Kehte Hai Pee Ne Wale Mar Jate Hai Bhari Jawani Me;
Hum Ne Toh Dekha Hai Buzurgo Ko Jawan Hote Maikhane Me!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hove Supne Ch Tu Te Jagave Koi Na;
Sochan Meriya Ch Tu Te Bulave Koi Na;
Tere Khayalan De Mukaddme Ch Saza Hoje;
Hove Umar Qaid Te Chuddave Koi Na!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-ILtafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;
'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Munaafiq Tha, Shab-e-Hijr Mein Soya Kese;
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kese!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Peenay Dai Sharab Masjid Main Baid Kay Ghalib;
Ya Woh Jaga Bata Jahan Khuda Nehen Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Ke Saawan Mein Paani Barsa Bahut;
Pani Ki Har Bund Mein Wo Aaye Yaad Bahut;
Iss Suhane Mausam Mein Saath Nahi Koi;
Baadalo Ke Sath Inn Aankho Se Pani Baha Bahut!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bewaafa Nahi Si Oh, Odi Ta Koi Majburi Si;
Jiss Karke Pe Gayi Sade Wich Duri Jahi;
Kehndi Tera Supna Si Shayar Banan Da;
Ais Layi Dokha Dena Jaruri Si!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaina Kyu Na Doon Ke Tamasha Kahe Jise;
Aisa Kaha Se Laau Ke Tujhasa Kahe Jise
Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Me;
Guldasta-e-Nigaah Suveda Kahe Jise;
Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Mein Aye Khuda;
Afasuun-e-Intazar Tamanna Kahe Jise;
Sar Par Hajum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye;
Wo Ek Musht-e-Khak Ke Sahara Kahe Jise;
Hai Chashm-e-Tar Me Hasarat-e-Diidar Se Niha;
Shauq-e-Ina Gusekhta Dariya Kahe Jise;
Darakar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko;
SubH-e-Bahar Paba-e-Miina Kahe Jise;
Ghalib Bura Na Man Jo Vaiz Bura Kahe;
Aisa Bhii Koii Hai Ke Sab Achchha Kahe Jise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib';
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaafir Ke Dil Se Aya Hon Mein Yeh Dekh Kar;
Khuda Maujood Hai Wahan, Par Usey Pata Nahin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahin To Milegi Mohabat Ki Manzil;
Ye Dil Ka Musafir Chala Ja Raha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naseeba De Lekh Koi Mod Nai Sakda;
Hove Rabb Te Aitbar Koi Tod Nai Sakda;
Sache Pyar Ta Milde Ne Naseeb Naal;
Lakh Chah Ke Vi Kise Naal Rishta Koi Jod Nai Sakda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ham Ki Thahre Ajnabii Itnii Mulaqaaton Ke Baad;
Phir Banenge Aashnaa Kitnii Mudaaraaton Ke Baad;
Kab Nazar Men Aayegi Be-Daagh Sabze Kii Bahaar;
Khuun Ke Dhabbe Dhulenge Kitnii Barsaaton Ke Baad;
The Bohat Be-Dard Lamhe Khatm-e-Dard-e-Ishq Ke;
Thiin Bohat Be-Meher Subahen Meherbaan Raaton Ke Baad;
Dil To Chaaha Par Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hii Na Dii;
Kuchh Gile Shikwe Bhii Kar Lete Munaajaaton Ke Baad;
Unse Jo Kahne Gaye The Faiz, Jaan Sadqe Kiye;
Ankahii Hii Rah Gayii Voh Baat, Sab Baatoon Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale;
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ke Rishton Ki Nazakat Woh Kya Jaaney;
Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hai Chotein Aksar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Nu Dukh De Ke Sukh Paya Ta Ki Paya;
Kise Da Husn Dekh Ke Chaaya Ta Ki Chaaya;
Pyar Krde Ho Kise Nu Ta Krde Raho;
Kise Hor Da Pyar Kho Ke Paya Ta Ki Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koii Us Shahar Mein Kab Thaa Uskaa;
Use Yah Zom Ki Rab Thaa Uskaa;
Uskii Rag Rag Men Utartii Rahii Aag;
Uske Andar Hii Ghazab Thaa Uskaa;
Vahii Silsila-e-Taar-e-Nafas;
Vahii Jiine Kaa Sabab Thaa Uskaa;
Sidq-Zaada Thaa Voh Shahzaada Kamaal;
Bas Yahii Naam-O-Nasab Thaa Uskaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
Ma'shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun;
Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhula K Mujhko Agar Tum Ho Salamat;
To Bhula K Tujhko Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai;
Nahi Hai Mari Fitrat Main Ye Aadat;
Warna Teri Tarha Badalna Mujhe Bhi Aata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Do Mulaqan De Riste;
Siasat Ch Jaan Pisde;
Attwad Vi Loon Chidak Reha;
Purane Jakham Jihde Jaan Risde!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ranjish Hii Sahii, Dil Hii Dukhaane Ke Liye Aa;
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;
Kuchh To Mere Pindaar-e-Mohabbat Kaa Bharam Rakh;
Tuu Bhii To Kabhii Mujhko Manaane Ke Liye Aa;
Pahle Se Maraasim Na Sahii, Phir Bhii Kabhii To;
Rasm-O-Rah-E-Duniaa Hi Nibhaane Ke Liye Aa;
Kis Kis Ko Bataayenge Judaai Ka Sabab Ham;
Tuu Mujh Se Khafaa Hai, To Zamaane Ke Liye Aa;
Ek Umar Se Huun Lazzt-e-Giryaa Se Bhii Mahruum;
Ae Raahat-e-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa;
Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummiide;
Yah Aakhrii Shamaen Bhii Bujhaane Ke Liye Aa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Pal Mai Jo Barbad Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz;
Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Menu Mili Judai Ta Main Ki Kara;
Na Menu Mohabaat Ras Aayi Ta Main Ki Kara;
Na Menu Umeed Hun Jeuoon Di;
Je Maut Vi Na Aayi Ta Main Ki Kara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhare Khat Mein Naya Ek Salaam Kiska Tha;
Na Tha Raqueeb Toh Aakhir Woh Naam Kiska Tha;
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard Raha;
Mukim Kon Hua Hai Makaam Kiska Tha;
Wafa Karenge Nibhayenge Baat Maanege;
Tumhe Bhi Yaad Kuch Ye Kalaam Kiska Tha;
Woh Katl Karke Har Kisise Puchhate Hai;
Yeh Kaam Kisane Kiya Yeh Kaam Kiska Tha;
Humare Khat Ke Toh Purze Kiya Padha Bhi Nahi;
Sun Jo Tumane Baa-Dil Woh Payaam Kiska Tha;
Guzar Gaya Woh Zamana Kahoo Toh Kisse Kahoo;
Khyaal Dil Ko Mere Subah-O-Shaam Kiska Tha;
Har Ek Se Kehate Hai Kya 'Daag' Bewafa Nikala;
Ye Puchhe Inse Koi Woh Ghulam Kiska Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi;
Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qasam Hai Tujhko Zahid Kya Kare Gar Koi Aankhon Se Dekhe;
Chhalakna Saagar-e-Mai Ka, Chahekna Badah Khwaron Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hai Khabar Garam Unke Aane Ki;
Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Na Pooch Ki Shikayatein Kitni Hain Tujhse Aye Zindagi;
Sirf Ye Bata Ki Tera Koi Aur Sitam Baaqi To Nahi Hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khushi Hove Gum Hove Ikko Jehe Rende Han;
Koi Changa Mada Kahe Sab Jar Lainde Han;
Mareya Ch Apna Sumaaar Kar Baithey Han;
Kehrri Ghari Assi Tenu Pyar Kar Baithey Han!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zakhm Jhele Daagh Bhii Khaaye Bohat;
Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat;
Dair Se Suu-e-Haram Aaya Na Tuk;
Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat;
Phuul, Gul, Shams-o-Qamar Saare Hii The;
Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat;
Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To;
Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat;
Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum;
Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Samandaron Mein Muaafiq Havaa Chalaata Hai;
Jahaaz Khud Nahiin Chalte Khudaa Chalaataa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor;
Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Ruthna Humse Hum Mar Jayenge;
Dil Ki Duniya Tabaah Kar Jayenge;
Pyar Kiya He Humne Koi Mazak Nahi;
Dil Ki Dhadkan Tere Naam Kr Jayenge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaun Kisi Nu Dil Wich Jagah Denda Ae;
Ped Vi Sukke Hoye Patte Gira Denda Ae;
Duniya Di Rasmaa To Waqif Han Assi;
Dil Bhar Jaaye Te Har Koi Bhula Denda Ae!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Luft Voh Ishq Men Paaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Ranj Bhii Aise Uthaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Muskuraate Hue Voh Majma-e-Aghyaar Ke Saath;
Aaj Yuun Bazm Men Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Kaaba-o-Dair Men Pathraa Gayii Donon Aankhen;
Aise Jalve Nazar Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Dostii Men Terii Dar-Parda Hamaare Dushman;
Is-Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Inhii Qadmon Ne Tumhaare, Inhii Qadmon Kii Qasam;
Khaak Men Itne Milaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Daagh-e-Vaarafta Ko Ham Aaj Tere Kuuche Se;
Is Tarah Khiinch Ke Laaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Woh Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka 'Ghalib';
Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Zauq Hai,Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun;
Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha;
Kya Poochte Ho, Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat;
Kya Tumne Kabhi 'Daag' Ka Deewan Nahin Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aasan Toh Nahin Apni Hasti Se Guzar Jaana;
Utra Jo Samundar Mein Darya Toh Bohat Roya;
Jo Shakhs Na Roya Tha Tapti Raahon Mein;
Deewaar Ke Saaye Mein Beitha Toh Bohat Roya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Vich Teri Yaad Sajjna;
Akhhan Vich Tera Khwab Sajjna;
Tenu Yaad Kite Bina Neend Vi Nahi Aandi;
Saadi Akkh Tere Khwab Di Mohtaj Sajjna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Se Pahle Ki Bewafa Ho Jaayen;
Kyuun Na Aye Dost Ham Judaa Ho Jaayen;
Tuu Bhii Hiire Se Ban Gayaa Patthar;
Ham Bhii Kal Jaane Kyaa Se Kyaa Ho Jaayen;
Ham Bhii Majbuuriyon Ka Uzr Karen;
Phir Kahiin Aur Mubtilaa Ho Jaayen;
Ab Ke Gar Tuu Mile To Ham Tujhse;
Aise Lipten Terii Qabaa Ho Jaayen;
Bandagii Hamne Chhod Dii Faraaz;
Kyaa Karen Log Jab Khudaa Ho Jaayen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle;
Bohut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akbar Dabe Nahin Kisi Sultaan Ki Fauj Se;
Lekin Shaheed Ho Gaye Biwi Ki Nauj Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho;
Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho;
Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega;
Chahe Poori Umar Mulaqat Ho Na Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Bina Sada Ki Wajood Hona;
Heere Han Kakha Bhah Asi Rull Jaana;
Chah Ke Vi Asi Kehra Tere Ho Jaana;
Ik Maari Hoi Laash Haan Mai;
Asi Kehra Jeondeyan Ch Ho Jaana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bohat Khaamosh Jo Baithaa Huaa Hai;
Vo Yakja Hai Magar Bikhraa Huaa Hai;
Baraa Nadaan Hai, Bahkaa Huaa Hai;
Ye Aadam Khuld Ka Bigraa Huaa Hai;
Udhar Jaana Nahiin Hotaa Hai Varnaa;
Falak Tak Raastaa Dekhaa Huaa Hai;
Kisi Kaa Haath Bhi Pohncha Na Us Tak;
Ye Sar Uunchii Jagah Rakhaa Huaa Hai;
Ba-Zaahir Is Qadar Masuum Hai Voh;
Ki Jaise Aaj Hi Paidaa Huaa Hai;
Khazaana Khud Baraa Hai Jaan-Lewaa;
Ye Us Par Saanp Kyuun Baithaa Huaa Hai;
Dilaasa Dil Yuun Detaa Hai Ki Jaise;
Ki Yahii Ek Meherbaan Piadaa Huaa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaz Yeh Keena Saaz Kya Jaane;
Naaz Waale Niyaaz Kya Jaane!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon;
Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jada Farak Ni Rakheya Rabb Ne Sade Doha Vich;
Usnu Chaun Vale Bohut Ne Te Mainu Thukaron Vale Bahut Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Moamma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Kaa;
Zindagii Kaahe Ko Hai, Khwaab Hai Diivaane Kaa;
Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa;
Ek Gosha Hai Yeh Duniyaa Isii Viiraane Kaa;
Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun;
Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa;
Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang;
Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa;
Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden;
Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa;
Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan;
Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka;
Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani;
Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr;
Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kya Jaaniye Kya Hai Tere Bimaar Ki Haalat;
Isa Bhi Yeh Kehte Hain Ke Hai Waqt Dua Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Haasi Haasi Me Kitano Ko Hasa Diya;
Haasi Haasi Me Kitne Gammon Ko Chupa Liya;
Haans Kar Gaya Koi Is Kadar Ki;
Umar Bhar Ke Liye Haasna Bhula Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Boote Collage De Vi Kade Supne Dikhande C;
Khawaab Sadde V Kade Tainu Chaunde C;
Wajood Hunda C Jeonda Kade Issh Marjaane Da;
Aashiq Hunda C Main Vi Kade Tere Parchawe Da!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yah Dunyaa Ek Khawaabon Kii Zamiin Hai;
Yahaan Sab Kuchh Hai Aur Kuchh Bhii Nahiin Hai;
Tere Chhuune Se Pahle Vaahma Thaa;
Mujhe Ab Apne Hone Ka Yaqiin Hai;
Jo Socho To Sulag Uthi Hain Saansen;
Teraa Ehsaas Kitnaa Aatishiin Hai;
Mohaajir Ban Gye Hain Mere Aansuu;
Na Aanchal Hai Na Koii Aastiin Hai;
Jagah Duun Kaise Tujhko Apne Dil Men;
Yahaan To Teraa Gam Masnad-Nashiin Hai;
Mere Chehre Pe Koii Jhuk Rahaa Hai;
Yah Lamhaa To Khudaa Jaisaa Hasiin Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jis Waqt Khuda Ne Tumhe Banaya Hoga;
Ek Saroor Sa Uska Dil Pe Chaya Hoga;
Pehle Socha Hoga Tujhe Jannat Mein Rakh Luon;
Phir Usse Mera Khayal Aaya Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Hairaan Hoon Ke Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni;
Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dosti Ka Jo Kiya Karte Hain Daawa Ehbaab;
Waqt Padta Hai To Sab Aankh Chura Lete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shajar Se Jo Patte Judaa Hote Hai;
Tumne Bhi Mujhe Kuch Yuhii Chod Dia;
Par Teri Yaadon Ne Mujhse Kabhi Befaiee Nai Ki;
Har Manjar -e- Algaav Par Mere Sang Sang Chali!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Oh Aakhdi Aa Tu Bohat Badal Geya a Hun;
Koi Samjawe Meri Jaan nu;
Tut Ke Diige Patteya De Aksar;
Rang Badal Hi Jande ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogii;
Agar Zindagii Sarf-E-Jazbaat Hogii;
Musaafir Ho Tum Bhii, Musaafar Hain Ham Bhii;
Kisii Mod Par Phir Mulaaqaat Hogii;
Sadaaon Ko Alfaaz Milne Na Paayen;
Na Baadal Ghirenge Na Barsaat Hogii;
Chiraagon Ko Aankhon Men Mahfuuz Rakhnaa;
Badii Duur Tak Raat Hii Raat Hogii;
Azal Taa Abd Tak Safar Hii Safar Hai;
Kahiin Subah Hogii Kahiin Raat Hogii!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein;
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ne Mohbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Useh Khuda Bana Dala;
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Rishte Iss Jahaan Mein Khaas Hote Hai;
Hawa Ke Rukh Se Jin Ke Ehsaas Hote Hai;
Yeh Dil Ki Kashish Nahi To Aur Kiya Hai Doston;
Door Reh Kar Bhi Woh Dil Ke Kitne Paas Hote Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Akhan Vich Hanju Vi Nahi;
Te Dilo Assi Khush Vi Nahi;
Kahda Hakk Jatayie Ni Kudiye;
Assi Taan Hun Tere Kuj Vi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho;
Tum Bhi Ghalib ! Kamaal Kartay Ho;
Dekh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa;
Chalo Kuch Tou Khayaal Kartay Ho;
Shehar -e- Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi;
Ye Bhi Mujh Say Sawaal Kartay Ho;
Marnaa Chaahain Toh Mar Nahe Saktay;
Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho;
Aab Kiss Kis Ki Misaal Doon Tum Ko;
Her Sitam Bay-Misaal Kartay Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Dosti Ki Dastaan Waqt Sunayega;
Hum Ko Bhi Koi Shaks Yaad Ayega;
Tab Bhool Jayenge Zindagi Ke Ghamon Ko;
Jab Aap Ke Saath Guzra Waqt Yaad Aayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamein To Kaatni Hai Sham-e-Gham Mein Zindagi Apni;
Jahan Woh Hain Wahin Aee Chaand Le Jaa Chaandni Apni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Mei Chhipi Yadoon Se Sawaraa Tujhe;
Tu Dekhe To Apni Ankhon Mei Utaru Tujhe;
Tere Naam Ko Labo Pe Aise Sajaya Hai;
So Bhi Jau To Khawbo Mein Pukaru Tujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Karm Bande De , Bande Nu Maar Dinde;
Vatti Sameh Ne Kade Vi Ghoori Ni Hundi;
Pyaar Samjan Wala Je Yaar Mil Jawe;
Jaan Deni Ishq Ch Jaruri Nhi Hundi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vasl Ho Jaye Yahaan, Hashr Men Kya Rakha Hai;
Aaj Kii Baat Ko Kyuun Kal Pe Uthaa Rakha Hai;
Mohtasib Puuch Na Tu Shiishe Men Kyaa Rakha Hai;
Paarsaaii Ka Lahuu Ismen Bhaara Rakhaa Hai;
Kahte Hain Aaye Javaani To Ye Chorii Nikle;
Mere Joban Ko Larakpan Ne Churaa Rakhaa Hai;
Is Taghaaful Men Bhii Sargam-e-Sitam Voh Aankhen;
Aap To Sote Hain, Fitnon Ko Jagaa Rakhaa Hai;
Aadmi-Zaad Hain Duniaa Ka Hasiin, Lekin Ameer;
Yaar Logon Ne Parii-Zaad Banaa Rakhaa Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood;
Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Chokat Par Jo Ik Deep Jala Rakha Hai;
Terey Laut Aanay Ka Imkan Saja Rakha Hai;
Rooth Jate Ho To Kuch Aur Hasin Lagtee Ho;
Yeh Soch Ke Tum Ko Khafa Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Do Mujh Par Kathin Guzre Hain Saari Umar Mein;
Ek Tere Aane Se Pehle Ek Tere Jaane Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Ko Unse Wafa Ki Hai Ummeed;
Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pal-Pal Ki Chahat Ne Mujhe Pal-Pal Tadpaya;
Har Pal Ki Tarah Es Pal Bhi Khud Ko Tanha Paya;
Bhula Bhi Dete Ush Pal Ko Ager Us Pal Uska Khayal Na Aaya Hota;
Kambkhat Har Pal Ki Taraha Aaj Ye Pal Bhi Mera Na Ho Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Ishq Har Koi Karda;
Ishq Gallan Naal Ni Kita Janda;
Ishq Ta Naam Hai Os Cheez Da;
Jehde Wich Dariya Vi Par Kita Janda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bol, Ki Lab Aazaad Hain Tere;
Bol, Zubaan Ab Tak Terii Hai;
Teraa Sutvaan Jism Hai Teraa;
Bol Ki Jaan Ab Tak Terii Hai;
Dekh Ki Aahan-Gar Kii Dukaan Men;
Tund Hain Sho'le, Surkh Hai Aahan;
Khulne Lage Quflon Ke Dahaane;
Phailaa Har Ek Zanjiir Kaa Daaman;
Bol, Yah Thoraa Waqt Bohat Hai;
Jism-o-Zubaan Kii Maut Se Pahle;
Bol Ki Sach Zindaa Hai Ab Tak;
Bol, Jo Kuchh Kahnaa Hai Kah Le!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Humne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jaenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum;
Aaya Bhi Aur Gaya Bhi Zamana Bahaar Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhse Door Ab Hum Jaa Nahi Sakte;
Tujhse Pyar Kitna Hai Ye Hum Bataa Nahi Sakte;
Humhe Maloom Hai Ye Zindagi Chaar Din Ki Hai Lekin;
Tere Bina Ye Chaar Din Hum Bita Nahi Sakte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Eh Zindagi Tera Sath Hovey;
Ehi Dua Har Ratt Hovey;
Naa Din Dhale Na Ratt Hovey;
Har Safar Vich Tu Mere Nal Hovey!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh Hasb-e-Aarzuu Na Milaa;
Kisii Ko Ham Na Mile Aur Ham Ko Tuu Na Milaa;
Ghizaal-e-Ashk Sar-e-Subah Duub-e-Mizhgaan Par;
Kab Apnii Aankh Khulii Aur Lahuu Lahuu Na Milaa;
Chamakte Chaand Bhii The Shahar-e-Shab Ke Aivaan Men;
Nigaar-e-Gham Saa Magar Koii Shamaa-Ruu Na Milaa;
Unhii Kii Ramz Chalii Hai Galii Men Yahaan;
Jinhen Idhar Se Kabhi Izn-e-Guftguu Na Milaa;
Phir Aaj Mai-Kada-e-Dil Se Laut Aaye Hain;
Phir Aaj Ham Ko Thikaane Ka Subuu Na Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat;
Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Umer Draaz Maang Kar Laahe Teh Chaar Din;
Do Aarzoo Me Kat Gahe, Do Intezaar Me!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Kuch Bhi Na Kahay To Pata Kya Hai;
Is Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai;
Unhein Ja Key Koi Kahey Hum Ley Lenge Zehar Bhi;
Woh Sirf Yeh To Bata Dain Meri Khata Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Doli Wich Beh Ke Thoda Jeha Royegi;
Pher Nave Sajna Naal Badaa Khush Hoyegi;
Yaaran Da Pyar Ohne Miti Naal Tol Dena;
Mapeyaan Da Ekala Putt Ghaaman Ch Rol Dena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hamaare Shauq Kii Yah Intehaa Thii;
Qadam Rakhaa Ki Manzil Raastaa Thii;
Bichhad Ke Daar Se Ban Ban Phiraa Voh;
Hiran Ko Apnii Kastuurii Sazaa Thii;
Kabhii Jo Khwaab Thaa Voh Paa Liyaa Hai;
Magar Jo Kho Gayii Voh Chiiz Kyaa Thii;
Main Bachpan Men Khilaune Todataa Thaa;
Mere Anjaam Kii Voh Ibtidaa Thii;
Mohabaat Mar Gayii, Mujhko Bhii Gam Hai;
Mere Achchhe Dinon Kii Aashnaa Thii;
Jise Chhuu Luun Main Voh Ho Jaaye Sonaa;
Tujhe Dekhaa To Jaanaa Bad-Duaa Thii;
Mariiz-e-Khwaab Ko To Ab Shafaa Hai;
Magar Duniyaa Badil Kadvil Davaa Thii!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jawani Ke Din Chamkille Ho Gaye;
Aur Husn Ke Tewar Nukile Ho Gaye;
Hum Izhaar Karne Me Thode Dhille Ho Gaye;
Aur Unke Hath Peele Ho Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba;
Haay Us Zood Pashemaan Ka Pashemaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aankhon Mein Kaun Aake Ilahi Nikal Gaya;
Kis Ki Talaash Mein Mere Ashk Rawaan Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khamosh Fiza Thi Saya Bhi Nahi Tha;
Is Duniya Mein Unsa Koi Aaya Bhi Nahi Tha;
Kis Jurm Mein Cheeni Gai Humse Hamari Hassi;
Humne To Kisi Ka Dil Dukhaya Bhi Nahi Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Oh Aaj Vi Mainu Pyar Kardi Ae;
Oh Aaj Vi Mainu Apne Dil Ch Vassai Rakh Di Ae;
Dardi Hai Oh Iss Samaaj De Reet Rewajan To;
Oh Aj Vi Kamli Meri Tasveer Nu Apne Seene Naal Lai Firdi Ae!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamanna Kis Qadar Sho'la Nafas Thii;
Hamaari Umar Jab Solah Baras Thii;
Hamesha Se Sag-e-Aazaar Rahii Hai;
Yeh Duniaa Kab Masiih-e-Khush-Nafas Thii;
Tumhen Chhuu Kar Hamaaraa Laut Aanaa;
Taqaddus Thaa K Tahzib-e-Havas Thii;
Koii S Sha'i Ab Haath Aati Nahin Hai;
Kabhii Har Sha'i Pe Apnii Dast-Ras Thii;
Main Khush-Fahmii Men Jannat Chhor Aayaa;
Meri Kaaya Mera Kunj-e-Qafas Thii!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Ashq Aankhon Mein Qasid Kis Liye Ekdam Nahin Thamta;
Dil-e-Betaab Kaa Shayad Liye Maktoob Jaata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai;
Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Supna Nahi Mera Jo, Tainu Paun Lai Ardaas Kara;
Tu Mout Nahi Meri Jo, Tere Aaun Da Intzaar Kara!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha;
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya;
Magar Doston Ek Din Badala Lunga;
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Hii To Hai, Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyuun;
Royenge Ham Hazaar Baar, Koii Hamen Sataaye Kyuun;
Dair Nahiin, Haram Nahiin, Aastaan Nahiin;
Baithe Hain Rahguzar Pe Ham, Ghair Hamen Uthaaye Kyuun;
Qaid-e-Hayaat-o-Band-e-Gham Asl Men Donon Ek Hain;
Maut Se Pahale Aadmii Gham Se Najaat Paaye Kyuun;
Jab Voh Jamaal-e-Dil-Faroz, Surat-e-Meher-Neemroz;
Aap Hii Ho Nazara-Soz, Parde Men Munh Chhupaaye Kyuun;
Dashna Ghamza Jaansitaan, Naavak-e-Naaz Be-Panaah;
Teraa Hii Aks-e-Rukh Sahil Saamne Tere Aaye Kyuun;
Ghaalib-e-Khastaa Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain;
Roiye Zaar Zaar Kyuun? Kiijiye Haay, Haay Kyuun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki;
Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aah Hoti Mere Lab Par Na Yeh Nalah Hota;
Ek Bhi Toone Jo Armaan Nikaala Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Gila, Koi Shikwa Na Rahe Aapse;
Yeh Aarzoo Hai Ki Silsila Rahe Aapse;
Bas Is Baat Ki Badi Umeed Hai Aapse;
Khafa Na Hona Agar Hum Khafa Rahein Aapse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dila Kise Nu Apna Banaie Na;
Hadh To Vadd Aakhan Vich Sapne Sajhaie Na;
Dhokha De Jande Ne Sab;
Kise Nu Apna Keh Ke Apna Aap Guwai Na!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mashhuur Kar Duun;
Mere Saada Dil Tujh Ko Maghruur Kar Duun;
Tere Dil Ko Milne Kii Khud Aarzuu Ho;
Tujhe Is Qadar Gham Se Ranjuur Kar Duun;
Mujhe Zindagii Duur Rakhti Hai Tujh Se;
Jo Tuu Pass Ho To Use Duur Kaar Duun;
Mohabbat Ke Iqraara Se Sharm Kab Tak;
Kabhii Saamnaa Ho To Majbuur Kar Duun;
Ye Be Rangiyaan Kab Tak E Husn-E-Rangiin;
Idhar Aa, Tujhe Ishq Men Chuur Kar Duun;
Tuu Gar Saamne Ho To Main Bekhudii Men;
Sitaaron Ko Sajde Pe Majbuur Kar Duun;
Nahiin Zindagii Ko Vaffa Varnaa Akhtar;
Mohabbat Se Duniyaa Ko Maamuur Kar Duun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona;
Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ko Pighlaata Hua, Aankhon Ko Garmaata Hua;
Phir Khayaal-e-Yaar Aaya Aag Barsaata Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kamjoriya Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere;
Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bin Tere Hun Rah, Sade Muk Chale;
Assi Koshish Kiti, Tenu Paun Layi;
Par Saah Hun Sade, Muk Chale;
Sade Pyaar Nu Paani Kon Deve;
Assi Tute Darakhta Vangu Suk Chale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qurbaton Men Bhii Judaaii Ke Zamaane Maange;
Dil Vo Be-Mehar Ki Rone Ke Bahaane Maange;
Ham Na Hote To Kisii Aur Ke Charche Hote;
Khilqat-e-Shahar To Kahne Ko Fasaane Maaange;
Yahii Dil Thaa Ki Tarastaa Thaa Maraasim Ke Liye;
Ab Yahii Tark-e-Taalluq Ke Bahaane Maange;
Apnaa Ye Haal Ki Jii Haar Chuke, Lut Bhii Chuke;
Aur Mohabbat Vahii Andaaz Puraane Maange;
Zindagi Ham Tere Daaghon Se Rahe Sharminda;
Aur Too Hai Ki Sadaa Aaina-Khaane Maange;
Dil Kisii Haal Pe Qaanay Hi Nahiin Jaan-e-Faraaz;
Mil Gaye Tum Bhii To Kyaa Aur Na Jaane Maange!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekhte Hai Ab Kis Ki Jaan Jaayegi;
Usne Meri Aur Maine Uski Kasam Khayi Hai!
ISHQ / MISCELLANEOUS
Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib';
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhko Aashiq Kahke Uske Roo Baroo Mat Kijiyo;
Dostaan ! Gar Dost Ho To Yeh Kabho Mat Kijiyo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Behte Aashkon Ki Zubaan Nai Hoti;
Lafzon Mein Mohhabat Bayaan Nai Hoti;
Mile Jo Pyar To Kadar Karna;
Kismat Har Kisi Par Maherban Nai Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Langh Gaya Hor Ik Saal Tere Bina;
Zindagi Tan Ban Gyi Swaal Tere Bina;
Bada Kujh Paya, Bada Kujh Khoeya;
Bas Pyaar Da Hi Reh Gya Malaal Tere Bina!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Voh Duroondon Ke, Salaamon Ke Nagar Yaad Aaye;
Na'atein Parhte Hue, Qasbaat Ke Ghar Yaad Aaye;
Shaam Ke Baad Kachehri Ka Thakaa Sanaataa;
Begunaahii Ko Adaalat Ke Hunar Yaad Aaye;
Ghar Ki Masjid Mein Woh Nuuraani Se Chehre;
Khaanqaahon Mein Duaaon Ke Shajar Yaad Aaye;
Mere Seene Mein Koi Saans Chubhaa Karti Hai;
Jaise Mazduuron Ko Pardes Mein Ghar Yaad Aaye;
Kitne Khat Aaye Gaye, Shaakh Mein Phoolon Kii Tarah;
Aaj Daryaa Mein Chiraagon Ke Safar Yaad Aaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Roz Yeh Bhi Rang Raha Intezar Ka;
Aankh Uth Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naa Jana Ki Duniya Se Jata Hai Koi;
Bahut Der Ki Mehrban Aate Aate!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Karta Raha Fareb Koi Saadgi Ke Saath;
Itna Bada Mazaak Meri Zindagi Ke Saath;
Shaayad Mili Saza Mujhe Is Jurm Ki;
Ho Gaya Tha Jo Pyaar Mujhe Ek Ajnabi Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Tarasde Naine Di Pyaas Nahio Mukni;
Teriya Yaadan Di Hundi Eh Barsaat Nahio Mukni;
Saah Ruk Jane Jind Muk Jaani;
Par Tenu Paun Di Pyaas Nahio Mukhni!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein;
Kiski Bani Hai Aalam-e-Naa Paaidaar Mein;
Kah Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein;
Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein;
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din;
Do Aarzoo Mein Kat Gaye, Do Intezaar Mein;
Kitna Hai Badnasib Zafar Dafan Ke Liye;
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Kuu-e-Yaar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gham Ish Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya;
Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya;
Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan;
Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Beekne Pe Aaa Jao To Daam Ghat Jate Hai Aksar;
Naa Bikne Ka Irada Ho To Keemat Aur Bhadtee Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Yaad Mein Pal Pal Marta Hai Koi;
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi;
Fursat Mile To Tanhai Mein Sochna;
Kitni Khamosh Mohabbat Tum Se Karta Hai Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Sath Uska Chaha Tu Sham -o-Sehar Mila;
Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila;
Thi Zindagi Mai Dhop Ki Chadar Tani Hui;
Saya Dia Hai Ishq Ka Aesa Shjar Mila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khud Ko Kyuun Jism Kaa Zindaan Karen;
Fikar To Takht-e-Sulemaani Karen;
Der Tak Baith Ke Sochn Khud Ko;
Aaj Phir Ghar Mein Biyaabaani Karen;
Apne Kamre Mein Sajaayen Aafaaq;
Jalsa-e-Be-Sar-o-Saamaani Karen;
Umar Bhar Sher Kahen Khuun Thuuken;
Muntakhib Raasta-e-Nuqsaani Karen;
Khud Ke Liye Mol Len Izhaar Ka Qarz;
Duusron Ke Liye Aasaano Karen;
Sher Ke Lab Pe Khamoshi Likhen;
Harf-e-Naa-Guftaa Ko Laa-Saani Karen;
Kimiyaakaari Hai Fan Apnaa Saaz;
Aag Ko Baithe Hue Paani Karen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gazab Kiyaa, Tere Vaade Pe Aitabaar Kiyaa;
Tamaam Raat Qayaamat Kaa Intezaar Kiyaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Daag Daman Ke Ho, Dil Ke Ho Ke Chehre Ke Faraz;
Kuch Nishan Waqt Ki Raftar Se Lag Jate Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Nai Kehndi Rabba Menu Pyaar Baksh De;
Koi Sohna Jeha Chaun Wala Yaar Baksh De;
Bas Eni Ku Tamana Esh Toote Hoye Dil Di;
Jehra Chori Chori Takke Dildaar Baksh De!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khayal Jiska Tha Mujhe, Khayal Mein Mila Mujhe;
Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Mujhe;
Kisiko Apne Amal Ka Hisab Kya Dete;
Sawal Sare Galat The Jawab Kya Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Toh Kya Hai';
Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai;
Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal;
Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai;
Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan;
Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai;
Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga;
Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai;
Rahee Na Taaqat-e-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee;
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Tak Suney Gi Raat Kahan Tak Sunayen Ge Hum;
Shikwey Saarey Sabb Aaj Tere Rubaruu Karain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib;
Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai;
Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai;
Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya;
Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Assi Ronde Vi Han Kurlaunde Vi Han;
Teri Yaad Ch Hanju Vahaunde Vi Han;
Par Tu Ki Jane Saar Sadi;
Asin Jaano Vadh Tainu Chahunde Vi Han!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Janoon Kaar Farma Hua Chaahta Hai;
Qadam Dasht Paima Hua Chaahta Hai;
Dam-e-Girya Yeh Kiska Tasawur Hai Dil Mein;
Keh Ashkon Se Darya Baha Chaahta Hai;
Khat Aane Lage Shikwa Aamez Unke;
Milaap Un Se Goya Hua Chaahta Hai;
Abhi Lene Paae Nahin Dam Jahan Mein;
Ajal Ka Taqaaza Hua Chaahta Hai;
Bahut Chain Se Din Guzarte Hain, Hali;
Koi Fitna Barpa Hua Chaahta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoop Mein Niklo, Ghataon Mein Nahaa Kar Dekho;
Zindagi Kya Hai, Kitabon Ko Hataakar Dekho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Daaman-e-Dil Par Daag-e-Mayusi Nahee Aaya;
Udhar Vaada Kiya Usne, Idhar Dil Ko Yakeen Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pahunchi Jis Waqt Khabar Uski Mujhe Aane Ki;
Sudh Rahi Mujh Ko Na Apne Ki Na Begane Ki!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Ke Dil Mein Basna Bura To Nahi;
Kisi Ko Dil Mein Basana Khata To Nahi;
Hain Ye Zamane Ki Nazar Me Bura To Kya Hua;
Zamane Wale Bhi Insaan Hai Khuda To Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sadi Kalam To Dard Bayaan Naa Hunda;
Je Tu Ajj Gairan Diya Mehfilan Di Shaan Naa Hundi;
Assi Vi Jeyonde Ikk Pyar Wali Zindagi;
Je Teriyan Khushiyan Da Swaal Naa Hunda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rang-e-Sharaab Se Meri Neeat Badal Gai;
Waaiz Ki Baaten Rah Gaien, Saqi Ki Chal Gai;
Tayyaar The Namaaz Pe Hum, Sun Ke Zikr-e-Hur;
Jalwa Buton Ka Dekh Ke Neeat Badal Gai;
Machhli Ne Dhil Paai Hai, Luqme Pe Shaad Hai;
Sayyad Mutmain Hai Keh Kaanta Nigal Gai;
Chamka Tira Jamaal Jo Mahfal Mein Waqt-e-Shaam;
Parwana Be-Qaraar Hua, Shama Jal Gai;
Uqwa Ki Baaz Purs Ka Jaata Rha Khayaal;
Duniya Ki Lazzaton Mein Tabiat Bahl Gai;
Hasrat Bahut Taraqqi-e-Dukhtar Ki Thi Unhen;
Purdah Jo Uth Gaya, Tau Woh Aakhir Nikal Gai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hai Soa Tadbeere;
Maut Kuch Tum Toh Nahi Ho Ki Bula Bhi Na Saku!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali'n;
Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kitne Aansu Baha Diye Hain Iss Char Din Ki Mohabbat Mein;
Kaash Sajde Mein Bahate To Aaj Gunahoan Se Paak Hote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sadi Kalam To Dard Bayaan Naa Hunda;
Je Tu Ajj Gairan Diya Mehfilan Di Shaan Naa Hundi;
Asi Vi Jeyonde Ikk Pyar Wali Zindagi;
Je Teriyan Khushiyan Da Swaal Naa Hunda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-Makaan Ke Hain;
Mujhe Se Kahan Chhipenge, Woh Aise Kahaan Ke Hain;
Karte Hain Qatal Woh, Talab-e-Maghfarat Ke Baad;
Jo The Duaa Ke Haath, Wohi Imtehaan Ke Hain;
Jis Din Se Kuchh Sharik Hui Meri Musht-e-Khaak;
Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain;
Kaisa Jawaab, Hazrat-e-Dil, Dekheye Zaraa;
Paighambar Ke Haath Mein Tukre Zabaan Ke Hain;
Kya Iztaraab-e-Shauq Ne Mujh Ko Khajil Kiya;
Woh Puchhte Hain, Kaheye, Iraade Kahaan Ke Hain;
Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kisqadar Tabaah;
Puchha Har Ek Ne Yeh Musaafir Kahan Ke Hain;
Har Chand Dagh Ek Hi Ayyar Hai, Magar;
Dushman Bhi Tau Chhate Hue Saare Jahaan Ke Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Tum Gor Se Dekho Aaina;
Wah Wah!
Kabhi Tum Gor Se Dekho Aaina;
Khud Hi Hanskar Kahoge...
Made in China!
Made in China!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi;
Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein Yakeenan;
Aab Woh Mujhe Andaaz Se Nahi, Andaaze Se Pehchante Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Un Dino Meri Shaksiyat-o-Aawargi Ke Charche Aam Hote Rahe;
Kuch Chubhte Alfaazon Ko Labon Pe Thaam Hum Bhi Be-Aaaraam Hote Rahe;
Waqt Ki To Yun Bhi Fitrat Hai Apni Raftaar Mein Chalne Ki;
Vo Apne Andaaz Mein Chalta Raha Aur Hum Badnaam Hote Rahe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Firaaq-o-Arzoo Mein Katt Ti Rahi Zindagi Meri;
Aab Toh Saansey Bhi Bhojh Ban Gayi Ho Jaise!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kah Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Hui;
Haae Kaise Is Bhari Mahfal Mein Ruswaai Hui;
Aaeene Mein Har Ada Ko Dekh Kar Kahte Hain Woh;
Aaj Dekha Chaaheye Kis Kis Ki Hai Aai Hui;
Kah Tu Ai Gulcheen, Aseeraan-e-Qafas Ke Waaste;
Tor Lun Do Chaar Kalian Main Bhi Murjhaai Hui;
Main Tau Raaz-e-Dil Chhipaaun, Par Chhipa Rahne Bhi De;
Jaan Ki Dushman, Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui;
Ghamza-o-Naaz-o-Ada Sab Mein Hai Haya Ka Lagaao;
Haae Re Bachpan, Keh Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui;
Wasl Mein Khali Hui Aghiyaar Se Mahfal Tau Kya;
Sharm Bhi Jaae Tau Mein Jaanun Keh Tanhaai Hui;
Gard Uri Aashiq Ki Turbat Se Tau Jhunjala Ke Kaha;
Wah Sar Charhne Lagi, Paaon Ki Thukraai Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhe Khabar Hai Tere Teer-e-Bepanah Ki Khair;
Bahut Dino Se Dil-e-Natwan Nahi Milta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
Halaat Na The Aese Teri Mulaqat Se Pehle;
Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The;
Hum Bhi Kitne Saada The Muhabbaton Ke Tajurbat Se Pehle!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai;
Agarche Dil Pe Kharabi Guzri Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaand To Nikla Hai Magar Ye Raat Na Hai Pehli Si;
Ye Mulakat Mulakat Na Hai Pehli Si;
Ranj Kuch Kam To Hua Aaj Milne Se;
Ye Alag Baat Hai Ke Ye Baat Na Hai Pehli Si!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jandi Jandi Har Raaz Apne Naal Le Gayi;
Jandi Jandi Di Chupi Sanu Kuch Keh Gayi;
Keh Gayi Dil Todna Sadi Majboori Nahi Sadi Aadat Ae;
Teri Eho Aadat Sadi Jaan Kad Ke Le Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten;
Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein;
Phir Mujhe Le Chala Udhar, Dekho;
Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten;
Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum;
Kis Maze Se Itaab Ki Baaten;
Mujh Ko Ruswa Karegi Khub, Ai Dil;
Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten;
Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan;
Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten;
Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein, Ai Zauq;
Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Gum Hua Dil-e-Begaan-e-Siraj;
Shayad Ke Jaa Laga Hai Kisi Aashna Ke Hath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Bahein Humein Jab;
Apni Panahon Mein Bulathi Hein;
Humein Apni Kasam Hum;
Har Sahara Bhool Jatey Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai;
Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Te Zakham Dain Wala Apna Si;
Sanu Rulan Wala Apna Si;
Hun Ki Kisse Te Ilzaam Lawa Main Hun;
Jad Sanu Jinde Jee Maaran Wala Vi Apna He Si!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bichad Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai;
Adhura Chand Bhi Kitana Udas Lagata Hai;
Ye Vasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh;
Ke Is Ke Bad Wohi Duriyon Ka Sahara Hai;
Kuch Aur Der Na Jhadata Udasiyon Ka Shajar;
Kise Khabar Tere Saye Mein Kon Baitha Hai;
Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko;
Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai;
Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakati Hai;
Tera Badan Hai Ke Ye Aainon Ka Dariya Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahaa Baithe Mukaam-e-Dil Samajhkar;
Uthaaya Dard Ne Ghaafil Samajhkar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Ho Sake Toh Chale Aao Aaj Meri Taraf;
Mile Bhi Der Hui Aur Jee Bhi Udaas Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Gaya Raunak-e-Hayat Gai;
Gumm Gaya Saari Kayanaat Gai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tohfe Mai Mat Gulaab Lekar Aana;
Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana;
Bahot Pyaasa Hoon Barso'n Se Main;
Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana!
SAAKI AUR SHARAAB
Rabb Janda Ohda Mera Ki Rishta;
Jisnu Har Pal Milan Nu Jee Karda;
Saari Duniya Toh Lagda Bhola Jeha Chehra;
Jihnu Tak Tak Na Dil Bharda!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Muhabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;
Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;
Umr Bhar Jin Ke Vafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon;
Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jagmagaate Shehar Ki Raaniyon Mein Kya Na Tha;
Dhoondne Nikla Jisko Bus Wohi Chehra Na Thaa;
Hum Wahi Tum Bhi Wahi, Mausam Wahi Manzar Wahi;
Faansle Badh Jaaege Itne Kabhi Socha Na Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti;
Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya;
Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Eithay Kinnu Maan Wafawan Da;
Te Kinnu Naaz Addawan Da;
Assi Peele Pattay Darakhtaan Day;
Sanu Rehnda Khauf Hawawaan Da!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jahan Weeraana Hai Pahle Kabhi Aabad Yaan Ghar The;
Shaghaal Ab Hai Jahan Baste, Kabhi Bashar Yaan The;
Jahan Chatial Hai Maidan Aur Sarasar Ek Khaaristan;
Kabhi Yaan Qasar-o-Oaiwan The, Chaman The Aur Shajar Yaan The;
Jahan Phirte Bagoole Hain, Unraate Khak Sahra Mein;
Kabhi Urti Thi Daulat, Raqas Karte Seembar Yaan The;
Jahan Hain Sang Reze, The Yahaan Yaaqut Ke Taude;
Jahan Kankar Pare Hain Ab, Kabhi Rulte Gohar Yaan The;
Jahan Sunsaan Ab Jungle Hai Aur Hai Sher-e-Khamoshan;
Kabhi Kya Kya The Hangaame Yahan, Aur Shor-o-Shar Yaan The;
Jahan Ab Khak Par Hain Naqash-e-Paae-Aahu-e-Sahra;
Kabhi Mahw-e-Tamasha Deeda-e-Ahl-Enazar Yaan The;
Zafar Ahwaal Aalam Ka Kabhi Kuchh Hai, Kabhi Kuchh Hai;
Ke Kya Kya Rang Ab Hain Aur Kya Kya Peshtar Yaan The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aukhe Vehle Ik Ik Karke Sare Tur Gae;
Pallah Tu V Jeh Chudha Leya Taan Koi Gal Nai;
Main Reh Geya Waa Jaag Lai Majak Ban Ke;
Thoda Tu V Je Udda Lea Ta Koi Gal Nai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Khel Hai Aurag-e-Sulemaan, Mere Nazdeek;
Ik Baat Hai Ajaaz-e-Maseeha Mere Aage!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baske Hun Ghalib Asiri Men Bhi Atish Zer Pa;
Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Mein Jo Hum;
Chahte Hai Wo Aasani Se Nahi Milta;
Lekin Zindagi Ka Sach Yeh Hai Ki;
Hum Bhi Wohi Chahte Hai, Jo Aasan Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa;
Laga Ke Barf Mein, Saqi, Surahi-e-Mai Laa;
Qadam Ko Haath Lagaata Hun, Uth Kahin, Ghar Chal;
Khuda Ke Waste, Itne Tau Paaon Mat Phaila;
Nikal Ke Wadi-e-Wahshat Se Dekh, Ai Majnun;
Ke Zor Dhun Mein Ab Aata Hai Naaqa-E-Laila;
Gira Jo Haath Se Farhad Ke Kahin Teesha;
Daroon-e-Koh Se Nikli Sada-e-Wavela;
Nazakat Uske Mukhre Ki Dekho, Insha;
Naseem-e-Subh Jo Chhoo Jaae, Rang Ho Maila!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jise Naseeb Ho Roz-e-Seah Mera Sa;
Woh Shakhs Din Na Kahe Raat Ko, Tou Kyonkar Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Hansi Me Chupe Dard Ko Mehsus Ko Kar Dost;
Woh Kyu Yoohi Hans-Hans Ke Khud Ko Saza Deta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khabar Liaya Hai Hua Mere Us Yaar-e-Jaani Ka;
Khushi Ka Waqt Hai Zaahir Karun Raaz-e-Mihaani;
Mire Jeu Aarsi Mein Khayal Tuj Mukh Ka So Dista Hai;
Kare O Khayal Munj Dil Mein Nishani Zar Fishani Ka;
Chita Ho Ishq Ke Jungle Mein Baitha Hai Dari Le Kar;
Liya Hai Jhaanp Son Aahu Naman Dil Mujh Ayyaani Ka;
Khuda Ka Shuk: Hai Tuj Saltanat The Kaam Paya Hun;
Dande Dushman Ke Mukh Par Peota Mai Arghawani Ka;
Chhabeele Mast Saqi Ke Pichhein Dauren Sau Makhmuraan;
Pila Do Mai Hawa Ab Tau Hua Hai Gul Fishani Ka;
Do Tin Afsun Ke Baare The Haman Kon Kuch Nahin Dar Hai;
Hamare Deewe Kon Hai Roshni Sahib Quraani Ka;
Pare Dumbaal Mein Mere So Us Nainaan Ke Dumbaale;
Khudaya Ishq Mushkil Hai Bharm Rakh Tu Maani Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh;
Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naqsh Faryadi Hai Kis Ki Shokhi Takhir Ka;
Kaghazi Hai Pairahan Her Paikar-e-Tasvir Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saza na Do Muje Beqasur Hoon Mein;
Tham Lo Muj Ko Gamon Se Choor Hoon Mein;
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe;
Or Logon Ka Kehna He K Magroor Hoon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Zindagi Mili Na Wafa Mili;
Najaane Har Khushi Humse Khafa Mili;
Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chhupaate Hain;
Sachi Mohabbat Karne Ki Bhi Kiya Khoob Saza Mili!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aadam Ka Jism Kab Ke Anaasir Se Mil Bana;
Kuchh Aag Bach Rahi Thi, So Aashiq Ka Dil Bana;
Sar Garam-E-Nala In Dinon Main Bhi Hoon, Andleeb;
Mat Aashian Chaman Mein Mere Mutsil Bana;
Jab Teesha Kohkan Ne Liya Haath, Tab Yeh Ishq;
Bola Ke Apni Chhati Pe Dharne Ko Sil Bana;
Jis Teergi Se Roz Hai Ushaaq Ka Seaah;
Shaaid Usi Se Chehre-E-Khubaan Pe Til Bana;
Lab Zindagi Mein Kab Mile Us Lab Se, Ai Kalaal;
Saagar Hamaari Khaak Ko Math Karke Gil Bana;
Apne Hunar Dikha Denge Hum Tujhko Sheesha Gar;
Toota Hua Kisi Ka Agar Hum Se Dil Bana;
Sun Sun Ke Arz-E-Haal Mera Yaar Ne Kaha;
Sauda Na Baaten Baith Ke Yaan Mutsil Bana!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khabre Laggi Nazar Kehdi Jo Eh Bhaane Wart Gaye;
Jo Rooh To V Nede Hunde C, Oh Milan Nu V Taras Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jate Hain;
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain;
Tu Zindagi Mein Sub Se Azeez Hai Hamain;
Tujhse Her Baar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maktab E Ishq Ka Dastor Nirala Dekha;
Osko Chutti Na Mile Jisne Sabaq Yad Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊⬊Takmeel E Zoq E Ishq Ko Ik Umar Chahiye;
Barsoon Teri Nigah Ne Darse Wafa Diya;
Parhati Hai Mujh Par Sare Zamane Ki Ubb Nazar;
Mujh Ko Teri Nigah Nae Tujh Sa Bana Diya⬋⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai;
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai;
Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai;
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai;
Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge;
Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge;
Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena;
Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena;
Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se;
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke;
Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona;
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona;
Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge;
Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qabr Ki Mitti Haath Mein Liye Soch rahi Hoon;
Log Marte Hain To Guroor Kahan Jata Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mainu Aas Nahi C Ke Tu Enj Chad Jana C;
Eh Sahaan Da Rishta Enj Tod Jana C;
Ki Mileya Tainu Enj Mainu Nu Ujaad Ke Yaara;
Mainu Ujaad Ke Kehra Taniu Rabb Mil Jana C⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Ek Sawal Ka Usko Jawab Kya Dete;
Hum Apni Zaat Ka Usko Hisaab Kya Dete;
Jo Ek Lafz Ki Khushbo Na Rakh Saka Mehfooz;
Hum Ush K Haath Mai Pori Kitaab Kya Deete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanha Hu Is Dard Mohabbat Mein;
Meri Tarah Behaal Tum Bhi Ho;
Hum Hai Kisi Ujhde Hue Shahar Ki Misaal;
Aankhen Bata Rahi Hai Ki Viraan Tum Bhi Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Shakhs Ek Choti Si Bat Pe Yoon Rooth Ke Chal Dia;
Jese Useh Sadiyo Se Kisi Bahane Ki Talash Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Jo Hai Hukam Mere Pas Na Aaye Koi;
Is Liye Ruth Rahe Hain Ki Manaye Koi;
Tak Mein Hai Nigah-E-Shauq Khuda Khair Kare;
Samane Se Mere Bachata Hua Jaye Koi;
Hal Afalaq-O-Zamin Ka Jo Bataya Bhi To Kya;
Baat Wo Hai Jo Tere Dil Ke Bataye Koi;
Aapane 'dag' Ko Muh Bhi Na Lagaya Afsos;
Us Ko Rakhta Tha Kaleje Se Lagaye Koi;
Ho Chuka Aish Ka Jalasa To Mujhe Khat Bheja;
Aap Ke Tarah Se Mehaman Bulaye Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Gille Kagaj Te Likhe Akhar Vargi Ae Sadi Jind Sajna;
Jehnu Padna Vi Kise Nahi Te Jalouna Vi Kise Nahi;
Bina Tel De Devee Vargi Ae Hasti Tere Bin Sivia Di;
Jehnu Chuna Vi Kise Nahi Te Jagouna Vi Kise Nahi⬊⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ki Kitaab Ka Panna Churaa Legae Tum;
Aankhon Se Neendh Uda Legae Tum;
Teri Yaad Me Tadapne Ki Aadat Nahin Thi Mujhe;
Apni Yaadon Se Tadpaane Sikha Gaye Tum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz;
Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz;
Yeh Dil Hai Kitni Fursat Se Sochta Hai Useh!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wafa Ke Khwab Muhabbat Ka Aasara Le Ja;
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya Le Ja;
Maqam-E-Sud-O-Ziyan Aa Gaya Hai Phir Janan;
Yeh Zakhm Mere Sahi Tir To Utha Le Ja;
Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yahi Karam Tera;
Ki Bund Bund Ata Kar Ghata Ghata Le Ja;
Gurur-E-Dost Se Itna Bhi Dilshikasta Na Ho;
Phir Uth Ke Samane Daman-E-Iltaja Le Ja;
Nadamaten Hoon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai;
Faraz Jaan Ke Evaz Aabaru Bacha Le Ja!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh To Zameen Ki Fitrat Hai Har Cheez Sokh Leti Hai;
Warna Hamare Aansuon Ka Bhi Ik Alag Hi Samander Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uski Hansi Mein Chupe Dard Ko Mehsus Kar Dost;
Woh Kyu Yunhi Hans-Hans K Khud Ko Saza Deta Hai!
I~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai;
Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai;
Zindagi Me Kabhi Muskurane Ki Dua Na Dena;
Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mere Pyar Ka Kis Qadar Mazak Udha Gaya;
Ke Muje Muhabbat Karne Ki Saza Suna Gaya;
Humne Muhabbat Ka Agaz Ush Se Hi Kiya Tha;
Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Ishq Ke Intaha Chahata Hoon;
Meri Sadagi Dekh Kya Chahata Hoon;
Sitam Ho Ki Ho Vada-E-Behijabi;
Koi Baat Sabr-Azama Chahata Hoon;
Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko;
Ki Main Aap Ka Samana Chahata Hoon;
Koi Dam Ka Mehaman Hun Ae Ahal-E-Mahafil;
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahata Hoon;
Bhari Bazm Mein Raaz Ke Baat Kah Di;
Bada Be-Adab Hun, Saza Chahata Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sirf Chehre Ki Udaasi Se Bhar Aaye Ansoon;
Dil Ka Alam To Abhi Aap Ne Dekha Hi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Mein Jism Haan Tu Rooh Hai Meri;
Dil Hai Mera Dhadkan Hai Teri;
Pyaar Kardi Hai Merenaal Ta Dasdi Kyu Nahi;
Kyu Kardi Hai Baatan Vich Inni Deri⬋⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisne Haq Diya Mujhe Muskurane Ka;
Ushe Shauk Hai Ab Muje Rulane Ka;
Jo Lehro Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par;
Intzaar Ha Ushe Ab Mere Doob Jaane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiq Pagal Ho Jate Hai Pyar Mein;
Baki Kasar Puri Ho Jati Hai Intezar Mein;
Magar Ye Fouzii Dilruba Nahi Samajhti;
Golgappe Khati Firti Hai Baazar Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai;
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai;
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai;
Yeh Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Nahi Toh Zindagi Mien Ujala Kaisa;
Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke Jaise;
Sadma Toh Hai Tu Mere Sang Nahi;
Haste Chehre Pe Yeh Hamare Muskarana Kaisa;
Jeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke Sath;
Sath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana Kaisa;
Ya Khuda Yhe Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai Chahat;
Hum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Yeh Intezaar Kaisa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyar Karn Da Maza Tad Aaunda Hai Jad Dona Dilan Vich Khich Hove;
Vekho Vekh Lagan Tir Sine Jakhm Do Te Dard Ik Hove;
Door Door Tak Bhaven Hon Galan, Galan Do Te Matlab Ik Hove;
Bhave Duniya Juda Kar Deve Lashan Do Te Kafan Ik Hove!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Paas Hote Hain Jab Wo Mere Toh Koi Mozu-E-Guftagoo Nahi;
Door Hote Hain Toh Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Khamosh Teh Hum To Magroor Samaj Liya;
Chup Hai Hum To Majboor Samaj Liya;
Yehi Aap Ki Khushnasibi Hai Ke Hum Itne Qarib Hain;
Phir Bhi Aap Nay Door Samajh Liya⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aya Hai;
Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chareya Rehnda C Tere Pyaar Da Suroor Kadi;
Hunda C Sanu Teri Yaari Te Gharoor Kadi;
Maar Diti Thokar Sanu Gali De Rorre Vaango;
Socheya Nahi C Tu Hovega Enna Maghroor Kadi;
Haar Gaye Haan Dil Haathon Aaj Assi Tere Kar K;
Zindgi Vich Hoye Nahi Assi Enna Majhboor Kadi;
Kyon Banaya Tu Tamasha Yaara Saday Sache Pyaar Da;
Mileya Taan Eh Taanu Pucha Gain Zaroor Kadi;
Bhavain Tor Gea Sade Naal Tu Yaari Aaj;
Par Hovega Na Yaara Sade Dil Ton Tu Dur Kadi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Kare Kisi Ko Judai Na Mile;
Wah Wah!
Khuda Kare Kisi Ko Judai Na Mile;
Aur Jo Group Main Message Na Kare Usse Thand Me Rajai Na Mile!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Oh Bewafa Hoke Vi Bekasoor Hoge;
Assi Wafa Karke Vi Badnaam Hoge;
Oh Dil Tod Ke Sada Begunaah Hoge;
Te Assi Begunaah Hunde Hoae Vi Gunaahgar Hoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisne Haq Diya Muje Muskurane Ka;
Ushe Shauk Hai Ab Muje Rulane Ka;
Jo Lehron Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par;
Intzar Ha Use Ab Mere Dub Jane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jate Hain;
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain;
Tu Zindagi Mein Sub Se Azeez Hai Humain;
Tujhse Her Baar Yeh Kehna Bhool Jaatay Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Woh Ruksat Huyi To Ankh Milakar Nahi Gayi;
Woh Q Gayi Yeh Batakar Nahi Gayi;
Lagta Hai Wapis Abhi Laut Ayegi;
Woh Jate Huwe Chirag Bujhakar Nahi Gayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈Yeh Kya Jane Maine Jana Hai, Jate Ho Khafa Hokar;
Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;
Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthakar Khak Aankhon Tak;
Ishi Raste Gaya Hai Hasaraton Ka Kafila Hokar;
Tumhin Ab Dard-E-Dil Ke Naam Se Ghabraye Jate Ho;
Tumhin To Dil Mein Shayad Aaye The Dard-E-Ashiyan Hokar;
Yoon Hi Hamdam Ghadi Bhar Ko Mila Karte To Bahatar Tha;
Ke Dono Waqt Jaise Roz Milate Hain Juda Hokar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jandi Jandi Har Raaz Apne Naal Le Gai;
Jandi Jandi Di Chupi Sanu Kuch Keh Gai;
Keh Gai Dil Todna Sadi Majboori Nahi Sadi Aadat Ae;
Teri Eho Aadat Sadi Jaan Kad Ke Le Gai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khuda Kare Ke Naya Sal Aap Ko Raas Aa Jaye;
Jisse Aap Chahte Ho Woh Aap Ke Pass Aa Jaye;
Aap Sara Sal Kanware Na Rahein;
Aap Ka Rishta Le Kar Aap Ki Saas Aa Jaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Lamha Waqat Guzar Jayega;
Ik Din Bad Naya Sal Aayega;
Aaj Hi Ap Ko `HAPPY New Year` Wish Kar Doon;
Warna Bazzi Koi Or Marr Jayega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai;
Zakham Dekar Kahte Hain Ab Hal Kaisa Hai;
Zehar Dekar Kahte Hai Ab Pina Hi Hoga;
Aur Jab Pi Liya To Kahte Hain Jina Hi Hoga;
Yehi Hai Dosto Pyar Ki Kahani Haste Haste Phir Rona Hi Hoga⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Riste Hue Zakhm Kisko Dikhane Nikle;
Haath Me Namak Liye Malham Lagane Nikle;
Baroodi Surangon Se Uda Do Chuppi;
Ajnabi Kaise Tere Gam Se Begane Nikle;
Hum Se Bedari Ka Sabab Poochne Wale;
Aankhon Se Meri Neend Churane Nikale;
Sangshari Ka Ajab Shouq Wahan Ya Rabba;
Unke Har Nishane Pe Meri Sou Jaanen Nikle;
Meri Taqdeer Ke Sooraj Ko Jagane Wale;
Kam Se Kam Jugnoo Se To Behtar Nikale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Na Mujhe Kisi Ka Dil Chahiye;
Na Mujhe Jamane Se Koi Aas Hai;
Jo Apni Girlfriend Ki Pappi Dilwa De;
Bas Aise Dost Ki Talaash Hai⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jaaneman Aaj Tum Bahut Yaad Aaye Ho;
Kuch Yaadon Se aur Kuch jhoothe Waadon Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khareeda Jaa Nahin Sakta Hai Saaqi Zarf Rindon Ka;
Bahut Sheeshe Pighalte Hain To Ek Paimana Banta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse;
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barse;
Minatien Kon Kare Aik Gharonde Ke Liye;
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barse!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
Halaat Na Thay Aese Teri Mulaqat Se Pehle;
Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete Thay;
Hum Bhi Kitne Saada Thay Muhabbaton K Tajurbat Se Pehle!⧪
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai;
Ik Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakha Hai;
Jit Le Jaye Koi Mujhko Nasibon Vala;
Zindagi Ne Mujhe Da O Pe Laga Rakha Hai;
Jane Kab Aaye Koi Dil Mein Jhankane Vala;
Is Liye Main Ne Gireban Ko Khula Rakha Hai;
Imtehan Aur Meri Zabt Ka Tum Kya Loge;
Main Ne Dhadakan Ko Bhi Sine Mein Chupa Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Te Zakham Den Wala Apna Si;
Sanu Rulan Wala Apna Si;
Hun Ki Kise Te Ilzaam Lawa Main Hun;
Jad Sanu Jinde Jee Maaran Wala Vi Apna He Si!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bada Maza Ho Jo Mehsher Mein Hum Karen Shikwa;
Woh Minnaton Sey Kahen Chup Raho Khuda Key Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe;
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe;
Main Ush Ko Bewafai Ka Ilzam Kaise Du;
Usne To Dil Se Hi Chaha Nahi Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Aarzo Mein Humne Baharo Ko Dekha;
Tere Khayalo Mein Humne Sitaroa Ko Dekha;
Hume Pasand Tha Bas Aapka Saath;
Warna In Aankho Ne To Hazaro Ko Dekha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Agar Talaash Karun Koi Mil Hii Jaayegaa;
Magar Tumhaarii Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa;
Tumhen Zaruur Koi Chaahaton Se Dekhegaa;
Magar Vo Aankhen Hamaarii Kahaan Se Laayegaa;
Naa Jaane Kab Tere Dil Par Naii Sii Dastak Ho;
Makaan Khaalii Hua Hai To Koii Aayegaa;
Main Apani Raah Mein Diivaar Ban Ke Baithaa Hun;
Agar Vo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa;
Tumhaare Saath Ye Mausam Farishton Jaisaa Hai;
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahut Sataayegaa!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Kare Tenu Vekhan War War Sajna;
Rabb Jinna Tera Te Aitbaar Sajna;
Aina Samundar Ch Paani Nai;
Jinna Mera Dil Vich Tera Layi Pyar Sajna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kamaal Ka Shakhs Tha Jis Ne Zindagi Tabah Kur Dee;
Raaz Ki Bat Hai Dil Ussh Se Khafa Ab Bhi Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein;
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein;
Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum;
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪Guzre Dinon Ki Bhuli Hui Baat Ki Tarha;
Ankhon Me Jagta He Koi Rat Ki Tarha;
Tumse Umed Thi K Nibhao Gey Dosti;
Tum Bhi Badal Gaye Mausam Aur Halaat Ki Tarha⬈⬈
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Hoga Musafir Jo Jahan Me Aayega;
Safar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega;
Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir Bahut;
Koi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega;
Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar Saare;
Jism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega;
Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun Se;
Zyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega;
Ek Hi Baat Hai Sachi Har Damm;
Ruhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ruttan Badal Gaiyan;
🔀🔀Mausam Badal Gaye Te Badal Gaye Ne Din;
Hun O V Badal Gaye Jehde;
Kadi Kehnde C Aasi Reh Ni Skde Tere Bin!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭Tu Ne Tu Irade Hi Mere Tor Diye Hain;
Guzre Ga Safar Kaise,Khara Soch Raha Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke Rakhna;
Ish Mein Utarne Wale Ko Kinara Nahi Milta!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Cheer Ke Dekh Tera Hi Naam Hoga;
Teri Wafa Teri Sada Tera Payaam Hoga;
Aaj Bhari Mehafil Mein Koi Badnaam Hoga;
Teri Jafaa Tera Sitam Tujhape Ilzaam Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne;
Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne;
Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi;
Gamon Ki Ot Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne;
Kabhi Na Khatm Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz;
Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne;
Kamal Ye Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha;
Wo Tir Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne;
Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha;
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne⬌⬌⬌
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Vaade Te Vaada Na Kar;
Nibhane Tere To Ohkhe Hon Ge;
Je Karna Vaada Ta Ik Chann Varga Kar Ja;
Tare Sare Vaade Yaad Kr,Hanju Akh Cho Bade Aaun Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Duniya Me Haqiqat Ka Pata Kuch Nahi;
Ilzam Hazaro H Khataa Kuch Nahi;
Meri Zindagi Mei Kya Hai Padh Na Sakoge;
Bas Aashqon Ke Daag Hai Aur Likha Kuch Nahi⬋⬋⬋
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬲⬲⬲Dard Me Koi Mausam Pyara Nahi Hota;
Dil Ho Pyasa To Pani Se Gujara Nahi Hota;
Koi Dekhe To Humari Bebasi;
Hum Sabhi K Ho Jate Hain Par Koi Humara Nahi Hota⬲⬲

No comments :
Post a Comment