JD Ghai ShayariHindi Now2017

⬈⬈Ajeeb Yeh Aashiqui Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai ⬉⬉Aur Kabhi Sannata Satata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ajeeb Yeh Aashiqui Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai;
Aur Kabhi Sannata Satata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
Husn Ne Yehi Silsila Hamari Zindagi Mein Dohra Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Zindagi Ke Dard Kam Karne Ke Liye Shayari Karte Hein;
⬈⬈Lekin Yeh Mohabbat Ke Zakhm Nasoor Ban'ne Par Mada Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Jaane Do Abb Iss Gusse Ko;
Ishq Ko Toh Bhi Nibhaana Hai.
Gussa Hai Aggar Aashiq Pe;
Toh Kabr Mein Kyun Isse Lajaana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai;
Arzoo Kisiki Aur ⬊⬊Bandgi Kisiki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Tere Ishq ki Chahat Mein Hum Reh Reh Kar Reh Gaye;
Teri Waafa Ki Justju Mein Beh Beh Kar Beh Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe;
Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Woh Aate Hain Khwabo'n Mein Yunhi Bin Bulaye;
Aisa Hi Kuchh Shikwa Hamare Dil Ko Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬉⬉Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
Husn Ne Yehi Silsila Hamaari Zindgi Mein Duhra Diya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aggar Jawaani Mein Khuda Na Pa Saako;
Tu Chahat Moola Ki Kabhi Kum Nahi Hoti.
Toh Ishq Mein Ho Kar Ek Baar Be-Murawat;
Insaan Ishq Ki Bandagi Kyun Bhool Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hamaari Shayari Dilaati Hai Aashiq Ki Yaad;
Yeh Duhaarti Bhi Hai Hamaare Ishq Ki Fariyaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Khawabon ki Tabeer Mein Zindgi Uljhaa Li Itni;
Ke Haqeeqat Mein Rehna Ka Saleeka Hi Hum Bhool Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Didar Ki Talab Rakhta Tha;
Tujhse Pyaar ki Chahaht Rakhta Tha;
Tujhse Izhaar Ki Bhi Sada Rakhta Tha;
Rakh Na Paya To Sirf Izhaar-e-Junoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Dil Main Uthe Armaan Ke Toh Kya Kahne;
Hum Toh Apni Shayari Bhi Unse Chhupate Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khushi Ke Motiyon Mein Labh Woh Dabaate Rahe;
Aankhon Ko Kabhi Jhukaate Aur Kabhi Milate Rahe;
Labh Pe Na Woh Laaye Kabhi Ikraar Aur Na Inkaar Hi Kiya;
Tamam Umar Ishq ki Justju Main, Apni Aarzoo ko Rulaate Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Na Ishq Ki Tamanna Thi Na Madhoshi Ki Bekraari Thi;
Yeh Tere Husn Ka Jalwa Hai, Jo Hum Diwane Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
⬋⬋Husn Bhi Tha, Kashish Bhi Thi;
Andaaz Bhi Tha, Naqab Bhi Tha;
Heya Bhi Thi, Pyaar Bhi Tha;
Aggar Kuchh Na Tha To Bass Ikrar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉⬉Aankon Mein Ishq, Labh Pe Khamoshi;
Aandaz Mein Ikraar, Jism Mein Inkaar;
Kahan Jayein Mohabaat Karne Wale;
Ek Taraf Jannat, ⬉⬉Doosri Taraf Jahannum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Khyayyal Mein Woh, Besurti Mein Woh;
Aankkon Mein Woh, Aksh Mein Woh;
Khushi Mein Woh, Dard Mein Woh;
Aab Mein Woh, Sharab Mein Woh;
Labh Mein Woh, Behisaab Mein Woh;
Mere Abb Ho Lo, Ya Jaan Meri Lo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Na Ishq Ka Izhaar Kiya, Na Thukra Sakke Humein Woh;
Hum Tamam Zindgi Mazloom Rahe, Unke Wada Mohabaat Ke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Ishq Ki Bandagi Di Hai To Husn Ki Ibadat Jaroori Hai;
Ishq Se Jeene Ki Ass Rahegi Aur Husn Se Tarap Ki Justju!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humne Wajood Apna Kho Liya;
Unka Wajood Apne Saath Jodte Jodte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Teri Subah Ki Angraian, Jaaga Deti Hain Laakhon Armaan;
Hote Hain Hum Neend Mein, Lekin Bandhan Ki Umeed Rakhte Hein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tere Pankhuriyon Jaise Hothon Ki Nami Ko Chura Loon;
Teri Zulfon Ki Shaam Mein Khudd Ko Chhipa Loon;
Tere Badan Ki Khushboo Mein Bass Ab Naha Loon;
Aggar Phir Bhi Chain Na Aaye, Toh Phir Se Yeh Sab Duhra Loon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬊⬊⬊Kaale Badal Jaise Gori Ka Ghunghat;
Ek Chhupaye Barkha Aur Doosra Dulhan;
Na Barsein Badal Na Uthe Ghunghat;
Hum Pyaase Idhar ⬊⬊Bhi Aur Udhar Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~    
Saari Zindgaani Humne Bita Di;
Unka Ikraar-e-Ishq Itna Mushkil To Na Tha;
Hum Ikraar Karte Rahe, Wo Inkaar Karte Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humne Wajood Apna ⧭⧭Kho Liya;
Unka Wajood Apne Saath Jodte-Jodte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Hum Chahat Ke Afsaane Likhte Rahe:
Woh Bhi Humein Durr Se Takte Rahe;
Jab Humne Izhar Karne Ko Haath Thama;
To Mehndi Se Ranga Unka Haath Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Humne To Kho Di Thi Saab Chahat Ki Aas;
Unhone Pyaar-e-Izhrar Karke, Hum Mein Jinne Ki Arzoo Bhar Di!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

Kabhi Honthon Se Angaare Barsate Rahe;
Kabki Labh Pe Labh Rakhte Gaye;
Iss Hi Tarahein Humne Zindgaani Bita Di;
Kabhi Takraar aur Kabhi Ikraar Karte Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaj Muddat Baad Unhone Mohabbat Ka Izhaar Kiya;
Aur Humne Unmein Raab Ka Deedar Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Kaash Woh Ayein Pyaar Ka Izhaar Karne, Meri Kabr Par - Ik Din;
Phir Mein Bhi Ik Aur Zindagi Ki Duwa Maangu, Unpe Nijhawar Karne Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭⧭Hum Aashiq Paane Ko Ishq Samajhte Rahe;
Jo Pa Liya, Woh Ishq Nahi, Woh Ishq-e-Hararat Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ek Baar Apne Andaaze Mohabbat Ka Ikraar Kar Lete;
Hum Apni Zindgai To Kya, Apni Rooh Bhi Unke Naam Kar Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Tu Mere ⬊⬊Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi;
Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭Ajeeb Yeh Aashique Hai;
Kabhi Shor Tang Karta Hai;
Aur Kabhi Sanata ⬉⬊Satata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Y⬉eh Dastoor-e-Zindaagi To Dekho;
Ishq-E-Bukhar Hum Ko Tha;
Lekin Hakim-E-Dawa Kissi Aur Ke Naseeb Mein Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⧭Kashmakash Mein Kat Gayi Saari Zindgaani;
⧭Tanhayi Ne Jeene N⬉a Diya Aur Justaju Ne Marne!

No comments :

Post a Comment