Mohsin Naqvi Shayari Hindi Now2017

Inkaar Ki Si Lazzat, Iqrar Main Kahan Hai;
Badhta Hai Ishq Mohsin Unn Ki Nahi Nahi Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Se Bewafai Ki Inteha Kya Puchte Ho Mohsin;
Woh Hum Se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬇⬇Kaun Kehta Hai Nafraton Mein Dard Hai Mohsin;
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona;
Yehi Gar Ishq Hai 'Mohsin' To Hum Tanha Hi Achhe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera;
Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale,
Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale;

Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi,
Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale;

Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke,
Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale;

Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade,
Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale;

Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste,
Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale;

Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal,
Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale;

Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke,
Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale;

Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin',
Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  

⬉⬉Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din;
So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

⬈⬈Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin';
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

⬇⬈Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jab Se Usne Shehar Ko Chhoda Har Raasta Sunsaan Hua;
Apna Kya Hai Saare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksaan Hua!


Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Dogi Dil Mera;
Tumhare Hi Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Jab Se Usne Shehar Choda Har Raasta Sunsan Hua;
Apna Kya Hai Sare Shehar Ka Ek Jaisa Nuksan Hua;
Ye Dil Ye Aaseb Kee Nagri Maskan Sochun Vehmon Ka;
Soch Raha Hun Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehman Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬈⬈Ret Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo;
Aankhein Sach Bolti Hain Pyaar Chupaya Na Karo;

Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain;
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo;

Yeh Zaroori Nahi Har Shaks Maseeha Hi Ho;
Pyaar Ke Zakham Amaanat Hain Dikhaya Na Karo;

Shehar-e-Ehsaas Mein Pathraao Bahut Hai 'Mohsin';
Dil Ko Sheeshe Ke Jharokon Mein Sajaaya Na Karo!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mere Qatil Ko Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say;
Jao So Jao Sitaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshan Say Gaisu Dekhe Nahi Jate;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

Lakh Moujoun Mein Ghira Hun, Abhi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Ki Main Zinda Hoon Abhi;

⬉⬉Qabar Say Aaj Bhi 'Mohsin' Kee Aati Hai Sada;
Tum Kahan Ho Mera Yaroo Ki Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maza Deti Hain Unko Zindagi Kee Thokrein 'Mohsin';
Jinko Naam-e-Khudaa Le Kar Sambhal Jaane Kee Aadat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Issi Khayaal Se Guzri Hai Shaam-e-Dard Aksar;
Ke Dard Hadh Se Jo Guzre Ga Muskuraa Doon Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say;
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay;
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi;
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi;

Qabr Say Aaj Bhi `Mohsin` Ki Aati Hai Sadaa;
Tum Kahan Ho Mere Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jin Ko Toofan Se Ulajhne Ki Aadat Ho Mohsin;
Aisi Kashti Ko Samandar Bhi Duaa Dete Hain!


⬉⬉Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin;
Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin;
Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Rahaa Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

Kaha Thaa Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Eik Din;
So Main Jahaan Thaa Wahin Par Kharha Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

Tumhare Haath Ki Dastak Ki Aaas Mein Mohsin;
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Gyaa Barson!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

D⬉⬉aman-e-Gull Mein Hi Gulzaar BiKhar Jaate Hain;
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jaate Hain;

Shama Jalti Hai Sada Ek Hi Lamhe Me Lekin;
Jal Ke Parwaane Kayi Baar Bikhar Jaate Hain;

Jin Ko Insaan Pirota Hai Bahut Ulfat Se;
Haaye Woh Gull Sar-e-Bazaar Bikhar Jaate Hain;

Paaon Uthate Hain Tere Koche Ki Jaanib Jab Bhi;
Apni Raahon Me Kayi Khaar Bikhar Jaate Hain;

Raat Ke Pichle Pehar Kehoon-e-Tamanna Ki Tarha;
Hum Teri Yaad Mein Ay Yaar Bikhar Jaate Hain;

Ho Ga Andaaz-e-Wafa Un Ka Alag Hi 'Mohsin';
Jin Ki Raahon Mein Talabgaar Bikhar Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin';
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi Toh Nahi Hai;
Phir Kyo Teri Aankhon Mein Ye Toofan Hain Mohsin;
Munhasir Ehl-e-Sitam Par Hi Nahi'n Hai Mohsin;
Log Apno'n Ki Enayat Se Bhi Mar Jate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mohabbaton Ke Saude Bhi Ajeeb Kerta Hai Mohsin;
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Maza Deti Hain Unko Zindagi Ki Thokrein Mohsin;
Jinko Naam­-e-Khuda Le Kar Sambhal Jane Ki Aadat Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin';
Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!


Usay Paana, Usay Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona;
Yahi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Achay Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise⬈⬈ Ho!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kis Kis Se Rakhiye Dosti, Kis Kis Ko Dushman Janiye;
Chehron Mein Ghir Kr Reh Gayin, Nadaniyan, Danaiyan;
Rishton K Bandhan Tod Kr Hum Tum Yun Hi Milty Rahen;
⧭⧭Roka Krein Ghar Waliyan, Pocha Krein Humsaiyan!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai;
Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko;
Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin;
Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧬⧬Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera;
Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera;
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai;
Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano;
Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gum'sum Si Raahguzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha;
Paani Mein Chaand, Chaand Mein Chehra Kisi Ka Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Apne Aap Se Phirtey Hain Beganey Kyon;
Sheher Mein Aakar Log Huye Deewaney Kyon;

Hum Ne Kab Maani Thi Baat Zamaney Ki;
Aaj Hamari Baat Zamana Maaney Kyon;

Woh Jungle Ke Phoolon Per Kyon Marta Hai;
⧭⧭Us Ko Achey Lagte Hain Veeraney Kyon;

Sachi Baat Se Ghabraney Ki Aadat Kya;
Jhootey Logon Se Apne Yaraaney Kyon;

Halwat Mein Jo Aankh Milatey Darta Ho;
Mailey Mein Woh Shakhss Humain Pehchaney Kyon;

Mohsin Jab Bhi Chott Neyi Kha Leta Hoon;
Dil Ko Yaad Atey Hain Yaar Puraney Kyon!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Woh Shakhs Jis Ko Samajhney Mein Mujh Ko Umar Lagi;
⬉⬉⬉Bichad Ke Mujh Se Kissi Kaa Ho Na Saka Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha;
Umar Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha;

Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay;
Magar Main Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha;

Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se;
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha;

Paani Maangtay Maangtay Mere Honth Pathar Ho Gaye;
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha;

Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay;
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha;

Umar Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha;
Main Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha;

Kahunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko 'Mohsin';
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha


Hajoom Mein Tha, Woh Khul Kar Na Ro Saka Ho Ga;
Magar Yakeen Hai Ke Shab Bhar Na So Saka Ho Ga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us Ki Chahat Ka Bharam Kya Rakhna;
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kya Rakhna;
Hanss Bhi Lena Kabhi Khud Par Mohsin;
Har Ghadi Aankh Ko Namm Kya Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin;
Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai;
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai;

Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa't Aai;
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai;

Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin;
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai;

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni;
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai;

Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa;
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.N Tooti Hai;

Mere Yaaron Ke ⧭⧭Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein;
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai;

Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu "Mohsin";
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Us Ki Chahat Ka Bharam Kya Rakhna;
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kya Rakhna;
Hanss Bhi Lena Kabhi Khud Per Mohsin;
Har Gharri Aankh Ko Namm Kya Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Hijar Main Aur Mujhe Kya Karna Hai;
Tere Naam Kitaabein Likhtaa Rehta Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Teri Muntazir Theen Woh Ankhen Hi Bujh Gayin;
Ab Kyun Sajaa Raha Hai Charaaghon Se Shaam Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Bichad Ke Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai;
Adhura Chand Bhi Kitana Udas Lagata Hai;

Ye Vasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh;
Ke Is Ke Bad Wohi Duriyon Ka Sahara Hai;

Kuch Aur Der N⧭⧭a Jhadata Udasiyon Ka Shajar;
Kise Khabar Tere Saye Mein Kon Baitha Hai;

Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko;
Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai;

Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakati Hai;
Tera Badan Hai Ke ⬈⬈Ye Aainon Ka Dariya Hai!


No comments :

Post a Comment