#Sham ho jam ho subu bhi ho
tujh ko pane ke justaju bhi ho
#dil se dil ke kahaniyan bhi sune
aankhon aankhon mein guftagu bhi ho
jhil si gahari sabz aankhon mein
dub jane ke aarzoo bhi ho
sirf tere badan ke shama jale
aur andhera-sa charsu bhi ho
-------------------------------------------
#Pukarati hai khamoshi meri fugan ke tarah
nigahen kahatai hain sab raz-e-dil zuban ke tarah
jala ke dag-e-muhabbat ne dil ko khak kiya
bahar aayi mere bag mein khizan ke tarah
talash-e-yar mein chodi na sar-zamin koi
#hamare panv mein chakkar hain aasman ke tarah
ada-e-matlab-e-dil hum se sikh jaye koi
unhen suna hi diya hal dastan ke tarah
-------------------------------------------
#Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye
Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Pal Pal Ke Liye
-------------------------------------------
Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye
Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye
-------------------------------------------
Aankh ko jam samajh baitha tha anjane mein
saqiya hosh kahan tha tere divane mein
jane kis bat ke un ko hai shikayat mujh se
naam tak jin ka nahi hai mere afasane mein
dil ke tukadon se teri yaad ke khushbu na gai
bu-e-mai baqi hai tute hue paimane mein
dil-e-barbad mein ummid ka aalam kya hai
tim-timati hui ik shamma hai virane mein
-------------------------------------------
#Wo Na Dikhe To Ye Rooh Tadpe
Uske Deedar Ko Meri Ye Aankhein Tarse
Dil Roya Ye Fariyaad Karke,
Rab Salamat Rakhna Usko Jiski Yaad Mein Ye Dil Dhadke#
-------------------------------------------
#Mayekhane Me Jam Tut Jata Hai
Ishq Me Dil Tut Jata Hai
Na Jane Kya Rishta Hai Dono Me
Jaam Tute To Ishq Yaad Aata Hai
Dil Tute To Jaam Yaad Aata Hai
-------------------------------------------
#Kabhi Hmare Dil Ki Dhadkan Sunkar To Dekho3
Sirf Hme Yad Rakh K Duniya Ko Bhula K Dekho3
Dost Kehkar Bahot Khel Chuke Apne Dil S#
Kabhi Khudko Bhulakar Hme Apna Banakar To Dekho3
-------------------------------------------
#Chandani ko rusul kehta hun
bat ko bausul kehta hun
jagamagate hue sitaron ko
#tere pairon ke dhul kehta hun
jo chaman ke hayat ko das le
#us kali ko babul kehta hun
ittefaqan tumhare milane ko
#zindagi ka husul kehta hun
aap ke sanvali si surat ko
zauq-e-yazdan ke bhool kehta hun
jab mayassar ho sagar-o-mina
barqparon ko phul kehta hun
-------------------------------------------
#Hamar Dil Ko Dil Se Churaya Aap Nay,
Door Hotay Howay Bhi Apna Banaya Aap Nay,
Kabhi Bhi Na Bhool Pain Gay Aap Ko,
Kiyon K Yaad Rakhna Bhi Sikhaya Aap Nay!
-------------------------------------------
Dost Se Dost Kabi Khafa Nhi Hote,
Dil Milkar Kabi Juda Nhi Hote,
Bhula Dena Hmari Khamiyon Ko..
Kyon Ki Insaan Kabi Khuda Nahi Hote.
-------------------------------------------
#Dil Ki Aisee Dhadkan Hoon
Jise Dil Ne Kabhi Apna Na Samjha
Khushnaseeb, Is Sharabi Ko Sirf
Sharab Ne Apna Samjha
-------------------------------------------
#Aankho Mein Raha Dil Mein Utarkar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
-------------------------------------------
#Bewaqt Agar Jayunga, Sab Chounk Padenge
Ik Umar Huyi Din Mein Kabhi Ghar Nahi Dekha
-------------------------------------------
#Jis Din Se Chla Hoon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankho Ne Kabhi Meel Ka Pathar Nahi Dekha
3Ye Phool Mujhe Koi Virasat Mein Mile Hain
Tumne Mera Kaanto Bhra Bistar Nahi Dekha
-------------------------------------------
#Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Main Mom Hoon Usne Mujhe Chookar Nahi Dekha
-------------------------------------------
#Mere Dil Ke Tukdo Se Aawaaz Nikalti Hai
Har Pal Dil Ke Zanaaze Ki Baraat Nikalti Hai
Us Beraham Ko Jra Bhi Raham Nhi Aata
Aur Kumar Teri Haalat Pe To Pattharo Se Bhi Dhaar Nikalti Hai.
-------------------------------------------
Koi Dard Hi Na Ho Mujhe Aisa Bana Do
Mujhe Apne Jaisa Bana Do
Mayoos Hota Hoon Jab Wo Todta Hai Mera Dil
Ek Patthar Ka Dil Mere Bhi Seene Mein Laga Do.
-------------------------------------------
Na Kar Inkaar A Zalim Mere Pass Ane Se
Khuda Bhi Roth Jata Hay Kisi Ka Dil Dukhane Se
-------------------------------------------
Nazar Chahti Hai Didaar Karna,
Dil Chahta Hai Pyaar Karna,
Kya Batayein Is Dil Ka Aalam,
Naseeb Mein Likha Hai Intezar Karna.
-------------------------------------------
Wo Mere Liye Kuch Khaas Hai Yaaro,
Jinke Laut Aane Ki Na Koi Aas Hai Yaaro.
Wo Nazron Se Door Hai To Kya Huwa,
Banke Dil Ki Dhadkan Mere Paas To Hai Yaaron…
-------------------------------------------
#Kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun
wo bhi kya din the ke har vaham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun
dil jo tuta to kai hath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samajhun
zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samajhun
-------------------------------------------
#Mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahi hun main
insan hun dhadakate huye dil pe hath rakh
yun dubakar na dekh samundar nahi hun main
chehare pe mal raha hun siyahi nasib ke
#aaina hath mein hai sikander nahi hun main
galib teri zamin mein likkhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahi hun main
-------------------------------------------
Aa’eeneh Ki Manind Saaf Hai
#Dil Ke Jo Jazbaat Hain
Alfaazon Mein Nahi Hote Byan
Rooh Se Nikle Jo Ahsaas Hain
Shab Aankhon Mein Guzri
Sahar Ke Phir Wahi Mizaaj Hain
Uski Pahli Nazar Ka Asar
Waqt Ka Wo Manzar Kuch Khas Hai
Khyalon Se Abhi Abhi Guzri Hai Wo
Mahak Uski Sanson Ki Aas Paas Hai…
-------------------------------------------
Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Liya
Dil Bohat Kuch Jala Ke Dekh Liya
Aur Kya Dekhne Ko Baaki Hai
#Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
-------------------------------------------
Haqeeqat Karo Byaan To Mazaak Lagta Hai,
Ibadat Karo Jab To Jhootha Khwab Lagta Hai,
Are Ye Dil Hai Dil, Aur Dil Ki Hai Ye Sdaa,
Aur Tum Kehte Ho Ki Tumhe Ye Haseen Ittfak Lagta Hai
#
-------------------------------------------
Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye
#Saans Bhi Lo To Khushboo Usi Ki Aaye
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chhaaye
Baat Koi Bhi Ho Par Naam Usi Ka Aaye
-------------------------------------------
Kuch Nahi Baaki Bacha Hai Tere Jaane Ke Baad,
Tadap Uth-ta Hai Mera Dil Aaye Jo Teri Yaad,
Mayoos Ho Gya Hun Mei Apni Sooni Zindagi Se,
Koi To Ho Jo Samjhe Mere Dil Ke Yeh Jajbaat..
-------------------------------------------
Subah-dam yun hi fasurda ho gaya
ae dil-e-nazuk tujhe kya ho gaya
sina-e-baranat se shola sa utha
gam-zadon ke dil ka nagma ho gaya
s#hukriya ae gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahafil mein tanha ho gaya
raat dil ko tha sahar ka intazar
ab ye gham hai kyon savera ho gaya
bujh gai kuch is tarah shama-e-”salam”
jaise ik bimar acha ho gaya
-------------------------------------------
Har Roz Mai Kagazo Ko Kala Karta Hun
Dil Ke Jazbato Ko Lafzo Me Nikala Karta Hun
Yu To Andhera Hi Hai Rehta Dil Ke Biyabaan Me
Teri Yado Ke Charago Se Har Shaam Ujala Karta Hun
-------------------------------------------
Kash Tum Mujhe Ek Khat Likh Dete
#Mujh Me Kya Kami Thi Ye Bata Dete
Tadpate Dil Se Mere Tumne Nafrat Kyu Ki
Nafrat Ki Mujhe Wajah To Bata Dete.
-------------------------------------------
Tuje Hatho Ki Mehdi N Pukara
Tuje Pairo Ki Payal Ne Pukara
To Phir B Na Aya K
#Tuje Tere Dil N Pukara
-------------------------------------------
Apni KHAMOSH Zindagi Main Bolana Mujhko
Apni HASEEN Khuwab Ki TASVEER Banana Mujhko
#Main Jo POCHON Tumhara HAAL-E-DIL
To Apni Har DHARKAN Ki AWAZ Sunana Mujhko
-------------------------------------------
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se
goya tumhari yaad hi mera ilaj hai
hota hai paharon zikr tumhara tabib se
barabad-e-dil ka aakhiri saramaya thi umeed
wo bhi to tum ne chin liya mujh garib se
dhundhala chali nigah dam-e-vapasi hai ab
aa pas aa ke dekh lun tujh ko qarib se
-------------------------------------------
Kha kar zakhm dua di hum ne
bas yun umr bita di hum ne
raat kuch aise dil dukhata tha
jaise aas bujha di hum ne
sannate ke shahar mein tujh ko
be-avaz sada di hum ne
dekh ke jis ko dil dukhata tha
wo tasvir jala di hum ne
aa “shehzad” tujhe samajhayen
kyunkar umr ganva di hum ne
-------------------------------------------
Main Woh Badnaseeb Ladki Hoon,
Jis Ko Pehli Raat,
Koi Ghoongat Utha Kar Yeh Keh De….
Mera Sab Kuch Tera Hai,
#Dil K Siwa….!!
-------------------------------------------
Hum Dil Main Kuch Arman Liya Karte Hain,
Sub Ki Nende Chura Liya Karte Hain,
Jab Jab B Japkein Ge Aap Ki Palkein,
To Samaj Lena Hardial Gi Aap Ko Yaad Kiya Karte Hain.
-------------------------------------------
Na muhabbat na dosti ke liye
waqt rukata nahi kisi ke liye
dil ko apne saza na de yun hi
is zamane ke berukhi ke liye
kal javani ka hashr kya hoga
soch le aj do ghadi ke liye
har koi pyar dhundhata hai yahan
apni tanha si zindagi ke liye
waqt ke sath sath chalata rahe
yahi behatar hai aadmi ke liye
-------------------------------------------
Zahan pe chai hui gham ke ghata ho jaise
dard mein dubi hui sari fiza ho jaise
ab dil-e-zar kisi taur bahalata hi nahi
is ka paiman-e-vafa toot gaya ho jaise
pursish-e-gam ke bhi rasm utha di us ne
#hal-e-dil sun ke wo sharminda hua ho jaise
ab to har sans ke aamad pe guman hota hai
zindagi ek fasurda sa diya ho jaise
-------------------------------------------
Wo Jo Zindagi K Sath Hotey Hen
Wo Jo Chahaton K Talabgar Hotey Hen
#Khuda Karey Wo Hamesha Khush Rahen
Jo Sada Dil K Pass Hotey Hen…!!!
-------------------------------------------
Logon Ne Apna Hunar Dikhaya B Bohat Hay
Ja Ja K Usay Manaya Bhi Bohat Hay
Such Pocho To Dil Ko Acha Bohat Lagta Hay
Wo Shaks Js Ne Dil Dukhaya B Bohat Hay
-------------------------------------------
Kon kehta hai tujhe main ne bhula rakha hai
teri yadon ko kaleje se laga rakha hai
lab pe aahen bhi nahi aankh mein aansu bhi nahi
dil ne har raz muhabbat ka chupa rakha hai
tune jo dil ke andhere mein jalaya tha kabhi
wo diya aj bhi sine mein jala rakha hai
dekh ja aake mahakate huye zakhmon ke bahar
main ne ab tak tere gulashan ko saja rakha hai
-------------------------------------------
Tu mujhe itane pyar se mat dekh
teri palkon ne narm saye mein
#dhup bhi chandani si lagti hai
aur mujhe kitni dur jana hai
ret hai garm, panv ke chale
yun damakate hain jaise angare
pyar ke ye nazar rahe, na rahe
kon dasht-e-vafa mein jata hai
tere dil ko khabar rahe na rahe
tu mujhe itane pyar se mat dekh
-------------------------------------------
Apne Siwa Batao Tumhein...
Apne Siwa Batao Tumhein Kuch Mila Hai FARAZ ..
Hazar Bar Leen Hain Tumne Mere Dil Ki Talashiyaan
-------------------------------------------
Shaikh jee thodi si pikar aaiye
may hai kya shay phir hamen batalaiye
aap kyon hain sari duniya se khafa
#aap bhi dushman mere ban jaiye
kya hai acha kya bura banda-navaz
aap samajhen to hamen samajhaiye
jane dije aql ke baten janab
dil ke suniye aur pite jaiye
-------------------------------------------
Ye Dil U Unke Khayal Me Ghabrane Se Kya Hoga
Woh To Aate Nahi Unka Khayal Aane Se Kya Hoga
-------------------------------------------
Har Baar Dil Se Yeh Paigham Aaye,
Zubaan Kholon To Tera He Naam Aaye,
Tum He Kion Bhaye Dil Ko Kya Maloom,
Jab Nazroo K Saamne Haseen Tamam Aaye.
-------------------------------------------
Leke mazi ko jo hal aaya to dil kanp gaya
jab kabhi unaka khayal aaya to dil kanp gaya
a#isa toda tha muhabbat mein kisi ne dil ko
jab kisi shishe mein bal aaya to dil kanp gaya
sar balandi pe to magarur the hum bhi lekin
chadhate suraj pe zaval aaya to dil kanp gaya
badnazar uthane hi vali thi kisi ke janib
apne beti ka khayal aaya to dil kanp gaya
-------------------------------------------
Yeh Milna Aur Bicharr Jaana
Kab Apne Bas Ki Baat Hai
Kismat Hi Milati Hai Hum Ko
Kismat Hi Juddai Deti Hai
#Har Baar Yeh Hi Hota Hai
Koi Hume Bataye To Sahi
Jo Tum Se Nahi Keh Paate Hai
Dharkan Se Sunayi Deti Hai
-------------------------------------------
Dil Ke Riste Bhi Ajib Hote Hai
#Dur Hoke Bhi Krib Hote Hai
Jo Log Apko Roj Dekhte Hone
O Log Kittne Khusnasib Hote Hai
-------------------------------------------
Kaanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi Kisi Ko
Rooth Ke Log Aksar Tod Diya Karte Hain
Jo Bahut Acha Ho Use Jayda Pyar Mat Karna
Ache Log Hi Aksar Dil Tod Diya Karte Hain
-------------------------------------------
Hamen Kash Ki Wo Naghmen Na Sunaaye Hote,
Aaj Unko Sunkar Ye Ashq Na Aaye Hote,
Jo Bhula Hi Dena Tha Hamen To
Itni Gehrai Se Dil Me Samaaye Na Hote.
-------------------------------------------
Wo na dur hai na qarib hai
ye jo hijr hai ye nasib hai
jo visal tha wo to khwab tha
ye khayal kitna ajeeb hai
#wohi aansuon mein duaon mein
wohi dukh sukh mein qarib hai
jo main sochata hun kah sakun
mera harf harf raqib hai
ye falak zamin ko samet le
mera dil bhi kitna garib hai
-------------------------------------------
Ashk aankhon mein kab nahi aata
lahu aata hai jab nahi aata
hosh jata nahi raha lekin
jab wo aata hai tab nahi aata
dil se rukhasat hui koi khvahish
#giriya kuch be sabab nahi aata
ishq ka hausla hai shart varna
bat ka kis ko dhab nahi aata
jee mein kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan ta ba-lab nahi aa
-------------------------------------------
Hame Jisne Khush Rahne Ki Aada Di Hai
Har Pal Jeene Ki Dua Di Hai
Aey Khuda Khush Rakhna Use Jisne
Apne Dil Me Thodi Si Jagah Di Hai
-------------------------------------------
Rangat Teri Zulfo Ki Ghatao Ne Churai
#Khusboo Tere Anchal Se Hawao Ne Udai
Paimane Ka Dil Na Tut Jaye To Kahu Main
Hai Cheez Gazab Ki Jo Nigaho Ne Pilai
-------------------------------------------
Har bar mangati hai naya chashm-e-yar dil
ik dil ke kis tarah se banaun hazar dil
pucha jo us ne talib-e-roz-e-jaza hai kon
nikala meri zaban se be-ikhtiyar dil
#karte ho ahad-e-vasl to itna rahe khayal
paiman se zyada hai napayadar dil
us ne kaha hai sabr padega raqib ka
le aur beqarar hua ae beqarar dil
-------------------------------------------
Mujhe Khabar Thi Woh Mera Nahin Paraya Tha
Par Dhadkanon Ne Usi Ko Khuda Banaya Tha.
-------------------------------------------
Tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti
nashe mein choor fiza is kadar nahi hoti
tumhin ko dekhane ke dil mein aarazuen hain
tamhare aage hi aur unchi nazar nahi hoti
khafa na hona agar bad ke tham lun daman
ye dil fareb khata jan kar nahi hoti
tumhare aane talak hum ko hosh rehta hai
phir usake bad hamen kuch khabar nahi hoti
-------------------------------------------
Dard E Dil Ne Dekho Kitne Gham Jhele Hain
Mere Masoom Dil Mein Zakhmo Ke Kitne Mele Hain
Mehfilon Ki Khwahish Thi Mujhe
Dekho Zindagi Mein Aaj Hum Kitne Akele Hain.
-------------------------------------------
Koi Diwana Kehta Hai, Koi Pagal Samajhta Hai,
Magar Dharti Ki Baichani Ko Bas Badal Samajhta Hai.
#Main Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai,
Yeh Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai.
-------------------------------------------
Mujhase bichad ke khush rehte ho
meri tarah tum bhi jhuthe ho
ik tahani par chand tika tha
main ye samajha tum baithe ho
ujale ujale phul khile the
#bilkul jaise tum hanste ho
mujh ko sham bata deti hai
tum kaise kapade pahane ho
tum tanaha duniya se ladoge
bachon si baten karte ho
-------------------------------------------
Hum ko kisake gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toda dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke lutane ka sabab pucho na sab ke samane
naam aayega tumhara ye kahani phir sahi
nafaraton ke tir kha kar doston ke shahar mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya batayen pyar ke bazi wafa ke rah mein
kon jeeta kon hara ye kahani phir sahi
-------------------------------------------
Totay Huay Pemane Main Jaam Nehi Aata
Mareez-e-Ishq Ko Aaram Nehi Aata
Dil Todne Wale Zalim Itna To Sooch Liya Hota
Ke Tota Hua Dil Kisi Ke Kaam Nehi Aata
-------------------------------------------
Aap aaye janab barason mein
hamane pi hai sharab barason mein
phir se dil ke kali khili apani
phir se dekha sabab barason mein
tum kahan the kahan rahe sahib
aj hoga hisab barason mein
#pahale nadan the ab huye dana
unako aaya aadab barason mein
isi ummid pe main zinda hun
kya wo denge javab barason mein
-------------------------------------------
Yakeen Na To Hume Azma Ke Dekh Lena
Is Dil Ke Tukde Karwa Ke Hajaar Dekh Lena
Har Tukde Par Aap Hi Ka Naam Hoga
Chahe Koi Bhi Tukda Utha Ke Dekh Lena.
-------------------------------------------
Sitaro Ki Mehfil Sey Churaya Hai Aapko
Dil Sey Apna Dost Banaya Hai Aap Ko
#Is Dil Ko Kabhi Tootne Na Deyna
Kiyon K,Is Dil K Koney Main Chupaya Hai Aapko
-------------------------------------------
Aaj Bhi Ek Sawaal Hai Dil Mein
Pyar Ka Gham Be-Shumaar Hai Dil Mein
#Kuch Keh Nahi Pata Yeh Dil Magar
Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Iss Dil Mein.
-------------------------------------------
Thani thi dil mein ab na milenge kisi se hum
par kya kare ke ho gaye nachar jee se hum
hum se na bolo tum ise kya kahate hain bhala
#insaf kije puchate hain aap hi se hum
kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se hum
kya dil ko le gaya koi begana aashna
q apne jee ko lagate hain kuch ajanabi se hum
-------------------------------------------
Tere aane ke jab khabar mahake
tere khushbu se sara ghar mahake
sham mahake tere tasavvur se
sham ke bad phir sahar mahake
raat bhar sochata raha tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake
yaad aaye to dil munavvar ho
did ho jaye to nazar mahake
wo ghadi do ghadi jahan baithe
wo zamin mahake wo shajar mahake
-------------------------------------------
Tum nahi gham nahi sharab nahi
aisi tanhai ka javab nahi
gahe gahe ise pada kije
dil se bahatar koi kitab nahi
#jane kis kis ke maut aai hai
aj rukh pe koi naqab nahi
wo karam ungaliyon pe ginte hain
zulm ka jinake kuch hisab nahi
-------------------------------------------
Tujhau Kaisay Kahon Mera Dil Ki Khani Meray Hamdam
#Is Main Kuch Pardanashinon Kay Bhi Nam Atay Hain
-------------------------------------------
Suraj ke har kiran teri surat pe var dun
dozakh ko chahata hun ki jannat pe var dun
#itni si hai tasalli ki hoga muqabala
dil kya hai jan bhi apni qayamat pe var dun
ik khwab tha jo dekh liya neend mein kabhi
ik neend hai jo teri muhabbat pe var dun
“adam” hasin neend milegi kahan mujhe
phir q na zindagani ko turbat pe var dun
-------------------------------------------
Dil Ka Khuda Jinse Rutha Ho
Jinka Jodidar Nikla Jutha Ho
Na Chahiye Pyar M Dhika Tume
To Pyar Unse Karna Jinka Dil Tuta Ho
-------------------------------------------
Mere Marne Ke Baad
Mujhe Jalane Se Pehle
Mera Dil Nikal kar Rakhlena
Kahi Woh Na Jal Jaaye
Jo Iss Dil Mein Rehta Hai
-------------------------------------------
Aaj Bhi Vo Ehsaas Zinda Hai Is Dil Me,
Jab Palke Uthake Pehlibar Dekha Tha Tumne,
Aaj Bhi Kabhi-Kabhi Yun Hi Muskan Aati Hai Hothon Pe,
Jab Mujhe Dekh Ke Pehlibar Muskuraya Tha Tumne,
Aaj Bhi Badh Jati Hai Ye Dhadkane,
#Jab Pehlibar Chhua Tha Tumne,
Kya Hua Agar Aaj Hum Sath Nahi Hain,
Fir Bhi Tumhara Har Ehsaas Zinda Hai Is Dil Me..
-------------------------------------------
Aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahi mila
#dil jis se mil gaya wo dubara nahi mila
aavaz ko to kon samajhata ki dur dur
khamoshiyon ka dard-shanasa nahi mila
hum anjuman mein sab ke taraf dekhte rahe
apani tarah se koi akela nahi mila
kachche ghade ne jit li nadi chadhi hui
mazabut kashtiyon ko kinara nahi mila
-------------------------------------------
Log Apna Banake Chodd Dete Hai
Barso Ka Rishta Ek Pal Me Todh Dete Hai
Humse Toh Ek Phool Bhi Na Todh Jata
Log Toh Dil Na Jaane Kaise Tod Dete Hai!!!
-------------------------------------------
Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota,
Chot Lagti To Beshak Ye Fanah Hota.
Par Sunte Jab Wo Aawaz Iske Tutne Ki,
Tab Unhe Bhi Apne Gunah Ka Ehsaas Hota
-------------------------------------------
Anjaane Me Dil Gavaa Baithe
Is Pyaar Me Kaise Dhoka Kha Baithe
#Unse Kya Gila Kare, Bhool Toh Humari Thi
Jo Bina Dil Waalon Se Dil Lagaa Baithe
-------------------------------------------
Kbhi Kabhi Main Tumhe Dekhta Hun
#Aur Sochta Hun Ki Tum Sirf Mere Liye Bane Ho
Lekin Phir Sochta Hun K
Tum Toh Mere Dil Ke Liye Bane Ho
-------------------------------------------
Rishta-E-Ulfat Sajaane Aaye They, Tere Dil Ki Mehfil Mein
Taskiin-E-Iztiraab Kasam Teri, Tujhe Apna Banane Aaye They
#Sazaa Di Tune Hume Kaisi, Phoolon Se Jakham-E-Dil Tapish Mein
Khud Ko Bewafa Samajh Hum, Tera Dard-E-Dil Apnane Aaye They.
-------------------------------------------
Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain
Hamara Dil Churaye Baithe Hain
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.
-------------------------------------------
Socha Tha K Dil Badal Jayenge,
Kya Pta Tha K Dil Ko Gwayenge,
Wo To Yad Aate Hain Humse Door Hokar Bhi,
Na Jane Hum Unhe Kab Yaad Ayenge
-------------------------------------------
Dil Ki Baat Zubaan Pe Aane Ki Baari
Dil Ko Dil Se Milane Ki Hai Taiyaari
Aur In Lamho Ki Khushbu Mein
Doobi Hai Duniya Sari.
-------------------------------------------
K Koi Deewana Kahta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Be-Chaini Bas Badal Samajhta Hai
Tu Mujhse Dur Kaisi Hai Main Tujhse Dur Kaisa Hun
Yeh Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
-------------------------------------------
Na Koi Daikh Le Tuj Ko Meri Aankhon K Raste Se
Teri Masoom Si Sorat Chupaye Dil Mai Baitha Hon
-------------------------------------------
Zamane Mein Aise Bhi Nadaan Hote Hain
Apni Kasti Le Jate Hain Jaha Tufaan Hote Hain
#Kyu Basate Ho Unko Dil Mein
Jo Dil Ki Basti Mein Chand Dino Ke Mehman Hote Hain.
-------------------------------------------
Ye raat ye tanhai
ye dil ke dhadakane ke aavaz
ye sannata
#ye dubate taron ke
khamosh gazalkhvani
ye waqt ke palkon par
soti hui virani
jazbat-e-muhabbat ke
ye aakhiri angadai
bajati hui har janib
ye maut ke shahanai
sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum aa jao
band hoti meri aankhon mein
muhabbat ka
ik khwab saja jao
-------------------------------------------
Hum mashriq ke musalamanon ka dil magrib mein ja ataka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana mataka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunate ho kya ahl-e-basirat kahate hain
gardon ne kitni bulandi se un qaumon ko de pataka hai.
-------------------------------------------
Khamosh Fiza Thi Kahin SAYA Bhi Nahi Tha
#Es Shehar Mein HUMSA Koi Aaya Bhi Nahi Tha
Kis Jurm Mein CHEENI Gai HUM Se Hansi
Hum Ne To Kisi Ka DIL Dukhaya Bhi Nahi Tha…
-------------------------------------------
Ye Dard Ka Toofan Guzarta Kyun Nahi….
Dil Toot Gaya Hai To Bikharta Kyun Nahi.
#Ek Hi Shakhs Ko Chahte Hai Kyun Itna…..
Koi Doosra Iss Dil Me Utarta Kyun Nahi.
-------------------------------------------
Yar Ne Dil Ka Hal Batana Chor Diya
Hum Ne Bhi Gahrai Mai Jana Chor Diya
Jab Us Ko Hi Dori Ka Ahsas Nahi
Hum Ne Bhi Ahsas Dilana Chor Diya
-------------------------------------------
Wo ishq jo hum se ruth gaya ab us ka hal batayen kya
koi mehar nahi koi qahar nahi phir sacha sher sunayen kya
ik hijr jo hum ko lahak hai ta der use doharayen kya
wo zeher jo dil mein utar liya phir us ke naz uthayen kya
ik aag gam-e-tanhai ke jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachayen kya
hum nagmasara kuch ghazlon ke hum suratgar kuch khwabon ke
bejazba-e-shauq sunayen kya koi khwab na ho to batayen kya
-------------------------------------------
Ke wafa hum se to gair use jafa kahate hain
hoti aayi hai ke achon ko bura kahate hain
aj hum apni pareshani-e-khatir un se
kahane jate to hain, par dekhiye kya kahate hain
agale vaqton ke hain ye log, inhen kuch na kaho
jo may-o-nagmen ko andoharuba kahate hain
dil mein aa jae hai, hoti hai jo fursat gash se
aur phir kon se nale ko rasa kahate hain?
hai par-e-sarahad-e-idarak se apna masjud
qible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahate hain
pa-e-afagar pe jab se tujhe raham aaya hai
khar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahate hain
ik sharar dil mein hai, us se koi ghabarayega kya
#aag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye lati hai us shokh ke nakhvat kya rang
us ke har baat pe hum nam-e-khuda kahate hain
vahashat-o-shefta ab marsiya kahaven shayad
mar gaya “ghalib”-e-ashuftanava kahate hain
-------------------------------------------
Jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab mein
shauq-e-savab ne mujhe dala azab mein
kahate hain tum ko hosh nahi iztarab mein
sare gile tamam hue ek javab mein
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surkh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab mein
rehte hain jama kucha-e-janan mein khas-o-am
aabad ek ghar hai jahan-e-kharab mein
badanam mere giriya-e-rusava se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-behijab mein
matalab ke justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahi dil-e-nakamayab mein
nakamiyon se kam raha umr bhar hamen
piri mein yas hai jo havas thi shabab mein
kya jalve yaad aaye ke apni khabar nahi
be-bada mast hun main shab-e-mahatab mein
paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-vida
“momin” khuda ko bhool gaye iztarab mein
-------------------------------------------
Khushi ne mujh ko thukaraya hai ranj-o-gam ne pala hai
gulon ne berukhi ke hai to kanton ne sambhala hai
muhabbat mein khayal-e-sahil-o-manzil hai nadani
jo in rahon mein lut jaye wohi taqadir vala hai
charagan kar ke dil bahala rahe ho kya jahan valo
andhera lakh raushan ho ujala phir ujala hai
#kinaron se mujhe ae nakhuda dur hi rakhna
vahan lekar chalo tufan jahan se uthane vala hai
nasheman hi ke lut jane ka gham hota to kya gham tha
yahan to bechane valon ne gulashan bech dala hai
-------------------------------------------
Tumhen jafa se na yun baz aana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
tavil raat ke pehlu mein kab se soi hai
navid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha
bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
ke kon dube kinhen dub jana chahiye tha
bujhe chiragon mein kitne hain jo jale hi nahi
savad-e-vaqt inhen jagamagana chahiye tha
#ajab na tha ke qafas sath leke ud jate
tadapana chahiye tha phadaphadhana chahiye tha
ye meri har ke kar-e-janan se hara magar
bichadane wale tujhe yaad aana chahiye tha
taman umr ke aasurdagi-e-vasl ke bad
firaq aakhiri dhoka tha khana chahiye tha
-------------------------------------------
Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake
ki gunche khil to sake khil ke muskura na sake
#meri tabahi dil par to raham kha na saki
jo roshni mein rahe roshni ko pa na sake
na jane aah! ki un aansuon pe kya guzri
jo dil se aankh tak aaye mishgan tak aa na sake
rahen khulus-e-muhabbat ke hadasat jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake
karenge mar ke baqa-e-davam kya hasil
jo zinda reh ke muqam-e-hayat pa na sake
naya zamana banane chale the divane
nai zamin, naya aasaman bana na sake
-------------------------------------------
Jinhen main dhundhata tha aasmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil ke makinon mein
mahine vasl ke ghadiyon ke surat udate jate hain
magar ghadiyan judai ke guzarati hai mahinon mein
mujhe rokega tu ae nakhuda kya garq hone se
ki jin ko dubana hai dub jate hain safinon mein
jala sakati hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ke
3ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil ke sinon mein
tamanna dard-e-dil ke ho to kar khidamat faqiron ke
nahi milta ye gohar badashahon ke khazinon mein
muhabbat ke liye dil dhundh koi tutanevala
ye wo mein hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahi sakata
ki main khud bhi to hun “iqbal” apne nuktachinon mein
-------------------------------------------
Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahi
#dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar
bheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahi
ik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der tak
aankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahi
do char din ke baat hai dil khak mein so jayega
jab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahi
ahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahan
khamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi
-------------------------------------------
Har dam duayen dena har lamha aahen bharana
in ka bhi kam karana apana bhi kam karana
yan kis ko hai mayyasar ye kam kar guzarana
ek bankpan pe jina ek bankpan pe marana
jo zist ko na samajhe jo maut ko na jane
jina unhin ka jina marana unhin ka marana
hariyali zindagi pe sadaqe hazar jane
mujhko nahi gavara sahil ke maut marana
ranginiyan nahi to ranaiyan bhi kaisi
shabanam si nazanin ko aata nahi sanvarna
teri inayaton se mujhko bhi aa chala hai
teri himayaton mein har-har qadam guzarana
kuch aa chali hai aahat is payanaz ke si
tujh par khuda ke rahamat ae dil zara thaharana
khun-e-jigar ka hasil ik sher tak ke surat
apana hi aks jis mein apana hi rang bharana
-------------------------------------------
Yeh dunia ik khwabon ki zameen hai
Yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
#Tere chone se pehle wehma tha
mujhe apne barbaad hone ka gham nahi
Ju sochon tu sulag uthti hain saansain
Tera ehsaas kitna aatsheen hai
Jaga don kaise tujh ko apne dil mein
Yahan tu tera gham masnad nasheen hai
Mere chehre pe koi jhuk raha hai
Yeh lamha tu khuda jaisa haseen hai
-------------------------------------------
Tum ne tahariq mujhe di ki jao dekho
chand taron se pare aur duniyayen hain
#tum ne hi mujh se kaha tha ki khabar le aao
mere dil mein waheen jane ke tamanayen hain
aur main chal diya gaur kiya kab is par
kitna mahadud hai insan ke quvvat ka tilism
bas yahi jee ko khayal aaya tumhen khush kar dun
ye na socha ki yun mit jayega rahat ka tilism
aur ab ham-dami-o-ishrat-e-rafta kaise
aah ab duri hai duri hai faqat duri hai
tum kaheen aur main kaheen ab nahi pahali halat
laut ke aa bhi nahi sakata ye hai majboori
meri qismat ki judai tumhen manzur hui
meri qismat ki pasand aayi na meri baten
ab nahi jalvagah-e-khilavat-e-shab afsane
ab to bas tira-o-tarik hai apni raten
-------------------------------------------
Hum ki magalub-e-guman the pahale
phir waheen hain ki jahan the pahale
khvahishen jhurriyan ban kar ubharin
zakhm sine mein nihan the pahale
ab to har baat pe ro dete hain
vaqif-e-sud-o-ziyan the pahale
dil se jaise koi kanta nikala
ashk aankhon se ravan the pahale
ab faqat anjumanarai hain
aitabar-e-dil-o-jan the pahale
d#osh pe sar hai ki hai barf jami
hum to sholon ke zuban the pahale
ab to har taza sitam hai taslim
hadase dil pe garan the pahale
meri hamzad hai tanhai meri
aise rishte bhi kahan the pahale
-------------------------------------------
Kam aa sakin na apni vafayen to kya karen
ik bevafa ko bhool na jayen to kya karen
mujh ko ye etaraf duaon mein hai asar
#jaye na arsh par jo duayen to kya karen
ik din ke baat ho to use bhool jayen hum
nazil hon roz dil pe balayen to kya karen
shab bhar to un ke yaad mein tare gina kiye
tare-se din ko bhi nazar aayen to kya karen
ahad-e-tarab ke yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhool na jayen to kya karen
ab jee mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lain
wo bar bar yaad jo aayen to kya karen
tark-e-vafa bhi jurm-e-muhabbat sahi “akhtar”
milane lagen wafa ke sazayen to kya karen
-------------------------------------------
Aao ki koi khwab bunen kal ke vaste
varana ye raat aj ke sangin daur ke
das legi jan-o-dil ko kuch aise ki jan-o-dil
ta-umr phir na koi hasin khwab bun saken
go hum se bhagati rahi ye tez-gam umr
khvabon ke aasare pe kati hai tamam umr
zulfon ke khvab, honton ke khvab, aur badan ke khwab
meraj-e-fan ke khvab, kamal-e-sukhan ke khwab
tahazib-e-zindagi ke, farog-e-vatan ke khwab
zindan ke khvab, kucha-e-dar-o-rasan ke khwab
ye khwab hi to apani javani ke pas the
ye khwab hi to apne amal ke asas the
ye khwab mar gaye hain to be-rang hai hayat
yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayat
aao ki koi khwab bunen kal ke vaste
varana ye raat aj ke sangin daur ke
das legi jan-o-dil ko kuch aise ki jan-o-dil
ta-umr phir na koi hasin khwab bun saken
-------------------------------------------
Hum ke thahare ajanabi itane madaraton ke bad
phir banenge aashna kitni mulaqaton ke bad
#kab nazar mein aayegi bedag sabze ke bahar
khoon ke dhabbe dhulenge kitni barasaton ke bad
dil to chaha par shikast-e-dil ne mohalat hi na di
kuch gile-shikave bhi kar lete munajaton ke bad
the bahut bedard lamhen khatm-e-dard-e-ishq ke
thin bahut bemahar subahen meharaban raton ke bad
un se jo kahane gaye the “faiz” jan sadaqa kiye
anakahi hi rah gai wo bat sab baton ke bad
-------------------------------------------
Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai
-------------------------------------------
Fitana phir aj uthane ko hai sar lagata hai
khoon hi khoon mujhe rang-e-sahar lagata hai
man lun kaise ki main aib sarapa hun faqat
mere ahabab ka ye husn-e-nazar lagata hai
#kal jise phunka tha ye kah ki ki dushman ka hai ghar
sochata hun to wo aj apana hi ghar lagata hai
ehatiyatan koi dar phod lain divar mein ab
shor badhata hua kuch janib-e-dar lagata hai
ek daravaza hai har samt mein khulane ki liye
hon na ho ye to mujhe shekh ka ghar lagata hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Anand Narain Mulla
-------------------------------------------
Pathron Ko Dil Ka Haal Sunane Chali Hun,
Roothi Hui Kismat Ko Manane Chali Hun,
Nakam Hasrato Ka Janaza Uthaye Hue,
Mein Unse Wafa Nibhane Chali Hun,
Woh Bewafa Na The,Main Badnaseeb Thi,
Ye Baat Zamane Ko Batane Chali Hun,
Sawan Ki Ghataon Tum Kal Umadna,
Aaj To Main Aansu Bahane Chali Hun,
Jaha Banaya Tha Maine Kai Aashiyana,
Aaj Usi Shaakh Ko Jalane Chali Hun,
Meri Shayri Kisi Ka Dil Na Dukha De,
Isliye Tanhaayi Ko Apni Gazal Sunane Chali Hun.
-------------------------------------------
Kare badarva aaye chai udasi
bhigi bhigi palaken hain pyar ke pyasi
jab se gae ho chod ke hamako
dil ko na jane kya ho gaya hai
aan milo ab jiya na jalao
savan bhi ab bit chala hai
ek jhalak to aake dikha ja
andhera hai man mein diya to jala ja
#bhulanavale hum ko teri
yaad sataye
de na sake jo chain bhi man ko
aag lage aise savan ko
meha barase aansun barase
rimjhim mere dip jalaye
-------------------------------------------
Ye shishe ye sapne ye rishte ye dhage
kise kya khabar hai kahan toot jayen
muhabbat ke dariya mein tinake wafa ke
#na jane ye kis mod par dub jayen
ajab dil ke basti ajab dil ke vadi
har ek mod mausam nai khvahishon ka
lagaye hain hum ne bhi sapanon ke paudhe
magar kya bharosa yahan barishon ka
muradon ke manzil ke sapanon mein khoye
muhabbat ke rahon pe hum chal pade the
zara dur chal ke jab aankhen khuli to
kadi dhup mein hum akele khade the
jinhen dil se chaha jinhen dil se puja
nazar aa rahe hain wohi ajanabi se
ravayat hai shayad ye sadiyon purani
shikayat nahi hai koi zindagi se
-------------------------------------------
Mere dil mein tu hi tu hai dil ke dawa kya karun
dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun
khud ko khokar tujh ko pa kar kya kya mila kya kahun
tera hoke jine mein kya kya aaya maza kya kahun
kaise din hain kaisi raten kaisi fiza kya kahun
meri hoke tune mujhko kya kya diya kya kahun
meri pehlu mein jab tu hai phir main dua kya karun
dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun
hai ye duniya dil ke duniya milake rahenge yahan
lutenge hum khushiyan har pal dukh na sahenge yahan
armanon ke chanchal dhare aise bahenge yahan
ye to sapanon ke jannat hai sab hi kahenge yahan
ye duniya mere dil mein basi hai dil se juda kya karun
dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun
-------------------------------------------
Mujhe bhulanevale tujhe bhi chain na aaye
tu bhi jage tu bhi tadape tu bhi nir bahaye
badal garaje bijli chamake tadap tadap reh jaye
patajhad aaye chae udasi man mein aag lagaye
tu bhi inako yaad kare aur tham ke dil reh jaye
aramanon ka mahal banake aap hi tune tod diya
ek suhana geet sunaya
meri ninden chin li tune aise khwab dikhaye
jab bhi savan lekar aaye pyar bhari barasaton ko
yaad kare tu baithakar tanha sath guzri raton ko
meri tarah tere man mein bhi barakha aag lagaye
-------------------------------------------
Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi
main baat karunga to ye khamosh rahegi
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi
aaram wo kya degi jo tadapa na sakegi
#ye aankhen hain tahari huin chanchal wo nigahen
ye hath hain sahame huye aur mast wo bahen
parachai to insan ke kam aa na sakegi
in honton ko “faiyyaz” main kuch de na sakunga
is zulf ko main hath mein bhi le na sakunga
ulajhi hui raton ko ye sulajha na sakegi
-------------------------------------------
Jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya
us ke divar ka sar se mere saya na gaya
dil ke tain aatish-e-hijran se bachaya na gaya
ghar jala samane par hum se bujhaya na gaya
kya tunak hausla the dida-o-dil apne aah
ek #dam raz mohabbat ka chupaya na gaya
dil jo didar ka qayel ke bahot bhuka tha
is sitam-kushta se yak zakhm bhi khaya na gaya
shahar-e-dil aah ajab jaye thi par uske gaye
aisa ujada ki kisi tarah basaya na gaya
-------------------------------------------
Tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifata
#ke jis ko kaso ne kabhi wa na dekha
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq mein hum ne kya kya na dekha
kiya mujh ko dagon sarv-e-chiragan
kabho tu ne aakar tamasha na dekha
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the aap hi hum
khuli aankh jab, koi parada na dekha
shab-o-roz aye “dard” darapai hun us ke
kaso ne jise yan samajha na dekha
-------------------------------------------
Tod kar uthe hain jam-o-shisha-o-paimana hum
kis se kah den aj raz-e-gardish-e-mastana hum
bijaliyan ruposh tufan dam bakhud sahara khamosh
ja rahe hain kis taraf ae lagzish-e-mastana hum
zindagi ik mustaqil sharah-e-tamanna thi magar
umr bhar teri tamanna se rahe begana hum
tujh mein bhi kuch hosh-mandana adayen aa gain
tujh se bhi ab badaguman hain ae dil-e-divana hum
khushk aankhen dil shikasta ruh tanha lab khamosh
bastiyon se dekhte hain surat-e-virana hum
hum tak ab aaye na aaye daur-e-paimana “ravish”
mutamain baithe hain zer-e-saya-e-maikhana hum
-------------------------------------------
Marane ke duayen q mangun jine ke tamanna kon kare
ye duniya ho ya wo duniya ab khvahish-e-duniya kon kare
jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne
jo ashkon ke bhadakai hai us aag ko thanda kon kare
#jab kashti sabit-o-salib thi, sahil ke tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti mein sahil ke tamanna kon kare
duniya ne hamen choda ae dil, hum chod na de kyon duniya ko
duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kon kare
-------------------------------------------
Kamaran yun tha mera bakht-e-javan kal raat ko
jhuk raha tha mere dar pe aasaman kal raat ko
husn jab tha ishq ke ghar mahaman kal raat ko
uth chuka tha har hijab-e-daramiyan kal raat ko
kash ban jati hayat-e-javidan kal raat ko
kis qadar mahbub thi umr-e-ravan kal raat ko
dil agar tanha mera tir-o-kaman ke zad pe tha
dil ke zad par bhi rahe tir-o-kaman kal raat ko
ban rahi thi halqa meri zist ke girdab ka
kuch sunahari kuch rupahali churiyan kal raat ko
ruk gain thi yun zamin-o-asaman ke gardishen
nim-shab par sham hi ka tha guman kal raat ko
kya khabar kyon husn ke farmaishon ke bavajud
ishq ne chedi na apni dastan kal raat ko
subah phir lane ko hai lambi judai ka payam
ye bhi ik aavaz aayi nagahan kal raat ko
-------------------------------------------
Phirate hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
ek dusare ke hamsafar main aur meri aavaragi
na aashana har rahguzar na meharban hai ek nazar
jayen to ab jayen kidhar main aur meri aavaragi
hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbad the
bifikr the aazad the masarur the dilshad the
wo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar main aur meri aavaragi
wo mah-e-vash wo mah-e-ruh wo mah-e-kamil hubahu
thin jis ke baten kubaku us se ajab thi guftagu
phir yun hua wo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
layenge us ko dhund kar main aur meri aavaragi
ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya
kahane ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya bah gaya
j#ab kah kar wo dilbar gaya tee liye main mar gaya
rote hain us ko raat bhar main aur meri aavaragi
ab gham uthayen kis liye ye dil jalayen kis liye
aansu bahayen kis liye yun jan gavayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam
honge kaheen to kargar main aur meri aavaragi
aasar hain sab khot ke imkan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke ab khatm hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hue hain beasar main aur meri aavaragi
jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aavaragi
-------------------------------------------
Na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao
ki jee na chahe to nachar dekhte jao
bahar-e-umr mein bag-e-jahan ke sair karo
khila hua hai ye gulazar dekhte jao
uthao aankh na sharmao ye to mahafil hai
gazab se janib-e-agayar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga
fugan mein hashr ke aasar dekhte jao
tumhari aankh mere dil se besabab-bevajah
hui hai ladane ko tayyar dekhte jao
na jao band kiye aankh raharavan-e-adam
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao
koi na koi har ik sher mein hai baat zarur
janab-e-”dag” ke ashar dekhte jao
-------------------------------------------
Aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi
aj ae dil lab-o-rukhsar ke baten hai sahi
waqt kat jayega kuch pyar ke baten hi sahi
yun to katati hi rahegi gam-e-dauran mein hayat
aj ke rat gam-e-yar ke baten hi sahi
#zinda rahane ke kabhi to koi surat nikale
isharat-e-alam-e-didar ke baten hi sahi
koi to bat chide aj bahut jee hai udas
kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi
ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi
ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib
aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi
ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum
un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi
-------------------------------------------
Kuch Nahi Kehta Yeh Dil Chupchaap Sa Rehta Hai,
Dard-E-Dil Itna Hai Ki Har Pal Ashq Behta Hai,
#Dekhta Hun Jab Bhi Kisi Toote Huye Taare Ko,
Na Jaane Kyun Wo Kuch Keh Raha Sa Lagta Hai,
Yeh Duniya Kyun Itni Matlabi Ban Chuki Hai,
Rishto Se Jyada Ab Paise Pe Kyun Tiki Hai,
Har Ek Saks Dil Ko Seeshe Ki Tarah Pehle Todta Hai,
Jaroorat Padti Hai To Phir Kyun Ise Jodta Hai..
-------------------------------------------
Tu abhi rahaguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, pares-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ke jaza kuch aur hai
#hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ke bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhase kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ke tarah aish-o-nayam se guzar
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam se guzar
-------------------------------------------
Haq wafa ka jo hum jatane lage
aap kuch keh k muskurane lage
hum ko jina padega furqat mein
wo agar himmat aazamane lage
dar hai meri zuban na khul jaye
ab wo baten bahut banane lage
jan bachati nazar nahi aati
gair ulfat bahut jatane lage
tum ko karana padega uzr-e-jafa
hum agar dard-e-dil sunane lage
bahut mushkil hai sheva-e-taslim
hum bhi aakhir ko jee churane lage
vaqt-e-rukhsat tha sakht “hali” par
hum bhi baithe the jab wo jane lage
-------------------------------------------
Khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuthi qasam se aap ka iman to gaya
dil leke muft kahate hain kuch kam ka nahi
ulati shikayaten rahi ehsaan to gaya
ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui
lekin use jata to diya, jan to gaya
dekha hai butakade mein jo ae shekh kuch na kuch
#iman ke to ye hai ki iman to gaya
darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye q na ho mehaman to gaya
go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko wo mere naam se pehchan to gaya
hosh-o-havas-o-tab-o-tavan “dag” ja chuke
ab hum bhi jane wale hain saman to gaya
-------------------------------------------
Mariz-e-muhabbat unhin ka fasana
sunata raha dam nikalate nikalate
magar zikr-e-sham-e-alam jab bhi aaya
chirag-e-sahar bujh gaya jalate jalate
irada tha tark-e-muhabbat ka lekin
fareb-e-tabassum mein phir aa gaye hum
abhi khake thokar sambhalane na paye
ki phir khai thokar sambhalate sambhalate
unhen khat mein likha tha dil muztarib hai
javab un ka aaya muhabbat na karte
tumhen dil lagane ko kis ne kaha tha
bahal jayega dil bahalate bahalate
wo mehaman rahe bhi to kab tak hamare
hui shamma gul aur dube sitare
#qamar” is qadar un ko jaldi thi ghar ke
wo ghar chal diye chandani dhalate dhalate
-------------------------------------------
Dil Se Dil Ka Rutba Achcha Laga..
Aaj Usko Sochna Achcha Laga,
Jaate Jaate Aakhri Lamhe Mein,
Mudkar Uska Dekhna Achcha Laga,
Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya,
Uska Har Ek Faisla Achcha Laga,
#Har Taraf Thi Bawafa Logo Ki Bheed,
Ek Wo Hi Bewafa Achcha Laga,
Wo Haya Ki Har Ada Mein Thi Jab,
Paas Reh Kar Bhi Fasla Achcha Laga,
Kyo Mohabbat Ho Gayi Usse,
Kya Bataye Humko Usme Kya Kya Achcha Laga..!!!
-------------------------------------------
Teri Hi Baatein Batane Aye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Ane Ke Zamane Aye
#Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
#Humunhe Haal Sunane Aye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shayad Ab Hosh Thikane Aye
Kiya Kaheen Phir Koi Basti Ujri
Log Kyun Jashan Manane Aye
So Raho Maut Ke Pehlu Mein
Neend Kis Waqt Na Ajne Aaye….
-------------------------------------------
Hoti hai tere naam se vahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi
#ae dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
tere karam se ae alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ke khilvat kabhi kabhi
dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
josh-e-junun mein dard ke tugayaniyon ke sath
ashkon mein dhal gai teri surat kabhi kabhi
tere qarib rah ke bhi dil mutamain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi
kuch apana hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
ae dost hum ne tark-e-muhabbat ke bavajud
mahasus ke hai teri zarurat kabhi kabhi
-------------------------------------------
Sagar se lab laga ke bahut khush hai zindagi
sahan-e-chaman mein aake bahut khush hai zindagi
aa jao aur bhi zara nazadik jan-e-man
tum ko qarib pake bahut khush hai zindagi
#hota koi mahal bhi to kya puchate ho phir
be-vajah muskura ke bahut khush hai zindagi
sahil pe bhi to itni shagufata ravish na thi
#tufan ke bich aake bahut khush hai zindagi
viran dil hai aur “adam” zindagi ka raqs
jangal mein ghar banake bahut khush hai zindagi
-------------------------------------------
Hum ne duniya mein...
Hum ne duniya mein aake kya dekha
dekha jo kuch so khvab-sa dekha
hai to insan khak ka putala
#lek pani ka bul-bula dekha
khub dekha jahan ke khuban ko
ek tujh sa na dusara dekha
ek dam par hawa na bandh habab
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha
na huye teri khak-e-pa hum ne
khak mein aap ko mila dekha
ab na dije “zafar” kisi ko dil
ki jise dekha bevafa dekha
-------------------------------------------
Yu Mere Dil Ko Sataya Na Karo
Aye Ho To Milne To Bahane Banaya Na Karo
Chahat Ka Ikrar Kar Hi Tari Ankho Na
Tum Nazro Ko Nazro Se Curaya Na Karo
Bahar Ke Mousam Hai Mari A Mari Jan
Tum Khazao Ko Dil Se Lagaya Na Karo
Koi Tujhay Sochta Hai Rat Din
Tum Yu Kisi Ki Bato Mein Aya Na Karo
Phulti Hoi Sansay,Dhrakta Howa Yah Dil
Kahta H A Ajnabi Ataye Ho Tu Lut Kr Jaya Na Karo
#Do Ghari K Ly Hi Sahi Hamay Mahsoos Karo
Tum Khud Ko Rok Kr Hamay Azmay Na Karo
Hum B Chatya Haie Apna Nh Hamara Khayl Karo
Sapnay Tu Tut Ne K Ly Hotay He Tm Parayshan Ho Jaa Na Karo
A Jao Hamaray Dar Pr Kabhi Chalty Chalty A Hm Dam
Yu Sayap Ban Kr Maray Jism Ko Dhasa Na Karo
Amnay Samnay Jb Bathay Hoie Uth Kr Jaya Na Karo
Yu Mari Nazro Sy Ujhal Ho Jay Na Karo
Kuch Baat Karna Chatay He Hum Tujh Sy
Bat Buri Lag Jay Tu Ruth Kr Jay Na Karo
Kabhi Rat Ki Shabnami Ko Samjha Karo
Tum Rat Din Ki Cakro Ma Na Ya Karo
Jo Kahta H Yah Dil Is Dil Ki Bat Souno
Yah Yah Tu Nh Kahti Tm Maray Pass Na Aya Karo
Yah Dunya Tu Rango Ke Mela Hai
Tum In Ko Senay Se Lagay Na Karo
Jab Taray Pss Tara Hum Dam Ho
#Tum Kici Or Ko Bulaya Na Karo
Mobabbat Karti Hai Tujhay Yah Dilo Jan Se
Tu Kuch Apnay Dil Ko B Samjahay Karo
Taray Anso Dakh Kr Shulo Ma Jalti Hai Yah
Tum Yu Mujh Ko Sataya Na Karo
-------------------------------------------
Jahan talak bhi ye...
Jahan talak bhi ye sehra dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai
na itna tez chale sar-phiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
bura na maniye logon ke aib-jui ka
inhen to din ka bhi saya dikhai deta hai
ye ek abr ka tukara kahan kahan barase
#tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
wo alvida ka manzar wo bhigati palaken
pas-e-gubar bhi kya kya dikhai deta hai
meri nigah se chup kar kahan rahega koi
ke ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
simat ke rah daye aakhir pahar se qad bhi
#zamin se har koi uncha dikhai deta hai
ye kis maqam pe lai hai justaju teri
jahan se arsh bhi nicha dikhai deta hai
khili hai dil mein kisi ke badan ke dhup “shakeb”
har ek phul sunehara dikhai deta hai
-------------------------------------------
Roya karenge aap bhi paharon isi tarah
ataka kaheen jo aap ka dil bhi meri tarah
na tab hijr mein hai na aaram vasl mein
kamabakht dil ko chain nahi hai kisi tarah
#gar chup rahen to gam-e-hijran se chut jayen
kahate to hain bhale ke wo lekin buri tarah
na jaye van bane hai na bin jaye chain hai
kya kijiye hamen to hai mushkil sabhi tarah
lagti hain galiyan bhi teri mujhe kya bhali
quraban tere, phir mujhe kah le isi tarah
hun janbalab butan-e-sitamagar ke hath se
kya sab jahan mein jite hain “momin” isi tarah
-------------------------------------------
Mere khwabon ke jharokon ko sajane wali
tere khwabon mein kaheen mera guzar hai ki nahi
#puchakar apni nigahon se batade mujhko
meri raton ke muqaddar mein sahar hai ke nahi
char din ke ye rafaqat jo rafaqat bhi nahi
umr bhar ke liye aazar hui jati hai
zindagi yun to hamesha se pareshan-si thi
ab to har sans giranbar hui jati hai
meri ujadi hui nindon ke shabistanon mein
tu kisi khwab ke paikar ke tarah aai hai
kabhi apni si kabhi gair nazar aati hai
kabhi ikhalas ke murat kabhi harajai hai
pyar par bas to nahi haimera lekin phir bhi
tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun
#tune khud apne tabassum se jagaya hai jinhen
un tamannaon ka izahar karun ya na karun
tu kisi aur ke daman ke kali hai lekin
meri raten teri khushbu se basi rahati hain
#tu kaheen bhi ho tere phul se aariz ke qasam
teri palaken meri aankhon pe jhuki rahati hain
tere hathon ke hararat tere sanson ke mahak
tairati rahati hai ehasas ke pahanai mein
dhundhati rahati hain takhail ke banhen tujh ko
sard raton ke sulagati hui tanahai mein
tera altaf-o-karam ek haqiqat hai magar
ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana hi na ho
teri manus nigahon ka ye mohatat payam
dil ke khoon karne ka ek aur bahana hi na ho
kon jane meri imroz ka farda kya hai
qurbaten bad ke pasheman bhi ho jati hai
dil ke daman se lipatati hui rangin nazaren
dekhte dekhte anjan bhi ho jati hai
meri daramanda javani ke tamannaon ke
muzmahil khwab ke tabir bata de mujhko
tere daman mein gulistan bhi hai, virane bhi
mera hasil meri taqdir bata de mujhko
-------------------------------------------
Ruh bakhshi hai kam tujh lab ka
dam-e-isa hai naam tujh lab ka
husn ke khizr ne kiya labarez
aab-e-haivan son jam tujh lab ka
#mantaq-o-hikmat-o-mani par
mushtamil hai kalam tujh lab ka
rag-e-yaqut ke qalam son likhen
khat parastan payam tujh lab ka
sabza-o-barg-o-lala rakhte hain
shauq dil mein davam tujh lab ka
gurq-e-shukar hue hain kam-o-zaban
jab liya hun main naam tujh lab ka
hai “wali” ke zaban kon lazzat bakhsh
zikr har subh-o-sham tujh lab ka
-------------------------------------------
#Pathar ke khuda vahan bhi paye
hum chand se aj laut aaye
divaren to har taraf khadi hain
kya ho gaya meharaban saye
jangal ke havayen aa rahi hain
kagaz ka ye shehar ud na jaye
#laila ne naya janam liya hai
hai qais koi jo dil lagaye
hai aj zamin ka gusal-e-sahat
jis dil mein ho jitana khoon laye
sehra sehra lahu ke kheme
phir pyase lab-e-furat aaye
-------------------------------------------
Kati hai gham ke raat bade ehataram se
aksar bujha liya hai charagon ko sham se
raushan hai apni bazm aur is ehatamam se
kuch dil bhi jal rahe hain charagon ke naam se
muddat hui hai khun-e-tamanna kiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil ke jam se
subah-e-bahar hum ko bulati rahi magar
#hum khelate rahe kisi zulfon ke sham se
har sans par hai maut ka pehara laga hua
aahista ae hayat guzar is maqam se
kati tamam umr fareb-e-bahar mein
kante sametate rahe phoolon ke naam se
#ye aur baat hai ke “ali” hum na sun sake
aavaz us ne di hai hamen har maqam se
-------------------------------------------
Manzil-e-janan ko jab ye dil ravan tha dosto
tum ko main kaise bataun kya saman tha dosto
har guman pahane hue tha ek malbus-e-yaqin
har yaqin jan dada-e-husn-e-guman tha dosto
dil ki har dhadakan makan-o-lamakan par thi muhit
#har nafas raz-e-doalam ka nishan tha dosto
kya khabar kis justaju mein is qadar aawara tha
dil ke jo ganjina-e-sarr-e-nihan tha dosto
dhundhane par bhi na milta tha mujhe apna vujud
main talash-e-dost mein yun benishan tha dosto
markad-e-iqbal par hazir thi jab dil ki tadap
zindagi ka ek parda darmiyan tha dosto
qarb ne paida kiya tha khud hi duri ka saman
fasala warna hail kahan tha dosto
bekhudi mein jab mere honton ne chuma qabr ko
mere sina se gada-e-fursiyan tha dosto
ru-ba-ru-e-jalva-e-markad vujud-e-kam ayar
zar-e-naqis sharmasar-e-imtehan tha dosto
partav-e-dil mein nihan thi tah-bateh ye khamoshi
ishq ka wo bhi ik izhar-e-bayan tha dosto
jalvagah-e-dost ka aalam kahun main tum se kya
jalva hi jalva vahan tha main kahan tha dosto
sajdagah-e-khurshiyan tha yan na jane kya tha wo
jo meri nazron ke aage aastan tha dosto
dil ne har lamhe ko dekha ik nirale rang mein
#lamha lamha dastan dar dastan tha dosto
jis ke sher-o-nagmagi par vusat-e-alam thi tang
har subah ko wo dopahre bekaran tha dosto
so raha tha khak ke niche jahan-e-zindagi
raz-e-hasti meri nazron par ayan tha dosto
kash tum bhi meri palkon ka nazara dekhte
ye nazara kahkashan dar kahkashan tha dosto
-------------------------------------------
Kahan aake rukane the raste kahan mod tha use bhool ja
wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahi mila use bhool ja
#wo tere nasib ke barishen kisi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri baat sun use bhool ja use bhool ja
main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas mein tere guman mein
hawa kah gai mere kan mein mere sath aa use bhool ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhool ja
-------------------------------------------
Sham ke sanvale chehare ko nikhara jaye
kyon na sagar se koi chand ubhara jaye
ras aaya nahi taskin ka sahil koi
phir mujhe pyas ke dariya mein utara jaye
meharaban teri nazar, teri adayen qatil
tujh ko kis naam se ae dost pukara jaye
mujhko dar hai tere wade pe bharosa karake
muft mein ye dil-e-khushafaham na mara jaye
j#isake dam se tere din-rat darakhshan the “qateel”
kaise ab us ke bina waqt guzra jaye
-------------------------------------------
Khwab marate nahi
khwab dil hain na aankhen na sansen ke jo
reza-reza hue to bikhar jayenge
jism ke maut se ye bhi mar jayenge
khwab marate nahi
khwab to roshni hain, nava hain, hawa hain
jo kale pahadon se rukate nahi
zulm ke dozakhon se bhi phukate nahi
roshni aur nava aur hawa ke aalam
maqtalon mein pahunch kar bhi jhukate nahi
khwab to harf hain
khwab to nur hain
khwab to suqrat hain
#khwab mansur hain
-----------------------------------------
Jan-e-afasana yahi kuch bhi ho afasane ka naam
zindagi hai dil ke dhadakan tez ho jane ka naam
qatara qatara zindagi ke zeher ka pina hai gham
aur khushi hai do ghadi pi kar bahak jane ka naam
intazar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur
aur bahar-e-bag leti hi nahi aane ka naam
tab-e-nakami nahi to aarzoo karta hai kya
aarzoo hai mauj ke sahil se takarane ka naam
aj tu kal koi aur hoga sadar-e-bazm-e-may
saqiya tujh se nahi hum se hai maikhane ka naam
vaqif-e-”mullah” na thi bazm-e-khirad, ye tay hua
ho na ho, ye hai kisi mashahur divane ka naam
---------------------------------------------------------
Khayal o khvab hue...
Khayal-o-khvab hue hain muhabbaten kaisi
lahu mein nach rahin hain ye vahashaten kaisi
na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha
ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi
azab jin ka tabassum savab jin ke nigah
khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi
#hawa ke dosh pe rakkhe hue charag hain hum
jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi
jo bekhabar
koi guzra to sada ye di hai
main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi
jo aa rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai
faza ye ho to dilon ke nazakaten kaisi
---------------------------------------------------------
Hum sada hi aise...
Hum sada hi aise the, ke yun hi pazirai
jis bar khizan aai, samajhe ki bahar aayi
aashob-e-nazar se ke hum ne chamn-arai
jo shay bhi nazar aayi gul-rang nazar aayi
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahafil main aur meri tanahai
#van millat-e-bul-havasan aur shor-e-vafajui
yan khilvat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-rusavai
yak-jan na ho sakiye anjanna ban sakiye
yon toot gai dil mein shamashir-e-shanasai
is tan ke taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ae chashm-e-tamashai
---------------------------------------------------------
Dil Karta Hai K...
Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon
Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon
#Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon
Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon
Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon
Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon
Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon
Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon
Aur Kabhi
Dil Darta Hai K Toba Karoon
---------------------------------------------------------
Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga
tu mila hai to ye ehasas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chodi hai
#tujh pe ho jaunga quraban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane ke liye
main ne dhadakan ke tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavvur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ke lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban ke nigehaban tujhe chahunga
teri har chap se jalate hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aaye jagata hua jadu aaye
tujh ko chu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aaye
tu baharon ka hai unawan tujhe chahunga
---------------------------------------------------------
Mera dil bhi shauq se todo ek tajurba aur sahi
lakh khilone tod chuke ho ek khilona aur sahi
raat hai gham ke aj bujha do jalta hua har ek chirag
#dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahi
dam hai nikalata hai ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo
lakh tamashe dekhe honge ek nazara aur sahi
khanjar le kar sochate kya ho qatl “murad” bhi kar dalo
daag hain sau daman pe tumhare ek izafa aur sahi
---------------------------------------------------------
Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua
mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua
ajal men, zist mein turabat men, hashr mein zalim
tere sitam ke liye main hi intakhab hua
nigah-e-mast ko saqi ke kon de ilzam
mera nasib ki rusava mera shabab hua
hamare ishq ke das-bis ne bhi dad na di
kisi ka husn zamane mein intakhab hua
fana ka dawa hazaron ko tha zamane mein
habab ne mujhe dekha to aab-ab hua
---------------------------------------------------------
Tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha
dil pe anbar hai khungashta tamannaon ka
aj tute hue taron ka khayal aaya hai
ek mela hai pareshan si ummidon ka
chand pazmurda baharon ka khayal aaya hai
panv thak thak ke reh jate hain mayusi mein
#purmahan rahguzaron ka khayal aaya hai
saqi-o-bada nahi jam-o-lab-e-ju bhi nahi
tum se kahana tha ki ab aankh mein aansu bhi nahi
---------------------------------------------------------
Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
#kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua
---------------------------------------------------------
Khuddariyon ke khoon ko arzan na kar sake
hum apne jauharon ko numayan na kar sake
hokar kharab-e-may tere gham to bhula diye
lekin gam-e-hayat ka daraman na kar sake
tuta talism-e-ahad-e-mohabbat kuch is tarah
phir aarzoo ke shama furezan na kar sake
har shay qarib aake kashish apni kho gai
wo bhi ilaj-e-shauq-e-gurezan na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadase
hum zindagi mein phir koi araman na kar sake
mayusiyon ne chin liye dil ke val-vale
#wo bhi nishat-e-ruh ka saman na kar sake
---------------------------------------------------------
Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar mein hum ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ke tamanna hai to ae kash yahi ho
aansu ke jagah aankh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diya gul na karo tum ke na jane
#kis bam se khurashid-e-qayamat nikal aaye
jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se
jan deke bhi samajho ke salamat nikal aaye
ae hamnafason kuch to kaho ahad-e-sitam ke
ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye
yaro mujhe masalub karo tum ke mere bad
shayad ke tumhara qad-o-qamat nikal aaye
---------------------------------------------------------
Ye kya jane mein jana hai, jate ho khafa hokar
main tab janu mere dil se chale jao juda hokar
qayamat tak udegi dil se uthakar khak aankhon tak
isi raste gaya hai hasaraton ka kafila hokar
tumhin ab dard-e-dil ke naam se ghabraye jate ho
tumhin to dil mein shayad aaye the dard-e-ashiyan hokar
yun hi hamdam ghadi bhar ko mila karte to bahatar tha
ke dono waqt jaise roz milate hain juda hokar
---------------------------------------------------------
Tum Mere Dil Mien Samao To Koi Baat Banay
Phir Kabhi Durr Na Jao To Koi Baat Banay
Pyar Kehne Se To Baat Nahi Banti
Pyar Ban K Dikaho To Koi Baat Banay
Hum To Chup Chap Se Rehte Hain Magar
Tum Kabhi Aak Hansao To Koi Baat Banay
Sath Daine Ki To Sab Baat Kiya Karte Hai
#Tum Agar Sath Nibhao To Koi Baat Banay
Rotho Soo Bar To Shikayat Na Karien Ge
Roth K Maan B Jao To Koi Baat Banay
Ye Aankhien Har Dam Udaas Rehti Hain
In Mien Koi Khwab Sajo To Koi Baat Banay
---------------------------------------------------------
Aali jee ab aap...
Aali jee ab aap chalo tum apne bojh uthaye
sath bhi de to aakhir hamare koi kahan tak jaye
jis suraj ke aas lagi hai shayad wo bhi aaye
#tum ye kaho khud tum ne ab tak kitane diye jalaye
apana kam hai sirf mohabbat baqi us ka kam
jab chahe wo ruthe hum se jab chahe man jaye
kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhed
hum sab ko samajhane wale kon hamen samajhaye
ek isi ummid pe hain sab dushman dost qabul
kya jane is sada-ravi mein kon kahan mil jaye
duniya wale sab sache par jina hai us ko bhi
ek garib akela papi kis kis se sharmaye
itna bhi majabur na karana varna hum kah denge
o “ali” pe hansane wale tu “ali” ban jaye
---------------------------------------------------------
Kaise kah dun ki...
Kaise kah dun ki mulaqat nahi hoti hai
roz milate hain magar baat nahi hoti hai
aap lillah na dekha karen aaina kabhi
dil ka aa jana badi baat nahi hoti hai
chup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsat nahi hoti hai
#hal-e-dil puchane wale teri duniya mein kabhi
din to hota hai magar raat nahi hoti hai
jab bhi milate hain to kahate hain kaise ho “shakeel”
is se aage to koi baat nahi hoti hai
---------------------------------------------------------
Yaad kisi ke chandani...
Yaad kisi ke chandani ban kar kothe kothe utari hai
yaad kisi ke dhup hui hai zina zina utari hai
raat ke rani sahan-e-chaman mein gesu khole soti hai
#rat-berat udhar mat jana ik nagin bhi rahati hai
tum ko kya tum gazalen kah kar apni aag bujha loge
us ke jee se pucho jo pathar ke tarah chup rahati hai
pathar lekar galiyon galiyon ladake pucha karte hain
har basti mein mujh se aage shoharat meri pahunchati hai
muddat se ik ladaki ke rukhsar ke dhup nahi aayi
isi liye mere kamare mein itni thandak rahati hai
---------------------------------------------------------
Dil Karta Hai K...
Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon
Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon
Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon
Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon
#Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon
Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon
Dil Karta Hai K Intizar Karoon
3#Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon
Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon
Aur Kabhi
Dil Darta Hai K Toba Karoon
---------------------------------------------------------
Log toot jate hain...
Log toot jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahi khate bastiyan jalne mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jane mein
har dhadakate pathar ko log dil samajhate hain
3umr bit jati hai dil ko dil banane mein
fakhta ke majboori ye bhi kah nahi sakati
kon sanp rakhta hai usake aashiyane mein
dusari koi ladaki zindagi mein aayegi
kitni der lagti hai usako bhool jane mein
---------------------------------------------------------
Dil Ke Kagaz Par...
Dil Ke Kagaz Par Maine Ye Paigaam Likha Hai
#Kuchh Panne Bhar Ke Tera Naam Likha Hai.
Bana Julfo Ko Chandni Raat Aur Aanchal Ko Baadal,
Tere Jism Ko Sitaaro Se Saja Aasmaan Likha Hai.
Baha Lu Meri Hamnafas Tujhe Mehka Du Duniya
Apne Aangan Ka Maine Tumhe Gulistaan Likha Hai.
Tere Shabnami Hotho Ke Tabbsaum Ko Chura Kar,
Apne Dil Mai Chhupe Khuda Ki Muskaan Likha Hai.
No comments :
Post a Comment