Tumhe Bhi Yaad Kuch Ghazal Shayari new2017

Khauf Ki Shab Mein Honth Seenay Se;
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se;

Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam;
Dekhna Hai Ose Qareenay Se;

Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha;
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se;

Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi;
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se;

Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai;
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad;
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad;

Main Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad;
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kiya Yaad;

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoon Ko;
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad;

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon;
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad;

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Lekin;
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Dekh Lete Ho Mohabbat Se Yahi Kaafi Hai;
Dil Dhadakta Hai Sahulat Se, Yahi Kaafi Hai;

Haal Duniya Ke Sataye Huye Kuch Logon Ka;
Puch Lete Ho Shararat Se, Yahi Kaafi Hai;

Jo Bhi Raste Mein Guzarta Hai Mere Pehlu Se;
Dekhta Hai Teri Nisbat Se, Yahi Kaafi Hai;

Muddat'ton Se Nahin Dekha Tera Jalwa Lekin;
Yaad Aa Jate Ho Shidat Se, Yahi Kaafi Hai;

Saari Dunya Se Ulajhte Hain Lekin Tera Kahaa;
Maan Jate Hain Sharafat Se, Yahi Kaafi Hai;

Kya Hua Hum Jo Muyassar Jo Zar-o-Maal Nahin;
Katt Rahi Hai Bari Izzat Se, Yahi Kaafi Hai;

Aaj Ke Ehd Taghaful Mein Kisi Dar Pe Munir;
Koi Aa Jaye Zarurat Se, Yahi Kaafi Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga;
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga;

Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein;
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga;

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai;
Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga;

Log So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar;
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga;

Jo Kabhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar;
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun;
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun;

Sitam Ho K Ho Wada-e-Behijabi;
Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun;

Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko;
K Main Ap Ka Samna Chahta Hun;

Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-e-Mahfil;
Chirag-e-Sahar Hun, Bujha Chahta Hun;

Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di;
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna;
Bahut Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna;

Zara Sa Ishq Kar laina, Zara Si Aankh Bhar Laina;
Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna;

Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena;
Kabhi Wehshat Mein Uski Naarsaayi Maangtay Rehna;

Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai;
Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna;

Kabhi Bachay Ke Nannay Haath Par Titli Ke Par Rakhna;
Kabhi Phir Uske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Koi Naa Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha;
Aur Us Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyon Milaya Tha;

Yeh Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin;
Makaa'n Chota Tha Lekin Bohat Sajaya Tha;

Woh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahin Jate;
Main Jis Ke Sath Yahan Pichle Saal Aya Tha;

Suna Hai Us Pe Chehekne Lage Hain Parindey Bhi;
Woh Aik Pau'daa Jo Hum Ne Kabhi Lagaya Tha;

Chiragh Doob Gaye Kapkapaye Honton Par;
Kisi Ka Hath Hamare Labo'n Tak Aya Tha;

Badan Ko Chorr Ke Jana Hai Aasman Ki Taraf;
Samundro'n Ne Humein Yeh Sabaq Parhaya Tha;

Tamam Umar Mera Dam Isi Dhuyein Mein Ghutta;
Woh Ik Chiragh Thaa Maine Usey Bhujaya Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;
Main Kyun kar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo;
Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair;
Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len;
Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair;
Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
Rahta Nahin Hai Ashiq-e-Muztar Kahe Bagair;
Taqdir K Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
Dilawata Ai , Zafar, Hai Muqaddar Kahe Bagair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;

Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi;

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain;
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi;

Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar;
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi;

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi;
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi;

Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun;
Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧫⧫Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezar Guzri Hai,
Talash Mein Hai Sahar, Baar, Baar Guzri Hai;

Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai,
Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai;

Woh Baat Sare Fasane Mein Jiska Zikr Na Tha,
Woh Baat Un Ko Bahut Nagavar Guzri Hai;

Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile Hain, Na Mai Pi Hai,
Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar, Guzri Hai;

Chaman Pe Gharat-e-Gulchin Se Jane Kya Guzri,
Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya,
Dekha ! Is Beemaari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tammam Kiya;

Ahad-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peeri Mein Li Aankhein Moond,
Yaani Raat Bahut The Jaage, Subah Huyi Aaraam Kiya;

Naahak Ham Majbooron Par Yeh Tohmat Hai Mukhtaari Ki,
Chaahte Hain So Aap Kare Hain Hamko Abas Badnaam Kiya;

Yaan Ke Sapaid-O-Siyaah Mein Hamko Dakhl Jo Hai So Itna Hai,
Raat Ko Ro Ro Subah Kiya Ya Din Ko Jun Tun Shaam Kiya;

'Meer' Ke Deen-O-Mazhab Ko Ab Poocho Kya Ho Un Ne To,
Kashqaan Khaincha, Deher Mein Baitha, Kab Ka Tarq-Islaam Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yeh Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Chirag,
Tere Khyal Kee Khushboo Se Bas Rahe Hain Dimag;

Dilon Ko Tere Tabassum Kee Yaad Yun Aayi,
Ki Jagmaga Uthe Jis Tarah Mandiron Mein Chirag;

Tamaam Shola-E-Gul Hai Tamaam Mauj-E-Bahaar,
Ki Taa-Had-E-Nigaah-E-Shauq Lahlahate Hain Baag;

Nayi Zameen, Naya Aasmaan, Nayi Duniya,
Suna To Hai Ki Mohabbat Ko In Dinon Hai Farag;

Dilon Mein Daag-E-Mohabbat Ka Ab Yeh Aalam Hai,
Ki Jaise Neend Mein Doobe Hon Pichali Raat Chirag;

Firaq Bazm-E-Chiragan Hai Mehfil-E-Rindan,
Saje Hain Pighli Hui Aag Se Chalkate Ayaag!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Itna To Dosti Ka Silaah Dijiye Mujhe,
Apna Samajh Ke Zeher Pila Dijiye Mujhe;

Uthe Na Taa-Ke Aap Ki Janib Nazar Koi,
Jitni Bhi Tohmtain Hain Lagaa Dijiye Mujhe;

Kyon Aap Ki Khushi Ko Mera Gham Kare Udaas,
Ik Talkhh Haadsa Hun Bhula Dijiye Mujhe;

Main Aap Ke Kareeb Hi Hota Hun Har Ghadi,
Mauka Kabhi Pade To Sada Dijiye Mujhe;

Har Cheez Dastiyaab Hai Bazaar Mein Adam,
Jhoothi Khushi Khareed Ke La Dijiye Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon,
Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon;

Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif,
Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon;

Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair,
Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon;

Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm,
Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon;

Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar,
Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon;

Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne,
Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon;

Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya,
Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Apni Tanhayi Mere Naam Pe Abaad Kare,
Kaun Ho Ga Jo Mujhe Uss Ki Tarah Yaad Kare,

Dil Ajab Sheher Ke Jis Pr Bhi Khula Dar Us Ka,
Woh Musaafir Isse Har Samt Se Barbaad Kare,

Apne Qaatil Ki Zehaanat Se Pareshaan Hoon Main,
Roz Ik Maut Naye Tarzz Ki Ijaad Kare,

Itna Hairaan Ho Meri Be-Talabbi Ke Aagey,
Waa Qaffass Main Koi Dar Khud Mera Sayaad Kare,

Salb-E-Binaayi Ke Ehkaam Mile Hain Jo Kabhi,
Roshni Chhuune Ki Khawhish Koi Shab-Zaad Kare,

Soch Rakhnaa Bhi Jaraayem Main Hai Shaamil Ab To,
Wohi Maasoom Hai Har Baat Pe Jo Saad Kare,

Jab Lahuu Bol Parre Us Ke Gavaahon Ke Khilaaf,
Qaazi-E-Sheher Kuch Is Baab Main Irshaad Kare,

Uss Ki Muthi Main Bohat Roz Raha Mera Wajood,
Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge,
Be-Nishaan Ho Gaye Jab Shehar To Ghar Jaayen Ge;

Kis Kadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Maatam,
Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jaayen Ge;

Jauhri Band Kiye Jaate Hain Bazaar-E-Sukhan,
Hum Kise Bechne Almaas-O-Gauhar Jayen Ge;

Nemat-E-Zeest Ka Yeh Karz Chukega Kaise,
Laakh Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Rahen Mar Jaayen Ge;

Shayad Apna Bhi Koi Bait Hudi-Khvan Ban Kar,
Saath Jaaye Ga Mere Yaar Jidhar Jaayen Ge;

Faiz Aate Hain Rah-E-Ishq Main Jo Sakht Maqaam,
Aane Walon Se Kaho Hum To Guzar Jaayen Ge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Na Ho Yaa Rabb Aisi Tabiyat Kisi Kee,
Ki Hans Hans Ke Dekhe Museebat Kisi Kee;

Jafaa Un Se Mujh Se Wafa Kaise Chhute,
Ye Sach Hai Nahi Chhutati Aadat Kisi Kee;

Achhoota Jo Gham Ho To Is Mein Bhi Khush Hun,
Nahi Mujh Ko Manzoor Shirkat Kisi Kee;

Haseeno Kee Dono Adayein Hain Dil-Bar,
Kisi Kee Haya To Shararat Kisi Kee;

Mujhe Gum-Shuda Dil Ka Gham Hai To Ye Hai,
Ke Is Mein Bhari Thi Mohabbat Kisi Kee;

Bahut Roye Hum Yaad Mein Apne Dil Kee,
Jahan Dekhi Nanhi Si Turbat Kisi Kee!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujhse Milne Ke Wo Karta Thaa Bahane Kitne,
Ab Guzarega Mere Saath Zamaane Kitne;

Main Gira Tha To Bahut Log Ruke The Lekin,
Sochta Hun Mujhe Aaye The Uthane Kitne;

Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai,
Sochte Honge Yahi Baat Na Jaane Kitne;

Tum Naya Zakham Lagao Tumhein Is Se Kya Hai,
Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar Ka,
Naazuk Bahut Hai Phool Charaag-e-Mazaar Ka;

Phir Baithe-Baithe Vaad-e-Vasl Us Ne Kar Liya,
Phir Uth Khada Hua Vahi Rog Intezaar Ka;

Shaakhon Se Barg-e-Gul Nahi Jhadte Hain Baag Mein,
Zevar Utaar Raha Hai Uroos-e-Bahaar Ka;

Har Gul Se Laalazaar Mein Ye Puchta Hun Main,
Tu Hi Pata Bata De Dil-e-Daagdaar Ka;

Is Pyaar Se Fishaar Diya Gor-e-Tang Ne,
Yaad Aa Geya Maza Mujhe Aagosh-e-Yaar Ka;

Hilti Nahi Hawa Se Chaman Mein Ye Daaliyan,
Munh Choomte Hain Phool Uroos-e-Bahaar Ka;

Uthta Hai Naza Mein Vo Sarhane Se Ai 'Ameer',
Mitta Hai Aasra Dil-e-Ummeedvaar Ka!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Naata Na Mohabbat Ke Barabar Nikla,
Toot Kar Chaha Jise Woh Sitamgar Nikla;

Yun To Har Lehar Se Thi Apni Shanasayi Bahut,
Samjha Sahil Jise Woh Gham Ka Samandar Nikla;

Rooh Mein Jhaanka To Yeh Mehsoos Hua Mujh Ko,
Itna Zarkhaiz Jo Lagta Tha Woh Banjar Nikla;

Narmi Hathon Mein Na Garmi Saanson Mein Magar,
Maine Chuu Kar Use Dekha To Woh Patthar Nikla!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Deedaar Ki Hawas Hai Na Shauq-E-Visaal Hai,
Azaad Har Khayal Se Mast-E-Khayal Hai;

Keh Do Yeh Kohkan Se Hi Marna Nahi Kamaal,
Mar Mar Ke Hijr-E-Yaar Main Jeena Kamaal Hai;

Fatva Diya Hai Mufti Abr-E-Bahaar Ne,
Tauba Ka Khooon Baada-Kashon Ko Halaal Hai;

Aankhen Bata Rahi Hain Jaage Ho Raat Ko,
In Saaghron Mein Buu-E-Sharab-E-Visaal Hai;

Barsaao Teer Mujh Pe Par Itna Jaan Lo,
Pehlu Mein Dil Hai Dil Mein Tumhara Khayal Hai;

Aankhen Lada Ke Un Se Hum Aafaat Mein Pad Gaye,
Aankhon Ki Har Zubaan Pe Dil Ka Sawaal Hai;

Bhutt Keh Diya Jo Maine To Ab Bolte Nahin,
Itni Si Baat Ka Tumhe Itna Khayal Hai;

Pucha Jo Unse Jaante Ho Tum Jaleel Ko,
Bole Ke Haan Woh Shayer-E-Naazuk-Khayal Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khayaal-e-Yaar Mein Mujh Ko Yun Hi Madhosh Rehne Do,
Na Pucho Raat Ka Qissa Mujhe Khamosh Rehne Do;

Sunaya Vasl Ka Qissa To Mere Dost Yun Bole,
Kahan Tum Kahan Us Kee Haseen Aghosh Rehne Do;

Mujhe Maloom Hai Us Ne Mera Hona Nahin Lekin,
Meri Umeed Mat Todo Mujhe Pur-Josh Rehne Do;

Mohabbat Jurm Hai Mera Mujhe Iqraar Hai Iska,
Wafaa Ilzaam Hai To Phir Mere Sar Dosh Rehne Do;

Kitaab-e-Ishq Se Hum Par Yehi Raaz Khula Hai,
Paaye Jo Jaam Ulfat Ka Usse Meh-Nosh Rehne Do!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya Hua,
Phirta Tha Ek Shakhs Tumhein Puchta Huaa;

Wo Zindgi Thi Aap The Ya Koi Khwab Tha,
Jo Kuch Tha Ek Lamhe Ko Bas Samna Hua;

Hum Ne Tere Bagair Bhi Jee Kar Dikha Diya,
Ab Ye Sawal Kya Hai Ki Phir Dil Ka Kya Hua;

So Bhi Wo Tu Na Dekh Saki Ai Hawa-e-Dahar,
Seene Mein Ik Charag Rakha Tha Jala Hua;

Duniya Ko Zid Numaish-e-Zakhm-e-Jigar Se Thi,
Fariyad Maine Kee Na Zamana Khafa Hua;

Har Anjuman Mein Dhyaan Usi Anjuman Ka Hai,
Jagaa Ho Jaise Khwaab Koi Dekhta Hua;

Ye Iztiraab-e-Shauq Hai 'Akhtar' Ki Gum-Rahi,
Main Apne Kaafile Se Hun Koson Badha Hua!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Woh Ghar Tak Viraana Tha Bas Viraana Zinda Tha,
Sab Aankhen Damm Tod Chuki Thi Aur Main Tanha Zinda Tha;

Saari Gali Sunsaan Padi Thi Baad-E-Fana Ke Pehre Mein,
Hijr Ke Dalaan Aur Aangan Mein Bas Ik Saaya Zinda Tha;

Woh Dopeher Apni Rukhsat Ki Aisa Waisa Dhoka Thi,
Apne Andar Apni Laash Uthaaye Main Jhootha Zinda Tha;

Thi Woh Ghar Raatein Bhi Kahani Vaade Aur Phir Din Ginna,
Aana Tha Jaane Wale Ko Jaane Wala Zinda Tha;

Dastak Dene Wale Bhi The Dastak Sunne Wale Bhi,
Tha Abaad Mohalla Sara Har Darwaza Zinda Tha;

Peele Patton Ko Seh-Pehr Ki Vehshat Pursa Deti Thi,
Aangan Mein Ik Aundhe Ghade Par Bas Ik Kava Zinda Tha!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein,
Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;

Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshani Tha Wujood,
Khattak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;

Jinhen Mata-E-Dil-O-Jaan Samajh Rahe The Hum,
Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein;

Ajab Tarah Ka Hai Mausam Kee Khak Udti Hai,
Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ke Hai,
Bahut Dinon Se Bahut Iztarab Aankhon Mein;

Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai,
Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya,
Main Khoob Hansunga Tujhe Gham Hai To Mujhe Kya;

Kya Main Ne Kaha Tha Ki Zamane Se Bhala Kar,
Ab Tu Bhi Sazavar-e-Sitam Hai To Mujhe Kya;

Haan Le Le Kasam Gar Mujhe Qatra Bhi Mila Ho,
Tu Shaaki-e-Arbaab-e-Karam Hai To Mujhe Kya;

Jis Dar Se Nidamat Ke Siva Kuch Nahi Milta,
Us Dar Pe Tera Sar Bhi Jo Khham Hai To Mujhe Kya;

Maine To Pukara Hai Mohabbat Ke Ufaq Se,
Raaste Mein Tere Sang-e-Haram Hai To Mujhe Kya;

Bhoola To Na Hoga Tujhe Suqraat Ka Anjaam,
Haathon Mein Tere Saaghar-e-Sam Hai To Mujhe Kya;

Patthar Na Paden Gar Sar-e-Bazaar To Kehna,
Tu Motarif-e-Husn-e-Sanam Hai To Mujhe Kya;

Main Sarmad-o-Mansoor Bana Hun Teri Khaatir,
Yeh Bhi Teri Umeed Se Kam Hai To Mujhe Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ik Aaalam-E-Hijraan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya,
Yeh Khaana-E-Viraaan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya;

Benaaam-O-Nishaan Rehna Ghurbat Ke Ilaaqe Main,
Yeh Sheher Bhi Dilkash Tha Tab Hum Ko Pasand Aaya;

Tha Laal Hua Manzar Sooraj Ke Nikalne Se,
Woh Waqt Tha Woh Chehra Jab Hum Ko Pasand Aaya;

Hai Qataa-E-Talluq Se Dil Khush To Bahut Apna,
Ik Hadh Hi Banaa Lena Kab Hum Ko Pasand Aaya;

Aana Woh 'Munir' Us Ka Be-Khauf-O-Khatar Hum Tak,
Yeh Turfaa Tamaasha Bhi Shab Hum Ko Pasand Aaya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Kar Halat Meri,
Kyon Tum Aasaan Samajhate The Mohabbat Meri;

Baad Marane Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri,
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;

Maine Aagosh-e-Tasavur Mein Bhi Khencha To Kaha,
Pis Gayi Pis Gayi Bedard Nazakat Meri;

Aaina Subah-e-Shab-e-Vasl Jo Dekha To Kaha,
Dekh Zaalim Ye Thi Shaam Ko Soorat Meri;

Yaar Pehalu Mein Hai Tanhayi Hai Keh Do Nikle,
Aaj Kyon Dil Mein Chhupi Baithi Hai Hasrat Meri;

Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate,
Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

Kis Dhitaayi Se Vo Dil Chheen Ke Kehte Hain 'Ameer',
Vo Mera Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dushman Kee Dosti Hai Ab Ahale Vatan Ke Saath,
Hai Ab Khijaan Chaman Mein Naye Pairahan Ke Saath;

Sar Par Hawaye Zulm Chale Sau Yatan Ke Saath,
Apni Kulaah Kaj Hai Usi Baankpan Ke Saath;

Kisne Kaha Ki Toot Geya Khanzare Phirang,
Seene Pe Zakhme Nau Bhi Hai Daage Kuhan Ke Saath;

Jhonke Jo Lag Rahe Hain Naseeme Bahaar Ke,
Jumbish Mein Hai Kafas Bhi Aseere Chaman Ke Saath;

Majrooh Kaafale Ki Mere Daastaan Ye Hai,
Rehbar Ne Mil Ke Loot Liya Raahajan Ke Saath!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya;
Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya;

Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;

Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;

Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua;
Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;

Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte,
Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guftagu Karte;

Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua,
Zubaan-e-Gair Se Kya Shar Kee Aarzoo Karte;

Meri Tarah Se Maah-o-Mahar Bhi Hain Aawara,
Kisi Habeeb Ko Ye Bhi Hain Justaju Karte;

Jo Dekhte Teri Zanjeer-e-Zulf Ka Aalam,
Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte;

Na Puch Aalam-e-Bargashta Tali-e-"Aatish",
Barasati Aag Mein Jo Baaraan Kee Aarzoo Karte!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dhoop Bahut Hai Mausam Jal-Thal Bhejo Na,
Baba Mere Naam Ka Baadal Bhejo Na;

Molsari Kee Shaakhon Par Bhi Diye Jalen,
Shaakhon Ka Kesaraya Aanchal Bhejo Na;

Nanhi Munni Sab Chehkarein Kahaan Gayi,
Moron Ke Pairon Kee Payaal Bhejo Na;

Basti Basti Dehshat Kisne Bo Di Hai,
Galiyon Bazaaron Kee Hulchal Bhejo Na;

Saare Mausam Ek Umas Ke Aadi Hain,
Chhaanv Kee Khushbu, Dhoop Ka Sandal Bhejo Na;

Main Basti Mein Aakhir Kis Se Baat Karun,
Mere Jaisa Koi Paagal Bhejo Na!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Humse Puchiye,
Do Din Kee Zindagi Ka Maza Humase Puchiye;

Bhoole Hai Raftaa-Raftaa Unhe Muddaton Mein Hum,
Kishto Mein Khudkushi Ka Maza Humse Puchiye;

Aagaaz-e-Aashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
Anzaam-e-Aashiqui Ka Maza Humse Puchiye;

Jalte Diyo Mein Jalte Gharon Jaisi Lau Kahan,
Sarkaar Roshani Ka Maza Humase Puchiye;

Wo Jaan Hi Gaye Ki Humein Unse Pyaar Hai,
Aankhon Kee Mukhbari Ka Maza Humse Puchiye;

Hansne Ka Shaunk Humko Bhi Tha Aap Kee Tarah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham Hoga,
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;

Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main,
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga;

Samandar Kee Galatfehmi Se Koi Puch To Leta,
Zameen Ka Haunsala Kya Aise Toofaano Se Kam Hoga;

Mohabbat Naapne Ka Koi Paimana Nahi Hota,
Kahin Tu Badh Bhi Sakta Hai, Kahin Tu Mujh Se Kam Hoga!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad Mein Apne Yaar-e-Jaani Kee,
Hum Ne Mar Mar Ke Zindagani Kee;

Dosto Ko Adu Kiya Hum Ne,
Kar Ke Taarif Yaar-e-Jaani Kee;

Kyon Na Ruswaa Kare Zamaane Mein,
Ye Kahani Gham-e-Nahani Kee;

Rooh Hoyegi Hashar Mein Sahab,
Ek Nishani Sara-e-Faani Kee;

Khaak-Saari Se Badh Geya Insaan,
Arz Par Sair Aasmaani Kee;

Zard Surat Pe Hijr Mein Na Hanso,
Sharah Hai Rang-e-Zaafaraani Kee;

Aaj Kal Lakhnow Mein Ai 'Akhtar',
Dhoom Hai Teri Khush-Bayaani Kee!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango,
Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango;

Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se,
Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango;

Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi,
Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango;

Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala,
Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango;

Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai,
Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kabhi Khaamosh Baithoge Kabhi Kuch Gungunaoge,
Main Utana Yaad Aaunga Mujhe Jitna Bhulaoge;

Koi Jab Puch Baithega Khamoshi Ka Sabab Tumse,
Bahut Samjhana Chahoge Magar Samjha Na Paoge;

Kabhi Duniya Mukkamal Ban Ke Aayegi Nigaahon Mein,
Kabhi Mere Kabhi Duniya Kee Har Ek Shah Mein Paoge;

Kahin Par Bhi Rahen Hum Tum Mohabbat Phir Mohabbat Hai,
Tumhein Hum Yaad Aayenge Humein Tum Yaad Aaoge!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa Sake,
Ki Gunche Khil To Sake Khil Ke Muskura Na Sake;

Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki,
Jo Roshani Mein Rahe Roshani Ko Pa Na Sake;

Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzari,
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mishgaan Tak Aa Na Sake;

Rahen Khulus-e-Mohabbat Ke Haadsaat Jahan,
Mujhe To Kya Mere Naqsh-e-Kadam Mita Na Sake;

KarenNge Mar Ke Baqa-e-Dawaam Kya Hasil,
Jo Zindaa Reh Ke Muqaam-e-Hayat Pa Na Sake;

Naya Zamanaa Banane Chale The Deewane,
Nayi Zameen, Naya Aasmaan Bana Na Sake!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi,
Par Teri Kaun See Jafaa Na Sahi;

Dard-e-Dil Hum To Un Se Keh Guzare,
Gar Unhone Nahi Suna Na Sahi;

Shab-e-Gham Mein Bala Se Shugal To Hai,
Naala-e-Dil Mera Rasa Na Sahi;

Dil Bhi Apna Nahi Raha Na Rahe,
Ye Bhi Ai Charkh-e-Fitnaa-Zaa Na Sahi;

Dekh To Lenge Wo Agar Aaye,
Taaqat-e-Arz-e-Muddaa Na Sahi;

Kuch To Aashiq Se Chhed-chhaad Rahi,
Kaj-Adaayi Sahi Adaa Na Sahi;

Kyon Bura Manate Ho Shikwa Mera,
Chalo Be-Jaa Sahi B-Jaa Na Sahi;

Uqada-e-Dil Hamara Ya Kismat,
Na Khula Tujh Se Ai Saba Na Sahi;

Vaaizo Band-e-Khuda To Hai 'Aish',
Hum Ne Maana Wo Parasa Na Sahi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui;

Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui;

Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui;

Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui;

Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui;

Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum;

Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum;

Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum;

Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum;

Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum;

Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein;

Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein;

Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
Layi Hai Barshagaal Saugatein;

Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein;

Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein;
v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
Hai 'Akhtar' Wo Ishq Kee Ghaatein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale,
Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale;

Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi,
Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale;

Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke,
Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale;

Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade,
Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale;

Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste,
Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale;

Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal,
Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale;

Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke,
Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale;

Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin',
Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein,
Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein;

⧬⧬Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya,
Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein;
v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai,
Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein;

Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa,
Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein;

Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh,
Gham Kee Daulat Bhi⧬⧬ Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein;

Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo,
Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe,
Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe;

Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,
Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe;

Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi,
Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe;

Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe;

Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi,
Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi;

Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi,
Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi;

Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah,
Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi;

Khule Mein Soyenge ⧭⧭Motiya Ke Phoolon Se,
Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi;

'Aziz' Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai,
Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chal Diye Uth Ke Su-e-⬈⬈⬈Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;

Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;

Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;

Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;

Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain;
Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain;

Humko Chodoge To Pachtaoge;
Hansne Walon Se Hansa Karte Hain;

Ye Batata Nahi Koi Mujhko;
Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain;

⧭⧭Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki;
Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain;

Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebak;
In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain;

Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai;
Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai;

'Daagh' ⬉⬉⬉Tu Dekh To Kya Hota Hai;
Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson;
Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson;

Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae;
Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson;

Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din;
So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson;

Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri;
Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson;

Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin';
Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka,
Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka;

Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo,
Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka;

Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai,
Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka;

Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein,
Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka;

⧬⧬Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan 'Iqbal',
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain;

Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain;

Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain;

Nekdili, Saafgoi, ⧭⧭Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain;

Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiqon Ko Ai Falak Devega Tu Aazaar Kya;
Dushman-e-Jaan Un Ka Thoda Hai Dil-e-Beemar Kya;

Rashk Aave Kyon Na Mujh Ko Dekhana Us Kee Taraf;
Takataki Baandhe Hue Hai Rozan-e-Deewar Kya;

Aah Ne To Kheema-e-Gardon Ko Phoonka Dekhen Ab;
Rang Laate Hain Hamare Deeda-e-Khoon-Baar Kya;

Murg-e-Dil Ke Vaaste Ai Hum-Safeero Kam Hai Kyon;
Kuch Kaza Ke Teer Se Teer-e-Nigah-e-Yaar Kya;

Chal Ke Mai-Khaane Hi Mein Ab Dil Ko Bahlao Zara;
'Aish' Yaa Baithe Hue Karte Ho Tum Begaar Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki ๐Ÿ”๐Ÿ”๐Ÿ”Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

No comments :

Post a Comment