khushi ke neend na aye Shayari 2017

Mere Jazbat Meri Pehchan Hai Woh;
Meri Justaju Meri Shaan Hai Woh;
Log Kehte Hain Bhul⇆a Dun Main Use;
Par Kaise Bhula Dun Yaaro Is Seene Me Dhadakti Jaan Hai Woh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
Jaan Ban K⇎ar Utar Ja Uski Rooh Mein;
Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Toh ⇣⇭Chahaton Mein Bas Yahi Asool Hai;
Jab Tu Qubool Hai To Tera Sab Kuch Qubool Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Pal Mein Jo Guzar Jaaye Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuch Nahi;
Pyaar Kehti ⇫Hai Duniya Jise Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mein Tumhare Apni Kami Chod Jaayenge;
Aakhon Mein Intezar Kee Nami Chod Jaayenge;
Yaad Rakhna⇛ Mujhe Dhoondte Firoge Ek Din;
Zindagi Mein Dosti Kee Kahani Chod Jaayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Intezar Kee Ghadi Ko, Pal Pal Ki Bekarari Ko Lafzon Mein Bayan Kaise Kar Du;
In Makhmali Ehsaason ⇴Ko, Reshmi Jazbaton Ko Alfazon Mein Bayan Kaise Kar Du!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sahil Par Khade Khade Humne Shaam Kar Di;
Apna Dil Aur Duni⍇ya Aap Ke Naam Kar Di;
Yeh Bhi Na Socha Kaise Guzregi Zindagi;
Bina Soche Samjhe Har Khushi Aap Ke Naam Kar Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Ke Mayne Humse Kya Puchte Ho;
Hum In Batoon Se Anjaan Hain;
Bus Ek Gujarish Hai Ki Bhool Naa Jaana Hume;
Kyonki Tumhara Pyaar Hi Hamari Jaan Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bahut Khubsurat Hai Har Baat Lekin, Agar Dil Bhi Hota Toh Kya Baat Hoti;
Likhi Jaati Phir Daastaan-e-Mohabbat, Ek Afsaane Jaisi Mulaaqat Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Todna Hota To Rishta Hum Na Banate;
Umeed Nahi Hoti To Sapne Hum Na Sajate;
Aitbar Kiya Hai Humne Aapki Wafaon Pe;
Bharosa Na Hota To Apne Dil Ka Hissa Na Banate!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apne Jaisi Koi Tasveer Banani Thi Mujhe;
Mere Andar Se Sabhi Rang Tumhare Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dastaan-e-Ishq Main Sabko Sunati Chali Gayi;
Woh Dhaate Rahe Sitam Main Muskurati Chali Gayi;
Na Thi Mujhe Parwah Koi, Na Tha Kisi Ka Dar;
Gamon Ke Sailabon Se Main Yun Hi Takrati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Mumkin Hai Palat Kar Main Chala Aaon Safar Se;
Woh Naam To Ley Rooh Kee Gehraayi Se Mera!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mile Kaise Sadiyon Kee Pyaas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna;
Barri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Se Sanam Tum Ko Paya Hai;
Tere Har Hukum Ko Sar Aankhon Pe Bithaya Hai;
Aur Kya De Sakta Hun Main Tum Ko Sanam;
Roshni Tujhe Dene Ke Liye Khud Ko Jalaya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Tujh Se Alag Reh Ke Bhi Rehte Hain Tere Paas;
Hote Hain Te⇅ri Bazzm Main Hote Hian Jahaan Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nazar Karna, Nazar-Andaz Karna;
Yehi Hai Pyar Ka Aghaaz Karna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sher Logon Ke Bahut Yaad Hain Auron Ke Liye;
Tu Mile To Main Tujhe Sher Sunaaon Apne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar;
Kitni Khamosh Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nazar Se Nazar Ko Milao Nazar Ka Aitbar Karo;
Hum Tum Se Sanam, Tum Hum Se Pyaar Karo;
Tum Jo Rootho To Kuch Bhi Karke Manaayein Tumko;
Hum Jo Pal Bhar Ko Jayein To Tum Intezar Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
Muskura Kar Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Geya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Hum Dekhen;
Nigaahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat Phenk Pani Me Pathhar;
Usey Bhi Koi Peeta Hai;
Mat Raho Yun Udaas Zindagi Mein;
Tumhe Dekh Kar Bhi Koi Jeeta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahi Bahu⏮t Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya;
Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Zyada Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh;
Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chandni Raat Bari Der Ke Baad Aayi;
Yeh Mulaqat Bari Der Ke Baad Aayi;
Aaj Aye Ha⏫in Woh Milne Ko Bari Der Ke Baad;
Aaj Ki Raat Bari Der Ke Baad Aayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh e Haalat Pe Kaboo To Kar Liya Maine;
Unhe Dekhke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jaao Ge Lekin;
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Khayaal Mein Jab Be-Khayaal Hota Hoon;
Zara Si Der Hi Sahi Be-Misaal Hota Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
Issi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bikhri Kitaabein, Bheegey Auraaq Aur Yeh Tanhai;
Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi;
Yeh B➜ata Kiss Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga;
Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi;
Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hosh-e-Haalat Pe Kabu To Kar Liya Maine;
Unhe Dekh Ke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chaho Laga Do Dar Kaisa;
Gar Jeet Gae To Kia Kehna Hare Bhi To Bazi Mat Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Khabar Thi Hame Ke Mohabbat Ho Jaye Gi;
Hume To Bas Tera Muskurana Acha Laga Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Mohabbat Ki Hadh Nahin Koi;
Dard Ka Hisaab Kyun Rakhoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Dalein Tum Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaate Hain;
Gaye Huyon Ki Sadaaon Mein Baith Jaate Hain;
Hum Ird Gir⍏d Ke Mausam Se Jab Bhi Ghabraayein;
Tere Khayaal Ki Chhaon Mein Baith Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
Isi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin;
Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin';
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aur Zyada Bhadkaatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki;
Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujhana Seekhey Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye;
Kyunki Naq⇹aab Ho Ya Naseeb, Sarakta Zaroor Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin';
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~R  
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera;
Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankh Rakhte Ho To Us Ankh Ki Tehreer Padho;
Mu'n Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Us Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq;
Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Mein Khoye Jao Ge To Baat Ki Tey Bhi Paao Ge;
Qudrat Kuch Jano Ge, Dil Ko Jo Kahin Lagaao Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ishq Naazuk Mizaaj Hai Be-Hadh;
Aqal Ka Bojh Uthaa Nahin Saktaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tasveer Me Khayaal Hona To Lazmee Saa Hai;
Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Me Bani Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ke Jese;
Lutt Jaye Kahin Raah Mein Samaan Kisi Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Karn⇶a Hai To Phir Ishq Ki Toheen Na Kar
Ya To Behosh Na Ho, Ho To Phir Hosh Na Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Ke Badley Mein Mujhe Tum Mil Jao;
Mein Aesi Naiki Ki Talash Mein Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Najro Se Jab Najar Ka Taqrar Hota Hai;
Her Morh Pay Kisi Ka Intezaar Hota Hai;
Dil Rota Hai Zakahm Haste Hai;
Shayad Isi Ka Naam Pyar Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akal Ayyaar Hai, Sau Bhaiss Bana Leti Hai;
Ishq Bechara Na Mulla Hai Na Zahid Na Hakeem!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisey Maloom Tha Ishq Iss Qadar Lachaar Karta Hai;
Dil Usey Janta Hai Bewafa, Magar Pyar Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rakhna Mera Khayal Abb Umar Bhar Ke Liye;
Lo Maine Apne Aap Ko Teri Amanat Kar Diya;
Kya Khub Tha Humari Mohabbat Ka Andaz-e-Katil;
Zehar Bhi Diya Usne Toh Hoton Pe Laga Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar Bhi Karna, Zamaney Se Bhi Ghabrana Bohat;
Aayino'n Ka Ghar Banana Aur Pathar Sochna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
Na Ho Ke Mar M⍅ittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khud Mein Hum Kuch Iss Tarah Kho Jate Hain;
Biti Hui Yaa⇿don Ko Lekar Ro Jate Hain;
Nind Nahi Aati Raaton Mein Par;
Unko Khwab Me Dekhne Ke Liye So Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankon Mein Ishq, Labh Pe Khamoshi;
Aandaz Mein Ikraar, Jism Mein Inkaar;
Kahan Jayein Mohabaat Karne Wale;
Ek Taraf Jannat, Doosri Taraf Jahannum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa;
Izhaar-e-Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai;
Hai Agar Ishq, To Aankho Mein Dekho;
Zuban Kholne Se Yeh, Numaish Ban Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ki Bandagi Di Hai To Husn Ki Ibadat Jaroori Hai;
Ishq Se Jeene Ki Ass Rahegi Aur Husn Se Tarap Ki Justju!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Naraaz-Naraaz Se Lagte Ho Koi Tarkeeb Batao Manane Ki;
Hum Zindagi Girvi Rakh Denge Tum Kimat Batao Muskurana Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib';
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekhte H⇵ai Ab Kis Ki Jaan Jaayegi;
Usne Meri Aur Maine Uski Kasam Khayi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Behte Aashkon Ki Zubaan Nai Hoti;
Lafzon Mein Mohhabat Bayaan Nai Hoti;
Mile Jo Pyar To Ka➔dar Karna;
Kismat Har Kisi Par Maherban Nai Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib;
Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Daaman-e-Dil Par Daag-e-Mayusi Nahee Aaya;
Udhar Vaada Kiya Usne, Idhar Dil Ko Yakeen Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali'n;
Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Gum Hua Dil-e-Begaan-e-Siraj;
Shayad Ke Jaa Laga Hai Kisi Aashna Ke Hath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya;
Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mere Pyar Ka Kis Qadar Mazak Udha Gaya;
Ke Muje Muhabbat Karne Ki Saza Suna Gaya;
Humne Muhabbat Ka Agaz Ush Se Hi Kiya Tha;
Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Mat Rok Khud Ko Madhosh Ho Jaane De;
Paas Aa Apne Nashe Mein Kho Jaane De;
Na Aaoon Hosh Mei⇺n, Na Kabhi Meri Saanson Se Teri Mehek Jaye;
Band Kar Le Aankhein, Ab Jo Hota Hai Ho Jaane De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Ansu Bhari Wo Dua Miley;
Jiseh Kabhi Na Rad Khuda Kare;
Tujeh ⍅Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat Ki;
Tere Aangan Me Muhabbaton Ki Aisi Hawa Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chalo Aao Kabhi Tooti Hui Choori K Tukray Se;
Woh Bachpan Ki Tarhan Phir Se Mohabbat Naap Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein;
Yuoon Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Waade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte;
Hum Zikaar Mohabbat Ka Saare-Bazaar Nahi Karte;
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se;
Aur Woh Soachte Hai Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhe Main Galay Laga Loon;
Mera Ishq Be-Maza Tha, Teri Dushmani Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankh Wo Chahat Jis Mein Dil Ki Zubaan Hoti Hain;
Sachi Chahat To Bejuban Hoti Hain;
Pyar Main Dard Mila To Ghabrana Kaisa;
Dard Se Chahat Aur Jawaa Hoti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah;
Gulab Main Khushbo Basi Hoti Hai Jis Tarah;
Namaz Parh Li Ho Aur Dua Na Mangi Ho;
Ap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar Ka Intezaar Hota Hai;
Kai Saari Raahon Se Gujarte Yeh Jeevan Paar Hota Hai;
Har Pal Dil Sapn⏫e Bunta Hai Tanhaiyon Ke Saaye Mein;
Mohabbat Se Hi To Yaaro Jeene Ka Ehsaas Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Ko Toot Kar Chane Se Mohabbat Nahi Hoti;
Use Paane Ki K➢hwahish Rakhne Se Mohabbat Nahi Hoti;
Mohabbat To Is Duniya Ki Wo Azeem Cheez Hai;
Jo Kisi Se Ek Baar Ho Jaye To Fir Kisi Se Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni Mohabbat Pe Faqat Itna Bharosa Hai Mujhe;
Meri Wafain Tujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Deingi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bulleh Shah Zehar Vaikh Ke Pita Te Ki Pita;
Ishq Soch Ke Kita Te Ki Kita;
Dil De Ke Dil Lain Di Aas Rakhi;
We Bullehia Pyar Iho Jiya Kita Te Ki Kita!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jee Bhar Ke Dekhoon Tujhe Agar Tujhko Gawara Hoo;
Betab Meri Nazrain Hoo Or Pyar Tumhara Ho;
Jaan Ki Fikar Hoo Na Zamaney Ki Parwa;
Ek Tera Pyar Hoo Sirf Hamara Hoo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
Halaat Na The Aaise Teri Mulaqat Se Pehle;
Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The;
Hum Bhi Kitne Saada The Mohabbaton Ke Tajurbat Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ishq Ishq Na Karia Kar Ni, Vekh Ishq De Kare;
Esh Ishq Ne Joban Rutte Kai Lutte Kai Mare;
Ishq Kama⍏van Aye Jehre Niana De Vanjare;
Jattan De Putt Jogi Ho Gaye Chadke Takt Hazare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Chand Hai Magar Aap Se Pyaara To Nahi;
Parvane Ka Shama Ke Bin Guzara To Nahi;
Mere Dil Ne Suni Hai➧ Ek Mithi Se Awaaz;
Kya Apne Mujhe Pukara Toh Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Taraf Noor Hai Khushboo Hai;
Teri Ankhon ➫Mein Kaisa Jadu Hai;
Sari Duniya Hai Meri Jholi Mein;
Aur Duniya Meri Bus Tu Hi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Paas Hote Hain Jab Wo Mere To Koi Mozu-E-Guftagoo Nahi;
Door Hote Hain To Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Bura Hai To Use Hone Mat Dena;
Ishq Khuda Hai To Use Khone Mat Dena;
Karte Ho Agar Ki⇹si Se Sacchi Mohabbat;
To Tumeh.."Khuda Ki Kasam!"Use Rone Mat Dena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Sar-E-B⇣azar Dekhunga Na Usko Tanha Sochunga;
Useh Kehna K Laut Aaye Ab, Mohabbat Chorr Di Main Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Rootha⇠ Rootha Sa Lagta Hai, Koi Tarkeeb Bata Manane Ki;
Main Zindagi Girrvi Rakh Dunga, Tu Keemat Bata Muskurane Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Ki Aanch Se To Patthar Bhi Pighal Jata Hai;
Sache Di⇸l Se Sath De To Naseeb Bhi Badal Jata Hai;
Pyaar Ki Rahon Par Mil Jaye Sacha Hamsafar;
To Kitna Bhi Gira Hua Insaan Bhi Sambhal Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
Mehki Fiza k Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
Bas Yaad Kisi Ki Aayi Aur Rulati Chali Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Fiza Mein Mehakti Shaam Ho Tum;
Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum;
Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari;
Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah;
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kamal Ki Tarha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka;
Khusiyan Dhundti Rahe Asshiyana Aapka;
Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho;
Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae Kabristaan Tere Aagosh Mein Itna Sannata Kyu Hai;
Log To Apni Jaan Dekar Bhi Tujhe Aabad Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Badi Mudaat Se Chaha Hai Tumhein;
Badi Duaoon⇢ Se Paya Hai Tumhein;
Tum Nee Bhulaane Ka Socho Bhi Kaise;
Kismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tumhein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pani Se Pyaas Na Bujhi;
Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla;
Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se;
Par Khudha Bhi Tera Aashiq Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Garmiye Hasrat Ke Nakam Se Jalte Hai;
Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jalte Hai;
Jab Aa⍅ta Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Naa Jano Kyon Log Hamare Naam Se Jalte Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Mahfileh Azeeb Hai Na Manzar Azeeb Hai;
Usne Nigahon Se Jo Chalaya Wo Khanjar Azeeb Hai;
Na Dubne Deta Hai Na Nikalne;
Uski Nigaho Ka Ye Samandar Azeeb Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai;
Ek Baat Ko Sab Se Chhupana Ishq Hai;
Yun To Neend Nahi Aati Hamein Raat Bhar;
Magar Sote Sote Jagna Or Jagte Jagte Sona Hi Ishq Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Khushbu Ki Tarah Meri Har Sans Main;
Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chand Ki Judai Me Aasma Bhi Tadap Gaya;
Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya;
Badal K⇬e Dard Ko Kya Kahoo;
Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kisi Ko Apna Banane Me Der Lagti Hai;
Kiya Hua Waada Nibhane Me Der Lagti Hai;
Pyaar To Pal Bhar Me Ho Jaata Hai;
Par Unhe Bhulane Me Saari Umar Bhi Kam Pad Jaati Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~Q  
Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul;
kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ji Chaahta Hai Ik Doosre Ko Yun Aath Pehar Hum Yaad Karen;
Ankhon Mein Basaaen Khwaabon Ko Aur Dil Ko Khayal Aabad Karen;
Khilwat Mein Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dooi Se Shhad Karen;
Yeh Aarzooen Eejad Na Kar, Ai Ishq Hamein Barbaad Na Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan;
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Kaha Main Ne Ke, Pyaar Aata Hai Mujhko Tum Par;
Hans Ke Kahne Lage, "Aur Aap Ko Aata Kya Hai?"
Aam Ilzaam ⇿Hai, Akbar Pe Ke Peeta Hai Kyon;
Iski Pursish Nahin Hoti Ke, Khaata Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohhab➦at Muqaddar Hai Ek Khawab Nahi;
Ye Vo Ada Hai Jisme Sab Kaamyaab Nahi;
Jinhe Panaah Mili Unhe Ungliyon Par Gin Lo;
Magar Jo Fanaa Hue Unka Koi Hisaab Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Garmiye Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jaate Hain;
Hum Chiraagon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain;
Shama Jalti Hai Jis Aag Mein Numayish Ke Liye;
Hum Usi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hain;
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tapakti Hai Nigahon Se Barasti Hai Adaaon Se;
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Rah Kar Bhi Mera Na Ban Saka;
Aur Dil Wo Kaafir Hai Jo Mujh Mein Rah Kar Bhi Tera Ho Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tark-E-Takaluf Par Bhi Hogi Unko Nadamat Humse Zyada;
Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat Humse Zyada!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Naam Hai Jiska, Wo Aesi Qaid Hai Yaaro;
Ki Ummrein Beet Jaati Hain, Sazza Puri Nahin Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sahib-⟹e-Aqal Ho, Ek Mashwara Mukhisana Chahiye;
Zindage Se Tang Hoon, Khud-Kushi Karon Ya Ishq!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam;
Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh;
Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain;
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain;
Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin;
Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyaar Karenge;
Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikraar Karenge;
Jahan Bhi Jaoge Har Kadam Humme Hi Paaoge;
Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezaar Karenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya;
Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se;
Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se;
Guzr⤃e Hain Hum Kuchh Aise Makam Se;
Ke Nafrat Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Ko Mohabbat Ki Sachai Maar Dalegi;
Kissi Ko Mohabbat Ki Gehrai Maar Dalegi;
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega;
Aur Jo Bachega Usse Tanhai Maar Dalegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khawabo Ke Ander Zinda Mat Raho;
Balki Apne Ander Khwab Ko Zinda Rakho;
Mahobbat Uss Se Nahi Hoti Jo Khoobsurat Ho;
Khubsoorat Woh Hota Hai Jiss Se Mahobbat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae Mohabbat Teri Chahat Iss Jahan Main Har Ek Shaqs Ko Hai;
Teri Ibaadat Main Sir Jhukayein, Akhir Hum Bhi Tere Kaneez-e-ishq Hain!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Mein Chhipi Yaadon Se Swaaron Tujhe;
Tu Dikhe Toh ⟰Apni Ankhon Mein Uttarun Tujhe;
Tere Naam Ko Mere Labon Par Aise Sajaya Hai;
So Bhi Jaun Toh Khwaabon Mein Toh Pukarun Tujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hoga Kasu Deewar Ke Saaye Mein Para, Mir;
Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaraam Talab Ko!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Paa Lene Ka;
Bichhad Ke Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehrbaan Hokey Bulaalo Mujhey Chaaho Jis Waqt:
Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baaki Hai;
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baaki Hai;
Kya Hua Aggar Dekh Kar Muh Pher Lete Hain;
Tasalli Hai Ke Shakal Ki Pehchaan Baki Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Toh Bane Hi Tabah Hone Ke Liye The;
Tera Milna Toh Ek Bahaana Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tairna Hai To Samundar Mein Jaiye;
Kinaro Mein Kya Rakha Hai;
Pyar Karna Hai To Bahon Mein Aaie;
Isharon Mein ➥Kya Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo;
Khwahish-e-Didaar Mein Sab Kuch Gava Diya;
Kisi Ne Di Khabar Ki, Vo Aayenge Raat Ko;
Itna Kiya Ujaala Ke Ghar Tak Jala Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbaar Ho Jata Hai;
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai;
Khubiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sadaa;
Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Mohabbat Teri Chahat, Iss Jahan Main Har Ek Shaks Ko Hain;
Teri Ibadat Main Sir Jhukayen, Akheer Hum Bhi Tere Kaneez-E-Ishq Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Mitti Ka Jism Lekar, Pani K Ghar Mein Hu;
Mnzil Hai Maut Meri Aur Main Har Pal Safar Mein Hu;
Hoga Katal Mera Pata Hai Mujhko Par;
Yeh Malum Nahi Ke Main Kis Katil Ki Nazar Mein Hu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Khud-be-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanso Mein;
Main Soach Ke Karta Toh Phir Mohabbat Na Karta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uss Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha;
Apna Bhi Na Banaya Aur Kissi Aur Ka Bhi Hone Na Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Labo Pe Geet To Aankhon Mein Khwab Rakhte The;
Kabhi Kitabon Mein Hum Bhi Gulaab Rakhte The;
Kabhi Kissi Ka Jo Hota Tha Intezar Humein;
Bada Hi Sham-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Aashiq Paane Ko Ishq Samajhte Rahe;
Jo Pa Liya, Woh Ishq Nahi, Woh Ishq-e-Hararat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baadi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein;
Na Woh Qaid Kar Sake, Na Hum Azaad Ho Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Baar Apne Andaaze Mohabbat Ka Ikraar Kar Lete;
Hum Apni Zindgai To Kya, Apni Rooh Bhi Unke Naam Kar Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Mere Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi;
Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajeeb Yeh Aashique Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai;
Aur Kabhi Sanata Satata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Nafrat He Nahi Duniya Mein, Dard Ka Sabab;
Mohabbat Bhi Sakoon Waloon Ko, Badi Takleef Deti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⤋Itna Anmol Tha Ke Khareed Na Saka Koi Hamko;
Hairaan Hun Ke Tere Hathon Bika To Bika Kaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa;
Ke Maine Bhi Lutaya Hai Mohabbat Main Sakoon Apna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aakhri Baar Tere Pyaar Ko Sajda Kar Luon;
Lout Ke Phir Teri Mehfil Mein Nahi Aayunga;
Apni Barbaad Mohabbat Ka Janaja Le Kar;
Teri Duniya Se Bahut Durr Chala Jaunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kahan Dhoondtey Ho Tum Ishq Ko Oh Bekhabar;
Yeh Khud Hi Dhoond Leta Hai Jissey Barbaad Karna Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ajab Banda⤢shain Hain Mohabbat Ki;
Na Uss Ne Qaid Mein Rakha, Na Hum Azaad Huwe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Chhorne Ka Faisla To Woh Har Roz Karta Hai;
Magar Uska Bas Nahin Chalta, Meri Wafa Ke Saamne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ye Sahil Per Bikhrey Huye Phool;
Na Jane Aaj Phir Kiski Mohabbat Doob Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⟵Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh, Faraz;
Ussey Mujhse Nahi Khud Say Mohabbat Ho Jaati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Mujhse Door Hokar Khush Hein Toh Khush Hi Rehne Do;
Mujhe Apni Chahat Se Zyada, Unki Muskrahat Pasand Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne To Ek Hi Shaks Par Mohabbat Khatam Kardi;
Ab Mohabbat Kis Ko Kehte Hain, Kuch Malum Nahi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Apni Chhab Banaikay, Jo Main Pi Kay Paas Gayi;
Chhab Dekhi Jab Piyu Ki So Apni Bhool Gayi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
After adorning my face beautiful, when I went to my beloved;
I saw his captivating face, and forgot all about my own beauty!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khusro Darya Prem Ka, Ulti Wa Ki Dhaar;
Jo Utra So Doob Gaya, Jo Dooba So Paar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Mohabbat To Mera Muqadar Hai;
Yeh Manzil Chahe Mile Ya Na Mile;
Par Mujhe Rahaat Jarur Milti Hai;
Ae Dost, Tujhe Yaad Karne Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khusro Baazi Prem Ki, Main Khelun Pi Ke Sung;
Jeet Gayi To Piya Moray, Haari, Pi Kay Sung!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
W⟶o Mujhse Door Ho Kar Khush Hein To Khush Hi Rehne Do;
Mujhe Apni Chahat Se Zyada, Uski Muskrahat Pasand Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Jaam Peene Sai Kya Faida;
Sham Ko Pee Subah Utar Jayegi;
Arre Do Boond Mohobbat Ke Peele Saqi;
Zindagi Saari Nashe Mein Guzar Jayegi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ankhon Mein Haya Ho Toh Parda Dil Ka Hi Kafee Hai;
Nahi To Naqaab Se Bhi Hote Hain, Ishaare Mohabbat Ke.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Zarurat Pade To Awaaz De Dena;
Mein Guzra Waqt Nahi Jo Wapis Na Aaun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Mohabbat Ke Nashe Mein Aa Kar Use Khuda Bana Dala;
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Qalm, Faraz;
Main Pyaar Likhon To Tera Naam Likha Jata Hai!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tum Ne Mohabbat Mein Ik Pal Khoya Hai;
Meine Us Pal Mein Sari Zindagi Kho Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Mohabaat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai;
Mil Jaayein Toh Baatein Lambi, Bichhar Jaayein Toh Yaadein Lambi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
➾➽➽Apnay Siwa Batao Tumhein Kuch Mila Hai Faraz;
Hazar Bar Lee Hain Tumne Mere Dil Ki Talashiyaan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Jane Itni Mohobbat Kahan Se Aa Gayi Uss Ajnabee Ke Liye;
Ke Mera Dil Bhi Uski Khatir, Aksar Mujhse Hi Ruth Jaaya Karta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Lafzon Ki Pehchan Aggar Kar Laita Woh, Faraz;
Usy Mujhse Nahi Khud Sey Mohabbat Ho Jati!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo aaj phir mile aankhein chaar hui;
Dil se dil ki phir ek baar takraar hui.
Kehne lage kahan hain mohabbat teri;
Hmne kaha wahin dafan hai jahan apki duniya abaad hui.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekho meri aankhon mein khwab kiska hai;
Dekho mare dil main tufaan kiska hai;
Tum kehte ho mere dil ke raaste se koi nahi gujra;
To fir yah pairon ke nishan kiske hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kamaal ka shaqs tha jisney zindagi tabaah krdi;
Raaz ki baat hai dil usse aj bi khafaa nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logo ne roz kuch naya hi manga khuda se;
Ek hum hain ki tere swaal se agay nahi gaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum ne tere baad na rakhi kisi se mohabbat ki aas;
Ik shakhs hi bohat tha, jo sub kuch sikha giya.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

➽➽Khafa na hona hamse agar tera naam juban par aa jaye,
Inkaar hua to seh lenge aur agar duniya hasi to keh denge;
Ke mahobbat koi cheez nahi, jo khairat mei mil jaye;
Chamchmata koi joognoo nahi, jo har raat mei mil jaye;
Gulaab ka koi wo phool nahi, jo har subeh khil jaye;
Jab wo bewafai pe aa➽➽ jaye, to kambakhat ruh tak hil jaye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us gulab se puchho dard kya hota hai;
Jo har waqt khamosh hi rehta hai;
Auro ko deta hai paigam-e mohabbat;
Aur khud kaanto ki chubhan ko sehta hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ae kalam ruk ruk ke chal ek adab ka mukaam hai,
teri nok ke neeche mere mehboob ka naam hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh, samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi, par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kasur na unka hai na mera, Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe,
Woh dosti ka ehsaas jatate rahe, Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhara hamara rishta to aankhon aur palkon jaisa hai, Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai, Aur agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
➼➼Na aana usse leke mere janaze mein,
Meri Mohabbat ki tauhin hogi,
Main 4 logon ke kandhe pe hounga,
Aur meri jaan paidal➼➼ hogi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda se maine ek dua mangi, dua me apni maut mangi,
Phir khuda ne kaha maut to tujhe me de du par usko kya kahu jisne teri lambi umar mangi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saton Aasmaon ki sair ham kar aaye,
Har ek tare se Dosti kar aaye,
Ek Tara khas tha jise hum apne saath le aaye,
Varna aap hi Sochiye ki aap is zameen par kyoon aaye?

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ret pe naam kabhi likhte nahin, kyonki ret pe likhe naam kabhi tikte nahin,
Aap kehte ho tum patthar dil ho, par patthar pe likhe naam kabhi mitte nahin.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
➽➽Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho??
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota ➽➽hai jawab dena,
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aapki muskan hamari kamjori hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
➽Kudrat ke karishmon mein agar raat na hoti,
To khwab mein unse mulaqat na hoti,
Wo wada to kar gaye ki ayenge khwab mein,
Mare khushi ke neend ➽na aye to kya karen.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
➽Tussi hasde ho saanu hassan waste,
Tussi ronde ho saanu rulaan waste,
Tussi ek vaar ruske te vekho,
Mar jawange tuhanu ➽manaan waste!



No comments :

Post a Comment