Dard Mein Is Dil Ko Tadapte Shayari 2017

⬉⬉Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Ye Fasaana Hai;
Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamaana Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Har Roz Humein Milna, Har Roz Bichdna Hai;
Main Raat Kee Parchai, Tu Subah Ka Chehra Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai;
Par Shayad Tu Apni Ahmiyat Se Anjaan Hai;
Mujhse Kabhi Bhi Ruth Mat Jana;
Kyonki Meri Duniya Tere Bina Veeraan Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tujhse Mila Nahi Hun Magar Chahta Hun Main;
Tu Humsafar Ho Aur Kahin Ka Safar Na Ho⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬉⬉⬉Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar;
Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar;

Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi;
Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar;

Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi;
Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar;

Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka 'Wasi' Chandni Se Kaho;
Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khabar!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kuch Zakhm Sadiyon Baad Bhi Taaza Rehte Hain 'Faraz';
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Duniya Wale Bhi Bade Ajeeb Hain;
Kabhi Humse Door To Kabhi Kareeb Hain;
Dard Na Bataye To Humein Qayar Kehte Hain;
Aur Dard Bata De To Shayar Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zindagi Mein Bas Ek Dil Se Chaha Unhe;
Akele Ho Kar Bhi Unke Khayalon Ke Sang Jiya Humne;
Gham Dard Sab Mein Bhi Muskaraya Humne;
Par Na Jane Kyon Hamari Mohabbat Ka Yakin Hua Na Unhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈⬈Kabhi Kisi Ka Jo Ho Tha Intezar Humein;
Bada Hi Shaam-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila;
Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila;

Gharon Pe Naam The, Naam Ke Saath Ahude The;
Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila;

Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha;
Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila;

Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi;
Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila;

Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine;
Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bach Jaye Jawani Mein Jo Duniya Kee Hawa Se;
Hota Hai Farishta Koi Insaan Nahi Hota!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
⬉⬉⬉Badi Mushkil Se Bane Hain Toot Jane Ke Baad;
Hum Aaj Bhi Ro Dete Hain Muskurane Ke Baad;
Aapse Mohabbat Thi Humein Be-inteha;
Magar Yeh Mehsoos Hua Aap Se Bichhad Jane Ke Baad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rakhe Hain Dil Mein Hum Ne Bade Ehtram Se;
Jo Gham Diye Hain Tumne Mohabbat Ke Naam Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho Judai Ka Sabab Kuch Bhi Magar;
Hum Use Apni Khata Kehte Hain;
Woh Ton Saanson Mein Dhali Hai Mere;
Jaane Kyon Log Use Mujhse Juda Kehte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Waqt Jab Raah Kee Deewar Hua;
Koi Sailaab Numudaar Hua;

Us Ne Pedon Se Hata Li Shakhein;
Baag Mein Se Tu Kayi Baar Hua;

Maine Jo Dil Mein Chupana Chaha;
Mere Chehre Se Numudaar Hua;

Sahili-Shaam Ka Faila Manzar;
Kuch Lakiron Mein Giraftar Hua;

Raat Ek Shakhs Bahut Yaad Aaya;
Jis Ghadi Chaand Numudaar Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Theharta Nahi;
Na Mud Ke Dekha Kabhi Sahilon Ko Dariya Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kisi Kee Yaad Dil Mein Aaj Bhi Hai;
Bhool Gaye Wo Magar Pyaar Aaj Bhi Hai;
Hum Khush Rehne Ka Daawa To Karte Hain Magar;
Unki Yaad Mein Behte Aansu Aaj Bhi Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat Pucho Ye Ishq Kaisa Hota Hai;
Bas Jo Rulata Hai Usi Ko Gale Laga Kar Rone Ka Jee Chahta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya;
Gairon Ne Bewafa Naam De Diya;
Jo Kehte The Humein Bhool Na Jana;
Unhi Ne Bhoolne Ka Paigam De Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭⧭Nikli Mohabbat Kee Jo Baat To Tum Yaad Aa Gaye;
Uthe Dil Mein Wo Jazbat To Tum Yaad Aa Gaye;

Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko;
Hui Jab Phir Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye;

Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha;
Badle Jab Halaat To Tum Yaad Aa Gaye;

Sone-Chandi Se Sazi Rehti Thi Kalai Meri;
Khali Dekhe Jab Apne Haath To Tum Yaad Aa Gaye⬈⬈⬈

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi;
Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaar Mein Sabr Ka Imtihan To Dekho;
Wo Meri Baahon Mein So Gaye Kisi Aur Ke Liye Rote Rote!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Maanind;
Woh Shakhs Jis Ko Mera Hona Bhi Nahin Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gham Ki Tashreeh Bohat Mushkil Thi;
Apni Tasveer Dikha Di Hum Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
Anjuman Anjuman Raha Tanha;

⧭⧭Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
Koi Guzara Hai Barha, Tanha;

Teri Aahat Kadam Kadam, Aur Main;
Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;

Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se;
Ek Aansu Baha, Baha Tanha;

Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil;
Ek Khandhar Sa Raha Saha, Tanha;

Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha⬉⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bada Shor Sunte The Pehlu Mein Dil Ka;
Jo Cheera To Ek Qatra-e-Khoon Na Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Khyalon Se Dhadkan Ko Chupa Ke Dekha Hai;
Dil-o-Nazar Ko Bahut Rula Ke Dekha Hai;
Teri Kasam Tu Nahi To Kuch Bhi Nahi;
Kyonki Maine Kuch Pal Tujhe Bhula Ke Dekha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kahan Koi Aisa Mila Jis Pe Hum Dil Luta Dete;
Har Ek Ne Dhokha Diya Kis-Kis kK Bhula Dete;
Apne Dil Ka Dard Dil Hi Mein Dabaye Rakhe Hain;
Karte Bayan To Mehfil Ko Rula Dete!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Kadmo Kee Doori Se Dilon Ke Fansle Nahi Badhte;
Door Hone Se Dil Ke Ehsaas Nahi Marte;
Kuch Kadmon Ka Fansla Hi Sahi Hamare Beech;
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yaad Nahi Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam;
Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam;

Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki;
Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam;

Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya;
Idhar Gul Phadte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam;

Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee;
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam;

Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge;
Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam;

Na Samjha 'Dard' Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka;
Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dil Hijr Ke Dard Se Bojhal Hai Ab Aan Milo To Behtar Ho;
Is Baat Se Hum Ko Kya Matlab Ye Kaise Ho Ye Kyonkar Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri;
Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Log Toot Kar Chahte Hain;
Kuch Log Chah Kar Toot Jaate Hain;
Humein Tumse Hai Kitni Mohabbat;
Kabhi Aao Hamare Paas Tumhein Batate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Kurbat Nahi Hasil To Na Sahi;
Tera Khyaal Har Waqt Mere Saath Rehta Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Ab Khushi Hai Na Koi Gham Rulane Wala;
Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala;

Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra;
Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala;

Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha;
Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala;

Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein;
Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala;

Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya;
Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala⬉⬉⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Irada Tha Ki Ab Ke Rang-e-Duniya Dekhna Hai;
Khabar Kya Thi Ki Apna Hi Tamasha Dekhna Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge;
Waqt Ke Sath Shayad Hum Na Honge;
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena;
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Talash Hai Ek Aise Shakhs Kee,
Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake;
Jab Sab Log Mujse Khete Hain,
Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi;
Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang Karegi;
Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Kareeb;
Kyonki Uske Jaane Ke Baad Uski Har Adaa Tang Karegi!
JUDAAI~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Ishq Ko Taqleed Se Azaad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Mizaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeraan Khalvatein Aabaad Kar;

Nazaz Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhoolne Wale Khuda-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniya Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ek Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ek Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Aabaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadaan Khuda Ko Yaad Kar!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Hamari Aankhon Mein Aao To Hum Dikhayein Tumhein;
Ada Tumhari Jo Tum Bhi Kaho Ki Haan Kuch Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Is Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasaan Kar Liya;
Bhulkar Teri Bewafai Apni Tanhai Se Maine Pyaar Kar Liya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti;
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti;
Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka;
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohbbat Nahi Hoti⬊⬊⬊
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain;
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain;
Phir Us Ke Pyaar Kee Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain;
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye;
Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya;
Unke Liye Apne Dil Ko Kitni Hi Baar Rula Diya;
Ek Baar Hi Thukraya Unhone;
Aur Humne Khud Ko Maut Kee Neend Sula Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Aayi Nahi Kabhi Mujhe Yaad Karke;
Wo Gayi Jab Bhi Mujhe Barbaad Karke;
Agar Wo Aaye Meri Maut Pe To Use Keh Dena;
Abhi Soya Hai Tujhe Yaad Karke!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankhon Mein;
To Rab Kee Kasam Hum Muskurana Chhod Denge;
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko;
Lekin Us Kee Taraf Nazrein Uthana Chhod Denge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Ye Zamane Kee Wafaye Mere Kaam Kee Nahi;
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Kee Nahi;

Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi;
Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi;

Mujhe Gham Hai To Uske Chale Jaane Ka;
Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Kee Nahi;

Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola;
Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki;
Lekin, Tere Haath Mein Koi Bhi Lakir ⬰⬰⬰Uske Naam Kee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj To Besabab Udaas Hai Ji;
Ishq Hota To Koi Baat Bhi Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab Shikayat Tujh Se Nahi Khud Se Hai;
Maana Ki Sare Jhooth Tere The Par Un Pe Yaqeen To Mera Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Aankhon Se Gire Hain Yeh Jo Chand Katre;
Jo Samajh Sako To Aansu, Na Samajh Sako To Pani!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zakham Kee Baat Nahi Hai Jaane Dard Kyon Hota Hai;
Dhokhe Kee Baat Nahi Hai Jaane Ehaas Kyon Hota Hai;
Jante Hue Ki Wo Bewafa Hain;
Na Jane Phir Bhi Pyaar Kyon Hota Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad;
Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad;

Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad;
Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;

Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe;
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad;

Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar;
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad;

Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai;
Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬉⬉Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kab Tak Reh Paoge Aakhir Yun Door Hum Se;
Milna Padega Aakhir Kabhi Zaroor Hum Se;
Nazrein Churane Wale Ye Berukhi Hai Kaisi;
Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasoor Hum Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun;
Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun;
Main Aap Kee Zindagi Kee Khushi Banu Ya Na Ban Sakun;
Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun!
ARMAAN~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Fizao Ka Mausam Jaane Ke Baad Baharo Ka Mausam Aaya;
Gulab Se Gulab Ka Rang Tere Gaalon Par Aaya;
Tere Naino Ne Kaali Ghata Ka Jab Kajal Lagaya;
Jawani Jo Tum Par Aayi To Nasha Meri Aankhon Mein Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Naam Se Mohabbat Kee Hai;
Tere Ehsaas Se Mohabbat Kee Hai;

Tum Pass Nahi Ho Mere Phir Bhi;
Tumhari Yaad Se Mohabbat Kee Hai;

Kabhi Tumne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga;
Maine Un Lamhaat Se Mohabbat Kee Hai;

Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai;
Maine Tumhare Intezar Se Bhi Mohabbat Kee Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Chirag Saare Bujha Chuke Unhein Intezar Kahan Raha;
Ye Sukun Ka Daur-e-Shadeed Hai Koi Beqarar Kahan Raha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Soch Bhi Nahi Sakta Ek Pal Bhi Door Rehna Tumse;
Agar Tu Bhool Jaye To Toot Ke Bikhar Jaun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye;
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye;
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko;
Hui Jab Pyaar Kee Barsat To Tum Yaad Aa Gaye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Kaha Ye Kisi Ne Kee Phoolon Se Dil Lagau Main;
Agar Tera Khayal Na Sochun To Mar Jaun Main;
Maang Na Mujhse Tu Hisaab Meri Mohabbat Ka;
Aa Jaun Imtihan Pe To Hadd Se Guzar Jaun Main⬉⬉
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain;
Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain;

Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain;
To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain;

Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai;
Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain;

Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan;
To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain;

Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari;
Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain;

Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai;
To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lo Aaj Humne Tod diya Rishta-e-Umeed;
Lo Ab Kabhi Gila Na Karenge Kisi Se Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chaale Jayenge Ek Din Hum Tujhe Tere Haal Pe Chod Kar;
Apno Kee Kadaar Kya Hoti Hai Tuje Waqt Sikha Dega!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬈⬈Lekar Hum Dusro Kee Hansi Kya Karein;
Jo Apni Nahi Wo Khushi Kya Karein;
Tanha Jeene Se Behtar Hai Mar Jayein Hum;
Jab Saath Tum Nahi To Zindagi Jee Kar Kya Karein!
DARD~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
Raat Kee Tanhai Mein Akele The Hum;
Dard Kee Mehfilon Mein Ro Rahe The Hum;
Aap Hamare Bhale Hi Kuch Nahi Lagte;
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi⧭⧭⧭

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar;
Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu;
Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pyaas Bujh Jaye Zameen Sabz Ho Manzar Dhul Jaye;
Kaam Kya Kya Na In Aankhon Kee Tari Aaye Humein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Kar Zidd, Apni Aukat Mein Reh Ai Nadaan Dil;
Wo Bade Log Hain, Apne Shaunk Se Yaad Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Aur Nahi Hoti Isjq Kee Ghulami;
Yaaro Keh Do Use, Ho Jaye Jiska Hona Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭⧭Mere Muqaddar Mein To Tumhari Yaadein Hain Lekin;
Tum Jiske Muqaddar Mein Ho Use Zindagi Mubarak!
GILA SHIKWA~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~  
๐Ÿ”๐Ÿ”Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kis Liye Katra Ke Jata Hai Musafir Dum To Le;
Aaj Sukha Ped Hun Kal Tera Saya Main Hi Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Har Sitam Seh Kar Kitne Gham Chipaye Humne;
Teri Khatir Har Din Aansu Bahaye Humne;
Tu Chhod Geya Jaha Humein Raahon Mein Akela;
Bas Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chipaye Humne๐Ÿ”‚๐Ÿ”‚๐Ÿ”‚
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu Agar Chhod Ke Jaane Kee Zidd Pe Hai To Ja;
Jaan Bhi Jism Se Jaati Hai To Kab Puch Ke Jaati Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
๐Ÿ”€๐Ÿ”€Har Roz Koi Khwaab Toot Jata Hai;
Har Roz Koi Apna Rooth Jata Hai;
Na Jaane Meri Kismat Mein Kya Hai;
Jise Main Yaad Karun Wohi Mujhe Bhool Jata Hai⧭⧭⧭
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain;
Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena;

Ro-Ro Ke Guzari Hai Humne;
Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;

Betabi Had Se Badh Jaye;
Aur Nind Na Aaye Raaton Ko;

To Doob Ke Meri Yaadon Main;
Duniya Se Kinara Kar Lena;

Jis Waqt Janaza Guzrega;
Us Shaks Ka Tere Kooche Se;

Jazbat Pe Kabu Kar Lena;
Khidki Se Nazara Kar Lena!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi;
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

๐Ÿ”€๐Ÿ”€Khafa Bhi Rehte Hain Aur Wafa Bhi Karte Hain;
Is Tarha Apne Pyaar Ko Bayan Bhi Karte Hain;
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse;
Khona Bhi Chahte Hain Aur Pane Kee Dua Bhi Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya;
Kya Karu Tum Ne Jo Mujhe Bhula Diya;
Na Karte Wafa To Na Milti Ye Saza;
Shayad Meri Wafaon Ne Hi Tujhe Bewafa Bana ⧬⧬Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Puche Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ke Dukh;
Ab Shehar Bhar Mein Zikr Meri Khud-Kushi Ka Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaghosh Mein Mehkoge Dikhai Nahi Doge;
Tum Nikhat-e-Gulzar Ho Hum Parda-e-Shab Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Maana Ke Mujhse Woh Khafa Rahe Honge;
Ho Sakta Hai Woh Mujhe Aazma Rahe Honge;
Hum Utni Hi Shiddat Se Yaad Karenge Unhein;
Jitni Shiddat Se Woh Humein Bhula Rahe Honge⬉⬉⬉⧪~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧪⧪Taraste The Jo Humse Milne Ko Kabhi;
Na Jaane Kyon Aaj Humare Saye Se Bhi Katrate Hain;
HUm bhi Wahi Hain Yeh Dil Bhi Wahi Hai;
Na Jaane Phir Kyon Aise Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Dard Mein Is Dil Ko Tadapte Dekha;
Apne Samne Har Rishte Ko Bikharte Dekha;
Kitne Pyaar Se Sajai Thi Khwabon Kee Duniya;
Use Apni Aankon Ke Samne Ujadte Hue Dekha⧬

⧭⧭Itni Muddat Baad Mile Ho;
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho;

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa;
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho;

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi;
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho;

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse;
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ๐Ÿ”ผ
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
GHAZAL  
⧭⧭Gham Mujhe Dete Ho Auron Kee Khushi Ke Vaaste;
Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaast๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”

No comments :

Post a Comment