Life Shayari New In Hindi


  1. बस यही दो मसले, ज़िन्दगी भर ना हल हुए,
  2. ना नींद पूरी हुई, ना ख्वाब मुकम्मल हुए,
  3. वक़्त ने कहा…..काश थोड़ा और सब्र होता,
  4. सब्र ने कहा….काश थोड़ा और वक़्त होता !

  5. .......................................................................
  6. क़भी चुपके से मुस्कुरा कर देखना,
  7. दिल पर लगे पहरे हटा कर देख़ना,
  8. ये ज़िन्दग़ी तेरी खिलखिला उठेगी,
  9. ख़ुद पर कुछ लम्हें लुटा कर देखना.
  10. .......................................................................
  11. Ho ke mayoos na yu sham se dhalte rahiye
  12. Zindagi bhor hain suraj sa nikalte rahiye,
  13. Ek hi paon pe thahroge toh thak jaoge,
  14. Dhire-dhire hi sahi par raah pe chalte rahiye.

  15. .......................................................................
  16. मेरी ज़िन्दगी किसी की जागीर नही है,
  17. अन्धेरी कोठरियां मेरी तकदीर नही है,
  18. क्यूं दबाया जाता है हर फैंसले मे मुझको,
  19. क्यूं मेरे हाथो मे किस्मत की लकीर नही है

  20. .......................................................................
  21. ज़िन्दगी एक हसीन ख़्वाब है,
  22. जिसमें जीने की चाहत होनी चाहिये,
  23. ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
  24. सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये !


  25.   .......................................................................
  26. Lamho ki ek kitaab hain zindagi,
  27. Saanso aur khyalo ka hissab hai zindagi
  28. Kuch jarurate puri kuch khwaishe aduri
  29. Bas inhi sawalon ka jawab hain zindagi.

  30. .......................................................................

  31. अजीब सी दौड़ है ये ज़िन्दगी –

  32. जीत जाओ तो कई अपने पीछे छूट जाते हैं,
  33. और हार जाओ तो अपने ही पीछे छोड़ जाते हैं !!

  34. .......................................................................
  35. Sabhi ko sab kuchh nahi milta,
  36. Nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
  37. Yeh dil walo ki duniya hain dost,
  38. Kisi se dil nhi milta to koi dil se nhi milta.


  39. .......................................................................
  40. Haskar jeena dastoor hai jindagi ka
  41. Ek yai kissa mashoor hai jindagi ka
  42. Beete hue pal kabi laut kar nai aate
  43. Yahi sabse bada kasoor h jindagi ka
  44.  .......................................................................
  45. “जिंदगी तो उसकी है जिसकी मौत पे जमाना अफसोस करे,
  46. वरना
  47. जनम तो हर किसी का मरने के लिए ही होता है,


  48.  .......................................................................
  49. Khuda ne nawaja hume zindagi dekar,
  50. Aur hum shohrat maangte reh gaye….
  51. Zindagi gujar di humne shohrat k piche
  52. Phir jeene ki mohlat maangte reh gaye

  53. .......................................................................
  54. Bahut kuch sikha jati h zindagi
  55. Hasa ke rula jati hain zindagi
  56. Jee sako jitna utna jee lo dosto,
  57. Kyuki bahut kuch baki rah jata h
  58. Aur khatm ho jati hain zindagi

  59. .......................................................................
  60. 1) Jaha himmat samapt hoti hain,
  61. Wahi haar ki shuruaat hoti hai

  62.  

  63.  

  64. 2) Kisi ko harana bahut aasan hain lekin,
  65. Kisi ko jeetana bahut kathin hota hain

  66.  

  67.  

  68. 3) Kathin Samaye mein samajdar aadmi,
  69. Rasta khojta h or kayar aadmi bahana


  70.  .......................................................................
  71.  

  72. So sukh pakar bhi sukhi na ho
  73. Par ek gum ka dukh manata hain
  74. Tabhi to kaisi karamaat h kudrat ki
  75. Laash to tair jati hain pani mein
  76. Par zinda aadmit doob jata hain
  77. .......................................................................
  78. Zindagi tasveer bhi h aur takdeer bhi
  79. Fark to sirf rango ka hain,
  80. Manchahe rango se bane to tasveer
  81. Aur anjane rango se bane to takdeer


  82.  .......................................................................
  83. Kuch hi palo me zindagi ki “Tasveer” ban jaati hain
  84. Kuch hi palo me zindagi ki “Takdeer” badal jati hai
  85. Kabhi kisi ko apna bana ke door mat mere dosto,
  86. Kyuki ek hi judayi se puri zindagi bikhar jaati hain


  87. .......................................................................
  88. Zindagi se aap jo bhi behtar se behtar le sako le lo…..
  89. Kyuki ,
  90. Jab zindagi lena shuru karti h to saanse b nahi chodti

  91. .......................................................................
  92. Daulat ki bhuk aisi lagi ki kamane nikal gye
  93. Jab daulat mili toh hath se rishte nikal gye
  94. Bachchho ke sath rahne ki fursat na mil saki
  95. Fursat mili to bachche khud kamane nikal gye

  96. .......................................................................
  97. Kabhi koi khud ko fana nahi karta,
  98. Zindagi apni khud tabaah nai karta

  99. Majburiya hi mujrim bana deti hai,
  100. Kyuki koi shok se gunah nahi karta


  101. .......................................................................
  102. Kyu sochte ho ki kuch bhi acha nahi hota,
  103. Such to ye h ki jaisa chaho vaisa nahi hota
  104. Koi apka sath de na de par kabhi gum na karna
  105. Khud se bada duniya me koi humsafar nai hota


  106.  .......................................................................
  107. Har dard ki ek alag pahchan hoti hain
  108. khusi chand lamho ki mehmaan hoti h
  109. Wahi badalte hain rukh hawao ka,
  110. Jinke iraado mein aksar jaan hoti hain


  111.  .......................................................................
  112. Chu lo aasmaan, zameen ki talash na karo,
  113. Jee lo zindagi, khushi ki talaash naa karo,

  114. Takdeer badal jayegi apne aap hi dosto,
  115. Muskurana sikh lo wajah ki talash naa karo

  116. .......................................................................
  117. Kitni hi khwahishein dil ki, dil mein hi dum tod deti hain
  118. Aksar humraahi manzil k kareeb aake hath chod deti hai

  119. Bhaagte rahte h apni hi parchayi se picha chudwane ko,
  120. Kaise manjil paye, hawaye aksar raaste hi mod deti hai

  121.  


  122. .......................................................................
  123. Paani se tasveer kaha banti hain,
  124. Khawabo se takdeer kaha banti hai,
  125. Haste-muskurate jee lo en palo ko,
  126. kyuki zindagi fir dubara kaha milti h

  127. .......................................................................
  128. Kabhi takdeer ne sath choda kabhi zindagi ne aajmaya
  129. Kabhi gero ne barbaad kiya toh kabhi apno ne rulaya
  130. Koi nahi hai aaj ke waqt me kisi ka har ek ne thukraya
  131. Huye sitam itne ki aakhir apni mout ko hi gale lagaya

  132. .......................................................................
  133. Kisi se wafa ki umeed mat rakho
  134. Log rah chalte-2 bewafai kar jate h

  135. Kisi k sahare manzil ki chah mat rakho
  136. Log sath chalte-2 rukh mode jate h


  137. .......................................................................
  138. Khwaab aankho se gaye, aur nind raato se gayi,
  139. Wo gaya to yu Laga jaise zindagi haatho se gayi


  140.   .......................................................................
  141. Har Cheez tumhari lota di humne,
  142. Hum le ke sath kuch na chale,

  143. Fir dosh na dena aye logo hume,
  144. Dekho hum sirf khali hath chale,

  145. Ye rah-e-zindagi akele kaati hai,
  146. Yaha sath leke na koi Yaar chale,

  147. Us paar najane woh kya paye ?
  148. Es paar toh sab kuch haar chale


  149. .......................................................................
  150. Jo chand lamho me cut jaye wo kya zindagi
  151. Jo Aansoo me beh jaye woh kya zindagi

  152. Zindagi ka toh falsafa kuch aur hi hain,
  153. Jo har kisi ko samaj aaye wo kya zindagi


  154. .......................................................................
  155. Matlabi duniya aur do din ki mohabbat,
  156. Zindagi ka ye safar ab aur nahi saha jata


  157.  .......................................................................
  158. Apni takdeer ke fesle par kabhi shikayat na kar,
  159. Tu abhi itna samajdar nahi ke rab ka irada samajh sake



No comments :

Post a Comment