Apni Zindgai Shayari in hindi



  1. Isi Karz Ko Ada Karne Ke Liye Hum Saari Raat Nahi Sote Ki;
  2. Shayad Koi Jaag Raha Hoga Is Duniya Mein Hamare Liye!
  3. ========================================
  4. Din, Mahine, Saalon Ka Hisaab Nahi Aata Mujhe;
  5. Hamesha Se Hamesha Tak Saath Tumhara Chahiye!
  6. ========================================
  7. Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai;
  8. Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Reh Jata Hai;
  9. Koi Sab Kuch Keh Kar Pyaar Jatata Hai;
  10. To Koi Kuch Na Keh Kar Pyaar Nibhata Hai!
  11. ========================================
  12. Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye;
  13. Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Har Pal Ke Liye;
  14. Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye;
  15. Jab Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye!
  16. ========================================
  17. Bhool Se Kabhi Humein Bhi Yaad Kar Liya Karo;
  18. Pyaar Na Sahi To Shikayat Hi Kar Liya Karo;
  19. Itna Bhi Gair Na Samjho Ki Baat Hi Na Karo;
  20. Mulaqat Na Sahi Par Milne Ka Vaada Hi Kar Liya Karo!
  21. ========================================
  22. Wo Jo Aaye To Meri Zindagi Ko Zindagi Mili;
  23. Dil Ke Viraan Shagufo Ko Phir Se Taazgi Mili;
  24. Faila Hua Hai Noor Is Kadar Khaksaar Se Unke;
  25. Gham-e-Zulmato Ko Unke Hi Dum Se Roshni Mili!
  26. ========================================
  27. Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
  28. Ki Tujhko Yaad Rakhne Mein Main Kya-Kya Bhool Jata Hun!
  29. ========================================
  30. Hai Ishq Bhi Junoon Bhi, Masti Bhi Josh-e-Khoon Bhi;
  31. Kahin Dil Mein Dard, Kahin Aah Sard, Kahin Rang Zard;
  32. Hai Yun Bhi Aur Yun Bhi;
  33. Lo Phir Basant Aayi, Phoolon Mein Rang Layi!
  34. ========================================
  35. Kabhi Lafz Bhool Jaun Kabhi Baat Bhool Jaun;
  36. Tujhe Is Kadar Main Chahun Ki Apni Zaat Bhool Jaun;
  37. Uth Kar Jo Kabhi Tere Paas se Chal Dun To;
  38. Jaate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaun!
  39. ========================================
  40. Zaroori Ye Nahi, Ki Ishq Mein Tum Taj Banwao;
  41. Zaroori To Ye Hai Ki, Bas Ishq Mein Tum Khud Mit Jaao!

  42. ========================================

  43. Aakhon Ke Saamne Har Dam Aapko Paya Hai;
  44. Dil Mein Bas Aapko Hi Basaya Hai;
  45. Aapke Bina Hum Jiyenge Bhi To Kaise;
  46. Bhala Jaan Bina Bi Koi Jee Paya Hai!
  47. ========================================
  48. Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai;
  49. Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai;
  50. Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein;
  51. Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai!
  52. ========================================
  53. Is Ishq Mein Wo Misaal Banayenge Hum;
  54. Aankhein Band Karoge To Nazar Aayenge Hum;
  55. Bhar Denge Itna Pyaar Aapke Dil Mein Ki;
  56. Sab Se Pehle Yaad Aayenge Hum!
  57. ========================================
  58. Jabse Is Dil Par Tumhara Naam Aaya Hai;
  59. Ek Suroor Sa Har Waqt Hum Pe Chhaya Hai;
  60. Na Jaane Ye Pyaar Ka Nasha Hai Ya Kuch Aur;
  61. Har Jagah Humein Bas Aapka Hi Chehra Nazar Aaya Hai!
  62. ========================================
  63. Aankhon Mein Rehne Walon Ko Yaad Nahi Karte;
  64. Dil Mein Rehne Walon Kee Baat Nahi Karte;
  65. Hamari To Rooh Mein Bas Chuke Hain Aap;
  66. Tabhi To Milne Kee Hum Fariyad Nahi Karte!
  67. ========================================
  68. Kya Kahe Kuch Kaha Nahi Jaata;
  69. Dard Milta Hai Par Saha Nahi Jaata;
  70. Pyaar Ho Geya Hai Iss Kadar Aapse;
  71. Ki Bin Dekhe Ab Raha Nahi Jaata!
  72. ========================================
  73. Main Aapke Pyaar Mein Kuch Aisa Kar Jaunga;
  74. Ban Kar Khushbu Hawa Mein Bikhar Jaunga;
  75. Bhulna Chaho To Saanson Ko Rok Lena;
  76. Saans Loge To Main Dil Mein Utar Jaunga!
  77. ========================================
  78. Dard Kya Hota Hai Batayenge Ek Roz;
  79. Pyaar Kee Ghazal Sunayege Kisi Roz;
  80. Thi Unki Zidd Ki Main Jaun Unko Manane;
  81. Mujhko Yeh Veham Tha Wo Bulayenge Kisi Roz!
  82. ========================================
  83. Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
  84. Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!
  85. ========================================
  86. Deedar Kee Aag Jab Dil Mein Bhadakne Lagti Hai;
  87. Tujhe Dekhne Ko Meri Aankhein Tarsane Lagti Hain;
  88. Baadlon Ke Barsane Ka Humein Intezar Nahi Rehta;
  89. Teri Yaadon Mein Yeh Aankhein Khud Hi Barsane Lagti Hain!

  90. ========================================

  91. Tumhari Yaadon Mein Beeti Har Baat Alag Hai;
  92. Tumhare Saath Huii Har Mulaqaat Alag Hai;
  93. Har Shakhs Meri Zindagi Chhu Kar Geya;
  94. Magar Tumhari Mulaqat Kee Baat Alag Hai!
  95. ========================================
  96. Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
  97. Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
  98. ========================================
  99. Tanhai Le Jati Hai Jahan Tak Yaad Tumhari;
  100. Wahin Se Shuru Hoti Hai Zindagi Hamari;
  101. Nahi Socha Tha Hum Chahenge Tumhein Is Kadar;
  102. Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Hamari!
  103. ========================================
  104. Nafrat Kabhi Na Karna Humse;
  105. Yeh Hum Seh Nahi Paayenge;
  106. Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari;
  107. Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge!
  108. ========================================
  109. Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai;
  110. Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai;
  111. Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada;
  112. Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
  113. ========================================
  114. Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye;
  115. Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye;
  116. Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan;
  117. Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye!
  118. ========================================
  119. Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga;
  120. Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga;
  121. Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon;
  122. Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga!
  123. ========================================
  124. Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale;
  125. Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale;
  126. Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat;
  127. Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale!
  128. ========================================
  129. Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye;
  130. Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
  131. Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi;
  132. Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!
  133. ========================================
  134. Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe;
  135. Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe;
  136. Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe;
  137. Nibaho Mohabbat Aise Ki Kisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe!

  138. ========================================


  139. Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale;
  140. Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
  141. Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun;
  142. Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale!
  143. ========================================
  144. Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
  145. Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
  146. Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
  147. Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
  148. ========================================
  149. Wo Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi;
  150. Wo Mohabbat Hi Kya Jisme Yaaein Nahi;
  151. Wo Yaaein Hi Kya Jisme Tum Nahi;
  152. Aur Wo Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi!
  153. ========================================
  154. Baat Aisi Bhi Koi Nahi Ki Mohabbat Bahut Jyada Hai;
  155. Lekin Hum Dono Se Us Kee Taqat Bahut Jyada Hai;
  156. Aap Ke Peeche Peeche Phirne Se To Rahe Is Umar Mein Hum;
  157. Raah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Jyada Hai!
  158. ========================================
  159. Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashko Ko Moti Bana Deti Hai;
  160. Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai;
  161. Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho;
  162. Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai!
  163. ========================================
  164. Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
  165. Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
  166. Jaan Ban Ke Utar Ja Uski Rooh Mein;
  167. Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
  168. ========================================
  169. Har Pal Hanske Jiya Karte Hain;
  170. Aap Se Dil Kee Har Baat Kiya Karte Hain;
  171. Bahut Khaas Ho Aap Hamare Liye;
  172. Isliye Har Waqt Aapko Yaad Kiya Karte Hain!
  173. ========================================
  174. Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai;
  175. Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai;
  176. Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain;
  177. Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai!
  178. ========================================
  179. Kuch Sochun To Tera Khayal Aa Jata Hai;
  180. Kuch Bolun To Tera Naam Aa Jata Hai;
  181. Kab Tak Chupaon Dil Kee Baat;
  182. Uski Har Ada Par Mujhe Pyaar Aa Jata Hai!
  183. ======================================== 
  184. Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
  185. Jab Kisi Kee Hansi Kisi Kee Muskaan Ban Jaye;
  186. Pyaar Hi To Kehte Hain Use;
  187. Jab Kisi Kee Saanse Kisi Kee Jaan Ban Jaye!

  188. ========================================

  189. Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaye;
  190. Saans Bhi Lo To Khushbu Uski Hi Aaye;
  191. Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Cha Jaye;
  192. Baat Kuch Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye!
  193. ========================================
  194. Apne Dil Mein Tumhare Pyaar Kee Dastaan Likhi Hai;
  195. Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai;
  196. Kabhi Hamare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo;
  197. Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai!
  198. ========================================
  199. Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
  200. Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!
  201. ========================================
  202. Nafrat Bhi Hai Tumse, Mohabbat Bhi Hai Tumse;
  203. Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho Jati Hai;
  204. Tumse Door Jaane Kee Meri Har Koshish;
  205. Na Jaane Kyon Mujhe Tere Aur Kareeb Le Aati Hai!
  206. ========================================
  207. Pyaar Koi Barish Nahi Jo Barse Aur Tham Jaaye;
  208. Pyaar Suraj Bhi Nahi Jo Chamke Aur Doob Jaaye;
  209. Pyaar To Naam Hai Saans Ka Jo Chale Toh Zindagi;
  210. Aur Agar Ruke Toh Maut Ban Jaaye!
  211. ========================================
  212. Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum;
  213. Rishton Ke Phulo Mein Ek Gulab Ho Tum;
  214. Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Sacha Nahi Hota;
  215. Un Logon Ke Har Sawal Ka Jawab Ho Tum!
  216. ========================================
  217. Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;
  218. Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!

  219. ========================================
  220. Your glance penetrates the heart to reacdh the soul,
  221. Both are left in agreement by such a cohesive gesture.
  222. ========================================
  223. Tujhe Chahte Hain Ai Sanam Bas Teri Aarzoo Hai;
  224. Tu Zindagi Hai Meri, Tu Meri Har Khushi Hai;
  225. Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai;
  226. Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Mein Roshni Hai!
  227. ========================================
  228. Khamosh Hothhon Ka Agar Ishara Mil Jaaye;
  229. In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye;
  230. Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain;
  231. Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye!
  232. ========================================
  233. Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe;
  234. Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe;
  235. Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat;
  236. Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe!

  237. ========================================

  238. Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo;
  239. Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo;
  240. Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo;
  241. Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo!
  242. ========================================
  243. Woh Hazar Dushman-e-Jaan Sahi Phir Bhi Mujhe Aziz Hai;
  244. Jise Khak-e-Paa Teri Chu Gayi, Woh Bura Bhi Ho To Bura Nahi!
  245. ========================================
  246. Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai;
  247. Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar!
  248. ========================================
  249. Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai;
  250. Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai;
  251. Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane;
  252. Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai!
  253. ========================================
  254. Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
  255. Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain!
  256. ========================================
  257. Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai;
  258. Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai;
  259. Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari;
  260. Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai!
  261. ========================================
  262. Har Khushi Se Khoobsurat Aapki Har Sham Kar Dun;
  263. Apna Pyaar Aur Dosti Aapke Naam Kar Dun;
  264. Mil Jaye Agar Dobara Ye Zindagi;
  265. To Har Baar Ye Zindagi Aapke Naam Kar Dun!
  266. ========================================
  267. Uski Nazar Ko Fursat Hi Na Mili Hogi;
  268. Varna Mera Marz Itna La-Ilaaj To Na Tha;
  269. Humne To Wahan Bhi Mohabbat Hi Kee;
  270. Jahan Mohabbat Ka Koi Riwaaz Na Tha!
  271. ========================================
  272. Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge,
  273. Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge;
  274. Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye;
  275. Har Gham Aapka Hum Bhula Denge!
  276. ========================================
  277. Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai;
  278. Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai;
  279. Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar;
  280. Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!
  281. ========================================

  282. Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti;
  283. Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti;
  284. Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
  285. Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti!
  286. ========================================
  287. Unhe Ye Shikayat Hai Humse Ki;
  288. Hum Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hain;
  289. Na-Samajh Hain Wo Ki Kya Jaane;
  290. Humein To Har Chehre Mein Wahi Nazar Aate Hain!
  291. ========================================
  292. Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
  293. Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tujhe Tanha Kare;
  294. Jaan Ban Ke Utar Jaa Uski Rooh Mein;
  295. Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujh Se Wafa Kare!
  296. ========================================
  297. Gila Aap Se Nahi Koi;
  298. Gila Hum Apni Majbooriyon Se Karte Hain;
  299. Aap Aaj Hamare Kareeb Na Sahi;
  300. Mohabbat To Hum Aapki Dooriyon Se Bhi Karte Hain!
  301. ========================================
  302. Jalne Do Zamane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
  303. Nayi Duniya Basane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain;
  304. Humein Jeevan Ka Har Lamha, Tumhare Naam Karna Hai;
  305. Yahi Vaada Nibhane Ko Chalo Ek Saath Chalte Hain!
  306. ========================================
  307. Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehman Kiye Hue;
  308. Josh-e-Qadah Se Bazm Chiraghan Kiye Hue;
  309. Karta Hun Jama Phir Jigar-e-Lakht Lakht Ko;
  310. Arsa Hua Hai Dawat-e-Mizhgaan Kiye Hue!
  311. ========================================
  312. It has been an age since my lover was hosted,
  313. When heated wine lit candles through night,
  314. Once again, I gather the pieces of my dismembered body,
  315. What time has passed since I encountered those killing eyes.
  316. ========================================
  317. Mera Har Pal Aaj Khoobsurat Hai;
  318. Dil Mein Jo Sirf Teri Hi Soorat Hai;
  319. Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Ab Gham Nahi;
  320. Duniya Se Jyada Mujhe Teri Jarurat Hai!
  321. ========================================
  322. Mohabbat Mein Main Khud Ko Bhool Jaunga;
  323. Raha Wada Teri Shohbat Mein Main Duniya Bhool Jaunga;
  324. Kabhi Aajmana Humein Bhi Apni Mehfil Mein;
  325. Main Teri Khatir Duniya-e-Mehfil Bhool Jaunga!
  326. ========================================
  327. Sapne The, Un Sapno Ke Aap Sahil Hue;
  328. Na Jane Kaise Hum Aapki Mohabbat Ke Kabil Hue;
  329. Karazdar Rahenge Hum Us Haseen Pal Ke;
  330. Jis Pal Aap Hamari Choti Si Duniya Mein Shamil Hue!
  331. ========================================
  332. Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain;
  333. Main Shaad Hun Ki Hun To Kisi Kee Nigaah Mein!

  334. ========================================


  335. Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Siva Tere;
  336. Mujhe Kisi Kee Jarurat Nahi Siva Tere;
  337. Meri Nazar Ko Thi Jiski Talaash Barson Se;
  338. Kisi Ke Paas Woh Surat Nahi Siva Tere!
  339. ========================================
  340. Hote Agar Paas To Koi Shararat Karte;
  341. Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte;
  342. Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar;
  343. Apni Khoyi Hui Neendo Kee Shikayat Karte!
  344. ========================================
  345. Wo Aate Hain To Dil Mein Ek Kasak Si Mehsoos Hoti Hai;
  346. Main Darta Hun Ki Kahin Isi Ko Mohabbat To Nahi Kehte!
  347. ========================================
  348. Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai;
  349. Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai;
  350. Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar;
  351. Yaad Aane Ke Woh Saare Hunar Rakhta Hai!
  352. ========================================
  353. Ai Dost Humne Tarq-e-Mohabbat Ke Bawjood;
  354. Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi!
  355. ========================================
  356. Meri Yaadon Mein Tum Ho Ya Mujh Mein Hi Tum Ho;
  357. Mere Khwabon Mein Tum Ho Ya Mera Khwab Hi Tum Ho;
  358. Dil Mera Dhadak Ke Puche Baar-Baar Ek Hi Baat;
  359. Meri Jaan Mein Tum Ho Ya Meri Jaan Hi Tum Ho!
  360. ========================================
  361. Koi Samjhe Na Humko Beshak Par Aap To Samjhte Hain;
  362. Apna Banate Hain Mere Har Gham Ko Tabhi To Hum Sambhalte Hain;
  363. Khuda Har Ek Khushi De Aapko Har Ek Gham Humko Naseeb Ho;
  364. Bas Yahi Dil Mein Sochkar Har Ek Dua Karte Hain!
  365. ========================================
  366. Tum Khafa Ho Gaye To Koi Khushi Na Rahegi;
  367. Tere Bina Chiragon Mein Roshni Na Rahegi;
  368. Kya Kahe Kya Guzregi Dil Par;
  369. Zinda To Rahenge Par Zindagi Na Rahegi!
  370. ========================================
  371. Tum Mere Dil Mein Aise Base Ho;
  372. Jaise Ke Dil Kee Dhadkan Bane Ho;
  373. Tumko Meri Jaan Khabar Hi Nahi Hai;
  374. Mere Liye Tum Kya Ban Gaye Ho!
  375. ========================================
  376. Hum Khud Ko Bhool Jayein To Koi Gham Nahi;
  377. Aapko Agar Bhool Jayein Woh Hum Nahi;
  378. Chahte Hain Hum Dosto Ko Jaan Se Bhi Jyada;
  379. Unke Liye Apni Jaan Bhi Chali Jaye To Koi Gham Nahi!

  380. ========================================

  381. Mujhe Apne Jism Kee Khushbu Se Madhosh Kar Do;
  382. Mujhe Apni Nazuk Si Baahon Mein Mehsoor Kar Do;
  383. Laga Ke Seene Se Mujhe Saare Gham Door Kar Do;
  384. Main Tumse Juda Na Ho Saku Mujhe Itna Majboor Kar Do!
  385. ========================================
  386. Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betaab;
  387. Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Hone Tak!
  388. ========================================
  389. Love demands endurance, while desire is consuming,
  390. What should be my state untill obsession devours patience.
  391. ========================================
  392. Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak;
  393. Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak;
  394. Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nihang;
  395. Dekhein Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hone Tak!

  396. ========================================
  397. A sigh requires a lifetime to take effect,
  398. Who lives to reach the source of your journey,
  399. The gaping mouths of a hundred crocodiles form netted traps in each wave,
  400. Consider the labour within the sea-change of a raindrop to a pearl.
  401. ========================================
  402. Kismat Pe Naaz Hai To Wajah Hai Teri Mohabbat;
  403. Khushiyan Jo Pass Hain To Wajah Hai Teri Mohabbat;
  404. Main Tujh Se Mohabbat Kee Talab Kaise Na Karu;
  405. Chalti Hain Yeh Saans To Wajah Hai Teri Mohabbat!
  406. ========================================
  407. Aafat To Hai Wo Naaz Bhi Andaaz Bhi Lekin;
  408. Marta Hun Main Jis Par Wo Ada Aur Hi Kuch Hai!
  409. ========================================
  410. Mohabbat Wafa Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
  411. Duniya Mein Gham Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
  412. Tumhare Paas Mere Bina Sab Kuch Hai;
  413. Par Hamare Paas Tumhare Siwa Kuch Bhi Nahi!
  414. ========================================
  415. Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi;
  416. Jab Unki Nigahein Hamari Nigahon Ke Saath Hongi;
  417. Baithe Hain Hum Uss Raat Ke Intezar Mein;
  418. Jab Unke Hontho Kee Surkhiya Hamare Hontho Ke Saath Hongi!
  419. ========================================  
  420. Main Aadat Hun Uski, Woh Zaroorat Hai Meri;
  421. Main Farmaish Hun Uski, Woh Ibadat Hai Meri;
  422. Itni Aasani Se Kaise Nikal Dun Use Apne Dil Se;
  423. Main Khwab Hun Uska Woh Haqeeqat Hai Meri!
  424. ========================================
  425. Na Koi Kisi Se Door Hota Hai;
  426. Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai;
  427. Aata Hai Chal Pyaar Khud Uske Paas;
  428. Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai!
  429. ======================================== 
  430. Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;
  431. Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;
  432. Hume To Intezar Hai Us Sham Ka;
  433. Jo Aaye Kabhi Tumhein Saath Lekar!
  434. ========================================


  435. Nazar Se Nazar Kee Mulaqat Dekhi Hai;
  436. Pyaar Mein Hote Hue Teeron Kee Barsaat Dekhi Hai;
  437. Yun To Lakhon Dekhe Hain Humne Dil Lagane Wale;
  438. Par Teri Chahat Mein Humne Baat Koi Khaas Dekhi Hai!
  439. ========================================
  440. Tumhein Dekha Aur Pehli Nazar Mein Apni Zindagi Bana Liya;
  441. Aaj Pa Kar Tumhein Humne Apna Khuda Hai Pa Liya!
  442. ========================================
  443. Ishq Tujse Karta Hun Main Zindagi Se Bhi Jyada;
  444. Main Darta Nahi Maut Se Teri Judai Se Jyada;
  445. Chahe To Aajma Le Mujhe Kisi Aur Se Jyada;
  446. Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Mohabbat Se Jyada!
  447. ========================================
  448. Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko;
  449. Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko;
  450. Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye;
  451. Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko!
  452. ========================================
  453. Ai Zindagi Yun Mujhse Tu Daga Na Kar;
  454. Zinda Rahu Main Ye Tu Dua Na Kar;
  455. Koi Chhuta Hai Tujhe To Hoti Hai Jalan;
  456. Ai Hawa Tu Bhi Use Chhuaa Na Kar!
  457. ========================================
  458. Kal Jinhe Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Kee Nazar;
  459. Aaj Wo Raunaq-e-Bazar Nazar Aate Hain!
  460. ========================================
  461. Tere Ishq ki Chahat Mein Hum Reh Reh Kar Reh Gaye;
  462. Teri Waafa Ki Justju Mein Beh Beh Kar Beh Gaye!
  463. ========================================
  464. Dil Wo Hai Ki Fariyad Se Labrez Hai Har Waqt;
  465. Hum Wo Hain Ki Kuch Munh Se Nikalne Nahin Dete!
  466. ========================================
  467. Kaun Hai Woh Jo Dil Mein Samaye Hue Hain;
  468. Unke Liye Hum Har Khusi Bhulaye Hue Hain;
  469. Najar Nahi Aate Par Tadap Mahsoos Hoti Hai;
  470. Andekhe Yaar Ke Liye Sapne Sajaye Hue Hain!
  471. ========================================
  472. Na Dil Ka Rog Tha, Na Yaadein Thi, Aur Na Hi Ye Hijar;
  473. Tere Pyaar Se Pehle Kee Neendein Bhi Kamaal Kee Thi!

  474. ========================================


  475. Zindagi Mein Kisi Ek Se Karo Pyaar Itna;
  476. Ki Kisi Aur Se Pyaar Karne Kee Gunjaish Na Rahe;
  477. Woh Muskurade Aap Ko Dekh Kar Ek Baar;
  478. To Zinadgi Se Phir Koi Khwaish Na Rahe!
  479. ========================================
  480. Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain;
  481. Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain!
  482. ========================================
  483. Gar Jo Dil Kee Suno To Haar Jaoge;
  484. Hum Jaisa Pyaar Phir Kaha Se Paoge;
  485. Jaan Dene Kee Baat To Har Koi Karta Hai;
  486. Par Zindagi Banane Wala Kahan Se Laoge!
  487. ========================================
  488. Tadapte Hain Din Raat Par Jatate Nahi;
  489. Haal-e-Dil Koi Puche Hum Batate Nahi;
  490. Sunkar Aapko Hogi Hairat Badi Dosto;
  491. Hum Unhe Chahte Hain Jo Hume Chahte Nahi!
  492. ========================================
  493. Bas Ek Jhijak Hai Yahi Haal-e-Dil Sunane Mein;
  494. Ki Tera Zikr Bhi Aayega Iss Fasane Mein!
  495. ========================================
  496. Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
  497. Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
  498. Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
  499. Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!
  500. ========================================
  501. Husn Ki Chahat Mein Ishq Ko Humne Thukra Diya;
  502. Husn Ne Yehi Silsila Hamaari Zindgi Mein Duhra Diya!
  503. ========================================
  504. Mohabbat Ka Koi Rang Nahi Phir Bhi Woh Rangeen Hai;
  505. Pyaar Ka Koi Chehra Nahi Phir Bhi Woh Haseen Hai!
  506. ========================================
  507. Juda Hai To Kya Hua Doori To Nahi;
  508. Baat Bhi Na Ho Aisi Majboori To Nahi;
  509. Nazar Nahi Aate Ho Aap To Kya Hua;
  510. In Aankhon Mein Tasveer Aapki Adhuri To Nahi!
  511. ========================================
  512. Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn;
  513. Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!

  514. ========================================

  515. Meri Zindagi Ke Raaz Mein Ek Raaz Tum Bhi Ho;
  516. Meri Bandagi Kee Aas Mein Ek Aas Tum Bhi Ho;
  517. Tum Kya Ho Mere, Kuch Ho Ya Kuchh Bhi Nahi Magar;
  518. Meri Zindagi Ke Kaash Mein Ek Kaash Tum Bhi Ho!
  519. ========================================
  520. Be-Zubani Tarjuman-e-Shauq Be-Had Ho To Ho;
  521. Warna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hai Taqriren Kahin!
  522. ========================================
  523. Woh Karte Hain Baat Ishq Kee;
  524. Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi;
  525. Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko;
  526. Par Use Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi!
  527. ========================================
  528. Hum Apne Ikhtiyar Kee Hadh Se Guzar Gaye;
  529. Chaha Tumhein To Pyaar Kee Hadh Se Guzar Gaye;
  530. Jaagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Kee Aarzu;
  531. Jab Mausam-e-Bahaar Kee Hadh Se Guzar Gaye!
  532. ========================================
  533. Kitni Mushkil Se Kati Kal Kee Meri Raat Na Pooch;
  534. Dil Se Nikli Hui Honthon Mein Dabi Baat Na Pooch;
  535. Main Jiske Liye Ladh Jaun Iss Khudai Se;
  536. Mujhe Khud Se Hai Pyaari Yeh Kiski Zaat Na Pooch!
  537. ========================================
  538. Hathon Kee Lakiro Ka Aitbar Kar Lena;
  539. Bharosa Ho To Had Ko Paar Kar Lena;
  540. Khona Pana To Naseebon Ka Khel Hai;
  541. Dil Ko Jo Apna Lage Bas Usi Se Pyaar Kar Lena!
  542. ========================================
  543. Aggar Jawaani Mein Khuda Na Pa Saako;
  544. Tu Chahat Moola Ki Kabhi Kum Nahi Hoti.
  545. Toh Ishq Mein Ho Kar Ek Baar Be-Murawat;
  546. Insaan Ishq Ki Bandagi Kyun Bhool Jata Hai!
  547. ========================================
  548. Hamaari Shayari Dilaati Hai Aashiq Ki Yaad;
  549. Yeh Duhaarti Bhi Hai Hamaare Ishq Ki Fariyaad!
  550. ========================================
  551. Dekha Jo Tumhe To Mehsus Hua;
  552. Pehchaan Hai Apni Muddat Se;
  553. Khwabon Mein Dekhi Thi Jo Surat;
  554. Milti Hai Tumhari Surat Se!
  555. ========================================
  556. Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;
  557. Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;
  558. Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
  559. Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!

  560. ========================================

  561. Chehre Kee Har Muskaan Ban Jaata Hai Koi;
  562. Dil Kee Har Dhadkan Ban Jata Hai Koi;
  563. Fir Kaise Jiyenge Ye Zindagi Unke Bin;
  564. Jab Zindagi Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai Koi!
  565. ========================================
  566. Chup Chap Se Rehte Hain Wo Aksar;
  567. Zulfein Bhi Suna Hai Ki Sanwara Nahi Karte;
  568. Din Raat Guzarte Hain Un Ke Be-Chain Se;
  569. To Chain Se Hum Bhi Guzara Nahi Karte!
  570. ========================================
  571. Aap Kew Nigah Agar Meharban Ho Jaye;
  572. Main Jis Zameen Pe Hun Wo Aasman Ho Jaye;
  573. Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Ishq Par;
  574. To Phir Ek Baar Mera Imtihan Ho Jaye!
  575. ======================================== 
  576. Na Chain Aaye Jo Jeene Se To Marne Se Sukoon Hoga;
  577. Mohabbat Hadh Se Badh Jaye To Lazmi Hai Junoon Hoga!
  578. ========================================
  579. Pehli Mulaqaat Thi Aur Hum Dono Hi Be-Bas The;
  580. Wo Zulfein Na Sambhal Paye Aur Hum Khud Ko!
  581. ========================================
  582. Chandni Raat Badi Der Ke Baad Aayi;
  583. Yeh Mulaqat Badi Der Ke Baad Aayi;
  584. Aaj Aaye Hain Woh Milne Ko Badi Der Ke Baad;
  585. Aaj Kee Raat Badi Der Ke Baad Aayi!
  586. ========================================
  587. Hasraton Se Aapki Raah Sajaa Denge;
  588. Sapno Kee Daulat Aap Par Luta Denge;
  589. Na Hai Koi Phool Aaj Mere Damaan Mein;
  590. Lekin Aapke Aane Par Palkein Bichha Denge!
  591. ========================================
  592. Chahat Mein Dubne Ka Haq Sabhi Ko Hai;
  593. Par Duniya Ke Samne Inkar Sabhi Ko Hai;
  594. Beshak Koi Chupa Le Dil Kee Gehraiyon Mein;
  595. Par Kisi Na Kisi Se To Pyar Sabhi Ko Hai!
  596. ========================================
  597. Had Kee Had Se Guzrna Koi Aapse Seekhe;
  598. Yun Mohabbat Mein Jaan Lutana Koi Aapse Seekhe;
  599. Hum To Dil Dekar Bhi Aapke Ho Na Sake;
  600. Dil Ko Dil Se Churana Koi Aapse Seekhe!
  601. ======================================== 
  602. Aankho Ke Ishare Samajh Nahi Pate;
  603. Hontho Se Dil Kee Baat Keh Nahi Pate;
  604. Apni Bebasi Hum Kis Tarah Kahe;
  605. Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahi Pate!
  606. ========================================



  607. Din Beet Jate Hain Suhani Yaadein Banker;
  608. Baatein Reh Jati Hain Kahani Bankar;
  609. Par Pyaar To Hamesha Dil Ke Kareeb Rahega;
  610. Kabhi Muskaan To Kabhi Aankhon Mein Pani Bankar!
  611. ========================================
  612. Woh Paas Aate To Hum Baat Kar Lete;
  613. Wo Sath Rehte To Hum Pyaar Kar Lete;
  614. Kya Majburi Rahi Jo Woh Chale Gaye;
  615. Wajah To Batate Hum Intezar Kar Lete!
  616. ========================================
  617. Kuch Likh Nahi Paate Kuch Suna Nahi Paate;
  618. Haal-e-Dil Zuban Pe La Nahi Paate;
  619. Woh Utar Gaye Hain Dil Kee Gehraiyon Mein;
  620. Woh Samjh Nahi Paate, Hum Samjha Nahi Paate!
  621. ========================================
  622. Koi Kehta Hai Pyaar Nasha Ban Jata Hai;
  623. Koi Kehta Hai Pyaar Saza Ban Jata Hai;
  624. Lekin Agar Pyaar Karo Sache Dil Se To;
  625. Pyaar Jeene Kee Wajah Ban Jata Hai!
  626. ========================================
  627. Mila Wo Bhi Nahi Karte Mila Hum Bhi Nahi Karte;
  628. Gila Wo Bhi Nahi Karte Shikwa Hum Bhi Nahi Karte;
  629. Yeh Bhi Such Hai Mohabbat Unko Bhi Hai Mohabbat Humko Bhi Hai;
  630. Izhar Wo Bhi Nahi Karte Iqrar Hum Bhi Nahi Karte!
  631. ========================================
  632. Safar Mohabbt Ka Dushwar Kitna Hai;
  633. Magar Dekhna Hai Ki Koi Wafadar Kitna Hai;
  634. Yahi Soch Kar Use Kabhi Manga Nahi Maine;
  635. Use Parakhna Hai Ki Wo Mera Talbgar Kitna Hai!
  636. ========================================
  637. Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
  638. Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
  639. ========================================
  640. Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain;
  641. Dil Kee Baatein Tumse Chupi Kab Hain;
  642. Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Kee Jagah;
  643. Phir Zindagi Ko Saanson Kee Zarurat Kab Hai!
  644. ========================================
  645. Tadap Ke Dekh Kisi Kee Chahat Mein;
  646. To Pata Chale Intezar Kya Hota Hai;
  647. Yun Hi Mil Jaye Agar Koi Bina Tadpe;
  648. To Kaise Pata Chale Pyaar Kya Hota Hai!
  649. ========================================
  650. Pehli Bar Zindagi Mein Humne Chaha Hai Jisko;
  651. Unse Humne Apne Pyaar Ka Izhaar Kar Diya;
  652. Ab Woh Apne Dil Ko Beqarar Karein Ya Na Karein;
  653. Magar Humne Toh Apne Dil Ko Beqarar Kar Diya!

  654. ========================================

  655. Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Hue;
  656. Khud Nazron Mein Apni Begane Hue;
  657. Kisi Bhi Rishte Ka Khayal Nahi Mujhe;
  658. Ishq Mein Tere Iss Kadar Deewane Hue!
  659. ========================================
  660. Kuch Nahi Mila Bus Ek Sabak De Geya Ishq;
  661. Khak Ho Jata Hai Insan Khak Se Bane Insan Ke Peeche!
  662. ========================================
  663. Khushbu Kee Tarah Meri Har Sans Mein;
  664. Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
  665. Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
  666. Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!
  667. ========================================
  668. Yun Hi To Nahi Dil Mera Tujhe Talashta Firta;
  669. Kar Yakeen Manzil Ka Tu Hi Hai Kinara Mera;
  670. Yun Hi To Nahi Aayi Sada Teri Hawaon Mein Behkar;
  671. Haule Se Tumne Hi Hoga Naam To Pukara Mera!
  672. ========================================
  673. Chand Ko Sitaron Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
  674. Phoolon Ko Baharon Se Aur Mujhe Tum Se Mohabbat Hai;
  675. Mehfil Mein Jo Milna To Nighahein Jhuka Lena;
  676. Koi Samjh Na Paye Ki Mujhe Tum Se Mohabbat Hai!
  677. ========================================
  678. Apni Haseen Ankhon Mein Chuppa Lo Mujh Ko;
  679. Mohabbat Agar Karte Ho To Chura Lo Mujh Ko;
  680. Khone Ka Agar Khauf Hai Tumhein To;
  681. Dil Kee Har Dhadkan Mein Basaa Lo Mujh Ko!
  682. ========================================
  683. Jahan Yaad Na Aaye Teri, Woh Tanhaai Kis Kaam Kee;
  684. Bigde Rishte Na Bane, To Khudaai Kis Kaam Kee;
  685. Beshak Apni Manzil Tak Jana Hai Humein;
  686. Lekin Jahaan Se Apne Na Dikhein Woh Unchaai Kis Kaam Kee!
  687. ========================================  
  688. Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Ki Tarha;
  689. Jaane Kab Toot Jaaye Kaanch Ki Tarha;
  690. Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Ki Tarha;
  691. Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Ki Tarha!
  692. ========================================
  693. Aaj Bhi Bahut Sawal Hain Iss Dil Mein;
  694. Pyaar Ka Gham Bejuban Hai Iss Dil Mein;
  695. Kuch Keh Nahi Paata Yeh Dil Magar;
  696. Uss Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Iss Dil Mein!
  697. ========================================
  698. Kitaabon Se Daleelein Doon, Ya Khud Ko Samne Rakh Doon;
  699. Woh Mujhse Pooch Baithe Hain Mohabbat Kis Ko Kehte Hain!

  700. ========================================

  701. Mere Jazbat Meri Pehchan Hai Woh;
  702. Meri Justaju Meri Shaan Hai Woh;
  703. Log Kehte Hain Bhula Dun Main Use;
  704. Par Kaise Bhula Dun Yaaro Is Seene Me Dhadakti Jaan Hai Woh!
  705. ========================================
  706. Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
  707. Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tanha Kare;
  708. Jaan Ban Kar Utar Ja Uski Rooh Mein;
  709. Jo Jaan Se Bhi Jyada Tujhse Wafa Kare!
  710. ========================================
  711. Apna Toh Chahaton Mein Bas Yahi Asool Hai;
  712. Jab Tu Qubool Hai To Tera Sab Kuch Qubool Hai!
  713. ========================================
  714. Ek Pal Mein Jo Guzar Jaaye Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai Aur Kuch Nahi;
  715. Pyaar Kehti Hai Duniya Jise Ek Rangeen Dhokha Hai Aur Kuch Nahi!
  716. ========================================
  717. Dil Mein Tumhare Apni Kami Chod Jaayenge;
  718. Aakhon Mein Intezar Kee Nami Chod Jaayenge;
  719. Yaad Rakhna Mujhe Dhoondte Firoge Ek Din;
  720. Zindagi Mein Dosti Kee Kahani Chod Jaayenge!
  721. ========================================
  722. Is Intezar Kee Ghadi Ko, Pal Pal Ki Bekarari Ko Lafzon Mein Bayan Kaise Kar Du;
  723. In Makhmali Ehsaason Ko, Reshmi Jazbaton Ko Alfazon Mein Bayan Kaise Kar Du!
  724. ========================================
  725. Sahil Par Khade Khade Humne Shaam Kar Di;
  726. Apna Dil Aur Duniya Aap Ke Naam Kar Di;
  727. Yeh Bhi Na Socha Kaise Guzregi Zindagi;
  728. Bina Soche Samjhe Har Khushi Aap Ke Naam Kar Di!
  729. ========================================
  730. Mohabbat Ke Mayne Humse Kya Puchte Ho;
  731. Hum In Batoon Se Anjaan Hain;
  732. Bus Ek Gujarish Hai Ki Bhool Naa Jaana Hume;
  733. Kyonki Tumhara Pyaar Hi Hamari Jaan Hai!
  734. ========================================
  735. Bahut Khubsurat Hai Har Baat Lekin, Agar Dil Bhi Hota Toh Kya Baat Hoti;
  736. Likhi Jaati Phir Daastaan-e-Mohabbat, Ek Afsaane Jaisi Mulaaqat Hoti!
  737. ========================================
  738. Todna Hota To Rishta Hum Na Banate;
  739. Umeed Nahi Hoti To Sapne Hum Na Sajate;
  740. Aitbar Kiya Hai Humne Aapki Wafaon Pe;
  741. Bharosa Na Hota To Apne Dil Ka Hissa Na Banate

  742. ========================================

  743. Apne Jaisi Koi Tasveer Banani Thi Mujhe;
  744. Mere Andar Se Sabhi Rang Tumhare Nikle!
  745. ========================================
  746. Dastaan-e-Ishq Main Sabko Sunati Chali Gayi;
  747. Woh Dhaate Rahe Sitam Main Muskurati Chali Gayi;
  748. Na Thi Mujhe Parwah Koi, Na Tha Kisi Ka Dar;
  749. Gamon Ke Sailabon Se Main Yun Hi Takrati Chali Gayi!
  750. ========================================
  751. Mumkin Hai Palat Kar Main Chala Aaon Safar Se;
  752. Woh Naam To Ley Rooh Kee Gehraayi Se Mera!
  753. ========================================
  754. Mile Kaise Sadiyon Kee Pyaas Aur Pani, Zara Phir Se Kehna;
  755. Barri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna!
  756. ========================================
  757. Jab Se Sanam Tum Ko Paya Hai;
  758. Tere Har Hukum Ko Sar Aankhon Pe Bithaya Hai;
  759. Aur Kya De Sakta Hun Main Tum Ko Sanam;
  760. Roshni Tujhe Dene Ke Liye Khud Ko Jalaya Hai!
  761. ========================================
  762. Hum Tujh Se Alag Reh Ke Bhi Rehte Hain Tere Paas;
  763. Hote Hain Teri Bazzm Main Hote Hian Jahaan Bhi!
  764. ========================================
  765. Nazar Karna, Nazar-Andaz Karna;
  766. Yehi Hai Pyar Ka Aghaaz Karna!
  767. ========================================
  768. Sher Logon Ke Bahut Yaad Hain Auron Ke Liye;
  769. Tu Mile To Main Tujhe Sher Sunaaon Apne!
  770. ========================================
  771. Raaz Khol Dete Hain Nazuk Se Ishaare Aksar;
  772. Kitni Khamosh Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai!
  773. ========================================
  774. Nazar Se Nazar Ko Milao Nazar Ka Aitbar Karo;
  775. Hum Tum Se Sanam, Tum Hum Se Pyaar Karo;
  776. Tum Jo Rootho To Kuch Bhi Karke Manaayein Tumko;
  777. Hum Jo Pal Bhar Ko Jayein To Tum Intezar Karo

  778. ========================================
  779. Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka;
  780. Muskura Kar Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Geya!
  781. ========================================
  782. Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Hum Dekhen;
  783. Nigaahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!
  784. ========================================
  785. Mat Phenk Pani Me Pathhar;
  786. Usey Bhi Koi Peeta Hai;
  787. Mat Raho Yun Udaas Zindagi Mein;
  788. Tumhe Dekh Kar Bhi Koi Jeeta Hai!
  789. ========================================
  790. Yahi Bahut Hai Ki Tumne Palat Ke Dekh Liya;
  791. Yeh Lutf Bhi Meri Umeed Se Zyada Hai!
  792. ========================================
  793. Mujh Mein Lagta Hai Ke Mujh Se Zyaada Hai Woh;
  794. Khud Se Barrh Kar Mujhe Rehti Hai Zaroorat Uski!
  795. ========================================
  796. Chandni Raat Bari Der Ke Baad Aayi;
  797. Yeh Mulaqat Bari Der Ke Baad Aayi;
  798. Aaj Aye Hain Woh Milne Ko Bari Der Ke Baad;
  799. Aaj Ki Raat Bari Der Ke Baad Aayi!
  800. ========================================
  801. Hosh e Haalat Pe Kaboo To Kar Liya Maine;
  802. Unhe Dekhke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
  803. ========================================
  804. Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jaao Ge Lekin;
  805. Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi!
  806. ========================================
  807. Tere Khayaal Mein Jab Be-Khayaal Hota Hoon;
  808. Zara Si Der Hi Sahi Be-Misaal Hota Hoon!
  809. ========================================
  810. Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
  811. Issi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!
  812. ========================================
  813. Bikhri Kitaabein, Bheegey Auraaq Aur Yeh Tanhai;
  814. Kahoon Kaise Ki Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi!
  815. ========================================
  816. Ishq Qaatil Say Bhi, Maqtool Say Hamdardi Bhi;
  817. Yeh Bata Kiss Say Mohabbat Ki Jaza Mangay Ga;
  818. Sajda Khaaliq Ko Bhi, Iblees Say Yarana Bhi;
  819. Hashr Mein Kis Say Aqeedat Ka Sila Mangay Ga!
  820. ========================================
  821. Hosh-e-Haalat Pe Kabu To Kar Liya Maine;
  822. Unhe Dekh Ke Phir Hosh Kho Gaye To Kya Hoga!
  823. ========================================
  824. Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chaho Laga Do Dar Kaisa;
  825. Gar Jeet Gae To Kia Kehna Hare Bhi To Bazi Mat Nahin!
  826. ========================================
  827. Kya Khabar Thi Hame Ke Mohabbat Ho Jaye Gi;
  828. Hume To Bas Tera Muskurana Acha Laga Tha!
  829. ========================================
  830. Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin';
  831. Teri Aankhien Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain!
  832. ========================================
  833. Agar Mohabbat Ki Hadh Nahin Koi;
  834. Dard Ka Hisaab Kyun Rakhoon!
  835. ========================================
  836. Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
  837. Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Dalein Tum Ko!
  838. ========================================
  839. Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaate Hain;
  840. Gaye Huyon Ki Sadaaon Mein Baith Jaate Hain;
  841. Hum Ird Gird Ke Mausam Se Jab Bhi Ghabraayein;
  842. Tere Khayaal Ki Chhaon Mein Baith Jaate Hain!
  843. ========================================
  844. Bacha Kar Sajda Say Tum Na Jo Paon Kheech Liye;
  845. Isi Nishaan Par Rakh Diye Jabeen Na Kahi!


  846. ========================================


  847. Aaj Badi Der Tak Woh Mohabbat Dikhata Raha Mohsin;
  848. Na Jane Kyun Laga Ke Woh Mohabbat Chhod Jaega!
  849. ========================================
  850. Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
  851. Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De!
  852. ========================================
  853. Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin';
  854. Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!
  855. ========================================
  856. Aur Zyada Bhadkaatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki;
  857. Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko, Kya Khaak Bhujhana Seekhey Ho!

  858. ========================================
  859. Deedar Ki Talab Ho Toh Nazarein Jamaye Rakhiye;
  860. Kyunki Naqaab Ho Ya Naseeb, Sarakta Zaroor Hai!
  861. ========================================
  862. Wo Mohabbaton Ke Sauday Bhi Ajeeb Kerta Hai 'Mohsin';
  863. Bas Muskurata Hai Aur Dil Khareed Leta Hai!
  864. ========================================
  865. Abhi Kamsin Ho, Rehne Do, Kahin Kho Do Gi Dil Mera;
  866. Tumhare He Liye Rakha Hai, Le Jaana Jawaan Ho Kar!
  867. ========================================
  868. Aankh Rakhte Ho To Us Ankh Ki Tehreer Padho;
  869. Mu'n Se Iqraar Na Karna To Hai Aadat Us Ki!
  870. ========================================
  871. Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq;
  872. Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai!
  873. ========================================
  874. Ishq Mein Khoye Jao Ge To Baat Ki Tey Bhi Paao Ge;
  875. Qudrat Kuch Jano Ge, Dil Ko Jo Kahin Lagaao Ge!

  876. ========================================

  877. Ishq Naazuk Mizaaj Hai Be-Hadh;
  878. Aqal Ka Bojh Uthaa Nahin Saktaa!
  879. ========================================
  880. Tasveer Me Khayaal Hona To Lazmee Saa Hai;
  881. Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Me Bani Hai!
  882. ========================================
  883. Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ke Jese;
  884. Lutt Jaye Kahin Raah Mein Samaan Kisi Ka!
  885. ========================================
  886. Ishq Karna Hai To Phir Ishq Ki Toheen Na Kar
  887. Ya To Behosh Na Ho, Ho To Phir Hosh Na Kar!
  888. ========================================
  889. Jis Ke Badley Mein Mujhe Tum Mil Jao;
  890. Mein Aesi Naiki Ki Talash Mein Hoon!
  891. ========================================
  892. Najro Se Jab Najar Ka Taqrar Hota Hai;
  893. Her Morh Pay Kisi Ka Intezaar Hota Hai;
  894. Dil Rota Hai Zakahm Haste Hai;
  895. Shayad Isi Ka Naam Pyar Hota Hai!
  896. ========================================
  897. Akal Ayyaar Hai, Sau Bhaiss Bana Leti Hai;
  898. Ishq Bechara Na Mulla Hai Na Zahid Na Hakeem!
  899. ========================================
  900. Kisey Maloom Tha Ishq Iss Qadar Lachaar Karta Hai;
  901. Dil Usey Janta Hai Bewafa, Magar Pyar Karta Hai!
  902. ========================================
  903. Rakhna Mera Khayal Abb Umar Bhar Ke Liye;
  904. Lo Maine Apne Aap Ko Teri Amanat Kar Diya;
  905. Kya Khub Tha Humari Mohabbat Ka Andaz-e-Katil;
  906. Zehar Bhi Diya Usne Toh Hoton Pe Laga Kar!
  907. ========================================
  908. Pyar Bhi Karna, Zamaney Se Bhi Ghabrana Bohat;
  909. Aayino'n Ka Ghar Banana Aur Pathar Sochna!

  910. ========================================


  911. Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rahguzar Main Guzaari;
  912. Na Ho Ke Mar Mittain Hum, Na Ho Ke Jee Uthain Hum!
  913. ========================================
  914. Khud Mein Hum Kuch Iss Tarah Kho Jate Hain;
  915. Biti Hui Yaadon Ko Lekar Ro Jate Hain;
  916. Nind Nahi Aati Raaton Mein Par;
  917. Unko Khwab Me Dekhne Ke Liye So Jaate Hain!
  918. ========================================
  919. Aankon Mein Ishq, Labh Pe Khamoshi;
  920. Aandaz Mein Ikraar, Jism Mein Inkaar;
  921. Kahan Jayein Mohabaat Karne Wale;
  922. Ek Taraf Jannat, Doosri Taraf Jahannum!
  923. ========================================
  924. Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa;
  925. Izhaar-e-Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai;
  926. Hai Agar Ishq, To Aankho Mein Dekho;
  927. Zuban Kholne Se Yeh, Numaish Ban Jaati Hai!
  928. ========================================
  929. Ishq Ki Bandagi Di Hai To Husn Ki Ibadat Jaroori Hai;
  930. Ishq Se Jeene Ki Ass Rahegi Aur Husn Se Tarap Ki Justju!
  931. ========================================
  932. Tum Naraaz-Naraaz Se Lagte Ho Koi Tarkeeb Batao Manane Ki;
  933. Hum Zindagi Girvi Rakh Denge Tum Kimat Batao Muskurana Ki!
  934. ========================================
  935. Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib';
  936. Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai!
  937. ========================================
  938. Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ';
  939. Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya!
  940. ========================================
  941. Dekhte Hai Ab Kis Ki Jaan Jaayegi;
  942. Usne Meri Aur Maine Uski Kasam Khayi Hai!
  943. ========================================
  944. Behte Aashkon Ki Zubaan Nai Hoti;
  945. Lafzon Mein Mohhabat Bayaan Nai Hoti;
  946. Mile Jo Pyar To Kadar Karna;
  947. Kismat Har Kisi Par Maherban Nai Hoti!

  948. ========================================

  949. Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib;
  950. Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay!
  951. ========================================
  952. Kabhi Daaman-e-Dil Par Daag-e-Mayusi Nahee Aaya;
  953. Udhar Vaada Kiya Usne, Idhar Dil Ko Yakeen Aaya!
  954. ========================================
  955. Phir Nazar Mein Phool Mehke, Dil Mein Phir Shamain Jali'n;
  956. Phir Tassawur Ne Liya Uss Bazmm Mein Jaane Ka Naam!
  957. ========================================
  958. Muddat Se Gum Hua Dil-e-Begaan-e-Siraj;
  959. Shayad Ke Jaa Laga Hai Kisi Aashna Ke Hath!
  960. ========================================
  961. Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya;
  962. Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya!
  963. ========================================
  964. Wo Mere Pyar Ka Kis Qadar Mazak Udha Gaya;
  965. Ke Muje Muhabbat Karne Ki Saza Suna Gaya;
  966. Humne Muhabbat Ka Agaz Ush Se Hi Kiya Tha;
  967. Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa!
  968. ========================================
  969. Aaj Mat Rok Khud Ko Madhosh Ho Jaane De;
  970. Paas Aa Apne Nashe Mein Kho Jaane De;
  971. Na Aaoon Hosh Mein, Na Kabhi Meri Saanson Se Teri Mehek Jaye;
  972. Band Kar Le Aankhein, Ab Jo Hota Hai Ho Jaane De!
  973. ========================================
  974. Tujhe Ansu Bhari Wo Dua Miley;
  975. Jiseh Kabhi Na Rad Khuda Kare;
  976. Tujeh Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat Ki;
  977. Tere Aangan Me Muhabbaton Ki Aisi Hawa Chale!
  978. ========================================
  979. Chalo Aao Kabhi Tooti Hui Choori K Tukray Se;
  980. Woh Bachpan Ki Tarhan Phir Se Mohabbat Naap Lete Hain!
  981. ========================================
  982. Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein;
  983. Yuoon Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi!
  984. ========================================
  985. Waade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte;
  986. Hum Zikaar Mohabbat Ka Saare-Bazaar Nahi Karte;
  987. Darta Hai Dil Unki Ruswai Se;
  988. Aur Woh Soachte Hai Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte!
  989. ========================================
  990. Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhe Main Galay Laga Loon;
  991. Mera Ishq Be-Maza Tha, Teri Dushmani Se Pehle!
  992. ========================================
  993. Aankh Wo Chahat Jis Mein Dil Ki Zubaan Hoti Hain;
  994. Sachi Chahat To Bejuban Hoti Hain;
  995. Pyar Main Dard Mila To Ghabrana Kaisa;
  996. Dard Se Chahat Aur Jawaa Hoti Hai!
  997. ========================================
  998. Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah;
  999. Gulab Main Khushbo Basi Hoti Hai Jis Tarah;
  1000. Namaz Parh Li Ho Aur Dua Na Mangi Ho;
  1001. Ap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is Tarah!
  1002. ========================================
  1003. Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar Ka Intezaar Hota Hai;
  1004. Kai Saari Raahon Se Gujarte Yeh Jeevan Paar Hota Hai;
  1005. Har Pal Dil Sapne Bunta Hai Tanhaiyon Ke Saaye Mein;
  1006. Mohabbat Se Hi To Yaaro Jeene Ka Ehsaas Hota Hai!
  1007. ========================================
  1008. Kisi Ko Toot Kar Chane Se Mohabbat Nahi Hoti;
  1009. Use Paane Ki Khwahish Rakhne Se Mohabbat Nahi Hoti;
  1010. Mohabbat To Is Duniya Ki Wo Azeem Cheez Hai;
  1011. Jo Kisi Se Ek Baar Ho Jaye To Fir Kisi Se Nahi Hoti!
  1012. ========================================
  1013. Apni Mohabbat Pe Faqat Itna Bharosa Hai Mujhe;
  1014. Meri Wafain Tujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Deingi!
  1015. ========================================
  1016. Bulleh Shah Zehar Vaikh Ke Pita Te Ki Pita;
  1017. Ishq Soch Ke Kita Te Ki Kita;
  1018. Dil De Ke Dil Lain Di Aas Rakhi;
  1019. We Bullehia Pyar Iho Jiya Kita Te Ki Kita!
  1020. ========================================
  1021. Jee Bhar Ke Dekhoon Tujhe Agar Tujhko Gawara Hoo;
  1022. Betab Meri Nazrain Hoo Or Pyar Tumhara Ho;
  1023. Jaan Ki Fikar Hoo Na Zamaney Ki Parwa;
  1024. Ek Tera Pyar Hoo Sirf Hamara Hoo!
  1025. ========================================
  1026. Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle;
  1027. Halaat Na The Aaise Teri Mulaqat Se Pehle;
  1028. Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete The;
  1029. Hum Bhi Kitne Saada The Mohabbaton Ke Tajurbat Se Pehle!
  1030. ========================================
  1031. Ishq Ishq Na Karia Kar Ni, Vekh Ishq De Kare;
  1032. Esh Ishq Ne Joban Rutte Kai Lutte Kai Mare;
  1033. Ishq Kamavan Aye Jehre Niana De Vanjare;
  1034. Jattan De Putt Jogi Ho Gaye Chadke Takt Hazare!
  1035. ========================================
  1036. Woh Chand Hai Magar Aap Se Pyaara To Nahi;
  1037. Parvane Ka Shama Ke Bin Guzara To Nahi;
  1038. Mere Dil Ne Suni Hai Ek Mithi Se Awaaz;
  1039. Kya Apne Mujhe Pukara Toh Nahi!
  1040. ========================================
  1041. Har Taraf Noor Hai Khushboo Hai;
  1042. Teri Ankhon Mein Kaisa Jadu Hai;
  1043. Sari Duniya Hai Meri Jholi Mein;
  1044. Aur Duniya Meri Bus Tu Hi Hai!
  1045. ========================================
  1046. Paas Hote Hain Jab Wo Mere To Koi Mozu-E-Guftagoo Nahi;
  1047. Door Hote Hain To Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai!
  1048. ========================================
  1049. Ishq Bura Hai To Use Hone Mat Dena;
  1050. Ishq Khuda Hai To Use Khone Mat Dena;
  1051. Karte Ho Agar Kisi Se Sacchi Mohabbat;
  1052. To Tumeh.."Khuda Ki Kasam!"Use Rone Mat Dena!
  1053. ========================================
  1054. Na Sar-E-Bazar Dekhunga Na Usko Tanha Sochunga;
  1055. Useh Kehna K Laut Aaye Ab, Mohabbat Chorr Di Main Ne!
  1056. ========================================
  1057. Tu Rootha Rootha Sa Lagta Hai, Koi Tarkeeb Bata Manane Ki;
  1058. Main Zindagi Girrvi Rakh Dunga, Tu Keemat Bata Muskurane Ki!
  1059. ========================================
  1060. Pyaar Ki Aanch Se To Patthar Bhi Pighal Jata Hai;
  1061. Sache Dil Se Sath De To Naseeb Bhi Badal Jata Hai;
  1062. Pyaar Ki Rahon Par Mil Jaye Sacha Hamsafar;
  1063. To Kitna Bhi Gira Hua Insaan Bhi Sambhal Jata Hai!
  1064. ========================================
  1065. Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi;
  1066. Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi;
  1067. Mehki Fiza k Khushboo Mein Jo Dekha Pyaar Ko;
  1068. Bas Yaad Kisi Ki Aayi Aur Rulati Chali Gayi!
  1069. ========================================
  1070. Fiza Mein Mehakti Shaam Ho Tum;
  1071. Pyaar Mein Jhalakta Jaam Ho Tum;
  1072. Sine Mein Chupaye Phirte Hain Hum Yaadein Tumhari;
  1073. Isliye Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum!
  1074. ========================================
  1075. Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah;
  1076. Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kamal Ki Tarha!
  1077. ========================================   
  1078. Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka;
  1079. Khusiyan Dhundti Rahe Asshiyana Aapka;
  1080. Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho;
  1081. Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka!
  1082. ========================================
  1083. Ae Kabristaan Tere Aagosh Mein Itna Sannata Kyu Hai;
  1084. Log To Apni Jaan Dekar Bhi Tujhe Aabad Karte Hain!
  1085. ========================================  
  1086. Badi Mudaat Se Chaha Hai Tumhein;
  1087. Badi Duaoon Se Paya Hai Tumhein;
  1088. Tum Nee Bhulaane Ka Socho Bhi Kaise;
  1089. Kismat Ki Lakiron Se Churaya Hai Tumhein!
  1090. ========================================
  1091. Pani Se Pyaas Na Bujhi;
  1092. Toh Maikhane Ki Taraf Chal Nikla;
  1093. Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se;
  1094. Par Khudha Bhi Tera Aashiq Nikla!
  1095. ========================================   
  1096. Garmiye Hasrat Ke Nakam Se Jalte Hai;
  1097. Hum Chiragon Ki Tarah Shaam Se Jalte Hai;
  1098. Jab Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
  1099. Naa Jano Kyon Log Hamare Naam Se Jalte Hai!
  1100. ========================================  
  1101. Na Mahfileh Azeeb Hai Na Manzar Azeeb Hai;
  1102. Usne Nigahon Se Jo Chalaya Wo Khanjar Azeeb Hai;
  1103. Na Dubne Deta Hai Na Nikalne;
  1104. Uski Nigaho Ka Ye Samandar Azeeb Hai!
  1105. ========================================  
  1106. Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai;
  1107. Ek Baat Ko Sab Se Chhupana Ishq Hai;
  1108. Yun To Neend Nahi Aati Hamein Raat Bhar;
  1109. Magar Sote Sote Jagna Or Jagte Jagte Sona Hi Ishq Hai!
  1110. ========================================
  1111. Khushbu Ki Tarah Meri Har Sans Main;
  1112. Pyar Apna Basane Ka Wada Karo;
  1113. Rang Jitne Tumhari Mohabat Ke Hain;
  1114. Mere Dil Me Sajane Ka Wada Karo!
  1115. ========================================   
  1116. Chand Ki Judai Me Aasma Bhi Tadap Gaya;
  1117. Uski Ek Zhalak Pane Ko Har Sitara Taras Gaya;
  1118. Badal Ke Dard Ko Kya Kahoo;
  1119. Chand Ki Yaad Me Vo Haste Haste Baras Gaya!
  1120. ========================================
  1121. Kisi Ko Apna Banane Me Der Lagti Hai;
  1122. Kiya Hua Waada Nibhane Me Der Lagti Hai;
  1123. Pyaar To Pal Bhar Me Ho Jaata Hai;
  1124. Par Unhe Bhulane Me Saari Umar Bhi Kam Pad Jaati Hain!
  1125. ========================================
  1126. Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul;
  1127. kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka!
  1128. ========================================
  1129. Ji Chaahta Hai Ik Doosre Ko Yun Aath Pehar Hum Yaad Karen;
  1130. Ankhon Mein Basaaen Khwaabon Ko Aur Dil Ko Khayal Aabad Karen;
  1131. Khilwat Mein Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dooi Se Shhad Karen;
  1132. Yeh Aarzooen Eejad Na Kar, Ai Ishq Hamein Barbaad Na Kar!
  1133. ========================================
  1134. Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan;
  1135. Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan!

  1136. ========================================
  1137. Jo Kaha Main Ne Ke, Pyaar Aata Hai Mujhko Tum Par;
  1138. Hans Ke Kahne Lage, "Aur Aap Ko Aata Kya Hai?"
  1139. Aam Ilzaam Hai, Akbar Pe Ke Peeta Hai Kyon;
  1140. Iski Pursish Nahin Hoti Ke, Khaata Kya Hai!
  1141. ========================================
  1142. Mohhabat Muqaddar Hai Ek Khawab Nahi;
  1143. Ye Vo Ada Hai Jisme Sab Kaamyaab Nahi;
  1144. Jinhe Panaah Mili Unhe Ungliyon Par Gin Lo;
  1145. Magar Jo Fanaa Hue Unka Koi Hisaab Nahi!
  1146. ========================================
  1147. Garmiye Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jaate Hain;
  1148. Hum Chiraagon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain;
  1149. Shama Jalti Hai Jis Aag Mein Numayish Ke Liye;
  1150. Hum Usi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaate Hain;
  1151. Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam Ke Saath;
  1152. Jaane Kyon Log Mere Naam Se Jal Jaate Hain!
  1153. ========================================
  1154. Tapakti Hai Nigahon Se Barasti Hai Adaaon Se;
  1155. Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati!
  1156. ========================================
  1157. Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Rah Kar Bhi Mera Na Ban Saka;
  1158. Aur Dil Wo Kaafir Hai Jo Mujh Mein Rah Kar Bhi Tera Ho Gaya!
  1159. ========================================
  1160. Tark-E-Takaluf Par Bhi Hogi Unko Nadamat Humse Zyada;
  1161. Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat Humse Zyada!
  1162. ========================================
  1163. Mohabbat Naam Hai Jiska, Wo Aesi Qaid Hai Yaaro;
  1164. Ki Ummrein Beet Jaati Hain, Sazza Puri Nahin Hoti!
  1165. ========================================
  1166. Sahib-e-Aqal Ho, Ek Mashwara Mukhisana Chahiye;
  1167. Zindage Se Tang Hoon, Khud-Kushi Karon Ya Ishq!
  1168. ========================================
  1169. Aankhon Mein Na Humko Dhoondo Sanam;
  1170. Dil Mein Hum Bas Jaayenge;
  1171. Tamanna Hai Agar Milne Ki Toh;
  1172. Band Aankhon Mein Bhi Hum Nazar Aayenge!
  1173. ========================================
  1174. Dil Ki Aawaz Ko Izhaar Kehte Hain;
  1175. Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehte Hain;
  1176. Sirf Paane Ka Naam Ishq Nahin;
  1177. Kuch Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hain!
  1178. ========================================
  1179. Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyaar Karenge;
  1180. Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikraar Karenge;
  1181. Jahan Bhi Jaoge Har Kadam Humme Hi Paaoge;
  1182. Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezaar Karenge!
  1183. ========================================
  1184. Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya;
  1185. Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!

  1186. ========================================
  1187. Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se;
  1188. Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se;
  1189. Guzre Hain Hum Kuchh Aise Makam Se;
  1190. Ke Nafrat Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se!
  1191. ========================================
  1192. Kissi Ko Mohabbat Ki Sachai Maar Dalegi;
  1193. Kissi Ko Mohabbat Ki Gehrai Maar Dalegi;
  1194. Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega;
  1195. Aur Jo Bachega Usse Tanhai Maar Dalegi!
  1196. ========================================
  1197. Khawabo Ke Ander Zinda Mat Raho;
  1198. Balki Apne Ander Khwab Ko Zinda Rakho;
  1199. Mahobbat Uss Se Nahi Hoti Jo Khoobsurat Ho;
  1200. Khubsoorat Woh Hota Hai Jiss Se Mahobbat Ho!
  1201. ========================================
  1202. Ae Mohabbat Teri Chahat Iss Jahan Main Har Ek Shaqs Ko Hai;
  1203. Teri Ibaadat Main Sir Jhukayein, Akhir Hum Bhi Tere Kaneez-e-ishq Hain!

  1204. ========================================

  1205. Dil Mein Chhipi Yaadon Se Swaaron Tujhe;
  1206. Tu Dikhe Toh Apni Ankhon Mein Uttarun Tujhe;
  1207. Tere Naam Ko Mere Labon Par Aise Sajaya Hai;
  1208. So Bhi Jaun Toh Khwaabon Mein Toh Pukarun Tujhe!
  1209. ========================================
  1210. Hoga Kasu Deewar Ke Saaye Mein Para, Mir;
  1211. Kya Kaam Mohabbat Se Uss Aaraam Talab Ko!

  1212. ========================================
  1213. Mohabbat Nahi Hai Naam Sirf Paa Lene Ka;
  1214. Bichhad Ke Bhi Aksar Dil Dharakte Hain Saath Saath!
  1215. ========================================
  1216. Mehrbaan Hokey Bulaalo Mujhey Chaaho Jis Waqt:
  1217. Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon!
  1218. ========================================
  1219. Unki Mohabbat Ke Abhi Nishaan Baaki Hai;
  1220. Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baaki Hai;
  1221. Kya Hua Aggar Dekh Kar Muh Pher Lete Hain;
  1222. Tasalli Hai Ke Shakal Ki Pehchaan Baki Hai!
  1223. ========================================
  1224. Hum Toh Bane Hi Tabah Hone Ke Liye The;
  1225. Tera Milna Toh Ek Bahaana Tha!
  1226. ========================================
  1227. Tairna Hai To Samundar Mein Jaiye;
  1228. Kinaro Mein Kya Rakha Hai;
  1229. Pyar Karna Hai To Bahon Mein Aaie;
  1230. Isharon Mein Kya Rakha Hai!
  1231. ========================================
  1232. Muddat Se Thi Kisi Se Milne Ki Aarzoo;
  1233. Khwahish-e-Didaar Mein Sab Kuch Gava Diya;
  1234. Kisi Ne Di Khabar Ki, Vo Aayenge Raat Ko;
  1235. Itna Kiya Ujaala Ke Ghar Tak Jala Diya!
  1236. ========================================
  1237. Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aetbaar Ho Jata Hai;
  1238. Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai;
  1239. Khubiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sadaa;
  1240. Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai!
  1241. ========================================
  1242. Aye Mohabbat Teri Chahat, Iss Jahan Main Har Ek Shaks Ko Hain;
  1243. Teri Ibadat Main Sir Jhukayen, Akheer Hum Bhi Tere Kaneez-E-Ishq Hai!

  1244. ========================================

  1245. Mitti Ka Jism Lekar, Pani K Ghar Mein Hu;
  1246. Mnzil Hai Maut Meri Aur Main Har Pal Safar Mein Hu;
  1247. Hoga Katal Mera Pata Hai Mujhko Par;
  1248. Yeh Malum Nahi Ke Main Kis Katil Ki Nazar Mein Hu!
  1249. ========================================
  1250. Tum Khud-be-Khud Shamil Ho Gaye Meri Saanso Mein;
  1251. Main Soach Ke Karta Toh Phir Mohabbat Na Karta!
  1252. ========================================
  1253. Uss Ki Mohabbat Ka Silsila Bhi Kya Ajeeb Tha;
  1254. Apna Bhi Na Banaya Aur Kissi Aur Ka Bhi Hone Na Diya!
  1255. ========================================
  1256. Labo Pe Geet To Aankhon Mein Khwab Rakhte The;
  1257. Kabhi Kitabon Mein Hum Bhi Gulaab Rakhte The;
  1258. Kabhi Kissi Ka Jo Hota Tha Intezar Humein;
  1259. Bada Hi Sham-o-Sehar Ka Hisaab Rakhte The!
  1260. ========================================
  1261. Hum Aashiq Paane Ko Ishq Samajhte Rahe;
  1262. Jo Pa Liya, Woh Ishq Nahi, Woh Ishq-e-Hararat Hai!
  1263. ========================================
  1264. Baadi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein;
  1265. Na Woh Qaid Kar Sake, Na Hum Azaad Ho Sake!
  1266. ========================================
  1267. Ek Baar Apne Andaaze Mohabbat Ka Ikraar Kar Lete;
  1268. Hum Apni Zindgai To Kya, Apni Rooh Bhi Unke Naam Kar Dete!
  1269. ========================================
  1270. Tu Mere Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi;
  1271. Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge!
  1272. ========================================
  1273. Ajeeb Yeh Aashique Hai;
  1274. Kabhi Shor Tang Karta Hai;
  1275. Aur Kabhi Sanata Satata Hai!
  1276. ========================================
  1277. Ek Nafrat He Nahi Duniya Mein, Dard Ka Sabab;
  1278. Mohabbat Bhi Sakoon Waloon Ko, Badi Takleef Deti Hai!
  1279. Oh errant heart, what has transpired now,
  1280. Finally, what is the cure for this ache,
  1281. I desrie, the Other is indifferent,
  1282. Ah God, what is this performance.



No comments :

Post a Comment