zindagi shayri 1000


  1. Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho;
  2. Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho;
  3. Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat;
  4. Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho!
  5. ********************************

  6. Zamana Badal Geya Badal Gaye Insaan Bhi;
  7. Aaj Badla Sab Kuch Chahat Aur Pyaar Bhi;
  8. Aaj Kisi Kee Nazar Mein Keemat Nahi Hai Khoon Kee;
  9. Paisa Jis Kee Jeb Mein Wo Hi Sultaan Aur Ameer Bhi!

  10. ********************************
  11. Judaa Bhi Hone Ka Andhesha Seh Nahi Sakte;
  12. Hum Ek Shehar Mein Ab Khush Bhi Reh Nahi Sakte;

  13. Yeh Roz-o-Shab Hain Hamare Ki Ek Dusre Se;
  14. Chupaye Phirte Hain Ahwaal, Keh Nahi Sakte;

  15. Shakist-e-Zaat Ka Izhaar Chahte Bhi Nahin;
  16. Ajeeb Haal Hai, Hum Chup Bhi Reh Nahi Sakte;

  17. Haqeeqton Kee Chattane Bhi Apni Raah Mein Hain;
  18. Khayal-o-Khwab Ke Dariya Mein Beh Nahi Sakte;

  19. Woh Be-Kasoor Hai, Aisi Bhi Koi Baat Nahin;
  20. Kasoor-waar Hain Hum, Yeh Bhi Keh Nahin Saktey!

  21. ********************************
  22. Jab Woh Jamaal-e-Dilfaroz, Surat-e-Mehr-e-Nim Roz;
  23. Aap Hi Ho Nazara Soz, Parde Mein Munh Chhupaye Kyon;
  24. Dashna-e-Ghamza Jaan Sataan, Naawak-e-Naaz Be Panah;
  25. Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samne Tere Aaye Kyon!

  26. ********************************
  27. Jaane Do Abb Iss Gusse Ko;
  28. Ishq Ko Toh Bhi Nibhaana Hai.
  29. Gussa Hai Aggar Aashiq Pe;
  30. Toh Kabr Mein Kyun Isse Lajaana Hai!

  31. ********************************
  32. Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Kee Rut Bata Gayi;
  33. Phir Wahi Subah Aayegi Phir Wahi Sham Aa Gayi;
  34. Mere Lahoo Mein Jal Uthe Utne Hi Taza Dam Chirag;
  35. Waqt Kee Sazishi Hawa Jitne Diye Bujha Gayi!

  36. ********************************
  37. Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
  38. Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
  39. Mehkti Fiza Kee Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
  40. Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi!

  41. ********************************
  42. Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samjhte Hain;
  43. Apna Banate Hain Mere Har Gham Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain;
  44. Khuda Har Ek Khushi De Aapko Har Ek Gham Humko Naseeb Ho;
  45. Bas Yahi Dil Mein Sochkar Har Ek Dua Karte Hain!

  46. ********************************
  47. Mere Marne Ke Baad Kisi Ko Koi Khaas Farq To Nahi Hoga;
  48. Bas Ek Tanhayi Royegi Ki Mera Humsafar Chala Geya!
  49. DARD
  50. ********************************
  51. Dukh Fasana Nahi Ki Tujh Se Kahen;
  52. Dil Bhi Maana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

  53. Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab;
  54. Khud Bhi Jana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

  55. Betarah Haal-e-Dil Hai Aur Tujh Se;
  56. Dostana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

  57. Ek Tu Harf Aashnaa Tha Magar;
  58. Ab Zamana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

  59. Qaasid! Hum Faqeer Logo Ka;
  60. Ek Thikana Nahi Ki Tujh Se Kahen;

  61. Ai Khudaa Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost;
  62. Aab-O-Dana Nahn Ki Tujh Se Kahen;

  63. Ab To Apna Bhi Us Gali Mein 'Faraz';
  64. Aana Jana Nahi Ke Tujh Se Kahen!


  65. ********************************



  66. Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyon;
  67. Royenge Hum Hazar Baar Koi Humein Sataye Kyon;
  68. Daer Nahi, Haram Nahi, Dar Nahi, Aastaan Nahi;
  69. Baithe Hain Rehguzar Pe Hum Gair Humein Uthaye Kyon!


  70. ********************************
  71. Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
  72. Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
  73. Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chinn Gayi Jab Se;
  74. Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!

  75. ********************************
  76. Dil Tootega To Fariyad Karoge Tum Bhi;
  77. Hum Na Rahe To Humein Yaad Karoge Tum Bhi;
  78. Aaj Kehte Ho Hamare Paas Waqt Nahi;
  79. Par Ek Din Mere Liye Waqt Barbaad Karoge Tum Bhi!

  80. ********************************
  81. Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon;
  82. Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon;
  83. Yun Nigahein Na Fer Mujhse Mere Sanam;
  84. Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon!
  85. GILA SHIKWA
  86. ********************************
  87. Yeh Kaisi Judai Hai Jisne Humein Shayar Bana Diya;
  88. Yeh Kaisa Gham Hai Jisne Humein Bebas Bana Diya;
  89. Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi;
  90. Karte Bhi Kya Jab Aap Ne Hi Gair Bana Diya!
  91. JUDAAI
  92. ********************************
  93. Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na

  94. Kis-Kis Tarah Se Mujhko Na Ruswa Kiya Geya;
  95. Gairon Ka Naam Mere Lahoo Se Likha Geyaa;

  96. Nikla Tha Main Sada-e-Jaras Kee Talash Mein;
  97. Bhule Se Iss Sukoot Ke Sehra Mein Aa Geya;

  98. Kyon Aaj Us Ka Zikr Mujhe Khush Na Kar Saka;
  99. Kyon Aaj Us Ka Naam Mera Dil Dukha Geya;

  100. Iss Hadse Ko Sun Ke Karega Yakeen Koi;
  101. Suraj Ko Ek Jhonka Hawa Ka Bujha Geya!

  102. ********************************
  103. Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil;
  104. Garmi-e-Bazm Hai Ek Raqs-e-Sharar Hone Tak;
  105. Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaz;
  106. Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak!

  107. ********************************
  108. Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun;
  109. Khwabon Hi Mein Sarf Ho Chuka Hun;
  110. Sab Mere Bagair Mutmain Hain;
  111. Main Sab Ke Bagair Jee Raha Hun!


  112. ********************************
  113. Dillagi Mein Dil Ko Hum Kaisa Rog Laga Baithe;
  114. Zindagi Ko Chorh Kyon Maut Ko Gale Laga Baithe;
  115. Humne Samjha Tha Dil Lagakar Dil Ko Chain Milega;
  116. Aisi Lagi Chot Ke Dil Ko Bedard Se Dard Laga Baithe!
  117. DARD
  118. ********************************
  119. Tum Khafa Ho Gaye To Koi Khushi Na Rahegi;
  120. Tere Bina Chiragon Mein Roshni Na Rahegi;
  121. Kya Kahe Kya Guzregi Dil Par;
  122. Zinda To Rahenge Par Zindagi Na Rahegi!


  123. ********************************


  124. Tum Mere Dil Mein Aise Base Ho;
  125. Jaise Ke Dil Kee Dhadkan Bane Ho;
  126. Tumko Meri Jaan Khabar Hi Nahi Hai;
  127. Mere Liye Tum Kya Ban Gaye Ho!

  128. ********************************

  129. Phool The Rang The Lamhon Kee Sabahat Hum The;
  130. Aise Zinda The Ki Jeene Kee Alamat Hum The;

  131. Sab Khirad-Mand Bane Phirte The Masha-Allah;
  132. Bas Tere Shehar Mein Ik Sahib-e-Vehshat Hum The;

  133. Naam Bakhsha Hai Tujhe Kis Ke Wufoor-e-Gham Ne;
  134. Gar Koi Tha To Tere Mujrim-e-Shohrat Hum The;

  135. Ab To Khud Apni Zaroorat Bhi Nahi Hai Hum Ko;
  136. Wo Bhi Din The Ki Kabhi Teri Zaroorat Hum The;

  137. Dhoop Ke Dasht Mein Kitna Wo Humein Dhundhta Tha;
  138. 'Aitabar' Us Ke Liye Abr Kee Soorat Hum The!

  139. ********************************
  140. Hum Ne Mana Ki Taghaful Na Karoge Lekin;
  141. Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak;
  142. Partawe-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem;
  143. Main Bhi Hun Ek Inayat Kee Nazar Hone Tak!


  144. ********************************
  145. Aisa Nahi Ki Unse Mohabbat Nahi Rahi;
  146. Jazbaat Mein Wo Pehli Si Shiddat Nahi Rahi;
  147. Sar Mein Wo Intezar Ka Saudaa Nahi Raha;
  148. Dil Par Wo Dhadkano Kee Hukuumat Nahi Rahi!

  149. ********************************
  150. Hum Khud Ko Bhool Jayein To Koi Gham Nahi;
  151. Aapko Agar Bhool Jayein Woh Hum Nahi;
  152. Chahte Hain Hum Dosto Ko Jaan Se Bhi Jyada;
  153. Unke Liye Apni Jaan Bhi Chali Jaye To Koi Gham Nahi!

  154. ********************************
  155. Mujhe Apne Jism Kee Khushbu Se Madhosh Kar Do;
  156. Mujhe Apni Nazuk Si Baahon Mein Mehsoor Kar Do;
  157. Laga Ke Seene Se Mujhe Saare Gham Door Kar Do;
  158. Main Tumse Juda Na Ho Saku Mujhe Itna Majboor Kar Do!

  159. ********************************
  160. Dil To Hai Jo Sirf Tujh Pe Hi Mare Ja Raha Hai;
  161. Teri Yaad Mein Teri Tasbih Kiye Ja Raha Hai;
  162. Ab To Yeh Judaai Ka Gham Hum Se Saha Nahi Ja Raha Hai;
  163. Aur Ek Tu Hai Jo Door Reh Kar Hume Tadpaye Ja Raha Hai!

  164. ********************************
  165. Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko

  166. Har Ek Harf-e-Aarzoo Ko Dastan Kiye Hue;
  167. Zamana Ho Geya Hai Un Ko Mehaman Kiye Hue;

  168. Suroor-e-Aish Talkhi-e-Hayat Ne Bhula Diya;
  169. Dil-e-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-e-Jaan Kiye Hue;

  170. Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Wo Aayenge;
  171. Wo Aayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue;

  172. Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Un Se Maang Loon;
  173. Sukoon-e-Dil Kee Raahton Ko Bekaran Kiye Hue;

  174. Wo Aayenge To Aayenge Junoon-e-Shauq Ubharne;
  175. Wo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue;

  176. Main Un Kee Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon;
  177. Ki Un Se Bhi Hai Aaj Rashk Badguman Kiye Hue!

  178. ********************************
  179. Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betaab;
  180. Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Hone Tak!

  181. Translation:
  182. Love demands endurance, while desire is consuming,
  183. What should be my state untill obsession devours patience.

  184. ********************************
  185. Arz Farmaiya Hai:
  186. Ishq Mein Zor Nahi Chalta, Ghalib;
  187. Wah Wah!
  188. Ishq Mein Zor Nahi Chalta, Ghalib;
  189. Kabz Mein Bhi Nahi Chalta!



  190. ********************************

  191. Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
  192. Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak;
  193. Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nihang;
  194. Dekhein Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hone Tak!


  195. ********************************
  196. Ek Tukda Teri Yaadon Ki Chandni Ka Tod;
  197. Nihara Use Der Tak, Hatheli Par Rakh Ke;
  198. Phir Ek Phoonk Se Udaa Diya Kal Raat Maine;
  199. Aaj Subah Dekhi Hai Tere Ehsaas Ki Dhund Har Taraf Faili Hui!

  200. ********************************
  201. Khoobsurat Sa Ek Pal Kissa Ban Jata Hai;
  202. Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Ban Jata Hai;
  203. Kuch Log Zindagi Mein Milte Hain Aise;
  204. Jinse Kabhi Na Tootne Wala Rishta Ban Jata Hai!
  205. RISHTE
  206. ********************************
  207. Kismat Pe Naaz Hai To Wajah Hai Teri Mohabbat;
  208. Khushiyan Jo Pass Hain To Wajah Hai Teri Mohabbat;
  209. Main Tujh Se Mohabbat Kee Talab Kaise Na Karu;
  210. Chalti Hain Yeh Saans To Wajah Hai Teri Mohabbat!

  211. ********************************
  212. Maine Kab Chaha Ki Main Us Kee Tamana Ho Jaoon;
  213. Ye Bhee Kya Kam Hai Agar Us Ko Gawara Ho Jaoon;

  214. Mujh Ko Unchai Se Girana Bhee Hai Manzoor, Agar;
  215. Us Kee Palkon Se Jo Toote, Wo Sitara Ho Jaoon;

  216. Lekar Ik Azm Uthun Roz Nayi Bheed Ke Sath;
  217. Phir Wahei Bheed Chhate Aur Main Tanha Ho Jaoon;

  218. Jab Talak Mahve-Nazar Hun, Main Tamashayi Hun;
  219. Tuk Nigahein Jo Hata Loon To Tamasha Ho Jaoon;

  220. Main Wo Bekar Sa Pal Hun, Na Koi Shabd, Na Sur;
  221. Wo Agar Mujh Ko Rachale To Hamesha Ho Jaoon;

  222. Aagahi Mera Marz Bhi Hai, Mudawa Bhi Hai 'Saaz';
  223. Jis Se Marta Hun, Usee Zehar Se Achha Ho Jaoon!

  224. ********************************
  225. Jhhuki Nazro'n Mein Qayamat Ka Asar Hota Hai;
  226. Husn Kuchh Aur Nikhar Jaata Hai Sharmaane Se!

  227. ********************************
  228. Aafat To Hai Wo Naaz Bhi Andaaz Bhi Lekin;
  229. Marta Hun Main Jis Par Wo Ada Aur Hi Kuch Hai!

  230. ********************************
  231. Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati;
  232. Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati;
  233. Ajeeb Log Hain Iss Zamane Mein;
  234. Koi Bhool Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati!

  235. ********************************
  236. Rone Se Kabhi Kisi Ko Kuch Hasil Nahi Hota;
  237. Jo Bichhad Jaye Woh Sathi Nahi Hota;
  238. Dusro Kee To Hum Mehfil Sajate Rehte Hain;
  239. Par Hamari Tanhai Mein Kabhi Koi Shamil Nahi Hota!

  240. ********************************
  241. Ishq Se Kabhi Humne Inkaar Nahi Kiya;
  242. Par Iss Dil Ko Kabhi Itna Bekarar Nahi Kiya;
  243. Bas Aankhon Mein Unke Sapne Sajaye Rakhe Hain;
  244. Magar Kabhi Humne Honthon Se Ishq Ka Izhar cNahi Kiya!



  245. ********************************

  246. Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka;
  247. Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka;

  248. Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare;
  249. Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka;

  250. Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon;
  251. Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka;

  252. Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun;
  253. Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka;

  254. Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel';
  255. Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka!

  256. ********************************
  257. Ghalib Nadeem-e-Dost Se Aati Hai Bu-e-Dost;
  258. Mashghul-e-Haq Hoon Bandagi-e-Bu Turaab Mein!


  259. ********************************
  260. Kaise Kahe Ki Usko Bhi Humse Hai Koi cVaasta;
  261. Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya!

  262. ********************************
  263. Chand Kee Taraf Dekh Ke Fariyaad Mangte Hain;
  264. Hum Zindagi Mein Bas Tera Pyaar Mangte Hain;
  265. Bhool Ke Bhi Kabhi Mujhse Door Mat Jana;
  266. Hum Kaun Sa Tujhse Teri Jaan Mangte Hai!

  267. ********************************
  268. Mohabbat Wafa Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
  269. Duniya Mein Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
  270. Tumhare Paas Mere Bina Sab Kuch Hai;
  271. Par Hamare Paas Tumhare Siwa Kuch Bhi Nahi!
  272. ISHQ
  273. ********************************
  274. Aaj Bhi Behta Hai Uska Diya Hua Zakham;
  275. Main Chah Kar Bhi Use Sil Na Paya;
  276. Bas Kehne Ke Liye Hi Zinda Hu Main To Yaaro;
  277. Par Marzi Ke Saath Kabhi Jee Nhi Paya!
  278. DARD
  279. ********************************
  280. Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha;
  281. Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha;

  282. Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz;
  283. Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha;

  284. Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikcharne Laga;
  285. Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha;

  286. Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna;
  287. Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha;

  288. Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain;
  289. Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha!

  290. ********************************
  291. Hai Ghalib Ghalib Jisko Samjhtey Hain Hum Shuhood;
  292. Hain Khwab Mein Hanooz Jo Jaage Hain Khwab Mein!

  293. ********************************
  294. Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chale Gaye; 
  295. Khwabida Zindagi Thi Jagaa Kar Chale Gaye;
  296. Chehre Tak Aasteen Wo Lakar Chale Gaye; 
  297. Kya Raaz Tha Ki Jis Ko Chipakar Chale Gaye!


  298. ********************************
  299. Kujh Yaaran Nu Si Parkhiya Main;
  300. Kujh Yaari Meri Parakh Gaye;
  301. Lakh Bura Keha, Kujh Russe Na;
  302. Kujh Bina Kahe Hi Harakh Gaye;
  303. Kujh Vaarde Si Jaan Mere To;
  304. Kujh Aayi Musibat Sarak Gaycee;
  305. Kujh Mere To Vichhad Ke Khush Hoye;
  306. Kujh Sanu Vekhan Layi Taras Gaye!



  307. ********************************

  308. Na Jane Kab Wo Haseen Raat cHogi;
  309. Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi;
  310. Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein;
  311. Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi!

  312. ********************************
  313. Mujhe Rula Kar Dil Uska Bhi To Roya Hoga;
  314. Chehra Aansuon Se Usne Bhi To Dhoya Hoga;
  315. Agar Na Kiya Hasil Kuch Humne Pyaar Mein;
  316. Kuchh Na Kuch To Usne Bhi Zaroor Khoya Hoga!

  317. ********************************

  318. Raste Kaa Intikhaab Zaroori Sa Ho Geya;
  319. Ab Ikhtitaam-e-Baab Zaroori Sa Ho Geya;

  320. Hum Chup Rahe To Aur Bhi Ilzam Aayega;
  321. Ab Kuch Na Kuch Jawab Zaroori Sa Ho Geya;

  322. Hum Taalte Rahe Ki Ye Naubat Na Aane Paye;
  323. Phir Hijr Ka Azaab Zaroori Sa Ho Geya;

  324. Har Sham Jald Sone Kee Aadat Hi Pad Gayi;
  325. Har Raat Ek Khwab Zaroori Sa Ho cGeya;

  326. Aahon Se Toottaa Nahi Ye Gumbad-e-Siyah;
  327. Aab Sang-e-Aaftaab Zaroori Sa Ho Geya;

  328. Dena Hai Imtihaan Tumhare Firaq Ka;
  329. Ab Sabr Ka Nisab Zaroori Sa Ho Geya!

  330. ********************************
  331. Aarish-e-Jamaal Se Faarigh Nahi Hanooz;
  332. Pesh-e-Nazar Hai Aaina Daaim Naqab Mein!


  333. ********************************
  334. Chaman Mein Shab Ko Jo Wo Shokh cBe-Naqab Aaya;
  335. Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
  336. Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya;
  337. Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijaab Aaya!

  338. ********************************
  339. Hamari Tanhai Mitane Ke Liye Kaun Aayega;
  340. In Roti Hui Aankhon Ko Chup Karane Kaun Aayega;
  341. Kisi Ko Ab Zaroorat Hi Nahi Hai Hamari Dosto;
  342. Sochte Hain Agar Mar Gaye To Dafnane Kaun Aayega!

  343. ********************************
  344. Maut Se Keh Do Ki Hum Se Naraazgi Khatam Kar Le Ab;
  345. Woh Bhi Bahut Badal Gaye Hain Jinke Liye Jiya Karte The Hum!

  346. ********************************
  347. Main Aadat Hun Uski, Woh Zaroorat cHai Meri;
  348. Main Farmaish Hun Uski, Woh Ibadat Hai Meri;
  349. Itni Aasani Se Kaise Nikal Dun Use Apne Dil Se;
  350. Main Khwab Hun Uska Woh Haqeeqat Hai Meri!

  351. ********************************

  352. Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Hue Gham Aate Hain;
  353. Jaise Bichhade Hue Kabe Mein Sanam Aate Hain;

  354. Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Tare Roshan;
  355. Meri Manzil Kee Taraf Tere Kadam Aate Hain;

  356. Raqs-e-May Tez Karo, Saaz Kee Lai Tez Karo;
  357. Su-e-Maikhana Safiraan-e-Haram Aate Hain;

  358. Kuch Humin Ko Nahi Ehsan Uthane Ka Dimag;
  359. Woh To Jab Aate Hain Mail-ba-Karam Aate Hain;

  360. Aur Kuch Der Na Guzare Shab-e-Furqat Se Kaho;
  361. Dil Bhi Kam Dukhata Hai Woh Yaad Bhi Kam Aate Hain!

  362. ********************************
  363. Sharam Ek Ada-e-Naaz Hai Apne Hi cSe Sahi;
  364. Hai Kitne Behijab Ki Yun Hai Hijab Mein!


  365. ********************************


  366. Yeh Jism Bhi Kya Cheez Hai;
  367. Arzoo Kisiki Aur Bandgi Kisiki!

  368. ********************************
  369. Jis Din Se Chala Hu Meri Manzil Pe Nazar Hai;
  370. Aankho Ne Kabhi 'Mile' Ka Patthar Nahi Dekha!

  371. ********************************  
  372. Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Kee Ja Sakti;
  373. Khud Ko Itni Bhi Aziyat Nahi Di Ja Sakti;
  374. Jante Hain Ki Yakeen Toot Raha Hai Dil Par;
  375. Phir Bhi Ab Tark Ye Vehshat Nahi Kee Ja Sakti!


  376. ********************************
  377. Itni Badsaluki Na Kar Ai Zindagi;
  378. Hum Kaun Sa Yahan Baar-Baar Aane cWale Hain!
  379. ZINDAGI
  380. ********************************   
  381. Na Koi Kisi Se Door Hota ccHai;
  382. Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai;
  383. Aata Hai Chal Pyaar Khud Uske Paas;
  384. Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai!
  385. ISHQ
  386. ********************************   
  387. Yun To Hum Dushmanon Ke Kaafilon Se Sar Utha Kar Guzar Jaate Hain;
  388. Khauf To Aksar Apno Kee Galiyon Se Guzarne Mein Lagta Hai!
  389. DARD
  390. ********************************   
  391. Kab Woh Zahir Hoga Aur

  392. Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe;
  393. Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe;

  394. Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth;
  395. Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe;

  396. Rooh Phoonkega Mohabbat Kee Mere Paikar Mein Woh;
  397. Phir Woh Apne Samne Be-Jaan Kar Dega Mujhe;

  398. Khwahishon Ka Khoon Bahega Sar-e-Bazar-e-Shauq;
  399. Aur Mukammal Be-e-Sar-o-Saman Kacr Dega Mujhe;

  400. Munahadim Kar Dega Aa Kar Sari Tameeraat-e-Dil;
  401. Dekhte Hee Dekhte Veeran Kar Dega Mujhe;

  402. Ek Naa-Maujudgi Reh Jayegi Charon cTaraf;
  403. Rafta Rafta Iss Qadar Sunsaan Kar Dega Mujhe;

  404. Ya To Mujh Se Woh Chuda Dega Ghazal-Goyi 'Zafar'
  405. Ya Kisi Din Sahab-e-Deevaan Kar Degaa Mujhe!

  406. ********************************
  407. Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr;
  408. Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein!


  409. ******************************** 
  410. Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum;
  411. Aaya Bhi Aur Geya Bhi Zamana Bahar Ka!

  412. ********************************   
  413. Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;
  414. Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;
  415. Hume To Intezar Hai Us Sham Ka;
  416. Jo Aaye Kabhi Tumhein Saath Lekar!


  417. ********************************


  418. Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
  419. Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
  420. Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo cDekha Pyaar Ko;
  421. Bas Yaad Unki Kee Aayi Aur Rulati Chali Gayi!

  422. ********************************
  423. Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka;
  424. Khusiyan Dhundti Rahe Aashiyana Aapka;
  425. Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho;
  426. Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka!

  427. ********************************

  428. Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
  429. Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak;

  430. Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab;
  431. Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak;

  432. Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge cLekin;
  433. Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak;

  434. Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj;
  435. Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak!

  436. ********************************
  437. Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai;
  438. Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein!


  439. ********************************
  440. Gham-e-Ishq Reh Geya Hai, Gham-ecJustjuu Me Dhalkar;
  441. Woh Nazar Se Chipp Gaye Hain Meri Zindagi Badalkar!
  442. DARD 
  443. ********************************  
  444. Itna Haseen Kyon Banaya Khuda Ne Unko;
  445. Har Koi Chahta Hai Dil-o-Jaan Se Unko;
  446. Baar Baar Dekhne Se Dil Nahi Bharta Kisi Ka Bhi;
  447. Aankhon Mein Basa Lena Chahta Hai Har Shakhs Unko!

  448. ********************************
  449. Yun To Duniya Mein Sahare Bahut Hain;
  450. Hamare Jaise Tumhare Chahne Wale cBahut Hain;
  451. Kis Kiska Haal Ab Tum Ja Kar Puchoge;
  452. Yun To Zamane Mein Tumhare Deewane Bahut Hain!

  453. ********************************
  454. Iss Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein;
  455. Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein;

  456. Tu Bhi Heere Se Ban Geya Patthar;
  457. Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Hoc Jayein;

  458. Hum Bhi Majboorion Ka Uzar Karein;
  459. Phir Kahin Aur Mubtala Ho Jayein;

  460. Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse;
  461. Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein;

  462. Bandagi Hum Ne Chhod Di Hai 'Faraz';
  463. Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein!

  464. ********************************
  465. Khuda Mujhe Kisi Toofan Se Aashna cKar De;
  466. Ki Tere Behar Kee Maujon Mein Iztrab Nahi;
  467. Tujhe Kitaab Se Mumkin Nahi Faraag Ki Tu;
  468. Kitaab-Khawan Hai Magar Sahib-e-Kitaab Nahi!


  469. ********************************
  470. Nazar Se Nazar Kee Mulaqat Dekhi Hai;
  471. Pyaar Mein Hote Hue Teeron Kee Barsaat cDekhi Hai;
  472. Yun To Lakhon Dekhe Hain Humne Dil Lagane Wale;
  473. Par Teri Chahat Mein Humne Baat Koi Khaas Dekhi Hai!



  474. ********************************

  475. Tumhein Dekha Aur Pehli Nazar Mein Apni Zindagi Bana Liya;
  476. Aaj Pa Kar Tumhein Humne Apna Khuda Hai Pa Liya!

  477. ********************************
  478. Aansu Na Hote To Aankh Itni Khoobscurat Na Hoti;
  479. Dard Na Hota To Khushiyon Kee Keemat Na Hoti;
  480. Poori Karta Rabb Yun Hi Sab Muradein;
  481. To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti!

  482. ********************************

  483. Ek Jaam Khankta Jaam, Ki Saqi Raat cGuzrne Wali Hai;
  484. Ek Hoshruba Inaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

  485. Wo Dekh Sitaron Ke Moti Har Aan Bikhrte Jaate Hain;
  486. Aflaak Pe Hai Kohram, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

  487. Yeh Waqt Nahi Hai Baaton Ka Palkon Ke Saaye Kaam Mein La;
  488. Ilham Koi Ilham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

  489. Madhoshi Mein Ehsas Ki Unche Jeene cSe Gir Jaane De;
  490. Iss Waqt Na Mujh Ko Tham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai!

  491. ********************************
  492. Rau Mein Hai Rakhsh-e-Umr Kahan Dekhiye Thamey;
  493. Na Haath Baag Par Hai Na Pa Hai Rakab Mein!


  494. ********************************
  495. Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se cDam-e-Sama;
  496. Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein!


  497. ********************************
  498. Yeh Ishq Wale Wafa Kee Keemat Kya Jaane;
  499. Bewafa Hai Yeh Gham-e-Mohabbat Kya Jaane;
  500. Milta Ho Jinhe Har Mod Pe Naya Humsafar;
  501. Woh Sachhe Pyaar Kee Keemat Kya Jane!

  502. ********************************

  503. Yeh Na Puch Ki Shikayatein Kitni Hain Tujhse Ai Zindagi;
  504. Sirf Yeh Bata Ki Tera Koi Aur Sitam cBaaki To Nahi Hai!

  505. ********************************
  506. Ishq Tujse Karta Hun Main Zindagi Sec Bhi Jyada;
  507. Main Darta Nahi Maut Se Teri Judai Se Jyada;
  508. Chahe To Aajma Le Mujhe Kisi Aur Se Jyada;
  509. Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Mohabbat Se Jyada!

  510. ********************************
  511. Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
  512. Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;

  513. Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
  514. Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;

  515. Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
  516. Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;

  517. Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
  518. Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;

  519. Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
  520. 'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar cDekha!

  521. ********************************
  522. Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
  523. Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!



  524. ********************************

  525. Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
  526. Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
  527. Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
  528. Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard cChupa Lete Hain!

  529. ********************************
  530. Humne Manga Tha Saath Unka;
  531. Woh Judai Ka Gham De Gaye;
  532. Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi cJee Lete;
  533. Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye!

  534. ********************************
  535. Kehte Hain Woh Majbur Hain Hum;
  536. Na Chahte Hue Bhi Door Hain Hum;
  537. Chura Lee Hai Unhone Dhadkane Hamari;
  538. Phir Bhi Kehte Hain Ki Bekasoor Hain Hum!

  539. ********************************

  540. Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; 
  541. Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; 

  542. Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; 
  543. Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; 

  544. Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; 
  545. Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; 

  546. Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa cHun Dosto;
  547. Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; 

  548. Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; 
  549. Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega!

  550. ********************************
  551. Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand;
  552. Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein!

  553. ********************************
  554. Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar;
  555. Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe!

  556. ********************************
  557. Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane cKo;
  558. Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko;
  559. Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye;
  560. Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko!

  561. ********************************
  562. Uski Chahat Ne Rulaya Bahut cHai;
  563. Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
  564. Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa;
  565. Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!

  566. ********************************
  567. Zindagi Se Kyon Rooth Gaye Ho cTum;
  568. Itne Mayus Kyon Ho Gaye Ho Tum;
  569. Zaroor Tumhara Bhi Kisi Ne Dil Toda Hai;
  570. Jo Itne Gham-Geen Ho Gaye Ho Tum!

  571. ********************************
  572. Teri Tarha Malal Mujhe Bhi Nahi Raha;
  573. Ja Ab Tera Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

  574. Tu Ne Bhi Mausamon Kee Pazeerai Chhod Di;
  575. Ab Shauq-e-Mah-e-Visaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

  576. Mera Jawab Kya Tha Tujhe Bhi Khabar Nahi;
  577. Yaad Ab Tera Sawaal Mujhe Bhi Nahi Raha;

  578. Jis Baat Ka Khayaal Na Tu Ne Kabhi Kiya;
  579. Us Baat Ka Khayal Mujhe Bhi Nahi Raha;

  580. Toda Hai Tu Ne Jab Se Mere Dil Ka Aaina;
  581. Andaza-e-Jamal Mujhe Bhi Nahi cRaha!


  582. ********************************


  583. Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein;
  584. Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein!


  585. ********************************
  586. Tum Mere Liye Ab Koi Ilzam Na Dhoondo;
  587. Chaha Tha Tumhein Ek Yahi Ilzam Bahut Hai!

  588. ********************************
  589. Ai Zindagi Yun Mujhse Tu Daga Na Kar;
  590. Zinda Rahu Main Ye Tu Dua Na Kar;
  591. Koi Chhuta Hai Tujhe To Hoti Hai Jalan;
  592. Ai Hawa Tu Bhi Use Chhuaa Na Kar!

  593. ********************************
  594. Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya;
  595. Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya!

  596. ********************************
  597. Khoobsurati Kee Pehchan Banawat Se Nahi Hoti;
  598. Mohabbat Kee Pehchan Dhadkano Kee Aahat Se Nahi Hoti;
  599. Kaise Samajh Liya Khush Hain Hum Aapke Bagair;
  600. Khushiyon Kee Pehchan Sirf Muskurahat cSe Nahi Hoti!

  601. ********************************

  602. Dukh De Kar Sawal Karte Ho;
  603. Tum Bhi Ghalib Kamaal Karte Ho;

  604. Dekh Kar Puch Liya Haal Mera;
  605. Chalo Kuch To Khayaal Karte Ho;

  606. Shehar-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi;
  607. Ye Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho;

  608. Marna Chahe To Mar Nahi Sakte;
  609. Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho;

  610. Ab Kis Kis Kee Misaal Dun Tumko;
  611. Har Sitam Be-Misaal Karte Ho!

  612. ********************************
  613. Hum Bhi Ek Sham Bahut Uljhe Hue cThe Khud Mein;
  614. Ek Sham Usko Bhi Haalat Ne Mohlat Nahin Di!

  615. ********************************
  616. Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar;
  617. Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar;
  618. Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di;
  619. Jise Dil Mein Basaya Tha Dhadkan Banakar!

  620. ********************************
  621. Har Lamha Hum Unhein Yaad Karte Rahe;
  622. Unki Yaad Mein Mar-Mar Ke Jeete Rahe;
  623. Ashq Aankon Se Hamari Behte Rahe;
  624. Hum Ashqon Ke Jaam Peete Rahe!

  625. ********************************
  626. Raaton Ka Manzar Azeeb Lagta cHai;
  627. Saya Teri Yaadon Ka Kareeb Lagta Hai;
  628. Lehrein Aakar Waapis Ho Jaati Hain;
  629. Woh Sahil Tanha Azeeb Lagta Hai!


  630. ********************************

  631. Koi Keh De Mere Dil Ki Baat cUnse;
  632. Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

  633. Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
  634. Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

  635. Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
  636. Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

  637. Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
  638. Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

  639. Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
  640. Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!

  641. ********************************   
  642. Ret Par Thak Ke Gira Hun To Hawa Puchti Hai;
  643. Aap Iss Dasht Mein Kyon Aaye The cVahshat Ke Bagair!

  644. ********************************
  645. Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua;
  646. Har Yaad Par Dil Ka Dard Taza Hua;
  647. Suni Thi Sirf Ghazalo Mein Judai Ki Baatein;
  648. Jab Khud Par Beeti To Haqeeqat Ka Andaza Hua!

  649. ********************************   
  650. Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi;
  651. Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi;
  652. Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana;
  653. Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi!

  654. ********************************
  655. Zubaan Se Tumhein Keh Nahi Sakte;
  656. Isliye Hamesha Khuda Se Fariyad Karte Hain;
  657. Jab Bhi Dil Dhadke Tumhara Zor Zor Se;
  658. Samajh Lena Hum Tumhein Dil Se Yaad Karte Hain!

  659. ********************************

  660. Tu Nahi To Zindagi Mein Kya Reh Jayega;
  661. Door Tak Tanhaiyon Ka Silsila Reh Jayega;

  662. Dard Kee Sari Tahe Aur Saare Guzre Hadse;
  663. Sab Dhuan Ho Jayenge Ek Waakiya Reh Jayega;

  664. Yun Bhi Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar;
  665. Ye Bhi Hoga Khud Usi Mein Ek Khala Rehc Jayega;

  666. Dayre Insan Ke Inkar Ke Iqrar Kee Sargoshiya;
  667. Ye Agar Kabhi Toote To Fasla Reh Jayega!

  668. ********************************
  669. Kal Jinhe Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Kee Nazar;
  670. Aaj Wo Raunaq-e-Bazar Nazar Aate Hain!

  671. ********************************
  672. Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwaab Toote;
  673. Na Jane Kitne Tukdon Mein Armaan Toote;
  674. Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
  675. Har Aaine Ke Saath Lakhon Jazbaat Toote!
  676. DARD 
  677. ********************************  
  678. Dil Ke Dard Ko Chupana Jitna Mushkil Hai;
  679. Toot Kar Fir Muskurana Utna Hi Mushkil Hai;
  680. Kisi Ke Sath Door Tak Jao Aur Fir Dekho;
  681. Ki Akele Laut Kar Aana Kitna Mushkil Hai!
  682. DARD   
  683. Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Walac Hota;
  684. To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote;
  685. Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota;
  686. To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote!


  687. ********************************

  688. Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Mein;
  689. Jal Gaye Pair Kabhi Dhoop Kabhi Barish Mein;

  690. Woh To Ik Saada-o-Kam Shauq Ka Talib Nikla;
  691. Hum Ne Naahiq Hi Ganwaya Use Aarayesh Mein;

  692. Zindagi Ki Koi Mehrumi Nahi Yaad Aayi;
  693. Jab Talak Hu Mathe Tere Qurb Ki Asaayesh Mein;

  694. Ek Duniya Ka Qaseeda Tha Agarche Mere Naam;
  695. Lutf Aata Tha Kisi Shakhs Kee Fehmayesh Mein;

  696. Us Kee Aankhen Bhi Meri Tarah Se Girdi Kahi Aur;
  697. Khwab Ka Karz Barh Jata Hai Ik Khwahish cMein!

  698. ********************************
  699. Tere Ishq ki Chahat Mein Hum Reh Reh Kar Reh Gaye;
  700. Teri Waafa Ki Justju Mein Beh Beh Kar Beh Gaye!
  701. ~
  702. ********************************
  703. Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt;
  704. Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete!

  705. ********************************
  706. Woh Begaano Mein Apne;
  707. Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain;
  708. Hamare Khoon Ki Bhi Keemat Nahi;
  709. Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte cHain!

  710. ********************************
  711. Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Hue Hain;
  712. Unke Liye Hum Har Khusi Bhulaye Hue Hain;
  713. Najar Nahi Aate Par Tadap Mahsoos Hoti Hai;
  714. Andekhe Yaar Ke Liye Sapne Sajaye Hue Hain!

  715. ********************************
  716. Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Ye Doori Kardi;
  717. Bhichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kardi;
  718. Mere Mukaddar Mein Gham Aaye To Kya Hua;
  719. Khuda Ne Uski Khwaish To Poori cKardi!

  720. ********************************

  721. Shaan Se Pyaar Ka Izhar Karenge;
  722. Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge;

  723. Dekh Ke Jalegi Duniya Saari;
  724. Iss Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge;

  725. Denge Salaami Sab Humko;
  726. Jab Pyaar Ko Hum Bayaan Karenge;

  727. Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam;
  728. Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge;

  729. Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar;
  730. Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge;

  731. Saaye Ki Tarah Tujhse Lipte Rahenge;
  732. Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe cBachaya Karenge!

  733. ********************************
  734. Baarish Hue Bheeg Gaye Hum;
  735. Baarish Hue Bheeg Gaye Hum;
  736. Rajinikanth Ne Phuk Maari;
  737. Aur Fir Kya - Sukh Gaye Hum!

  738. ********************************
  739. Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath;
  740. Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale!

  741. ********************************
  742. Shikwa Kisi Ka Na Fariyad Kisi Kee;
  743. Honi Thi Yun Hi Zindagi Barbaad Kisi Kee;
  744. Ehsas Mita Talash Miti Mit Gayi Umeedein;
  745. Sab Mit Geya Par Na Mit Saki cYaad Kisi Kee!


  746. ********************************



  747. Na Dil Ka Rog Tha, Na Yaadein Thi, Aur Na Hi Ye Hijar;
  748. Tere Pyaar Se Pehle Kee Neendein Bhi Kamaal Kee Thi!

  749. ********************************
  750. Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe;
  751. Pathar Pe Hun Lakeer, Mita Dijiye Mujhe;
  752. Har Roz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko;
  753. Main Kya Hun, Aik Baar Bata Dijiye cMujhe!

  754. ********************************
  755. Shehar Mein Dhoond Raha Hun

  756. Shehar Mein Dhoond Raha Hun Ki Sahara De De;
  757. Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kasa De De;

  758. Pedh Sab Nange Faqiron Kee Tarah Sehme Hain;
  759. Kis Se Ummeed Ye Kee Jaye Ki Saya De De;

  760. Waqt Kee Sangjani Noch Gayi Sare Naqsh;
  761. Ab Woh Aaina Kahan Jo Mera Chehra De De;

  762. Dushmano Kee Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaye;
  763. Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe cDhokha De De;

  764. Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaunga;
  765. Meri Tanhayi Yahan Kuch Dino Pehra De De;

  766. Jis Ne Katron Ko Bhi Mohtaz Kiya Mujh Ko;
  767. Wo Josh Mein Agar Aa Jaye To Dariya De De;

  768. Tum Ko 'Rahat' Kee Tabiyat Ka Nahi Andaza;
  769. Woh Bhikari Hai Magar Maango To Duniya De De!

  770. ********************************
  771. Juda Kisi Se Kisi Ka Gharaz Habeeb Na Ho;
  772. Ye Dagh Woh Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho!

  773. ********************************
  774. Woh Lamhe Rulate Hain Humko Raat Din;
  775. Woh Lamhe, Unka Bhi To Dil Dukhate Honge;
  776. Jab Kabhi Bhi Woh, Padh Lete Honge Nagme Hamare;
  777. Naam Apna Padhkar, Aankho Se cAshk Jhalak Aate Honge!

  778. ********************************
  779. Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai;
  780. Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai;
  781. Iss Umeed Ke Saath Ki Aayenge Woh Kabhi;
  782. Humne Har Raah Pe Apni Palkein Bichha Rakhi Hain!

  783. ********************************
  784. Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsaane Kee;
  785. Maine Pal Pal Kee Kosish, Uske Pass Jaane Kee;
  786. Naseeb The Meri Ya, Sazish Zamane Kee;
  787. Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeedc Thi Kareeb Aane Kee!

  788. ********************************

  789. Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq;
  790. Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq;

  791. Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho;
  792. Sare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq;

  793. Ishq Mashuq Ishq Aashiq Hai;
  794. Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq;

  795. Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen;
  796. Kahin Banda Kahin Khuda cHai Ishq;

  797. Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha;
  798. Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq;

  799. Koi Khwaahan Nahin Mohabbat Ka;
  800. Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq;

  801. Meer Ji Zarad Hote Jaate Hain;
  802. Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq!

  803. ********************************
  804. Mehfil Mein Mere Zikar Ke Aate Hi Uthe Woh;
  805. Ruswa-e-Mohabbat Ka Ye Ezaz Toc Dekho!


  806. ********************************
  807. Zindagi Mein Kisi Ek Se Karo Pyaar Itna;
  808. Ki Kisi Aur Se Pyaar Karne Kee Gunjaish Na Rahe;
  809. Woh Muskurade Aap Ko Dekh Kar Ek Baar;
  810. To Zinadgi Se Phir Koi Khwaish Nca Rahe!


  811. ********************************


  812. Roz Dhalti Hui Shaam Se Darr Lagta Hai;
  813. Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Darr Lagta Hai; Jab Se Mila Hai Dhokha Iss Ishq Mein;

  814. ********************************
  815. Mohabbat Kee Daastan Sunane Aaye Hain;
  816. Tabah Karne Ke Baad Woh Pyaar Jatane Aaye Hain; Aansu Ponch Liye The Hum Ne Kab Ke;
  817. Magar Woh Fir Se Aaj Hume Rulacne Aaye Hain!
  818. G

  819. ********************************
  820. Humein Koi Gham Nahi Tha Gham-e-Aashiqui Se Pehle;
  821. Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pehle;

  822. Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasur Iss Mein;
  823. Tere Gham Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle;

  824. Mera Pyaar Jal Raha Hai Ai Chand Aaj Chhup Jaa;
  825. Kabhi Pyaar Tha Humein Bhi Teri Chandni Se Pehle;

  826. Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota;
  827. Ki Hazaron Gham Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pehle;

  828. Ye Ajeeb Imtihan Hai Ki Tum Hi Ko Bhulana Hai;
  829. Mile Kab The Iss Tarah Hum cTumhein Bedili Se Pehle!

  830. ********************************
  831. Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;
  832. Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!

  833. ********************************
  834. Takdeer Se Shikwa Bhi Karein To Kis Tarah Karein;
  835. Iss Takdeer Ne Humko Milaaya Bhi Tha Unse!
  836. GILA SHIKWA  37
  837. Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta;
  838. Zakhm Kitne Hain Dikha Nahi Sakta;
  839. Aankhon Se Samajh Sako To Samajh Lo;
  840. Aansu Gire Hain Kitnce Gicna Nahi Sakta!

  841. ********************************
  842. Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samajhte Hain;
  843. Apna Banaate Hain Mere Har Gham Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain;
  844. Khuda Har Ek Khushi De Aapko, Har Ek Gham Humko Naseeb Ho;
  845. Bas Yehi Dil Mein Sochkacr Har Ek Dua Karte Hain!

  846. ********************************

  847. Raah Aasaan Ho Gayi Hogi;
  848. Jaan Pehchaan Ho Gayi Hogi;

  849. Phir Palat Kar Nigah Naahi Aayi;
  850. Tujh Pe Kurbaan Ho Gayi Hogi;

  851. Teri Zulfon Ko Chedati Thi Saba;
  852. Khud Pareshaan Ho Gcayi Hogi;

  853. Maut Se Tere Dardmandon Kee;
  854. Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi;

  855. Un Se Bhi Chheen Loge Yaad Apni;
  856. Jinka Imaan Ho Gayci Hogi!

  857. ********************************
  858. Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe;
  859. Ki Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe;
  860. Diye Hain Hijar Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe;
  861. Shab-e-Firaaq Ne Mcara Litaa Litaa Ke Mujhe!

  862. ********************************
  863. Gar Jo Dil Kee Suno To Haar Jaoge;
  864. Hum Jaisa Pyaar Pchir Kaha Se Paoge;
  865. Jaan Dene Kee Baat To Har Koi Karta Hai;
  866. Par Zindagi Banane Wala Kahan Se Laoge!



No comments :

Post a Comment