Tere pyaar mein shayari in hindi


  1. Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
  2. Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
  3. Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
  4. Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge

  5. Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
  6. Dil Ke Kalam Se Likhi Ye ! Dastaan Hi Kafi Hai.
  7. Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
  8. Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai

  9. Ittefaq se hum mile,
  10. Ittefaq se aap hume pasand aaye,
  11. Ittefaq se hum dost bane,
  12. Humari dosti ab ittefaq nahi,
  13. Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.


  14. Yun durr reh! kar duriyon ko badaya nahi karte,
  15. Apne deewano ko sataya nahi karte,
  16. Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
  17. Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.

  18. Zamane se nahi to tanhai se darta hu,
  19. Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
  20. Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
  21. Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.

  22. Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
  23. Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
  24. Par hai re meri futi kismat,
  25. Koi dil leneko hi taiyar nahi.

  26. Bekabu hai dil fir bhi jiya ja raha hu,
  27. Khali hao botal fir bhi piya ja raha hu,
  28. Majburi to dekho is dil ki.
  29. Reply nahi mil raha fir bhi msg kiya ja raha hu.

  30. Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
  31. Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
  32. Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
  33. Likh diya naam to fir mitaya na gaya.

  34. Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
  35. Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
  36. Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
  37. Ae dost tu dil ke aur paas ! aane laga..

  38. Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
  39. Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
  40. Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
  41. Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

  42.  
  43. **************************************
  44. Zindagii kii baat sun kar kyaa kahein,
  45. Ek tamannaa thii taqaazaa ban gaii hai.

  46. yeh sard raat, yeh aavaragii, yeh neend kaa bojh,
  47. Hum apaney shehar mein hotey to GHAR gaye hotey

  48.  
  49. **************************************
  50. Jo Jakham diye thy jindagi ne kabhi
  51. Aaj fir unn jakhmo se wakif ho gayi
  52. Socha tha fir kabhi nahi karungi pyar kisi se
  53. Aaj ankhon me fir kisi ke liye ashkon ki barsaat ho gayi

  54.  
  55. **************************************
  56. Phoolon ne Amrit ka jaam bheja hai,
  57. Sooraj ne gagan se Salam bheja hai,
  58. Mubarak ho Aapko nayi subhah,
  59. Tahe-Dil se Humne ye Paigaam bheja hai
  60. Good Morning
  61. **************************************
  62. Najre Jhuki to Paimane bane,
  63. Dil tute to Maikhane bane,
  64. Kuch to jaroor khas hai aap mein..
  65. Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane…

  66. Gadha jo khaye wo Ghas ho tum,
  67. Buddhe ka Chyawanprash ho tum,
  68. Idiot stupid bakwas ho tum,
  69. Par jo bhi ho yar, Dost Jhakaas ho tum…

  70. Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
  71. yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
  72. don! o mein farakh sirf itna hai,
  73. lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai.

  74. jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
  75. hum ko bhi koi shaks yaad ayega ,
  76. tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko ,
  77. jab AAp ke saath guzra waqt yaad ayega

  78.  
  79. **************************************
  80. Arz kiya hai:
  81. I am a dog and u r a flower,
  82. Gaur farmaiega I am a dog and u r a flower,
  83. So let me lift my leg n give u a shower!

  84. Ansoo tere nikale to aankhein meri ho,
  85. Dil tera dhadke to dhadkan meri ho,
  86. Khuda kare ki apni dosti itni gehari ho,
  87. Baap tu bane aur Mehanat meri ho!

  88. Shaam hote hii ye Dil udaas hota hai,
  89. Toote khwaboo ke siwa kuch na pass hota hai,
  90. Tumahri yaad aise waqt bohat aati hai,
  91. Bandar jab koi pass hota hai.


  92. Tere sath zindagi bitani hai
  93. Tu kya janega ye aaj ki nahi badi purani hai
  94. tere liye ye jaha chod diya hai
  95. faisala ab tere hatho main hai
  96. jine ki kwahish to ab hame nahi hai
  97. ab doli maine nahi arthi pe jana hai

  98.  
  99. **************************************
  100. 1) Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai,
  101. Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai,
  102. Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein,
  103. Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai….

  104. 2) Jis raat baraste hain teri yaad k badalm,
  105. us shab koi hijr ka tara nhi hota,
  106. yunhi mere pehlu mein ata hy aksar,
  107. wo dard jise mai ne pukara nhi hota….

  108. 3) Kitny Nadan Thy Toofan Ko Kinara Samjha,
  109. Kitny Bejan Saharon Ko Sahara Samjha,
  110. Kitny Kum Zarf Thy Wo0 Loog Jo Sahil Pe Thy,
  111. Humein Do0Bta Dekha Or Nazara Samjha….

  112. 4) Barsi Aankhen Jis Ki Yaad Mai Barsaat Ki Tarhan,
  113. Wo Bhi Badal Gaya Mere Halaat Ki Tarhan,
  114. Haal Jeete Ji Insan Ka Koi Pochta Nahi,
  115. Phir Mayat Pe Kiun Aatay Hain Sab Barat Ki Tarhan….

  116. 5) Ek Ajab Sa Manzaer Nazer Ata Hai,
  117. Her Ek Qatara Samander Nazar Ata Hai,
  118. Kahan Banao Main Gahr Shishay Ka,
  119. Her Ek Ka Hath Main Pahther Nazar Ata Hai….

  120.  
  121. **************************************
  122. Ek pal mein ek saadi ka maaza hum se poochiye
  123. Do din ki zindagi ka maaza hum se poochiye

  124. Bhoole hai rafta rafta unhe muddataoo mein hum
  125. Khistoy mein khud kushi ka maaza hum se poochiye

  126. Aghaaz aashiqui ka maaza aap jaane
  127. Anjaam aashiqui ka maaza hum se poochiye

  128. Hasne ka shouk hum ko bhi tha aap ki tarah
  129. Haase agar haasi ka maaza hum se poochiye

  130. Woh jaan hi gaye ke haame unse pyaar hai
  131. Aankkhon ki maqbari ka maaza hum se poochiye

  132. Jalte diyo mein jalte gharoo jaisi zooh kaha
  133. Sarkari roshini ka maaza hum se poochiye

  134. Hum to toba karke mar gaye qabal ajal khumaar
  135. Touheen meh kaashi ka maaza hum se poochiye

  136. **************************************
  137. Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
  138. Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .
  139. Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
  140. Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota…

  141. Wo mere liye kuch khaas hai yaaro’
  142. Jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro’
  143. Wo najro se door hai to kya huwa..
  144. Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro’

  145. Nigaho me or koi dosti ke kabil na raha,
  146. Is kinare ka or koi sahil na raha.
  147. Chand jaisa dost mila hume zamin par,
  148. Aasma ka chand bhi ab deedar k kabil nahi raha.

  149. Dhala din..
  150. Fir wahi shaam hogi..
  151. Askh honge, yaadein hongi,
  152. Zindgi…,Fir gum k pyalo k naam hongi.
  153. Hasrato ki mehfil….
  154. Uhi viraan hongi.
  155. **************************************

  156. Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
  157. Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

  158. Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
  159. Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?

  160. Zakham iskadar mohabbat ne diye
  161. Hum ne in zakhmo ko phool samjha

  162. Mohabbat ki chik o pukaar iskadar thi
  163. Ke ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne

  164. Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
  165. Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne

  166. Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
  167. Ke apno ko begana samjha hum ne

  168. Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
  169. Ke on ko bhulane ki khoshish main
  170. Khod ko bhula diya hum ne..


  171. Aaj teri yaad ko seene se laga kar roye.
  172. Apne khwabon mein tujhe paas bulake roye..
  173. Hazaron baar pukara tujhe tanhaiyon mein.
  174. Aur har baar tujhe paas na paa kar roye….

  175. **************************************
  176. Deta Raha Fareb Koi Sadgi K Sath,
  177. Itna Bada Mazak Meri Zindgi K Sath,
  178. Shayad Mili Saza Is Jurm Ki Mujhe,
  179. Tha Mujhe Pyar Ek Ajnabi K Sath.
  180. *************************************

  1. Kaash hum tum ajnabi hote,
  2. Jis tarhan log hua karte hein…
  3. Be taAlluq sey, be taArruff sey.
  4. Kaash hum tum ajnabi hote!

  5. Be qaraari na be kali hoti,
  6. Na mukammal, na Zindagi hoti…
  7. Yun na hoti azyatein Dil mein.
  8. Zindagi bhi na hoti mushkil mein!

  9. Aansu’on se na dosti karte,
  10. Apne Dil se na dushmani karte…
  11. Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,

  12. Kaash hum tum ajnabi hote…!!!


    1. *************************************
  13. Dil uspe fidaa ho Gaya hai,
  14. usmein kuch to alag si baat haiWo sabse judaa hai duniya mein,
  15. Usmein kuch to alag si baat hai.

  16. Chanchal mukhda bholi adaayein,
  17. Aur hothon par gulaab hain
  18. Reshmi zulfein pyaari baatein,
  19. Aur aankhon mein shraab hai.

  20. Wo meri dhadkan mein rahti hai,
  21. Usmein kuch to alag si baat hai.Hirni si chaal gorein hain gaal,
  22. Baton mein uski jaadu bhara hai

  23. Dil hai beqaabu uska hai jaadu,
  24. Jeene ka mere WO hi aasra hai.Har dil ki tamanna hai WO hasi,
  25. Usmein kuch to alag si baat hai.

  26. Wo hanse to phool khile,
  27. Bole to ras ki fuhaar udeyMeri zindgi hai WO uski saanso se
  28. Meri saanso ke taar judey

  29. Uska naam lekar dil dhadkta hai
  30. usmein kuch to alag si baat hai.


    1. *************************************
  31. Yahoo Ki Wo Mulakatein
  32. Wo Pyar Bhari Batein
  33. Wo Loging Hony Ka Intzaar
  34. Wo Intzaar Ki Saaetein
  35. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  36. Wo Farzi Naam Ka Btana
  37. Haha Likh Ker Jhoota Qehqaha Lagana
  38. Wo Asl Poochny Par
  39. Apni Umar Ko Aor Kam Btana
  40. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  41. Wo Pyar Bhari Tehreerien
  42. Wo Yahoo Ki Emotion Tasweerein
  43. Wo Nick Mein Haal-E-Dil Likhna
  44. Wo Net Ko Fast Karny Ki Tadbeerien
  45. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  46. Wo Typing Se Unglion Mein Dard Hona
  47. Kisi Baat Per Gusay Se Chehry Ka Zard Hona

  48. Lafz Sorry Ka Screen Par Atay Hi
  49. Lehjay Ka Phir Se Sard Hona
  50. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  51. Wo Jaagna Roz Raton Mein
  52. Wo Chalakna Pyar Baton Mein
  53. Wo Type Karty Karty
  54. Lena Mouse Hathon Mein
  55. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  56. Wo Yahoo Pe Doosron Ko Ignore Karna
  57. Har Jumley Par Bohat Ghor Karna

  58. Wo Dil Per Hath Rakh Kar Bye Kehna
  59. Aor Zara Der Aor Rukny Per Zor Karna
  60. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  61. Tumhary Login Hotay Hi
  62. Dostoon Ka Wo Jhumgutha Lag Jana
  63. Tum Se Bat Karny Ki Khatir
  64. Sir Dard Ka Wo Jhoota Bahana
  65. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  66. Bewaja Ki Batoon Per Takraar Karna
  67. Baar Baar Net Meeting Per Israar Karna
  68. Wo Roman Urdu Mein Ki Gayi Batein
  69. Pyar Ka Dabay Lafzon Mein Izhar Karna
  70. Kaho Kya Bhool Jao Ge?
  71. Wo Doston Se Tumhara Id Chupana
  72. Kabhi Font Badalna Kabhi Gungunanaa
  73. Der Se Jawab Anay Per
  74. Busy Hony Ka Ilzam Lagana
  75. Per Lagta Hai Tum Bhool Gaye��
  76. Yahoo K Aanchal Per Likhi Hoyi Kahani
  77. Per Mujh Ko Yad Hai Har Ik Lafz Zubani
  78. Khudara Na Tum Aisa Sitam Karo


  79. Yaki Nahi Tujhe Agar, To Aajmaa Ke Dekh Le,
  80. Ek Baar Tu, Jara, Muskarake Dekh Le|
  81. Jo Na Socha Hoga Tune, Wo Milega Tujhko Bhi,
  82. Ek Baar Apne Kadam, Ko Badha Ke Dekh Le

  83.  

    1. *************************************
  84. Har aah tabasum ban jaye
  85. har ashq sitara ho jaye
  86. duniya hi badal jaye apni
  87. tera ek ishara ho jaye

  88. mana ki muhabat ki rahon mein
  89. har kadam pe sau-sau khatre hain
  90. lekin ye sab kuch tal jaye
  91. agar sath tumhara ho jaye

  92. ankhein ro ro kar kehti hain
  93. daman ko bhigokar kehti hain
  94. marne se pehle ek baar
  95. deedar tumhara ho jaye

  96.  

    1. *************************************
  97. Sunoo…
  98. Hum toot jain gay…
  99. k dori seh na pain gay
  100. JUDAI MAR DALAY GI

  101. Sunoo….
  102. Ya ankhain bojhal hain
  103. Inhain kis tarha behlain

  104. Sunoo….
  105. Hum so na pain gay
  106. Kabhi khush ho na pain gay
  107. JUDAI MAR DALAY GI

  108. Sunoo….
  109. Ya DIL tumhara hay
  110. Na tum bin ab guzara hay

  111. Sunoo….
  112. Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
  113. Hamain maloom hay akhir
  114. JUDAI MAR DALAY GI

  115. Suntay ho na?
  116. Samujhtay ho na?
  117. JUDAI MAR DALAY GI

  118.  

    1. *************************************
  119. Unko humse muhabbat hone to do,
  120. Phoolon ko tohfa hum denge.
  121. Khwaab aankhoo ko koi sanjone to do,
  122. Phoolo ko tohfa hum denge

  123. Hai dil main tamanna ye baki abhi,
  124. Ke humpe kabhi wo karange karam.
  125. In saanso pe hai bas ikhtiyaar unka
  126. Bas uski hi khatir hum lete hain dum.

  127. Unki nazare inayat hone to do,
  128. Phoolo ko tohfa hum denge.
  129. Naaz hai humko mahboob pe apne,
  130. Koi bhi janha mai us jaisa nahi hai.

  131. Hotho se pila kar jo madhosh kar de,
  132. Aankhon mein uski wo maykashi hai.
  133. Jawan mohabbat ka daraft hone to do,
  134. Phoolo ko tohfa hum denge.

  135. Khuda ka hua humpe karam dosto,
  136. Aisa dilnashi jo haasil hua.
  137. Khuda ne banaya usko mere liye,
  138. Wo to bandgi ke kaabil hua.

  139. Buland apni kismet hone to do,
  140. Phoolo ko tohfa hum denge.

  141.  

    1. *************************************
  142. Yaadon Mein Har Pal Rahti Ho Tum,
  143. Kabhi Na Dil Mein Khayaal Ho Tera Kam,
  144. Tamanna Hai Yeh Dilki Mere,
  145. Ki Tujhe Kabhi Chaahun Na Kam,
  146. Bayaan Karun Jau Hai Dil Mein Mere,
  147. Kahe Na Chaahen Hum,
  148. Kahe Na Chaaho Tum,
  149. Par Bayaan Karen Tau Hum Kaise Karen,
  150. Dilse Hothon Tak Aaye Par,
  151. Kahe Na Paayen Hum,Kahe Na Pao Tum.

  152. Dil Lagta Nahi Hai ab Tumhare Bina
  153. Khamosh Se Rehne Lage Hein Tumhare Bina
  154. Jaldi Laut Aao Ab Yahi Chaah Hai
  155. Warna Ji Na Payenge Tumhare Bina…!!!

  156.  

    1. *************************************
  157. ye bat such hai ke khuda ne insan banaya,
  158. par ye insan uski ehmiyat samaj nahi paya,
  159. banke hewan usne ek dusro ko jinda jalaya,
  160. khud sab dekh hasta raha aur khuda ko rulaya.

  161. Mai janta hun ke ye khwab jhute hain,
  162. Aur ye khushiya adhuri hain;
  163. Magar jinda rehne ke liye mere dost,
  164. Kuchh galatfaimiyan jaruri hain!!

  165. Sirf Chahne Se Kuch Hota Nahin Haasil,
  166. Qayamat to Andaaz-e-Bayan Mein Hoti Hai
  167. Ishq Mein Jab Waar Karti Hain Aankhein,
  168. Tab Talwarein Bhi Aksar Mayan Mein Hoti Hai….!!

  169.  

    1. *************************************
  170. Is Zamane Say Na Hum Koi Gila Rakhange
  171. Dil Lagayein Gain To Na
  172. Shart-E-Wafa Rakhange

  173. Na Dikhayange Kabhi Dil Pe Lage Zakhm
  174. Unhe
  175. Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhange

  176. Jaan De
  177. Daingay Agar Aik Ishaara Kar De
  178. Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhange

  179. Sab Hata Dainge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
  180. Ghar Ke
  181. Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhainge

  182. Unki Har Baat Ko Bhoolay Say
  183. Na Bhoolainge Kabhi
  184. Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhainge

  185. Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
  186. Ek Diya Phir Bhi
  187. Hawaaon Main Jala Rakhainge

  188. cheers…….!

  189. Kranti Bhardwaj
  190. HItech Broadband Services Pvt.Ltd.
  191. 919418105057,919816035692

  192.  

    1. *************************************
  193. JO ROOH LEITI HAY AKSAR WOH SISKIYAN SUNAYI NAHI DEITIEN
  194. JEEWAN MEIN HEIN KUCH AISI JO TALKHIYAN DIKHAYI NAHI DEITEIN

  195. TANHAYI K GHUP ANDHIYARON MEIN AASEAIB ZADA DIL K MAKAN MEIN
  196. KISI KI YAD SAY JO HOTI HEIN WOH ROSHNIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN

  197. IK BE NAAM SI KHALISH HO TO DARD BHI HAD SAY SIWA HOTA HAY
  198. KISI SE MILNE K BAAD JO MILEIN WOH BE CHAYINIYA DIKHAYI NAHI DEITEN

  199. BUHAT UJLE UJLE ROSHAN CHEHRON K ANDER DOOR KAHIN PAR
  200. JO CHUPPI HOTI HEIN WOH TAREEKIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN

  201. BUHAT HABAS K BAD JAB PYAR KI BARISHEIN BARASTI HEIN TO JO
  202. DIL MEIN YAK DAM WAA HOTI HUYI KHIDKIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN

  203. IK HIJR E MUSALSAL SAY JO DIL MEIN UTTAR GAYYEIN SADA K LIYE SHAZ
  204. USS KO MUJH MEIN BASSI WOHI VEERANIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN

  205.  

    1. *************************************

  206. terii taariif karate hai.n to isame.n kyaa buraii hai
  207. Khudaa ne apne haatho.n se terii suurat banaii hai

  208. hazaaro.n kii tarah sun le terii rusavaaii ke Dar se
  209. teri tasviir hamne kitaabo.n me.n chhupaaii hai

  210. terii maasuum suurat kii yahii taariif hai sun le
  211. zabaa.N pe hai yahii sab ke Khudaaii hai Khudaaii hai

  212. marz ye ishq kaa aisaa lagaa ki phir nahii.n chhuuTaa
  213. duaa bhii hamane kii “Akbar” davaa bhii aazamaaii hai


  214. terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
  215. mujh pe ehasaan havaa kartii hai

  216. shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
  217. guftaguu tujh se rahaa kartii hai

  218. dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
  219. jo mujhe tujh se judaa kartii hai

  220. zindagii merii thii lekin ab to
  221. tere kahane me.n rahaa kartii hai

  222. us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
  223. dil kaa ehavaal kahaa kartii hai

  224. beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
  225. ret par naam likhaa kartii hai

  226. shaam parte hii kisii shaKhs kii yaad
  227. koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai

  228. mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
  229. haal jo teraa ana??? kartii hai

  230. dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
  231. baat kuchh aur huaa kartii hai

  232. abr barase to inaayat us kii
  233. shaaKh to sirf duaa kartii hai

  234. masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
  235. faisalaa sirf havaa kartii hai

  236.  

    1. *************************************
  237. tere qadamon pe sar hogaa qazaa sar pe khari hogii
  238. phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii bandagii hogii

  239. nasiim-e-subah gulashan mein gulon se khelatii hogii
  240. kisii kii aakharii hichakii kisii kii dillagii hogii

  241. dikhaa duuNgaa sar-e-mahafil bataa duuNgaa sar-e-mahashar
  242. vo mere dil mein honge aur duniyaa dekhatii hogii

  243. mazaa aa jaayegaa mahashar mein phir sunane-sunaane kaa
  244. zubaaN hogii vahaaN merii kahaanii aap kii hogii

  245. tumhen daanistaa mahafil mein jo dekhaa ho to mujarim
  246. nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii

  247.  

    1. *************************************
  248. Makhi aur Machar

  249. Machar aur Makhiki ho gayi shadi.
  250. Pehli hi raat se ho gayi machar ki barbadi,
  251. kehta hai ki meri kismat hi khoti hai,
  252. makhi raat ko goodnight lagake soti hai.

  253. What a Women Want

  254. 6″-6.2″ jis ki height ho,
  255. jeans dheeli magar body tight ho.
  256. biwi ka har nakhra uthaye,
  257. itna mizaaj us ka light ho.
  258. HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO……..
  259. uff tak na kare itna quite ho,
  260. dinner banaye wo jab bhi romantic night ho.
  261. shopping ker k jab bhi aaoon,
  262. bolay,”tum kitni nice ho”.
  263. HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….
  264. hamesha jo haar maan jaye,
  265. jab bhi kabhi fight ho.
  266. saas sasur se agar karoon koi baat,
  267. bole begum tum hi bus right ho.
  268. HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….

  269. Arz Kiya Hai….
  270. Na woh inkaar karti hai
  271. Na woh inkaar karti hai
  272. KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
  273. Mere dost se pyaar karti hai.

  274. Jab Jab gire Baadal, Teri Yaad aayi
  275. Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
  276. Bheega main,lekin phir bhi teri Yaad aayi
  277. Kyon na aaye teri yaad?
  278. Tune jo chatri ab tak nahi lautai…

  279. Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
  280. Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
  281. Yahan likhna mana hai.

  282. Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
  283. Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
  284. Wo to hamare ho na sake,
  285. Hum kutton ke sardar ho gaye…
  286. Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
  287. to hum madhosh ho gaye,
  288. Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
  289. to hum behosh ho gaye…

  290. Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha, pass jake
  291. dekha to santra tha,
  292. cheel ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi
  293. santra tha.
  294. Wah kya santra tha

  295. Macchar ne jo kata… dil main mere junoon tha.
  296. Khujli hui itni… dil be sukoon tha.
  297. Pakada to chod diya yeh soch kar ki….
  298. sale ki ragon main apna hi khoon tha!

  299. Khuda kare tera mobile kho jaye.
  300. Mile mujhe aur mera ho jaye.
  301. Karu SMS ladkion ko naam tera aae.
  302. Maar tujhe pade
  303. Aur kalejamera thanda ho jae.

  304. Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai.
  305. Aye Jalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?

  306. unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
  307. unkigali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
  308. unhoon ne phool phainka par gamla bhi saath tha !

  309.  

    1. *************************************
  310. Kanjoos Aashiq
  311. ============ ==
  312. Kar diya izhare-ishq hamne mobile par,
  313. laakh rupaye ki bat thi,
  314. do rupaye main ho gayee (wah wah……… )

  315. Innocent Aashiq
  316. ============ ====
  317. Maine tujhe dekha
  318. Dekhta raha,
  319. Dekhta hi gaya……..
  320. Phir mujhe chashma lag gaya

  321. Careful Aashiq
  322. ============ ==
  323. Aur bhi cheezain bahut see lut chuki hain dil ke saath
  324. Ye bataya dooston ne ishq furmane ke baad;
  325. Is liye kamre ki ek ek cheez “check” karta hoon main
  326. “Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad”

  327. Married
  328. =======
  329. Taj Mahal kya cheez hai
  330. main to usse bhi bada mahal banaoonga,
  331. aree Mumtaz to marke dafan hui thi,
  332. main to tujhe zinda hi dafnaonga.

  333. Truthful Aashiq
  334. ============ ===
  335. Kaash Tere Chehre Pe
  336. Chechak Ke Daag Hote
  337. Chand To Tum Ho Hi
  338. Sitare Bhi Saath Hote

  339. Still to be a Aashiq
  340. ============ ========
  341. Khidki khuli zulfein bikhri
  342. Dilne kaha dildar nikla
  343. Par hai re meri footi kismat
  344. Nahaya hua santa nikla


    1. *************************************
  345. I hate when I’m ignoring someone but they don’t text me or anything so they don’t even know that I’m ignoring them…

  346. Aapke haath me mobile hai..
  347. Chehere pe khubh smile hai…
  348. SMS ki achchi khasi File hai…
  349. Phir bhi SMS nahi karte…
  350. yaar, yeh kaun sa stupid style hai??

  351. Ansoo tere nikale to aankhein meri ho,
  352. Dil tera dhadke to dhadkan meri ho,
  353. Khuda kare ki apni dosti itni gehari ho,
  354. Baap tu bane aur Mehanat meri ho


  355. Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hun
  356. Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun

  357. Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai
  358. Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun

  359. Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta
  360. Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hun

  361. Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba
  362. Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun

  363. Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko
  364. Mein kar k Mohabat ko Bhulana Bhul jata hun.

  365.  

    1. *************************************
  366. Jaane
  367. kyun……
  368. Dil main rehati hai tu….
  369. Teri woh
  370. yaadein……….
  371. Bhoolaa nahi paatein…

  372. Woh beete pal….
  373. Na
  374. jaane phir se kyun…..
  375. Humein tadpaaye……
  376. Chen loot
  377. jaayeee…..

  378.  
  379. *************************************
  380. Yaad toh har koi karega jaane ke baad,
  381. Sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad,
  382. Kaun kitni mohabbat karta hai,
  383. Nazar aajayega mar jaane ke baad,

  384.  
  385. *************************************
  386.  
  387. Tumahari Jay ho

  388. Desh liya sab loot tumhari jay ho
  389. Khulkar le rahe khoos tumhari jay ho
  390. Chunaw jeet kar no do gyara fir na loto kabhi dubara
  391. Sansad me tum khursi todo khate ho pashuo ka chara

  392. Bin khurshimskil hai jeena
  393. Chipake ho majboot tumhari jay ho
  394. Desh liya sab loot tumhari jay ho
  395. Panch sitara hotal me wiskirum kee botal me
  396. Inkee ye jan sewa dekho janta pisti phokat me

  397. Satta ka sihasan pane
  398. Ghar me karwate phot tumhari jay ho
  399. Dish liya sab loot tumhari jay ho
  400. Inki bhes inhi ka danda cool cool or thanda thanda
  401. Inke bhashn jahar bujhe hai jane kab ho jaye danga

  402. Sang chale chamche or gurge
  403. Nanga chalejuloos tumhari jay ho
  404. Dish liya sab loot tumhari jay ho
  405. Bech rahe ye roj iman fir bhi bhart desh mahan
  406. Pathr par hai nam khudate khadi wale ye bhagwan

  407. Sanwidhan kee udi dhajjiya
  408. Bane afla toon tumhari jay ho
  409. Desh liya sab loot tumhari jay ho
  410. Kaha garibi kee rekha hai jakar pass nahi dekha hai
  411. Parja tantr me janta ko bas dudh ki makhi sa feka hai

  412. Tel nahi apni chmini me
  413. Inke ghar fanush tumhari jay ho
  414. Desh liya sab loot umhari jay ho

  415.  
  416. *************************************
  417. Us ka milna bhi kuch aise hay
  418. K jaise lehrain
  419. Mil k aik pal ko
  420. Kanaron se gale
  421. Aur bichar jati hain

  422. pyaas sahil ki magar phir bhi
  423. Naheen bujh pati
  424. Jaise shab
  425. Din k ujale main simat ati hay
  426. Aur din raat ki zulmat mita deta hay
  427. Mera tuj se
  428. Jo taluk hay
  429. Inhi jaisa hay


No comments :

Post a Comment