Qateel Shifai Shayari Hindi Now2017

Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi;
Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;
Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⬊⬊⬊Yeh Ek Baar Ki Maut Ab Use Mili Warna;
Zara Zara Sa Toh Hiddat Se Mar Raha Tha Koi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ahbab Ko De Raha Hoon Dhokha;
Chehre Pe Khushi Saja Raha Hoon!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya,
Main Khoob Hansunga Tujhe Gham Hai To Mujhe Kya;

Kya Main Ne Kaha Tha ⧭⧭Ki Zamane Se Bhala Kar,
Ab Tu Bhi Sazavar-e-Sitam Hai To Mujhe Kya;

Haan Le Le Kasam Gar Mujhe Qatra Bhi Mila Ho,
Tu Shaaki-e-Arbaab-e-Karam Hai To Mujhe Kya;

Jis Dar Se Nidamat Ke Siva Kuch Nahi Milta,
Us Dar Pe Tera Sar Bhi Jo Khham Hai To Mujhe Kya;

Maine To Pukara Hai Mohabbat Ke Ufaq Se,
Raaste Mein Tere Sang-e-Haram Hai To Mujhe Kya;

Bhoola To Na Hoga Tujhe Suqraat Ka Anjaam,
Haathon Mein Tere Saaghar-e-Sam Hai To Mujhe Kya;

Patthar Na Paden Gar Sar-e-Bazaar To Kehna,
Tu Motarif-e-Husn-e-Sanam Hai To Mujhe Kya;

Main Sarmad-o-Mansoor Bana Hun Teri Khaatir,
Yeh Bhi Teri Umeed Se Kam Hai To Mujhe Kya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango,
Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango;

Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se,
Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango;

Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi,
Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango;

⬈⬈Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala,
Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango;

Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai,
Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko,
Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Tu Hai Payaar Ka Baadal To Baar Baar Baras;
Na Bheeg Paun Ga Main Tere Ek Nazarae Se!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kuch Keh Rahi Hain Aap Ke Seene Kee Dhadkanein;
Mera Nahi To Dil Ka Kaha Maan Jaiye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

⬉⬉Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;
Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi;
Paaye Hain Laakh ⬊⬊Ranj Tamanna Kiye Baghair!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum;
Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum;

Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar;
Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum;

Jab Dooriyon Kee Aag Dilon Ko Jalayegi;
Jismon Ko Chandani Mein Bhigoya Karenge Hum;

Bin Kar Har Ek Bazm Ka Mauzu-e-Guftgu;
Sheron Mein Tere Gham Ka Samoya Karenge Hum;

Mazbooriyan Ke Zehar se Kar Lenge Khudkushi;
Ye Buzdili Ka Jurm Bhi Goya Karenge Hum;

Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar;
Ab Chahton Ke Beej Na Boya Karenge Hum;

Gar De Geya Dagha Humein Toofan Bhi 'Qateel';
Sahil Pe Kashtiyon Ko Duboya Karenge Hum!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye;
Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye;
Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan;
Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar;
Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⬊⬊⬊Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah;
Phir Chahe Deewana Kar De Ya Allah;

Maine Tujhse Chand Sitare Kab Maange;
Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah;

Suraj Si Ik Cheez To Hum Sab Dekh Chuke;
Sach-Much Kee Ab Koi Sehar De Ya Allah;

Ya Dharti Ke Zakhmon ⧭⧭⧭Par Marham Rakh De;
Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ek Jaam Khankta Jaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;
Ek Hoshruba Inaam, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Wo Dekh Sitaron Ke Moti Har Aan Bikhrte Jaate Hain;
Aflaak Pe Hai Kohram, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Yeh Waqt Nahi Hai Baaton Ka Palkon Ke Saaye Kaam Mein La;
Ilham Koi Ilham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai;

Madhoshi Mein Ehsas Ki Unche Jeene Se Gir Jaane De;
Iss Waqt Na Mujh Ko Tham, Ki Saqi Raat Guzrne Wali Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;
Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Wo Dil Hi Kya Tere Milne Kee Jo Dua Na Kare;
Main Tujh Ko Bhool Kar Zinda Rahuun Khuda Na Kare;

Rahe Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar;
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Kare;

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein;
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare;

Suna Hai Usko Mohabbat Duayein Deti Hain;
Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare;

Bujha Dia Hai Naseebon ⬊⬊⬊Ne Mere Pyaar Ka Chaand;
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare;

Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai;
'Qateel' Jaan Se Jaaye Par Iltijaa Na Kare!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ai Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun;
Jab Tees Koi Chamke Main Tujhko Dikhayi Dun;

Jis Roz Kabhi Tera Deedaar Na Ho Paaye;
Main Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhayi Dun;

Magroor Hai Tu Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar;
Tu Chahe To Main Tujhko Tan Man Kee Khudai Dun;

Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Kare Mujhko;
Main Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunayi Dun;

Ik Umar Ke Baad Apne Chit Chor Ko Pakda Hai;
Main Kaise Qateel Usko Baahon Se Rihayi Dun!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni;
Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun Tasalli De Rahe Hain Hum Dil-e-Bimaar Ko;
Jis Tarah Thaame Koi Girti Hui Deewar Ko!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
⧭⧭Sadmaa To Hai Mujhe Bhi Ki Tujhse Judaa Hun Main;
Lekin Yeh Sochta Hun Ki Ab Tera Kya Hun Main;

Main Khudkushi Ke Jurm Ka Karta Hun Aitraaf;
Apne Badan Ki Kabr Mein, Kab Se Garrhaa Hun Main;

Kis Kis Ka Naam Laaun ⬲⬱Zubaan Par Ki Tere Saath;
Har Roz Ek Shaks Naya Dekhta Hun;

Kya Jaane Kis Adaa Se Liya Tune Mera Naam;
Duniya Samajh Rahi Hai, Ki Sab Kuch Tera Hun Main;

Le Mere Tajrubon Se Sabak, Aye Mere Raqeeb;
Do-Chaar Saal Umar Mein, Tujhse Barra Hun Main;

Jaaga Huwa Zameer Woh Aiyena Hai 'Qateel';
Sone Se Pehle Roz, Jise Dekhta Raha Hun Main!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolney Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Kalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-e-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qataar Mein Kharra Tha Main;
Qataar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Main Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Sajaa Liya Geya Mujhe;

Sawaal Tha Ki Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ki Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Waale;
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale;

Kya Mile Ga Tujhe Bikhre Hue Khwaabon Ke Siwa;
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaane Waale;

Sab Ne Pehna Tha Bade Shaunq Se Kaghaz Ka Libaas;
Jis Qadar Log Thay ⬲⬲⬲Baarish Mein Nahaane Waale;

Mar Gaye Hum Toh Ye Qutbe Pe Likha Jaye Ga;
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Waale;

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai Qateel;
Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ho Na Ho Yeh Koi Sach Bolne Wala Hai Qateel;
Jis Ke Hathon Mein Qalam, Paon Mein Zanjeerein Hain!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Keh Rahi Hai Mere Jazbaat Ki Jhankaar Tujhe;
Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe;

Raqss Karti Hai Tere Khoon Mein Meri Khushbu;
Kya Lubhaaye Gi Kisi Phool Ki Mehkaar Tujhe;

Woh Baddan Aik Hi Mar'mar Se Taraashey Jis Ne;
Main Ne Paaya Usi Fankaar Ka Shaahkar Tujhe;

Shayed Ab Chup Na Sake Raaz-E-Mohabbat Mera;
Main Ne Chup ⬉⬉Reh Ke Sadaa Di Hai Kayi Baar Tujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein;
Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe!

Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ke Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood;
Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dhoondhta Hun Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Bhar Apna Hawaaon Ko Bananay Waale;
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kabhi Jaane Waale!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood;
Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭⧭Tune Ye Phul Jo Zulfon Mein Laga Rakha Hai;
Ik Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakha Hai;

Jit Le Jaye Koi Mujhko Nasibon Vala;
Zindagi Ne Mujhe Da O Pe Laga Rakha Hai;

Jane Kab Aaye Koi Dil Mein Jhankane Vala;
Is Liye Main Ne Gireban Ko Khula Rakha Hai;

Imtehan Aur Meri Zabt Ka Tum Kya Loge;
Main Ne Dhadakan Ko ⬈⬉⬉Bhi Sine Mein Chupa Rakha Hai!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Wafa Ke Shish Mahal Mein Saja Liya Main Ne;
Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne;

Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi;
Gamon Ki Ot Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne;

Kabhi Na Khatm Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz;
Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne;

Kamal Ye Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha;
Wo Tir Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne;

Qateel Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha;
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Main Ne;
Wo Ek Dil Jise Pathar Bana Liya Main Ne;

Ye Soch Kar Ki Na Ho Tak Mein Khushi Koi;
Gamon Ki ⧭Ott Mein Khud Ko Chupa Liya Main Ne;

Kabhi Na Khatam Kiya Main Ne Roshani Ka Muhaz;
Agar Chirag Bujha, Dil Jala Liya Main Ne;

Kamal Yeh Hai Ki Jo Dushman Pe Chalana Tha;
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Main Ne;

'Qateel' Jisaki Adavat Mein Ek Pyar Bhi Tha;
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Main Ne!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga;

Tu Mila Hai To Ye Ehsaas Huaa Hai Mujhko;
Ye Meri Umar Mohabbat Ke Liye Thhodi Hai;

Ek Zara Sa Ghum-E-Dauraan Ka Bhi Haq Hai Jis Par;
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai;

Tujh Pe Ho Jaaoonga Qurban Tujhe Chahoonga;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;

Apne Jazbaat Mein Naghmaat Rachaane Ke Liye;
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaaya Hai Tujhe;

Main Tasavvur Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon;
Maine Kismat Ki Lakeeron Se Churaaya Hai Tujhe;

Pyar Ka Banke Nigehbaan Tujhe Chaahoonga;
Main To Markar Bhi Meri Jaan Tujhe Chaahoonga;

Teri Har Chaap Se Jalte Hain Khayaalon Mein Chiraag;
Jab Bhi Tu Aaye Jagaata Huaa Jaadu Aaye;

Tujhko Chhulun To Aye Jaan-E-Tamanna Mujhko;
Dair Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye;

Tu Bahaaron Ka Hai Unwaan Tujhe Chaahoonga;
⧭Main To Marrkar ⬰Bhi Meri Jaan Tujhe Chaaoounga!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

⧭Yaaro Kisi Qaatil Se Kabhi Pyaar Na Maango;
Apne Hi Gale Ke Liye, Talwar Naa Maango;

Gir Jaoge Tum Apne Masiha Ki Nazar Se;
Mar Kar Bhi Ilaj-E-Dil-E-Bimar Naa Maango;

⧭Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi;
Kanton Se Kabhi Phul Ki Mahkar Naa Maango;

Sach Bat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala;
Jeena Hai To Phir Jeene Ka Izhaar Naa Maango;

⧭Ush Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahin Hai;
Sehra Mein Kabhi Saya-E-Diwar Naa Maango!



No comments :

Post a Comment