aashiq Par;
  313. Ungliyan Uthti Thi Ab Hath Utha Karte Hain!
  314. ============================
  315. Bahut Kuch Khoya, Bahut Kuch Paya;
  316. Kasam Se Zindagi Ne Bahut Hasaya, Bahut Hi Rulaya;
  317. Par Shikwa Nahi Zindagi Se Humein Koi;
  318. Kyonki Issi Ne Kuch Haseen Dosto Se Bii Milaya!
  319. ============================
  320. Raah Takte Jab Thak Gayi Meri Aankhein;
  321. Phir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansu Nikle!
  322. ASHK============================
  323. Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai;
  324. Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai;
  325. Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar;
  326. Yaad Aane Ke Woh Saare Hcunar Rakhta Hai!

  327. ============================

  328. Ishq Kee Duniya Mein Ek Hucngama Barpaa Kar Diya;
  329. Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

  330. Zarre Zarre Ne Mera Afcsana Sun Kar Daad Dee;
  331. Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

  332. Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
  333. Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

  334. Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
  335. Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

  336. Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
  337. Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

  338. Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
  339. Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
  340. ============================
  341. Husan Aur Uspe Husan-e-Zan, Rah Gayi Bul Hawas Ki Sharm;
  342. Apne Pe Aitmaad Hai Ghair Ko Aazmayein Kyon!

  343. ============================
  344. Ai Dost Humne Tarq-e-Mohabbact Ke Bawjood;
  345. Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi!
  346. ============================
  347. Ai Khuda Kisi Ko Aisi Zindacgi Na De;
  348. Zindagi De To Yun Bebasi Na De;
  349. Dil Mein Rahe Sada Chahtein Yaar Ke Milan Kee;
  350. Par Na Ho Sake Mulaqat Unse Aisi Koi Mazboori Na De!
  351. ============================
  352. Badli Jo Kaynaat Mujhe Icska Gham Nahi;
  353. Lekin Bura Tha Naseeb Jo Tum Badal Gaye!
  354. ============================
  355. Khamosh Guzar Jate Hain Woh Kareeb Se;
  356. Sawal Uthte Hain Dil Mein Ajeeb Se;
  357. Woh Khafa Hain Ya Yeh Unki Koi Ada Hai;
  358. Shikayat Bhi Kyac Karein Ab Agar Yahi Hai Naseeb Mein!
  359. ============================
  360. Apna To Chahton Mein Yahi Ek Asool Hai;
  361. Tera Bhala Bura Humein Sab Kuch Qubool Hai;

  362. Yeh Umar Bhar Ka Jaagna Bekaar Hi Na Jaye;
  363. Tu Na Mila To Saari Reyazat Fizool Hai;

  364. Khud Hi Kaha Tha Tu Ne Meri Jaan Chorr De;
  365. Ab Chorr Di To Kyon Tera Chechra Malool Hai;

  366. Ai Maan Yeh Meri Shohrateinc Meri Yeh Izatein;
  367. Kuch Bhi Nahi Bas Tere Kadmon Ki Dhool Hai;

  368. Aayi Jo Teri Yaad To Acankhein Baras Padi;
  369. Iss Waqt Tere Dard Ka Dil Par Nazool Hai;

  370. Ik Doosre Ke Waastey Dono Bane 'Wasi';
  371. Guldaan Mera Dil Hai Teri Yaad Phool Hai!
  372. ============================
  373. Qaid-e-Hayat-o-Bacnd-e-Gham Asal Mein Dono Ek Hain;
  374. Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nijaat Paye Kyon!

  375. ============================
  376. Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai;
  377. Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai;
  378. Lobaan Me!in Chingari Jaise Koi Rakh Jaye;
  379. Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai!
  380. ============================
  381. Pyaar Bahut Hai Tumse Magar Izhaar Nahi Karte;
  382. Meri Khamoshi !Se Yeh Na Samjhna Ki Tumse Pyaar Nahi Karte;
  383. Meri Aankhein To Har Lamha Tumhari Raah Dekhti Hain;
  384. Aur Tum Kehti Ho Hum Intezar Nahi Karte!


No comments :

Post a Comment